• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy CHAMATKAR (Completed)

Opinion Of the Story...

  • Good

    Votes: 229 96.6%
  • Bad

    Votes: 8 3.4%

  • Total voters
    237
  • Poll closed .

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,869
173
UPDATE-85
Jabki shobhna abhi bhi kahi khoyi huyi thi….munish ke aane ke dono ka apas me parichay hua…lekin dono me se kisi ne bhi nazare nahi milayi par hairan dono huye.

Munish (khush hote huye mann me)—aaj main mast need sounga…..ab raat bhar rishi rahega…aur agar na bhi rahta tab bhi koi dikkat nahi thi…kyon ki madhvi to hai hi nahi ghar me…hahahaha…ja adii beta tera to kalyan ho gaya..meri madhvi bach gayi…hihihihi

Shobhna ki need gayab ho chuki thi…..na jane usko kya ho gaya tha….bahut soch vichar ke baad usne mann hi mann kuch nirnay liya aur apne kaksh se nikal kar ek kamre ki taraf badh gayi.

Subah jab munish ki need khuli to ek baar phir se uske chehre ka rang ud gaya ….

Ab Aage……..

Rishi apne kamre me aane ke baad bahut chintit ho gaya….usko kuch samajh hi nahi aa raha tha ki uske sath ho kya raha hai.

Rishi (mann me)—main nanga kaise ho gaya…kisne kiya….mujhe kuch yaad kyo nahi hai…..main aisa to kabhi nahi tha….maine Rajnandini ke alawa kisi ki taraf aaj tak nazar utha kar bhi nahi dekha…..aur mera vo ang itna bada kaise ho gaya hai jabki ye pahle to itna nahi tha….lagta hai mere upar devlok ka koi asar ho raha hai….mujhe dhyan laga kar guru ji se baat karni hogi.

Rishi dhyan me baith gaya aur usme leen hote hi uska sampark vastavik duniya de cut ho gaya…ussi samay khali pinjara dekh adii usme aa gaya.

Idhar shobhna ki need haram ho chuki thi….ghum phir kar uski ankho ke samne snan grah ka vahi drishya aa jata tha….jab lakh koshish karne ke baad bhi khud ko nahi samjha payi to usne mann hi mann kuch nirnay lekar rishi ke kaksh me pahuch gayi.

Rishi to uss samay dhyan ki duniya me tha…uska sampark sthool sharir se iss samay nahi tha..usme adii aa chuka tha….shobhna ne kaksh me pahuch kar adii ki oor ek yachna bhari dristi se dekhne lagi.

Adii (mann me)—ye koun hai….? Lagta hai munish ne mere raat ke liye koi apsara ka prabandh kiya hai….chalo achcha hai…raat badhiya gujar jayegi.

Adii ne uth kar shobhna ko apni baho me samet liya aur usko bistar me le jake apni ratri krida me leen ho gaya jabki dusri taraf munish aaj madhvi ke yaha na hone se khushi me chain ki need so gaya tha.

Sambhog kriya ke pashchat adii aur sobhna vahi so gaye….adii ke sote hi rishi vapis aa gaya….lekin jaise hi khud ko munish ki maa ke sath nagn paya to chounk gaya.

Rishi (shocked)—main phir se nagn kaise ho gaya…? Maine to poore kapde pahne the phir ye sab…? Ohhh ye mere sath kya ho raha hai…? Main rajnandini ko kya muh dikhaunga.

Rishi bistar se niche utar gaya aur ghar se bahar jakar gardan me so gaya….uske sote hi adii phir aa gaya aur khud ko yaha dekh hairan rah gaya.

Vo phir se andar chala gaya aur shobhna ko dekh kar punah kaam krida me lipt ho gaya…..subah jab munish ki need khuli to usne shobhna ko rishi ke kamre se nikalte dekha. To vo bhi rishi ke paas chala gaya.

Munish—aur kaise ho rishi bhai…? Raat kaisi gujri…?

