• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

killar_back

Member
477
1,090
138
Thanks for Reading & Supporting
Stay tuned with us
Paridhi ke bare me agle update me pata chal jayega
Priyadarshini ki kahani jaldi hi samne ayegi
usne kabhi saajan ko dekha hi nahi hai
bas ek do din ke bachche ki tasveer hai uske paas hazaro salo se

Today's update is on page.....601
Akhir PRIYADARSHINI ke pass SAAJAN ki bachpan ki tasveer aai kaha se....? iska kya RAAZ hai...?
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,250
173
PUNRAVLOKAN

Next Chapter Start Karne se Pahle Aaiye ab tak ki kahani par Ek Nazar daal lete hain jisse isse samajhne me aur kuch bhuli bisri baato ki yaad dast tarotaza hone me koi dikkat na rahe

Aisa karne ka mera pramukhtah ek hi uddeshya aur karan hai kyon ki ye kahani ka ek behad aham padav hai jaha se hokar ab ye gujarne wali hai

Yahi vajah hai ki jehan me iska koi aisa pahlu achhuta na rah jaye jisse aage jakar mann me uske vishay me kisi bhi tarah ki anbhigyata ki sthiti nirmit ho

Aham Padav maine kyo kaha iska khulasa meri agli kuch bato se saf jahir ho jayega….Kuch samay se maine mahsus kiya ki kahani ke vastavik flow jaisa ki chal raha tha, usme pahle ki apeksha kafi girawat aayi hai

Maine iski vajah janne ke liye kahani ka ek baar khud hi punrikshan (Observation) karne ki soch poori kahani ko last two days me padh kar dekha ki kaha par mujhse galti huyi hai ya kaha par kuch kami rah gayi hai

Is observation ke phalswaroop maine kuch aagami ghatnao ko unke purva nirdharit karya kram me badlav karne ka socha hai jinme se Rajgarh ka Raaz aur Pari ki kahani bhi mukhya hai jiska purva nirdharit karya kram ke anusar ye ghatna Divya aur Saajan ke Pahle Janam ki story se sambandhit hai

Maine ab is ghatna ko Chapter 4 me liya hai…ab vaha par sirf saajan aur divya ki love story rahegi…aisa karna mujhe isliye avashyak mahsus hua kyon ki kahani me bahut se character’s aa gaye hain…kayi logo ki khwahish hai ki unke sath prem sambandho ki shuruwat abhi se kramshah ho jani chahiye

Dusra, ab kahani me kuch bahri duniya se jude adventures bhi ayenge....jaha supernatural powers ka use bhi hoga aur kayi jagah asmanjas ki sthiti aa sakti hai yaha par story ko samajhne me

Chaliye ek sarsari nazar kahani ke mukhya binduo par daal lete hain………

‘’SAAJAN’’

‘Saajan’ Ye Kahani Mukhya Roop se Teen Kirdaro je ird gird ghumti hai ya ye kah lijiye ki is kahani ke ye sabse main kirdar hain jinke aas paas poori kahani ghumegi

Aur ye kirdar hain…Saajan, Divya aur Pari......kintu in teen ke alawa aur bhi kayi character’s hain jinme sabse mahatvapurna hain Rajgarh aur Guru Maa….Shesh character’s apne apne samay kaal tak hi simit hain arthat unka jikra unke jivant hone ke samay me hi hoga

Teen main kirdaro ke alawa maine Rajgarh aur Gurumaa ka jikra bahut aham isliye kaha kyon ki Ye kahani hi Rajgarh se judi hai to jahir si baat hai ki jab Rajgarh ki sachchayi aur usse sambandhit aetihasik tathya nikal kar samne ayenge to kayi hairat angej Raaz ujagar honge

Isliye maine ye avlokan ka special update dene ka faisla kiya…..Guru maa ka naam maine isliye joda kyon ki poori kahani par unka apratyaksh roop me asar hai aur lagbhag har jagah ki ghatnao me unka jikra aata rahega…unka bahut bada yogdan hai kahani me

Ab aate hain story ke main character Saajan, Divya aur Pari par…..Ye kahani hai divya aur saajan ke anoothe sachche prem ki, unke is prem ke atoot vishwas ki, unke prem ke beech aayi har badhao ki…lekin in sab ke bavjud bhi kaal chakra ke in beraham thapedo se har baar alag ho jane ke baad bhi unka prem kayi sadiyo ke baad bhi aaj vaisa hi shashwat hai jaisa pahle tha

Kitni hi ghatnaye huyi unke sath, kitne hi zulm huye unke sath kintu unke prem me koi kami nahi aayi….kaha se shuru hua ye prem….?. kaise hua unka pratham milan….? Aisa kya ghatna ghatit huyi thi ki jisne in dono ke dilo me prem ki aisi vilakshan chingari sulga di….? Jo kaal chakra ke bhi bujhaye na bujh saki…vo janam par janam lete rahe… marte rahe parantu apne prem ko har janam me yathavat amar aur yaadgar banaye rakha

Saajan……koun hai ye saajan….? Kya hai saajan ka vastavik roop….? Kya hai saajan ka sach….? Kya ye kisi ka naam hai…? Ya phir koi code word…? Philhal ye to abhi tak raaz hai jiske bare me to khud divya bhi nahi janti ki saajan ka matlab hai kya…uske liye to vo uska saajan hai

