• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Pyaar - 100 Baar

Status
Not open for further replies.

S M H R

Member
497
1,226
138
Enigma bhai iss update mein Rekha ji k jazbaat ka avaran hata wahi Awadesh Mishra ki bhi entry ho he gayi jo ki shayad Madhu lata ka 1 mohra hai wahi baat ki jaye agar surakhsha intezaam ki wo umeed se zada thi Awadesh Mishra k beto ki harkaten dekh k yahi lag raha hai k yahan pe Arjun ko kuch tho hath pair ka istemaal karna pad sakta wahi supari lene wale bhi apni sari planning kar chuke hai ab dekhna yeh hai k hota kya hai aage
Agle part k intezaar mein

Dhanyvaad ??
 

Enigma

Well-Known Member
4,125
57,655
173
Update 128
Aavaran -3


"Ji badi kaaki. Chalo bhai tum dono bhi pandaal me nashta paani lo jara hum yahi tehal rahe hai.", Avdhesh Mishra ki bechaini koyi aur bhi bade dhyaan se dekh raha tha. Dusri manjil par kamre me khadi Lata sab gor se dekh rahi thi. Yaha wo dahej me jaane wala samaan 2 logo se niche bhijwa rahi thi lekin mann me uske bhi khatka lag chuka tha.

'Marjana ab ye na moot de kahi. Chaudhar me aaya the 6 hijde leke apne saath aur thaanedar-Umed ne shayad hava nikaal di. Unko bhi bada shok hai har jagah apni taqat dikhane ka. Bindu kaam na rukne dena behan, wo saali aaj jayegi tabhi sabse badi chott lagegi Rameshwar ke pariwar ko.', Mann he mann wo dua kar rahi thi ki waisa na ho jaisa uska dil keh raha hai. Avdhesh Mishra ne apne apne 2 surakshakarmi ko pas bula kar ekaant me kuch guftgu ki aur agle 10 minute tak sab samjhata raha. Turant he uski gypsy yaha se nikal gayi. Chehra saaf karta wo bhi mann he mann Bindu ko kos raha tha.

'Saali agar bata deti ki waha Shankar aur itne log honge suraksha ke liye toh galti se bhi haan na bharta. Dinu thappad me he moot dega agar Shankar ke hathe chadh gaya toh. Behanchod atcha chutiya banaya mera.', Abhi ye sab wo mann me he badbada raha tha aur idhar baraat ko le kar waha jaane wale sabhi nikalne lage the. Dulhe ke roop me Bijender bakhubi janch raha tha aur Sushila ne tilak laga kar car me baithaya toh bagal me Chandro Devi ne sthaan le liya. Chuninda gaadiya bhi Bijender ke peeche he chal di thi kyonki waha baraat lambi chaudi le jaane se khud he Chandro Devi ne mana kiya tha.

"Aaj toh qayamat lag rahi ho aap.", Yaha Babita ke kamre se Richa apne sath sath Ritu-Preeti ko bhi le kar niche aa gayi thi. Usko bhi apne bhai ke sath mandir me tasveer karwani thi. Saji dhaji wo behad khoobsurat lag rahi thi aur saath me 2 pariyon si ladkiyan alag he chhata bana rahi thi is pal me. Ab kamre me Babita dulhan ke roop me Arjun ke saamne akeli thi. Bhare sharir ki 6 feet unchi Babita ka ye avtaar bejod he tha.

"Tere liye he bani hu aur suna hai tum fere par mere sath jaane wale ho aur kal le kar wapis aaoge yaha mujhe."

"Aane layak rahe toh jarur baaki halat bata degi. Dil toh kar raha hai ke bas abhi pakad lu.", Arjun ne kareeb aate hue Babita ke hontho par ek chumban kiya toh wo hansti hui alag ho gayi.

"Laali baad me kha liyo meri jaan, abhi tu bahar ja nahi toh main bhi ruk na sakungi.", Fir se kareeb aate hue Babita ne he uska hath apne dil par rakh diya.

"Intjaar rahega apni suhagraat ka.", Halke se ubhar ko dabata wo bahar nikal aaya toh nichle galiyare me khadi Madhulata se bhent ho gayi.

"Namastey aunty ji.", Arjun ne paanv chuu kar aashirwad lene ka upkram kiya toh Lata ne bhi sar pe hath rakhne ke baad apni baat kahi.

"Mere seene par kaante lage hai jo gale na mil sakta?", Unke is teekhe andaaj ko dekh kar Arjun ne unhe khud he gale se laga liya. Na chahte hue bhi Lata ke hath jab uski majboot peeth par bandhe toh bechaini hone lagi. Arjun jaise bina jor lagaye he usko apne andar kheench raha tha.

"Mandir le chal mujhe, baaki sab toh nikal gaye.", Abhi wo itna he keh paayi thi ki Richa udhar aa gayi.

"Chalo, car leke jaldi. Sab mandir chale gaye hai aur humko bhi jana hai."

