• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
बहुत ही खूबसूरत अपडेट भाई
सौंदर्य की व्याख्या जबरदस्त करते हैं और जब स्त्री के सौंदर्य की व्याख्या करते हैं तो आप से बढ़कर कोई
Thanks for Reading & Supporting
Shukriya Aj bhai iss encouraging and motivating prati kriya ke liye
Stay with us.

Today's update is on page....1146
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
Super fantastic mind-blowing awesome update

To divya ne priydarshni ke liye bhi raj ko batna swikar kr liya
Sb raj ko pakr to khush pr yh bhul ja rhe hai ki ensbme divya ko to dhukh hua hoga apne pyar ko batne ka .
Aapki writing skills ki jitni tarif ki jaye km hai .
Kya soundarya warnan kiya hai priydarshni ka , dil pe chha gye bhai :yourock::yourock::yourock:
Thanks for Reading & Supporting
Shukriya bro for liking the update
Stay with us.

Today's update is on page....1146
 

King of light

Active Member
680
1,155
139
SAAJAN
UPDATE- 203
5th Janam Ki Love Story Continues......
Kuch der baad rajkumar taiyar ho kar maharani deepmala ke sath pooja ghar me chale gaye jaha maharani ankhe band kar ke bhagwan se apne putra ke liye prarthana karne lagi to vahi jitu ne vo phool deepmala ke pairo me rakh ke dono hath jod liye bhagwan par chadhane ki jagah.

Deepmala ko ye dekh kar uss par bahut pyar umad aaya aur usne sir chum ke vahi apni ankho ke kajal ka kala tika uske mathe par laga diya aur sabha ki oor chal pade.

Sath me gomti aur vinita bhi unke sath ho liye…jitu ne unn dono ke bhi pair chhuye…..vahi dusri taraf….khardusan kisi se dhire dhire baate kar raha tha.

Khardusan (dhire se)—ab ki baar ye kaam ho hi jana chahiye…..apne sapno ko main aise hi matiyamet hone nahi dunga….

Ab aage…….

Khardusan ne apne ek vishesh sathi se mantrana karte huye dhire dhire baat kar raha tha…..shayad vo aaj bhi kuch sazish ki rachna kar raha tha aur usko anzam dene ke vishay me baate kar raha tha.

Rang mahal poori tarah se khacha khach bhar chuka tha logo se…..maharaj aur rajguru bhi aa chuke the…sabhi sammanniya atithiyo ke alawa kayi rishi muni bhi iss ayojan me aaye huye the….ab to unn sabhi ki ankhe rajkumar Jitendra Singh ke rang mahal me aane ki pratiksha me lagi huyi thi.

Unko ab aur intazar nahi karna pada, aur kuch samay pashchat hi rajkumar, maharani deep mala aur badi maa gomati tatha apni badi chacheri bahan vinita ke sath ek hi sundar sajile rath par sawar ho kar rang mahal ki taraf aate huye dikhayi diye.

Unke rang mahal me pravesh karte hi poora jan samuday unke swagat me uth khada hua aur vaha ka vatavaran apne hone wale yuvraj ki jayghosh ki awazo se gunjayman ho utha….unke rath par log pushp varsha karne lage.

Apne putra ke prati janta ke dilo me aisa pyar dekh kar maharaj aur maharani dono ka sir garv se uncha ho gaya aur dono ka hriday gadgad ho utha.

Rajkumar Jitu ne dono hath jod kar jabki maharani ne ashirwad ki mudra me hath dikhate huye sabhi prajajano ke iss abhivadan ko swikar karte huye rath se niche utar kar rang manch ki oor badhne lage.

Rang manch par pahuchte hi Jitu ne rajguru, sabhi rishi muni aur maharaj ke charan sparsh kar ke unka ashirwad liya tatpashchat apne chacha khardushan, chachi bulbul, bhai vishdhar aur rati ke bhi paanv chhuye…beman se hi sahi par sab ke dikhave ke liye unhe ashirwad dena hi pada.

