• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
SAAJAN
UPDATE- 260
Rajgarh Ka Raaz Resumes.......

Raat me dinner karne ke baad main kuch waqt diksha ke paas bitaya.... halanki uski tabiyat me ab sudhar tha...saloni ne usko pain killer ka injection laga diya tha....thoda thoda samay maine sabhi ke sath gujara shikha aur mala ke sath bhi....dono yaha aane ke baad bahut khush thi...shikha to ab dekh bhi sakti thi.

Soniya aur naina apne bhai veer ka barabar dhyan rakh rahi thi...veer ki condition ab pahle se bahut behtar thi..lekin main usko apne sath le ja kar abhi kisi khatre me nahi dalna chahta tha.

Raat me sab ke sote hi sabhi mere room me hi aa gayi...maine sab ko ankhe band karne ko kaha aur phir vaha se gayab ho gaya.

Pahuchne ke baad jaise hi sabne ankhe kholi to samne dekhte hi sab chounk gayi.....

Ab aage…….

Unke chounk jane ki vajah bhi thi kyon ki ankhe kholte hi sabhi ne ek gufa ke andar khud ko kayi vishaile saanpo se ghire hua paya….

Neha—rajjj…ye itne saare saanp achanak kaha se aa gaye….kahi hum kisi dusri jagah to nahi aa gaye….?

Mrinal—ye koun si jagah hai….? Yaha par to saanpo ke siwa kuch bhi nahi hai...charo taraf bas saanp hi saanp hain.

Neha—kahte hain ki jaha saanp hote hain vaha par khazana bhi hota hai

Payal—rajjj....hum kisi galat jagah to nahi aa gaye na.... ? yaha to vo darwaja kahi nazar hi nahi aa raha hai.

Raj—nahi…hum sahi jagah hi aaye hain….kisi ko ghabrane ki koi jarurat nahi hai….main hu na….vaise bhi hum yaha tak ka level paar kar chuke hain to ye hame kaatenge nahi, jab tak ki inke sath koi chhedchhad na ho.

Maine turant ankhe band kar ke mani ko yaad kiya…agle hi kshan vo mere hatho me prakat ho kar apni tez roshni bikherne lagi…..roshni ke uss tez prakash se sabhi sarp khud ba khud vaha se gayab hone lage….unn sab ke vaha se gayab hote hi vo darwaja bhi nazar aane laga.

Priyadarshini (hairan)—Ye to neel mani hai…ye tumhare paas kaise aayi saajan…?

Mrinal—haan, isme to bahut sari shaktiya bhi hoti hain.

Divya—sahi suna hai aap dono ne…..aap ko yaha lane ka maqsad hi yahi hai ki aap achchi tarah se saajan ko jaan le jisse aap ke mann me jo saajan ke prati avishwash hai, vo door ho sake…ye mani saajan ko maa gouri ne ashirwad swaroop ki thi.

Priyadarshini—kya..maa gouri ne di thi ye mani…?

Divya—hmmmm

Mrinal—priyadarshini, ab mujhe teri kahani kuch kuch samajh aane lagi hai

Priyadarshini—shukriya divya….tumne shayad sahi faisla kiya mujhe yaha saajan ki shaktiyo se parichit karane ke liye…

Maine uss locket ko hath me le kar darwaje par bane saanche me fit kar diya aur uska handle ghumane laga….kuch der ke baad vo darwaja dhire dhire khulne laga….maine sabhi ko darwaje ke paas se thoda door hatne ko kaha.

Raj—uss tilishmi kitab me dekhna ki aage kya likha hai….?

Paridhi—abhi dekhti hu…….ohhh noooo.

Raj—kyo kya hua……?

Paridhi—vo kitab to maine apne issi bag me rakhi thi…..abhi kal tak to thi….phir aaj kaise nahi hai….?

Payal (shocked)—whattttt….?

Divya—lekin uss kitab ko koun le ja sakta hai.... ?

Raj (mann me)—to iska matlab ki kal raat me jisse main takraya tha, vo isliye hi aaya tha vaha ye kitab lene…..ab sari baat meri samajh me aayi.

