• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Non-Erotic Hamari Anmol Dosti (Completed)

Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,660
144
Bhag - 3

Shalini ke bolte hi main turnt uske paas pahuncha, uske haath se tasveer jhapaṭ liya aur use gaur se dekhne lag gaya. Dekhte dekhte mere nain jhar jhar baras pade maano ek sailab aaya ho aur raste me aane wale sabhi badhao ko todkar apne tay mnjil tak pahunchane ki koshish kar raha ho.

Mere baraste nain ki ek ek asru ki boond tasveer ko bhigone lag gaya. Jise dekhkar shalini boli…kaun hai ye shaks jiski tasveer ko dekhkar tum apni bhavnao ko niyntran me nahi rakh pa rahe ho aur asru dhaara baha kar tasveer ko bhigo rahe ho.

Shalini ke poochhate hi main fafak fafak kar ro diya. Mujhe rota hua dekhkar shalini ek baar phir poochha, iss baar mere lav swata hi khule aur main bol pada... Ye shakhs (kuchh der rooka ek gahari swas lekar khud ko niyntraṇ me laya phir aage bola) ye shakhs mere liye beskimti hain mere jeevan ka ek anmol dharohar hai. Main aaj jahan hoon yahan tak pahunchane men is shakhs ka yogdaan sabse jyada hain. Yaha shakhs mera jigri dost, mere dukh sukh ka saathi hain.

Shalini... Achchha (kuchh kṣaṇ rooka phir tnjiya lahje me boli) itna hi khas tha to tumne inhe bhula kaise diya. Ooo hooo samjha bulndi tumhare kadam choomne lage to daulat aur shauhrat pane ke ghamanḍ me tum itna choor ho gaye ki aapne jeevan ke khash shakhs apne jigari dost ko hi bhula diya. Chhee chhee raghav mujhe tumse ye umeed na thi.

Shalini ki tnjiya shabdon ne mere hriday bedana ko aur bada diya. Uske bole ek ek shabdteer mere hriday ko chhalni karte hue aar paar nikal gaya. Jitna sahan kar paya saha jab sahan seema ka bandh ṭooṭ gaya to main bolne se khud ko rok nahi paya.

"shalini tum mujhe aisa bol rahi ho. Jabki is wakt tumhe mera sahara banana chahiye magar tum sahara banne ke jagah mujh par hi tnj kas rahi ho. Tum janti hi kya ho? Main kitna ḍhoonḍha magar na jane kaun si andhi chali jisne mere dost ko mujhse door kar diya."

shalini… ḍhoonḍha! Chhee, chhee raghav jhooṭh to na bolo, duniya me aisi kaun si vastu hai. Jise ḍhoonḍha nahi ja sakta. Ret ke ḍher men gira chini ka dana ḍhoonḍh kar nikala ja sakta hai. Sarknḍae men gira sui bhi ḍhunḍhakar nikala ja sakta hain aagar wakt lagakar aur dheeraj rakh'kar ḍhoonḍha jaye. Magar tumne na dheeraj rakha na hi wakt lagaya to tumhe kaise milta. (kuchh der rooki phir aage boli) o samjhi tum apne dost ko ḍhoonḍhne me waqt lagate to daulat-shauharat kamane ke waqt me kami pad jata. Kyo raghav maine ṭheek kaha na?

Shalini ki boli gayi ek ek shabd mere dil ko chubha, behad chubha aur in chubhan se dard bhi behad hua. Ek dard pahale se hi mere dil me maujood tha. Uspe ek aur dard, jab dono dard ka samagam hua tab mere behte aashu swata hi rook gaye. Kyo rooka main nahi jaan paya, shayad vajah ye rah hoga ki dono dardo ko kam karne ke liye jitne aasoo chahiye utna aansoo mere aankho me bacha hi nahi hoga.

Aasoo rookne ka ek fayida ye hua ki meri nazre jo shalini par ṭika hua tha. Use shalini ki aankhon se bahta hua aasoon dikh gaya. Jise shalini ne bade safayi se ponchh liya.

