• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Non-Erotic Hamari Anmol Dosti (Completed)

Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,660
144
Bhag - 5

Meri baato aur jazbaato ko samjh'kar seṭh ji ne haan kar diya, main khushi khushi ghar aa gaya. Agale din se main kaam par jaane lag gaya. Naya naya tha pehle kabhi kheton ka kaam kiya nahi tha to mujhe shuru shuru ke kuchh din bahut dikkat hua aur kaam karne ki aadat nahi tha to thakan bhi bahut ho jata tha. Jab shaam ko thaka hara ghar lauṭ'kar aata tha. Raat ka bhojan karke vistar par padte hi mera shareer nirjeev sa hoon jata tha aur main gahri neend me so jaya karta tha.

School ka naya satr shuru huye ek mahine ka waqt ho chuka tha aur main ek bhi din school nahi gaya tha. Iss ek mahine ke waqt me na rishi se mila na hi rishi kabhi mujh'se milne aaya magar ek din rishi khet par aaya aur mujhe kaam karta hua dekh'kar bola... Raghav too yahan khet me kaam kar raha hai magar kyo?

"Rishi too to janta hain ghar ki paristhiti kaisa hain aise me main kaam nahi karoonga to ghar ka kharcha aur dadi ke davai ka kharcha kaise chal payega."

Rishi…ghar kharcha chalane ke liye kaam karna zaroori hai vo too kar raha hain lekin tera paḍhna likhna bhi zaroori hain. Suna hain naya satr shuru hone ke baad too ek bhi din school nahi gaya. Aisa kyon?

"haan yaar toone sahi suna ab too hi bata kaam karun ki school jaoon dono kaam ek hi waqt par nahi kar sakta hoon. school gaya to kaam chhodna padega. Kaam chhoda to ghar ka kharcha nahi chalega isliye paḍhai chhod dena hi behtar samjha."

Rishi... Kya khaak behtar samjha, paḍhai nahi karega to tera bhaviṣy barbad hoon jayega too kheton me majdoor bana'kar raha jayega. Main aisa bilkul bhi nahi chahta isliye too mujhse wada kar school jana nahi chhodega.

"are yaar main ye wada bada nahi kar sakta hoon aur karoonga bhi kyu jab mujhe pata hai ek na ek din wada ṭooṭna hi hain to phir wada karke koi fayida nahi hoga."

tarah tarah ke paintre aajmakar dekh liya par main rishi ki ek bhi baat manne ko taiyar nahi hua. Ant men usne bola...Amma ko kahte suna tha tere marhoom maan baap chahte the too paḍh likh'kar ek kaabil insaan bane kya too apne marhoom maan baap ke ichchha ko yoon hi bekar jane dega kaisa beṭa hain jo unki itni si ichchha bhi poora nahi kar sakta hain. Amma sahi kahti hain too nalayak hai aur nalayak hi rahega. Tere jaise nalayak se dosti rakha, to ek din main bhi nalayak ban jaoonga. Na baba na mujhe nalayak nahi banna isliye aaj aur abhi se na too mera dost na main tera dost.

Itna bolkar rishi palaṭkar chal diya aur mere dimaag me halchal mach gaya. Mere gine chune jitne bhi dost the. Unme se sirf rishi hi ek aisa dost hain jo mere school na jane ka karaṇ janna chaha varna baki ke dost jo mere saath ek hi school men paḍhte hain phir bhi janne nahi aaye, main school kyu nahi ja raha hoon saath hi ye baat bhi mere mastishk me chal raha tha. Mere maan baap chahte the main paḍh likhkar ek kaabil insaan banu in baton par vichar karke maine man hi man ek faisla le liya aur rishi ki or daud laga diya.

Rishi mujhse kafi door pahuch chuka tha. Isliye main bhagte bhagte haaf chuka tha. Hafte hafte us tak pahunch'kar use roka phir hafte huye hi bola...Tujhe lagta hai main nalayak hoon isliye too mujhse dosti todkar ja raha hain. Magar tujhe aisa karne ki jarurat nahi hain mai wada karta hoon main ek din tujhe layak bankar dikhaoonga.

Meri bate sunne ke baad rishi halka sa muskura diya phir palaṭkar chal diya. Bina kuchh bole use jata hua dekhkar main dubara use roka aur phir se vohi baat doharaya magar vo manne ko taiyar nahi hua. Pahle vo mujhe mana raha tha ab main use manne me laga hua tha. tarah tarah ke tark diya tab kahi jakar rishi mana phir dubara milne ki baat kahkar rishi chala gaya.

