• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Werewolf

ᴋɪʀᴀ
Supreme
14,618
102,502
259
Update 7
Shruti: Kyaa hua Swati kaha gayi thi.

Swati: Kuch nhi di. Bas Sonal se baate kar rahi thi. Aap kuch batao jiju ke baare mein.

Shruti: Main kya batau. Mil lena kal aarahe hai.

Swati: Kyaa baat hai di. Yaani kal aapdono ki mulakat hogi.

Shruti: Haaa pure 10 din baad milenge. Aise toh video call mein baat hoti rehti hai.

Swati: How sweet. Waise mujhe jiju ki pic toh dikhaiye.

Phir Shruti Swati ko Ishant ki pic dikhate hai.

Swati: Wow di. Jiju toh bahot handsome hai. Aapki jodi mast lagegi.

Shruti: Thank You.

Swati: Inke family mein aur kaun kaun hai.

Shruti: Bas yeh mera devar aur meri ek nanad hai. Bilkul Samar ki tarah hai. Aur woh bhi Sonal ke saath usi ke college mein jayegi.

Swati: Waah yeh achhi baat hai. Sonal ko ek friend mil jayegi.

Shruti: Haa sahi kaha.

Swati: Inke parents.

Shruti: Kuch saal pehle chardhaam ki yatra pe gaye the tab accident mein woh chal base. Tabse Ishant hi sab sambhalte hai.

Swati: Ooo. Aapka devar wahi hai naa jo Raj ke saath Airport pe aaya thaa.

Shruti: Haaa. Yashhh. Mere liye bilkul Raj Aarav aur Bhaiya ki tarah hai. Abhi bhi bachpana hai. Par Raj ke liye kuch bhi kar sakta hai. Jabse hum Mumbai aaye hai yeh dono saath hai. School College sab saath kiya. Khud ka business hai phir bhi Raj ke sang hai. Iske liye Ishant aur Raj mein Raj pehle aata hai.

Swati: Greatttt. Bahot kam dekhne ko milti hai aisi dosti.

Shruti: Yeh saath rehta hai isiliye mujhe Raj ki tension nhi hoti.

Swati: Kaisi tension.

Shruti: Woh woh actually Raj kaam mein itna busy hojaata hai ke usko khaane ka dhyaan tak nhi rehta. Yeh toh Yash hai jo Raj ko lunch karwata hai.

Swati: Oooo. Achhi baat hai.

Phir dono aise hi baate karte hue so jaate hai.

Idher Raj apne kamre mein aake apni aankho mein gussa takleef aur aansu liye bed mein sojaata hai.

Smita bhi jab apne room mein jaati hai toh rone lagti hai.

Ashok: Chup hojao Smita chup hojao. Mat roo.

Smita: Kaise chupp hojau. Meri wajah se aaj mere bete ne khaana tak nhi khaaya. Woh bhuka so gaya. Ek maa kaise apne bachhe ko bhuka dekh sakti hai.

Ashok: Tumhari koi galti nhi thi Smita chup hojao.

Smita: Galti toh meri hi thi. Agar main woh galti nhi karti toh aaj Raj mere paas hota. Woh iss tarah mujhse naraz nhi hota.

Ashok kuch nhi bolta. Thodi der baad Smita kamre ke bahar jaane lagti hai.

Ashok: Kaha jaa rahi ho.

Smita: Mere Raj ke paas. Yeh bol woh Raj ke kamre mein aajati hai. Jaha Raj sogaya tha.

Smita dheere dheere uske room mein aati hai aur Raj ke chehre ko dekh kar rone lagti hai. Woh uske sir ko sehlaane lagti hai.

Thodi der baad woh bhi apne room mein aake sojaati hai.

Agli subah sab apne time pe uthke breakfast table pe aajate hai.

Ragini: Shruti aaj tumlog shopping pe jaa rahi ho naa.

Shruti: Haa Badi mummy. Swati Sonal Samar tumlog bhi chalo humare saath.

Samar: Haa haa kyo nhi. Isi bahane humara bhi mumbai darshan hojayegaa.

Smita: Toh kaun kaun jaaraha hai.

Shruti: Mummy main bhabhi Swati Sonal Samar aur Ishita.

Ragini: Thikk hai dhyaan se jaana.

Tabhi door bell bajti hai. Hari jaake darwaza kholta hai toh Ishant aur Ishita andar aate hai.

Ishita: Good Morning bhabhiii. Good Morning everyone.

Shruti: Good Morning Ishu. Aao baitho nashta karo.

Ishita: No bhabhi. Hum karke aaye hai.

Ishant aage badh ke sabhi badho ke pairr chuta hai. Saath mein Ishita bhi.

Vijay: Kaise ho Ishant.

Ishant: Achha hu bade papa. Bas Ishita ko chorne aaya tha.

Nandini: Kyoo Shruti se nhi milna.