Main samajh hi nahi paya uski aakhon ne aasroo dhaara kyo bahaya, main bas nazar ṭikaye uski aankho men dekhata raha. Achanak shalini ke chahare ka bhaav badla aur mand mand muskaan chehre par sajaye mere paas aayi phir mujhe gale se laga'kar mujhe dilasa dete hue boli... Chalo mana ki tumne unhe ḍhoonḍhane ki bahut koshishe kiya magar tumhari koshishe rang nahi layi. Ham unhen ḍhoonḍhane ki phir se koshish karenge aur is baar tum akele nahi balki main bhi tumhare saath rahunga. Shayad do logon ki koshish karne se tumhara dost tumhe mil jaaye magar shuruaat karne se pahle mujhe tumhare dost ke bare me janna hain jo mujhe tumne kabhi nahi bataya jabki tumne kabhi bhi mujhse koi baat nahi chhupaya.

Shabd bada ajeeb hota hain. Jise bolne ka bhaav alag alag hota hain. Ek hi munh aur usse nikla hua shabd ghaav bhi deta hain phir malham lagane ka kaam bhi karta hain. Jiska jita jagta misaal iss waqt shalini bani hui thi. Usi ke munh se nikla hua shabd mere dil ko ghaav diya aur ab usi munh se nikla hua shabd unhi ghaav par marham lagane ka kaam bhi kar raha tha. Jo mujhe hairan kar gaya main samajh nahi pa raha tha ki abhi abhi shalini mujhe tnjiya shabd teer maar rahi thi phir ekaek kya ho gaya jo itna meeṭha shabd bol rahi hain. isliye main hairani bhaav chehre par liye ek ṭak uski aankho me dekhne lag gaya.

Chnchal muskaan se muskurate hue mujhe kuchh pal dekha phir mera haath thame study room me maujud kursi par baiṭha diya aur mere pichhe khadi hokar mere gale me baanho ka haar ḍaale mere gaalo se apna gaal ragadte hue boli...Yoon hairan hona chhodo aur jo maine poochha use bolna shuroo karo (kuchh der rooki phir mere gaal par ek kiss diya or aage boli) plese bolo na ab der kyon kar rahe ho main tumhare dost ke baare me janne ke liye utaavla hua ja raha hoon.

Pyaar se aagar baat ban jaye to maayan se talavaar nikalne ki jarurat hi kya hain. Shalini bhi iss baat ko bakhoobi janti hain. Bas thodi si pyaar aur andar chhupa sabhi raj bahar, uski issi ada ka main bhi khayal hoon tabhi to main ek raṭaua tote ki bhanti bol pada…

shalini tum to janti hi ho bachpan me ek aapda me maine, mera pura parivaar kho diya tha. Mere aage pichhe koi tha to vo dadi thi. Jinhone mujhe pal posh kar bada kiya aur ek kaabil insaan banne me meri madad kiya. Mere kaabil banne men jitna haath mere dadi ka tha usse kahi jyada haath mere dost rishi ka tha.

"Rishi... naam se hi sadhu shant maloom hota hain hi hi hi"

itna bolkar shalini khilkhila kar hans diya. Jo mujhe pasand nahi aaya to gussa bhaari najar se uski aur dekha. Thodi si gaal ki ragdai, ek kiss aur kaan pakadkar sorry bolne ki ada ne mere gusse ko gaayab kar diya aur main aage bolna shuroo kiya…

hamare din bade hi kheencha taani me kaṭ rahe the. Lekin dadi hamesha kahti thi ki "ye din hamesha nahi rahenge kabhi na kabhi hamare bhi din badlenge."

Ab din badalne ke liye mehnat aur lagan ki zaroorat padti hain jo mere andar bilkul bhi nahi tha. Main laparwaha khud me hi mast rahta tha. Kuchh gine chune dost the. Jinke saath maṭargasti karta firta tha. Kabhi nahar me nahane jaana to kabhi baago me jakar phal churana, inhi kaamo me mujhe maza aata tha.

