• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

CG

Sab Chutiyapa hai Bhaya
1,975
3,525
159
Nice update
Agni Dev kya kar lenge dekhte hain......
 
  • Like
Reactions: anandsngh12

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,197
173
SAAJAN
UPDATE- 211
5th Janam Ki Prem Kahani Continues.....

Dusra sadhu—tumhari hamesha vijay ho, saajan.

Main unn sadhuo ke shree mukh se apne liye saajan shabd ka sambodhan sunkar chounk gaya….sath me aryan bhi hairan hua mere liye saajan shabd ke sambodhan se…

Jitu (chounk kar, mann me)—ye log mujhe saajan kyo kah rahe hain…? Vo sapne me aane wali sundar ladki bhi mujhe saajan kahti hai….koun hai ye saajan…? Uska mujhse kya sambandh hai…? Kyo na inn sadhuo se hi puch liya jaye…? Haan, yahi theek rahega.

Jitu—mera naam to jitendra singh hai..jise log prem se jitu kahte hain…phir aapne mujhe saajan kyo kaha…?

Ab aage……

Pahla sadhu—Ye sach hai ki tumhara naam Jitendra singh hai…kintu ye to tumhare iss vartman janam ka naam hai..tumhari asli pahchan to kuch aur hi hai….jise sab saajan ke naam se jante hain….

Jitu (hairan)—kintu…main to kisi saajan ko nahi janta sadhu maharaj…

Pahla sadhu—samay aane par khud hi jaan jaoge vats….tum abhi apni vastavik pahchan se anabhigya ho….jab tumhe apni pahchan malum ho jayegi tab tumhare netro ke samne pada hua iss rahasya ka parda bhi uth jayega.

Dusra sadhu—abhi hum tumhare sammukh kisi anya vishesh uddeshya se aaye hain aur kadachit tumhare agle lakshya ka marg bhi vahi se prashast hone ki ummid hai…

Jitu—main kuch samjha nahi sadhu maharaj…kripya mujhe apne aane ka uddeshya batane ki kripa kare…main apni yatha shakti poora prayatna karunga jisse apke yaha aane ka manorath siddh ho sake.

Pahla sadhu—Yuvraj, kanva rishi ke yaha na hone par aaj kal kuch rakshas hamare yagya me vighna daal rahe hain jisse koi bhi dharmik anusthan sampann nahi ho pa raha hai….atah hum aapse yahi nivedan karne aaye hain ki aap kuch din aashram me hi rah kar hamare yagya ki unn durachariyo se raksha kare….

Jitu—aapke kisi bhi kaam aana, ye mere saubhagya ki baat hai kintu munivar mere aisa karne se kayi log mujhe pahchan jayenge aur mere yaha chhadm roop me aane ka asal uddeshya nirarthak ho sakta hai…

Dusra sadhu—yuvraj, apko sirf vahi pahchan sakta hai jiske andar tapobal ki shakti ho….aap nishchint rahe..jab tak aap khud nahi chahenge tab tak koi apko nahi pahchan payega.

Aryan (kaan me)—itna nakhre kyo kar raha hai…? Bhul gaya kya ki teri vo divya bhi to vahi rahti hai…ab raat din uske sath nain matakka khelna….ho sakta hai ki yagya ki raksha ke bahane tera kaam bhi safal ho jaye….? Tum aashram ke andar jane ka bahana khoj rahe the na to dekho Inhone gale par hath rakh kar jaise tumhari manokamna hi poori kar di…

Jitu (mushkura kar)—tum thodi der chup nahi baith sakte…

Jitu—theek hai munivar….main aapke dharmik anusthan ki raksha ke liye avashya aashram chalunga aur apko ye vishwash dilata hu ki mere sharir me jab tak pran hain, tab tak koi bhi buri se buri shakti bhi aap ke yagya me badha uttapann nahi kar sakti..

Pahla sadhu—hame aapse aise hi uttar ki aasha thi yuvraj….kripaya hamare sath chalne ka anugrah kare…

Jitu—jaisi apki agya munivar…

Aryan—main bhi chalunga...yuvraj ne uss aashram ke vishay me jo bataya hai main bhi dekhna chahta hu...