"Chaliye aunty, sabhi wahi chal rahe hai.", Lata ko Richa ki maujdgi jara na bhayi lekin sar par odhni thik karke wo bhi bahar wale aangan ki taraf chal di. Gate ke bahar khadi Preeti aur Ritu ke pas itrata hua Bhaanu aa ruka tha. Aur idhar Lata ne Arjun aur Richa ko ye tokre uthane ko kaha jo mandir le jana baaki log bhool gaye the.

"Tum humko pasand aa gayi ho. Hum aisa kisi se nahi kehte kyonki ladkiyan Bhaanu Mishra par khud marti hai. Tum haan kaho toh abhi papa se hamari shaadi ki baat kar le.?", Preeti ki toh hansi chhutt gayi is rangile ki baatein sunn kar. Is dauraan wo apni rivolver wali taraf se kameej utha kar raub bhi dikha raha tha.

"Aisa hai bhaiya iski toh shaadi pakki ho chuki hai us ladke se. Toh daal yaha nahi galegi.", Ritu ne Preeti ka hath pakad kar car ki taraf aate jawaab diya. Dono hansti hui Arjun ke pas aa khadi hui. Arjun dikki me mithai ki tokri rakhne ke baad seedha hua toh dono ko hanste dekh khud bhi muskura diya.

"Maa ye Preeti hai, Arjun ki mangetar aur ye Ritu hai Shankar kaka ki chhoti beti aur Arjun ki badi behan.", Madhlata ne itna sunn kar dono ke sar par hath fira diya. Andar he andar gussa toh bahot aa raha tha lekin majboor thi. Sabhi ko baithane ke baad Arjun Richa ke bataye raste par chal nikla. Pandit ji ke kehne par idhar haveli ke he aangan me vedi sthapit hone lagi thi kyonki ye ghar ka pehla vivah tha. Is se pavitra havan aur koyi ho nahi sakta tha jis wajah se aisa kiya ja raha tha. Guddi kaaki aur Sushila Singh bhi saath kaam karwate hue baaki kaam karne walo ko nirdesh de rahi thi. Thodi der tak Golu ki baraat bhi idhar aane he wali thi.

"Yahi mandir tha kya jaha Tara aur Priyanka didi aaye the? Bada sundar hai ye toh aur purana bhi.", Yaha pehle se he atchi khaasi bheed thi aur suraksha bhi poori. Arjun ki car ko Umed ji ne khud he thik saamne khada karwaya.

"Aap log jaaiye main mandir ke bahar he hu.", Arjun ke aisa kehne par Ritu ne koyi sawaal jawaab na kiya. Wo jaanti thi ki Arjun kisi dharmik jagah nahi jata.

"Tum bhai udhar aam ke peid ki taraf tehal lo, mujhe bhi Bijender ke tilak karne jana hai. Tension matt lena yaha sabhi pehchaan ke hai.", Umed ji ne nalke se hath mooh dhone ke baad seedhiyo par kadam rakhne se pehle Arjun ko us bagiche ki taraf ishara kiya toh wo muskurata hua udhar he chal diya tehalne. Yaha alag he sukoon tha beshak Mandir kareeb he tha lekin ye bagicha ghana bhi tha aur teen taraf se is vishalkaye mandir ko ghere hue bhi.

"Tumhara bhai mandir kyo nahi aaya?", Lata bhi seedhiyo se pehle he ruk gayi thi. Vidhwa hone ke baad wo bhi andar nahi gayi thi lekin mandir me aisa koyi kanoon na tha ke wo darshan nahi kar sakti.

"Wo kehta hai ke uske bhagwan uske sath hai. Aap bhi chaliye aunty?", Ritu ke aisa kehne par Lata ne naa me gardan hila di.

"Meri dur se he ram-ram hai inhe. Jao tum log bhai ke sath tasvir nikalwa lo main idhar he hu.", Abhi ye baatein ho rahi thi ki Avdhesh Mishra bhi apne beto ke sath yaha aa gaya. Brahman aadmi tha aur pooja-path karne wala bhi. Hath mooh dho kar wo bhi dono ko liye mandir ke prangan me chal diya. Rasme ho rahi thi aur pujari mangalgaan karte hue Bijender se pooja karwa rahe the. Chandro Devi bhi atcha khasa chadhava de chuki thi aur unhe bharpoor khushi thi ki itne barso baad ghar me maanglik karyakram ho raha hai. Sabhi dhire dhire kar ke yaha se nikal gaye the aur Arjun apni he dhun me thik mandir ke peeche ja chuka tha. Lata bhi usko dekhne ki chaah liye udhar ki taraf badh gayi.

"Sab chale gaye Ritu didi aapki pooja ke chakkar me. Yaha hum dulhe ke sath aaye the aur aap idhar aa kar bhi lag gayi chalisa padhne.", Preeti ki baat par Ritu ne sar par li hui chunni wapis niche karte hue gale me thik ki aur hanste hue kehne lagi.

"Arjun ki car wo khadi aur wo kaise jaa sakta hai humko chhod kar.?"

