Rocky2602
Well-Known Member
- 7,733
- 14,757
- 189
Click anywhere to continue browsing...
jabardast update, Aaj aisi feeling aayi ki sameer kismat ko kosne ki bajay khud stand lene ki kosis kar rha hai. Jo ki actually bahut achha lga. Aapki kahani kafi achhi lag rahi hai aur aage ka padne ke liye betaab hun.Update-50
Jab mai papa ke saath ghar pahocha to papa mujhe kheechte huye hall me le gaye aur unhone mujhe thapedna shuru kar diya.
Papa--nikamme naalayak, kar li na tune apne mann ki. Jab nahi padhna tha to kyon mera itna paisa barbaad kiya, tujhse acha to mai 1 kutta khareed leta. Uspe agar maine tere jitna paisa lagaaya hota to vo bhi tujhse zyada kaam ka hota.
Papa ye chilla-2 ke bol rahe the, unki aawaz sunke dadi, chachi aur Anil room me aa gaye, dadi ne papa ko mujhe pelte huye dekha to unhone beech-bachaaw kiya aur papa ka haath pakad ke mujhse alag kiya.
Dadi--Mahipal, paagal ho gaya hai kya? Ab kya kar diya isne jo ise aise jaanwaro ki tarah maar raha hai.
Papa--to kya karun maa, isne kaam hi aisa kiya hai ki mann kar raha hai ise jaan se maar doon.
Dadi--aisa kya kar diya isne?
Papa--aapke laadle pote ko school se nikaal diya gaya hai.
Dadi--kya.....
Dadi aur chachi ne jaise hi ye baat suni to unke mooh shock me khul gaye, vo dono kabhi papa ko dekhte to kabhi mujhe dekhte.
Dadi--kyon nikaala ise school se?
Jaise hi dadi ne ye sawaal pucha to papa ne unhe aaj school me hui saari ghatna bata di, poori baat pata chalne par dadi ko bhi mujh pe gussa aane laga.
Dadi--ye kya harkat thi Samar, apne teacher ko hi maara tune. Aise kon karta hai bhala...
Papa--ye karta hai na, pata nahi kahaan se mere ghar me ye asur paida ho gaya hai. Isne apni poori zindagi sirf mujhe dukh aur pareshaaniyan hi di hain...
Papa mujhe suna rahe the ki tabhi Sujata bhi room me aa gayi, meri nazar Sujata ke haath par gayi to mai hairaan ho gaya. Uske haath me cigarette ka packet tha, vo packet mera tha jo maine chhat waale kamre me chhipa rakha tha.
Sujata--ye dekho ji, ye packet mujhe chhat waale kamre se mila hai. Ye isne chhipa rakha tha wahaan....
Dadi--Samar, tu cigarette bhi peeta hai. Kya ho gaya hai tujhe, kahaan se seekh raha hai tu ye sab.
Papa--hey bhagwaan, kyon di hai aapne ye santaan mujhe.
Ye bolte hi papa mere paas aaye aur fir se mujhe pelne lage, vo mujhe pele jaa rahe the lekin mujhe ghanta farak nahi pad raha tha. Kuch bhi feel nahi ho raha tha, na hi maar padne ka dard ho raha tha aur na hi unki khari khoti sunke bura lag raha tha. Thodi der papa mujhe pelte rahe aur uske baad thak ke 1 kursi par baith gaye, mai abhi bhi apni jagah par khada tha.
Papa--dekho is besharam ko, abhi bhi apni jagah par khada hai. Iski jagah agar koi aur hota to sharam ke maare chullu bhar paani me doob marta.
Sujata--pata nahi kaha se aaye hai isme aise gun. Ye sab zaroor iski maa ke gande khoon ki nishani hai, pata nahi kaisi kharaab character ki aurat se shaadi kar li thi aapne.
Sujata ne jaisi hi apni baat khatam ki to mera paara saatwe aasmaan par pahoch gaya, mai sab kuch bardaasht kar sakta tha par meri maa ke baare me koi galat shabd kahe, ye mai bardasht nahi kar sakta tha. Maine table par rakha hua 1 glass uthaaya aur zameen par patak diya. Jaise hi glass foota to sabki gaand fatt ke 4 ho gayi.
Mai(chillake)--chup ho jaa saali kutiya, mere baare me jo bolna hai bol le. Agar meri maa ke baare me kuch bolegi to agla glass teri gaand me daalke fod dunga.
