• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Bepanaah Ishq (Completed)

Lucky..

“ɪ ᴋɴᴏᴡ ᴡʜᴏ ɪ ᴀᴍ, ᴀɴᴅ ɪ ᴀᴍ ᴅᴀᴍɴ ᴘʀᴏᴜᴅ ᴏꜰ ɪᴛ.”
6,638
25,214
204
Update 45
Sonal apne kaam mein busy thi apne beheno ke saath hasi mazaak kar rahi thi aur Raj durr khada usko pyaar se dekhe jaa raha tha aur soch raha tha.

Raj: Mann mein. Kitni pyaari hai Sonal. Chehre pe duniya bhar ki masoomiyat hai aur muskurahat bhi kitni pyaari hai. Par puri pagal hai. Kitna mujhse pyaar karti hai. Sirf mere liye apni puri zindagi mere naam kardi aur badle mein kabhi kisi chiz ki maang nhi ki. Meri chotti si takleef se yeh kitna ghabra jaati hai.

Bagal mein khada Yash yeh dekh raha tha aur woh puch baithta hai.

Yash: Aise kyaa dekh raha hai Raj. Woh teri hi biwi hai.

Raj: Mujhe pata hai Yash. Par isne mere liye kitna kuch kiya hai aur maine iske liye kuch bhi nhi kiya. Yeh mujhse kitna pyaar karti hai aur kabhi saamne se mujhse pyaar nhi maanga. Main toh iske pyaar ka karzdaar hogya hu.

Yash: Agar aisa hai toh tu isko iske hisse ka pyaar deke woh karz utaar de.

Raj: Bahot jald Yash. Bahot jald. Sonal ko uske hisse pyaar bahot jald milega. Abhi kuch din baad hi Sonal ka birthday hai. Maine socha hai usi din Sonal ko woh sab dunga jiski woh haqdaar hai.

Yash: Bahot achha socha hai. Aur isse achha gift toh Sonal ko mil hi nhi sakta.

Raj: Isiliye toh uss din ko choose kiya hai.

Yehlog baat karne mein busy the aur inko pata hi nhi chala kab Swati inke paas aake khadi hogyi.

Swati: Kis din ko choose kiya hai Raj aur kisliye.

Raj: Bas hai kuch special. Sabke liye surprise.

Swati: Achhaa aisa kyaa karne wale ho. Yash aapko toh pata hi hoga. Mujhe nhi batayenge.

Yash: Jarur batata par yeh surprise bahot special hai aur main promise karta hu isse tum bhi bahot khush hojaogi.

Swati: Aisi baat hai toh phir dekhte hai aisa kyaa plan kiya hai aapdono ne. Achha ab chaliye dinner karlijiye. Bahot late hogaya hai.

Raj: Tum aur Sonal bhi chalo. Saath mein karte hai.

Swati: Humhe abhi thoda kaam hai hum baad mein khaayenge.

Raj: Bilkul bhi nhi. Ruko main abhi aata hu. Yeh bol Raj Sonal ke paas chala jaata hai jaha Sonal apne kaam mein busy thi.

Raj: Sonal.

Sonal: Haa Raj boliye.

Raj: Mujhe bhuk lagi hai.

Sonal: Aapne abhi tak dinner nhi kiyaa. Aap rukiye main abhi aapke liye dinner laati hu. Aap bhi naa bilkul bhi dhyaan nhi rakhte apna.

Raj: Aree ruko ruko. Pehle batao tumne khaya.

Sonal: Abhi nhi Raj. Bas yeh thoda sa kaam baaki hai phir karlungi.

Raj: Yeh kaam yehi band karo aur chalo dinner karne.

Sonal: Par Raj thoda sa hi baaki hai.

Raj: Maine kaha naa chalo chup chaap. Aur jab tak tum nhi khaogi main bhi nhi khaunga.

Raj ki iss baat pe Sonal saare kaam wahi chor deti hai aur Raj ke saath dinner karne ke liye chal deti hai bina koi sawaal jawaab kiye.

Idher Sonal ko jaate dekh Swati bhi chal deti hai. Phir charo milke dinner karne lagte hai.

Dinner ke waqt khaate samay Sonal ke muh mein khaana lag jaata hai jiska usse andaza nhi tha. Raj woh dekhta hai toh woh khud hi khaana saaf kardeta hai jisse Sonal ko thodi sharm bhi aati hai.

Thodi der mein dinner complete karke Sonal aur Swati apna kaam khatam karne chali jaati hai. Raj aur Yash Sonal ke Mama Papa ke saath busy hojaate hai.

Kuch der baad jab kaam khatam hojaata hai tab sab sone ke liye chal dete hai.

Room mein aane ke baad Sonal as usual Raj ke bag se uske liye kapde nikal deti hai.

Raj: Tumhe pata hai tumhari isi aadat ne mujhe bahot pareshan kiya hai.

Sonal: Matlab.

Raj: Yeh jo tum mera har kaam kardeti ho aur isiliye mujhe kuch Karna nhi padhta aur tumhare naa rehne se mujhe pareshani hoti hai.

Sonal yeh sunke hasne lagti hai aur bolti hai. Aadat padh gayi hai toh rehne dijiye. Kyoki main toh yeh kaam karungi hi chahe aap mujhe daante yaa gussa kare.

Raj: Phir karti raho saari zindagi.

Sonal: Khushi se. Chaliye ab so jaaiye. Bahot raat hogyi hai. Waise aapko sir dard toh nhi hai naa ab.

Raj: Jis wajah se horaha tha woh wajah khatam hogyi isiliye ab koi sir dard nhi hai.

Sonal: Aur woh wajah kyaa thi.

Raj: Batadunga bahot jald.

Sonal: Waise mujhe di bata rahi thi aapne koi surprise plan kiya hai. Kyaa hai woh.

Raj: Abhi toh bilkul nhi bataunga. Bahot special hai aur khash tumhare liye hi hai.

Sonal: Mere liyee.

Raj: Haaa. Aisa surprise jisse dekhte hi tum khushi se uchal padogi.

Sonal: Aur woh kab denge.

Raj: Abhi thoda time hai. Par yaha nhi apne ghar mein dunga.

Sonal: Mujhe intezaar rahega.

Phir dono so jaate hai.

Agle din sagai thi toh subah se hi sab kaam mein lage hue the. Par Sonal ne Raj ko akela nhi chora tha. Dono hi ekdusre ki madad kar rahe the aur saath mein hasi mazaak bhi kar rahe the.

Sham ko sagai ke liye guest aane start hogye the. Sablog ready bhi horahe the.

Sonal ne Raj ki di hui saari peheni thi jo uske upar bahot achhi lag rahi thi. Raj toh usko dekhte hi reh gaya.

Sonal: Aise kyaa dekh rahe hai Raj. Achhi nhi lag rahi mujhpe.

Raj: Yeh saree toh tumhare liye hi bani hai. Bahot khubsoorat dikh rahi ho tum.

Sonal: Sharma ke. Thank you Raj.

Phir dono nichhe aate hai. Swati bhi Sonal ki saree dekh rahi thi aur usko woh bahot pasand aayi thi.

Swati: Sonal yeh saree kab li tune. Bahot achhi lag rahi hai. Sagai ke baad mujhe de dena.

Sonal: Yeh saree toh main kabhi kisi ko naa du. Yeh saree specially Raj mere liye laaye hai kal.