Adii—kya bhai, aap bar bar mera naam kyo bhul jate ho…main rishi nahi adii hu…adii.

Munish (shocked)—tum adii kab ho gaye…..? aur tum kab aaye…? Tumhe to subah aana chahiye tha…tumne achanak shift kaise badal li…? Ye to ek hafte chalni thi na.

Adii—vo kya hai na bhai…hamare desh me kabhi kabhi double duty bhi karni padti hai…..vaise apka bahut bahut shukriya….raat aapne mast maal bheja tha…ragadne me maza aa gaya.

Ye sun kar to munish ke chehre ka rang hi ud gaya……uske chere par hawaiya udne lagi….usne aage bina kuch kahe shobhna ko lekar vaha se dusre ghar chala gaya.

Munish (mann me)—adii ye tune kar diya…ab main tujhe apne yaha nahi rakhunga…maine usse aisa vardan hi kyo diya…? Main barbad ho gaya.

Shobhna—tu mujhe itna jaldi vapis kyo lekar ja raha hai…mujhe abhi aur rukna hai yaha

Munish—nahi..nahi…bas ab aur nahi…aap aur madhvi kuch din ek sath hi rahogi.

Shobhna ne kayi bar vapis bhejne ka karan pucha lekin usne kuch nahi bataya…shobhna ko madhvi ke paas chhodne ke baad loutne time usko dev guru brahaspati mil gaye.

Dev guru—kya baat hai putra…bahut chintan me lag rahe ho.

Munish—pranam guru dev.

Dev guru—tumhara kalyan ho vats.

Munish—nahii..nahii guru dev…ye ashirwad mat dijiye….

Vahi dusri taraf Rajnandini ke iss vikaral roop ko dekh kar azgar ke pishach yoddha vaha se bhagne lage lekin rajnandini ne unhe bhi yamlok pahucha diya kewal ek ko jinda chhod diya.

Rajnandini—ja aur kah de apne malik azgar se ki rajnandini abhi jivit hai..aur uske rahte yaha koi anyay nahi hoga ab.

Vo sainik vaha se bhag khada hua aur mukhiya sahit poore gaon wale rajnandini ke pairo me gir pade…mukhiya ki vo beti bhi uske samne jhuk gayi.

Mukhiya—aaj tumne phir se hamari laaz bacha li…main kaise tumhara dhanyawad karu..?

Rajnandini—iski koi avashyakta nahi hai mukhiya ji….aaj se aap sab mere makan me rahenge…jaiye aap sab jaldi se apna saman lekar mere makan me chaliye..iske pahle ki vo shaitan yaha aa jaye.

Mukhiya—lekin itne sare log ek makan me kaise aa payenge…?

Rajnandini—mera makan tilismi hai…usme kafi jagah hai….uske andar bina meri ijajat ke koi pravesh nahi kar sakta hai…aap sab vaha surakshit rahenge…jaldi kariye, samay bahut kam hai..kyon ki agar khud azgar aa gaya to phir shayad main bhi aap logo ko nahi bacha sakungi usse.

Sab jaldi jaldi apna apna saman lekar biwi bachcho sahit rajnandini ke sath uske makan me aa gaye…itne logo ke rahne ke hisab se jagah paryapt to nahi thi kintu phir bhi vipreet paristhitiyo ke anusar kaam chalaya ja sakta tha.

Rajnandini—main janti hu ki jagah ki kuch kami hai…lekin aap sab ko isme hi kuch din tak mil jul kar rahna hoga ye poori tarah se surakshit hai…koi iss makan ke andar nahi aa sakta hai….haa bas ek baat ka dhyan rahe ki chahe kuch bhi ho jaye koi iske bahar na nikle…jab tak aap andar hain tab tak surakshit hain…sab ke bhojan pani ka prabandh maine kar diya hai kuch dino tak kisi ko dikkat nahi hogi iski….mujhe ab jana hoga, aap sab meri baato ka dhyan rakhna.

