• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,256
173
SAAJAN
UPDATE- 287

Jabki andar vo chattani kaya (bhairav nath) veer ke visfot ke bavjud phir se jud kar pahle se bhi adhik vikral aur bhayanak ho chuka tha…usko aage badhte dekh kar veer ne ek bar phir apni ankho ki roshni se uske jism ke chithde uda diye magar vo tukde phir se jud gaye aur vo pahle se adhik bhayanak ho gaya.

Usne veer ko ek jhatke me hi utha kar jor se patak diya…ye dekh kar sab ghabra gaye jabki mrinal aur priyadarshini ka gussa ek bar phir se badhne laga.

Ab Aage…….

Veer dubara khada ho kar uske aage aa gaya..uska jism aag ki bhanti tap raha tha kintu uski iss tapan ka uss bhairav nath ke upar tanik bhi asar hota nahi dikh raha tha…hota bhi kaise…bhala aag se patthar ko kya nuksan ho sakta hai..kyon ki patthar koi jwalan sheel vastu to hai nahi.

Veer ne usko maarne ke liye jaise hi apna hath uthaya vaise hi usne veer ko nigalne ke liye apna muh phadne laga…ye dekh kar priyadarshini ek bar phir se apne vastavik swaroop me aa gayi.

Ek bar phir sabhi ki ankhe uss divya aloukik prakash se choundhiya kar band ho gayi..sath hi sath bhairav nath bhi apni ankhe band karne par vivash ho gaya kyon ki uski ankho me bhi itna tez sahan karne ki kshamta nahi thi….usne achanak pradipt huye iss prakash se ghabra kar apne dono hath ankho ke samne kar liye.

Vahi gusse se tamtamayi mrinal ne iss mouke ka fayda utha kar veer ko turant uske samne se khich liya aur phir palat kar bhairav nath ki chhati me ek jor se laat jama di…bhairav nath udte huye bahut door ja kar gira…halanki isse bhairav nath ko koi nuksan nahi hua.

Vo dubara uth kar khada ho gaya kintu priyadarshini ke jism se nikal rahi tez roshni ki vajah se apni ankhe kholne aur kuch bhi ahit kar sakne me avashya asmarth ho gaya tha.

Agle hi pal priyadarshini ke hatho se lal tarange prasfutit hone lagi aur bhairav nath se takrane lagi…bhairav nath ka chattani sharir inn tarango ke takrate hi ek bhisan visfot ke sath dhool dhoosarit ho gaya…kintu agle hi kshan, patthar ke vo kan dubara ekattrit hone lage aur usko punah jivit kar ke pahle se bhi adhik maha balshali aur vishal kaay bana kar khada kar diya.

Apne aap ko iss tez roshni ke samne poori tarah kuch bhi kar sakne me asahay mahsoos kar ke bhairav nath turant hi vaha se adrisya ho gaya.

Udhar dusri taraf main kahi koi chudail to nahi hai ye soch kar ped se utar kar uss aurat ke rone ki awaz ki disha me badh chala.. uss aurat ke rone ki awaz lagatar aa rahi thi..main awaz ka picha karte huye uss taraf badhta raha.

Kuch door chalne ke baad maine jo dekha to use dekh kar main hairan rah gaya…kyon ki mujhe vaha sirf ek khargosh dikhayi diya jo ro raha tha…mujhe usko ek aurat ki awaz me rote dekh kar hairani ho rahi thi.

Main ek jagah khade ho kar chupchap uss khargosh ko dekhta raha..subah hone me jyada vilamb nahi rah gaya tha…suryoday hone tak vo aise hi aurat ki awaz me rota raha aur main chupchap dekhta raha…subah hote hi surya ki kirne dhire dhire jungle ki taraf badhne lagi.

Khargosh surya ki kirne dekh kar rona band kar diya aur ek disha ki taraf chal pada…main bhi chupchap bina koi shor kiye khargosh ka picha karte huye chalne laga..khargosh kayi rasto se gujarte huye ek chattan ke karib pahuch kar ruk gaya…idhar udhar dekhne ke baad usne chattan ke paas ke ek patthar ko touch kiya to vah chattan piche ko khisakne lagi.