Swati: Kyaa baat hai. Raj ki choice toh mast hai. Dekh kaise sab teri saree ko hi dekh rahe hai. Bahot achhi lag rahi hai tujhpe. Ek tera Raj hai jo tere liye khud shopping karta hai aur ek mere Yash hai jo aajtak mere liye ek nail polish tak nhi laaye.

Sonal: Ab isme main kyaa kahu. Par main bahot khush hu. Bhale hi Raj mere se pyaar nhi karte. Par unki yeh care mere liye unke pyaar se kam nhi hai. Main toh saari zindagi isi ke saath jee lungi.

Swati: Ek baat bolu. Raj jab se yaha aaya hai maine notice kiya hai woh tujhe harwaqt dekhta hai uski nazre jaise harwaqt tujhe hi khojti rehti hai. Uski aankho mein mujhe tere liye pyaar dikha hai. Mujhe lagta hai woh bhi tujhse pyaar karne laga hai.

Swati ki baat sunke Sonal ke dil ki dhadkan badh jaati hai. Usko Swati ki baat pe yakeen nhi horaha tha.

Sonal: Aap kyaa keh rahi hai di. Raj toh Megha se pyaar karte hai. Aur aapne jo dekha hai woh mere liye ek care respect hoga.

Swati: Mujhe bhi pyaar ki samaj hai Sonal. Main daave ke saath keh sakti hu Raj tujhse pyaar karne laga hai. Uske dil mein tere liye ek khaash jagah ban gayi hai.

Sonal kuch bhi nhi bolti kyoki uske paas kuch bolne ke liye tha hi nhi.

Swati: Agar tujhe yakeen nhi toh tu khud Raj ki aankho mein dekh yaa uski nazar se halka sa durr hoke dekh.

Sonal bina kuch bole waha se chali jaati hai aur Swati ki boli hui baat sochne lagti hai.

Sonal: Kyaa Raj sach mein mujhse pyaar karne lage hai. Yaani meri mehnat rang laayi. Mere Raj bhi mujhse pyaar karte hai ab. Par agar yeh di ki nazar ka bhram hua toh. Agar di ne jo bola woh galat nikla toh. Nhii nhii main abhi kisi nateeze pe nhi aaungi. Ekbaar mera dil toot chuka hai ab agar dobara toot ta hai toh main jee nhi paungi.

Abhi Sonal yeh soch hi rahi thi ke pichhe se awaaz aati hai mujhe nhi pata tha meri biwi ko akele barbar karne ki aadat hai.

Sonal pichhe ghum ke dekhti hai toh waha Raj khada tha.

Sonal: Raj aap yaha.

Raj: Aana padha kab se dekh raha hu meri biwi yaha akele baithe barbar kiye jaa rahi hai.

Sonal: Aisa kuch nhi hai. Bas kuch soch rahi thi.

Raj: Aisa kyaa soch rahi thi jara humhe bhi batao.

Sonal: Kuch khaash nhi. Bas aise hi.

Raj: Bata bhi do shayad kuch madad hojaaye.

Sonal ab kyaa bole usko samaj nhi aaraha tha woh phirse sochne lagti hai.

Raj: Dekho phir se sochne lagi ho. Achha choro yeh batao aaj sagai hojaa rahi hai. Toh kal yehi rehna hai yaa ghar chalna hai. .

Sonal: Aap jaisa thikk samjhee.

Raj: Thik hai phir kal ready rehna hum ghar chalenge. Ab chalo sagai ki rashm start hone ko hai.

Phir dono waha se sabke beech aajate hai. Par Raj ne Sonal ki baat sunli thi jo usne akele mein kahi thi isiliye woh Sonal dekhte hue mann mein bolne lagta hai.

Raj: I Am Sorry Sonal. Mujhe pata hai tumhe kitni takleef hui hogi mere past ke baare mein jaanke. Par tumne sab haste hue sehliya. Par bas kuch din ka wait karo tumhari mehnat ka fal tumhe milega ab. Bahot jald tumhe tumhara pyaar milega.

Dheere dheere sagai ki rashm puri hojaati hai saare mehmaan bhi dheere dheere chale jaate hai. Ab bas ghar ke kuch log hi baaki the.

Rashmi: Sonal Swati tumhare mummy papa toh bol rahe hai woh kal chale jaayenge. Tumlog toh rahoge naa kuch din humare saath.

Sonal: Mami ji ab main kyaa bolu. Jaisa Raj chahenge main waisa hi karungi.

Swati: Haa Mami ji Yash jaisa chahenge waisa hi hoga.

Rashmi: Raj Yash rukh jao kuch din. Iss sagai ke mahaul mein tumlogo se thik se baate bhi nhi hui. Isi bahane thodi baate bhi hojayegi.

Raj: Maaf karna Mami ji. Hum rukh jaate but hum apna kaam chorke aaye hai. Agar Sonal yaha rukhna chahe toh rukh sakti hai koi problem nhi hai.

Yash: Haa Mami ji. Raj sahi keh raha hai. Swati aur Sonal yaha rukhna chahe toh rukh sakti hai baad mein aajayengi.

Rashmi: Swati Sonal rukogi naa. Shaadi ke baad toh tumdono apna Mama Mami ko bhul hi gayi ho.

Sonal: Main nhi rukh sakti Mami ji. Kyoki mera bhi college chal raha hai. Jyaada chuti nhi karsakti. Phir mere exams bhi aane wale hai.

Swati: Agar Sonal nhi rukh rahi hai toh main akele kyaa karungi. Hum baad mein phir aajayenge.

Rashmi: Ab tumdono ne reason hi aisa diya hai ke main kuch bol hi nhi sakti. Thikk hai phir jao. Lekin promise karo baad mein jarur aaoge.

Dono: Promise.

Phir sab apne apne room mein aake so jaate hai.

Agle din Sonal uthke apne aur Raj ke kapde packs karne lagti hai.

Thodi der baad sab nichhe hall mein baithe hue the.

Deepak: Raj tumlog kab nikal rahe ho.

Raj: Ji bas thodi der mein niklenge. Aaplog kab niklenge.

Deepak: Humlog sham ko niklenge. Tumlog dhyaan se jaana.

Raj: Ji.

Thodi der baad Raj Sonal Yash Swati sabse milke wapas Mumbai ke liye nikal jaate hai aur dopahar tak wohlog apne apne ghar bhi pahonch jaate hai.

Sonal apne ghar mein aake jo khushi mil rahi thi woh khushi usko ab kahi nhi milti thi.

Smita: Kaisa raha Sagai ka function sab achhe se hogya naa.

Sonal: Haa Mummy sab achhe se hogyaa.

Smita: Chalo achhi baat hai. Ab jaao aaram karo. Kal se wapas college start karo. Bahot din chutti hogyi. Exams aane wale hai naa.

Sonal: Jiii.

Phir Sonal waha se apne room mein chali jaati hai. Raj bhi jaane wala hota hai toh usko Nandini pakad leti hai.

Nandini: Toh bataya tumne usse.

Raj: Abhi nhi bhabhi.

Nandini: Ab kyo late kar rahe ho Raj.

Raj: Sonal ko surprise dunga Bhabhi. Kuch din baad uska birthday hai usi din bolunga.

Nandini: Bilkul pehle ki tarah.

Raj: Jiii. Uss waqt toh darr tha reject hone ka. Par issbaar toh koi darr nhi hai.

Nandini: Achhi baat hai. Toh kuch plan kiya kaise kya karoge.

Raj: Socha toh hai. Par pata nhi usko pasand aayega ya nhi.

Nandini: Mujhe batao. Main help karti hu.

