• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,422 82.9%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 231 13.5%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 36 2.1%

  • Total voters
    1,716

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,173
109,427
259

Bosskhatri

Active Member
1,362
2,304
143
Update - 179 ~ The Real Profession

[Note : This update contains a lot of information. So, read it carefully.]

Ab tak...

Renshu : Kuch pak raha hai andar hi andar. Bahut gehraayi me...! Mujhe nahi laga tha itna involvement hoga kisi ka. Lekin, mein galat tha. Veer ne past zaroor dekha hoga Jaw Long ka...! Woh aur jankari hume de sakta hai.

Garofano : Par, galti tumhari hi hai. Akhir, tum use uss danav aadmi se ladne akele kaise bhej sakte ho?

Renshu (smiles) : Simply because of one reason...!

Garofano : Huh??

"Because, Veer is stronger than I am!!!"

Aur, ye bol sunte hi Garofano se leke baahar khadi Erica ke badan me raungte khade ho gaye.


Ab aage...

Ek vishalkay ghar ke mand raushni waale kamre me, hawa me ek bhaari sannata chhaya hua tha jo keval ek insaan ki saanson se toot raha tha. Dhalte sooraj ki halki raushni sarasar pardo ke madhyam se chhan kar, bistar par lete uss insaan ke chehre par naram kirne daal rahi thi.

Aur, ye Veer hi tha jiske maathe par silvatein chhaa hui thi. Usne kun-munate hue palke jhapkayi toh dheere-dheere aankhon se woh dhundhla-pann chhata. Aur, upar ki lakdi se bani bhoore rang ki ceiling uski nazar me aayi.

"Urgh-!"

Dard se karahte hue woh peeche lage takiye se tikne ko halka sa utha. Usne aas-paas dekha toh paaya ki woh Renshu ke ghar ke hi kisi kamre me tha. Yaani, jung samapt ho chuki thi. Apne badan par usne jab nazre daudayi toh pata chala ki uske gehre ghaavo par pehle se taake lage hue the.

Uska shareer jagah-jagah pattiyon se lipta hua tha, jo uske dwara ladi gayi ladayi me vijay hone, aur sehen-sheelta ki pareeksha ka ek saboot tha.

[Master-!!!]

Pari ki awaaz akasmat uske mann me goonji.

'Pari!'

[Ab kaisa mehsoos kar rahe hai aap?]

Woh chaahti toh khud-ba-khud Veer ke andhruni dard ko mehsoos kar pata laga sakti thi. Use ye sawal puchne ki zaroorat hi nahi thi. Lekin, fir bhi woh apni mann maani kar Veer ke mann me jhaakna nahi chaahti thi aur na hi uski anumati ke bina uske shareer ki jaanch padtaal karna chaahti thi. Woh chaahti thi ki jitna ho sake unke beech sanvaad ke zariye hi vicharo ka aadan-pradan ho.

'Dard toh kaafi hai. Mein jhooth nahi bolunga.'

Veer ne uske sawal par mann hi mann muskurate hue jawab diya.

[Don't worry! Samay samay par Beowulf aapko heal karta rahega. Aaj ka istemal maine subah hi kar liya tha, jab aap neend me the.]

'It's okay! Ab koi khatra nahi hai shayad...! Toh, mujhe Beowulf ki zaroorat nahi padne waali.'

[Hmm!]

Veer ke vichar raat ki ghatna ki orr chal pade. Kya hua tha? Woh aurat kaun thi? Aur, peeth peeche akhir kya kuch chal raha tha?

'Rebecca Elsher-!!!'

[Ye naam internet par available nahi hai, Master.]

'Toh fir do hi scenarios ho sakte hai.'

[Hmm?]

'Pehla ye ki- usne jo naam bataya woh fake ho sakta hai. Aur, dusra ye ki woh koi aisi personality hai jaha use apne naam ko gupt rakhne ki zaroorat hai.'

[Agar naam fake hai tab toh theek hai, Master. Par, agar woh waqai apne naam ko ek secret rakhne ki koshish kar rahi hai toh usne itni asaani se hume apna naam kyu bata diya?]

'Yahi toh mujhe samajh nahi aa raha, Pari! Shayad mujhe apna naam batane me use koi nuksaan nahi hai. Isliye, usne bata diya?'

[Usne ye bhi kaha tha ki woh aapki cute lover ki tarah nahi jo jhootha naam bataye.]

'Cute lover...!?'

[Umm...! Ava! Aur, kaun?]

'I know woh Ava ki baat kar rahi thi par woh meri cute lover kab se bann gayi?'

[Umm...! Master! Aapko nahi pata?]

'Huh? Kya nahi pata?'

[Umm-!! N-No, kuch nahi! It's good if you realise it by yourself. N-No! Don't realise it. Forget it. Mein use maaf nahi karne wali waise bhi.]

'Pari, tum fir mujhse kuch chhipa rahi ho?'

[No-!!! Maine kaha ki bhool jaiye jo kuch bhi maine kaha.]

'What? Tumne abhi kaha ki aap ko khud se realise hoga. Kis baare me keh rahi thi tum? Kahi tum ye toh nahi kehna chaah rahi ki Ava mujhse-!?'

Veer ko Ava ke bol yaad the. Usne hi Ava ko kaha tha ki woh jaa ke apne chaheete ki hifazat kare. Aur, ab Ava ka yaha aa jaana use bachaane ke liye. Iska kya matlab tha? Bhale hi prem ke maamle me woh thoda kaccha tha magar, woh itna bhi bewakoof nahi tha ki saamne se diye gaye ishaaro ko samajh na paaye.

Kintu, Pari toh jaise kuch kehne ko taiyar hi nahi thi.

[Nahi-!!! Mein nahi bataungi. I can't-! I'm sorry! I just can't forgive her.]

