• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Fighter

THE CREATER OF DEVIL FIGHTERS
11,635
25,550
259

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,506
173
SAAJAN
UPDATE- 204

Jitu—aap nishchint rahe pita ji….agar aap dono ka ashirwad mere sir par raha to main avashya hi isme safalta prapt karunga…aap dono bas mujhe agya aur ashirwad pradan kare.

Deepmala ko yuvraj jitu ne bahut samjhaya tab kahi unhone usko jane ki atyant dukhi mann se ijajat di…karyakram ke samapt hote hi jitu unn logo ke sath unke gaon ki oor chal diya.

Bina ye soche jane ki ye kadam uski zindagi me koun sa toofan la dega...500 saal purani ye ghatna phir se jivant ho uthi thi….upar wala hi jane ki iss safar ka ab kya anzam hoga…? Haan, .itna to avashya nishchit hai ki ye ghatna uske jeevan ki roop rekha ko badal jarur degi

Ab aage…..

Hame chalte huye lagbhag chalis ghante ho chuke the….raat ghir aayi thi….sharir itni lambi yatra karne ke baad thak chuka tha aur rath me saje huye ghode bhi ab aage badhne se inkar karne lage the…mere sath me sena ki ek tukdi bhi thi.

Jitu—kitni door hai abhi tum logo ka gaon….?

Vipin (Leader)—yaha se abhi 30-35 km hoga yuvraj.

Jitu—dekho sab log thak chuke hain…aur raat bhi ho chuki hai to yahi aas paas me koi achchi jagah dekh kar dera daal lo….aage ka safar kal subah shuru karenge.

Vipin—theek hai yuvraj.

Hamne vahi ek gaon ke paas me shivir laga kar ruk gaye….khane pine ka sara saman sath me tha…sainiko ne khana banaya to khane ke baad din bhar ki thakan ke karan kab need aayi, pata hi nahi chala aur soya bhi aisa ki sidhe subah hi need khuli.

Subah hote hi dainik kriya se nivritt ho kar hum aage ke safar ke liye nikalne hi wale the ki aas maan me achanak baadal ghir aaye aur tez hawa ke sath jhum jhum kar barish hone lagi.

Tab tak gaon walo ko malum ho chuka tha ki iss rajya ka yuvraj aaya hai to vo sab bhagte huye aa gaye aur mujhe barish se bachne ke liye mukhiya ne apne ghar chalne ko kaha….main unka aagrah thukra nahi saka aur unke sath chala gaya….poora gaon hi barish me jama ho gaya tha….sab ko samjha kar maine unhe unke ghar bheja.

Mukhiya ne bahut swagat satkar kiya….phir to poore din ghanghor barish hoti rahi…pani band hone ka naam hi nahi le raha tha

Mukhiya—idhar issi tarah varsha hoti hai, yuvraj….shuru hoti hai to jaldi band hone ka naam hi nahi leti.

Lachar ho kar phir rukna pada mujhe…..phir se shaam hone ko aa gayi thi….mukhiya nitya kriya ke liye bahar chala gaya…mukhiya kaladka paas me hi khel raha tha to maine usse pine ke liye pani manga…Vah andar gaya aur fauran hi lout bhi aaya

Jitu—kya hua beta pani nahi laye….?

Balak—didi la rahi hai.

Thodi der baad aahat pa kar maine sir jhukaye niche hi niche dekha to dhire dhire nazdik aate do komal pairo par nigah padi...gori gori sundar ungliya aur unn par jhulta sari ka lal kinara....dono komal pair paas aa kar ruk gaye.

Phir samne mez par do sundar komal hath dikhayi pade.....ek hath me pani se bhara gilas dusre hath me ek choti si plate me mithayi…kalaiyo me sone ke kangan aur shankh ke kade.

"Pani pi lijiye." Phir kano me ek madhur swar goonja.

Maine sir utha kar dekha….samne ek sundar yuvti sir jhukaye khadi thi...pahli hi nazar me mujhe jisne akarshit kiya… vah tha uska roop soundarya…jisme youvan ki chanchalta nahi thi.

Balki usme ek kulin grah laxmi ka gambhirya, madhurya, kamniyta aur lavanyata thi…ek kale kalute mukhiya ke ghar aisi asadharan rupsi hogi..isse maine bhagya ka chamatkar hi samjha.

jitu—kya naam hai apka….?

Vo—ji, Chitralekha

Vah ruki nahi, chali gayi….maine usme ek shikshit aur asadharan yuvti ko dekha….usko jate huye dekhta raha…jaise vo ek devi ki tarah chali gayi thi….main aaj pahli baar kisi ki sundarta ko dekh kar mohit ho gaya tha.

