• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy CHAMATKAR (Completed)

Opinion Of the Story...

  • Good

    Votes: 229 96.6%
  • Bad

    Votes: 8 3.4%

  • Total voters
    237
  • Poll closed .

CG

Sab Chutiyapa hai Bhaya
1,996
3,558
159
Kya hua Anand bhai

Update kidhar hai
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,869
173
UPDATE*28


Maine gadi me baithe huye hi power se apne kapde change kiye...huliya sahi kiya aur gadi ki marammat bhi theek thaak kar di...



Hotel loutane ke baad sabhi mujhse sawal karnelage ki itna time kaha lag gaya...mai ab unhe kya batata ki kis musibat se pala pad gaya tha..



Akele me maine margret ko uss ladki ki milne wali baat bata di....jise sun kar vo hairan rah gayi..ki ek sapna kaise kisi ko mila sakta hai...



Mai—ab ye sapna sach bhi ho chuka hai....ye vahi ladki hai....lekin sapne me jitni bholi dikhti hai utni hai nahi....



Margret—usse kuch puchha nahi..ki uska naam kya hai...uski pareshani kya hai.... ?



Mai—usne kuch puchne ka mouka hi kaha diya mujhe....bas dekhte hi rashan pani lekar chadh baithi



Sonalika—ho sakta hai ki uska aur tumhara koi rishta ho is janam me ya pichhle janam ka..



Mai—pata nahi….



Margret—to buddhu apni power se pata karo na…



Mai—har baat ke liye power ka use galat hai….pahle mai usse mil ke dekhta hu…baad me power ka sochunga



Sonalika—ye baat bhi sahi hai…lekin usko dudhoge kaha…?



Mai—arey jab tum dusre grah se aakar mujhe khoj sakti ho to ye to sirf ek city hai…..mil hi jayegi… jaha chah vaha raah…



Margret—mai bhi chalungi tere sath…



Mai—nahi....aise me baat bigad bhi sakti hai...mujhe akele hi milna hoga usko



Sonalika—adi sahi kah raha hai...vo jyada logo ko dekh kar ho sakta hai ki apni pareshani na bataye



Mai—huu...



Uske baad sabne bear pina chalu kiya maine aur sonalika ne chhod kar...mai unhe enjoy karta vahi chhodkar phir se nikal gaya ussi jagah jaha uss ladki ko dekha tha....



Vaha ki aas paas ki har sadak se gujar ke dekh liya lekin vo nahi dikhi....to maine jaha uski scooty thoki thi vaha ki aas paas ki dukano me jake uske bare me puch tach karne laga....



Ek dukandar—arey tum vahi ladke ho na jiski subah pitayi huyi thi....ab badla lena hoga uss ladki se tumko....jao yaha se...



Mai—dekhiye subah jo hua vo galti se hua.....



Vo—to ab kyo puch rahe ho usko....



Mai—agar bataoge to fayde me rahoge….maine use ek noto ki gaddi dikhayi….jisse usne tote ki tarah sab bata diya uska pata thikana…



Dukandar—iska naam to mai nahi janta….lekin iska baap yaha piche ki daru ki kalari par pite huye mil jayega…ek number ka bewda hai vo..



Mai—mai usko pahchanuga kaise….



Dukandar—arey vo makkhan (dukan me karne wala ladka) ja jara sahab ko kalari tak chhod dena aur sun vaha vo us ladki ka piyakkad baap baitha hoga...to inko ishare se bata kar lout aana..



Mai us ladke ke sath najdik ki hi desi daru ke adde par aa gaya....jaha us ladke ne mujhe ek admi ki oor ishara kiya aur chala gaya....



Desi daru ki bahut buri badbu vaha faili huyi thi....mujhe to saans lena bhi dubhar ho raha tha..magar uss sapne se pichha chhudane ke liye ye karna jaruri tha....



Mai chalte huye uss admi ki table ke paas aa gaya....jaha vo lal rang ki badbu dar daru pi raha tha... kandhe par ek ganda sa gamchha dale.....



Mai—excuse me....kya mai yaha baith sakta hu.... ?



Pahle to usne mujhe upar se niche tak dekha phir ha kaha....



Mai—haay...mera naam aditya hai aur apka.... ?



Admi (chounk kar)—kya kaha.... ?



Mai—aapka naam puch raha tha bas..



Admi—nahi aur kya kaha... ?



Mai—yahi ki mera naam aditya hai aur apka naam kya hai bas...



Admi—mera naam ajeet hai....kyo... ?