'Huh?'

[Mujhe yaad hai. Kaise usne hume dhoka diya tha. Uski wajah se... I could have lost you. She can't please me that easily. Usne hamari madad kari toh kya? Use bhi rewards mile hi honge. In the first place, agar woh hume dhoka deti hi nahi, toh Renshu hume bachata hi nahi. Aur, na hi hume uska favor chukane yaha aana padta aur na hi hum Jaw Long se bhidte. In other words, she's responsible for this domino effect. Period.]

'Hahahaha!'

Veer uski baaton par thahaake lagaate hue hass pada.

[Wh-What!? Why are you laughing?]

'Mein tumhari reasoning par hass raha hu... ki tumne kaha ki sab kuch Ava ki wajah se ho raha hai.'

[Toh maine galat kya kaha, Master?]

'Ab agar mein ye kahu ki system hi nahi hota toh mein iss daldal me fassta hi nahi. Toh?'

[That's-]

Veer ki palke aadhi jhuki aur usne ahista se aage bola.

'But then again-!!! Agar, tum nahi hoti toh kya mein zinda bhi rehta?'

[Master!]

Veer ne ek gehri saans chorrte hue apna dhyaan fir beeti hui vardat par lagaya.

'I'm confused, Pari!'

[Huh?]

'That Rebecca-!! Jaw Long ka past dekhne par mujhe pata chala ki woh mine me maujood radioactive elements ko paane ki firaq me thi. Aur, shayad woh use mil bhi gaye honge. Kya mein ye deduce kar sakta hu ki uske paas radiation se khud ko bachane ki koi skill hai?'

[Aapne sahi kaha, Master. Bina kisi protection ke woh aise radioactive elements ko apne saath nahi le jaa sakti.]

Veer apne haatho ko mod aur gehre chintan me doob gaya.

'Agar waqai aisa hai toh ab sawal ye uthata hai ki use woh elements kis liye chahiye bhala?'

[Jo bhi ho, par mujhe uske iraade theek nahi lag rahe, Master.]

'Mujhe bhi! Something is off. Aur, mujhe tumse bhi kuch sawal puchne hai.'

[I'm all ears, Master!]

'Mujhe Berserk card Jaw Long se praapt hua. Baaki cards aur skills ka kya? Mujhe pata hai ki saare cards aur skills nahi milti kabhi. Toh, woh sab jaati kaha hai?'

[It's simple, Master. Jaise aag ki lau bhujte hi mombatti ka dhua hawa me hi udd jaata hai. Waise hi system ka astitva uske owner ke marrte hi khatam ho jaata hai. Aur, woh saari bachi hui skills aur cards vatavaran me vileen ho jaate hai. Sab khatam!]

'I see! Kya cards ke distribution ka koi tareeqa hai? Jaw Long ke paas Animal Kingdom tha. Shayna's Access bhi. Woh cards mujhe kyu nahi mile?'

[Aapne sahi guess kiya, Master. Iska jawab hai insaan ki pravatti.]

'Hmm?'

[Insaan ki pravatti hi ye tay karti hai ki use kaun sa card milna hai. Master, kya aapne kabhi gaur nahi kiya? Aapke paas jitne bhi cards hai, kya unme se koi bhi evil card hai?]

'Huh?'

[Shayna's Access, Animal Kingdom, Shayna's Blood Ritual, Jemisha's Blood Ring. Ye sab buri pravatti ke hai, Master. Inme kahi na kahi kisi na kisi cheez ka dur-upyog hota hai. Jaha Animal Kingdom bechaare janvaro ko niyantran me karta hai, Jemisha's Blood Ring insaano ka khoon maangti hai, toh wahi Shayna's Blood Ritual me insan ko apne ang ka balidan dena padta hai buri shaktiyo ka istemal karne ke liye. Ab bataiye! Kya kabhi bhi aapko kisi ko nuksan pahuchane waala card mila hai?]

Veer, Pari ke iss sawal par apni chuppi saadhne par vivash ho gaya. Waqai! Use aaj tak kabhi bhi aisa koi bhi card avum skills praapt nahi hui thi jo dusro ko haani pahuchaye.

Limb Substitution jo uske paas tha. Agar, uska ang ukhad bhi jaaye toh uske istemal ke liye bhi Veer kabhi kisi nirdosh ka ang ukhaad ke apne khud ke liye nahi lega. Woh hamesha hi apne hi ang ko wapas se jodega bajaaye kisi aur ke ang ke.

'Samjha! Toh, Jaw Long ke paas inn cards ka hona matlab kya mein keh sakta hu ki woh buri pravatti ka maalik tha?'

[Nis-sandeh, Master!]

'I see!'

[Ab meri bhi aapse ek request hai, Master!]

'Hmm? Kya?'

[Jo kuch bhi hua. Iss baat ka pata kisi ko bhi lagna nahi chahiye. Aapne jo raat me kiya, uske baare me sirf aur sirf woh Jaw Long hi jaanta tha. Uske system ko sab pata lag gaya tha shayad. Magar, aap Ava aur Erica se kaafi dur the. Unki nazro me sab kuch aapne kiya tha. Pari ne nahi!]

'Hmm! Mein jaanta hu ki ye baat saajha karne jaisi nahi. Lekin-! Lekin, mujhe toh kuch bhi yaad nahi, Pari. Akhir hua kya tha? Jab mujhe hosh aaya tab woh Jaw Long mujhse kisi bheegi billi ki tarah dur bhaag raha tha.'

[Woh darasal aapse nahi-! Mujhse bhaag raha tha.]

'Y-Yeah, I know! Par, kya mein puch sakta hu ki kyu nahi bata sakta mein ye baakiyon ko?'

[Kyuki, ye bataane waali baat nahi hai Master. It might bring us trouble.]