Raj: Thikk hai. Main fresh hoke aata hu phir baat karte hai.

Nandini: Thikk hai.

Phir Raj waha se apne kamre mein aata hai toh dekhta hai Sonal fresh hochuki hai aur padhne baith gayi hai.

Raj: Kyaa baat hai tum toh ek achhi bachhi ki tarah chup chaap padhne baith gayi.

Sonal: Main achhi bachhi hi hu. Aur itne din padhai nhi hui toh usko cover karlu.

Raj: Good. Ab tum apni padhai complete karke hi waha se uthogi. Tumhara lunch bhi upar aajayega. Aur main yeh dekhlunga koi tumhe disturb bhi nhi karega.

Sonal: Thikk hai.

Phir Raj fresh hone chala jaata hai par Sonal apni aadat se majbur bina Raj ka kaam kiye usko chainn nhi milta isiliye woh Raj ke kapde nikal ke bed mein rakh deti hai.

Raj jab bahar aake dekhta hai usko hasi bhi aati hai toh gussa bhi aata hai. Sonal tirchi nazro se Raj ko dekh rahi thi.

Raj: Tum nhi sudhrogi naa. Maine tumhe mana kiya tha na.

Sonal: Achha thikk hai ab nhi karungi. Sorryyy.


Raj: Chalo ab padhai karo main neeche hu. Phir Raj waha se nikal jaata hai aur Sonal bhi apni padhai karne lagti hai.
Awesome superb and laajawab update
 

Anshu Sharma

Shubham Yadav
2,564
1,370
144
Update kider h bhai
 

RAAZ

Well-Known Member
2,141
5,998
158
Update 5
Idher Raj office mein apni meeting complete karke apni cabin mein aake baith jaata hai. Tabhi waha Yash aajata hai.

Yash: Kya baat hai bhai yeh project toh tujhe hi milega. Kya presentation diya hai tune.

Raj kuch nhi kehta bas baitha rehta hai.

Tabhi Yash ke mobile mein call aata hai.

Yash: Haa bhabhi boliye.

Shruti: Meeting khatam hogyi.

Yash: Haa bhabhi bas abhi abhi khatam hui hai.

Shruti: Great. Toh kya tum apni bhabhi ka ek kaam karoge.

Yash: Order dijiye bhabhi. Aakhir mujhe bhi raat ko ghar mein rehna hai. Yeh bol haste lagta hai.

Shruti: Very funny. Toh ab suno. Tumhe Raj ko lunch karana hai. Dekhna woh bhukha naa rahe. Kal bhi usne kuch naa khaya tha raat mein.

Yash: Ji bhabhi. Aap tension naa lo.

Shruti: Good. Toh ab main rakhti hu.

Yash: Ji bhabhi.

Phir call cut hojaata hai.

Yash: Chal bhai chalke lunch karte hai.

Raj: Nhii mann nhi kar raha hai.

Yash: Bhai kyo mujh gareeb ko ghar se nikalwane pe tula hua hai. Agar tu nhi khayega toh main ghar nhi jaa paunga.

Raj: Kyo tujhe kisne roka hai.

Yash: Bhai meri bhabhi yaani teri didi. Ghar mein unka order chalta hai. Agar unhone boldiya ke main ghar mein nhi rahunga toh koi kuch nhi karsakta. Isiliye chal bhai chalke khaa le. Yeh teri didi ka order hai.

Raj aage kuch nhi bol paata. Woh uth ke canteen mein chal deta hai jisse dekh kar Yash ke chehre mein muskurahat aajati hai.

Yash Shruti ko done ka msg kardeta hai phir dono canteen mein aake lunch karne lagte hai.

Idher ghar mein. Shruti apni maa se.

Shruti: Lijiye mummy. Raj ne lunch karliya. Ab aap bhi kuch khaa le.

Smita: Sach mein Raj ne khaaya hai naa.

Shruti: Haa Mummy. Dekhiye Yash ne done ka msg kiya hai. Ab aap kuch khaa lijiye.

Phir Smita bhi khaane lagti hai.

Shruti(Mann mein): Pata nhi kab Raj aur Mummy ke beech sab thik hoga. Bhagwaan please inke beech sab jaldi se thik kardo.

Idher Jaipur mein raat ko Deepak ghar aata hai aur bolta hai.

Deepak: Tum sab ki packing hogayi.

Sab: Haaa bas ho hi gayi hai. Ab bas sabke liye gifts lene hai.

Deepak: Toh tumlog kal jaake shopping karlo. Kyoki parso dopahar ki flight hai humari.

Sab: Thikkk hai.

Raat ko jab Raj office se wapas aata hai toh Smita uska wait karrahi thi. Par issbaar Smita ke saath Ragini aur Nandini bhi the.

Nandini: Aaj jaldi aagaye Raj.

Raj: Haa bhabhi aaj kaam jaldi khatam hogya.
Ragini: Achha hai. Jao jaldi se fresh hojao phir dinner karte hai.

Raj: Jii Badi Mummy.

Phir Raj jaldi se jaake fresh hota hai aur dinner karne nichhe aata hai. Aaj ka saara khana Smita ne banaya tha khash kar Raj ke liye. Yeh baat sab jaante the bas Raj nhi jaanta tha.

Ragini aur Nandini ne milke Raj ko serve kiya.

Raj khana ka first bite leta hai toh aankhe band karleta hai aur swaad ko mehsoos karne lagta hai.

Raj: Khana bahot achha bana hai kisne banaya hai.

Ragini: Khana Nandini ne banaya hai. Tumhe pasand aaya.

Raj: Jii Badi Mummy. Khana bahot achha bana hai.

Raj ke muh se khaane ki tareef sunke Smita bahot khush hojaati hai. Woh Raj ko khaate hue dekhti rehti hai. Uski bhook usko khaate dekh kar hi shant hochuki thi.

Thodi der baad Raj khaana khaa ke apne room mein chala jaata hai.

Nandini: Choti mummy ab aap bhi khaa lijiye.

Smita: Meri bhook toh tabhi mitt gayi jab mere Raj ko khaana pasand aaya.

Ragini: Nandini Smita ke kiye serve karo.

Phir Smita bhi khaana khaa ke apne room chali jaati hai.

Jaipur mein agle din sablog apne kaam khatam karke sham ko shopping ke liye nikal jaate hai. Swati aaj office naa jaake inke saath shopping pe aayi thi.

Meera: Toh bolo kisko kya lena hai.

Swati: Mummy pehle Shruti di ke liye shopping karlete hai. Phir Karan bhaiya Nandini bhabhi Raj Aarav ke liye. Phir Ishant Jiju ke liye aur unke bhai behen ke liye.

Meera: Thik hai phir. Tum Shruti aur uske sasuraal walo ke liye dekho. Sonal Main aur Samar baaki sabke liye dekhte hai.

Swati: Thikkk hai.

Samar: Dheere se Sonal ke kaan mein. Di aap naa Raj bhaiya ki shopping karna.

Sonal: Aankhe dikha ke. Tu phir suru hogya. Chal jaldi dekh Mummy aur di aage chale gayee.

Samar: Haa toh maine kaha roka hai. Aap hi toh Raj bhaiya ki baat leke baith gayi. Yeh bol woh waha se bhagg jaata hai.

Sonal: Kyaaa. Main unki baat kar rahi hu. Tuu rukk aaj toh tujhe chorungi nhi. Yeh bol Sonal bhi uske pichhe bhagti hai.

Samar bhagg kar Meera ke paas aake khada hojaata hai.
Samar: Mummy dekho na Sonal di maar rahi hai bina wajah.