Iske baad vo apni mata deep mala ke paas ja kar aasan par baith gaye to maharaj ne rajguru ki taraf karyakram ke shubharambh karne ki nazar se ishara kiya.

Rajguru (khade ho kar)—Vrihadpur ki prajajano….aaj atyant harsh ka din hai kyon ki kayi varsho ki lambi pratiksha ke baad aaj vrihadpur ke iss vishal rajya ko uska uttaradhikari milne ja raha hai.

Rajkumar Jitendra Singh jinhe ki aap sab ne Jitu naam diya hai, aaj se vrihadpur ke yuvraj hone ke sath hi sath iss rajya ke pradhan senapati ka karyabhar bhi sambhalenge.

Jitu ko yuvraj banane ka faisla isliye nahi liya gaya kyon ki vo maharaj ke putra hain balki unhe yuvraj banane ka nirnay sarv sammati se isliye kiya gaya kyon ki Rajkumar Jitu me vo sabhi gun hain jo ek achche aur kushal shasak me hone chahiye….vo yuva hain, veer hain aur sabse badi baat ki vo aap sabhi prajajano ke dukh dard ko samajhte hain aur samay samay par unhe har kisi ki madad karte huye dekha bhi gaya hai.

Atah main yaha aaye huye sabhi rishiyo se mera anurodh hai ki vo rajkumar jitu ka yuvraj ke pad par vidhi vidhan purvak abhishek kare.

Ek baar phir se charo taraf taliyo aur rajkumar jitu ki jay ke naro ka kolahal goonj utha….iske pashchat rajguru apne aasan par baith gaye….jabki khardusan aur vishdhar ke seene me saanp lot gaya…..dono ko maharaj ke jitu ko senapati banaye jane ke iss nirnay par behad hairani huyi kyon ki abhi tak ye pad to vishdhar ke paas tha.

Vishdhar (gusse me)—pita ji….ye sab kya ho raha hai….? Kya meri beijjati karane ke liye aap mujhe yaha lekar aaye

hain….?

Khardusan—main khud bhi maharaj ke iss faisle par hairan hu…..unhone tumhari jagah jitu ko senapati bana kar theek nahi kiya…..unhe iski bahut badi kimat chukani padegi…..tum chinta mat karo bete, abhi main jinda hu aur mere jivit rahte main tumhare sath anyay nahi hone dunga…..iss raj pariwar ka jyestha putra hone ke nate iss raj singhasan par sirf tumhara haq hai….aur vo haq main tumhe dila kar hi rahunga….chahe iske liye mujhe khoon ki nadiya hi kyon na bahani pade.

Ye dono baap bete apni mantrana me magan the aur udhar rajguru ki ghosna sunte hi sabhi rishiyo ne sundar mantra uchcharan karte huye rajkumar jitu ka yuvraj pad par abhishek karne me vyast ho gaye.

Lagbhag ek ghante tak vo sab mantrochcharan karte huye jitu ka abhishek karte rahe aur phir tilak laga kar tatha yuvraj ka mukut uske sir par sushobhit kar diya.

Sabhi ne ek baar punah yuvraj ki jaykar karte huye un par phoolo ki barish karni shuru kar di….yuvraj apne aasan se khade huye aur apni maa deepmala ke charno me sastang naman karne ke uparant sabhi gurujano, maharaj aur rishiyo ke charan sparsh evam ashirwad lene ke baad sidhe janta se mukhatib huye.

Jitu—sarv pratham main apni maa ke charno me apna sir jhukata hu jo ki meri maa hone ke sath hi sath meri guru bhi hain….aaj main jo kuch bhi hu ya jaisa bhi hu, usme meri maa ka bahut bada yogdan hai….main aap sabhi ka bhi abhar vyakt karta hu ki aap sabne mujhe garimamayi pad ke kabil samjha….main aap sabhi ko ye vishwash dilata hu ki main iss pad ki garima ko hamesha kayam rakhte huye aap sab ke har sukh dukh ka poora khyal rakhunga aur apne rajya ki seema ki raksha apni antim saans tak karta rahunga……agar kisi ko bhi mere yuvraj ya senapati banne par koi aapatti ho to vah nishchint ho kar yaha apni baat kah sakta hai…..athwa kisi bhi tarah ki koi taklif ho to bhi usko sab ke sammukh pesh kar sakta hai….