'Hmm! Akhir, mere points dene ke baad aisa kya hua tha? Pari! Jawab do! Agar, mein uss waqt aur points de deta toh kya hota?'

Pari kuch pal ke liye khamosh reh gayi. Uske baad jo kuch bhi usne bataya, use sunn Veer ke hosh udd gaye.

[Agar, uss waqt aap zaroorat se zyada points de dete...! Toh, aap yaha nahi hote.]

'Kya matlab?'

[Matlab ye ki- *breathes* Usne aapke shareer par qabza kar liya hota. Aapke soul ko absorb kar liya hota. Aap iss duniya se gaayab ho chuke hote. Aapka astitv samapt ho gaya hota. Sirf aur sirf ye shareer reh jaata jo uske control me hota aur woh aapke shareer se zindagi jee rahi hoti. Apni mann marzi chala rahi hoti.]

Veer ke aankhein hairat ke maare feli hui thi. Usne itna bada jokhim uthaya tha use iss baat ka andesha tak nahi tha.

'K-Kya itni power hai, tumhari uss personality me?'

[Unfortunately, yes!]

'That means, I just dodged a bullet.'

[Yes! Aur, sirf wahi ye kar sakti thi. She was dying since the day she was activated to have you submit to her.]

'Aur, ant me mujhe uski baat maanani hi padi.'

[Kyuki, aapke paas koi aur chaara nahi tha. I agree! Lekin, kam se kam hum Jaw Long ke panjo se baahar aa paaye. Only she could have done that... Mein bhi agar waha hoti toh aapko waha se bacha nahi paati.]

'Huh?'

[Uske alawa meri koi bhi personality aapko uss situation se baahar nahi nikal paati, Master.]

'Yaani tum uski tarah mere shareer ko control nahi kar sakti?'

[Exactly! Only she... can take control of you.]

'What the hell-!!!

Veer jaise-jaise pichhli Pari ki personality ke baare me jaanta jaa raha tha woh utna hi hairan ho raha tha. Woh Pari apne iraado aur apni taaqat ko iss qadar chhipa ke rakhi hui thi, iska andaaza use ab lag raha tha.

Aur, ab uski samajh me aa raha tha ki kyu baaki system holders ke shareer ko unke system ne control nahi kiya. Kyuki, woh asamarth the. Keval aur keval wahi ye kar sakti thi.

Uski samajh me aa gaya ki kyu Crimson ya Jaw Long ke system ne kabhi aisa nahi kiya. Kya woh Pari ki aisi personality ko paake khush-kismat tha? Aur, agar haan toh uski ye khush-kismati kahi bad-kismati me toh nahi badalne waali thi?

[Aur, isliye- mein aapko ahinda se points dene ke liye mana kar rahi hu. Zaahir hai jaise mein wapas aayi hu, wo bhi wapas se activate hoyegi. Aur, aapko rijhaane ki koshish karegi. Tab, aap zara bhi uske jaal me mat fassna.]

'Woh wapas aayegi? Iska matlab harr baar new personalities nahi aati!? Repeat pe bhi aati hai?'

[Ek insaan ki thousand different personalities kaise ho sakti hai, Master. I have a limited number of personalities as well. Zaahir hai, woh repeat pe aati rahengi. And, sooner or later... she will come too-!!!]

'Toh tumhara kya, Pari? Tum kaise aa paayi? Aur, agar tum aa paayi toh... Baaki kaha hai?'

[It's because you were remembering me. I could feel your thoughts. And, also-]

'!!??'

[I missed you too, Master!]

'Ah-!!!'

[...]

'Samajh gaya! *sighs* It's a lot to take in...!

[It's okay, Master. Aapko zyada sochne ki zaroorat nahi. I'm here! You need not worry about anything else. Just focus on what's next.]

'Yeah!'

Woh abhi baitha hi hua tha jab-

*Creaks*

Darwaza khulne ki charmarahat sunn usne apni nazre uss orr pheri. Ek haseen chehra kamre me dakhil hua. Veer use dekh thoda taajub hua. Aur, woh aurat apne hontho par muskaan bikhere uske qareeb aane lagi.

Veer (surprised) : Garofano!??

Garofano : Oh? Tum jaag chuke ho? It's good to see you doing well, Veer. But we'll have to see how those bandages are holding up, shall we?



c8033a0b-6e84-42cb-bdc2-c86c3d919594

Veer : Huh?

Woh uske bistar ke nazdeek aayi. Uski adaayein haseen aur aatma-vishvas se bhari hui thi. Usne Veer ke shareer par bandhi pattiyo ka savdhani se nireekshan kiya, aur badi hi komalta se uski ungliyaan Veer ke badan par firne lagi.

Garofano : Hmm! Sab kuch theek tareeke se heal ho raha hai.

Veer : T-Tum yaha!?

Garofano (smiles) : Toh aur kaun hoyega bhala? Hmm?

Kehte hue woh uthi aur wahi rakhi ek table par se kuch medicines nikaalne lagi.

Veer : Par, tum yaha kyu?

Garofano : Hmm? Tumhe kya lagta hai? Tumhara ilaaj kisne kiya, Veer?

Puchte waqt uske chehre par ek kutil muskan thi. Veer ko jaise kuch gyaat hua. Ilaaj? Uski aankhein punah chakit hone ke chalti chaudi ho gayi.

Veer (surprised) : T-Tum-!? Iska matlab-

Garofano (turns) : Fufu~ Haan! Haan! Kaho!?

Veer : Tum...!? Ek doctor ho?

Garofano (smiles) : Not just a doctor but a surgeon as well-!!

Usne apni jeb se ek scalpel nikaalte hue Veer ko dikhaaya. Aur, agle hi shan Veer ko unn dono ke beech hui woh pehli mulaqat ke dauran uske dwara kahe gaye kuch bol yaad aa gaye.