Agale din rishi phir aaya. Us din rishi khali haath nahi aaya tha. Uske haath men kitaben thi jo mere haath me dekar bola... Raghav ye tere naye satr ki kitaben hain. Ise le aur man lagakar paḍhai karna, paḍhai men aanakani kiya aur tera number mujhse kaam aaya to main tujhse dosti tod doonga.

Pahle to maine usse kitaben lene se mana kar diya antah mujhe uski baat mana pada. Kitaben dekar rishi wapas chala gaya aur shaam ko ghar aakar dadi ko kitaben dikhakar school jane ki baat kaha to dadi shuru hoon gayi.

Dadi... school jaega, paḍhai karega. Paḍhne likhne men tera man to lagta nahi phir paḍhai likhai karke kya karega. Meri baat maan paḍhai likhai ka bhoot sir se utar aur jo kar raha hai vahi kar, vaise bhi too school jayega to ghar kharcha kaise chalega.

Dadi ki bate bura to laga pahle mai school jane se aanakani karta tha. Tab school na jane aur ṭheek se paḍhai na karne ke karaṇ baate suna deti thi aur ab khud se aagrah karke school jana chahta hoon, man laga'kar paḍhai karna chahta hoon tab bhi dadi bate suna rahi hain.

Iss baar unki baton ka mujhe utna bura nahi laga kyonki maine mere dost se wada kiya tha. Saath hi mujhe apne maan baap ki ichchha bhi pura karna tha. Dadi ke baton ka boora na lagne ka ek karaṇ ye bhi tha. ab mujhe dadi ke tane bhari bate sunne ki aadat si hoon gayi thi. Isliye unki bate sunne ke baad main bola... Dadi aap chahe kitni bhi taane maar lo lekin ab ye paḍhai ka bhoot nahi utarne wala aur rahi baat ghar kharche ki to uska bhi main kuchh na kuchh vyavastha kar loong.

Itna kahkar main dadi ke saamne se chala gaya kyonki main janta tha dadi ke samne raha to vo kuchh na kuchh or suna degi. Agle din se main niyat samay pe school janen lag gaya. School to ja raha tha magar ghar kharcha kaise chalega iski chinta mujhe khaye ja raha tha kyonki school se aane ke baad din ka aadha waqt nikal jata tha aur aadhe waqt ke liye koi bhi kaam me lagane ko razi nahi hoon raha tha ye baat rishi se bola tab vo apne babuji se bola ki main school se aane ke baad uske khet me aadhe din se kaam karu magar seṭh ji iss baat par raji nahi huye. Kyonki unka kahna tha. Main khet me kaam karke thak jaoonga. Jyaada thak gaya to paḍhai par dhyaan nahi de paoonga isliye unhone kuchh paise dekar ghar pe ek chhoṭa sa dukaan khulva dene ki baat kaha, jab tak main school me rahoonga tab tak dadi baiṭh jaya karengi aur school se aane ke baad main dukaan sambhala karu.

Unki baten sahi laga magar mera man unse paise lene ko mana kar raha tha, kyonki pahle se hi seṭh ji kai baar paisa dekar madad kar chuke the main paise lene ko raji nahi hua. Isliye unhone baad men chuka dene ki baat kah'kar apni baat manva liya aur khud hi vyavastha karke ghar pe ek chhoṭa sa dukaan khulva diya. Ghar kharche ki chinta se mukt hote hi ham donon doston ke beech ek jung shuru ho gaya.

Iss Jung se ham donon dosto ki dosti aur majboot hota gaya. Ham donon me ek dusre se jyaada numbar lane ki hod lag gaya. Main usse jyaada numbar lata to vo khush hokar pure gaav me miṭhai banṭta aur jab vo mujhse jyaada number lata to main pure gaanv me miṭhai to nahi baanṭ sakta tha magar main apne kṣamta ke anuroop miṭhai baanṭkar khushiya manata tha.

Shalini... Waha ji waha kya dosti hain? Ek dusre se jyaada numbar lane ki hod lagi thi phir bhi ek dusre se chidte nahi the.

"hamari dosti kamajor thodi na thi jo ek dusre se chidte, hamari dosti ganne ki tarah meeṭha aur nariyal ki tarah bahar se shakt aur andar se mulayam hain or ek baat ek din mujhe kuchh aisa pata chala jiske baad hamari dosti aur jyaada majboot hoon gaya ya yoon kahoon aṭooṭ hoon gaya."

shalini... Aisa kya pata chala jisse aap dono ki dosti aṭooṭ hoon gayi.

