• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Rohit1988

Well-Known Member
2,191
7,138
158
Fan
•°UPDATE 76•°

Recap -

Halaanki Manas aur Anvi ne maukhik roop se is rishte ke liye haan kar di thi, lekin unhone ise jyada seriously se nahi liya.

Un donon ke liye, yah ek silly joke ki tarah tha jo sach ho bhi sakta tha or nahi bhi. Yani, achcha hoga agar Saanvi unki bahu bane.. lekin agar future me Saanvi kisi or se shadi karti hai.. to bhi unhe koi masla nahi.

Lunch ke baad Manas ne bill pay kiya, aur phir donon pariwaar hallways se hote hue lobby me pahuch gaye.

Rajyavardhan Manav ke paas aaya aur uske kaan 👂 me fusfusaya,

Rajyavardhan : "Kal subah aap 7 baje aa jaayiye. Hum aapko Dragon Palace le chalenge, " :listen:

AB AAGE :-

Manav : "Dragon Palace..?" 😳

Woh thoda hairaan hua.

Rajyavardhan ne muskurakar haan me sar hila diya.
Uske aur Avantika ke Manav ke parents se milne ke baad, Saanvi-Manav ke rishte se jude sabhi doubts clear ho chuke the, aur.. ab yeh sahi samay tha ki Manav ko complicated cheejon se rubaru karaya jaye.

Restaurant ke baahar aakar donon families ne ek dusre ko bye kaha.
Bhale hi Avantika ki baat ki- Saanvi ki shadi Manav se ho sakti hai, Shisht family ke liye chaukane wali rahi, lekin.. baavjood iske Lunch ke dauraan mahaul bahut mel-milap wala aur sukhad raha.

Dadi ki wajah se donon pariwar pehle se hi ek-dusre par bharosa karte the aur donon ka hi sochna tha ki... saamne wala pariwaar behad achcha pariwaar hai.

Anvi ne Bye kehte hue pyaar se Saanvi ka sar thapthapaya. Kehne ko to yeh chhoti ladki uski hone wali bahu thi, parantu Anvi ne use apne ghar aane ke liye invite nahi kara..
Saanvi ke saath ye uski bas pehli mulakaat thi, aur waise bhi ab to future me use acche se jaanne - samajhne ke aur bhi kayi mauke ayenge..

Manav ne dadi ki car me baithne me help ki, aur Manas driving seat par baith gaya. Saanvi ki family bhi apni car me savaar ho chuki thi.
Donon pariwaron se ek dusre ko haath hilakar bye kaha aur apne apne ghar ke liye nikal gaye.

Ghar ki or raaste me,

Dadi pichhli seat par baithi thi. Pyari Sani unki bahu banegi.. is baare me soch soch kar woh itna khush ho rahi thi jitna ki koi KBC (kaun banega crorepati) winner bhi na hoga.

Car, samudra ke kinare unke ghar ki taraf tezi se badh rahi thi. Raaste me, Manas ka mobile lagbhag 5-6 baar baj utha, kehna nahi hoga ki ye saari calls uske kaam ko lekar thi. Ant me usne apna phone switch off hi kar diya taki koi uske family time ko disturb naa kar sake.

Dadi ko khush karne ke liye usne aaj kaam se chhutti le li thi.

Akhirkaar, aaj Saanvi ke ghar me mili punishment se weh achche sabak seekh gaya tha. Bhale hi uska science career bahut behtar jaa raha tha, lekin phir bhi ab weh apni family ko neglect nahi kar sakta tha.

Doosri or, disturb hone se bachne ke liye, apne pati ke dekha - dekhi Anvi ne bhi apna mobile switch off kar liya.

Baharhaal, ghar pahunchne ke baad, Manas ne car garage me park ki aur apni poori family ko ghar ke andar le aaya.

Yeh ghar 2 manjila tha parantu Saanvi ki family ke 2 manjila ghar se bada tha.

Living room 1st floor par tha, aur.. room ki samudra ki taraf ki poori dewaar kaanch ki thi. Waqai me ye ghar ek oceanfront cottage tha.

Kuch bedrooms 2nd floor par the, aur dinning room ek alag se chhote se lakdi ke ghar me tha joki ek bridge dwara dooosri manjil se juda hua tha.
Shyam kaka, jo aamtaur par dadi ke liye khaana banate the, iss chhote se ladki ke ghar ki pehli manjil par rehte the. Ek tarah se servant quarter.

Is property me ek bada garden bhi tha, jiske sabhi phoolon aur ghaas ki dekhbhaal Shyamu kaka hi kiya karte the.

Agar dadi ke akelepan ki samasya ko hata de to, unke liye is ghar se jyada comfortable ghar, koi dusra ho hi nahi sakta tha.

Manas ne apni maa ka ek haath apne haathon me liya aur bahut respect se kaha,

Manas : "Maa.., aaj mai wapas lab nahi ja raha hun. Ye poora time mai aapke saath hi spend karunga. " 😊

Dadi : "..Mujhe pata hai ki tum apne kaam me bahut busy rehte ho. Mai to tumhari maa hoon, agar tum mujh par jyada time aur dhyaan nahi bhi dete ho.. to bhi theek hai. Lekinn, tum aage kabhi bhi, meri saviour, Sani ki family ko najar-andaaj mat karna. Samjhe? :nono:

"Haan maa, aaj meri hi galti thi, "
Manas ne apni galti ko imaandari se accept kiya aur Anvi ki taraf se bhi dadi ko samjhaaya,
"Actually, Anvi to ready hokar time se meri lab me aa gayi thi. Lekin mujhe apne haath ka kaam complete karna tha.. jiske chalte yeh bhi late hogyi. . " :sigh2:

Dadi ne apne dusre haath se Manas ke haathon ko thapthapaya aur kaha,

Dadi : "Koi baat nahi.., tumhe explain karne ki jaroorat nahi hai. Ab yadi tum donon.. bina jyada gap kiye isi tarah apne ghar ke chakkar lagate ho to mujhe bahut khushi hogi. Kaam jaruri hai maanti hu, lekin apni body ka dhyaan rakhna bhi utna hi jaroori hai. . Chalo ab tum dono ghar par ho aur free bhi ho to thodi der so lo! Body ko acha rest mil jayega."

Aakhirkaar, dadi ab gussa nahi thi. Akhir.. Manas unka laadla eklauta beta tha. Unhone aaj uski khoob pitaayi ki, jispar ab dadi ko bura lag raha tha. .

Manas : "Mai theek hu maa, chaliye apan sab baahar walk par chalte hai."