Shruti sharma jaati hai aur Ishant jhepp jaata hai.

Ashok: Ishant inse milo. Yeh hai mera dost cum bhai Deepak. Yeh iski patni Meera. Aur yeh teen inke bachhe Swati Sonal aur Samar.

Ishant sabko pranaam karta hai.

Ishant: Achha toh main chalta hu. Yeh isne Shruti ko dekh kar bola tha.

Smita: Aree baitho naa. Nashta karke jaana.

Ishant: Nhi mummy already late hogya hai. Phir kabhi.

Smita: Thik hai. Shruti jaao Ishant ko bahar tak chorr aao.
Phir Shruti aur Ishant bahar aate hai.

Ishant: Toh chalu.

Shruti: Mujhse puchke aaye the jo mujhe bolke jaa rahe ho.

Ishant: Lagta hai Madam naraz hai. Kya main Mallika-e-husn ke naraz hone ka karan jaan sakta hu.

Shruti: Aapko kya fark padhta hai mere naraz hone ka. Main aapki hoti kaun hu.

Ishant: Aree aree aisa mat bolo. Tum toh meri zindagi ho. Tumhare hone se hi toh main hu.

Shruti: Yeh sirf kehne ki baate hai. Agar sach mein aisa hota toh 10 din baad nhi mil rahe hote.

Ishant: Shruti ko baahon mein bharke. Achha toh yeh hai humari jaan ke naraz hone ka reason.

Shruti: Jiii haaa.

Ishant: I am sorry. Par kya karu jaan. Humari engagement aarahi hai uske liye jyaada se jyaada kaam khatam kar raha hu taaki engagement ke baad tumhare sath time bita saku.

Shruti: Achhaaa.

Ishant: Haaaa.

Shruti: Achha ab choro. Ab late nhi horaha hai tumhe.

Ishant: Late toh horaha hai par tumhe chorne ka mann nhi karraha hai.

Shruti: Jyaada romantic hone ki jarurat nhi hai. Jao office jao. Sham ko baat karenge.

Ishant: I Love You.

Shruti: I Love You Too.

Ishant: Waise Raj kaisa hai. Yash bata raha tha thoda dukhi hai.

Shruti: Dukhi toh hai. Par sambhal bhi raha hai. Usne jo khoya hai uski bharpai honi toh mushkil hai par phir bhi sambhal raha hai.

Ishant: Hmmm. Thikk hai chalo main chalta hu. Byee. Phir ek kiss hontho mein kar deta hai.

Shruti: Byeee.

Phir Shruti andar aajati hai aur Ishant chala jata hai.

Shruti jab andar aati hai toh sabka khana hochuka tha.

Nandini: Kyaa baat hai Shruti. Badi jaldi aagayi. Humhe toh laga tha tum aaogi hi nhi.

Shruti sharma jaati hai. Kyaa bhabhi aap bhi.

Swati: Dekho toh kaise sharma rahi hai.

Ishita: Waise bhabhi humhe kab nikalna hai shopping ke liye.

Shruti: Bas hum sab ready hojaaye phir nikalte hai.
Ishita: Thikk hai.

Shruti: Ishuu tum Emperial College se interior designing mein ho naa.

Ishita: Haaa Bhabhi.

Shruti: Greatt. Toh yeh hal Sonal. Meri behen. Yeh bhi usi college mein padhegi schlorship ke through. Aur yeh bhi usi course mein masters mein hai.

Ishita: Greatttt. Schlorship matlab topper. Chalo mera kaam toh hogyaa. Ab pura saal padhna nhi padegaa. Sonal di hai naa mujhe pass karwane ke liye. Yeh bol hasne lagti hai.

Shruti: Lo Sonal. College ke pehle ek dost mil gayi. Ishu iska khayal rakhna. Pehli baar mumbai aayi hai.

Sonal: Thanks Di.

Ishita: Yes Bhabhi. Aap chinta naa karee.

Shruti: Chalo sab jaldi se ready hojao. Bhabhi aap bhi ready hojaiye.

Ishita: Bhabhi shopping bags uthane ke liye bhi toh koi chahiye naa. Toh Aarav bhaiya ko bhi saath le chalte hai aur Samar toh hai hi.

Aarav aur Samar: Hum kya coolie hai. Hum nhi jayenge. Tumlogo ke saath shopping jaana matlab pure din ki wattt lagana. Humhe maaf karo. Yeh bol Aarav waha se bhagg jaata hai.

Sab hasne lagte hai.

Phir sab ready hoke shopping ke liye nikal jaate hai.

Nandini: Shruti tumne sagai ke liye apna dress aaj hi select karna hoga.

Shruti: Jii bhabhi.

Swati: Bhabhi chinta mat kijiye. Humare sath humari personal designer hai woh hum sabke dress select karegi.