"Waise leke toh main bhi jana chahta hu tumhe, uski toh shaadi pakki ho gayi par tum kunwari ho aur shayad mard ki jarurat bhi hai tumhe.", Seedhiyon ke aage he Bhaanu ek taraf se kameej uchka kar unke saamne aa khada hua.

"Chhuhare jaisi shakal hai tumhari aur apne baare me bata aise rahe ho jaise kahi ke rajkumar ho. Kaan ke niche ek lagega aur dusre wale ka bhi parda kaam karna band kar dega. Hatt saale dafa ho idhar se nahi toh majaak ke sath sath chhittar pared karne me bhi mujhe time nahi lagta."

"Tu aise nahi maanegi chhamiya, patak kar pelunga tabhi akal aayegi.", Ab wo steel chamak wali rivolver uske daaye hath me thi aur teeno ladkiyon ke paanv jamm chuke the. Bahar 2 surakshakarmi khade the lekin wo dono he Bhaanu ke aadmi thi. Avdhesh Mishra apne bade bete ke sath jaise he mandir ke saamne aaya toh chonk gaya. Brajesh turant jooti utaar kar apne bhai ki taraf lapka.

"Oye tu pagal toh nahi ho gaya hai Bhaanu? Ladki par pistol aur wo bhi mandir me, inhi ke yaha hum aaye hai. Pagalpan matt kar."

"Chal saale fattu ek taraf ho ja. Dekh ye teeno he hai yaha aur main yahi se inhe utha kar le jaane wala hu. Gaadi bahar he khadi hai, seat par baith ja jaa kar.", Bhaanu sachmuch he ek sarfira aur thoda mansik taur par hila hua ladka tha jis wajah se Avdhesh usko manmarji karne deta tha. Ab usko bhi samajh nahi aa raha tha ke kya kare lekin barabar me Umed Singh aa khada hua.

"Dekh rahe Avdhesh apne bete ki kartoot. Ab batao iske sath kya hoga?", Umed ko itna shaant dekh kar Avdhesh ki chinta bhi badh chuki thi.

"Dekho Bhaanu thoda sarfira hai, us ladki se shaadi ki baat karne ka vaada milte he wo rivolver hata dega. Lekin jor jabardasti karne par wo mujh par bhi goli chala sakta hai."

"Is sabke liye bahot deri ho chuki hai Avdhesh Mishra. Agar wo zinda bacha toh le jana nahi toh apni jaan ke baare me socho.", Arjun idhar aaya toh ek pal ke liye hairaan he ho gaya. Sabkuch atcha bhala tha toh aadhe ghante me ye kya ho gaya? Ritu ke gale ke saamne pistol dekh kar wo second ke 100ve hisse me he sabkuch bhool gaya.

"Teri himmat kaise hui meri Ritu par rivolver rakhne ki?" Kadddakkk-kadaaak. Bhaanu iske liye tayaar he kaha tha kyonki sara dhyaan toh in teen ladkiyon par tha uska. Lekin kalaai ke sath he kohni ka jodd bhi dandi ki tarah todte hue Arjun ne gardan pakad kar 5 gaj dur fenk kar mara toh uska rudan is poore ilaake ko hila gaya.

"aah maaro saale ko. mera haath.. aaahhh.. maa mera hath toot gaya..", Sharir sunn padne se abhi usko apni halat ka pata bhi na tha ke sar se bhi khoon beh raha hai lekin Arjun ke kadam uski he taraf badh rahe the. Bahar khade dono surakshakarmi turant harkat me aaye lekin ye driver the jinke pas bandook na thi. Umed ne bhi na roka lekin Avdhesh ki kalaai majbooti se pakde rakhi.

"Ye galat ho raha hai Umed."

"Tumhare aadmiyo ko nahi roka maine Avdhesh, tumhe rok raha hu.", Idhar Ritu ne turant niche giri pistol Brajesh se pehle utha li thi.

"Jaao bacha lo apne bhai ko.", Ritu ne jis dileri se kaha tha toh ek taraf khadi Lata aur Pujari bhi aankhe faade dekh rahe the us taandav ko jo waha unke saamne chal raha tha.

"Aaahhh.. bauji bacho.. ", Arjun ne paanv ke niche he Bhaanu ko daba rakha tha aur ek aadmi ka sar dharti par patak kar murchit karte hue ab dusre wale ki taraf badh raha tha.

"Bhai dekho, humko jaane do.. aahhh.."

"Meri Ritu par jisne bandook uthai uske pariwar ka namo nishaan mita dunga kamine.", Laal chehre me Arjun sachmuch he kaal lag raha tha jisko bas waha sabhi apradhi dikh rahe the. Is aadmi ka sar vriksh se ja laga toh dono ruk gaye. Ab Arjun ne jaangho ke beech dusra hath fansate hue jaise he usko upar uthaya kurta charrr se fat-ta he chala gaya. Dahaad maarte hue usne wahi fenk kar mara is vyakti ko jaha pehle he 2 sharir pade the. Najar Brajesh par padi toh wo jameen par he baith gaya apne hath jodd kar.