Jitu ki iss ghosna ke baad bhi koi samne nahi aaya koi shikayat ya samasya le kar tabhi khardusan ne kisi ko ankho hi ankho me kuch ishara kiya…..to vah vyakti uska ishara samajhte huye apne sath 15 – 20 logo ko sath le kar bheed me se nikal kar rang manch ke samne aa ke khada ho gaya….itne logo ko ek sath dekh kar maharaj sahit sabhi chakit ho gaye.

Jitu—kahiye aap logo ki kya samasya hai….? Ya phir mere yuvraj banne par aap logo ko koi aapatti hai…? Jo bhi hai bina kisi sankoch aur darr ke aap apni baat yaha kah sakte hain.....

"Yuvraj....hame aap ke yuvraj banne par koi apatti nahi hai, hum to apni samasya le kar aap ke samaksh prastut huye hain....agar aap ki aur maharaj ki agya ho to hum aap ke samne kuch nivedan karna chahte hain." Unme se ek vyakti jisko ki khardusan ne kuch ishara kiya tha aur shayad vo inn logo ka leader bhi tha....usne kaha.

Leader—yuvraj....hamare gaon ke paas ek kali pahadi hai....hum sabhi log ki kheti ki jamin vahi par hai...kuch dino se hamare gaon se ashcharya janak dhang se koi na ladkiya aur bachche gayab ho rahe hain....bahut talash karne par bhi unka kuch pata nahi chal raha hai.

Jitu—kab se ho raha hai aisa.... ?

Leader—abhi kuch din pahle se hi aisa hona shuru hua hai hamare sath.....agar yahi chalta raha to sab ki god sooni ho jayegi.

Jitu—kitne log gayab huye hain ab tak….?

Admi 1—yuvraj….ab tak 12 bachche aur itni hi jawan ladkiya, rahasymay tarike se gayab ho chuki hain…meri khud ki beti tak gayab ho chuki hai….

Admi 2—aur ab to striya aur purush bhi gayab hone lagei hain jo bhi kheto me kaam karne ke liye jate hain.

Leader—agar hum sab kheto me kheti nahi karenge to khayenge kya hum…? Kaise chalegi hamari ajivika…?

Jitu—vo sab gayab kaisse huye...mera matlab hai ki kaha se gayab huye….uss samay kya vo sab ghar me the…?

Admi 3—koi ghar se to koi gaon se…to koi kheto se…..hum sab apke paas badi ummid le kar aaye hain…hamare gaon ko bacha lijiye yuvraj….hamare pariwar ki raksha kariye yuvraj.

Unn sab ki samasya sun kar hum sabhi hairan rah gaye….khud maharaj bhi ashcharya chakit rah gaye….kyon ki aaj se pahle ye samasya unke samne bhi nahi aayi thi.

Jitu—aap sab nishchint rahe……main aap sabse vada karta hu ki jald hi apki samasya ka nivaran karunga…..main swayam aap logo ke sath chal kar apke gaon me tab tak rahunga jab tak ki apki ye samasya ka samadhan nahi kar deta…..iss karyakram ke samapan ke pashchat aap mujhe aa kar mile.

Leader—apka koti koti dhanyawad yuvraj….

Maharaj aur maharani ke chehre par kuch chinta ki lakire chhayi huyi thi…jabki khardusan andar hi andar bahut khush tha….shayad usne jo yojna rachi thi usme vo kamyab ho gaya tha.

Jitu—maa kya baat hai aap aur pita ji itne chintit kyo dikhayi de rahe hain….? Kya mere yuvraj banne se aap khush nahi hain….?