Shruti: Aree haa. Sahi kaha. Sonal hai naa. Woh madad karegi. Aur waise bhi Raj aur Karan bhaiya ke liye dress lene hue nhi hai. Toh unke liye bhi aaj hi le lenge. Sonal tum unke liye dress select kardena.

Sonal: Jii didi.

Swati: Dheere dheere se Sonal ke kaan mein. Haa haa achhe se select karna. Shayad phir puri zindagi teri pasand ke kapde hi pehne.

Sonal sharma jaati hai.

Thodi der baad sablog mall aate hai aur shopping start karte hai.

Sonal sabse pehle gents section mein jaake Raj ke liye dress select karne lagti hai. Jisme uske saath Nandini bhi thi jo Karan ke liye dress select kar rahi thi.

Sonal aur Nandini apni apni pasand ke dress select kar rahe the. Tabhi Sonal ko ek sherwani dikhi jo ek statue pe thaa. Sonal uss statue mein Raj ko imagine karne lagi.

Sonal: Bhabhii yeh sherwani kaisi lagegi Raj ke liye. Unpe achhi lagegi.

Nandini dekhti hai toh usko bhi woh bahot pasand aati hai.

Nandini: Kyaa baat hai Sonal. Bahot achhe. Bahot achhi choice hai tumhari. Yeh Raj ke upar bahot achha lagega. Ekdum uski fitting ka hi lag raha hai.

Sonal: Khush hote hue. Thank You bhabhi.

Nandini: Chalo pehle woh le lete hai. Phir Karan ka dekhenge.

Phir yeh dono jaake woh sherwani pack karwate hai.

Nandini: Chalo Raj ka toh hogya. Ab Karan ka dekhte hai.

Sonal: Bhabhi ek baat puchu. Bura toh nhi manengi naa aap.

Nandini: Aree tum toh meri behen ho. Tumhari baato ka kaisa bura manna. Pucho kya puchna hai.

Sonal: Aap dono ki love marriage thi ya arrange marriage.

Nandini Sonal ki yeh baat sunke hasne lagti hai.

Nandini: Tum yeh puchne ke liye itna ghabra rahi thi.

Sonal thoda sa smile karti hai.

Nandini: Tum bilkul pagal ho.

Sonal: Bataiye na bhabhi.

Nandini: Meri aur Karan ki love marriage hai. Hum college mein saath padhte the. College ke baad Karan IPS ki training ke liye chale gaye. Phir unke wapis aane ke baad humne shaadi ki.

Sonal: Waaaahh. Toh aaplog kaise mile.

Nandini: Pyaar toh hum ekdusre se karte the par sharmate the. Aur humari iss sharmahat ko durr karke humhe eksaath laaye the 2 jan.

Sonal: Ooo. Aapke friends.

Nandini: Usse bhi badhke. Humare bhai behen ki tarah the.

Sonal: Waaah. Toh kya naam hai unke.

Nandini: Rajjj aur ......

Abhi Nandini aage kuch bolti ke usko kuch yaad aajata hai jiske wajah se uski aankhe num hojaati hai.

Sonal: Rajjj. Matlab ghar wale Rajjj.

Nandini: Haaa.

Sonal: Aur....

Nandini: Areee kyaa tum bhi abhi yeh leke baith gayi. Tum toh ab 2 saal yehi hona. Aaram se baate karenge. Filhal shopping pe dhyaan dete hai bahot baaki hai. Tum shopping karo main washroom jaake aati hu. Yeh bol Nandini num aankhe liye waha se chali jaati hai.

Sonal: Yeh bhabhi ko achanak kyaa hogyaa. Woh bolte bolte rukh kyo gayi. Itna toh pakka hai Raj ke saath koi ladki thi. Par bhabhi ne jaanmuzz ke aage nhi bola. Kahi Raj aur woh ladki. Nhi nhiii aisa nhi hai. Main kuch jyaada hi soch rahi hu. Par agar aisa hua toh. Mujhe confirm karna hogaa.

Idher Nandini waha se nikal ke washroom aati hai aur waha num aankho se.

Nandini: Aaj pata chala kyo Raj chah ke bhi tumhare baare mein sochna nhi chorr sakta. Tum har jagah bas chuki hai. Chah ke bhi nhi bhula sakte tumhe. Tumhari yaad aane se humhe itna dukh hota hai. Toh Raj kaise jee raha hai. Iska toh andaza bhi nhi laga sakte. Yeh bolte waqt uski aankho se aansu beh jaate hai.

Tabhi waha Shruti aajati hai.

Shruti: Bhabhi kyaa hua. Aap iss tarah kyo ro rahi hai. Kyaa huaa bhabhi.

Nandini: Sonal ne pucha tha humari shaadi kaise hui.

Shruti: Tohhh.

Nandini: Toh usse bataya hum college mein mile. Aur hum kaise mile.

Shruti samaj jaati hai.