Dadi : "Walk par?? Mai to bahut thak gayi hoon.., mai to kuch der sone jaa rahi hoon! " :yawn:

Is tarah , Manas aur Anvi ko bhi thoda aaraam karne ke liye apne room me lautna pada. Vaas‍tav me, un donon ke paas bahut kaam the aur apne dimaag me bhi ve kal ke din ki planning kar rahe the.

Manav bhi apne room me chala gaya. Room me aakar usne gate band kiya aur khidki khol li. Phir usne bed par araam se baithkar, Spirit Concentration Scroll ka dhyaan lagana shuru kar diya.

Is poore week ke dauran, usne donon Mount Tai Bracelets pehne hue the, jiska matlab tha ki ... weh rojana, har samay 50 kilogram se jyada wajan utha raha tha.

[halaanki Shalini ne , ek din me kuch ghante diye the jab woh in bracelets ko utaar sakta tha.. parantu Manav ko bracelets utaar kar relax hone ki jarurat hi nahi padi]

Itna wajan dhone ke kaaran, use har samay Spirit Concentration Scroll me magan rehna pada aur balance banane ke liye apne shareer ke Natural Essence ka upyog bhi karna pada..
Matlab har samay saadhna, har samay training! Raat ko sone ke alawa weh jara bhi chain ki saans nahi le paa raha tha..

Itni practice ke chalte, weh Spirit Concentration Scroll ki sadhna me bahut behtar ho gaya tha. Bhale hi woh pichhle do dinon se Shalini ke office nahi gaya tha, parantu, chahe wo campus ke roads ho, ya phir classroom ho, chahe woh khana kha raha ho ya apna assignment complete kar raha ho.., kulmilkar sone ke alawa Manav har samay sadhna kar raha tha.

Vartmaan me,

Dhyaan karte hue Manav ko laga jaise woh Spirit Concentration Scroll ke second level me aur bhi nipun ho gaya hai..
Aisa shayad isliye hua.. kyuki uska ghar samudra ke kareeb tha aur isliye.. hawa me water element ki maatra jyada thi..

[Saanvi - water element dragon.. Annexure ll]

Scroll ke dusre level par hone ki wajah se Natural Essence, jo uski lagbhag aadhi body me bhara hua tha, aisa lag raha tha ki maano body me Natural essence ki mantra badhne lagi thi.

Khaaskar uski body ke oopar , beech aur nichle hisson ke 9 important acupoints.., Natural Essence ko sabse jyada absorb kar rahe the aur naabhi (naval) ke paas stith dragon core ko trigger kar rahe the.

Jab use is process 👆 ka ahsaas hua.. tab tak use sadhna karte hue raat ho chuki thi.

Knock ! Knock !

Manas dinner ke liye Manav ko lene aaya hua tha.
Jab uske bete ne darwaja khola to achanak.. , Manas ko aisa laga jaise.. uska champ na keval bahut energetic lag raha tha balki uska temperament bhi bahut alag ho gaya tha.

Manas (man me) : "ye.. kitna change ho gaya hai! Mai.. lagbhag 1 - 2 months se foreign me tha, aur itne se time me ye pehle se behtar dikhne laga hai. No wonder ki.. girls is kiddo ko like karne lagi hai.. " 😄

...
...
...

Dinner ke baad, Manas apne bete ko walk ke liye baahar le gaya.

Halaanki, samudra ki hawa thodi khaari thi, lekin jab bhi ye un donon ke shareeron se takrati, to unhen sukoon mehsoos hota. Raat ke sannate me samudra ki lehre kuch jyada hi shor kar rahi thi, lekin ye shor kaanon ko relax karne wala tha.

Jab donon naram ret par chalne lage to ye jagah aur samay, baap- bete ki baatcheet ke liye ekdum perfect tha.

Manav ke bagal me chal rahe Manas ne, chandni me Manav ke tejasvi chehre ko dekhte hue kaha,

Manas : "Foreign gaye jyada time nahi hua.. lekin tumme bahut changes aa gaye hai.. 😄 achi growth hai beta.. "

Lekin apne pita ki baat ko ignore karte hue Manav ne kaha,

Manav : "Dad.. mai aapko ye to nahi bata sakta ki aapko kya karna chaahiye aur kya nahi.. aap sabhi cheejein mujhse better jaante hai.. but.. still Dad, aapko Dadi ki bahut care karni hogi. "

"Aisa nahi hai Manu.. ki mujhe maa ki parwaah nahi hai, i love her so much! but shayad.. tumhari dadi ko har samay complain karte rehna bahut achchha lagta hai.. Ah,"

Manas ne aah bhari, aur poocha

"Mujhe to sach bata sakte ho Manu; university me tumhare sath jo ladki thi.. woh tumhari girlfriend hai na?"

Manav : "Nahi, wo meri Class President hai" :noo:

".. par wo ladki hai badi pretty..,"
Manas phusphusaaya.

Manav ne is topic ko yahin rok diya aur poochha,

Manav : "Aap aaj.. rishte ki baat par itna casually agree ho gaye?"

Manas : "Aaj jab humne unse baat ki to pata chala ki ve log, vaastav me bahut achhe aur sabya log hai. Lekin.. iske alawa, rishte ki baat se agree hokar hum aapki dadi ko khush karne ki koshish kar rahe the..; tumhe pata to hai ki tumhari dadi kaisi hai.. koi bhi baat agar unke man me aa jaye, to humen usse agree hona hi padta hai. Ab jab wo us little girl ko itna pasand karti hai, to tumhari mom aur mujhe unki baat to maan-ni hi padegi taaki wo gussa na ho jaye.." 😅

Manav : "Oh.. matlab aap bas dadi ka man rakhne ke liye hi agree hue the. "

"Aisi baat bhi nahi hai Manu.."
Manas ne aati hui badi leher ko dekha aur aage jawaab diya,

"Little Sani.. really.. sundar aur cute hai. Agar woh meri daughter- inlaw banti hai, to bahut achchha hoga. Magar.., hum kabhi nahi jaan sakte ki future me kya hona hai.. "

Usne kuch seconds socha aur poochha,

Manas : "Tumhe.. Little Angel yaad hai..?"

"Little Angel??" :what3:
Manav thoda confuse lag raha tha.

Manas : "Haaha, tum bhool gaye? ye wahi ladki hai.. jo humesha apne ghar aati thi jab tum chhote the. Uske Dad university me mere classmate the. Us samay... hum kaafi kareeb the, aur.. uski family aksar apne ghar aaya karti thi. Hum use Little Angel bulaya karte the kyuki woh bahut chhoti si aur pyari thi. .
Wo to har samay tumhe follow kiya karti thi.. tumhari nakal kiya karti thi.. kya tumhe kuch bhi yaad nahi hai..?"