"Such beautiful proportions. Your face is clearly the greatest asset. Wouldn’t it be bad if I cut it down? Hmm?"

Unn bol ke yaad aate hi ab Veer ko samajh aaya ki kyu Garofano ne aisa uss waqt uss se kaha tha.

Veer : Toh ye hai tumhara real profession? Jiske baare me tum sabse chhipa rahi thi? It makes sense now. Tumhara needles ka use karna, serum design karna, aur mere chehre ke baare me woh sab kehna.

Garofano (smiles) : Ohh! Tumhe yaad hai woh? Fufu~ It's good that you remember it.

Veer : ...

Garofano : Shayad tumhe ab kuch-kuch samajh aa gaya hoga. Yahi kaaran hai ki kyu Renshu mera saath chaahta hai. Because, I'm a surgeon who can operate on other system holders. Tum aam hospital me jaoge aur agar kisi doctor ne tumhare andar ki jaanch kar li toh pata hai kya hoga?

Veer : Huh?

Garofano (smirks) : Duniya ko pata lag jayega ki tum koi aam insaan nahi. Hamare andar ki healing process bahut zyada hai. Agar, kisi ne tumhari body ka analysis kiya, toh use ye baat samajhne me derr nahi lagegi ki tumhare shareer ke saath kuch na kuch gadbad hai.

Veer ko yaad aaya. Jab pehle bhi woh ghayal hua tha toh Karan ki parichit doctor Mrs. Mrinal ne hi uska ilaaj kiya tha. Tab bhi woh kuch sanshay me lag rahi thi, uski healing process ko leke. Aur, ab toh system aur bhi adhik upgrade ho chuka tha. Aise me apne shareer ka kisi ko aaklan karne dena bahut hi jokhim bhara tha.

Veer (frowns) : This is troublesome!

Garofano : Indeed! Ek system holder ka shareer ab woh rehesyamayi khazana bann chuka hai jiske baare me baahri duniya ko pata nahi lagna chahiye. Yahi kaaran hai ki kyu Renshu ne mujhe turant hi yaha bula liya. Kyuki, na hi woh khud apne shareer ki jaanch kisi aam doctor ko karne dega aur na hi tumhari jaanch ki zimmedari kisi aur ko saupega.

Veer : Par... Par, aise me toh ye bahut badi dikkat hai. Tum yaha thi isliye mera ilaaj kar paayi. Par, tum harr waqt harr kisi ke saath toh nahi ho sakti na? Uss case me-

Garofano : Beshaq! Mein harr jagah tumhare saath toh nahi ho sakti, Veer. Fir aise me tum agar ghayal hote ho toh tumhara ilaaj kaun karega? Right? Yahi hai na tumhari chinta? Well! Iska jawaab mere paas nahi. Tumhe kisi na kisi ko dhundhna hi padega, jo hamare raaz ko apne tak hi chhipa ke rakh sake.

Veer : Ye aur bhi mushqil hoga.

Garofano : Lekin, mujhe vishvaas hai tum kisi na kisi ko dhundh hi loge. Aur, agar nahi bhi dhoondh paaye toh aur bhi accha hai. Kyuki, mein toh chaahti hi nahi ki tumhare iss badan ki jaanch mere alawa koi aur kare.

Veer : Huh?

Garofano (winks) : Hahaha! I'm just joking!

Veer (frowns) : There are more things. I want to know everything. Tell me! No excuses! And, no lies.

Garofano : My my... Itna gussa!? Puchne se pehle kam se kam ek 'thank you' to banta hi tha na, Veer? After all, maine hi tumhara ilaaj kiya hai.

Veer khamosh raha. Abhi tak uski pehchan me jitne bhi system holders the unme se Garofano sabse zyada rehesyamayi thi uske liye. Yaha tak ki Ava bhi itni zyada mysterious nahi thi jitni woh thi. Isliye, Veer kahi na kahi hamesha se hi uske prati apna guard rakh raha tha. Garofano ne uski chuppi dekh ek gehri saans li aur fir boli.

Garofano : Yohana's Scalpel, Veer!

Aur, uske utna kehte hi Pari ne Veer ke samaksh saari jankari rakh di.



web-12

Ek aisa card jo surgery ki vidhi se leke uska saara gyaan aur uski qala praapt karwata tha.

Garofano : Yahi woh card hai jiski wajah se mein itne kam samay me itna bada business khada kar paayi. Mere paas business ki koi alag se skills nahi.

Veer : Hmm?

Garofano : Tumhe ab sab samajh aa hi gaya hoga. Koreans apni sundarta ko leke kitne possesive hai ye baat tum jaante hi hoge. Bade-bade celebrities se leke chhote-chhote stars tak plastic surgeries karwate hai. In fact, ye kehna galat nahi ki Korea me plastic surgery bahut common hai.

Veer ye baat jaanta tha. Korea unn desho me se tha jaha sundarta ko bahut tavajjo di jaati thi. Aur, duniya me agar sabse adhik plastic surgeries karwane waala koi desh tha toh woh tha Korea. Jinme aurte badh chadh ke iss hod me aage rehti thi. Kareeban, harr raah chalti 5 ladkiyo me se ek ladki plastic surgery waali hoti thi.

Chhoti se chhoti surgeries ka bhi kam se kam 2000-4000$ ka kharcha aata tha. Jo desi rupaye me tabdeel kiye jaaye toh 1.5 lakh ke bhi upar ka budget. Agar, Yohana's Scalpel jaisa card Garofano ke paas tha, toh na jaane usne kitni hi surgeries ab tak kar di hongi.

Veer ne jaise hi aaklan lagaya, woh siwae aashcharya hone ke aur kuch na kar saka.