Kuch der tak khisakne ke baad vo chattan ruk gayi aur vaha ek tahkhana jaisa nazar aane laga…khargosh uss tahkhana ke bhitar pravesh kar gaya…khargosh ke tahkhane me jate hi vo chattan phir se khisak kar apne sthan par aa gayi…main ye sab chupchap dekh raha tha.

Main uss chattan ke uss kone me gaya jaha khargosh ne uss patthar ko chhua tha…maine jaise hi uss patthar ko hath se touch kiya to vah chattan vaise hi khisakne lagi jaise ki pahle khiski thi.

Chattan ke khisakte hi mujhe vahi tahkhana nazar aaya jisme abhi abhi vo khargosh andar gaya tha….main bhi kuch soch kar uss tahkhane ke bhitar ghus gaya…mere andar jate hi vo chattan phir se khisak kar apni pahle wali jagah par aa gayi.

Tahkhane me kafi andhera tha…main tahkhane ke uss andhere me hi aage badhne laga to kuch door jane par roshni nazar aane lagi…ab main ussi disha me aage chalne laga jidhar se ye roshni aa rahi thi.

Jab main roshni wali jagah par pahucha to hairan ho gaya…kyon ki jaha se roshni aa rahi thi, uss jagah par ek khargosh patthar ka bana hua baitha tha aur uski lal rang ki ankhe chamak rahi thi jiski ye roshni thi.

Main abhi ashcharya se patthar bane uss khargosh ko dekh hi raha tha ki tabhi kisi ne piche se achanak mujh par hamla kar diya..asaavdhan hone ke karan uske iss hamle se main uchhal kar door ja gira…kintu phir jaldi hi sambhal kar uth khada hua.

Maine samne dekha to hamla karne wala vahi khargosh tha jo jungle me khargosh ki awaz me ro raha tha…iss samay vo meri tarag bahut gusse se dekh raha tha.

Tabhi khargosh ne apni ankho se ek lal kiran mere upar chhodni shuru kar di…jaise hi vo lal kiran mere jism se takrayi vaise hi takrate hi vapis mere sharir se takra kar uss khargosh ki taraf mud gayi aur usko hi ja lagi…khargosh dard se karahne lag gaya… vo khargosh apni hi kiran ka shikar ban gaya.

Khargosh (dard me)—aaaaaaaaa…..ye nahi ho sakta….aaaaaa….bhala meri hi shakti mujhe hi nuksan kaise pahucha sakti hai..?

Khargosh ke sharir me kayi jagah ghaav ban gaye the aur vo aurat ki tarah ro raha tha….khargosh ko dard se rota dekh kar mujhe uske upar taras aane laga tha…mujhe apni taraf aate dekh vo khargosh ghabra gaya aur vo pahle se bhi jyada jor jor se aurat ki awaz me rone laga.

Raj—dekho, main yaha tumhe koi nuksan pahuchane nahi aaya hu balki tumhe aurat ki awaz me rota dekh kar tumhare rone ki vajah janne ke liye aaya hu…

“Kkkk….koun ho tum….? Aur yaha kis vajah se aaye ho…?” khargosh ne dard se karahte huye aurat ki awaz me kaha.

Raj—(apne yaha aane ka karan use batane laga)...dekho, main tumhe iss dard se chhutkara dila sakta hu lekin pahle tum mujhe ye vachan do ki ab dubara mujh par hamla nahi karoge..aur main tumse jo bhi puchunga, uska jawab mujhe sach sach doge... ?

Khargosh (dard me)—mainnn...tumhe vachan deti hu...ki ab tum par hamla nahi karungi...mujhe bahut dard ho raha hai...aaaa.. bas ye door kar do kaise bhi...aaaaaaaaa..

Uske phir se mere upar hamla na karne ka vachan dete hi maine apna ek hath uski taraf ashirwad ki mudra me kar diya aur apni ankhe band kar li....agle hi pal mere uss hath se hare rang ki kirne nikalne lagi aur uss khargosh ke sharir me bane ghaavo se takrane lagi...jaise jaise kiran uske ghaavo se takrati ja rahi thi, vaise vaise khargosh ke ghaav bharte ja rahe the...kuch hi der me uske poore ghaav bhar gaye aur uska sara dard gayab ho gaya..khargosh ko ab aisa mahsoos ho raha tha, jaise ki use kabhi chot lagi hi nahi thi...uske ghaav bharte hi vo hare rang ki kiran nikalni band ho gayi aur iske sath hi meri ankhe bhi khul gayi.