Manav ne kuch der socha;
Uski dhundhli yaadon me, ek chhoti ladki thi jiske chehre par halki gulabi rangat thi, usne light-yellow colour ki dress pehni hui thi, aur uske smooth baalon me ek laal rang ka phool laga hua tha.. ek chhoti si ladki.. jo har samay uske saath rehti thi aur.. humesha apni totli awaaj me use Manu ki jagah "Manku" bulati thi.

"Yeah.., mujhe kuch kuch yaad hai,"
Manav ne haan me sar hilaaya aur poochha,
"Ab wo aur uski family kahan hai?"

Manas ne aasmaan ko dekhte hue bataya,

Manas : "Uske dad.. humari generation me foreign jaane wale kuch chuninda logon me se ek the. Chunki us time communication ke itne options nahi the, isliye dheere-dheere humara contact toot gaya.. woh Little Angel bhi shaayad.. apne dad ke saath USA chali gayi thi..,"

Manav : "Oh... lekin dad.. achanak se ye sab..? " 🤨

Manas : "Ahem.. maine ye sab isliye bataya kyonki us time.. donon families bahut kareeb thi, aur tum donon ko humesha saath dekh, humne majak majak me tum donon ki bhi shadi pakki kar di thi. Lekin.. aaj ke jamane me jaise-jaise bachche bade hote jaate hai, is tarah se rishta pakka karne ka koi matlab nahi hota.. " :sigh2:

"Jab Sani badi hogi aur.., tab agar woh tumhe pasand karti hai, to tumhari mom aur mujhe tum donon ki shadi se koi problem nahi hogi.. BUT, "
Manas ki tone badal gayi,

"Agar future me Sani tumhe pasand nahi karti hai, ya phir kisi aur ko apna boyfriend bana leti hai, to tumhe aaj pakke kiye rishte ko bhoolna hoga Manu! and tum Sani ko kisi bhi tarah se force nahi karoge! Understand!?"

Manav : "Yes dad.." 🙂

Manas : "Saanvi ki family well-educated aur sabhya hai. Bhale hi future me humara rishta samdhiyon wala na ho, phir bhi.. long run me unke friends bane rehna achha rahega,"

Apne dad ki baat sunte hue Manav, chand ki roshni me antheen samudra ko dekh raha tha..,

Manav (man me) : "Dragon Palace.. pata nahi kal kya hoga.. " :?:

P.S. :-

* Natural Essence - bool gaye to "word meanings " me dekh sakte ho
* Water element dragon - Annexure ll

- for both refer sticky note

Update yahin par hota hai end

:reading1: 🅁🄴🄰🄳,
🄻🄸🄺🄴 👍 🄰🄽🄳
🄲🄾🄼🄼🄴🄽🅃 📝 😄

Phir milenge ! Dragon Palace me !mega update ke sath!! :cool2:
To be continued.....
Ok

Fantastic update
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser
499
781
93

Nice one bro.
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser

Scorpio92

Member
110
372
63
•°UPDATE 5•°

Recap -

Unse apni kalai uthakar dekha, weh hare rang ka print abhi bhi pehle jaisa hi dikh raha tha. Jitna jyada wo uss pattern ko dekhta , utana hi use mahsoos hota ki pattern dragon scales jaisa dikhta hai.

IMG-20221012-194336.jpg

" Ahh... , mai shayad kuch jyada hi soch raha hoon ..." Usne khidki band ki, light off ki, aur sapno me doob gaya..

AB AAGE :-

Agle din, Manav subah jaldi uth gaya tha. Usne kuch exercises ki , apni assignment par kuch kaam kiya, aur uske baad apni dadi ma ke liye breakfast taiyaar kiya.

Breakfast ke baad ve dono, subah ki suhavni dhoop me, beach par walk ke liye chala gaye.

" Manu..!, aajkal tum bade energetic lag rahe ho." daadi ji ne samudra ki hawa ka luft uthate hue, Manav se kaha.

" Thanks dadi, aur.. meri bhookh bhi pahle se badh gayi hai. " Manav muskuraya.

" Hehe, kya tum university me kisi ko date kar rahe ho ? " daadi ji ne muskura kar poochha. 🙂

" N - nahin..." Manav ne inkaar kiya.

" Tumhe.. Karna chahiye! Tum bhool rahe ho ki tumhari daadi, anthroposcopy jaanti hai. Mujhe to lagta hai ki, haal hi me, women/females ko lekar tumhara luck acha hua hai." daadi ne chutki li .

**( Anthroposcopy/Manav(human) swabhaav ka gyaan - yeh Anthropology/Maanavshaastra ki ek form hai jisme human body ke physical characteristics ko observe kiya jata hai.

Dadi ma ka bas chale to abhi hi, Manu ki shaadi karwa dein! 🤣) ***

" Kya Daadi.... College me study hi meri priority hai.. To mai dating ke baare me soch bhi kaise sakta hu!? " Manav ne jhijhakte hue kaha.

" Yah tumhare dad ki soch hai. Usse alag, mai to chahti hu ki mera Manu date par jaye. Agar tumhe koi achi ladki mile to mere pass lana! " daadi ji ki muskaan, sunflower ki tarah khil gayi. 🌻😀

" Acha theek hai, jaise hi mujhe girlfriend milegi, mai use aapke paas le aaunga...," Manav ne serious hokar promise kiya, jisse daadi ma ki muskaan aur bhi badi ho gayi. 😄

Un donon ne thodi der wahi, ek chattaan par baithkar samudr ke najare ka luft liya, jiske baad Manav aur uski daadi aise hi baat karte karte vaapas ghar ki or chal diye.

Raaste me, Manav ne kayi chhote chhote shells/seep-shankh uthaye aur unhen apani pocket mein bhar liya.

" Tum to bachpan se hi inhe collect karte aa rahe ho... ? " daadi ji ne palat kar kaha.

" Souvenirs / yaad ke roop mein...." Manu ne ek shell ko hawa mein upar phenka aur use catch kar liya.

" Hmm... Manu, tumhe bachpan se hi samudr bahut pasand hai. Isliye, tumhara dil bhi samudr jitna bada hai." Dadi ji ne apne cloth-shoes se ret aur seep jhadate hue, Manav ki tareef ki.

Wo phir khud se badbadayi, " Tum bahut sacche aur dayalu bhi ho. Kaise abhi tak, kisi ladki ka dil tum par nahi aaya...? Ahhh! main kab apne grandchild ko god me le sakungi...?"

Manav apni daadi ma ki inn complaints ko nahi sun paya. Use to laga ki woh bas apne bete ko miss kar rahi hai. Kuch samay aur dadi ji ke sath binate ke baad, Manu apne room me aya aur university jaane ke liye packing karne laga.