Deepmala—nahi bete….main bahut kaise nahi houngi…? Maine to hamesha chaha hai ki tu kab yuvraj bane….lekin ..

Jitu—lekin kya maa..... ?

Rajguru—yuvraj...maharaj aur maharani ki chinta ka karan apka yuvraj banna nahi balki inn gaon walo se judi samasya hai....jise sun kar hum sab pareshan hain.

Jitu—isme pareshan hone wali kya baat hai..... ? kya ye samasya pahle bhi kahi ghatit huyi hai….?

Shailendra—mere samne to kabhi aisi samasya nahi aayi putra kintu hamare poorvajo ke samay me ye samasya avashya ghatit ho chuki hai.....uss samay bahut se log rahasmay dhang se gayab huye the....yaha tak ki kayi gaon hi poori tarah se tabah ho gaye the in ghatnao se. .

Jitu (shocked)—kyaaaaa.... ? tab to apko ye bhi pata hoga ki ye sab kisne kiya tha.... ? aur vaise bhi utni purani ghatna ka iss samay ki ghatna se kya sambandh ho sakta hai…..?

Shailendra—sambandh hai putra…bahut gahra sambandh hai….asal me aaj se koi 500 saal pahle hamare poorvaj pahle vahi uss kali pahadi ke beecho beech bane qile me rahte the….kalantar me vaha na jane aisa kya hua ki hairat angej dhang se log gayab hone lage the…yaha tak ki aaye din raj mahal me laasho ka dher laga rahta tha….bahut khoj been ke baad bhi jab koi surag nahi mila to hamare poorvajo ne yaha par apna mahal bana ke rahne lage…sath hi kali pahadi ke aas paas ki praja bhi yahi aa kar rahne lagi….uske baad to jo bhi uss kali pahadi ki taraf gaya vo phir kabhi vapis jinda nahi louta. Tab uss samay kisi rishi ne uss kali pahadi ko keelit kar diya tha aur kaha tha ki yaha koi nahi aaye…kyon vaha jo koi bhi hai vo bahut hi khatarnak hai aur usse paar pana sambhav nahi hai.

Deepmala—putra yahi hai hamari chinta ka karan….jab se tumne vaha jane ki baat ki hai..tab se mera mann bahut ghabra raha hai….aaj hi to tum yuvraj bane ho aur aaj hi ye ashubh samachar sunne ko mil raha hai….tum vaha nahi jaoge putra….unn logo ko mana kar do.

Rajguru—maharani theek kah rahi hain yuvraj…apka vaha jana theek nahi hai.

Jitu—mujhe kshama kare gurudev….kintu main ab vachanbaddh ho chuka hu…..aur vaise bhi iss rajya ka yuvraj aur senapati hone ki haisiyat se ye mera kartavya bhi hai aur mera naitik dayitva bhi ki main praja ki samasyayo ka samadhan karu.

Deepmala (pareshan)—to kya ek maa ke prati tera koi kartavya nahi hai….?

Jitu—ye aap kya bol rahi ho maa….? Aap ne hi to mujhe ye shiksha di hai ki ek yuvraj aur maharaj ko apne sukh dukh ke vishay me sochne ka tab tak koi adhikar nahi hai jab tak ki uske rajya me ek vyakti bhi dukhi ho to…ab aap hi bataye kya vo sab jhooth tha jo aap ne mujhe sikhaya….? Kya main apne vachan ko bhang kar ke apni maa ki shiksha ka apman kar du….?

Shailendra—tum shayad satya kahte ho putra….kintu hame ye bhi to pata nahi hai ki hamara dushman hai koun…? Koun aisa kar raha hai…? Uska aisa karne ke piche kya vajah hai….? Aur uski taqat kya hai….? Inn sab baato ki jankari ke abhav me tum kaise unn gaon walo ki samasya door karoge….?

Jitu—aap nishchint rahe pita ji….agar aap dono ka ashirwad mere sir par raha to main avashya hi isme safalta prapt karunga…aap dono bas mujhe agya aur ashirwad pradan kare.