"Ruk jao Arjun, bahot ho gaya. Hum shaadi me aaye hai yaha. Dekho chacha bhi lene aa gaye.", Ritu ne gale lagte hue Arjun ko baahon me jakad liya toh uska chehra ekdum shaant ho gaya. Paseena joro se tapak raha tha aur wo lambi saansein lene laga.

"Utha kar le jao inhe Avdhesh, agar koyi aur galti hui toh uske pagalpan ke saamne tum bhi nahi tik sakoge. Tumhara beta sirf sarfira hai lekin Arjun poora pagal ho jata hai agar baat uske chahne wale par musibat ki ho toh.", Umed Singh ne kalaai chhodi aur bahar lagi bheed ko unchi awaaj me apne apne kaam karne ko kaha. Avdhesh Mishra bebas sa apne behosh beto ko utha kar car tak leke aaya aur jaane se pehle bheegi aankho se Umed se hath mila kar car me baith gaya.

"Waha mulakat hogi jo jagah tumhari nahi hogi Umed Singh. Pagalpan toh maine Shankar ka bhi thik kiya tha aur iska bhi jarur karunga.", Murchit driver ko wahi chhod wo bina jawaab sune yahi bahar se he apne raste ho liya. Umed bas muskura raha tha.

'Wahi maarunga tujhe jaha teri hawa hai. Mere bacho par bandook taani thi tere londe ne Avdhesh, saja main dunga tere ghar me ghus kar.', Umed Singh nirnaya le chuka tha aur is baar Shankar ki marji ho ya na ho. Fir andar chalta wo Arjun ke pas aaya toh wo ab thik tha. Jameen par murchit pade dono aadmiyo par pujari paani daal raha tha jis se unhe hosh aa jaye.

"Inka khayal mere aadmi rakh lenge pujari ji, main aapko he lene aaya tha udhar pooja karwane ke liye. Richa tum Arjun ke sath saamne darji par chali jao, iske maap ka kurta filhal toh nahi milega lekin wo silai kar dega. Tum log mere sath chalo aur ghar pe is baat ka jikar matt karna."

"Devar ji, Arjun ke sath main chali jaati hu aap in teeno ko le jao. Richa inke sath na dikhi toh Guddi didi pooch sakti hai.", Madhlata ki baat par jyada sawaal na karte hue Umed ne sirf haami bhar di.

"Ye jaldi sil do uncle. Jaruri hai.", Arjun ne turant he us chhoti si dukaan par kurta utaar kar darji ke saamne kar diya tha. Kaakh ke paas se saari silai khul chuki thi. Baniyaan me kaid us tagde jism ko darji aur Lata dono he dekh rahe the bas darji turant apna kaam karne laga aur odhni me se he Lata Arjun ko nihare ja rahi thi.

"Bahot pyaar karte ho tum apni behan se.? Shakal se toh tum bilkul masoom lagte ho lekin waha toh jaise koyi pret aa gaya tha tum me.", Lata ne he is khamosh mahol ko bhang karte hue baat shuru ki.

"Meri behane mera sabkuch hai aunty aur unke liye main kuch bhi kar sakta hu. Richa didi he kyo na hoti waha tab bhi main yahi karta.", Arjun unki taraf nahi dekh raha tha, bas dhyaan tha toh chalti silaai machine aur abhi hue us haadse par. Shukar tha ke waha ghar ke aur log nahi the.

"Chalo atchi baat hai ke tum sabki parwah karte ho lekin kayi baar dushman dimagwala bhi ho sakta hai. Aise sabse ulajhna thik nahi hai."

"Unse toh main pehle he 2 kadam aage rehta hu. Ye Avdhesh Mishra ke taar jaha tak jude hai mujhe pata hai aur aapne toh ye bhi nahi pucha ke main aapko kaise pehchaan gaya jab mile he pehli baar hai hum.", Arjun ne darji ki dukan me he lage aaine me dekh kar khud ko thik kiya. Kurta dono taraf ek-ek silai se he sahi ho gaya tha. Turant pehan kar jeb se 100 ka note dete hue wo car ki taraf chal diya. Lata peeche toh chal rahi thi lekin ab wo bhi bechain ho chuki thi.

"Mujhe kaise jaante ho tum? Mujhe laga tumhe mere baare me Richa ne bataya hoga ya niche kisi ne shakal dikhai hogi meri.", Arjun ne pehle unki taraf ka darwaja khola jo pichli seat ka tha aur fir unke baithne ke baad khud driver seat par virajmaan ho gaya.

"Aapki shakal toh Richa didi se milne se pehle he dekh chuka tha aunty ji. Aap bhi toh upar wale kamre se mujhe dekhe ja rahi thi. Batayengi ke aapne kaise pehchana mujhe?"

"Wo toh bas waise he dekh rahi thi kyonki tum pehli baar aaye ho yaha aur mere devar se tumhari shakal milti hai.", Madhulata ab duvidha me padd chuki thi ki ye ladka kon sa bomb fodne wala hai.