Dadi ma ne uske backpack ko sabhi tarah ke packed, aur apne haathon se banaye, snacks se bhar diya, jisse uska bag pahle ki tulna mein jyada fool gaya aur bhari bhi ho gaya tha.

Woh Manu ke sath bahar tak aayin aur kaha
" University me inko apne friends ke sath bhi share karna. Mujhe Adarsh aur tumhare dusre friends ache lagte hai.."

" Theek hai daadi..., aap bhi apna dhyaan rakhna." usne daadi maa ke pair pade, wajni backpack ko apni peeth par laada, aur apni yaatra shuru kar di.

Iss area ke sabhi log apne-apne vehicle/saadhan se aaya - jaaya karte the. Yahan kam residences/ghar hone ke kaaran koi bus stop nahin tha.. Aur sab se pass ka bus stop ek tourist site par bana tha. Isiliye, Manav ko bas stop tak pahunchne ke liye aadhe ghante tak pad-yaatra karni padi thi. Yeh uske liye ek full cardio workout jaisa tha.

Bus mein baith Manav ne socha, " Dadi ma ke saath time kitna acha, sukoon bhara raha.." samudra ki Khaari hawa ko cheer, bus seher ki or chal padi.

Yakeenan, Manav ne college pahunchte hi apni snacks sabhi ke saath share ki. Usko sab kuch, khud Khatam karne me shayad 1 mahina lag jata. Daadi ji ka har baar uske liye itne saare snacks pack karne ka kaaran yahi tha ki weh apne doston ke sath share kar sake.

" Meri dadima sabse best hai.. kya mujhe unhe khush karne ke liye ek gf banani chahiye ? " Friends ke saath Snacks khate hue Manav soch raha tha.

Haa ek ajeeb baat jaroor hui thi...
Wo yeh ki aadhe ghante tak bhari backpack ko laadne ke baad bhi use thakaan mehsoos nahi hui, jaise pehle hua karti thi.
Hairan Manav ne chupke se apni wrist/kalai ki taakat ko test kiya aur paya ki usne keval ek haath se table ko jameen se kuch centimeter upar utha diya tha.

Usne jhijhakte hue poochha, "Sameeer! , tum pichli baar mere saath panja ladana/ arm wrestling chahte the na? "

Sameer jo excitement mein chips ka ek packet khol raha tha.. turant palat gaya,
" Kyon.. Tu mere saath panja ladayega! ? "

IMG-20221013-122027.jpg

" Chal... Ladate hai! ," Manav ne hath, arm wrestling pose me , table par rakh diya.

" Chutiye!, tu mujhse kitni baar haara hai.. yaad hai ?
Acha.. Chal.. tu itna kuch humare liye laya hai... Me tere liye apna aadha jor lagaunga." Sameer ne apni chips rakhi aur Manav ke saamne baith gaya.

Asal me Manav ki physical strength itni bhi buri nahi thi. Lagataar jogging ki practice se uske pair bahut majaboot ho gaye the. Isi wajah se woh pichhli baar uss girti hui ladki ko, bina neeche gire, bacha paaya tha.

Halaanki, usne apni upper body ko koi khas train nahi kiya tha.. aur yahi kaaran tha ki weh 5' 10" lambe Sameer se humesha panja ladayi me haar jata tha.

Ve position mein aa gaye aur ek doosre ki hatheliya pakad li. Yah dekh aaju baaju ke aur dusre rooms ke kuch students ne, jo yahan snacks khaane aaye the, unn dono ko gher liya.

"Mai tujhe dikhata hoon ki instant defeat/haar kya hoti hai ! " Sameer ne bade confidence ke saath , doosre haath se apni aasteen chada li.

Apne "hare rang ke tattoo" ko dhyaan mein rakhte hue, Manav ne apni aasteen oopar nahin ki.

" Three..., Two.., Onee! !" Judge ke roop mein, Adarsh ne unke jakde hue haathon ko chhod diya.

" YaaAH!" Apni saari taakat ko ikattha karte hue Sameer chillaaya.

Aur........

DhaM! uska haath turant table par takra diya gaya.

Yah dekh sab ke sab hairaan rah gaye.

"Nahi!! Yeh count nahi hoga!! , yeh count nahi hoga! Mai ready nahi tha!!" usne haath ko naa me hilaya aur aage kaha, "Mere ready hone se pahle hi tune start kar diya tha.. Ye cheating hai!!! "

Manav shaant hi raha, magar haa wo khud andar se surprised tha. Keval wahi jaanta tha ki uske dimaag me kya chal raha hai.

" EK BAAR AUR!" Sameer ne Manav ki hatheli ko pakad liya. Woh haar maanne ko taiyaar nahin tha.

" Three! Two! Onee! !" Adarsh ne phir unke haathon ko chhod diya.

Abki baar mukaabla takkar ka tha.

Sameer ne dheere-dheere apni poori taakat laga di. Jaise jaise uske haath aur sar ki veins/nasen phoolti gayi, chehra laal padta gaya; waise waise uska parla bhari hota gaya. Aakhirkaar..

DhaM! Manav ka haath table par takra diya gaya.

Sameer fauran khada hua aur Manav ke kandhe ko thapthapa diya, " Tere haathon ki taakat badh gayi hai, Bro..! "

"Phir bhi tumhe hara nahi saka...," Manav ne feeki muskan ke saath kaha, "Acha theek hai.. , chal dekhte hai dadi maa ne aur kya rakha hain."

" RITIKK! ! bhukkad saale! Tu mere chips khaa gaya! " Champion Sameer ne uchhal kar Ritik ko dhar dabocha.

Manav ne unhen dekha.. aur chupchaap balcony mein chala gaya.

"Maine abhi apni poori taakat nahin lagai thi, tabh bhi maine Sameer ko easily hara diya tha.. Phir, mainne jaanboojhkar apna jor kam kar diya taaki vah takkar ke match se jeet sake. Pichle week ki panja ladayi ke baad..., meri taakat kaise bhayaanak tarike se badh gayi hai.. " Manav ne apni kalai ko ragadte hue bechaini se chaand ki or dekha.

Kaisa raha ye update 5 ?
Aap log Thoda suggest to karo doston! Kaisi ladki suit karegi apne Manu ko?
Fir milte agle update me...
To be continued.....
Shaandar update bhai maza aa gaya.
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser

Scorpio92

Member
110
372
63
•°UPDATE 6•°

Recap -

Manav ne unhen dekha aur chupchaap balcony mein chala gaya.

" Maine abhi apni poori taakat nahin lagai thi, tabh bhi maine Sameer ko easily hara diya tha. Phir, mainne jaanboojhkar apna jor kam kar diya taaki vah takkar ke match se jeet sake. Pichle week ki panja ladayi ke baad, meri taakat kaise bhayaanak tarike se badh gayi hai. " Manav ne apni kalai ko ragadte hue bechaini se chaand ki or dekha.