Dusra sadhu—kintu aap vaha nahi ja sakte...vo kshetra tilism dwara rakshit hai..

Jitu—he munivar...ye aashram bahar se jaisa dikhayi deta hai, andar to bilkul uske vipareet hai...kya hai iska rahasya... ?

Pahla sadhu—iss aashram ko charo taraf se kanva rishi ne ek gahre tilism se baandh rakha hai….jiske kaaran bahar se dekhne par iss aashram ka ek chhota sa hissa hi dikhayi deta hai…baki adrishya rahta hai….iss aashram me rahne wale hi kewal usme aa ja sakte hain anya koi bhi nahi...agar anya kisi ne uss ashram me pravesh karne ki chesta bhi ki to vah turant hi aashram ke charo oar rachit tilism ke mayajaal me phans jayega aur phir vaha se bahar nahi nikal sakta…

Jitu—to phir main kaise vaha ja sakunga…? Main bhi to aashram ke bahar ka hi hu aur mera uss ashramvasiyo se koi sambandh nahi hai…

Dusra sadhu—aap to vaha ja chuke hain yuvraj……aap aashram me kaise pahuch gaye….iske piche kya rahasya hai, ye to sirf kanva rishi hi jante hain…..

Pahla sadhu—kadachit kisi na kisi aashram vasi se aapka gahra rishta bhi ho sakta hai….jiski vajah se aashram ke tilism ne apko andar sakushal jane diya…..ye to hamara durbhagya hai ki aap ke paavan charan hamare aashram me pade kintu hum aap ka yathochit satkaar nahi kar sake,…saajan

Aryan—Jab aashram me koi nahi pravesh kar sakta to vah rakshas vaha kaise pahuch jate hain…..?

Dusra sadhu—Vo rakshas, ashram me tilism baandhne ke pahle se hi apna roop badal kar rah rahe hain…kanva rishi ne apne tapobal se unhe bahar nikal diya tha…kintu phir bhi unme se kuch rakshas roop badal kar andar ghus aaye the aur vahi chhadm bhesh me rahne lage…baad me kanva rishi ne tilism ki rachna ki…ab vo rakshas aashram me utpaat macha rahe hain.

Pahla sadhu—Yuvran, apne poorvajo ki parampara me apka yeh vyavhar shastra sangat hi hai kyon ki jo vipatti me ho use abhay daan dene me hi gaurav sada se hi dikshit hai.

Jitu—aapke iss adesh se main anugrahit hua sadhu maharaj..

Aryan (dhire se)—lagta hai ki tumhe divya ko dekhne ki kuch jyada hi utsukta hai…yaar, mujhe bhi apne sath le chal…main tumhari vaha rakshaso se raksha karunga jab tak ki koi aa kar mujhe vaha se bhaga nahi deta.

Jitu (dhire se)—pahle to isme koi badha nahi thi kintu ab rakshaso ka sun kar divya se milne me adchan aa sakti hai.

Main jane ke liye utha hi tha ki tabhi ek sainik apne sath kisi ko le kar andar pravesh kiya aur jhuk kar naman karne ke pashchat ek taraf khada ho gaya.

Jitu—kaho sainik, kya baat hai…?

Pahla sainik—yuvraj, ye rajdhani se maharani ka aapke liye kuch sandesh laya hai aur aapse bhent karna chahta tha..isliye main sidhe hi andar le aaya.

Jitu (khush)—kya kaha..maa ka sandesh..! kaho sainik kya sandesh bheja hai meri mata shri ne….?

Dusra sainik—yuvraj maharani ne aapke liye ye patra bheja jai…

Maine uske hath se maa ka bheja patra le kar sarv pratham uss patra ko apne shish se laga kar pranam kiya…aur phir dusre kaksh me aa kar uss patra ko khol kar apni maa deepmala ka sandesh padhne laga.