Sonal: Main bina wajah maar rahi hu. Aur tu jo kalse mujhe unka naam leke pareshan kiye jaa raha hai.

Samar: Unkeeeeeeeee.

Meera: Areee kyaa huaa. Yaha mall mein bhi tum dono ki badmaashi chalu hai.

Sonal: Mummy yeh Samar kabse mujhe pareshan kar raha hai.

Samar: Main kaha pareshan kar raha hu.

Meera: Kyaa hua puri baat batao.

Samar: Main batata hu.

Sonal: Nhii rehne de. Tu phir kuch ulta fhulta batayega.

Samar: Haaa unkeeeeeeee baare mein.

Meera: Ab bas karo aur jaldi se shopping karo.

Phir Meera ek taraf chali jaati hai.

Samar: Tohhh diii unkeeeeee.

Sonal: Tu chup karnaa. Woh age mein mere se badee hai isiliye kaha unkee.

Samar: Haa toh main kaha koi explaination maang raha hu.

Sonal: Tuuu.

Samar: Chaliye ab chalke shopping karte hai. Dheere se. Unkee liyeee.

Sonal sunn toh leti hai par kuch nhi bolti.

Phir yeh log shopping karna start kardete hai.

Inko shopping karte hue kuch time hi hua tha tabhi kisi ne Sonal ki aankho mein haath rakh diya.

Sonal ke saath achanak aise hone se usko bahot bada jhatka lagta hai. Woh haath ko chuu ke pehchane ki koshish karti hai. Par jab woh pehchan nhi paati aur upar se ladke ka haath tha toh apne sir ko pichhe ki taraf dhakelti hai jisse uske aankho ko dhakne wale ke naak se takrata hai aur uska haath Sonal ke aankho se hatt jaata hai aur Sonal ne ghum ke usko ek thappad laga diya.

Sonal thappad lagane ke baad jab uska chehra dekhti hai toh usko shock lagta hai kyoki woh koi aur nhi Vicky thaa.

Sonal: Vickyyy tummmm.

Vicky: Apni naak ko pakde hueee. Haaa mainnn. Aur aisa kaun karta hai yaarr.

Sonal: Galti tumhari hai. Tumhe aise pichhe se meri aankhe band karne ko kisne kaha tha.

Vicky: Yaar main toh masti kar raha tha. Yaha shopping pe aaya tha tumhe dekha toh waisa kiya. Par tumne toh meri naak todd di aur thappad laga diya woh alag.

Sonal: Toh tumhe kisne kaha tha aise karne ko.

Vicky: Toh kya tum kisi ko bhi aise hi marogi.

Sonal: Jii haa. Kyoki maine koi dost banaya nhi hai jo mere saath mazaak karee. Aur maine kisi ko permission nhi diya hai mujhe touch karne kaa. Tumne bina permission ke touch kiya isiliye maara. Aur tum jaan pehchan wale ho isiliye koi scene create nhi hua.

Vicky: Par dekhna toh chahiye tha naa aur tumne toh chuu ke dekha thaa naa.

Sonal: Haaa chuu ke dekha tha ladka tha isiliye attack kiya.

Vicky: Toh kyaa tumne chuu ke pehchana nhi mujhe.

Sonal: Tum koi khaash nhi jisse main chuu ke pehchan lu. Aur ab tum jaa sakte ho. Shopping karne aaye ho toh jao aur shopping karo.

Vicky: Aisee kyo bol rahi ho. We are friends.

Sonal: Friend ho isiliye salinta se bolrahi hu. Warna tumne abhi jo kiya hai uske baad toh baat karne ki bhi ichha nhi hai. Yeh bol Sonal waha se nikal jaati hai Samar ke paas. Jo thodi durr khadi hoke dekh raha tha.

Samar: Kyaa huaa di. Itne gusse mein kyo ho.

Sonal: Uski himmat kaise hui mujhe chune ki. Mujhe chune ka haq sirf usse hoga jisse main pyaar karungi jisse mujhe chune ka permission hogaa.

Samar: Aapne usko maarke baat khatam ki naa. Ab shant hojaiye. Dekhiye humhe kaise dekh rahe hai kuch log.

Sonal charo taraf nazar ghumati hai toh dekhti hai kuch log ghurr rahe hai usse aur Vicky ko jo waha se jaa raha thaa.

Samar: Waise aapne solid chipka diya usko. Maza aagaya dekh kar.

Sonal: Woh isike layak tha. Bahot din se pareshan kiye jaa raha tha. Shayad isse uski akal thikane aajaye.

Samar: Hmm sahi kaha. Chaliye ab apna mood thik karee. Aur baaki ki shopping karle.

Phir yeh dono apne shopping karne lagte hai.

Idher Vicky gusse mein waha se nikal gaya apni beizaati karake. Jaha bahar uska ek dost khada tha jisne Sonal ko mall mein dekha toh Vicky ko call karke bata diya tha.

Dost: Kyaa hua bhai baat bani. Aur tu apni naak pakadke kyo khada hai.

Vicky: Pure shop mein meri beizaati kardi usne.

Dost: Kyaaa. Par kyo. Tu toh pyaar karta hai naa usse. Aur woh toh ladke ke naam pe sirf tujhse baat karti hai aur shayad woh bhi tujhse...

Vicky: Woh mujhe sirf ek Comman friend maanti hai usse jyaada kuch nhi. Maine uski pichhe se aankhe band kardi toh apne sir mere naak mein maarke mujhe thappad mardiya.

Dost: Kyaa. Par kyooo. Dost ke naate toh yeh comman baat hai.

Vicky: Dost hu. Lekin sirf durr reh sakta hu. Usko touch ka permission nhi hai. Saala usse pyaar karta hu isiliye chup kargaya. Warna batata main kya chiz hu.

Dost: Toh ab.

Vicky: Ab kyaa. Ab usse jaise bhi karke shaadi karunga aur apni iss beizaati ka badla lunga. Woh sirf meri hogi aur kisi ki bhi nhi.

Dost: Aisa hi hoga. Uski parents ki nazar mein bhi toh tu hai. Unko impress kar. Main toh kehta hu. Unko aur apne parents ko mila de aur shaadi ki baat karde.

Vicky: Sahi keh raha hai jaldi hi yeh karunga.

Phir woh dono ghar ki taraf nikal jaate hai.

Idher thodi der baad inki shopping bhi khatam hogyi thi aur yehlog bhi ghar jaane ke liye nikal jaate hai.

Inko shopping karke ghar pahonchte hue raat hojaati hai.

Dinner bahar hi karliya tha. Isiliye ghar aake apni baaki ki packing karke so jaate hai.

Idher Kapoor House mein subah breakfast table mein Vijay sabse bolta hai.

Vijay: Aaj sham ko Deepak aur uski family aajayengi.

Shruti: Yeh toh achhi baat hai. Bahot waqt hogye hai Swati Sonal aur Samar se mile hue.

Vijay: Rajjj.

Raj: Ji bade papa.

Vijay: Kyaaa tum jaake unko Airport se receive karloge.
Raj: Par bade papa office.

Ashok: Agar ek din office se jaldi nikal jaoge toh koi bahot bada loss nhi hogaa.

Raj: Thikk hai Papa main receive karlungaa. Mujhe flight details msg kardijiye.

Vijay: Thikk hai main kardunga.

Phir sab office nikal jaate hai.

Savitri: Badi bahu choti bahu Nandini beta tumlog Hari(ghar mein kaam karne wala aadmi no important role kabhi kabhi naam aayega)se bolke kuch kamre saaf karwa do.