AB AAGE :-

Kai baar dhulayi ke baad, Manav ke haath par aaya dragon - scales jaisa tattoo feeka padne laga tha. Kintu, chaand ki roshni me, tattoo chamak raha tha aur aisa laga raha tha jaise usme koi mysterious power/rahesyamayi shakti ho.

"Daadi ma ne dragon ki jo kahani sunayi thi, vah sach nahin ho sakti... Agar sach hui t....."

"MaanaV! ! Aaja taash khelte hai ! " Adarsh ne chillakar, Manav ko apne gehre vichaaron se jaga diya tha.

Lagbhag poori raat taash khelte hue unki Sunday-night beet chuki thi.
Ab unki aankhen, Monday ki subah hi khulni thi.

"Hey Manav! , maine suna hai ki tum ek ladki ke saath chhedkhani kar rahe the aur ab wo tumhari baja rahi hai ? "

"Hah! maine to suna hai ki wo ladki ekdum pagal hai, usne poore campus mein wanted postar laga rakhe the... Arrrr... Mera saara maza hi chhot gaya! Bekaar hi mai Saturday ko ghar chala gaya tha ..."

"Mai to khud Cafe mein tha... ladki kamaal ki thi, aur wo Manav ke pet ko bhi touch kar rahi thi !"

"Aree, Manav! Bata to tune us chhoti ladki ke saath kya kiya tha ? "

"Tum log bas karo! Manav acha banda hai...,uspar ilzaam lagana ab band karo..!

"Satya vachan!! Manav ek accha banda hai! Wo itna accha hai usse isi semester me 6 baar Good person Card (friend zoned) mil chuka hai! haha.. "

**( kisi ko friend zone karna - yani usko bas friend tak hi rakhna, usse aage kuch nhi..
Jab koi Good person Greeting card deta hai , matlab wo apko bas ek friend tak hi simit rakhna chahta h) **

Jab tak teacher nahi aaye, classroom me sabhi aapas mein yahi sab ☝ discuss karte rahe. Har koi us ladki ke baare mein baat kar raha tha jo last Saturday, bade taamjhaam ke saath Manav ko dhundhe ke liye college aayi thi, jisse yeh is week ka sabse trendy topic ban gaya tha.

Sabse peeche baithe, head down kiye Manav ne explanation dene ki koi jahmat nahi uthaai. Tej dhoop ka sukoon use thoda sleepy bana raha tha.

Kabhi-kabhi jab wo sar uthakar dekhta, to usko front desk par baithi Class President Aahna Gupta najar aati. Use aisa lag raha tha jaise Class President, jo kuch bhi hua tha, uske baare mein genuinely jaan na chahati ho. Halaanki, Manav ne jab bhi uski or dekha to usne turant, eye contact karne se parhez kiya.

Manav use samjhana chahta tha ki woh tharki ya manchala nahin tha, sara raayta to uske doston ne phailaya tha. Jab bhi wo apne doston se kisi ladki ke baare me baat karta ya tareef karta, to uske harami dost uska naam lekar, uss ladki ko love letter pakda dete, aur Natijan... uska sabse jyada Good person Card milne ka record badhta jata.

Jahir tha.... 🤣🤣 Aahna bhi un ladkiyon me se ek thi jinhone usse Good person card diya tha.

"Mai usse apne saath beach par chalne ke liye puchoon... kya yeh theek rahega..? daadi ma shayad iske jaisi beautiful ladki ko pasand. karengi."

"Lekin pichli baar jab Sameer ne uske saamne mera naam bigada tha..., to usne kaha tha ki use mujhme koi interest nahin hai..." jab ye baat yaad aayi..., to Manav ne gehri saans chhodi aur desk par sona jaari rakha.

Boring afternoon class, aakhirkaar samapt ho gayi. Manav ek dhundhle sapne se jaaga to usne apna right hand sunn/numb sa laga..

Aur jab wo apne right hand ko idhar-udhar ghumakar Sunntapan se chhutkara paane ki koshish kar raha tha, to usne mahsoos kiya ki uska right hand bahut mota ho gaya hai!

Uski long-sleeve shirt ke kaaran, Adarsh aur dusre friends uske haath me aaye badlaav ko notice nahi kar paye the. Halaanki, Manav saaf taur par mahsoos kar sakta tha ki uska daahina haath sooj gaya tha!

Ajeeb tattoo, Nakchadi chhoti ladki aur achaanak badhi taakat ke baare mein sochne ke baad, Manav ko inn sabhi ke beech kuch na kuch connection ho..aisa laga. Jaldi hi wo uth khada hua, bhari class se jane me use kuch jhijak hui, lekin phir wo tez kadmon se classroom se baahar nikal gaya.

" Oyee..." Sameer aur anya do.. jo apna bag pack kar rahe the aur chai ke liye saath jaane vaale the, unhone, Manav ko yun achanak aese jaldbaaji me jaate hue dekha... Par unhen samjh nahi aya ki akhir Manav aise kyu chala gaya...

Class se tezi se bahar nikal, Manav usi tez speed se chalta raha.... jab ki usne campus ke bahar ek taxi na rokli..

"Bhaiya...! , Vaels International Middle School le Chaloo... jaldiiiii !! " Manav taxi me baith gaya aur bechaini se kaha.

"Ok....! " Taxi driver ne taxi dauda di. 10 minute ke ander hi, Manav Vaels International Middle School ke main entrance gate ke saamne khada tha.

Jab weh pahucha, to middle school ke bachche school se nikal hi rahe the. Fir, Uniform pehne students ki bheed gate se baahar nikalne lagi.

Manav ek unchi fence par apne panjo/toes ke bal khada ho gaya tha. Woh, students ki bheed me uss little girl ko dhudhne ki koshish kar raha tha.

Haalanki, sabhi bacchon ne ek jaisi halke neele rang ki uniform pahni hui thi aur un sabki age lagbhag samaan thi.
Manav ki eyes tired ho gayi, uske panjon me halka sa dard hone laga, lekin phir bhi, abhi tak wo ladki nahi dikhai di.

"Uncle.......!, kya tum mujhe dhoondh rahe ho ?" achaanak, Manav ke theek peechhe , ek tej awaaj aayi.

Manav ne mudkar dekha to wo wahi young ladki thi, jise wo dhoondhne ki koshish kar raha tha.

Usne wahi halki- neeli uniform pahni hui thi, wahi pony tail thi, dusre students ki tarah wahi VIMS (Vaels International Middle School ) ka tag tha. Keval ek cheej jo alag thi, aur vah thi.. uniform par laga uska name tag - Saanvi Maurya, Class 8, Section B.