Veer : Log tumhe iss profession se jaante hai?

Garofano : Nahi! I'm an anonymous surgeon. Mein kisi hospital me kaam nahi karti. Mera khud ka clinic hai. Mere khud ke equipments hai.

Veer : Toh customers kaise aate hai?

Garofano : Kisi ek jaani maani celebrity ki aap surgery kar do. *smiles* Uske baad khabar apne aap fel jaati hai. Mein hamesha hi apna face hide kar ke ye kaam karti aa rahi hu. Mein social groups me kaafi famous hu, you know. They call me the ~ anonymous surgeon. Fufu-!

Veer : Everything is making sense now.

Garofano : Celebrities aksar auro se behtar dikhne ke liye saare nuskhe apnaate hai. Meri perfect surgery ke baad woh sirf apne qareebi ko hi mere baare me bataate hai taaki harr koi mujhse surgery na karwa paaye.

Veer : Akhir, kitna paisa kama liya hoga tumne inn sab se?

Garofano (smiles) : Itna ki mein 'Garofano products' ko worldwide famous bana paayi.

Veer (sighs) : No wonder!

Woh muskurati hui table par se kuch medicines lekar aayi aur Veer ke haatho me unhe thamaate hue boli.

Garofano : Ye lo! Inhe jaldi se lo!

Veer : Ye kis liye?

Garofano : Uff-oh! Tum sawal bahut karte ho. Ye pain killer hai. Bhale hi humara system hume dheere-dheere heal kar hi dega par medicines hamari healing process me ek catalyst ki tarah kaam karti hai. Behtar hoga hum jitna jaldi ho sake utna jald heal ho. Right?

Veer : Hmm!

Garofano ki nazar jaise hi Veer ke seene par punah padi toh woh uske gale me latke uss pendant ko haatho me lete hue puchi.

Garofano : Tumne abhi tak mera pendant pehna hua hai?

Ye wahi pendant tha jo usne khud Veer ko pehnaya tha hotel Casa Belle me. Jab woh Veer ke vaar ko dodge kar uske upar se hoke guzar gayi thi, tabhi usne badi hi chalaaki se ye pendant Veer ke gale me daal diya tha.

Veer : Yeah! Kyu? Kya utaar dena chahiye mujhe?

Garofano : Not at all-!!

Veer ne fir dawayi ka wrapper khol dawayi nikali aur bina use check kar gatak li aur ye dekhte hi Garofano ki muskan aur bhi badh gayi.

Veer : Kya hua?

Garofano (smiles) : Dekh rahi hu ki tumne dawayi ko check tak nahi kiya. Kya itna bharosa hai mujhpe?

Veer : Kyuki, mein jaanta hu ki dawayi me kuch gadbad nahi thi.

Garofano : Itna confidence kaise?

Veer : Simply, because you won't take any risk to hurt me here.

Garofano (frowns) : I will never hurt you, Veer!

Veer (glances) : ...

Garofano : Anyways! Maine tumhe mana kiya tha na? I warned you. Jaw Long se bhidne mat jaana par-

Veer (sighs) : I had to. Maine Renshu ko vachan diya tha. Uske baad mein mukar nahi sakta.

Garofano : Lekin-

Veer : I'm a man of my words.

Ek pal ke liye Garofano uske chehre ko ek taq dekhti rahi. Uske baad baat palatate hue puchi.

Garofano : Toh? Meri di hui shirt ka kya hua? Did you lose it?

Veer : Ah! Sorry about that... Ladayi ke waqt woh fatt gayi. Tumhari needles aur serum bhi. Mein unka istemal kar hi nahi paaya.

Garofano (sighs) : Don't worry! I'll give you some more later.

Veer : Kya ek sawal puch sakta hu?

Garofano : Hmm? *nods* Zaroor!

Veer : Tum akhir meri itni parvah kyu kar rahi ho? Pehle din se hi tum meri madad karti aa rahi ho. Akhir, tumhara irada kya hai?

Garofano : Irada? Veer, kya harr koi kisi ke paas uska fayda uthaane ke liye rehta hai kya? I simply enjoy your company. Aur, wese bhi jis hisaab se system holders ek dusre ke groups bana rahe hai kya ye behtar nahi ki hamare beech bhi acchi dosti ho?

Veer : Ek dusre ke groups-!? Ek minute-

Magar, uske bolo ko beech me kaatate hue woh achanak hi Veer ki orr jhuki. Uska seena Veer ki chaathi se jaa laga aur garam saansein Veer ke kaano par padne lagi. Woh uske kaan ki orr aur badhte hue apne gulabi honth nazdeek le gayi.

Garofano : Aur, wese bhi mein dhokebaazo me se nahi. Agar, mein tumhari jagah hoti toh uss Ava ko apne nazdeek rakhne se pehle sau baar sochti.

*Creaks*

Aur, uska itna kehna hi tha ki darwaze ki awaaz punaah aayi aur Ava dehleez par khade unn dono ko iss qadar dekh wahi ruk gayi. Uske haatho me ek phoolo ka khubsoorat sa bouquet tha.



1a339708-eaa4-4e6b-b512-cfd784ea4d0e

Garofano ye dekhte hi ek kutil muskan liye Veer ke gaalo ke nazdeek aayi aur-

*Kiss*

Uske gaal ko halka sa choomte hue woh uske seene par se uthi. Veer ke gaal pal bhar ke liye sharmsaar ho gaye. Darwaze par khadi Ava ne jaise hi ye dekha toh uski aankhein felti chali gayi. Nazre wahi tiki hui thi jidhar Garofano apna haath Veer ke seene par rakhi thi.

Garofano (smiles) : Meri baat ko yaad rakhna. It's better to be safe than sorry. Take care, Veer!