Paḍhai likhai par jyada dhyan nahi deta tha jab tak school me rahta bas yehi khyaal man me rahta ki chhuṭṭi ho aur mujhe in kitabon ke bhoj se mukti mile, jaise hi chhuṭṭi hota main turnt ghar aakar wasta aise fenk deta tha maano uski phir kabhi jarurat hi nahi padne wali, jiska nateeja ye hota ki mujhe shaam ko dadi se ḍaanṭ padti "tujhe ye kitaaben bojh lagta hain magar too ye kyo nahi samajhata abhi toone in kitaabon ka bhoj nahi uṭhaya to ek din tujhe bahut bhari bojh ḍhona padega jo in kitaabon ke bojh se bhi bhaari hoga jise ḍhon pana tere liye snbhav nahi hoga. Abhi waqt hain smbhaal ja varna baad me pachhatane ke alava kuchh nahi milega."

dadi ki baaton ko main ek kaan se sunta dusre kaan se nikal deta tha. Kyonki ye to roj ka kissa hain isliye main bhi jyada tul nahi deta tha. Jab unki nahi sunta to dadi phir kahti "raghav too meri baaton ko dhyaan se kyo nahi sunta un par amal kyo nahi karta hai, sun munna tu nahi jaanta mujhe seṭh ji ke kheton me kitna kaam karna padta hain chaṭak dhoop me jalna padta hain (phir apna badan dikhate hue aage bolti) dekh mere badan ko dhoop ki tapan kitna jhulsa diya hain jiske karaṇ meri chamadi kali pad gayi hain. Main nahin chahti ki tujhe bhi aise hi dhoop me jalna pade isliye paḍhai par dhyaan de aur maṭargasti karna kam kar de"

unki baaton ka mujh par ratti bhar bhi asar nahi hota tha. Main us waqt to haan haan kah deta tha magar baad men jioon ka tioon bartab karne lag jata tha. Dadi ki bolne se main sudhar nahi raha tha to oopar wale ne aakhirkar mujhapar apni chhadi chala hi diya.

Ye baat us waqt ki hai jab meri aaṭhavi kakṣa ki pareekṣa ho gaya tha aur scool ki chhuṭṭiya pad gayi. Bas phir kiya mere pnkh jo pahle se hi khule hue the vo or jyadaa khul gaya main dadi ke kaam par jate hi ghar se nikalta aur shaam ḍhalne ke baad ghar lauṭ kar aata tha.

Aise hi ek din main seṭh ji ke bagiche me gilli ḍanḍa khel raha tha. Us waqt ḍanḍa mere haath me tha aur abhi abhi gilli ka ek ṭol maar'kar main khaḍa hi hua tha ki Koi mere pichhe se aaya aur mujhe palṭa'kar "chatakkk" ek thappad mere gaal par mara jiski goonj bagiche men goonj gaya. "chatakkk" ek thappad aur pada phir to mujh par thappado ki jhadi jaisa lag gaya.

To be continued…
 
  • Like
Reactions: Various Eye

Various Eye

Member
208
156
43

Shandar bhag raha pichle bhag ki tarah ek ek shavd ko tol mol kar likha gaya.

Shalini ki tane sach me hridy ko chalni kar dene wala tha magar jab shalini rishi ko janti hi nahi uske dur hone ki vajah nahi janti phir ragav ko tane kyu de rahi thi.

Dadi ka kahana bhi sahi hai vo jo bhi kah rahi thi raghav ke bhale ke liye hi kaha rahi thi jabki raghav shyaad galt sangat me padh jane ke karan dadi ki bato ko tul nahi deta tha ya phir maan baap ke na hone ke karan uske man se dar kosho dur nikal gaya hoga yahi ek karan, dadi ki bato ko na manne ka ho sakta hai.