Uske theek bagal mein ek aur ladki khadi thee. Halaanki, wo ladki utni sundar nahin thi, lekin weh same class aur same section ki thi.

Manav aise fence par khada joker lag raha tha...
"Hhh...! "
Embarrassed Manav niche kood gaya,

"Maine tumse pehle hi kaha tha... tum mujhe dhoondhne jaroor aaoge." Saanvi naam ki is ladki ne confidence & proud ke saath kaha.

"Sani! Kon hai ye ?" Saanvi ke bagal wali ladki ne Manav ko satarkta se dekhte hue dheere se poochha.

Saanvi ne us ladki se kaha, "Chennai University ke ek Uncle. Inhone mujhse kuch udhaar liya hai."

Uncle.... Jab Manav ne suna ki ladkiya use kya keh rahi hai, to use aisa laga jaise uske dimaag me hathode/hammer pad rahe ho. .

Jabaab sunne ke baad bhi, Saanvi ke saath khadi ladki Manav ko lekar satark thi.

"Ye ladki bhi..., aise kar rahi hai jaise mai koi bura aadmi hun.... Mujhe lagta hai ki mera face, kind & harmless type dikhta hai..." Manav ne us ladki ki haav bhaav dekhkar socha.

"To tumhara naam Sani hai..?" Manav ne Saanvi se poocha. Wo ye awkward moment change karna chahta tha.

Saanvi ne apne name tag ki or ishara kar diya.

"Tumhara naam kya hai? Uncle! " usne Manav se poochha.

"....Mera naam Manav Shisht hai " Manav ne kaha.

"Shisht.. Normally jo log khud ko achchha aur Sabhya insaan kehte hain, asal mein wo achchhe nahin hote." Saanvi ke pass wali ladki ne kaha.

"Daksha, Tu chali ja! mujhe is Uncle se kuch baat karni hai to me tere saath ghar nahi jaa paungi." Saanvi uss ladki se kaha.

"OOkay... But be careful..." ladki ne phir.. Manav ki or satarkta se dekha aur Saani ko satark kar vida le li.

Daksha ko door jaate hue dekhkar, Saanvi ne Manav ki or dekha aur kaha..
" Uncle, tum mujhse milne ke liye late ho gaye.."

" Mujhe Uncle mat bulao.. Bas Manav.." Manav ka sar jaise phatne ko tha.

"Oh..Okay.., Uncle" Saanvi ne kaha.

Manav bechara asahaay tha.

"Acha hua tum mujhse milne aa gaye. . lekin, Sorry, tum late ho gaye. Maine use guma diya.. ye baat mere parents ko pata chal gayi hai... Tum bas ab mere dad ke gusse ko jhelne ka wait karo.. "

Manav is nakchadi chhoti ladki se thoda gussa tha. Lekin ab usse kuch kehte na bana.

"Bas aaj aur .... Kal mere parents khud tumse milenge." Ye bolne ke baad, Saanvi turant bhaag gayi. Usne Manav ki reaction ka bhi intjaar nahin kiya.

Avakk Manav, kuch der wahin khada raha. "Zaroor! " Apne Daant bheech kar, Manav ne socha, "Aane do tumhare parents ko. Dekhte hai.. kaun kisse darta hai!"

University laut kar wo sone ke liye seedha hostel chala gaya. Uska ab dinner karne ka bhi man nahi tha.

Jab Manav ke roommates laute, aur usko sota hua paya to apas me baat karne lage. .

"Manav khoya khoya lag raha hai.. Kisi aashiq ki tarah. "

"yah ashiqui uss chhoti ladki ko lekar hi hogi ?"

"Hatt be..! Manav us chhutki ko kyu pasand karega ?"

"Mereko to lagta hai ki Yeh shayad Aahna ke khwaabo me duba hua hai? "

"Kya bak raha hai be, kya Manav Class president par lattu hai ?"

" Kyu... Tereko nahi lagta!?"

" Apan uski kuch help kare kya ?"
..
..
..

Agle din, Manav ne class me khud ko khush aur acha bhala dikhane ki koshish ki. Tatto poori tarah se gaayab to ho gaya tha, lekin uska poora hath bahut sooja hua tha. Athaah taakat paakar, haath ki nasein / veins phadphada rahi thi, ve fat jane ko aatur thi. Ye behad aprakritik/unnatural tha.

Manav ke teeno roommates ne uski smile ke piche ki takleef mehsoos ki aur socha ki vo apni single life ko lekar pareshaan hai. Isliye, unhone uska dil behlane ke liye, break me uske sath matargashti/maujmasti ki.

To dusri or, Manav Saanvi ke maata-pita ke baare mein sochkar sochkar bahut bure mood mein tha. Kya pata wo log is matter/mamle ko university ke administrative office le jaye. .
Lecture ke baad, Adarsh, Sameer aur Rupam ke paas gaya.. "Sunooo dono.., Manav ka shayad dil toot gaya hai. Wo pahle kabhi itna udas nahin tha."

"Sach bola.., aisa lagta hai ki uske dil ko gehri choot pahuchi ho. Hume use khush karne ki koshish karte rehna chahiye.... Aisa karte hai usko apne sath Lunch ke liye le chalte hai.., " Rupam ke yeh kehte hi , lunch ki bell baj uthi.

Sameer aur Rupam ne Manav ko haath se oopar kheench kar utha liya, " Chal! Manav! Aaj tu apni pasand ka lunch karna !"

" Yrr... Ruko.....mera kuch bhi khaane ka man nahi hai..." Manav ne kaha, wo dono usse kheech kar classroom se bahar le aye the. Jabki uske mind me to bas yahi chal raha tha ki kab administrative office se uske liye bulawa aa jaye... Ke tabhi...!
Ek kaali cheej uski najar me aa gayi...

Aur wo cheej thi.... ek black colour ki Mercedes Benz S-Class Sedan jo university ke main entrance par park ki gayi thi. Gadi ke paas, black suit aur white gloves pehne, do middle age ke aadmi khade the.

Kayi students university ke gate par jama ho gaye , yah jaanne ke liye ki, yahan aisa kon raes-jada ya raes-jadi padhta hai , jiske intzaar me ve dono khade the.
Agar yahan gaur kare to.. Chennai University, mainly normal citizens/ aam naagriko ke liye hi thi. Bhale hi university me kuch ameer bachche bhi padhte the par, ye university , raesjaado ke standard ki to bilkul nahi thi.