Nandini: Uski bahot yaad aati hai Shruti. Hum toh sirf dost the. Tab bhi humari yeh halat hai. Par Rajjj. Uski kya halat hoti hogi.

Shruti: Jaanti hu bhabhi. Yaad toh humhe bhi bahot aati hai. Aaj subah hi Ishant bolrahe the. Par hum kuch nhi karsakte bhabhi.

Nandini: Hmmmm. Kuch waqt mein hi woh humare itne kareeb aagayi thi ke hum ab usse chah ke bhi nhi bhula sakte.

Shruti: Chup hojaiye bhabhi jitna sochenge utni takleef hogi. Chaliye bahar woh wait kar rahe honge.

Phir dono fresh hoke bahar aate hai.

Nandini jab Sonal ke paas aati hai toh Karan ke liye dress le rahi thi.

Sonal: Aree bhabhi aagayi aap. Yeh dekhiye yeh maine Karan bhaiya ke liye select kiya hai.

Nandini: Kyaa baat hai Sonal. Bahot achhe. Karan ko bahot pasand aayega yeh. Aur yeh toh unka favourite colour hai. Chalo yehi lete hai unke liye. Chalo ab humare liye shopping karte hai.

Sonal: Aree nhi bhabhi. Humari shopping toh jaipur mein hi hogyi thi.

Nandini: Aree aise kaisee chalo humare saath.

Nandini Sonal ko jabardasti ladies section mein lejaati hai aur shopping karwati hai.

Sonal: Bhabhi Shruti didi ki tarah Raj Aarav ne bhi apne liye koi select kar rakha hai kyaa. Kyoki inke baad toh unka hi number hai.

Nandini: Yehh do sabse alag hai. Aarav ka toh pata nhi par Raj ne aisa nhi kiya hai. Agar karega toh sabse pehle humhe jarur batayega.

Sonal yeh sunte hi bahot khush hojaati hai uski saari tension khatam hojaati hai.

Sonal: Kyaa bhabhi aap bhi. Rajj kitne good looking hai unhone toh jarur koi select kar rakhi hogi.

Nandini: Nhiii Raj aisa nhi karega. Main usse jaanti hu.

Sonal ab double sure hogayi thi aur uski khushi kam hi nhi horahi thi.

Nandini: Chalo chalke Shruti ki help karte hai.

Phir yehdono Shruti Swati aur Samar ke paas aate hai.
Swati dekhti hai Sonal kuch jyaada hi khush lag rahi hai.
Swati Sonal ke paas aake dheere se.

Swati: Kyaa baat hai Sonal kuch jyaada hi khush lag rahi ho.

Sonal: Nhi di bas aise hi.

Swati: Ab mujhse chipayegi.

Sonal: Diii actually woh Single hai. Yeh bol sharma jaati hai.

Swati: Masti karte hue. Kaun Single hai Sonal. Kiski baat kar rahi ho.

Sonal: Diii. Samajiye naa. Main kaise kahu. Mujhe sharm aarahi hai.

Swati: Haste hue. Aree meri behen ko sharm aarahi hai yeh bolne mein mein Raj single hai matlab khudki line clear hai.

Sonal chehkne lagti hai.

Swati: Yeh bahot achhi baat hai Sonal. Main bahot khush hu tere liye. Ab toh tu 2 saal yehi rahegi. Dekhna Jaipur wapas naa aana padhe tujhe phir. Yehi rehjaana humesha ke liye.

Sonal sharmake apna chehra ghuma leti hai.

Swati hasne lagti hai.

Shruti: Aree Sonal yaha aao naa meri madad karo naa.

Sonal: Haa di abhi aayi.

Phir Sonal jaake Shruti ki help karne lagti hai.

Thodi der baad inki shopping complete hojaati hai.

Nandini: Chalo shopping toh complete hogyi. Ab kuch khaa lete hai. Phir ghar chalenge.


Phir yehlog food court mein jaake khaana khaate hai phir ghar aajate hai.
Badhiya Bhai!! Toh Sonal ko ab new friend mil gayi uske hi college me, Ishita jo ki Ishant ki behan hai.
Hmm! Par ye Smita baar baar kyu bolti rehti hai sab kuch issi ki galti hai?? Mera shaq harr baar badh jaata hai ispe aur lagta hai ki yahi kuch gadbad kareli hai. :pepesuspicious:
Sonal abhi se khushi ke laddu fod rahi hai mann me ye soch ke ki Raj single hai. Bhale hi single hai par uss ladki ki yaad kaha bhula paa raha hai!?

Mujhe samajh nahi aa raha ki wo ladki inhe chorr ke kahi gayi hai ya kahi nipat toh nahi gayi!? 💀 Mein assume kar raha hu ki wo nipat gayi hai isliye laut ke nahi aa sakti. Shayad dheere dheere Sonal uss ladki ki jagah le Raj ke dil me...!? Delhte hai aage kya hota hai.