Meri baat sunke sabhi logo ke mooh khule ke khule reh gaye, Sujata ko to samajh hi nahi aa raha tha ki achanak mujhe kya ho gaya. Papa thodi der mujhe hairaan hokar dekhte rahe aur fir unke chehre par gussa aa gaya, vo apni jagah se uthe aur mere paas aake unhone mere gaal pe 1 thappad maar diya.
Papa--ye kya tareeka hai bado se baat karne ka, yahi sikhaaya hai maine tujhe.
Mai--papa ye bhi to meri maa chataakkkk......
Mai apni baat khatam kar pata ki usse pehle hi papa ne mere gaal pe 1 aur thappad ghuma diya, ye papa ka pehla thappad tha jisne mere dil pe chot kar di thi. Sujata ne meri maa ke baare me jo kaha uske baad bhi papa ne use kuch nahi bola lekin maine use palat ke jawaab de diya to unhone mujh pe fir se haath uthaa diya, iska matlab saaf tha. Papa ke dil me maa ke liye pyaar khatam ho chuka tha.
Papa ne mujhe dobaara maarne ke liye haath uthaaya to is baar maine vo kar diya jo pichle 19 saal me karne ki meri himmat nahi hui thi. Maine papa ka haath hawa me pakad liya aur unhe dhakka deke door gira diya, papa peeche kursi par gir gaye. Jaise hi vo sambhale to vo chilla pade.
Papa--Samar.....
Mai--chillaiye mat, bahot ho gayi aapki taanashaahi. Ye aurat meri maa ko kuch bhi bole jaa rahi hai aur aap mujhse expect karte hain ki mai chup baith ke iski bakwaas sunu. Kya bol rahe the aap kuch der pehle ki bhagwaan ne aapko kaisi santaan de di hai, arre pehle aap bataaiye ki pichle 12 saalon me aap kab mere baap bane. Mujhe school bhej dete hai aap, khaana aur kapde ke liye paisa de dete hain to kya itna kar ke aapki zimmedaariyan khatam ho gayi. Maa ko gaye 12 saal ho gaye hain, in 12 saalon me aisa koi din nahi gaya jab aapne mujhe ehsaas na karaaya ho ki mai 1 loser hoon. 1 pal bhi aisa nahi aaya in 12 saalon me jab aap mere paas baithe ho, aapne mujhse pyaar se baat kari ho. Aapko to ab bas apni ye biwi aur dusra beta Anil dikhaai deta hai. Mai to aapke ghar me pada saaman hoon jispe aapka jab mann karta hai, aap apna gussa nikaal dete hain. 1 baar bhi aapko feel nahi hua ki Anil ke alaawa aapka 1 beta aur hai aur vo apni zindagi me khush nahi hai. Kaise hi pata chalega aapko, aapko to ye Sujata ki lene se fursat mile to aapko kuch pata chale na.
Dadi--Samar, tu ye kya bol raha hai......
Mai--baat khatam karne do aap log mujhe. Ye Sujata inke liye sabkuch hai, mai kya hoon, kuch bhi nahi. Arre log apne jaanwaron ke saath aisa vyavhaar nahi karte jaisa ye mere saath kar rahe hain, kyon paal rahe ho aise aap mujhe papa. Isse badhiya to aap mujhe uthaake ghar se baahar fek do, us din maine kitna bola aapse ki chalo Aanchal ke papa se baat karlo lekin mujhe dekhte hi to aapka dil patthar ka ho jaata hai. Fir chaahe mai ro loon ya gidgida loon, aapko thodi hi kuch farak padta hai. Aapko kya dikkat hai meri khushiyon se, konsa baap apne bete ki khushiyon ki gaand maar leta hai. Aur kya bolte rehte ho aap ki mai nikamma hoon, kisi kaam ka nahi hoon. Khud aap apni zindagi me kuch haasil kar nahi paaye aur uska saara frustration aap mujh pe nikaalte ho. Aap bol rahe the na ki bhagwaan ne aapko kaisi santaan di hai, mai bolta hoon bhagwaan se ki kaash aap bhi usi din mar gaye hote jis din maa mar gayi thi, kam se kam meri zindagi ke aise laude to nahi lagte.