Ye baat tab ki hain jab main aur rishi matric me jile bhar me ṭop kiya tha. Mere paas mobile tha nahi, rishi ke papa ke paas tha isliye mera rol number use de diya jab result aaega tab dekhkar bata dega. Jis din result nikla dekhte hi rishi bhaga bhaga ghar par aaya aur mujhe gale se laga'kar bola... Yaar toone to apne maan baap aur gaanv kaa naam raushan kar diya yara toone pure jile men ṭop kiya hain.

Ye sunte hi main khushi se uchhal pada magar meri khushi pal bhar ke liye tha kyonki achanak mujhe khyaal aaya ki maine aagar ṭop kiya to rishi ne kya kiya? Ye baat mere dimaag me aate hi turant usse alag hua aur bola... Mera chhod too bata tune kya kiya?

Rishi... Mera dekha hi kab jo pata hoga sabse pahle tera dekha bas khushi ke mare wabla hokar bhaga bhaga tere paas chala aaya.

" too bhi na rishi! Chal koi baat nahi abhi dekh'kar bata tera result kaisa aaya?"

Rishi... Are chhod na yaar baad men dekh loonga abhi tere ṭop karne ki khushi manate hain.

"dekh rishi mujhe abhi ke abhi tera result janna hai too dekhkar batata hai ki main khud dekhoo."

Rishi... Too manega nahi chal ṭheek hai mera result bhi dekh lete hain.

Mere ṭop karane ke khabar dekhte hi rishi itna wabla hoon gaya thaa ki mobile saath me lekar chala aaya mere kahte hi turant rishi ne apna result dekha. Result dekhte hi rishi khushi ke mare uchhal pada aur chikhte hue bola... Yaar tere saath saath maine bhi jile men ṭop kiya bas tere se ek numbar kam aaya.

Rishi ke ṭop karne ki khabar sunkar main bhi khushi se cheekh pada aur use gale se laga'kar bola... Yaar tere ṭop karne ki khabar se khush hua magar dukh bas is baat ki hai ki tera mujhse ek numbar kam aaya ye ek numbar tera mujhse jyaada aata to kitna achchha hota.

Rishi... Shayad too bhul raha hai toone mujhse kya wada kiya tha? Ek baar wada ṭooṭ chuka hai is baar ṭooṭta to main tujhe maaf nahi karta aur wade ke mutabik dosti tod deta.

Rishi ki in baton ne mere aankhon me nami la diya. Meri aankhon me nami isliye nahi aaya tha ki main uski baaten sunkar khush tha balki isliye aaya tha. Mera usse jyada number aaya jiska uske man men ratti bhar bhi dveṣ nahi tha balki numbar usse kam aane par dosti todne ki dhamki de raha tha.

Ye baat mere mastishk me aate hi pal bhar me mere aankho ki nami ko sukha diya phir use rookne ko bolkar main miṭhai lene chal diya.

Ghar ke nazdeek hi miṭhai ki dukaan thi. Waha se miṭhai lekar jaise hi main ghar ki dehleez par kadam rakha mere pair svatah hi jahaan ka tahaan jam gaya.

To be continued…
 
  • Wow
Reactions: Various Eye

Various Eye

Member
208
156
43

Tippdi sham ko deta hoon
 
  • Like
Reactions: Destiny

Raghav ki kai aur dost the par shyaad sabhi matlab ke dost the varna pira mahina school khulne ke bad bhi koyi khabar lene nahi aaya ki raghav school kyu nahi aaya.

Vahi rishi ne jab raghav ko khaeto me kaam karte huye dekha tab school jane ka karan pucha raghav ne jo karan bataya vaisi hi uski muskile thi. Ghar ka karta dhrta vohi tha dadi chotil thi aise me use sirf koyi ek hi kaam karne ka rashta chunna tha. Lekin jo rasta raghav ne chuna rishi usse nkhush tha.

Barhal raghav se vade lekar use ek baar phir se padhi me laga diya aur dono dost me hod si lag gaya ki kaun kise parasht kar sakta hai. Yah ek baat jaane ko mila ki dono ki dosti me koyi khot nahi hai agar aisa hua hota to dono ek dusre se hod karte huye ek dusre ke birodhi ban jate magar aisa kuch hua nahi. Ab ye kaun si bate raghav ko sunne ko mila jise sunkar raghav ke pair rook gaye? Dekhte hai next updat me kya hota hai?
 
  • Love

Abhar mitr ho sakta hai vo sabhi dost jaydaa dhyaan na de rahe ho aise me kisi ko matlabi kaha dena theek nahi hoga kyuki rishi bhi to ek mahine baad raghav se mil raha tha. Agar raghav uske keto me kam nahi karta to ho sakta hai dono ki mulakat hi nahi pata pata.
 
  • Like
Reactions: Various Eye
Top