Shruti: Dadi Swati mere saath rahegi. Sonal ko Raj ke bagal wala room de dete hai woh thoda bada bhi hai toh woh waha rehlegi. Aur Samar Aarav ke saath rehlega. Aur uncle aunty ke liye guest room khulwa dete hai.

Nandini: Haa yeh thik rahega. Phir ab jab Sonal 2 saal yehi rahegi toh usi room mein rehlegi.

Savitri: Thikk hai toh aisa karlo.

Smita: Tumlogo ki shopping hogyi.

Nandini: Nhi choti mummy. Kal jayenge.

Shruti: Haaa. Ab toh Sonal Swati aur Samar bhi join karlenge Ishita ke saath.

Ragini: Dekhlo jyaada time nhi hai.

Nandini: Jii.

Phir yeh log bhi apne apne kaam mein lag jaate hai.

Idher Jaipur mein sablog ekbaar phirse sab check karlete hai phir Airport ke liye nikal jaate hai.

Swati: Papa aapne unhe flight details msg kardi thi naa.

Deepak: Haaa maine Vijay bhaiya ko msg kardiya tha aur unka msg aaya hai ke Raj aayega humhe recieve karne.

Samar: Sonal ke kaan mein dheere se. Rajj bhaiyaa aayenge didi humhe lene.

Sonal: Haaa sunaa maine.

Samar: Aap excited ho.

Sonal: Kyoo Shahrukh Khan aaraha hai kya humhe lene jo excited rahu. Ab chup chap khada rahe.

Samar hasne lagta hai.

Thodi der baad inki flight ki announcement hoti hai toh yeh check-in karke flight mein baith jaate hai.

Kuch der baad flight takeoff karjaati hai mumbai ke liye.

Idher Raj jab office aata hai toh Yash nhi aaya hua hota hai.

Raj apna kaam karne lagta hai. Thodi der baad Yash aajata hai. Aur kaam karne lagta hai.

Aise hi kaam karne ke baad Yash bolta hai.

Yash: Aur kitna kaam karega bhai. Chal na ek ek coffee lete hai neend aarahi hai.

Raj: Kitna soyega. Raat bhar kya karta hai.

Yash: Ek toh teri wajah se mujhe jaldi uthna padhta hai. Isiliye meri neend puri nhi hoti.

Raj: Kumbhkaran.

Yash: Ab main teri tarah workaholic nhi. Aur mere se subah jaldi nhi utha jaata.

Raj: Aalsi. Tera suru se aisa hi hai. College mein bhi 1st lecture humesha miss hota tha tera. Sudhar jaa. Kuch waqt baad teri bhi shaadi hogi. Warna biwi aake dande maar maar ke uthayegi.

Yash: Aree aane toh de pehle. Main toh kab se wait kar raha hu. Par aati hi nhi. Waise mere saath tu bhi ghodi chadegaa. Main akele thodi chadungaa.

Raj: Tu kisliye ghodi chadega. Tu toh gadhi chadega naa. Shaadi bhi toh gadhe ki hogi. Ghodi toh main chadunga.

Yash: Bekhayali mein. Haa sahi kaha.

Raj yeh sunke hasne lagta hai. Idher Yash ko jab khayal aata hai Raj ne kya bola tha toh gusse se bolta hai.

Yash: Main gadha hu.

Raj: Isme bolne ka kya hai yeh toh mujhe pata hai. Kuch naya bol. Yeh bol woh hasne lagta hai.

Yash kuch bolta par Raj ko hasta dekh woh rukh jaata hai. Aaj bahot waqt ke baad woh Raj ko haste hue dekh raha thaa.

Raj: Kyaa huaa aise kyaa dekh raha hai.

Yash: Kuchh nhii. Waise tu kiske liye ghodi chadegaa.

Raj: Aree isme bolna kya hai. Main toh apni M......

Raj abhi aage par bolta par uski jubaan aage nhi khulti. Aur isike saath uski hasi gayab hojaati hai.

Yash jo itne waqt baad Raj ko khush dekh ke khush tha par apni bewakoofi bhari sawaal se usse wapas dukhi kardeta hai.

Yash: Rajjj I am sorry yaarr. Maine wapas tujhee.....

Raj: Nhii yaar isme teri koi galti nhi hai. Yeh meri kismat hai. Main chah ke bhi isse kabhi nhi badal sakta. Waise woh pal bhi kitna achha thaa naa. Jab hum eksaath the. Masti mazaak karte. Ghumne jaate. Par phir woh din aaya jo sabkuch ujaad gaya. Yeh bolte waqt uske aankh se aansu ke do boond nikal jaate hai.

Yash: Main jaanta hu Raj yeh chiz tu kabhi nhi bhul sakta.
Tu kya hum mein se koi nhi bhul sakta jisse pata hai. Par kab tak aise hi rahega. Ab tujhe apni life mein aage badhna chahiye. Usne bhi toh yehi kaha tha naa.

Raj: Hmmmm. Koshish kar raha hu Yash. Par jaise hi ek kadam aage badhata hu kisi na kisi tarah se uske saath bitaya hua waqt yaad aajata hai.

Yash kya bolta kyoki woh jaanta tha yeh bahot mushkil tha.

Raj: Chorr. Chal kaam karte hai. Phir mujhe Airport bhi jaana hai.

Yash: Kisliyee.

Raj: Di ki sagai ke liye Jaipur se thode relatives aarahe hai unhe receive karne ke liye.

Yash: Kab jaana hai.

Raj: 5 bajee.

Yash: Abee 4:30 baj gaye hai. Kab jayegaa.

Raj: Whatttt. Abee bade papa ka kaam tha. Jaldi chal warna meri khairr nhii.

Phir Yash aur Raj Airport ke liye nikal jaate hai.

Idher inki flight time se land karjaati hai. Yeh checkout karke bahar aate hai toh waha Raj nhi tha.

Sonal: Papa hum Raj ko pehchange kaise. Aur koi humare naam ka board leke bhi nhi khada hai.

Deepak: Vijay bhaiya ne uska number diya tha. Ruko call karta hu.

Deepak Raj ko call lagata hai. Raj toh drive kar raha tha aur Yash bagal mein baitha tha.

Yash: Abee tera phone baj raha hai.

Raj: Tu utha dekh kiska hai.

Yash: Unknown number hai. Uthau.

Raj: Utha.

Yash: Hello. Kaun.

Deepak: Hello Raj. Main Deepak bolraha hu. Hum Airport pe khade hai tum kaha ho.

Yash: Hello uncle. Actually main Raj nhi uska dost Yash hu. Raj Drive kar raha hai. Hum Airport hi aarahe hai. Par traffic ke wajah se late hogaye hai.

Deepak: Oooo. Kitna time lagega.

Yash: Uncle aur shayad 10 minutes lagega. Aaplog waiting room mein wait kijiye.

Deepak: Thikkk haii tumlog aaram se aao.

Yash: Abee jaldi chal woh log pahonch gaye hai wait kar rahe hai.

Swati: Kya hua Dad. Kaha hai Raj.

Deepak: Woh aaraha hai. Actually traffic ki wajah se late hogya hai. 10 mins lagega. Chalo waiting room mein wait karte hai.

Phir yehlog waiting room mein aajate hai.

10 mins baad Raj aur Yash Airport aate hai.

Raj: Tu baith main aata hu.

Phir Raj sidha waiting room ki taraf daud laga deta hai. Jab woh waiting room mein aata hai toh waha 5 log baithe hue the.