Mukhiya—beti kya ab bhi tumhe lagta hai ki vo ayega, jo tum raat din uske liye bhatakti rahti ho…?

Rajnandini—mukhiya ji, jaha chah hai vahi raah hai…achcha namaskar

Rajnandini sab ko kuch hidayte dekar vaha se kisi anjane safar par nikal gayi….dusri taraf ganpat rai ne jaise hi anand aur sab ko bataya ki khatra aa gaya hai to sabhi turant asha ki ek ummid liye uske sath sath chal diye.

Sabse jyada vyakulta to shree ke hriday me ho rahi thi…uska dil dhak dhak kar raha tha…vo mann hi mann yahi prarthana kiye ja rahi thi ki adii jindo ho…..ganpat unhe ek kaksh me le gaya jaha par khatra aur chitra manav roop me baithe huye the.

Ganpat—anand sb. Inse miliye yahi hain adii sir ke dost aur khatra ji, ye hain adii sahab ke pita ji.

Khatra (pair chhute huye)—vo bhale hi mujhe apna dost mante rahe ho lekin maine hamesha khud ko unka mulazim hi samjha hai.

Anand (vyakul hokar)—kya tum bata sakte ho ki mera beta kaha hai….? Kya hua tha usse…? Maine tumhe aaj se pahle to kabhi nahi dekha, jabki uske sare dosto ko main janta hu.

Khatra—aap ka kahna sahi hai…halanki maine kayi bar aap ko dekha hai….main sahab ke bare me abhi kuch nahi janta ki vo kaha hain..lekin jitna janta hu utna bata sakta hu.

Shree (haklate huye)—kkkkkyaaa…adiiii jindaaa hai….? Adii ne mujhe tumhare bare me bataya tha.

Khatra—dekhiye malkin baat darasal ye hai ki….

Phir khatra ne adii ke ghar chhodne se lekar uss par hamla hone ke baad ganga me girne tak ki baat ko unhe bata diya…jise sunte hi sab ki ankho se anshu bahne lage.

Khatra—dekhiye nirash mat hoiye…hame poori ummid hai ki vo jinda hain..lekin kaha aur kin halat me hain ye nahi janta….main aur chitra isliye hi yaha aaye huye hain, unki khoj karte huye

Megha—chitra…? Koun chitra…?

Chitra—ji mera naam chitra hai…adii mere bhi dost hain

Shree (rote huye)—mera adii ganga me doob gaya, phir bhi main jinda hu, lanat hai mujh par...mujhe jeene ka koi haq nahi hai.

Shree vaha se rote huye bahar ki taraf tezi se bhagi...sab usko awaz dete huye uske piche piche bhage lekin tab tak vo car me baith kar vaha se nikal gayi.

Vahi pari lok me maharaj aur maharani apne sainiko ke sath gurudev ke paas pahuche jo ki dhyan me leen the...vo vahi baith kar unke dhyan se uthne ki pratiksha karne lage.

Jabki kilwish sonalika ko lekar ek gufa me aa gaya...sonalika iss samay kuch bhi bolne me asmarth thi..shayad kamjori ya phir kuch aur vajah se.

Kilwish—hahahaha.....aaj tujhe koi bachane nahi ayega....hahahaha

Tabhi vaha par koi aata hai jise dekh kar kilwish chounk jata hai.
 
Jitu kumar

Active Member
1,946
6,502
143
Awesome update anand bhai,
behad hi shandaar, lajawab aur amazing update hai bhai,
munish ki maa ka bhi aadi ne kalyan kar diya,
ab to bechara munish apne hi vardaan ka dansh jhel raha hai,
udhar rajnandani ne sabhi logo ko surakshit sthaan par chhupa diya hai,
udhar khatra ne sab ko aadi ke baare me sab kuchh bata diya hai,
ab dekhte hai ki aadi sonalika ko kaise bachata hai,
Waiting for next update
 
Zas23

Well-Known Member
4,624
4,627
158

Nice update
 
Top