Aur, itna bol woh apni jagah se uthi. Uske uthate hi Ava kamre ke andar dakhil hui aur dono haseenayein ek dusre ke bagal se aise nikli jaise maano kisi chumbak ke same poles ek dusre ke qareeb se guzar rahe ho.

Ek shan ke liye dono ki nazre ek dusre se bhidi. Laga jaise chingariyaan baras rahi thi. Aur, bina kuch kahe woh dono hi apni-apni disha me aage badh gayi. Bin bole hi hazaar vaakya unki nazro dwara keh diye gaye the.

Garofano chalte-chalte baahar jaane ko hui parantu, ek baar woh mud ke Veer ko zaroor dekhi. Aur, muskurate hue waha se ravana ho gayi.



8bf92646-3882-46f9-a719-55fce42d9711

Idhar, Ava ki mutthi kasi hui thi. Glaani, krodh, nirasha, chinta saare bhaav ek saath uske andar samaye hue the.

Ava : V-Veer!

Veer ne nazre upar kar use dekha. Woh bebas si nazar aa rahi thi.

Veer : Ava!?

Ava : M-Mein...! Mein tumhare liye ye flowers laayi thi. I thought they might cheer you up.

Woh asahaj mehsoos kar guldaste ko yuhi pakdi rahi. Kintu, Veer ne aage badh woh nahi thama.

Veer : Thanks!

*Silence*

Dono ke beech ek bhaari sannata chhaya, jo ankahe tanaav se bhar gaya.

Ava : K-Kaisa mehsoos kar rahe ho ab?

Veer : Aisa jaise kisi truck ne mujhe kuchal diya ho. But I'm healing...!

Ava : V-Veer! Veer...! I-!! Mujhe tumse kuch kehna tha.

Veer : ???

Ava : I'm-!!! I'm sorry Veer-!!!!

Usne achanak hi sarr jhukaate hue teevra swar me kaha.

Ava : I'm sorry! Mera kabhi bhi ye iraada nahi tha ki cheezein... cheezein iss tarah se ghatit ho.

Veer (smiles) : Kya waqai? I doubt it!!!

Ava (panics) : Noooooo-!!! I swear-!!! It was my mistake...! A stupid impulsive mistake. Veer, mein-

Veer jaanta tha ki Ava kis cheez ke liye uss se maafi maang rahi thi. Toh wahi Ava bhi, na jaane akhir kitni himmat kar ke uss se maafi maangne aayi thi.

Veer : Kitni ajeeb baat hai ki galtiyon ke bhi parinaam hote hai. Nuksan dayak parinaam-! *sigh*

Ava : Mein jaanti hu!!! Aur, mein use theek karne ke liye kuch bhi karungi, Veer! Kuch bhi!!!

Veer (softens slightly) : Mujhe nahi lagta tum ise theek karne ke liye kuch kar sakti ho, Ava. Y-You... You broke my trust.

Veer ki nigaahein uske chehre par se hatt gayi. Kehte waqt uske swar me nirasha saaf jhalak rahi thi.

Ava (desperately) : Mujhe pata hai, Veer-!!! I know! Aur, iske liye mein khud se nafrat karti hu. I hate myself for doing that-!!!

Kehte hue Ava ki aankhon me aansu panap uthe jinhe dekh Veer ke bhaav apne aap narm pad gaye. Akhir, Ava ne bhi apni maa ko toh khoya hi tha.

Veer (sighs) : Dekho, Ava! Mujhe nahi lagta ki abhi iss baare me hume baat karni chahiye. Lekin, tumhara yaha aana aur mere liye ye bouquet laana. I really appreciate it.

Jitna Veer uss se apni nazre chura raha tha, jitna woh uss se dur bhaag raha tha, jitna uss se baat karne aur bharosa karne me katra raha tha utna hi Ava ke dil me glaani ka khanjar khus ke use ghayal karta jaa raha tha.

Woh himmat kar apna haath aage badhate hue Veer ke haath ke upar rakhi.

Ava : Kya hum... Kya hum kam se kam cheezon ko suljhane ki koshish kar sakte hai?

Veer : I... I don't know...! I mean-! I need time to think.

Ava apne aansu pochhte hue sarr haan me hilayi. Uske liye Veer ka ye jawab uske nakaar dene ya chuppi saadhne se laakh guna behtar tha.

Ava (nods) : I understand! You can have all the time you need.

Dono afsos aur laalsa ke mishran se bhari ek lambi nazar saajha karte rahe, jab Veer ne nazro ko ferrte hue baat ko ghuma diya.

Veer : Why don't you have a seat?

Uske kehne par Ava wahi rakhi ek chair par uske bagal se baith gayi. Veer ne dekha ki woh pehle se kaafi behtar prateet ho rahi thi. Shayad Garofano ne uska ilaaj bhi kar diya tha. Use wese bhi zyada kisi ilaaj ki zaroorat nahi thi.

Bas, ek khamoshi fir chhayi rahi. Jo awkwardness unke beech thi woh punah barkarar ho gayi. Veer ne hi fir iss shaanti ko bhang karte hue pucha.

Veer : Abhi... Kya time hua hai?

Ava : Hmm? Oh! Abhi... Abhi shaam ke lagbhag 6 baj rahe hai.

Veer : Matlab hum raat me idhar aa gaye the?

Ava : Raat me nahi actually... H-Hume aate-aate subah ke 4:30 baj chuke the.

Veer : Ohh!?

Aur, firse ek baar khamoshi ne apni jagah bana li. Ava hazar shabd kehna chaahti thi magar, uske muh se ek shabd bhi nahi nikal raha tha. Uski nazre bas idhar-udhar hi daud rahi thi. Badi mushqil se usne himmat kar kuch pucha.

Ava : Kahi ab dard hai?