Keep Writing!
 
Last edited:

Naik

Well-Known Member
21,519
77,394
258
Update 46
Raj: Bhabhi jara Sonal ka lunch upar de dijiyega. Woh padhai karne baithi hai. Toh maine usko uthne ke liye mana kiya hai.

Nandini: Yeh achha kiya. Warna woh khud thodi der baad nichhe aati lunch banane. Chalo ab batao kyaa plan kiya hai.

Raj: Woh maine socha hai. Main pura din uske saath hi spend karunga. Subah usko leke mandir jaunga jaha jaana usko sabse jyaada pasand hai. Phir usko uska favourite breakfast karwaunga. Pichli baar shaadi ke baad jab hum ghumne gaye the tab usne bola tha woh har saal apne birthday ke din Orphanage aur Old Age Home jaake time spend karti hai aur thoda donation bhi karti hai. Toh uss din wob bhi hoga.

Phir thoda bahot ghumna hoga. Uske baad uske liye maine ek hotel specially book karke decorate karwake waha usko Wish karunga aur propose karne ka socha hai. Ab mujhe yeh samaj nhi aaraha hai usse yeh sab achha lagega naa.

Nandini: Tumne jo jo socha hai woh sab Sonal ko bahot pasand aayega. Aur usko sabse jyaada kyaa pasand aayega pata hai.

Raj: Kyaa.

Nandini: Tum pura din uske saath rahoge yeh usko sabse jyaada pasand aayega. Waise kab hai uska birthday.

Raj: 2 din baad.

Nandini: Aree yeh toh kam time hai. Tumne hotel ka arrangement karliya.

Raj: Nhi. Aaj sham ko karunga.

Nandini: Achhi baat hai. Aur yeh make sure karna har chiz perfect ho aur Sonal ki pasand ka ho.

Raj: Jiii. Par mujhe uski pasand naa pasand ke baare mein jyaada nhi pata. Maine kabhi pucha hi nhi. Khaane ke baare mein usne khud bataya tha isiliye pata hai.

Nandini: Waahhh greatttt. Kaise pati ho apni patni ki pasand naa pasand nhi pata. Isme main tumhari koi madad nhi karungi. Tum khud sambhalo isko.

Raj: Aree bhabhi kardo na help.

Nandini: Bilkul nhi. Shaadi ko 6 mahine hogye abhi tak tumhe uski pasand naa pasand nhi pata Aur ek woh hai jisko tumhare harchiz pata hai.

Raj: Meri Sonal toh greatt hai. Please help kardo.

Nandini: Sorryyy. Khud sambhalo. Yeh bol Nandini waha se chali jaati hai.

Raj waha thaga sa baitha rehta hai aur apne aap se bolta hai.

Raj: Chalo Raj beta. Bhabhi ne toh help karne se mana kardiya. Ab jab dobara pyaar kiya hai toh mehnat toh karni hi hogi. Par kaise karu. Haa Swati se puchta hu. Usko sab pata hoga. Yeh bol woh Yash ko call lagata hai.

Yash: Haa Raj bol.

Raj: Swati ko phone de. Usse kaam hai.

Yash: Meri biwi se kyaa kaam hai tujhe.

Raj: Bagal mein khada hoke sunnliyo. Chal phone de.

Yash: Haa haa deta hu. Swati yeh lo Raj baat karna chahta hai.

Swati: Haa Raj bolo.

Raj: Tumse kuch puchna hai. Par promise karo Sonal ko kuch nhi bataogi.

Swati: Aisa kyaa puchna hai tumhe.

Raj: Nhii pehle promise karo. Tum Sonal ko iss baare mein kuch nhi bataogi aur naahi yeh bologi ke meri aur tumhari baat hui hai.

Swati: Kuch soch ke. Achaa thik hai pucho.

Raj: Mujhe Sonal ki saari pasand naa pasand ke baare mein janna hai.

Swati: Aur woh kisliye.

Raj: Woh actually 2 din baad Sonal ka birthday hai toh isiliye uske liye surprise plan kiya hai uske liye. Pleasee yeh baat Sonal ko yaa kisi aur ko mat batana.

Swati: Khush hoke. Reallyyyyy. Tumne uske liye birthday surprise plan kiya hai.

Raj: Haaa. Aur isiliye mujhe batao usko kya kya pasand hai.

Swati: Bilkul kyo nhi.

Phir Swati Raj ko Sonal ki saari pasand naa pasand ke baare mein batati hai.

Raj: Thank You Swati.

Swati: Tum Sonal ke liye yeh kar rahe ho iske liye tumhe Thank You.

Phir call cut hojaata hai.

Call cut hotei Swati bagal mein khade Yash ke gale lag jaati hai aur uske gaalon mein kiss kardeti hai.

Yash: Aree aree aisa kya hogya jo aaj mere upar itni meharbaani.