Raj—ab tum batao ki aadhi raat ke samay tum jungle me kyo ro rahe the..vo bhi aurat ki awaz me..... ?

Khargosh—main ek ichcha dhaari nagin hu aur ye jo patthar ke khargosh hain, ye mere pati hain…ye ek tilismi jungle hai…iss jungle ke rakshak ne hame yaha qaid kar ke rakha hai, jo khud kisi tilism ka dwar hai...usne hamse hamari naag mani chheen li hai...aur usne apni shakti se hame khargosh me badal diya...mere pati khargosh roop me hi usse ladne lage to usne apni shakti se unhe patthar ka bana diya...iske baad vo na jane iss tilismi jungle se kaha gayab ho gaya...uske baad main apne pati ko le kar iss gufa me aa gayi...aur tab se aaj tak har roj aadhi raat ke samay jungle me main apne isht dev mahadev se yaha se azad hone ki prarthana karti hu aur apne pati ke gum me roti rahti hu...pata nahi kab tak hum dono iss tilismi jungle me qaid rahenge.. ?

Raj—main tumhare pati ko patthar se phir khargosh roop me la sakta hu ..

Khargosh (nagin)—(khush ho kar)..sach.. ! kripa kar ke aap jald hi unhe patthar se khargosh roop me la dijiye…jisse main unse khul kar baat kar lu, ro lu, has lu..

Itna kahte kahte uss khargosh roopi ichchadhari nagin ki ankho se anshu bahne lage…mujhe ye samajhte der nahi lagi ki kis vajah se iske anshu nikal rahe hain…maine bhi bina der kiye uss chamkile tilismi patthar ko yaad kiya aur apna hath uss patthar bane khargosh ke sir par rakh diya.

Agle hi pal mera vo hath uss tilismi chamkile patthar ki roshni se chamakne laga aur vo roshni phir uss patthar bane khargosh me samahit hone lagi…iske sath hi uss patthar bane khargosh ka sharir dhire dhire jivit roop me aane laga…

Uske jivit roop me aate hi ichcha dhari nagin daud kar apne pati ke paas gayi aur lipat kar rone lagi…dono ko dekh kar aisa lag raha tha ki jaise do premi kayi janmo ke baad bichhad kar phir mil rahe ho….

Kuch der tak gufa me aise hi pyar bhara mahoul bana raha…ichcha dhari naag nagin thodi der baad jab ek dusre se alag huye to dono ne mere aage apne hath jod liye.

Naag—aap ka bahut bahut dhanyawad…agar aap nahi aate to na jane kab tak hum dono aise hi ek dusre ke liye tadapte rahte.

Raj—mere samne hath mat jodo…ye hath apne isht dev bhagwan mahadev ke aagejod kar unka dhanyawad karo, kyon ki mere yaha aane me shayad unki hi koi prerna rahi hogi…

Nagin—phir bhi kya hum apne taran haar ka parichay jaan sakte hain…?

Raj—taran haar to sab ka ek hi hai…vo upar wala….hum to bas uske hath ki kathputliya hain….mujhe saajan kahte hain… ye mera agla janam hai.

Dono (shocked)—kyaaaaaa……saajannnnn……?

Raj—kya baat hai…? Aap saajan naam sun kar itne ashcharya chakit kyo ho…? Aap dono ke chahre ki bhaav mudra dekh kar aisa lagta hai ki jaise aap pahle bhi iss naam se parichit ho chuke ho…?

Naag—iss srasti me shayad hi aisa koi lok hoga jaha log saajan aur divya ko na jante ho….saajan aur divya ki prem gaatha to srasti ke pratyek lok ke niwasiyo ke dilo me sadiyo se apna ghar basa chuki hai…log dono ke amar aur param pavitra pyar ki kasme khate hain….to phir bhala hum kaise unke naam se aparichit rah sakte hain…?

Nagin—ye to hamara saubhagya hai ki jis saajan aur divya ke amar prem ki hamne aaj tak kahaniya hi suni thi….aaj hamari ankho ko uss saajan ke sakshat darshan karne ka avsar prapt hua hai.