Divya…..Jise saajan ke siwa dusra koi kaam hi nahi hai..saajan ke prem me purna samarpit..365 din me shayad hi koi aisa pal ho jab vo apne saajan ki yaado se bahar aati ho yaha tak ki sote samay me bhi vo apne saajan ke sapno me hi khoyi rahti hai…jise saajan par aisa atoot vishwas hai ki agar khud bhagwan bhi aakar usse kahe ki saajan me ye burayi hai to vo kabhi na vishwas kare unka bhi

Pari…..ye character bhi divya ke samkaksh hi hai saajan ke chahne walo me……ye bhi 365 din 24 ghante saajan ki yaado me hi rahti hai…koi pal aisa nahi jab iske dil me saajan ki chhavi na rahe….kintu divya ke opposite…jaha divya prem me andhi hai vahi pari nafrat me….uski isi nafrat ne is prem kahani ko sadiyo tak pahucha diya

Ab kahani me do aise character’s hain jinka jikra bahut jaruri hai…..unke bina is prem kahani ka koi astitva hi nahi rah jayega….Priyadarshini aur Raj

Priyadarshini…..priyadarshini ka prem bhi bahut vilakshan hai….sadiyo purana…jisne bina dekhe, bina kisi jankari ke hi prem kar baithi….divya aur priyadarshini dono ke saajan ke prati prem ki tulna kar pana bahut mushkil hai ki kiska prem adhik mahan hai….? Priyadarshini ko maine story ke sabse main character’s me shamil nahi kiya kyon ki kewal yahi ek aisi kirdar hai jiska sambandh Rajgarh se door door tak nahi hai lekin phir bhi sadiyo se saajan se judi huyi hai….isliye agar ise bhi ek main character mana liya jaye to isme koi atisanyokti nahi hogi…is chapter me priyadarshini ki prem kahani kaise aur kaha se shuru huyi..jaldi hi samne ayegi

Raj….jaisa ki naam hai Raj….ye apne naam ki tarah hi ek Raaz hai…..Jiske vishay me uski Guru Maa ke alawa koi bhi uski vastavikta se parichit nahi hai….isliye is kirdar ke sandarbh me kuch bhi bata pana sambhav nahi hai abhi jab tak ki koi Raaz ka khulasa na ho jaye….

Ye sab batane ka mera abhipray sirf itna hi hai ki ab agle chapter se Rajgarh ki kahani ayegi to kayi Raaz khulenge…..pahle ke pending suspense clear honge aur kayi naye suspense banenge….to jin readers ke mann me koi duvidha ho piche ke kisi suspense ko lekar ya koi update ki kisi varnit baat ko lekar to unki vo shanka door ho sake

Last me main ek baat aur bhi clear kar dena chahunga ki meri is kahani me supernatural power (dharti par janmit) kewal Main hero aur main villain ke alawa kisi ke bhi paas na to hai aur na hi hogi ….story ki starting se lekar Ending tak

Supernatural power ko maine bachcho ka jhunjhuna nahi banaya hai ki jise chaho shaktiya mil gayi….shaktiya koi khairat me ya bazar me milne wali vastu nahi jise har koi pa jaye….dost, bhai, bahan, maa, baap, biwi hone ka ye matlab nahi ki vo inse shaktiyo ko pane ke adhikari ho gaye

Kisi bhi cheez ki keemat tabhi tak hoti hai jab tak ki vo aur kahi aprapya ho….suraj ek hai..isliye uski value hai..agar vahi ek se adhik ho jaye to uski value ghat jayegi

Koi cheez agar ek hi jagah par milegi to uski keemat bahut hogi lekin agar vo aur bhi kahi par milne lage to keemat kam ho jayegi

Mai ye nahi kahta ki koi inhe hasil kar nahi sakta lekin koi rishto ke dum par inhe pane ka adhikari nahi ho sakta aur inhe pana namumkin to nahi par atyant dushkar karya jarur hota hai jo karoro arabo salo me koi ek hi kar pane ki kshamta rakhta hai

Kahani me Raj ke paas supernatural powers hain lekin vo use kisi daan ya koi khairat me nahi mili hain…..uske liye usne bahut badi kurbani di hai….kuch pane ke liye kabhi kabhi bahut kuch khona padta hai….. shaktiya tapobal se milti hain….sirf achcha nek insan hona hi kafi nahi hota uske liye….raj ne kitni moute mar kar inhe hasil kiya hai iski kahani baad me ayegi

Kahani me jo kisi bhi hathiyar ka asar raj ke sharir par nahi hota hai usme koi shaktiyo ka use nahi hai balki ye uski guru maa dwara karayi gayi adbhut behad kathor training ka parinam hai

Anyway maine sabhi ko bahut bore kar liya…..ab chalta hu Chapter * 4 ka Pahla Update Likhne

Main aap sabhi reader’s ka jinhone pratyaksh ya apratyaksh roop me is kahani ko itna maan samman diya uske liye main hriday se sabhi ka abhari hu…..Aap sab ke pyar aur sahyog ke parinam swaroop hi aaj ye kahani is mukam tak pahuchi hai

‘’Dhanyawad’’
 

luv4sale696969

Active Member
1,303
1,670
158
You have increased our curiosity level... Eagerly waiting for next update...
 
Status
Not open for further replies.
Top