"Bindiya aunty aapki bachpan ki saheli hai na? Toh samajh lijiye ke main aapko utne he samay se jaanta hu. Humsaaye dur ho sakte hai fir bhi sath he hai.", Arjun haveli ke andar car karna chahta tha lekin baraat aa chuki thi jis wajah se yaha poora mahol ban chuka tha. Bade gate par he Golu apne dosto ki madad se ribbon kataai ke liye khada tha.

"Main aapke sath koyi durvyavahar nahi kar sakta kyunki mere papa aapse pyaar karte hai. Lekin aapki taraf se bhi yahi vachan chahiye mujhe badle me. Agli koyi gustaakhi maaf nahi hogi. Sutradhaar aunty Madhulata Singh urf Lata Sharma urf Munni ji.", Arjun ne aankho par kala chasma lagate hue kadam haveli ke andar badhaya aur idhar bahar khadi Madhulata diwar ka sahara liye thandi padd chuki thi.

'Ajju kehta tha sutradhaar Munni ji aur Lata sharma. Ye ladka wo baat kaise jaan gaya? Bindiya main marr gayi aaj meri behan.', badhavaas si Madhulata ko ye ladka apna kaal he najar aa raha tha.

"Arre Munni bahu, yaha dhoop me kya kar rahi ho? Chalo andar chalo, lagta hai tumhe chakkar aaya hai garmi ki wajah se.", Ye pados ki ek bujurg mahila thi jo apni bahu ke sath Madhulata ko andar le gayi. Aangan me sabhi vyast the aur bahar pandaal me bhi atchi khaasi bheed jama ho chuki thi. Gaanv ke logo ke sath sath ab baraati bhi jal-paan me lag gaye the. Arjun andar apne dada daadi aur baaki sabse milne ke baad bahar pandaal me he aa gaya tha, behan ki shaadi me kaam karwane.
.
.
"Papa, aap Bhaanu ka ilaaj idhar he kyu nahi karwa lete? Bada sehar hai aur hospital bhi atche honge.", Brajesh atchi raftaar se ye videshi car dauda raha tha. Pichli seat par apne zakhmi bete ka sar goad me rakhe Avdhesh Mishra bhi chintit tha lekin usne yaha car rokne se saaf mana kar diya.

"Chandaal bhi doctor hai aur uski pakad bhi yaha majboot hai. Baat beti par aayi hai uski toh pata lagte he wo hum teeno ko shehar paar bhi nahi karne dega Brajesh. Tum bas 2 ghante steering sambhale rakho, ye car 140 se aage bhi ja sakti hai.", Apne baap ko pehli baar aisi halat me dekh kar Brajesh bhi hairaan tha. Kaha toh wo ek bahubali vyakti tha jis se bade bade rajneta bhi adab se baat karte the aur jaane kitne he gunde unke neeche kaam karte the. Lekin aaj iske viprit Brajesh ne bahut kuch bas thode he samay me dekh liya tha. Umed Singh ke saamne bebas hona, Chandro Devi ki baat maan kar na chahte hue bhi rukna, us ladke ke hatho bete ko maar khaate dekhna aur ab yaha jakhmi bete ka ilaaj karwane se bhi mana karna.

"Aisa kaunsa chandaal ho gaya jo aapko bhi daba sake? Maine pehle itna pareshan aur kamjor aapko kabhi nahi dekha papa. Hamare pas anginat log hai, paisa hai aur pahuch bhi hai. Ye log hamare saamne kuch bhi nahi, fir aap kyu darr rahe ho."

"Beta baat jagah jagah ki hai aur inka network yaha inki taqat hai. Main yaha dakhal nahi de sakta aur ye hamare udhar dakhal nahi de sakte. Lekin iski keemat us ladke aur Umed Singh ko jarur chukani padegi. Kutto ne apne jagah gher kar dabaya hai Avdhesh Mishra ko toh iska parinaam bhi bhugatna he padega."

"Papa, aapko lagta hai ke wo ladka kutta tha? Jaise wo aadmiyo ko kapde ki tarah dho raha tha usko dekh kar aadhe log toh dehshat se he paas na jaaye. Main toh wo 1 minute bhula he nahi pa raha jo mandir me dekha.", Apne bete ki is baat par ab Avdhesh Mishra bhi khamosh ho gaya tha. Arjun sachmuch sher he tha isliye toh Umed ne uske aadmiyo ko roka tak nahi. Matlab wo jaanta tha is ladke ki taqat ko.

"Maan leta hu ke wo ladka kutta nahi tha lekin samaya aane par sher bhi ek chhadi ke hilne par uthak baithak karne lagta hai. Aisa he haal main in sabka karunga bas ek baar border pahuch jaaye hum log. Aur saali us chhinaal Bindiya ki bhi maa chodd kar rahunga jiski wajah se ek aur anhoni ho gayi.", Avdhesh Mishra ke aise bhadakne par Brajesh ko bhi jaise kuch yaad aa gaya.