Meri baat khatam hui to sab ke sab mujhe ghoor ke dekh rahe the, papa ko gussa aane laga. Vo mere paas aaye aur unhone mera collar pakad liya, mai to apne gusse me paagal ho gaya tha. Maine bhi gusse me papa ke collar pakad liya, ye dekhkar Sujata hume chhudaane aayi par hum dono alag hone ka naam hi nahi le rahe the. Maine gusse me Sujata ko zor ka dhakka diya to uska sar jaake seedha table se takraaya, uske sar pe cut pad gaya tha aur khoon behne laga tha. Papa aur Anil ne Sujata ki haalat dekhi to vo turant uske paas daud gaye, baaki sab bhi Sujata ke paas aa gaye aur use sahaara deke khada karne lage.
Dadi--arre iska itna khoon beh raha hai, ise turant hospital le chalo.
Papa ne use uthaaya aur fir sab use lekar hospital ke liye nikal gaye, mai to wahin apne gusse ke saath khada tha. Thodi der mai wahaan khada raha aur fir apne room me jaake maine darwaaza andar se band kar diya.
Shaam 6 baje:-
Sab ghar waapis aa chuke the, Sujata ke sar par chot kaafi gehri lagi thi jiske vajah se stitches aaye the. Chacha ko jab is baare me pata chala to vo bhi office se jaldi ghar aa gaye, sab log us waqt mere baare me hi baat kar rahe the. Mai apne kamre me tha lekin fir bhi un sabki baatein saaf sun paa raha tha.
Sujata--dekha na aaj kya kiya usne, aapka collar pakad liya,mujhe dhakka dekar gira diya. Aap use ghar se nikaal dijiye abhi ke abhi.
Chachi--didi, ye aap kya keh rahi ho? Vo is ghar ka beta hai, aise kaise use ghar se nikaal sakte hain hum.
Sujata--ghar ka beta hokar vo aisi harkatein kar raha hai Rama, aaj usne apne papa aur mujh pe haath uthaaya hai. Ho sakta hai kal ko bachon par bhi haath uthaana shuru kar de.
Chachi--didi, galti aap ki bhi hai. Aap agar uski maa ko kuch naa bolti to vo ye sab kabhi na karta.
Sujata--tujhe uspe bada pyaar aa raha hai Rama, aisa kya jaadu kar diya hai usne tujh pe jo uski galti hone ke baad bhi tu usi ke gun gaa rahi hai. Kahin pasand to nahi aa gaya tujhe vo.
Dadi--Sujata, zabaan sambhaal ke baat kar. Jo mooh me aa raha hai, vo bole jaa rahi hai. Bolne se pehle kuch to soch le 1 baar.
Sujata--aap sirf mujhe hi bol rahi hain maa ji, use koi kuch nahi bol raha hai. Sab galti aapki hai maaji, aap ne hi use itni chhoot de rakhi hai. Agar uske papa ki tarah aapne bhi use thoda tight rakha hota to aaj uski vo sab karne ki himmat bhi nahi hoti.
Chacha--bhabhi, shaant ho jaaiye aap. Please aap apni tabiyat mat kharaab kijiye.
Sujata--shaant karwaana hai to apni biwi aur maa ko karwa Hari jo us Samar ke gun gaa rahi hain. Anil ke papa, aap meri 1 baat ab dhyaan se sun lijiye. Aap use ghar se nikaal dijiye varna mai aur Anil ye ghar chhod ke chale jaayenge, ab faisla aapka hoga ki is ghar me kon rahega aur kon nahi.
Ye bolke Sujata Anil ko saath leke apne kamre me chali gayi, 1-1 karke baaki sab bhi apne-2 kamro me chale gaye. Mai apne room me pada hua soch raha tha ki aage mujhe kya karna chahiye, thodi der mai bed par pada raha aur uske baad maine socha ki chhat par chalte hain aur thoda dimaag ko shaant karte hain. Jaise hi mai chhat par pahocha to maine dekha ki papa aur chacha chhat par baithkar sharaab pi rahe the aur aapas me baat kar rahe the. Mai seedhiyon par khada ho gaya taaki vo mujhe dekh naa paaye aur mai unki baatein sunane laga.
Papa--Sujata aur Anil ko mai nahi jaane de sakta Hari, vo dono chale gaye to meri zindagi to sooni pad jaayegi.
Chacha--bhaiya, unhe rokoge to aapko Samar ko ghar se nikaalna padega.
Papa--arre ab vo jiye ya mare, mujhe ghanta farak nahi padta.
Chacha--aisa kyon bol rahe ho bhaiya, vo aapka beta hai.