Sonal ki nazar sabse pehle Raj pe padhti hai toh woh dekhti reh jaati hai. Woh palke jhapkana bhul jaati hai bas ektak Raj ke chehre ko dekhti hai. Uski chehre ko jaise apni aankho mein basa rahi thi.

Formal shirt aur pant uski body mein puri tarah fit thaa. Hair style bhi mast tha. Aankho mein ek stylish chashmah jisse dekh kar Sonal puri tarah se ghayal hochuki thi. Pehli baar kisi ko dekh kar Sonal ke dil mein pyaar ka aihsaas hua tha.

Raj: Deepak Uncle.

Deepak: Rajjj.

Raj aage badh ke Deepak aur Meera ke pairr chutaa hai.

Raj: Sorry woh traffic ki wajah se late hogya aur aaplogo intezaar karna padha.

Meera: Koi baat nhi beta. Humhe pata hai mumbai ke heavy traffic ke baare mein. Kaise ho tum.

Raj: Jii thik hu. Aaplog kaise hai. Aane mein koi takleef toh nhi hui naa.

Deepak: Humlog bhi thik hai aur aane mein koi takleef nhi hui.

Raj: Chaliye chalte hai.

Phir Raj Deepak ke haath se uska luggage leke aage badh jaata hai.

Sonal abhi bhi usse ek tak dekhe jaa rahi thi.

Samar: Kyaa huaa di. Aisee kyaa dekh rahi ho. Chalooo.

Sonal: Hadbada ke. Haa challl.

Samar: Waise kitna handsome hai naa Raj.

Sonal: Bahotttt.

Samar: Kyaa baat hai di. Pehli baar kisi ladke ko dekh kar aapne aisa kaha. Kahi dil toh nhi aagaya.

Sonal: Chupp karr. Kuch bhi bolta hai. Yeh bol Sonal aage nikal jaati hai aur thoda sharmaa jaati hai.

Phir sab car ke paas aate hai. Yash Car se bahar aata hai.

Raj: Uncle yeh mera dost cum bhai Yash. Isike bhaiya se di ki shaadi horahi hai.

Yash aage badh ke Deepak aur Meera ke pairr chutaa hai.

Yash: Aane mein koi takleef toh nhi hui na.

Deepak: Nhi beta.

Phir Yash ki nazar Swati pe jaati hai toh woh dekhta hi reh jaata hai. Uske dil ki dhadkan badh jaati hai. White suit mein jaise koi pari utar aati hai uske saamne. Woh bas ek tak usko dekhta rehta hai. Par jab usko khayal aata hai ke woh kaha hai toh apni nazre hata leta hai.

Par yaha yehi haal Swati ka bhi tha. Woh bhi Yash ko dekh kar attract hui thi. Aur usko aise ghurte dekh sharma rahi thi.

Raj: Aaiye uncle baithiye.

Raj aur Yash ne milke saara luggage rakhdiya tha.

Phir sablog car mein baith jaate hai. Sonal aise baithi thi ke usko drive karta hua Raj saaf dikh raha tha aur woh bas usko hi dekhe jaarahi thi sabki nazre bacha ke.

Yash bhi rear view se Swati ko hi dekh raha tha jo Swati ko pata tha isiliye woh sharma ke window se bahar dekh rahi thi.

Meera: Waise Raj ab toh tum bahot bade hogaye ho. Bachpan mein dekha tha tumhe.

Raj: Jii aunty. Par mujhe yaad nhi.

Meera: Jaahir si baat hai uss waqt toh tum 9 saal ke the. Ghar mein sab kaise hai.

Raj: Jii sab achhe hai. Waise aapke bagal mein jo baitha hai woh Samar hai naa.

Meera: Haa yeh Samar hai. Aur yeh Sonal hai. Aur woh hai Swati.

Raj: Hiiii.

Samar aur Swati: Hii.

Sonal: Dheere se. Hii Rajjj.

Raj: Hii Sonal. Kaisi ho tum.

Sonal: Main achhi hu. Aap kaise hai.

Raj: Main bhi achha hu. Yeh bol ekbaar Sonal ko pichhe ghum ke dekhta hai toh pata hai Sonal usko hi dekh rahi hai. Phir woh aage dekh kar drive karne lagta hai.


Thodi der baad yehlog Kapoor House pahoch jaate hai.
To aaj pehli mulaqaat हो hi gayi aur so Al ki halat ki woh hume diwana kar agye ek baar dekh kar. Aur hum kuch na kar sake usko baar baar dekh kar.
Acchi and strong story line ke shuru huay Hai. Aap badiya Hai.
 

Jaguaar

Prime
17,679
60,240
244
To aaj pehli mulaqaat हो hi gayi aur so Al ki halat ki woh hume diwana kar agye ek baar dekh kar. Aur hum kuch na kar sake usko baar baar dekh kar.
Acchi and strong story line ke shuru huay Hai. Aap badiya Hai.
Thank you
 
  • Like
Reactions: mashish

dhparikh

Well-Known Member
6,877
8,209
173
Update 46
Raj: Bhabhi jara Sonal ka lunch upar de dijiyega. Woh padhai karne baithi hai. Toh maine usko uthne ke liye mana kiya hai.

Nandini: Yeh achha kiya. Warna woh khud thodi der baad nichhe aati lunch banane. Chalo ab batao kyaa plan kiya hai.

Raj: Woh maine socha hai. Main pura din uske saath hi spend karunga. Subah usko leke mandir jaunga jaha jaana usko sabse jyaada pasand hai. Phir usko uska favourite breakfast karwaunga. Pichli baar shaadi ke baad jab hum ghumne gaye the tab usne bola tha woh har saal apne birthday ke din Orphanage aur Old Age Home jaake time spend karti hai aur thoda donation bhi karti hai. Toh uss din wob bhi hoga.

Phir thoda bahot ghumna hoga. Uske baad uske liye maine ek hotel specially book karke decorate karwake waha usko Wish karunga aur propose karne ka socha hai. Ab mujhe yeh samaj nhi aaraha hai usse yeh sab achha lagega naa.

Nandini: Tumne jo jo socha hai woh sab Sonal ko bahot pasand aayega. Aur usko sabse jyaada kyaa pasand aayega pata hai.

Raj: Kyaa.

Nandini: Tum pura din uske saath rahoge yeh usko sabse jyaada pasand aayega. Waise kab hai uska birthday.

Raj: 2 din baad.

Nandini: Aree yeh toh kam time hai. Tumne hotel ka arrangement karliya.

Raj: Nhi. Aaj sham ko karunga.

Nandini: Achhi baat hai. Aur yeh make sure karna har chiz perfect ho aur Sonal ki pasand ka ho.

Raj: Jiii. Par mujhe uski pasand naa pasand ke baare mein jyaada nhi pata. Maine kabhi pucha hi nhi. Khaane ke baare mein usne khud bataya tha isiliye pata hai.

Nandini: Waahhh greatttt. Kaise pati ho apni patni ki pasand naa pasand nhi pata. Isme main tumhari koi madad nhi karungi. Tum khud sambhalo isko.

Raj: Aree bhabhi kardo na help.

Nandini: Bilkul nhi. Shaadi ko 6 mahine hogye abhi tak tumhe uski pasand naa pasand nhi pata Aur ek woh hai jisko tumhare harchiz pata hai.

Raj: Meri Sonal toh greatt hai. Please help kardo.

Nandini: Sorryyy. Khud sambhalo. Yeh bol Nandini waha se chali jaati hai.