Deepmala ko yuvraj jitu ne bahut samjhaya tab kahi unhone usko jane ki atyant dukhi mann se ijajat di…karyakram ke samapt hote hi jitu unn logo ke sath unke gaon ki oor chal diya.

Bina ye soche jane ki ye kadam uski zindagi me koun sa toofan la dega...500 saal purani ye ghatna phir se jivant ho uthi thi….upar wala hi jane ki iss safar ka ab kya anzam hoga…? Haan, .itna to avashya nishchit hai ki ye ghatna uske jeevan ki roop rekha ko badal jarur degi
Super update bhai

Waiting for next update
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
Shandaar update bhai
Aaj to aapne mere dil ki muraad puri kar di mai kabse issi update ka intezaar kar rha tha
Priyadarshini mere favorite characters mai se ek hai.uska prem bhi divya ki tarah pavitra hai, or aise pavitra prem ko uski manzil to milni hi thi jo aaj mil gyi (thanks to divya jisne use aapne saajan ki zindagi mai shamil hone ki ijajat di)
Ab bus ye dekhna chatha hu ke ek manav ko aapna damad dekh kar devraj indar kaise react krte hai. Or unke reaction pe saajan or priyadarshini ka kya reaction hoga

Waiting for next update
Thanks for Reading & Supporting
Shukriya bro for such a encouraging and motivating review
Devraj itni asani se accept nahi karenge, kuch to jhol hoga hi
Stay with us.

Today's update is on page....1146
 
  • Like
Reactions: RAAZ and Fighter

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.

To Priyadarshini ne sari baten kah hi dali Divya se.
Mrinaal hamesha ek alag sama bandh deti h.
Ohh Divya ka nichchhl prem bemisaal h.
Koi nahi h usje aage.
Raaj ka vyavhar hamesha uchch koti ka raha h yahan bhi nazar aaya.
Achha kaga.
Priyadarshini ke yauvan or uske sharirik ango ka varnan aapne bakhoobi kiya h or vo bhi hindi ke utkrisht shabdon se.
Mzaaaa aa gya bhai waah.
Fantastic or kamal ka update bhai.
Lekin last me fir suspense ??

Or isiliye ,
Aage ka intjaar
Thanks for Reading & Supporting
Shukriya Rishabh bhai iss behtareen nayab prati kriya ke liye
Maine aap se aur Aj1980, Jitu bhai ki hindi se jo sikha hai bas vahi likh raha hu rishabh bhai
Stay with us.

Today's update is on page....1146
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
Gajab ka update diya he bhai. To akhir kar priyadarshini ne apme dil ki baat divya ko keh di aur usane maan bhi liya. Wah kya dil paya he Divya ne. Sahi me yaar uska charitra bahut hi mahan dikhaya he jise abhi tak apna prem na mila lekin wo sabko prem baattati rehti he. Ab sajan aur priyadarshini bhi ek ho jayenge. Wo to 2 heroin he na is story ki.
Waiting 4 next update
Thanks for Reading & Supporting
Bahut bahut shukriya amtul bhai iss anmol prati kriya ke liye
Bilkul bhai priyadarshini iss kahani ki 2nd main lead heroine hai
Stay with us.

Today's update is on page....1146
 
  • Like
Reactions: Fighter

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
Nice update bhai baki sab tho kafi achha tha bhai but ek kami rah gayi isme, wo ye ki jab nani aur vidhya hospital main hai tho raj ne nasta(breakfast) kise karaya....? Aur wo ghar main the tho hospital main firse nani aur vidhya kaha se aagyi...???
Thanks for Reading & Supporting
Bahut bahut shukriya bhai iss galti ko point out karne ke liye...vo lines maine baad me likhi thi jinko adjust karna kahi aur tha lekin paste kahi aur kar diya tha....apka comment dekhne ke baad maine edit kar diya hai usko.
Stay with us.

Today's update is on page....1146
 
  • Like
Reactions: Fighter
Status
Not open for further replies.
Top