Papa--nahi chahiye aisa beta mujhe, arre aaj jo usne kiya hai, koi beta karta hai kya apne baap ke saath.
Chacha--maaf karna bhaiya lekin baat usne sach hi kahi thi. Nirmala bhabhi ke jaane ke baad aapka farz banta tha ki aap use baap aur maa dono ka pyaar de lekin aap ne aisa kuch bhi nahi kiya. Aap ne kabhi bhi usse pyaar se baat nahi kari, vo hamesha aapki shaabashi paana chahta tha isliye usne apni life me chhoti-2 cheezein achieve kari lekin shaabashi dene ke bajaaye aapne use sirf daanta. Kabhi-2 aapko aur use dekhta hoon to lagta hai ki abhi bhi mai office me hi hoon jahaan aap boss ho aur Samar aapka employee. Aap ya to use daant dete ho yaa use khari khoti sunaate rehte ho, 1 baar pyaar se usse baat karne ki koshish karo bhaiya, shaayad haalaat kuch behtar ho jaayein.
Papa--ae Hari, zyaada gyaan mat de mujhe. Peena hai to pi varna nikal yahaan se aur haan, us Samar ki ab koi baat nahi karni mujhe.
Papa ki baat sunke mai waapis apne kamre me aa gaya aur waapis bed par let gaya. Lete-2 mai ye sochne laga ki mujhe aage kya karna chahiye.
Mai(mann me)--koi mujhe is ghar me nahi chahta hai, mai in sab par sirf bojh ban raha hoon. Mujhe yahaan se chale jaana chahiye, haa yahi sahi hoga. Mai kal subah yahaan se hamesha ke liye chala jaaunga aur fir kabhi is ghar ke logo ko apni shakal nahi dikhaaunga.
Thodi der mai ye sab sochta raha aur fir maine Varun ko call kar diya. Maine use scooty leke ghar aane ko kaha aur fir mai bhi ghar se baahar nikal gaya, thodi der baad Varun aa gaya to mai use lekar pehle 1 theke par gaya aur wahaan par maine apne liye 2 beer ki bottle le li. Dusri dukaan se maine Varun ke liye 1 badi pepsi aur kuch chakna le liya, uske baad hum log 1 park me chale gaye. Shaam ke 7:30 baj chuke the, chaaro taraf andhera chhaaya hua tha. Park me is waqt mere aur Varun ke alaawa aur koi nahi tha, maine park me beer peeni shuru kar di. Varun bhi apni pepsi ke sip lene laga, maine 1 sutta jala liya aur beer ke saath-2 sutta sulgaane laga.
Varun--abbe tujhe pata chala, Sri Lanka ka prime minister bomb blast me maara gaya. Uski rally nikal rahi thi ki tabhi uski gaadi me blast ho gaya.
Mai--abbe madarchod, tujhe yahaan maine bomb blast discuss karne ke liye nahi bulaaya hai.
Varun--acha theek hai, ye bata ki ghar pe sab kuch theek hai?
Mai--lauda kuch theek hai, aaj lad liya mai apne baap se.
Varun--kya baat kar raha hai? Poori baat bata bhai.
Mai--to hua yun...(uske baad maine Varun ko ghar pe huye saare kaand ke baare me bata diya)
Varun--maadarchod.....to ab koi tujhe ghar pe rakhna nahi chahta.
Mai--mai khud us ghar me rehna nahi chahta, wahaan ab mere liye kuch bhi nahi bacha hai. Kal subah mai ghar chhodke chala jaaunga, jaane se pehle socha ki aakhiri baar tujhse mil loon. Tune itne din sambhaala hai mujhe to tera itna jaanane ka haq banta hai.
Varun--par tu jaayega kahaan bhai?
Mai--soch raha hoon ki mama ke paas gaaon chale jaaun, wahaan jaake mai unki dukaan me kaam kar lunga kuch. Mama bhi mujhse bahot pyaar karte hain, vo mana nahi karenge mujhe apne paas rakhne ke liye. Thode bahot paise ikkatha ho jaaye to kahin aur chala jaaunga aur fir wahi kuch kaam dhoond loonga.
Varun--tere gharwaalon ko pata hai tere is faisle ke baare me?
Mai--kya hi karenge vo ye sab jaankar, kal mai chala jaaunga to unki aur meri, sabki life sorted ho jaayegi.
Varun--padhaai ka kya karega?