“Putra, ayushman bhav…tumhe meri bhi umra lag jaye…. Ek maa apne jigar ke tukde ko dekhne ke liye atyant vyakul hai..tumhare bina mujhe rajmahal ka chhappan bhog bhi halahal vish ke samaan prateet hota hai…ye makhamali bistar, bhisan jahreele naago ki bhanti mujhe raat din daste rahte hain main ye janti hu ki mera putra apni janta ke kalyan ke liye hi uss bhayanak jagah par gaya hai..ye baat ek maharani to samajh sakti hai kintu ek maa ka hriday inn sab baato se nahi bahal sakta. Jab se maine uss kali pahadi ke baare me suna hai tab se mera dil chinta se baitha ja raha hai…vo jagah bahut hi manhoos hai uss pahadi ne na jane ab tak kitno ko apna graas bana chuki hai…mujhe maharani ka ye pad tyagna manzur hai kintu apne putra ko khona kadaapi manjur nahi hai…ab lout aao putra..meri ye ankhe tumhe dekhne ke liye pal pal taras rahi hain….

Vaise bhi aaj se teen din baad putra pind paalan upvaas hai..jisme tumhara upasthit rahna anivarya hai..sath me tumhe dekh kar mere hriday ko bhi santosh mil jayega.

Main tumhare aane ki pratiksha karungi mere putra ..”


Maa ka patra padhte padhte mere nayano me bhi jal bhar aaya tha….ye main bhali bhanti janta tha ki maa mere bagair ek pal bhi nahi rah pati, vo mujhe behad sneh karti hain.

Aryan—kya sandesha bheja hai maharani maa ne... ?

Jitu—maa ne mujhe mahal vapis bulaya hai...meri samajh me nahi aa raha ki kya karu... ? idhar inn tapasviyo ka adesh aur udhar maa ki aagya....ullanghan dono me se kisi ka bhi nahi kiya ja sakta....aise me kya karna uchit hoga, samajh me nahi aata.. ?

Aryan—Trishanku ki tarah beech me hi latke rahna, bas...hihihihi

Jitu—sach, mann me vyakulta bhar gayi hai…dono alag alag sthano par hain isliye mera mann bhi ussi tarah se bant gaya hai jaise ki kisi nadi ka pravaah kisi chattan se takra kar do bhago me bant jata hai….(kuch sochne ke baad)—aryan, maa tumhe bhi putra ki tarah hi manti hai…isliye meri jagah tum lout kar chale jao…maa se kah dena ki mujhe tapasviyo ke kaam se yaha rukna pad gaya hai..putra ke roop me jo bhi anusthan karna hai vah tumhi kar dena.

Aryan—dekho, kahi tum ye mat samajhna ki main rakshaso se darta hu..

Jitu (mushkura kar)—maha brahman..! tumhare baare me aisa koi soch bhi kaise sakta hai…?

Aryan—jana hai to main yuvraj ke chote bhai ki tarah jana chahunga..

Jitu—tapovan ke karya me badha na pade isliye apne sath aaye sainiko ko bhi tumhare sath bhej raha hu..

Aryan—tab to main bhi yuvraj hi ban gaya…

Jitu—(mann me)..yah brahman bahut hi chanchal hai…kahi ye vaha ja kar maa se mere aur divya ke baare me na bata de..? isko kuch bahane se hi samjhana padega.

Jitu—dekh aryan, main yaha rishi muniyo ke yagya ki raksha ke liye aashram me ruk raha hu...uss rishi kanya divya ke liye nahi... samajh gaya..kaha hum aur kaha vah bala...jo hirniyo ke sath pali hai..prem kya hai, iska to use tanik bhi abhaas nahi hai...vah to hasi ki baat thi mitra, jo maine tumse yu hi kahi thi...kahi tum use sach na maan lena..

Aryan (mushkura kar)—Yuvraj, agar tum aisa kahte ho to, yahi theek hoga...

Jitu—to mitra, tum mahal jane ki taiyari karo, main aashram jata hu…

Aryan (mushkurate huye mann me)—mujhe nira hi murkh samajhta hai..kya main tere dil ki baat nahi samajhta…?