Veer : Hmm? Violet ne mujhe medicine di hai. So, jald hi dard kam ho jayega.

Ava : Violet???

Veer : Ah! Mera matlab Garofano se tha.

Sunte hi Ava ka badan ek baar fir thitur gaya. Veer ko Garofano ka asli naam bhi pata tha? Aur, woh uss ladki ko uske asli naam se bula raha tha. Kyu? Kya unke beech kuch chal raha tha? Aur, woh kuch shan pehle kiya gaya chumban...! Woh kya tha?

Bechari Ava behad hi pareshan ho uthi. Akhir, unn dono ke beech aisa kya rishta tha? Dono kab se ek dusre ko jaante the? Ab ye tamaam sawaal uske mann me utpann hone lage.

Veer : Wese...

Ava : Huh???

Veer : Thanks!

Ava : ?????

Kehte hue Veer ne uske haath se woh bouquet thaama aur khubsoorat phoolo ko halke haatho se chhoote hue aage bola.

Veer : Tumhare waha hone se hi...! Mujhe sleep ka time mil paaya tha. Agar, tum na hoti toh mere saath-saath Erica bhi maari gayi hoti. Tumhare waha hone se hi mein situation ko tumhare upar chorr paaya aur recover ho paaya. Uske baad hi Jaw Long ko maarna possible hua. Warna-

Ava : N-No-! I didn't do much!

Veer : No, you did!

Ava : Huh!!?

Veer : Isliye... Thanks!

Ava : I-

Ava kuch bolne ki haalat me hi na rahi.

Veer : Na sirf uske liye, balki iss bouquet ke liye bhi. Tumhe samay kab mila ye laane ke liya?

Ava : B-Bas abhi din me.

Veer : Ohh! Matlab tumne area already explore kar liya?

Ava : Just a bit.

Veer : Hmm!

Ava : I think I should fill you in about the situation.

Veer : Huh? Yeah! Right! Meri behoshi ke baad kya-kya hua?

Ava : Din me hi Chinese government ke officials ne news me declare kar diya ki Yunnan ki mine ab unke under aa chuki hai. Din bhar officials yahi par hi the. Sab kuch discuss hota raha. Mujhe bhi jo cheezein nahi pata thi woh pata chali.

Veer : Legion aur Order ka kya?

Ava : Legion ke Lord ki death ke baad 'Ken' unka naya Leader hai. Aur, Legion aur Order ne haath milaate hue peace ki treaty sign ki hai. Saare news reporters din bhar yahi telecast kar rahe the. Sab abhi kuch derr pehle hi fursat hue hai. Aur, sabhi tumhare hosh me aane ka intezar kar rahe hai.

Veer : I see!

Ava : Kya tum... Woh nahi puchoge?

Veer : Huh? Kya?

Ava : I mean...! Mujhe kya mila? Rewards ke roop me?

Veer : I don't think I should ask that, right?

Ava : Nahi! Mein tumse ab kuch bhi chhipana nahi chaahti, Veer. I will never-!! I want to share everything with you.

Veer : !?

Ava : Mujhe do skills mili hai. Explo Artisan aur Tribal Survival. Aur, saath hi ek perk bhi. Shrapnel.

Veer : Ah! Right! Perks!!!

'Pari!!!'

[Mein jaanti hu aap kya puchne waale hai. Toh, mein apne aap hi bata deti hu. 'Perk hunt' ek new feature hai, Master. Harr mission complete karne ke baad aapko ek choice di jayegi.]

'Choice?'

[Yes! Perks ko select karne ki. Teen hidden perks aapke saamne aayenge jo random rahenge. Usme se jo bhi perk aap select karenge woh aapke perks me add ho jayega.]

'Ohh!'

[Par, dhyaan rahe. Perks positive bhi hote hai aur negative bhi. Also, ye perks sirf temporary basis par hi rahenge. Permanent nahi. Inki limits hoti hai.]

'Huh?'

[Positive perks aapki help karenge toh wahi negative perks aapke liye mushqile bhi paida kar sakte hai. It's all based on your luck.]

'Toh, Ava ko jo perk mila hai. Shrapnel! Woh kaisa hai?'

[Ava ka system probably abhi level 9 par hi hai. That's why woh Perk ko access nahi kar paa rahi. Kyuki, system level 10 par hi perk hunt unlock hota hai aur unka istemal kiya jaa sakta hai. Ava ka perk 'Shrapnel' uski 'Explo Artisan' skill me madad karega.]

'Woh kaise?'

[Aapko yaad hai jab aap Jaw Long ke banaye gaye explosives par perr rakh diye the?]

Veer ke mann me woh manzar daud gaya. Jab woh Jaw Long ke dwara uski Explo Artisan skill ka shikaar ho gaya tha. Aur, usi dhamake me uski shirt aur Garofano ke dwara di gayi sabhi needles wahi bikhar gayi thi.

'Haan! Mujhe yaad hai!'

[Ava ko Explo Artisan mili hai iska matlab woh ab explosives design kar sakti hai. Lekin, 'Shrapnel' perk unn explosives ki explosiveness ko 25% se badha dega.]

'Iska matlab-!'

[Aapne sahi socha. Dhamaka 25% teevra hoga. Yahi kaaran hai ki kyu Jaw Long ka dhamaka hamare liye itna ghatak tha.]

'I get it!'

Ava : Veer!? Veer? Kaha kho gaye?

Ava ne jab use itni derr shaant paaya toh woh haath hilaate hue use uske mann se baahar laayi.

Veer : Huh? Nahi! Kuch bhi nahi! Tumhara perk system level 10 hone ke baad hi istemal me aa payega.

Ava : H-Haan, mujhe Lily ne bata tha thoda-thoda iss baare me.

Veer : Lily!?

Ava : Umm...! Meri system!

Veer : Ohh!!! Right!