Wahan chal kya raha tha.... Ye dekhne ke liye Rupam aur dusre friends khud to gaye hi.. Manav ko bhi kheech kar le gaye.
Kalpna se pare, vo dono black suit wale aadmi Manav ki or lapke aur kaha " Aakhirkaar aapki classes poori ho gayi hai. Chaliye! Humare Malik aapka intzaar kar rahe hai."

Is achanak hui ghatna se Rupam aur Sameer hairaan rah gaye. Jaise hi un dono ne suna ki black suit wale aadmi Manav ka hi intzaar kar rahe the.. unhone Manav ke haath chhod diye..

Aaspass ke sabhi students, saamne chal rahe tamashe ko dekh, aapas mein discussion kar rahe the..

Agar Saturday ko jo kuch Cafe me hua tha, wo "Badi News" thi, to... do logo ka, S-class Mercedes Benz me, Manav ke liye aana ek "Breaking News" Hogi!!!

"Toh... ye Manav ek rich family se hai... "

"Nahi......! Shayad wo log Manav ki family se nahin hain... Uska khud ka reaction dekho.., wo khud shocked hai."

Jo students Manav ko jaante the lekin uske jyada close nahin the, unhone is matter par sabse jyaada bakchodi ki.

"Aap dono......" Maanav ne un do logo ko confusion me dekha.

Un dono ne dheere se Manav ko sar jhukakar greet/pranaam kiya aur car ka darwaja kholte hi badi vinamrata/ politeness ke sath kaha,

" Humare Malik , jo Miss Saanvi ke father bhi hain, ne hume aapko lene ke liye bheja hai. Hum bas aapka doophar ka time lenge. To Please! Aap car me baithiye."

Bataiye.. kaisa laga aap sabko ye update?
Manu ka to promotion ho gaya

friend zoned se uncle zoned 🤣

Fir milenge Friday ko naye update ke saath...

To be continued.....
Lazabaab update bhai to manav k lagne wali hai.
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser

Scorpio92

Member
110
372
63
•°UPDATE 9•°

Recap -

"Hmm... Dragons aur humans ke beech shaadiyan/marriage rare/durlabh to hain, lekin pehli bhi ho chuki hain. Ek baar, use ek Dragon ki nayi pehchan/identity mil jaye , to uske liye humari techniques/tareeko se saadhna karna, apne dragon laws/kanoon ke khilaf nahin hoga." Rajyavardhan ne kuch der socha, "Aap use iss plan ke baare me bataye aur dekhen ki weh kya response/pratikriya deta hai. Agar weh raaji hota hai, to maamla settled/suljha-hua hai."

AB AAGE :-

SwoosH!

Meeting room ka automatic darwaja khul chuka tha.

Ek darjan se jyada log, kuch buddhe aur kuch yuva, room se bahar nikle. Saanvi sabse pehle baahar nikli thi. Manav ko dekhte hi uski shakl aisi ho gayi, jaise wo use kachcha chaba jayegi.

Manav hakka bakka tha, soch raha tha ki ab usne uska kya bigaad diya. " Isne aapni cheej khud gumai, jiske kaaran mujhe yahan bhugatna pad raha hai. Ye to acha hua... ki iske father ek acche insaan hai, nahi to ye mujhe maar hi daalti. "

Jabki doosre log, Manav ko ghoorte hue office room se bahar nikal gaye.

Phir Rajyavardhan nikla aur, Saanvi ko vaapas school le gaya. Weh apni beti ko kaise shaant kar paya.., yeh Manav ki soch se baahar tha.

Ab room mein keval elder Vinod aur Manav hi bache the.

Manav ne elder Vinod ki or dekha aur uske kuch bolne ka intjaar kiya.
Pichhle kuch dinon mein tamaam ajib-o-gareeb cheejon ko jhelne ke baad uska dimaag thaka hua tha, aur usne - meeting me kya hua hoga- sochne ki koshish bhi nahin ki.

elder Vinod ne Manav ke saamne ki seat li aur vinamrata se poochha,
" Kya.. aapka naam Manav Shisht hai?"

Manav - " Haan.., aur aap hai...?"

"Hehe, aap mujhe grandpa Vinod keh sakte hain." elder Vinod ne Manav ko vinamrata se dekha,
"Aap confused lag rahe hain..?"

"Itna bhi nahin!," Manav ne kuch rukhe andaaj se uttar diya.

elder Vinod ne phir bhi Manav ko sneh/lagaav se dekha, "aap.. future mein aur bhi cheejon ko experience karenge."

"Hm?" Manav ne uska, aage bolne ka intajaar kiya.

"Waise.. Aap Saanvi ko lekar kya sochte ho ?" achanak, elder Vinod ne baat badal di.

".. Huh.. woh... Immature.., bad mannered.. , jiddi, badtameej, , man mauji.." Manav shuru hua.

Elder Vinod ne ek muskan ke saath Manav ko tokte hue kaha, "Asal me.. Saanvi ek badi pyaari ladki hai."

" Nahi.. mai nahi maanta.." Manav ne turant javaab diya.

"Dheere-dheere.. future mein aap khud jaan jayenge," elder Vinod ne shaanti se kaha.

"Future mein..??" Manav ne satarkta se usko dekha.

elder Vinod, Manav ko dekhkar muskuraya,
"Haan! aap donon ka saath lambe samay tak rahenga."

Manav sakpaka gaya tha, " Kya.! Kya matlab! ??"

"Humare boss aapko pasand karte hain aur maante hain ki, aap unke damaad banne ke kaabil hain," elder Vinod ne use bataya.

Ye sunkar, Manav ka muh khula ka khula reh gaya. "Yeh.. Kaisa majak hai?!!

"wo middle - schooler Saanvi bas 14 -15 saal ki hogi.. jabki main 19 saal ka hoon!" usne socha.

Elder Vinod : "Aapko kya lagta hai.., jo moti/bead aapne nigal liya tha wo koi mamuli bead thi?"

Uss din ki ghatna aur fir baad me ladki ka moti! moti! .. ye rat lagana.., aur ab Elder Vinod ki baat...
Manav ko achanak yaad aaya ki jab usne Saanvi ko catch kara tha to uske munh mein candy jaisi koi cheej chali gayi thi.

"Wo.. Kya tha..?" Manav ne poochha.

"Dragon core," eldar Vinod ne dheere se kaha.

Manav ne hairaani se use dekha..,l agta hai ye saare log hi paagal hai.. , usne socha.

Elder Vinod : "Dragons, jo Heaven (swarg/jannat) ke paar udaa karte hai. Kya aap unpar yakeen karte hain?"

Manav ka dimag ghoom gaya tha. Usne naa me sar hilaaya.

"Dragons...., jo aakash aur dharti ko badal dete hain! Kya aapko unpar yakeen nahi hain!!! ?" elder Vinod ne poochhna jaari rakha.