Paridhi (tension)—ab kya hoga raj..... ? kisne nikali hogi vo kitab.... ?

Raj—Vahi jisne tumhari diary churayi thi.....vahi jiske liye vidhya aur nani kaam karti thi...vahi jisne mujhe inke jariye maarne ki koshish ki thi.....ye uska hi kaam hai.....

Sab (shocked)—whatttttt.... !

Payal (gusse me)—koun hai vo harami.... ? mujhe uska naam batao, raj.....yaha se jate hi sabse pahle uski gardan katungi.....ye baar naam bata de raj mujhe uska......achcha hua ki apni kulhadi sath le kar aayi hu.....nahi to uska kya bharosa, kahi meri kulhadi hi gayab kar deta to... ?

Priyadarshini—kya tha uss kitab me.... ?

Divya—yaha ke baare me jaankari thi usme…

Neha—kahi vo uska galat use na kare….?

Raj—khair tension mat lo….vo kitab le kar bhi kuch nahi kar sakta….darwaja kholne ke liye locket aur mani ki shakti chahiye, jo uske paas nahi hogi.

Paridhi—usko usse koi fayda ho na ho lekin hamara kaam to bigad diya na usne.

Divya—koi baat nahi didi….uss tilishmi kitab ki vajah se hame aage ka rasta malum chal jata hai….ab hame rasta khud talash karna hoga..bas

Raj—ruko sab, pahle main andar jata hu….jab ishara karu tabhi andar aana…ok

Vidhi—theek hai

Payal—lekin dhyan se jana, raj

Maine sabse pahle uss kamre ke andar pravesh kiya to mujhe vaha badi ajib tarah ki mahak aane lagi… sugandh aur durgandh dono hi tarah ki smell aa rahi thi bahut tez….maine charo taraf nazar ghuma kar dekha to vaha kamre me kshat vikshat lasho ka ambaar laga hua tha....ye durgandh shayad inki hi aa rahi thi.....

Raj (mann me)—Ye badbu to inn sadi gali lasho ki hi hogi magar ye sugandhit smell kis cheez ki aa rahi hai...kuch dikh to nahi raha hai yaha aisi sugandhit cheez....badi ashcharya ki baat hai, darwaja khulne par ye badbu bahar bhi aani chahiye lekin vaha to bilkul bhi nahi aa rahi hai...

Payal—kya hua....tu aise ullu ki tarah kya idhar udhar dekh raha hai.... ? hum bhi aa jaye ab... ?

Raj—andar badbu bahut jyada hai....aap log ek minute bhi yaha nahi ruk paogi.

Payal—kya bol raha hai....kuch sunayi nahi de raha....thoda jor se bol..

Raj (jor se)—andar bahut badbu hai..

Payal—kuch samajh me nahi aa raha ki kya bol raha hai....kewal hoth bhar hilayega ki kuch bolega bhi... ?

Raj (shocked)—itna jor se gala phad kar chilla raha hu...ye madam kahti hain ki kuch sunayi nahi de raha hai…..kahi aisa to nahi hai ki kamre ke andar ki awaz bahar ja hi na rahi ho…? Theek vaise hi jaise ki ye dono smell kewal kamre ke andar hi mahsoos ho rahi hai... ! correct, yahi baat ho sakti hai….

Divya (mann me)—saajan yaha tumhari awaz bilkul bhi sunayi nahi de rahi hai..kisi ko bhi.

Raj—divya...asal me yaha room ke andar bahut jyada badbu hai….poora kamra sadi gali lasho se bhara pada hai…..magar iss badbu ke beech kisi cheez ki sugandhit mahak bhi aa rahi hai….

Divya (mann me)—lekin hame yaha to koi bhi smell nahi aa rahi hai…?

Raj—tabhi to meri awaz tum sab ko sunayi nahi de rahi hai….ye kamra tilishm se bandha hua hai shayad.

Divya (mann me)—to hum andar aaye ki nahi….?