Raj waha thaga sa baitha rehta hai aur apne aap se bolta hai.

Raj: Chalo Raj beta. Bhabhi ne toh help karne se mana kardiya. Ab jab dobara pyaar kiya hai toh mehnat toh karni hi hogi. Par kaise karu. Haa Swati se puchta hu. Usko sab pata hoga. Yeh bol woh Yash ko call lagata hai.

Yash: Haa Raj bol.

Raj: Swati ko phone de. Usse kaam hai.

Yash: Meri biwi se kyaa kaam hai tujhe.

Raj: Bagal mein khada hoke sunnliyo. Chal phone de.

Yash: Haa haa deta hu. Swati yeh lo Raj baat karna chahta hai.

Swati: Haa Raj bolo.

Raj: Tumse kuch puchna hai. Par promise karo Sonal ko kuch nhi bataogi.

Swati: Aisa kyaa puchna hai tumhe.

Raj: Nhii pehle promise karo. Tum Sonal ko iss baare mein kuch nhi bataogi aur naahi yeh bologi ke meri aur tumhari baat hui hai.

Swati: Kuch soch ke. Achaa thik hai pucho.

Raj: Mujhe Sonal ki saari pasand naa pasand ke baare mein janna hai.

Swati: Aur woh kisliye.

Raj: Woh actually 2 din baad Sonal ka birthday hai toh isiliye uske liye surprise plan kiya hai uske liye. Pleasee yeh baat Sonal ko yaa kisi aur ko mat batana.

Swati: Khush hoke. Reallyyyyy. Tumne uske liye birthday surprise plan kiya hai.

Raj: Haaa. Aur isiliye mujhe batao usko kya kya pasand hai.

Swati: Bilkul kyo nhi.

Phir Swati Raj ko Sonal ki saari pasand naa pasand ke baare mein batati hai.

Raj: Thank You Swati.

Swati: Tum Sonal ke liye yeh kar rahe ho iske liye tumhe Thank You.

Phir call cut hojaata hai.

Call cut hotei Swati bagal mein khade Yash ke gale lag jaati hai aur uske gaalon mein kiss kardeti hai.

Yash: Aree aree aisa kya hogya jo aaj mere upar itni meharbaani.

Swati: Aaj main bahot khush hu Yash.

Yash: Woh toh mujhe samaj aaraha hai. Par aakhir aisa kyaa hogya. Aisa kya boldiya Raj ne.

Swati: Raj meri behen ke liye birthday surprise plan kar raha hai. Jisse Sonal bahot bahot khush hojaayegi.

Yash: Achha toh yeh hai meri biwi ke khushi ka karan. Par yeh toh mujhe pata hai.

Swati: Kyaaaaa. Aapko pata tha aur aapne mujhe bataya tak nhi.

Yash: Aree surprise tha kaise batata. Raj ne hi mana kiya tha. Aur ab usne hi bata diya.

Swati: Usko toh Sonal ki pasand naa pasand ke baare mein janna tha isiliye bataya. Par aapko mujhe batana chahiye tha Yash.

Yash: Achha galti hogyi. Maaf kardo. Chalo ab batao Sonal ko kyaa gift dene ka socha hai.

Swati: Abhi tak kuch socha nhi hai. Aap bataiye kyaa du.

Yash: Aree tumhari behen hai tum bolo. Mere se jyaada achhe se tum jaanti ho usse

Swati: Ek kaam karte hai sham ko bahar jaate hai aur koi achha sa gift dekhte hai.

Yash: Achha thikk hai. Saath mein tumhare liye bhi shopping karlenge.

Swati: Kyaaa baat hai. Mere upar itni meharbaani.

Yash: Ab bhagwan ne itni achhi biwi di hai uska khyaal toh rakhna padega na. Warna agar mujhe chor ke maayke chali gayi toh mera kya hoga.

Swati: Kabhi kabhi mera mann toh karta hai. Par phir sochti hu nhi jaati warna mera pyaara pati pagal hojayega.

Yash: Puri tarah se. Yeh bol Swati ke gaalom ko chum leta hai.

Swati: Aapko pata hai Yash Sonal Raj se bahot pyaar karti hai. Jis din se usne Raj ko dekha hai uss din se woh usse pyaar karti hai. Woh Raj ke pyaar mein puri tarah se pagal hogyi hai.

Yash: Mujhe pata hai Swati. Maine Sonal ki aankho mein dekha hai. Woh jis tarah se Raj ka khayal rakhti hai usse saaf pata chalta hai. Aur mujhe pura yakeen hai Raj bhi jald hi samjhega. Phir Mann mein bolta hai. Samaj toh woh gaya hai aur 2 din baad woh propose hi karne wala hai par abhi woh tumhe nhi bata sakta.

Swati: Aapko pata hai maine pune mein Raj ki aankho mein Sonal ke liye wahi chinta wahi fikr wahi pyaar dekha hai jo Sonal ke dil mein Raj ke liye hai.

Yash: Tum dekhna bahot jald Raj bhi yeh baat samaj jaayega. Aur phir Sonal se achhi ladki Raj ko nhi mil sakti.

Yehlog aise hi baate karte hue time spend karte hai. Udher Rajesh aur Ranjeet bhi Raj ke khilaaf ek aur plan bana chuke the.

Sham ko Raj bahar nikalta hai aur ek achhe se hotel mein jaata hai aur waha ke manager se baat karke Sonal ke birthday ke liye book karta hai. Phir waha se woh ek achhe se restaurant mein jaake uss din ke special meni taiyaar karne ko kehta hai jisme jo jo Sonal ko pasand hai woh sab hota hai.

Phir waha se ek mall mein jaata hai aur Sonal ke liye ek achha sa dress leke woh ghar aajata hai. Dress ko woh Sonal se chupa ke rakh deta hai.

Idher Ranjeet ka aadmi Raj ke pichha karte hue har woh jagah jaata hai jaha jaha Raj gaya tha aur waha pe thode paise khilake woh saari information leke Ranjeet ko de deta hai.

Raj uss aadmi ko notice toh karta hai par jyaada sochta nhi aur totally ignore karta hai. Kyoki usko laga yeh ek co-incidence hoga.

Ranjeet: Achha toh Raj apni biwi ko propose karne wala hai uske birthday ke din. Par aisa hone nhi hone dunga. Sonal ko uske birthday ka gift toh main dunga. Aur apne haatho se dunga. Aur aisa gift dunga jisse Raj ki zindagi hi tabah hojayegi. Rajjj tu dekh ab tere se kaise main apna badla leta hu. Yeh bol jor jor se hasne lagta hai.

Agla din bhi roj ke jaise guzar jaata hai. Par sham se hi Raj apne kamre mein tha aur kisi ko bhi kamre mein aane se mana kiya tha usne. Raat ko Swati Samar Nandini Shruti Ishita Payal Aarav Yash sablog 12 bajne ka intezaar kar rahe the isiliye sabne Sonal ko nichhe hi rokh rakha tha par Raj apne kamre mein aagaya tha.

12 bajne ke pehle pehle Swati aur Samar Sonal ke saath conference mein baat kar rahe hote hai. Jaise hi 12 bajte hai sablog eksaath Sonal ko birthday wish karte hai.
Sonal ka aisa pehla birthday tha jab usse itne logo ne eksaath wish kiya hogaa.

Sonal: Khushi se. Thank You So much. Aap sab ko yaad thaa.

Swati: Aree tumhara birthday hum kaise bhul sakte hai Sonal. Once again Happy Birthday meri behen.

