• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,530
94,694
304

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,197
173
SAAJAN
UPDATE- 209
5th Janam Ki Prem Kahani Continues....

Phir divya kisi na kisi bahane se baar baar ruk ruk kar meri taraf dekhti huyi anusuiya aur priyamvada ke sath vaha se chali jati hai.

Jitu (lambi saans chhod kar)—to ye chali gayi.. ! ab mujhe bhi chalna chahiye…jab se divya ko dekha hai, yaha se lout kar jane ka mann hi nahi kar raha hai...lekin jana to padega ki, vaha sainik bhi meri chinta me pareshan honge..mann me itni shakti nahi ki divya ko phir se dekhe bina yaha se ja saku…

Jitu—sharir aage ja raha hai kintu mann ki disha piche ki oar hai…maheen resham ki dhwaja jaisa hai yeh mann jisko ki main hawa ki prati kool disha me liye ja raha hu.

Ab aage……

Jaise hi main ashram se nikal kar apne sainiko ke paas pahucha to vaha kisi ko dekh kar chakit rah gaya… yeh aur koi nahi balki mera bachpan ka brahman mitra ayan hai…jo shayad mujhe khojte huye yaha tak aa pahucha…mujhe dekhte hi vah daud kar mere paas aa kar gale se lag gaya.

Jitu—aryan..! tum yaha…?

Aryan—kyo main yaha nahi aa sakta kya…? Haan bhai ab to tu yuvraj jo ban gaya hai, to mujh jaise daridra brahman ko kyo puchega bhala…?

Jitu—band kar apni ye nautanki….aur ye bata ki tu mere yuvraj banne par samaroh me kyo nahi aaya…kaha marr gaya tha itne din tak….?

Aryan—arey main kyo maru…mare mere dushman….main to abhi tak shadi shuda kuwara hu…

Jitu—kyo tune shadi bhi kar li kya…? Bhabhi kaha hai, milwayega nahi mujhse….?

Aryan—tere liye bhabhi hi to dhoond raha tha itne din tak…

Jitu—to phir milwa jaldi se…

Aryan—kaha se milwau, maine to mann hi mann me usse shadi bhi kar li hai lekin vo jalim hai ki apne sharir par makkhi tak nahi baithne deti....

Jitu—koun hai... ?

Aryan—gaon ke hi brahman ki ladki hai...naam hai sugandha..

Jitu—wah...yaha tak uski sugandh aa rahi hai...kya naam hai sugandha...

Aryan—abe sharam kar tharki kahi ka.....vo teri hone wali bhabhi hai... tu uski sugandh mat le….vo mere liye hai…lekin Sali hath hi nahi lagane deti…

Jitu—to usko ye bata deta ki tu mera dost hai to shayad tera kaam ban jata... ?

Aryan—bataya tha vo bhi…

Jitu—to…?

Aryan—to kya…usne jhadu utha kar ulta meri pitayi kar di…..kahne lagi ki tum dono hi tharki hoge…

Jitu—hahahaha….matlab ki mast bhabhi dhoondi tune mere liye…

Aryan—uss par buri nazar mat daal…aur tu bata ki yaha kya karne aaya hai inn pahadiyo me….?

Jitu—yaar asal baat ye hai ki....(phir maine usko sab kuch bata diya)

Aryan (nihshwas chhod kar)—maar diya iss yuvraj ki dosti ne mujhe……garmi ki bhari dophar, door door tak kahi pedo ki chhaya nahi, aur aise me yah raha hiran, vah raha suwar, vah raha sher…karte huye jungle bhar me ghumta firta raha aur uske baad me piyo sade patto par se ho kar aata kasaila, beswad kadwa garam pani inn pahadi nadiyo ka….khane ko adhiktar jalta jalta maans vah bhi jab mil jaye tab…ghodo ke hinhinane se raat ko bhi theek se need nahi aati thi par itne se hi mera dukh samapt nahi hota….aise me mere jale gaal par ek phoda aur nikal aaya hai….piche rah kar yeh dukh bhog hi raha tha ki durbhagya ki ek aur maar sir par aa padi hai….mere dost ne yaha kisi aashram me ja kar kisi tapaswi kanya divya ko dekh liya hai aur uske prem me bawla ho gaya hai…tumhe kya lagta hai ki kanva rishi uss kanya ka hath tumhe de denge….?