"Hamare aadmi kaha hai papa? Wo toh dikhai nahi diye itne samay se."

"Unhe kahi jaruri kaam se bheja hai beta. Agar wo samay rehte waha nahi pahuche toh humko tayaar rehna padega ek badi jung ke liye. Fir samjhauta todne ka kasoor bhi hamara hoga aur nuksaan alag. Us Bindiya ne bahut bada chall kiya hai mere sath adhuri baat bata kar.", Yaha Avdhesh Mishra apne aap ko buri tarah ghira mehsoos kar raha tha haveli se 50 kilometer dur aane ke baad bhi.

Wahi Rammehar ke gaanv me Bijender ki baraat aane ke baad sabhi log bhojan ka lutf le rahe the aur Akshra ne neg me Bijender se gale ki chain he utarwa li thi. Mahol bahut dino ke baad yaha khushnuma hua tha. Dulhe ki seva-satkaar atche se ki ja rahi thi aur utna he khayaal Chandro Devi ka rakha gaya tha. Haveli ke bheetar Sitara devi ki bahuon ke sath sath Rekha ji bhi mehmano aur yahi gaanv ki aamntrit mahilao ki sewa me lagi thi. Bijender aur Anupama ne Pandit ji ke pariwar ki majud sabhi ladkiyon ke sath tasveer karwai thi. Muskaan ke sath Alka aur Tara ki sahi jamm gayi thi thodi he der me. Wahi Akshara ke sath kaam me lagi Aarti aur Rupali ko wo pasand aayi thi. Teeno ka he dimaag padhaai me tej tha.

1 bajne he wala tha jab Shankar ji ne Sitara devi se mulakaat karte hue fero ka jikar kiya. Bijender ne bhi sehmati jataai kyonki wapis jaane ki jaldi usko bhi thi.

"Sanjiv beta, apne Bhupinder chacha ko bol kar pehle mandir tak ka rasta jaanch lo. Bijender ko samay rehte he gaanv wapis bhi jana hai.", Shankar ji ne Sanjiv ko sab samjhaya aur Vikas ne bhi baaki kaam chhod kar idhar he dhyaan diya. Fero me prayog hone wala samaan aur samgri waha bheji ja chuki thi. Baaki sab samaan Vikas aur Sanjiv ne apne hatho me utha liya.

"Sanjiv bhai, abhi jikar na karna kisi se. Dusri taraf koyi panga ho gaya tha thodi der pehle. Arjun ne kisi Mishra ke ladke aur gaurds ki rail bana di waha mandir me jab Bijender waha se idhar aane ke liye nikla.", Vikas ki baat sunn kar Sanjiv ke chehre par gambhir bhaav aa gaye.

"Tumhe kisne bataya aur ye baat chacha ya kisi aur ko toh pata nahi lagi.", Sanjiv ekaek mustaid ho gaya tha ye naam sunn kar.

"Wo haveli ke andar main gaya toh Richa ne waha se phone kiya tha Akshara ko. Akshara ne he bataya ke abhi kisi ko batana matt. Haan koyi Bahubali Avdhesh Mishra ke bete aur aadmiyo ko koota usne."

"Toh Sangwan dada ji ki chinta vyarth nahi thi. Bhuppi uncle, jara suno.", Sanjiv ne mandir ke prangan me samaan rakhne ke sath he Bhuppi chacha ko akele me aane ko kaha. Dono mandir se aage kuch der tak baatein karte rahe aur Vikas bhi idhar udhar dekhne laga. Mandir ki bagal me bane chhote bagiche me ghaas kaatne ke baad Maange mooh par gamcha odhe sone ki acting kar raha tha jisko Vikas ne najarandaaj kar diya.

"Ae maali khade ho jao.", Bhuppi ne toh idhar aate he sabse pehle Maange ko he awaaj lagai lekin wo na utha toh kamar par thokar maarte hue usko uthaya.

"Chalo niklo idhar se aur kal se pehle idhar najar matt aana. Khaal udhed dunga.", Bhuppi ne chetawani di toh Vikas bade gor se Maange ko dekhne laga.

"Behanchod, tu hai kaun be.? Pujari ji, ye maali kab aaya yaha?", Vikas ne toh uski gardan he daboch li thi. Maange abhi tak toh bahar se sirf thoda pareshan lag raha tha kyonki agar ghabrata toh pakda jaata.

"Beta ye toh aaj he dekha hai maine, poocha toh keh raha tha ke iske bhai ki tabiyat thik nahi thi isliye ye uski jagah aa gaya."

"Naam poocha tha kya aapne is se? Bol be tere bhai ka naam kya hai.?", Vikas pehalwan tha aur ye saadhe 5 feet ka aadmi aisi majboot pakad se nikal nahi sakta tha.

"Ji Bhurelal naam hai hamare bhai ka.", aur iske sath he 'chattaak' ki tej awaaj ke sath uska gaal laal ho chuka tha.