Sonal: Thank You Di.

Samar: Di Mummy Papa baat karenge.

Dono: Happy Birthday Sonal. Tumhe duniya ki saari khushiyan mile.

Sonal: Thank You Mummy Papa. Aaplogo ne pehle hi meri zindagi khushiyan bhardi hai. Ab mujhe aur kuch nhi chahiye.

Phir Ek ek karke Smita Ragini Ashok Vijay Savitri sab Sonal ko wish karte hai. Par Raj ke waha naa hone se Sonal ko bahot dukh hota hai.

Nandini: Kyaa hua Sonal. Iss khushi ke time pe udaasi.

Sonal: Sabne mujhe wish kiya sab yaha present hai par jinko sabse pehle wish karna chahiye wohi yaha nhi hai. Kyaa unhe mera birthday yaad bhi hai.

Nandini: Udaas mat ho Sonal. Hosakta hai Raj ne tumhare liye kuch special plan kiya ho.

Sonal: Par unhe yaha hona chahiye tha bhabhi.

Nandini: Koi baat nhi Sonal. Aise udaas nhi hote. Jaao ab jaake so jao.

Sonal bemann se hi upar chali jaati hai. Aur jab apne kamre ke paas pahonchti hai waha usse ek alag hi khushboo aati hai. Par woh usko ignore kar room ka darwaza kholke andar jaati hai toh shock hojaati hai.

Sonal jaise hi kamre mein apna pehla kadam rakhti hai uske upar phoolon ki baarish hone lagti hai. Jisse dekh Sonal ko bahot achhi lagta hai. Phir jab woh apni nazar kamre mein ghumati hai toh dekhti hai pura kamra achhe se sajaya hua hai. Aur zameen pe bade se achhe se Happy Birthday likha hua hai candles ki madad se.

Sonal: Khushi se. Rajjjj. Rajjj kaha hai aap. Bahar aaiyee.

Raj: Wishing you a very very Happy Birthday my sweet wife. Maanta hu mujhse sabse pehle wish karna chahiye tha par main akele mein karna chahta tha isiliye last mein kiyaa.

Sonal: Aankho mein aansu liyeee. Aapko yaad thaa meraa Birthday.

Raj: 2 din se innsab ki taiyaari kar raha hu bas darr tha tumhe pasand aayega yaa nhiii.

Sonal: Mujheeee bahottt pasanddd aaya Rajjj. Thankkk youu soooo muchhhh. Yeh bol woh daud ke jaati hai Rajj ke gale lag jaati hai.

Sonal khushi mein itni pagal hojaati hai ke usko hosh hi nhi rehta ke woh kyaa kar baithi. Raj bhi uske kandhe ko sehlaane lagta hai.

Raj: Tumhe pasand aaya yeh jaanke mujhe khushi huiii.
Sonal: Aapka diya hua harchiz mujhe pasand hai Rajjj. Once again Thank You so muchhh.

Raj: Aree abhi rukhh jao. Yeh kuch bhi nhi hai. Kal specially tumhare liye ek surprise plan kiya hai aur tumhe ek bahot hi jyaada special gift milega aur aisa gift milega jiske baare mein tumne socha bhi nhi hogaa.

Sonal: Aisa kyaa dene wale hai aap Rajjj.

Raj: Woh toh kal hi pata chalegaa. Chalo ab fatafat yeh cake kaato.

Sonal bagal mein table ki taraf dekhti hai toh waha ek chota sa cake tha. Jo uska favourite Butter Scotch flavour ka thaa.

Sonal: Aapko kisne bataya mujhe Butter Scotch pasand hai.

Raj: Bas pata chal gaya. Ab tumhara pati itna bhi nakara nhi.

Sonal: Mujhe pata hai aap bahot intelligent hai. Tabhi toh aapko main mili.

Raj: Achhaaa. Tumhe aisa lagta hai.

Sonal: Bilkull. Agar aap intelligent nhi hote toh itni achhi biwi ke liye aap mana nhi kar dete.

Raj: Mujhe samaj nhi aaraha hai tum apni tareef kar rahi ho yaa meri tareef kar rahe ho.

Sonal: Of Course meri tareef kar rahi hu. Yeh bol hasne lagti hai. Raj bas usko hasta hua dekhte rehta hai.

Raj: Waaahhh. Kyaa biwi mili hai. Pati ki kadar hi nhi hai. Achhi baat hai. Chalo ab fatafat cake kaato.

Sonal: Jii.

Phir Sonal Raj ka haath pakad ke cake kaati hai aur Raj ko cake khilati hai. Raj bhi Sonal ko cake khilati hai. Par thoda sa uske gaal mein laga diya.

Sonal: Yeh kyaa kar rahe hai aap Raj.

Raj: Aree birthday hai. Aur birthday ke din toh yeh hota hi hai.

Sonal: Achha aisi baat hai. Yeh bol Sonal bhi Raj ke gaalo mein cake laga deti hai. Toh yeh lijiye. Aapne mere saath cake kaata toh uss hisaab se aapka bhi birthday hua aaj.

Raj: Mujhe nhi pata tha chup chaap rehne wali shaant rehne wali baat baat pe sharmane wali itni mastikhor bhi hogi.

Sonal: Aree aap abhi mujhe jaante hi kaha hai.

Raj: Dheere se. Ab jaan jaunga achhe se.

Sonal: By The Way. Thank You So Much Raj. Mera birthday special banane ke liye.

Raj: Aree abhi kaha kuch hai. Abhi toh bahot kuch baaki hai. Par filhal gift se starting karte hai. Aur yeh lo tumhare liye pehla gift. Yeh bol Raj Sonal ko ek shopper pakda deta hai.

Sonal: Thank You so much Raj.

Raj: Kholke dekho aur bolo kaisa laga.

Sonal fatafat gift kholti hai aur usme jo dress tha woh dekh kar bahot khush hojaati hai. Aur uske saath hi ek bahot hi pyaara sa necklace bhi thaa.

Raj: Pasand aaya.

Sonal: Yeh bahott achha hai Rajjj. Mujhee bahott pasand aaya. Thankkk Youu.

Raj: Toh kal subah tum yehi dress pehnogi.

Sonal: Thikkk hai.

Raj: Chalo ab jaldi se so jao. Kal jaldi bhi uthna hai.

Sonal: Jiii.

Phir dono apne aap ko saaf karte hai aur so jaate hai. Par Raj nhi soya tha. Woh bas Sonal ke sone ka intezaar kar raha tha.

Thodi der baad jab Raj ko yakeen hogya ke Sonal so gayi hai toh Raj dheere se Sonal ke sir ko sehlaane lagta hai.

Raj: Jab itna pyaar karti ho toh mujhe bol ke toh dekhti. Par nhi apna pyaar kabhi jataya hi nhi. Aur agar jataya bhi hoga toh mujhe samaj nhi aaya hoga. Par ab main samaj gaya hu Sonal. Bas kal sham tak ka intezaar karo. Uske baad tumhe woh milega jo tumhe chahiye tha. Yeh bol Sonal ko sir ko chum leta hai. I Love You Sonal. Bas kabhi mujhe chorr ke mat jaana. Warna iss baar shayad jee nhi paunga.

Sonal neend mein hi Raj ke aur kareeb aake usse sat jaati hai jaisa Raj ko choregi toh woh kahi chala jayega.


Raj bhi Sonal ko pakad ke so jaata hai.
Nice update...
 
  • Like
Reactions: Luffy and Jaguaar
Top