Swati: Aaj main bahot khush hu Yash.

Yash: Woh toh mujhe samaj aaraha hai. Par aakhir aisa kyaa hogya. Aisa kya boldiya Raj ne.

Swati: Raj meri behen ke liye birthday surprise plan kar raha hai. Jisse Sonal bahot bahot khush hojaayegi.

Yash: Achha toh yeh hai meri biwi ke khushi ka karan. Par yeh toh mujhe pata hai.

Swati: Kyaaaaa. Aapko pata tha aur aapne mujhe bataya tak nhi.

Yash: Aree surprise tha kaise batata. Raj ne hi mana kiya tha. Aur ab usne hi bata diya.

Swati: Usko toh Sonal ki pasand naa pasand ke baare mein janna tha isiliye bataya. Par aapko mujhe batana chahiye tha Yash.

Yash: Achha galti hogyi. Maaf kardo. Chalo ab batao Sonal ko kyaa gift dene ka socha hai.

Swati: Abhi tak kuch socha nhi hai. Aap bataiye kyaa du.

Yash: Aree tumhari behen hai tum bolo. Mere se jyaada achhe se tum jaanti ho usse

Swati: Ek kaam karte hai sham ko bahar jaate hai aur koi achha sa gift dekhte hai.

Yash: Achha thikk hai. Saath mein tumhare liye bhi shopping karlenge.

Swati: Kyaaa baat hai. Mere upar itni meharbaani.

Yash: Ab bhagwan ne itni achhi biwi di hai uska khyaal toh rakhna padega na. Warna agar mujhe chor ke maayke chali gayi toh mera kya hoga.

Swati: Kabhi kabhi mera mann toh karta hai. Par phir sochti hu nhi jaati warna mera pyaara pati pagal hojayega.

Yash: Puri tarah se. Yeh bol Swati ke gaalom ko chum leta hai.

Swati: Aapko pata hai Yash Sonal Raj se bahot pyaar karti hai. Jis din se usne Raj ko dekha hai uss din se woh usse pyaar karti hai. Woh Raj ke pyaar mein puri tarah se pagal hogyi hai.

Yash: Mujhe pata hai Swati. Maine Sonal ki aankho mein dekha hai. Woh jis tarah se Raj ka khayal rakhti hai usse saaf pata chalta hai. Aur mujhe pura yakeen hai Raj bhi jald hi samjhega. Phir Mann mein bolta hai. Samaj toh woh gaya hai aur 2 din baad woh propose hi karne wala hai par abhi woh tumhe nhi bata sakta.

Swati: Aapko pata hai maine pune mein Raj ki aankho mein Sonal ke liye wahi chinta wahi fikr wahi pyaar dekha hai jo Sonal ke dil mein Raj ke liye hai.

Yash: Tum dekhna bahot jald Raj bhi yeh baat samaj jaayega. Aur phir Sonal se achhi ladki Raj ko nhi mil sakti.

Yehlog aise hi baate karte hue time spend karte hai. Udher Rajesh aur Ranjeet bhi Raj ke khilaaf ek aur plan bana chuke the.

Sham ko Raj bahar nikalta hai aur ek achhe se hotel mein jaata hai aur waha ke manager se baat karke Sonal ke birthday ke liye book karta hai. Phir waha se woh ek achhe se restaurant mein jaake uss din ke special meni taiyaar karne ko kehta hai jisme jo jo Sonal ko pasand hai woh sab hota hai.

Phir waha se ek mall mein jaata hai aur Sonal ke liye ek achha sa dress leke woh ghar aajata hai. Dress ko woh Sonal se chupa ke rakh deta hai.

Idher Ranjeet ka aadmi Raj ke pichha karte hue har woh jagah jaata hai jaha jaha Raj gaya tha aur waha pe thode paise khilake woh saari information leke Ranjeet ko de deta hai.

Raj uss aadmi ko notice toh karta hai par jyaada sochta nhi aur totally ignore karta hai. Kyoki usko laga yeh ek co-incidence hoga.

Ranjeet: Achha toh Raj apni biwi ko propose karne wala hai uske birthday ke din. Par aisa hone nhi hone dunga. Sonal ko uske birthday ka gift toh main dunga. Aur apne haatho se dunga. Aur aisa gift dunga jisse Raj ki zindagi hi tabah hojayegi. Rajjj tu dekh ab tere se kaise main apna badla leta hu. Yeh bol jor jor se hasne lagta hai.

Agla din bhi roj ke jaise guzar jaata hai. Par sham se hi Raj apne kamre mein tha aur kisi ko bhi kamre mein aane se mana kiya tha usne. Raat ko Swati Samar Nandini Shruti Ishita Payal Aarav Yash sablog 12 bajne ka intezaar kar rahe the isiliye sabne Sonal ko nichhe hi rokh rakha tha par Raj apne kamre mein aagaya tha.