"Bhurelal? Bhosdike kameen teri na shakal na dekhi thi maine jab tu so raha tha. Yaha ka maali hai Raju aur uska koyi bhai nahi hai kyonki wo hamare khet me bhi kaam karta hai. Zinda bhatti me jala dunga agar juban na kholi toh." Ab is taraf Sanjiv ka dhyaan gaya toh usne seedha rivolver Maange ki patloon me daalte hue usko mandir se pare diwar ke sath laga diya.

"Sach ugal varna ye poori khaali karne me mujhe der nahi lagegi.", Idhar ye 3 lgo Maange ko ghere the aur waha 3 car me sawaar ho kar ghar ke mukhya log idhar aa chuke the. Baaki sabhi paidal aa rahe the aapas me batiyate hue. Dulha-dulhan ko liye Chandro Devi sabse aage thi aur unke sath Sitara devi apni pauti Sukanya aur Akshara ke sath. Maange ke chehre par ekaek ye muskaan aa gayi thi saamne kuch dekh kar.

"Bhojai ka toh udd gaya fuse.", Rekha ji safari me baithi thi aur unke saamne waiter ki veshbhusha me Dinu jo tray ke niche tamancha apne shikar ki taraf karne laga tha.

"Chachi...", Sanjiv cheekhta hua us taraf bhaga aur idhar Bhuppi ne nishana laga diya Dinu ki taang par. Lekin yaha 4 dhamake hue the lagbhag eksath. Safari se 10 kadam dusri taraf cycle ke niche pada tha Hariya jiske hath me desi katta dhuan chhod raha tha aur maathe ke theek beech me chedd ho chuka tha. Idhar gaadi ke pas Dinu tadaf raha tha jiski taang me Bhuppi ki goli ja fansi thi. Safari ki driver seat par baithe achambhe me the Shankar ji jinke chehre ke saamne wala shisha choor-choor ho chuka tha, Dinu ki goli ke disha bhatakne ki wajah se aur Vikas ki giraft me dum todd chuka tha Maange, Hariya ke katte se nikli goli ki wajah se.

"Aisa hai Bhole ke tu hai nira jaddbudhi. Rivolver rakhne ka pata hai lekin chalane ka nahi.", Umed Singh ko apne saamne dekh Shankar ko hosh aaya. Itni goliyan ek sath chalne par ek pal ke liye dimag shunya ho gaya tha kyonki gaadi me biwi, beti aur behan bhi thi unke sath. Bahar nikal kar jameen par padi lash ko dekh kar hairaan ho gaye. Umed ka he tha ye nishana jo thik maateh ke beech chhed kar gaya tha. Ek taraf Vikas aur Bhuppi ke pas ye lash padi thi.

"Ye zinda hai Chacha. Ye batayega kaun tha iske peeche.", Sanjiv ne Dinu ki rivolver apne kabje me le li thi aur usko ghaseet ko ek taraf le aaya tha.

"Main bata deta hu bhatije shri ke iska sutradhar kaun hai. Shankar ji ke priya Shri Avdhesh Mishra, Hardoi wale.", Dhaayen ki awaaj ek baar aur goonji jab Dinu ne haan me sar hilaya aur Umed ne uska bhi wahi haal kiya jo Hariya ka kiya tha. Theek maathe ke beech sateek nishan.

"Is saale ke maa ki...

"Naa naa, gaali nahi Shankar gaali nahi. Kaam khatam kar aur kal araam se is baare me vichar karenge Dr Dharamvir Sangwan ji ke sath meri haveli par.", Umed wapis jaane laga toh Shankar ne hath pakad liya.

"Ye khabar tumhe kisne di Umed?"

"Khud Avdhesh Mishra ne phone kiya tha haveli ke number par. Aur usne kabool kiya ke aisa sirf Bindu ke behkaave me aane par wo kar gaya. Usko nahi pata tha ke ye humla hamare pariwar par ho raha hai. Arjun ne uske bete ko itna thok baja diya hai ke khoon ki ulti aane lagi thi, toh ***** shehar me maine manjoori di hai ke wo apne bete ka ilaaj karwa le 24 ghante tak usko koyi kuch nahi karega. 120 kilometer shayad beta sehan nahi karta Shankar. Kal baat karte hai aur bhabhi iske sath bahar matt aaya karo.", Umed apni mercedes me baith kar dhool udata hua turant sabki najro se aujhal ho gaya tha.

"Ae ye sab gandgi hatao re. Kuch nahi hua idhar aur aap log mandir me chaliye. Dushman ko maar kar shubh kaam kiya jaaye toh shagun atcha hota hai.", Bhuppi ne turant apne aadmiyo ko teeno laash hatane ke liye kaha aur baaki pariwar ke logo ko vilamb kiye bina fero me baithne ki baat kehte hue Bijender ke sar par bhi hath fira diya. Shagun wali baat par ab wo bhi muskura raha tha.

"Shankar chacha kab tak chalega ye khel?"

"Bas beta tu aaj yaha se vida le fer tera chacha ye khel aur nahi khelega.", Shankar ji ne Bijender ko andar bheja aur baaki sabke sath Rekha ji bhi mandir me pravesh kar gayi.