Mai--dekh loonga kuch na kuch bhai, tu meri chhod aur ye bata ki aunty ne kya bola aaj.
Varun--wahi usual, Samar se door reh blah-2. Arre bhai, vo nahi samajh sakti apni dosti. Unhe ghanta nahi pata ki tune aaj mujhe bachaane ke liye itna bada jhooth bola hai, unhe to bas ye lagta hai ki tu mujhe bigaad raha hai.
Mai--koi baat nahi bhai, tere liye to itna kar hi sakta hoon mai. Aunty ko mera bye bol dena aur unse ye bhi bolna ki khaana bada acha banaati hai vo, unke haath ka khaana khaake maa ki yaad aa gayi mujhe.
Hum dono wahaan lagbhag 1 ghanta gappe maarte rahe, itni der me maine apni dono beer khatam kar li thi. Varun ke saath gappe maarke bada acha lag raha tha, bhale hi humaari dosti ko 1.5 saal huye the lekin fir bhi humaari dosti bahot zyada hi gehri ho gayi thi. Uske baad hum dono ghar ke liye nikal gaye, Varun ne mujhe mere ghar chhoda. Jaane se pehle vo mere gale laga aur fir jab alag hua to mujhse bol pada.
Varun--1 baar fir se soch le bhai.
Mai--soch liya hai bhai, decision final hai mera. Vaise bhi delhi se mann bhar gaya hai, ab jitna yahaan se door rahun, utna hi meri sehat ke liye acha hoga.
Varun--theek hai, apna khayaal rakhna aur saale phone karte rehna.
Mai--tu bhi apna khayaal rakhna, zinda rahe to baar-2 milenge aur nahi rahe to seedha haridwaar milenge. Bye bro.
Varun--bye.
Uske baad Varun apne ghar ke liye nikal gaya, maine bell bajaayi to darwaaza chachi ne khola. Unhe shaayad mere mooh se beer ki badboo aa gayi to vo gusse se mujhe dekhne lagi, maine unhe andekha kiya aur apne room me aa gaya. Room me aate hi mai bed par let gaya, thodi der me chachi khaana leke aayi par maine khaana khaane se mana kar diya. Chachi ne plate wahin table par rakh di aur fir vo apne kamre me chali gayi, unke jaane ke baad mai thodi der bed par pada raha aur fir maine 1 chhote se bag me apne kapde aur zaroorat ka saaman pack karna shuru kar diya. Jab packing khatam ho gayi to mai subah hone ka intezaar karne laga, intezaar karte-2 pata nahi kaise meri aankh lag gayi. Aaj pata nahi kitne din baad mujhe neend aayi thi, shaayad dil me sukoon tha ki jo itne saal se mere dil me papa ka darr tha, aaj maine uspe kaaboo paa liya tha. Ab aage ki zindagi kaisi bhi ho, kam se kam mujhe aise roz-2 apni beizzati to nahi karwaani padegi.
Agli subah meri neend apne aap 6:30 baje khul gayi, uthate hi mai fresh hua aur uske baad apna bag leke ghar se nikalne laga. Jaane se pehle maine 1 baar dadi ke kamre me jhaanka to vo so rahi thi, maine mann hi mann bhagwaan se prarthana kari ki vo meri dadi ko hamesha khush rakhe. Uske baad mai dabe paaon ghar se jaane laga, mai abhi ghar ke main gate par pahocha tha ki tabhi mujhe peeche se aawaz aayi, kisi ne mujhe mera naam leke pukaara tha. Maine palat ke dekha to chacha mujhse thodi doori par khade the.
Chacha--kahaan jaa raha hai?
Mai--vo.....vo mai ye ghar chhod ke jaa raha hoon.
Chacha--apne kamre me jaa....
Mai--aapke bolne se mai nahi rukne waala chacha.
Chacha--tune suna nahi maine kya bola, apne kamre me jaa.
Mai--aur wahaan jaake kya karun, intezaar ki kab koi dobaara meri ya meri maa ki beizzati kare.
Chacha--nahi, apne kamre me jaana aur school ke liye taiyaar ho jaana.
Mai--kya.....school se nikaal diya gaya hai mujhe.
Chacha--mai aakhiri baar tujhse bol raha hoon, apne kamre me jaa aur school ke liye taiyaar ho jaa. Mai aaj tere saath tere school chalunga, tere principal se baat karni hai mujhe.
Jbardust update BhaiUpdate-50