Raj—muh aur naak kapde se band kar ke aa sakti ho….vaise mujhe lagta nahi ki tum me se koi bhi ek minute bhi ye badbu bardast kar payegi…

Divya—theek hai…main bol deti hu sab ko.

Raj—ok

Divya— (sab ko sari baat bata kar)…..ab kya karna hai….?

Mrinal (hairan)—divya tumhe kaise malum ki andar badbu hai…? Tumne saajan ki awaz kaise sun li…?

Payal—kyon ki usko mann hi mann me baat karne ki vidhya aati hai isliye…

Mrinal—tab to saajan ki tarah tum bhi ek rahasya hi ho…

Neha—chalo sab apne muh aur naak rumal se band kar lo aur andar chalo….jo hoga dekha jayega

Sabhi rumal se apni apni naak daba kar andar chali gayi….andar jate hi charo taraf kide bulbulati sadi gali laasho ko dekhte hi unki cheekh nikalne lagi….saans lene ke liye jaise hi naak se kapda hataya ki badbu naak ke andar ghusne lagi…vaise hi sab ko ulti aane lagi to vo sabhi badi tezi se bahar ki oor bhagi.

Magar vo sab bahar nikalti ki isse pahle hi vo darwaja band ho gaya…..ab sab vahi ulti karne lag gayi baith kar….lekin isme bhi unhe sukoon nahi mila…kyon kiniche baithte hi vo sadi gali lash fisal fisal kar unke muh ke aur nazdik aane lagi….sab bahut buri tarah se ghabra gayi.

Payal (jor se)—rajjj….kaise bhi kar ke ye darwaja jaldi se khol…warna hum sab mar jayengi iss badbu me

Neha (chillate huye)—rajj jaldi kar…main ab nahi bachungi…..ye…ye… laash mere paas kyo aa rahi hai…? Satyanash ho aisa tilishm banane wale ka….

Mrinal—main kaha swarg chhod ke iss nark me aa gayi….? Chal priyadarshini hum dono adrishya ho kar yaha se bahar nikal jate hain…

Priyadarshini (ulti karte huye)—na…nahii…..saajan kuch karo….

Mrinal ne adrishya hone ki koshish ki to kisi adrishya shakti ne usko utha kar unn laasho ke upar phenk diya….mrinal ne jaise hi apne aap ko ek kide bulbulati laash ke upar pade dekha to uski cheekh nikal gayi….jabki vo laash jor jor se bhayanak awaz me hasne lagi.

Mrinal (cheekhte huye)—saajannnnnnnn……bachaooooo.

Maine ye dekh kar jaldi se bijli ki speed me ek chhalang lagayi aur mrinal ko utha kar agli ek jump me usko vapis le aaya.

Raj—maine pahle bhi tum logo ko bataya tha ki tilism ke andar ek baar pravesh karne ke baad bina uss tilism ko tode usse bahar nikalna sambhav nahi hai….phir kyo tum log bahar bhag rahi ho…yaha andar aane se pahle ye baat dhyan nahi thi kya….?

Payal—to kya kare….saans kaise le hum sab…? Hame kya pata tha ki yaha itni badbu hogi…..?

Raj—mujhe kuch sochne to do ki iss tilism ka tod kya hai….? Tab tak tum log naak ki bajaye muh se saans lene ki koshish karo…

Sab ki halat paanch minute me hi bahut kharab ho chuki thi….maine har taraf gaur se dekhne laga ki shayad kahi koi surag nazar aa jaye…

Paridhi—agar vo kitab hoti to hame iss badbu me tadap tadap kar nahi marna padta….jaldi se kuch karo..ab mujhse bardast nahi ho raha hai.

Neha—rajjj…main to ab marne wali hu….meri saans ruk rahi hai

Raj (mann me)—agar maine jaldi hi iss tilshm ka tod nahi dhoonda to inme se koi bhi nahi bachegi…jyada samay nahi hai mere paas ab.

Main abhi soch hi raha tha ki achanak tabhi vo poori laashe ek ek kar ke khadi hone lagi…aur phir tezi se hum sab ki taraf badhne lagi.