Vaise vo shakhs kaun hai jo raghav ko thappad mar raha tha jarur vaha shakhs us baag ka malik hi hoga. Dekhte hai aage kya hota hai?
 
  • Love
Reactions: Destiny

Bahut bahut shukriya

Shalini ke tane dene ke piche ek karan hai jiska pata baad me chal jayega bas thoda dheeraj rakhe.
 
  • Like
Reactions: Various Eye

Destiny

Will Change With Time
Prime
3,965
10,660
144
Bhag - 4

Ek ke baad ek thappad mare jane se mujhe sambhalne ka mauka nahi mila saath hi mujhe samajh nahi aaya ki mujhe thappad kyo mara ja raha tha. Kyonki mujhe thappad marne wala seṭh ji ka laḍka rishi hi tha. Vo janta tha ki ham yaha khelne aaya karte hai aur kabhi kabhi wo bhi hamare saath khel liya karta tha. Jab samajh nahi aaya tab main bola...Rishi mujhe maar kyu raha hain. Hamara yahan khelna tujhe pasand nahi hai to bol de ham kahin aur jakar khel lenge.

Rishi...Raghav too itna laparwah kaise ho sakta hain tu janta bhi hai amma ke saath kya hua hain?(itna bol'kar rooka phir tnjiya lahje me aage bola) are are main bhi kisse poochh raha hoon. Usse, jise amma ki bilkul bhi fikar nahi hain. Bas thali bhar bharke khana chahiye aur khelne koodne ke liye aavara dost, amma chahe jiye ya mare usse tujhe kya?

Ek to pahle bevajah mara uske baad itni bate suna diya bas mera para chaḍh gaya. Use ungli dikhate hue "Rishi too jyada nahi bol raha hain" bas itna hi bola tha ki ek aur chaṭa mere gaal par pada phir rishi bola...Jyaada! Ye to maine kaam bola mera bas chalta to tera haath paav tod deta. Are tera haath paav tod diya to bichari amma ka khayaal kaun rakhega unka bhi paav ṭooṭ gaya hain hi hi hi.

Mujhe laga Rishi aise hi bol raha hoga kyonki uske bolne ka lahaja mujhe majakiya laga lekin jab dubara bola tab mujhe yakeen hua ki Rishi jo kah raha hain vo sach hain. Yakeen hote hi main ghar ki aur daud laga diya tab rishi pichhe se bola...Amma ghar par nahi hai unhe hospital le kar gaye hain.

Uski bate suna to tha magar jyada dhyan nahi diya bas daudta gaya daudta gaya aur kuchh waqt me main ghar pahunch gaya. Jahan mujhe dadi nahi dikha tab main bas ghar se nikla hi tha ki rishi hanfte hue pahunch gaya or bola...Kitna tez bhaagta hai Olympic men dauda diya to golḍ lekar hi aaega.

"Rishi majak mat kar bata dadi kaha hain."

Rishi... Too jyada chinta na kar amma ko babuji hospiṭal lekar gaye hain. Jaldi hi aa jayenge.

Itna bolkar rishi mera haath thame ghar ke bheetar lekar gaya. Ek dari bichhakar baiṭha diya aur khud bhi mere paas baiṭh gaya. Us waqt mere dimaag me ajeeb ajeeb sa khyaal chal raha tha. Jise sochate hue mere aankhon se aansoo bah nikla ekaek mere kndhe par haath ka sparsh mahsoos hua. Tab main palaṭ'kar dekha to mere aankhon se bahte aansoo ko ponchhate hue rishi bola... Kya hua ro kyo raha hain.