12 bajne ke pehle pehle Swati aur Samar Sonal ke saath conference mein baat kar rahe hote hai. Jaise hi 12 bajte hai sablog eksaath Sonal ko birthday wish karte hai.
Sonal ka aisa pehla birthday tha jab usse itne logo ne eksaath wish kiya hogaa.

Sonal: Khushi se. Thank You So much. Aap sab ko yaad thaa.

Swati: Aree tumhara birthday hum kaise bhul sakte hai Sonal. Once again Happy Birthday meri behen.

Sonal: Thank You Di.

Samar: Di Mummy Papa baat karenge.

Dono: Happy Birthday Sonal. Tumhe duniya ki saari khushiyan mile.

Sonal: Thank You Mummy Papa. Aaplogo ne pehle hi meri zindagi khushiyan bhardi hai. Ab mujhe aur kuch nhi chahiye.

Phir Ek ek karke Smita Ragini Ashok Vijay Savitri sab Sonal ko wish karte hai. Par Raj ke waha naa hone se Sonal ko bahot dukh hota hai.

Nandini: Kyaa hua Sonal. Iss khushi ke time pe udaasi.

Sonal: Sabne mujhe wish kiya sab yaha present hai par jinko sabse pehle wish karna chahiye wohi yaha nhi hai. Kyaa unhe mera birthday yaad bhi hai.

Nandini: Udaas mat ho Sonal. Hosakta hai Raj ne tumhare liye kuch special plan kiya ho.

Sonal: Par unhe yaha hona chahiye tha bhabhi.

Nandini: Koi baat nhi Sonal. Aise udaas nhi hote. Jaao ab jaake so jao.

Sonal bemann se hi upar chali jaati hai. Aur jab apne kamre ke paas pahonchti hai waha usse ek alag hi khushboo aati hai. Par woh usko ignore kar room ka darwaza kholke andar jaati hai toh shock hojaati hai.

Sonal jaise hi kamre mein apna pehla kadam rakhti hai uske upar phoolon ki baarish hone lagti hai. Jisse dekh Sonal ko bahot achhi lagta hai. Phir jab woh apni nazar kamre mein ghumati hai toh dekhti hai pura kamra achhe se sajaya hua hai. Aur zameen pe bade se achhe se Happy Birthday likha hua hai candles ki madad se.

Sonal: Khushi se. Rajjjj. Rajjj kaha hai aap. Bahar aaiyee.

Raj: Wishing you a very very Happy Birthday my sweet wife. Maanta hu mujhse sabse pehle wish karna chahiye tha par main akele mein karna chahta tha isiliye last mein kiyaa.

Sonal: Aankho mein aansu liyeee. Aapko yaad thaa meraa Birthday.

Raj: 2 din se innsab ki taiyaari kar raha hu bas darr tha tumhe pasand aayega yaa nhiii.

Sonal: Mujheeee bahottt pasanddd aaya Rajjj. Thankkk youu soooo muchhhh. Yeh bol woh daud ke jaati hai Rajj ke gale lag jaati hai.

Sonal khushi mein itni pagal hojaati hai ke usko hosh hi nhi rehta ke woh kyaa kar baithi. Raj bhi uske kandhe ko sehlaane lagta hai.

Raj: Tumhe pasand aaya yeh jaanke mujhe khushi huiii.
Sonal: Aapka diya hua harchiz mujhe pasand hai Rajjj. Once again Thank You so muchhh.

Raj: Aree abhi rukhh jao. Yeh kuch bhi nhi hai. Kal specially tumhare liye ek surprise plan kiya hai aur tumhe ek bahot hi jyaada special gift milega aur aisa gift milega jiske baare mein tumne socha bhi nhi hogaa.

Sonal: Aisa kyaa dene wale hai aap Rajjj.

Raj: Woh toh kal hi pata chalegaa. Chalo ab fatafat yeh cake kaato.

Sonal bagal mein table ki taraf dekhti hai toh waha ek chota sa cake tha. Jo uska favourite Butter Scotch flavour ka thaa.

Sonal: Aapko kisne bataya mujhe Butter Scotch pasand hai.

Raj: Bas pata chal gaya. Ab tumhara pati itna bhi nakara nhi.

Sonal: Mujhe pata hai aap bahot intelligent hai. Tabhi toh aapko main mili.

Raj: Achhaaa. Tumhe aisa lagta hai.

Sonal: Bilkull. Agar aap intelligent nhi hote toh itni achhi biwi ke liye aap mana nhi kar dete.

Raj: Mujhe samaj nhi aaraha hai tum apni tareef kar rahi ho yaa meri tareef kar rahe ho.

Sonal: Of Course meri tareef kar rahi hu. Yeh bol hasne lagti hai. Raj bas usko hasta hua dekhte rehta hai.