Maine sainiko ko kuch avashyak nirdesh de kar aur aryan ko samjha bujha kar dono sadhu ke sath aashram ke liye prasthan kar gaya….mere mann me divya ko dekhne ki abhilasa prabal hoti ja rahi thi.

Main ashram ke andar pahle sadhu ki kutiya me jaise hi pahucha to meri mulaqat vaha anusuiya se ho gayi…mujhe iss samay vaha dekhte hi vah chounk gayi…mujhe baad me pata chala ki vah uss pahle sadhu ki hi putri hai.

Pahla sadhu—beti anusuiya, tum hamare vishesh atithi ke liye kuch jal paan ka prabandh karo..jab tak main snan karne ja raha hu…saajan aap yaha araam se baith kar jalpan ka anand lijiye…

Jitu—jo aagya…

Meri ankhe to divya ke deedar karne ke liye aatur ho rahi thi…Anusuiya ke pita ke jate hi maine anusuiya ko ishare se apne paas bulaya jo ki abhi tak hairan ho ke mujhe dekhe hi ja rahi thi.

Jitu—suniye, apki sakhi kaha rahti hai…?

Anusuiya (mushkura kar)—lagta hai ki aag dono taraf barabar lagi hai…

Jitu—jiii, kya matlab….?

Anusuiya—Divya ki kutiya bhi yahi paas me hi hai…aap rukiye main abhi aati hu…

Ye kah kar vah mushkurate huye mere samne kuch phal khane ke liye rakh kar kutiya se bahar nikal gayi…divya ke yaha gayi to vah vaha nahi mili tab priyamvada ke yaha chali gayi jaha divya gusse me muh fulaye baithi huyi thi..aur priyamvada ke aane ka intazar kar rahi thi.

Divya (gusse se mann me)—aane do iss priyamvada ko, Maar Dalungi…

Anusuiya (divya ko dekh)—divya ..tum yaha baithi ho ..maine tumhe kaha kaha nahi dhoonda…..?

Divya (muh fulaye)—kya kaam hai…?

Anusuiya (kaan me)—tera vo ajnabi ayaya hai…tujhse milne aur tujhe dekhne ke liye vyakul hai…

Divya (naraz ho kar)—achcha to priyamvada ne ab tujhe padha likha kar bheja hai…ruk…(naak ke niche ungli ghuma kar)..tujhe bhi..Maar Dalungii..

Divya uth kar anusuiya ko maarne ke liye uske piche daud padi…lekin daudte huye anusuiya ne kuch aisa kaha ki jise sunte hi divya ke pair vahi ruk gaye…

Anusuiya (bhagte huye)—arey mere piche danda le kar kyo padi hai sakhi..? maine to sach hi kaha hai…vo ajnabi meri kutiya me iss samay baitha hai…pita ji usko saajan ke naam se sambodhit kar rahe the…

Anusuiya ke muh se saajan shabd sunte hi uske kadam yakayak apni jagah par ruk gaye….aur dil me ek tez bechaini si uthne lagi use aisa laga jaise ki ye naam uska suna hua hai aur vo saajan ko bahut achchi tarah se janti hai..kintu use kuch bhi yaad nahi aa raha tha ki kaise vo saajan ko janti hai….?

Divya (ruk kar)—saajannn……saajannn…saajannn..(mann me)..achanak mera dil itni tezi se kyo dhadakne laga hai..saajan ka naam sunte hi…mujhe itni adhik bechaini kyo ho rahi hai saajan ko dekhne ki..uske gale lagne ki…?

Phir na jane kya hua ki divya danda phenk kar paglo ke jaisi daud laga di anusuiya ki kutiya ki taraf…uski ankho se anjane me hi aviral jal dhara pravahit hone lagi thi…badhawashi me bhagte huye vah jaise hi aunsuiya ki kutiya me pahuchi...

Divya (naak ke niche ungli phirate huye masumiyat se)--Maar Dalungi..!
 
Status
Not open for further replies.
Top