"Nishana dekha Shankar tere bhai ka? Behanchod itni safaai se toh sirf tu blade chala sakta hai aur wo 20 gaj dur se cycle wale ka bheja khol gaya."

"Wo Gajju hai Bhuppi, jaane kab kaha se aa jata hai mujhe bachane. Ab toh ginti he bhool gaya hu kitni bar wo aisa kar chuka hai. Lekin dushmani bhi ijjatt se nibhata hai dekh le. Avdhesh ke bete ki halat dekh kar isne mohlat de di lekin jald he ye usko ghar me ghus kar maarega, mere sath.", Shankar ji ne gaadi ka sheesha dekhne ke baad mandir ka rukh kar liya jaha ab unki jarurat thi. Bas ab dekhna ye baaki tha ke Lata apna aavaran kab tak surakshit rakh paayegi. Avdhesh Mishra ne aaj toh usko bacha liya tha lekin Arjun ka khauf sar pe aaj se mandrane laga tha.
 

Enigma

Well-Known Member
4,125
57,655
173
Agla update post kar diya hai dosto page 1079 par. Ab Babita ka jalwa agle update me dekhne ko milega, shubhratri aur sabko dher sara pyaar. Apna dhyaan rakhiye aur khush rahe. Sawaal jitne bhi ho saamne rakhiyega. Aapka

Enigma
 
Last edited:

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
37,641
94,868
304
Aavran 2
Awesome Super Fantastic Mind Blowing Dhanshu Update :superb:
Rekha ji ki Dil ki baat aaj juba pe aa hi gayi . Ek Ladki jiske Sapne the ki uska honewala Jeevansathi uska Premi hoga par Aur wo unhe Dil se pyar karega Unke sapne to Shuhagraat ko hi Toot gaye Jab unhe Shanakr ne pahle bata diya ki Unke Dil me koi aur hai aur waha ynke liye koi jagah nahi . Wo unki patni hai esliye uske sath samay bitayenge aur unhe khood ko unke layak mention rkhna padega , Unhe aise treat kiya gaya jaise wo ek khilauna ho jiske stah Shanakr ji apni marji se khelenge . Unke bachhe bhi huye par kabhi unhe Shanakr ji ke dil me pane liye pyaar mahshush nahi hua . Ghar me mila Samman aur Bachho se Pyaar ko jindgi banakar bhagay se mila yah vish pikar apni tapshya karti rahi aur Aaj tak kabhi kuchh nahi kaha na kisi se kuchh manga bas apana kaam karti rahi . Par ab jab unhe Arjun se Sachha pyar mila aur yah unki aatma ne mahshush kiya aur wo Arjun ko hi apne spno ka Rajkumar mana usse pyar bhi ho gaya hai unhe . Par jab Arjun aur Pandit ne shanakr ko ghar pe bandhne ki koshish karne lage to unhe apan pyar door jata hua dikha aur Shanakr se itne salo tak bina pyaar ke rahi to Nafart bhi awshy huyi hogi aur ab unhe unke sath rahna pade hamesha to yah unhe bilkul gawara lag raha hai . Arjun aach me nind me tha ya jaag raha tha yah to Enigma bahi hi jane ab shankar ji ke ghar pe rakhne ka kya hota hai ?
Writer shahab ne aisa charecter bana diya hai Arjun kare to pyaar Shankar ji kate to Balatkaar ?

Laga tha ki jise Lata ne Rekha ki supari di hai wo Avdesh hi hoga kyonki yaha ke aadmiyon ko to shanakr ne tapka diya tha . Par jab kaha ki uske aadmi yaha ke aaspash ke gaw me bhi hai yo laga koi shayd yahi bagal ka hoga jisse purani ranjish ho pandit ji pariwar ki par ye sab to Up se bulaye hai .
Mangu Hariya aur Dinu apni traf se koshish me hai par suraksha dekhte huye kafi mushkil lag raha hai par wo sab bhi ji jaan se lage huye hai kyonki eski saflta pe unke pariwarka bhawishy tika hai aur wo jante hai ki ye ek sucide mission hai . Dinu ko chhodkar wo dono ke background aur soch se unpe trash aata hai . Dinu ki thodi marmat ho gayi par kya thikedar ne kuchh battein bhi suni hai kya ?
Avdesh Mishra khood yaha kyon aaya jabki use Lata ji ne bhi na bulaya tha ? Aur aaya hai apne Beto ke sath to Choote bete ke lachhan se to na lag raha ki jaise aaya hai waise ja payega aur Umed singh ka gussa aur Arjun ke premikao pe nazar hai to Uski Dead Body ya Icu refer hone se niche ke khyal na aa rhe mujhe .
Chandro Devi ki muskan ka matlab aaj kuchh samajh me aarha hai Lata ko aaj Indirect Warning de di hai to ab dekhte hai kya karti hai lata .
Agla Jaldi de dijye Pratiksha na ho payegi suspence ne dimag jakad rakha hai .
waiting for next...
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top