Jitu (apne aap se)—milan sulabh nahi, phir bhi uska bhav dekh kar mann ko aashwasan hai....kamna ki poorti chahe na bhi ho, phir bhi dono oar ki akanksha mann ko santosh to deti hi hai….(mushkura kar)…kamatur vyakti kaise yeh soch kar apne aap ko thagta hai ki uske priy ki manoshthiti theek vaise hi hogi jaisi ki uski kamna hai….sneh bhari ankho se jab usne dusri oar dekha, to vah bhi, apne bhari nitambo ke bhaar se vilash purvak dhire dhire chal kar gayi… aur ‘mat ja’ sakhi ke kahne par usne use daant kar jo masumiyat se uttar diya ‘maar dalungi’ vah bhi lagta hai ki sab kuch mere liye hi tha…..kaisi hai yeh kamna…jo uske har karya ko apne…sirf apne liye hi maan kar chalna chahti hai.

Aryan (khade ho kar)—dekho yuvraj, apna hath to chalta nahi isliye kewal shabdo se hi abhivadan kar raha hu…jai ho apki…

Jitu (haste huye)—kyo, kya hua…tumhare ang kyo jakad gaye….?

Aryan—kaise jakad gaye….? Swayam ankh phod kar puchte ho ki ro kyo rahe ho….?

Jitu—tumhari baat samajh me nahi aayi….jara dusri tarah se samjhao….

Aryan—nadi ke beech me laga ped agar kubda ho kar jhuk jaye to uska karan kya hoga... ? vah swayam ya phir nadi ka veg…?

Jitu—karan to nadi ka veg hi hoga…

Aryan—issi tarah meri iss avastha ke karan tum ho…

Jitu—kaise….?

Aryan—vah aise ki tum to apna raj kaaz aur itna achcha surakshit pradesh chhod kar yaha uss manhoos kali pahadi ki vajah se vanchar ban kar dera jamaye ho….aur to aur uss rishi kanya ke prem me pagal huye ja rahe ho…aur main tumse milne ke chakkar me yaha tak pahuchte pahuchte adhmara ho gaya hu…mujh brahman ki haddiyo ke jod iss kadar hil gaye hain ki ab vo mere chalane se bhi nahi chalte hain….

Jitu—kya karu dost….jab se divya ko dekha hai tab se main khud ko bhi bhul gaya hu….yaha tak ki yaha aane ke asli maqsad ki taraf bhi mera dhyan nahi laga pa raha hu…aisa lagta hai ki iss jungle me rahne wale hirano ne divya ko bhi apni ankho ki sundarta de di hai.

Aryan—agar aisa hai to tumhari dirgh aayu ho…main chala ab sone..

Jitu—pahle meri poori baat to sun le….

Aryan—kya….?

Jitu—tumhe ek karya me meri sahayata karni padegi…

Aryan—kis karya me…? Laddu khane me…?

Jitu—jo bhi karya main kahunga…

Aryan—tum kahi kisi chakkar me mujhe fasane wale to nahi ho na…? dekh main shadi shuda kuwara admi hu…

Jitu—sainik yaha aao…

Tabhi ek sainik andar aa kar yuvraj ko pranam karta hai…uske piche piche vipin bhi aa jata hai…jisko ki aryan bade gaur se dekhta hai.

Vipin—yuvraj, mujhe lagta hai ki jungle me koi jarur khunkhar janwar ho sakta hai..apko vaha ja kar shikar karna chhiye….

Jitu—dekhenge…vaise main ye kah raha tha ki tum log nadi kinaare uss ashram se door hi rahna..vaise to vo bahut hi shant ashram dikhta hai kintu usme kahi nihit hai ek tez jo ki kabhi bhi sulag sakta hai…sheetal hote huye bhi surya kant mani dhoop padne par achanak hi dahak uthti hai.

Aryan—ye chal ab nikal yaha se..bada aaya sujhav dene wala…

Phir shaam ko main aur aryan ghumte huye nadi kinare chale gaye…aur vahi ek chattan par baith kar baate karne lage mera mann ab bhi divya ko phir se dekhne ke liye machal raha tha.

Aryan—yaha kaha ghumne aa gaye yaar hum…? Chalo vapis chalte hain..