Thodi der baad phir aayi aur mere samne khadi ho gayi….maine usko baithne ko kaha to samne rakhe bistar par baith gayi…phir hamare beech baatcheet ka silsila chal pada….maine spast mahsoos kiya ki uss gambhirta ke piche chandra lekha ke mann me koi gahri vedna chhayi huyi hai.

Chitralekha—aap yaha kisliye aaye hain….?

Jitu—(maine sab kuch bata diya)

Chitra lekha (hairan ho kar)—jaha aap ja rahe hain, vo jagah bahut rahasyamay hai....

Jitu (haste huye)—ye aap kaise janti hain.... ?

Chitra lekha (vichlit)—kyon ki main hamirpur ki hi ladki hu....asal me main mukhiya ji ke dost ki putri hu.....mere mata pita ek baar jo uss taraf gaye to phir kabhi lout kar aaye hi nahi....mera mere mata pita ke alawa aur koi nahi rah gaya tha, isliye mukhiya ji mujhe yaha le aaye apne ghar.

Jitu—hmmmm.....vaha ho rahi ghatnao ke baare me suna hai maine bhi.

Chitra lekha—Vaha kabhi kisi zamane ka aalishan mahal khandaharo me badal chuka hai...aur badal gaya hai sab kuch shmashan me....kabhi vaha ka vatavaran raag rang me dooba rahta tha....magar ab vaha gahri niravta, aur mann, pran ko shunya kar dene wali gahri udasi ke siwa aur kuch nahi rah gaya hai.

Jitu—lekin aisa kyo hua hoga..kisne kiya...... ?

Chitra lekha—suna hai, choti vidhwa rani ke bhayanak shrap se hi uss rajvansh ka sarvanash hua hai.....magar inn sab baato se apka kya matlab..... ?

Jitu (mushkurate huye)—matlab na hota to itni door aata hi kyo main.... ?

Chitra lekha (utsuk)—kya vo matlab aap mujhe bata sakte hain….?

Jitu—aap sapno me vishwash karti hain….?

Chitra lekha—haan, karti hu....kabhi kabhi koi sapna sach bhi ho jata hai.

Jitu—mera ek sapna hai…jiska sambandh hamirpur ke ussi rajvansh se sambandhit hai…mera vah sapna kitna sach hai.. kitni vastavikta hai usme…yahi janne aur samajhne ke liye main hamirpur ja raha hu.

Chitra lekha—Yuvraj, kya aap ko apne uss sapne par itna vishwash hai….?

Jitu—mujhe poora vishwash hai…aur uss vishwash ki sakshi hai meri aatma, jiske adhar par mera pagalpan mujhe itni door khich kar le aaya hai.

Tab tak mukhiya aa gaya to chitra lekha andar chali gayi….maine ratri vishram vahi kiya aur subah unse anumati le kar apne shivir me lout aaya…halanki chitra lekha mujhe vaha jane se rokne ki har sambhav koshish kar rahi thi….lekin maine uski baat ko ansuna kar diya……kuch der baad hi ham aage ke liye nikal pade.

Magar mere dil me bar bar chitralekha ka vahi sundar chehra rah rah kar ghum raha tha….uski sadgi aur khubsurti ne mera mann moh liya tha.

Raste me maine sabhi sainiko ko samanya praja ka bhesh banane ko kaha aur khud bhi apna bhesh badal kar ek sadharan manav ka bana liya….main nahi chahta tha ki log hame pahchane ya phir hamse darr kar rahe…sabne vaisa hi kiya jaisa ki maine socha.

Main ab tak apne chacha khardusan ki yojna se poori tarah se anjan tha ki unhone mere khilaf kya sazish rachi hai khair akhir kar hum hamripur pahuch hi gaye.

Magar vaha pahuchne par jaise hi logo ko ye pata chala ki rajdhani me yuvraj utsav me sammilit hone ke liye gaye huye log vapis lout aaye hain to vaha bheed jama ho gayi.

Mujhe ye jaan kar bada achraj hua ki lagbhag poore gaon ko mere yaha aane ki jaan kari thi….sabhi gaon wale vipin aur bakiyo se apne yuvraj ke bare me puchne lage….

Lekin unhe kya pata tha ki unka yuvraj to unke samne hi hai….par bhesh badle hone ki vajah se vo mujhe pahchan nahi sake the….

Mukhiya (Ganga narayan)—tum log aa gaye….? Magar yuvraj kaha hain... ? hamne to suna tha ki tum logo ke sath hi vo yaha aa rahe hain.... ?

Vipin—mukhiya ji…..asal me unhe beech raste me padne wale gaon walo ne apne yaha rukne ka aagrah kiya to vo unke sath chale gaye…..kuch din baad vo yaha aa jayenge.

Ek aurat—ab to yuvraj se hi hame ummid hai…..suna hai ki vo praja vatsal hain….har kisi ko saman bhav se dekhte hain…unke andar koi bhed bhav nahi hai.