Manav ne phir se naa me sar hilaaya.

"Drago..." elder Vinod phir kuch ulta seedha poochhte, uske pehle hi Manav ne apna sar naa me hila diya. Wo ab irritate ho chuka tha.

Elder Vinod ka, thodi thodi jhurriyon wala chehra utar gaya tha, "Agar aap mera vishwas nahin karenge..!, to wo bead kisi bhi pal aapki jaan le lega!!"

Manav ke chehre par sawaal dekhkar, elder Vinod ne apna haath khola, aur...
Uske hatheli mein ek green-blueish / hare-neele colour ka ek 'water bead' aa gaya!

"Aapke pet ka bead meri hatheli ke water bead jaisa hi hai." Manav ke aashchary ko najarandaaj karte hue, elder Vinod ne dheere se water bead ko hawa me upar utha diya, "Halaanki, jaise-jaise samay beet te ga..."

2022-10-17-17-11-59-371.jpg

Water bead dheere-dheere uske poori hatheli jitna bada ho gaya…

Hare-neele rang ke vishaal, crystal ball jaise water bead ki satah par Manav ke chehre ka saaf reflect/pratibimb ho raha tha.

"Aur aakhir me.., yah hoga...", elder Vinod ne water bead ko dekhte hue kaha.

BhamMM!!!!

Water bead phat pada aur Manav ke upar paani ke chheente aa gaye.

Chaunka aur dara hua Manav, aadha kadam/half step peechhe hat gaya.

Elder Vinod ne muskurate hue Manav ke pet ki or ishara kiya.

Jab water-bead phata tha.., uss pal ko sochte hi Manav ko achanak pet mein dard uthne laga.

"Mere paas saadhna ki vidhi/takneek (cultivation technique) ka ek set hai. Aap ise lein aur apni saadhna par kadi mehnat karein..
Lekin yaad rahe, aapko ise dusre logon se chhipana hoga. . Saadhna ki vidhi ka yah set, aapki body mein maujood dragon core ki power ko daba sakta hai. Isiliye, iss vidhi se yeh phatega nahi.. aur aap bhi jeevit rah sakoge..." , kisi jaadugar ki tarah elder Vinod ne hawa me se ek pracheen/ancient kitaab nikali aur Manav ke haath mein rakh di.

"A - aakhir aap... hain konn..?" Manav ne poochha.
Use aisa laga, jaise uska dimaag confusion se ghoom gaya hai aur in sabhi unrealistic/aavastwik cheejo ko samajh nahi paa raha hai.

"Hum hai........" elder Vinod behtar effects ke liye jaanboojhkar ruka, aur fir Manav ke kaan me phusphusate hue kaha...,

"Dragons..!"

Manav aadha meter aur peechhe ho gaya. Bakwas karne wale boodhe/oldie ko dekhte hue, usne socha ki bhudhau jaroor koi fraudster(dokhebaaj/jaalsaaj) hai.

Lekin Manav ko samajh nahin aa raha tha ki uske haath me water bead aayi kaise thi.

kya wo dhokhadhadi ka ek naya tareeka tha? Aaye din ho rahe frauds ko dhyaan me rakhte hue, Manav ko old man par bilkul bhi bharosa nahin hua.

"Mai jaanta hu ki aisi baaton ko digest karna mushkil hai, lekin aapko inki aadat ho jaegi." elder Vinod ne Manav ke kandhe ko pyaar se thapthapaya. "Ab jab aap hum mein se ek hain, to aapko apne is dragons wale common secret ko secret hi rakhna hoga..,. Aisa karke, aap anjaan khataron se bhi bach sakenge."

Manav ne uljhan me uski or dekha, yah sochkar ki kya dragons insaan jaise dikhte hai? Heaven ke paar udna..? aakash aur dharti ko badal dena..? Kya bakwas hai ye. .!!

Use laga ki, jaroor ye koi ghotalebazi hai, na ki marvel ke characters ki tarah shahar mein chhipe hue superheroes ka ek group!

"Aisa lagta hai ki aapko abhi bhi mujh par bharosa nahin hai." Manav ko dekhte hue, elder Vinod ne achanak se ancient book ko uske ke haath se vaapas le liya aur apne doosre haath ki hatheli.. Manav ke maathe/forehead par rakh di.

Ek dum se, Manav ke dimaag mein chamkeele golden letters/aksharon wala ek paragraph ubhar aaya! Isse pahle ki vah kuch react karta, elder Vinod ne apna haath hata liya.

"Yeh •Spirit Concentration Scroll•/aatm ekaagrata scroll ka pehla chapter hai.. Bahut asaan hai, aur aap ise har raat aadha ghanta dhyaan/meditation karke bhi isme maharat haasil kar lenge..
Mai samay-samay par aapki progress check karunga, aur yadi aap acha perform nahi kar paate hain, to aapko punishment bhi milega," elder Vinod ne Manav se sneh/lagaav se kaha.

"Hahhh...! ye boodha aadmi harmless dikhta hai lekin asal mein hai kitna aggressive! ... Maine kab kaha ki mai inn cheejo ki saadhna karunga..?" Sochte hue, Manav ne ghabraahat aur gusse se use dekha.

" Befikr rahiye, saadhna ki ye techniques nuksaan ki bajaay aapka bhala hi karengi. Doosri taraf, agar aap inse saadhna nahin karenge, to aapki jaan ko khatra rahega. ..
Ab se, mai, apne dragon circle mein aapka guardian hoon.. Yadi aapko koi bhi pareshani ya doubts hote hain, to aap bas mujhe call kar lena....." elder Vinod ne ek name card nikaala aur Manav ko thama diya.

" Inke paas name cards bhi hain .... ye dragons kaafi professional hain, ya shayad nahin hai..."

Achambhit Manav ne name card liya aur us par di gayi jaankaari ko padh wahin jam gaya..

Vinod Bedi, Managing Vice Principal, Chennai University!

"Abse apni pahchaan/identity yaad rakhein.. Ab aap , na keval Chennai University ke student hain, balki ..." apna haath aage badhaate hue, Vinod Bedi ne Manav ke sar ko thapthapaaya,
"Dragon king ke damaad bhi hai."

P.S. :-

* Saadhna, kuch log tapasya bhi kehte hai, dragons ke liye kya maayne hai saadhna ke, kyu karte hai ve saadhna..
Ye sab Annexures jald hi me milega.

ye hua update 9 ,
Fir milte hai naye update ke sath..
To be continued.....
Detailing sahi ja rahi hai ab dekhte hai age kya hota hai kya manav cultivation karega .
 
  • Love
Reactions: Shadow_Chaser
Status
Not open for further replies.
Top