"dadi.." isse aage mere se kuchh bola nahi gaya. Magar rishi meri mano bhav samajh gaya or bola…pagle too kuchh galat salat na soch amma ki sirf ṭaang ṭooṭa hain samjha na aur meri baat dhyaan se sun ab se amma ka dhyaan rakhna. Tere alava amma ka hai hi kaun magar tujhe amma ki paravaha hi nahi hain. Kabhi gaur kiya amma is umr men kitni mehnat karti hai din bhar kheton me ji tod mehnat karti hai kisliye sirf do joon ki roṭi aur teri paḍhai likhaii ke liye magar tera dhyaan sirf aavara gardi karne pe laga rehta hain. Yeha bate maine tujhe kai baar samjhaya par too samajhne ke jagah mujhse hi milna julna kam kar diya.

Rishi ke in baton ka mai koi jawab hi nahi de paya. Kya jawab deta uska kahna bilkul sahi tha. Jab ham us gaanv aaye the to shuroo shuroo men mera koi dost nahi tha. Rishi hi mera pahla dost bana tha. School se aane ke baad ghar par hi rahta tha. shaam ko rishi ke saath uske khet me ghoomne jaya karta tha phir dheere dheere kuchh aur dost bane main unke saath jyaada waqt bitane laga.

Mera ghoomna firna din par din baḍhta hi gaya jisse pareshaan hokar dadi mujhe samjhane lag gaye ki mujhe ghoomne firne par jyaada dhyaan na dekar paḍhai likhai par jyaada dhyaan dena chahiye magar main unki sunta hi nahi tha phir rishi bhi yahi baat kehne lag gaya ek hi baat baar baar sunne se mujhe cheed sa hone lag gaya aur main rishi se milna jhoolna kam kar diya.

Aaj phir rishi ne un baaton ko dauhra diya. Jise soch'kar mujhe kuchh kuchh ahsas to ho raha tha magar maine kuchh bola nahi shaayad rishi bhi samajh gaya isliye usne bhi chup rahna behtar samjha.

Khair din ka waqt bita shaam ko didi hospiṭal se aa gayi. Unke ek ṭaang me plaster chaḍha hua tha. Rishi aur uske papa mujhe dadi ka khyaal rakhne ko bolkar chale gaye.

Pair mudne ki vajah se edi ka jod khisak gaya aur umr ki adhikta ke karaṇ ṭheek hone me samay lagna tha aur doctor ka kahna tha jaldi ṭheek hona hai to pair par jyaada vajan nahi ḍalna hain na hi jyaada chalna firna hain bas vishraam karna hain. Isliye mere din ka adhiktar waqt dadi ka khayal rakhte hue ghar par batane laga.

Jab bhi kisi kaam me meri jarurat padti dadi mujhe aawaz de deta tha magar jab khana banane ka waqt aata tha tab dadi mujhe sunate hue bolti...Taad jaisa ho gaya hai magar koi kaam karna nahi aata kuchh aata hain to bas thaali bhar bhar'ke khana aata hain. Socha tha ṭang ṭooṭ gaya hai ab kuchh aaram karne ko milega lekin kaha aaram din men teen time garama garam khana bana'kar khilana pad raha hain.

Dadi ki baate sunkar mujhe bura lagta tha magar kuchh kah nahi pata tha sirf sunkar man masos'kar raha jata tha aur jab kabhi rishi se milta tha tab bata diya karta ki dadi aisa aisa kahti hain. Tab vo mujhe samjhate hue kahta.. Jab amma khana banane jaaya kare tab unki madad kar diya karna phir kabhi nahi kahegi.

Uski bate sunkar mujhe lagta ki rishi ṭheek kah raha hain. Isliye jab bhi dadi khana banane jati tab main unke saath me rahkar madad kar diya karta tha. Madad karne ka bhi koi fayda nahi hota tha madad karte hue bhi vahin bate sunne ko milta tha. Dadi ke in tano se pareshaan hokar maine ṭhaan liya bhojan pakana sikh kar hi rahunga. Mujhe waqt to laga, shuroo shuroo men bhojan jale haath jale kabhi namak jyaada kabhi kam, antah bhojan pakana sikh hi gaya.

Shalini- dadi ji ke tano ka bahut fayda hua. Jiska sabse jyaada fayda mujhe pahuncha. Kyo maine ṭheek kaha na?