Raj—iss jungle me main akela tha lekin tum dono ke mil jane ki vajah se mujhe ab akelapan mahsoos nahi ho raha hai…ab tum dono mere dost ho aur dost kabhi ek dusre ke samne hath nahi jodte.

Naag—saajan,aap sach me hi bahut dayalu kism ke ho..jaisa hamne aap ke baare me suna tha, bilkul vaisa hi paya.

Nagin—aap ki dost banna to mere liye bahut hi gaurav ki baat hai..saajan.

Naag—tumhare liye nahi balki hamare liye..

Nagin (sharma kar)—haa haa…mera bhi yahi matlab tha….lekin, saajan..aap yaha iss tilismi jungle me….?

Raj—(tilismi jungle me aane ki poori kahani batane ke baad)…tilismi dwar ke uss rakshak ko maarne ke baad hi tilism ke pahle dwar ka rasta khulega…lekin ab samasya ye hai ki uss rakshak ko iss jungle me khoja kaha jaye…? Aur aap ye bataye ki usne aap ko yaha qaid kyo kiya…? Aap dono yaha se azad kaise honge aur apne asli roop me kaise aaoge…?

Naag—saajan, usne hum dono ko isliye qaid me rakha hai kyon ki main uski mout ka rahasya janta hu…use darr hai ki main kisi ko bata na du..aur hum dono apne asli roop me tabhi aa sakte hain jab hamari nag mani hame vapis mil jayegi aur vah tabhi milegi jab uss rakshak ko maar diya jaye....uske marne ke baad hi ek rajmahal prakat hoga jisme aap ko apni agli manzil milegi. Isliye uss rakshak ko maarne ke liye main bhi aap ke sath chalunga.

Raj—theek hai…uss rakshak ko maarne ke liye aap bhi mere sath me chalna…lekin pahle ye to batao ki use mara kaise ja sakta hai…?

Naag—vah ek tilismi dwar ka rakshak hai, usko maarna asaan nahi hai…vah tabhi marega jab uske sharir me ek sath paanch jagho me paanch teer maar diye jaye…aur vo paanch jagah hain…uski dono ankh, maathe ke beecho beech ki jagah, seena aur uski naabhi.

Raj—hmmm, lekin use jungle me dhoondenge kaise…?

Naag—iss jungle ke uttar disha ke antim chhor par ek nadi bahti hai…uss nadi ke uss paar sher ki do murtiya bani huyi hain..unn dono murti ko todne ke baad vah swatah hi prakat ho jayega…ussi jagah par uss rakshak ko maarna hoga.

Raj—theek hai..chalo phir jaldi..

Nagin—main bhi sath chalungi aap dono ke..

Uss ichcha dhari nagin ne sath chalne ki bahut zidd ki…badi mushkil se use samjha bujha kar gufa me hi rukne ko taiyar kiya aur phir main uss ichcha dhari naag ke sath uss nadi ki taraf chal diya.

Ichcha dhari naag rasta batate huye aage aage chal raha tha aur main uske piche...abhi hum aadha jungle ji paar kar paye the ki vaha bhayanak awaze goonjne lagi…hum dono savdhan ho kar dhire dhire aage badhne lage.

Ab hum dono itni door pahuch gaye the ki vaha se nadi ke bahte pani ki awaz sunayi de rahi thi lekin ghane jungle ke karan hum dono ko vo nadi dikhayi nahi de rahi thi.

Hum dono ek jagah ruk kar soch vichar kar hi rahe the ki tabhi achanak……
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,256
173
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.

Ajib sa mahaul ban gya h tilism ke andar.
Ajib sa bhayankar.
Aapne bhi bakhoobi dikhaya h in sab baton ko.
Mzaaaa aa gya bhai waah.

Or ab ,
Aage ka intjaar
Thanks Rishabh bhai for liking the update.
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,256
173
are Anand ji aisa mat hone dijiyega...:secruity: achha chaliye villain bane bhi toh bure kam naa kare raj..:approve:.
Jaha tak main samajhta hu ..naina ji..to villain ka matlab kewal ye nahi hota hai ki bure kaam kiye jaye...balki dharm aur insaniyat ke viruddh aacharan karne wala bhi villain hi hota hai...jiski vajah se kayi nirdosh logo ko dukh jhelna pade, vo bhi villain hi hota hai.
 
Status
Not open for further replies.
Top