Raj: Waaahhh. Kyaa biwi mili hai. Pati ki kadar hi nhi hai. Achhi baat hai. Chalo ab fatafat cake kaato.

Sonal: Jii.

Phir Sonal Raj ka haath pakad ke cake kaati hai aur Raj ko cake khilati hai. Raj bhi Sonal ko cake khilati hai. Par thoda sa uske gaal mein laga diya.

Sonal: Yeh kyaa kar rahe hai aap Raj.

Raj: Aree birthday hai. Aur birthday ke din toh yeh hota hi hai.

Sonal: Achha aisi baat hai. Yeh bol Sonal bhi Raj ke gaalo mein cake laga deti hai. Toh yeh lijiye. Aapne mere saath cake kaata toh uss hisaab se aapka bhi birthday hua aaj.

Raj: Mujhe nhi pata tha chup chaap rehne wali shaant rehne wali baat baat pe sharmane wali itni mastikhor bhi hogi.

Sonal: Aree aap abhi mujhe jaante hi kaha hai.

Raj: Dheere se. Ab jaan jaunga achhe se.

Sonal: By The Way. Thank You So Much Raj. Mera birthday special banane ke liye.

Raj: Aree abhi kaha kuch hai. Abhi toh bahot kuch baaki hai. Par filhal gift se starting karte hai. Aur yeh lo tumhare liye pehla gift. Yeh bol Raj Sonal ko ek shopper pakda deta hai.

Sonal: Thank You so much Raj.

Raj: Kholke dekho aur bolo kaisa laga.

Sonal fatafat gift kholti hai aur usme jo dress tha woh dekh kar bahot khush hojaati hai. Aur uske saath hi ek bahot hi pyaara sa necklace bhi thaa.

Raj: Pasand aaya.

Sonal: Yeh bahott achha hai Rajjj. Mujhee bahott pasand aaya. Thankkk Youu.

Raj: Toh kal subah tum yehi dress pehnogi.

Sonal: Thikkk hai.

Raj: Chalo ab jaldi se so jao. Kal jaldi bhi uthna hai.

Sonal: Jiii.

Phir dono apne aap ko saaf karte hai aur so jaate hai. Par Raj nhi soya tha. Woh bas Sonal ke sone ka intezaar kar raha tha.

Thodi der baad jab Raj ko yakeen hogya ke Sonal so gayi hai toh Raj dheere se Sonal ke sir ko sehlaane lagta hai.

Raj: Jab itna pyaar karti ho toh mujhe bol ke toh dekhti. Par nhi apna pyaar kabhi jataya hi nhi. Aur agar jataya bhi hoga toh mujhe samaj nhi aaya hoga. Par ab main samaj gaya hu Sonal. Bas kal sham tak ka intezaar karo. Uske baad tumhe woh milega jo tumhe chahiye tha. Yeh bol Sonal ko sir ko chum leta hai. I Love You Sonal. Bas kabhi mujhe chorr ke mat jaana. Warna iss baar shayad jee nhi paunga.

Sonal neend mein hi Raj ke aur kareeb aake usse sat jaati hai jaisa Raj ko choregi toh woh kahi chala jayega.


Raj bhi Sonal ko pakad ke so jaata hai.
Bahot behtareen shaandaar update
Raj idher sonal ke ooper khushiyon ki barsat kerne wala h
Lekin uske dushman bahot tezi se gam k badal leyi peeche aa rehe h
 

Anshu Sharma

Shubham Yadav
2,564
1,370
144
2 updates aayenge jaise aate hai. Usi ko Mega Update samaj lena
Ok update
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
61,067
244
Badhiya Bhai!! Toh Sonal ko ab new friend mil gayi uske hi college me, Ishita jo ki Ishant ki behan hai.
Hmm! Par ye Smita baar baar kyu bolti rehti hai sab kuch issi ki galti hai?? Mera shaq harr baar badh jaata hai ispe aur lagta hai ki yahi kuch gadbad kareli hai. :pepesuspicious:
Sonal abhi se khushi ke laddu fod rahi hai mann me ye soch ke ki Raj single hai. Bhale hi single hai par uss ladki ki yaad kaha bhula paa raha hai!?

Mujhe samajh nahi aa raha ki wo ladki inhe chorr ke kahi gayi hai ya kahi nipat toh nahi gayi!? 💀 Mein assume kar raha hu ki wo nipat gayi hai isliye laut ke nahi aa sakti. Shayad dheere dheere Sonal uss ladki ki jagah le Raj ke dil me...!? Delhte hai aage kya hota hai.

Keep Writing!
Thank you
 

RAAZ

Well-Known Member
2,437
6,431
158
Aisa kyo lag raha hai ki jo hua hai usme Smita ka haath hai
Raj ki nafrat bata rahi hain ki kuch to aisa Hua hain warna ek baccha aur Apni Maa ko doshi maney impossible.
 
Top