"ṭheek to kah rahi ho par tumhe kya lagta hai bhojan pakana, seekhna mere liye itna aasan raha. Us waqt bhi sunne ko milta tha."

shalini... Achchha kya sunne ko milta tha.

Itna bolkar shalini mere gaal se gaal ragadte hue khilkhila kar hans diya aur main bhi hanste hue bola... Tum to jante ho mujhe kya sunne ko milta tha phir bhi tum sunna chahti hoon. Un bato ko sunne me tumhen bada maja aata hain. Bolo hain na!

Shalini... Achchha baba main nahi sunti aage to sunao.

Paiso ki tngi din va din baḍhta ja raha tha. Dadi ke davai ka kharcha, ghar ke rashan ka kharcha saath hi mera school ka naya satr shuroo hone wala tha uski kitabe khareedne ke liye bhi paise chahiye the. Halaki jab tak dadi poori tarah ṭheek nahi hoon jati aur kaam karne layak nahi hoon jate tab tak sabhi kharcho ko uṭhane ki jimmedari seṭh ji ne le rakhaa thaa.

Jab bhi seṭh ji paise dene aate the tab dadi bolti thi... Mere bhi kitne bure din aa gaye hain isse pahle kabhi kisi ka ahasan nahi liye par dekho ab logo ke ahasan tale jeena pad rahaa hain. Taad jaisa lamba ek pota hai magar use koi paravah hi nahi, paravah hoga bhi kyo muft ki roṭiyan todne ko jo mil raha hain. He prabhu ye din dikhane ke liye mujhe zinda rakha tha. Aisa din dikhane se achchha hota too mujhe bhi iske maan baap ki tarah apne paas bula liya hota. kam se kam mujhe apne khuddari ke saath samjhauta to nahi karna padta.

Seṭh ji kuchh bolne jate to dadi seṭh ji ko chup kara dete the. Unki tane sunkar main sahan nahi kar pata tha isliye kuchh waqt ke liye ghar se door ek ekant jagah jakar baiṭh jaya karta tha phir ro ro kar khud ko shant karne ki koshish karta tha. Magar kab tak main in baton ko sunkar sahan kar pata, antah mere sahan shakti ne jawab de diya aur main seṭh ji ke paas jakar unse bola...babuji mujhe bhi aapke khet me kaam karna hain. Janta hoon main tajurbe'kar nahi hoon magar main wada karta hoon aapko shikayat ka mauka nahi doonga.

Seṭh jee…abhi tumhare kaam karne ke din nahi hain tum pehle paḍhai likhai kar lo phir tumhare layak koi achchha kaam tumhen ḍhoonḍh doonga.

"paḍhi likhai pehle kabhi kiya nahi to ab karke kya fayda? Mera kaam karna hi ṭheek hoga. Main kaam kar'ke kuchh paise kamaoonga to dadi ko kisi ka ahasan nahi lena padega, unke khuddari ko choṭ nahi pahunchega. Aagar aapke paas mere layak kaam nahi hain to bata dijiye main kisi or ke paas kaam ḍhoonḍh loonga."

to be continued…
 
Purv ki bhago ki tarh yahn bhag bhi ati uttam raha.

Rishi jo raghav ka dost hai usi ne dadi ki suchna dene ka yahana tarika nikala lekin rishi ne raghav ke saath aisa kyu kiya vo use aise hi bata sakta tha aur kitni kadvi bate bhi suna diya. Jabki raghav, didi ke saath huyi durghtna se anjan tha.
Aur didi ki itna seva karne ke baad bhi dadi tane diye ja rahi hai. Didi aisa kyu kar rahi hai jabki unhe dikh raha hai ki raghav se jitna ho raha hai utna kar raha hai khana bana nahi aata tha vahan seekh raha hai. Dekhte hai aage kya kya hota hai.
 
Last edited:
  • Love
Reactions: Destiny
Top