Mai—bas aise hi puch liya.....aap itni daru kyo pite ho....



Admi—tumhe kya dikkat hai...tere paiso se pita hu kya... ?



Mai—agar mai apko angreji pilau to….?



Admi—jo maza desi me hai vo videshi me kaha.... ? aur mere paas itne paise bhi nahi hai...yahi theek hai

Ajeet ne kuch nahi bataya lekin mai bhi haar maanne wala tha nahi……jab vo pikar talli ho gaya to maine sahara dekar bahar laya aur apni gadi me bitha liya…



Mai—ghar kaha hai bata do mai chhod deta hu apko….?



Ajeet (nashe me)—yaha s..e.....right side.....phir left....phir...right...phir left...vaha akhiri makan mera hai....



Badi mushkil se mujhe uska toota foota makan mila...ajeet ko gadi niche utar kar darwaje tak laya aur knock karne laga...



Darwaja uski mummy ne khola ye ganimat thi....achcha hua toofan mail ne nahi khola..



Aurat—kya hua inko....aaj phir se jyada pi li hogi...



Mai—ji...ye raste me chalte huye idhar udhar gir rahe the....to mai yaha le aaya inko...



Aurat—shukriya beta...



Mai—koi baat nahi maa ji...ye to mera farz tha...



Aurat—jite raho beta.....beti jara pani lana...baitho beta...chaay pikar jana



Usne apni ladki ko awaz di....aur mai yaha sochne laga ki agar ye pani lane wali vahi hogi to pata nahi kya karegi mujhe dekh kar...mera andaza nikla bhi sahi



Ladki (mujhe dekh kar)—tummm......yaha bhi aa gaye...pakka tumne meri police complain ki hogi



Mai—ji nahi sorry...mai to darasal apke papa ko ghar chhodne aaya tha....



Ladki (jor se)—kyaaaa.....tumne mere papa ko bhi thok diya....jab gadi chalani nahi aati to chalate kyo ho....



Aurat—beta shree...aise baat nahi karte...



Shayad uss ladki ka naam Shree hoga.....



Shree—arey mummy isne hi subah meri scooty thoki thi aur ab papa ko bhi…



Mai—aisa nahi hai….



Shree—kya aisa nahi hai..hnnnn



Aurat ne phir uss pagal ladki ko vahi sab bataya jo maine unhe bataya tha…tab jakar vo kuch shant huyi…



Shree—ha to theek hai...lo pani piyo aur foot lo yaha se ab...



Aurat—ruko beta mai chaay bana ke lati hu…



Mai—thanks maa ji…



Shree—free ki chaay pine aa gaya isi bahane…



Mai—vaise kya mai ek baat puch sakta hu apse…?



Shree—nahi...chaay piyo aur jao



Mai—chalo phir bhi mai puch hi leta hu…



Shree—bade hi dheeth kism ke bande ho tum...jab kah diya na ki nahi puchna kuch bhi



Mai—aap akele me baith kar roti kyo ho.... ?



Shree (shocked)—tumhe kaise malum.. ? meri jasoosi karte ho kya tum..? kab se mera pichha kar rahe ho….?



Mai—mai tumhara pichha nahi kar raha…balki tumhari vajah se mujhe itni dur aana pada…



Shree—kitni dur... ?



Mai—England se india tak....



Shree (hairan)—what.... ?...dekho Mr. mujhe impress karne ki agar soch rahe ho to bekar hai..



Mai—maine har raat tumhe sapne me pareshan dekha hai…tumhe rote dekha hai…jaise tum mujhse kuch madad chahti ho…isiliye mai india aaya..kewal tumhari help karne



Shree—achchha idea hai…ladki patane ka….mujhe bewkoof samjha hai kya…jo mai tumhari sapno vali bato par yakin kar lungi…



Mai—jaisi tumhari marzi…mai subah tumhe dekh kar chounk gaya tha isiliye accident hua…



Shree—achchha jab itna kuch sapne me dekh liya to meri pareshani bhi sapne me hi dekh lena ...samjhe.....ab jao yaha se..



Mai—ok....mujhe kya...chalta hu.....btw...mujhe pyar se log Adi kahte hain...



Main vaha se nikal kar apni gadi tak pahucha hi tha ki shree bhagte huye mere paas aayi...



Shree—kya naam bataya tumne apna abhi...... ?



Mai—adi……aditya rajvansh



Shree (jor se )—kyaaaa….aditya …..rajvansh……adi…
 
Top