Ek choti ladki—yuvlaj nahi aaye…..? meli maa kahi kho gayi hai….sab kahte hain ki jab yuvlaj aayenge to vo meli maa ko dhoond denge…..yuvlaj se bolo na ki vo meli maa ko la de.

Uss pyari bachchi ki aisi totli dard bhari baate aur gaon walo ke hriday me apne liye aisa asim pyar aur vishwash dekh kar mere hriday me sab ke liye shraddha ke bhav umad aaye.

Jitu (bachchi ko god me le kar)—kya hua beta apki maa ko….?

Choti ladki—meli maa….mujhse nalaz ho ke kahi chali gayi hai….yuvlaj se bolo na aap vo meli maa ko dhond lenge.

Jitu—koi baat nahi beta….sab theek ho jayega.

Hamne gaon me hi ek dharma shala me apna padav daal diya….shaam ko main gaon ghumne nikal gaya…sainiko ko maine sajag rah kar gaon ke andar aur bahar hone wali har gatividhi par nazar rakhne ko kah diya tha.

Main kafi der tak gaon me ghum ghum kar logo se milta raha….aur phir raat gahrate hi vapis dharma shala lout aaya. Rashi rashi bikhre andhkar me dhundhle ujale ka dayra ek bar simat kar phaila aur phailta hi chala gaya...vapis lout kar main ek ekant kamre me ankhe band kar ke let gaya.

Aur tabhi hamesha ki tarah kab aur kis pal sahaj dhyan ki uss avarnaniya avastha me chala gaya...pata hi nahi chala mujhe aur phir ussi sthiti me mere samne vahi drishya ubharne laga jise main kayi bar dekh chuka tha.

Kafi ghane siwar (shaiwal) se bhara vishal sarovar jiske pani me kuch toot kar gire kamal ke phool pade the…sath me kamal ke naal, patte aur do char adh khile phool bhi pade huye the.

Sarovar ke purvi dakshini kinare par patli eento (bricks) ke bane ek mandir ka dhwansh avshes tha….toote phute mandir ko jaha taha se uske dono taraf khade bargad aur pipal ke ped ghere huye the.

Mandir ke charo oor bana hua pakka chabutara tha…ek taraf deewar phod kar ped ki jad bahar nikli huyi thi kisi kubad ki tarah….

Toote phute chabutare ke dono taraf kale patthar par khod kar banayi huyi do nari murtiya thi…chabutare ke upar bhi ped ki moti jad ke paas hi ek aur murti thi….dekhne se aisa lag raha tha jaise kisi ne tez dhar wale ashtra se usko tod diya ho.

Phir achanak mere samne aaya kisi ka chehra….bina palak jhapkaye vah mujhe dekhe ja rahi thi…malin chehra, raakh jaisa rang aur ajib sammohan se bhari vo nigahe.

Kya tha uss nazar me, kuch kah nahi sakta lekin usko dekh kar ye jarur laga ki jaise vo badi besabri se mera intazar kar rahi thi….mujh par nazar padte hi uske chehre ka bhav badal gaya….aur sammohan se bhari ankho me dhruv taare jaisi chamak aa gayi….ussi ke sath bikhar gayi halki si mushkurahat bhi uske gulabi hotho par.
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,506
173
awesome fabulous update
Charlie to gaya kaam se lakin yamraj in sabko Kyu Marta h
Thanks for Reading & Supporting
Yamraj ka to kaam hi hai logo ko marna bhai, bas vo apna kaam kar raha hai
Stay with us.

Today's update is on page......1170
 
  • Like
Reactions: Fighter

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,506
173
Bahut hi jabardast update tha bro... Bas ek baat thik nahi laga mujhe Jaha par Divya ko koi chhu bhi nahi sakta wahi Priyadarshini ek devkanya ko koi gunda is tarah dhakka de de ye ajib baat hai...
Thanks for Reading & Supporting
Priyadarshini iss samay ek sadharan roop me hai aur dusra uska dhyan udhar nahi tha.
Aur ek baat bhai manav, devtao se shreshtha hote hain
Stay with us.

Today's update is on page......1170
 
  • Like
Reactions: Fighter and Sovir

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,506
173
Maxa aa gaya sir g..... Bahut badhiya..... Charlie ki to aisi ki taisi ho gai.... Jahan bhi mara bechare ne .... Dard usi ko hua.... Ma of steel body hahahahah khair or yaha yamraj g ne apna kaam kar diya.... Bhagte hai sale.... Wo bhi yamraj se.... Intezaar hai aage bhi
Thanks for Reading & Supporting
Yamraj ka role aane wale chapter me kafi rahega
Stay with us.

Today's update is on page......1170
 
Status
Not open for further replies.
Top