Jitu—dost, tumne ankhe hone ka kuch phal nahi paya kyon ki sristi ka sabse apoorva srajan to tumne dekha hi nahi.

Aryan—vah to tum hi ho jo mere samne baithe ho..

Jitu—apne aap ko to sabhi sundar samajhte hain kintu main divya ki baat kar raha hu jo iss ashram ki shobha hai.

Aryan—hogi…tapaswi rishi ki kanya hone se jisko paya nahi ja sakta , usko dekhne se kya laabh…?

Jitu—chhee..murkh..! muh upar ko utha kar apalak ankho se nayi chandra kala ko vishwa bhala kis bhavna se dekhta hai…? Phir mera mann kabhi kisi aisi vastu par nahi aa sakta jisko ki dekhna varjit ho.

Aryan—baat jara khol kar batao…

Jitu—divya kisi aur ki santan hai jiska palan posan kanva rishi ne kiya hai…vah tahni se toota hua nav malika ka vah phool hai jo sanyog se aak ki patti me aa gira hai.

Aryan (haskar)—achcha..achcha….to jaise khajur se agha kar imali khane ko mann hota hai ussi tarah antahpur ki sundariyo ka upbhog karne ke baad ab tumhara iss kanya ke liye mann ho aaya hai..

Jitu—mitra, tumne divya ko abhi dekha nahi hai isliye aisa kah rahe ho…

Aryan—hogi to vah atyant sundar hi jisne tumhe bhi iss tarah se chamatjrit kar diya hai..

Jitu—adhik kya kahu mitra, ek taraf vidhata ki samarthya aur dusri taraf divya ka aloukik soundarya…aisa lagta hai ki soundarya ke sabhi upadano ko mann me la kar roop ke vishesh sanchay se hi vidhata ne iss komlangi divya jaisi kanya ki rachna kar paya hai….tabhi to na aisi, ratna rashi si ek alag hi nari srasti sambhav ho saki hai…

Aryan—iska matlab yah hua ki divya, shesh sabhi sundariyo se badh kar hai..

Jitu—mere mann ki prati kriya to yeh hai ki…

Phool hai vah, Jise kisi ne soongha nahi,

Kopal hai, Jise kisi nakhun ne kabhi chheela nahi,

Aisa ratna hai, Jise kabhi bidha nahi gaya,

Aur shahad hai, Jiska ras kabhi kisi ne chakha nahi,

Na jane, Kiske akhand punyo ka phal hai uska roop,

Aur na jane, sansar me kiska bhagya hoga, jo uska varan kare.

Aryan—tab to jaldi karo, kahi aisa na ho ki vah kisi sarso ke tel se chikne sir wale kisi takle tapaswi ke hath ja pade.

Jitu—vah bechari paradhin hai…aur kanva rishi bhi iss samay yaha nahi hain..

Aryan—achcha yeh to batao ki tumhare prati uska anurag kaisa hai….?

Jitu—mitra, tapaswi kanyaye swabhav se hi bholi hoti hain,..phir bhi mere samne rahte usne meri taraf dekha bhi to kewal halki khuli ankho se,…kintu dusri kisi baat par bina karan anayas hi has di…iss tarah vinay ke aavran me rah kar apni kamna ko usne na to prakat hi kiya aur na hi chhupa saki.

Aryan (haste huye)—to kya dekhte hi tumhari god me aa kar baith jati…?

Jitu—phir bhi sakhiyo ke sath lout kar jate huye usne kayi kayi bahane se apni bhavna ashat prakat kar hi di thi… pag do pag chal kar hi bina karan vah thithak gayi ki uske pair me kaanta lag gaya hai, uska dupatta ped ki shakha me uljha nahi tha phir bhi use chhudati vah meri oar muh kiye kuch pal ruki rahi…

Aryan—kuch ishara to usne tumhe de hi diya…lagta hai ki behad rangeen ashram hai yeh…

Vahi dusri taraf divya vatika se loutne ke baad kahi khoyi huyi thi ki tabhi priyamvada ne aa kar usko awaz di magar uska dhyan to kahi aur hi uljha hua tha…akhir me priyamvada ne uske upar pani daal kar hasne lagi tab ja kar usko kuch hosh aaya…

Divya (naak ke niche ungli ghuma kar masumiyat se )—Maar Dalungi
 
Status
Not open for further replies.
Top