Ye dekh kar sab aur bhi ghabra gayi aur darr evam khauf se jor jor se cheekhne chillane lagi…bhagne ke liye kahi jagah hi nahi thi……main samajh gaya ki ab mere paas kewal kuch hi seconds ka samay shesh hai….sab ko bachane ke liye.

Sorry Friends, Jitna Ab Tak Likh Paya Utna Post Kar Raha Hu.
 
Last edited:

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
Mast update bhai kya ruplekha abhi tak jinda hai?
Thanks for Reading & Supporting
Ruplekha naam se koi character abhi tak to nahi aaya hai story me bhai
Stay with us.

Today's update is on page......1185
 
  • Like
Reactions: Fighter

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
WAAH BHAI KYA DHAMAAL MACHAA RAHE HO AAP
AAKHIR DISHA NE JO MANGA THA RAJ SE USKO RAJ NE POORA KIYA SATH HI SATH DISHA SE SHADI BHI KAR LI AUR SATH ME USKO CHIR YOUVAN KI SHAKTI BHI MILI.
YE KOUN THA JO RAJ SE TAKRAYA AUR CHHAT SE KOOD KAR GAYAB HO GAYA.
RUCHI DIDI EK ALAG KI VYAKTITVA KI LADKI HAI.UNKO JO MIL JAYE USI ME KHUSH RAHTI HAIN.AUR APNE SWABHAAW VASH MANGTI YA KAHATI BHI NAHI KI MUJHE YE CHEEJ YA YE VASTU YA KOI BHI KAAM HO .KAH NAHI PATI.SU AH SUBAH RAJ KE THODE SE PYAR KO PAKAR BHI WOH ATYADHIK PRASANNA HO GAYI.
AUR PAYAL TOH CHANDI KA ROOP LE RAJ KA INTEJAAR KAR RAHI THI PAR RAJ KO PATA HAI PAYAL KO KAISE SHAANT KARNA HAI.RAJ ABHI HAR KISI KA BAKHOOBI KHYAAL RAKH RAHA HAI.
AGALE MATCH ME MRINAL KE SATH SANDHYA HOGI KYA HOGA DONO KI MATCH KA.RAJ KAISE MANAGE KAREGA.YE WAKAYI JABARDUST SEEN HOGA AGER MATCH HUA TOH.
AB RAJ SABKO LEKAR EK BAAR PHIR TILISMI KILE ME PAHUCH GAYA HAI RAJGARH KA RAZ JANNE KE LIYE AB WAHA PAHALE SE KOUN MOUJOOD HAI JISE DEKH SAB CHOUNK GAYE.
YE TOH AB AGALE UPDATE ME HI PATA CHALEGA.DEKHATE HAIN KYA HOTA HAI
Thanks for Reading & Supporting
Shukriya Raj bhai iss khubsurat prati kriya ke liye
Kudne wala koun tha..? Vidhya aur nani ko kisne mara...? Iss sazish ka main sutradhar koun tha...? Inn sabhi sawalo ke jawab iss chapter ke last update me mil jayenge.
Ruchi ka character sabse alag hai...vo samajhdar hai
Stay with us.

Today's update is on page......1185
 
  • Like
Reactions: Jkking and Fighter

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.

Kya manmohak update pesh kiya h aapne too good bhai.
Behtareen bhai behtareen.
Fir se garda macha diya aapne.
Jitu bhai to ekdam gazab dha rahe h.
Or e chitralekha woww ek or khoobsurti ki misal bhai.
Or last wala sammohan ka scene jo aapne dikhaya h vo wakai bemisaal h.
Tarif ke kabil yaar Mzaaaa aa gya bhai waah.

Or ab ,
Aage ka intjaar
Thanks for Reading & Supporting
Shukriya Rishabh bhai iss nayab prati kriya ke liye
Apke review hamesha hi mujhe marg darshan dete hain rishabh bhai
Stay with us.

Today's update is on page......1185
 
Status
Not open for further replies.
Top