Aur, isi tarah dono me halki fulki baatein thodi derr aur hui. Iske baad Veer ko araam karne dene ke liye woh baahar aa gayi. Woh khush thi ki kam se kam unke beech vartalap toh hone lagi thi. Ye unke naye rishte ki ek nayi shuruat thi.

***

Agla din hua. Veer ne uss poori raat se leke din tak araam farmaya. Uska badan kaafi heal ho chuka tha aur toh aur Garofano ne kuch jagah ke taake bhi nikaal diye the.

Beowulf apna kaam ekdum behatreen dhang se kar raha tha. Saath hi uske badan par lipti pattiyaan bhi kaafi kuch khul chuki thi. Pait par bandhi hi bas ek patti thi jise abhi tak nahi nikala tha.

Shaam ka waqt ho raha tha aur Erica bhi pehle se behtar mehsoos kar rahi thi. Woh apne pita, Renshu aur Garofano avum Ava ke saath hall me hi thi jab Veer ne hall me dastak di. Aur, teeno ladkiyo ki nigaahein uss par tik gayi.

Renshu : Veer!!! Aao! Tumhara hi intezar tha.

Veer : Hmm? Sab yahi hai?

Garofano (smiles) : Hum sab tumhara hi wait kar rahe the.

Veer : Ohh!

Veer chalte hue unn sab ke nazdeek aaya. Renshu ne shaam ke snacks ki plate aage karte hue usko saunpi.

Renshu : Aaj shaam ke snacks Erica ne banaaye hai. Khaas indo-chinese, tumhare liye. Mujhe yaad hai ki tum non-veg nahi khaate. Isliye, ye sab kuch vegetarian hi hai.

Apne pita ke muh se 'khaas tumhare liye' sunte hi bechari Erica ke gaal laal ho gaye. Woh Veer se apni nazre churaane lagi. Veer ne dekha ki ek plate me jaha spring rolls rakhe the.

Toh wahi side me ek bowl me manchou soup bhi tha. Woh khud hi 'absolute chef' ki wajah se ek behtareen chef tha. Muskurate hue usne spring rolls ke zayke ka swaad liya. Toh woh haami bharte hue bola.

Veer : Mmm! Waqai! Ye badhiya bane hai.

Erica jo ek aas liye uske chehre ko taktaki laga ke dekhti jaa rahi thi woh apne khaane ki bani tareef sunte hi khil uthi.

Renshu (frowns) : Ab kuch zaroori baatein, Veer!

Veer : Hmm?

Renshu : Hum sab jaanana chaahte hai ki tumne Jaw Long ke past me kya dekha?

Veer (nods) : Hmm! Jaw Long kisi ke saath mila hua tha. Past mein poora nahi dekh paaya. Lekin, jitna dekha utna kaafi hai sab kuch samajhne ke liye.

Garofano : Poora nahi dekh paaye matlab?

Veer : Samjhata hu. Jaw Long ke paas Rebecca Elsher naam ki system holder aayi thi.

Garofano : Rebecca Elsher-!?

Veer : Hmm! Usne ek deal rakhi thi Jaw Long ke liye. Jaw Long kaise bhi kar ke Order ko hathiyana chahta tha. Par, uske liye use aur taqat ki zaroorat thi. Aur, isliye Rebecca uske liye woh deal leke aayi.

Renshu : Kaisi deal?

Veer : Yahi ki woh Jaw Long ko insaan laa ke degi.

Renshu : Insaan?

Veer : Maut ke ghaat utaarne ke liye.

Erica : Ah!!?

Veer : Woh ek black magic practitioner tha. Uske paas aisi aisi skills thi jinme sacrifices ka upyog hota tha. Rebecca ne use woh sacrifices uske haatho me laa ke diye. Aur, badle me usne apni bas ek maang rakhi thi.

Renshu : Hmm?

Veer : Wo ye ki mine praapt hone ke baad woh usme se kuch radioactive elements apne saath leke jayegi.

Garofano : Radioactive elements? Kis liye?

Veer : Yahi toh nahi pata. Par, agar ek system holder ye sab kar raha hai toh zahir hai ki uska uddeshya bhalayi karne ka toh nahi hai.

Renshu (frowns) : Jitna maine socha tha, ye uss se bhi zyada pechida nikla.

Veer : Aur, mein uska past poora nahi dekha paaya. Kyuki, past me hi uss Rebecca ne kuch karna chaaha tha.

Renshu : Huh?

Veer : Uske paas shayad mind ke saath khilvaad karne ki koi skill hai. Shayad hypnosis ya aur kuch. Jaise hi mein aage dekh paata, usne apni pocket watch nikali aur past me hi woh- mujhe jaise hypnosis kar sab kuch bhulwa dena chaahti thi.

Garofano : Whaaaattt???

Renshu (shocked) : Past me hi-!? Agar, ateet me hi usne ye kiya hai. Iska matlab... Woh bahut pehle se hi bahut aage ki soch ke chal rahi hai. Usne ateet me hi tumhari memory ko vanish karna chaaha. Yaani woh jaanti thi ki aisa kuch hoga.

Veer : Hmm!

Renshu : Kya usne black hat pehni hui thi?

Veer : Huh? Tumhe kaise pata?

Renshu : Kyuki... Kyuki, woh mere saamne hi helicopter me savar hoke bhaagi thi. Aur, Divya uske kandho par thi.

Jaise hi Veer ne ye vaakya suna woh apni jagah se uth khada hua.

Veer : Kya matlab? Divya!! H-Haan! Divya kaha hai? Woh mujhe kal se hi nahi dekhi.

Ava (frowns) : Divya ko woh aurat apne saath le gayi, Veer.

Veer ki mutthi zorr se kasi. Aur, woh apna haath kass ke table par patakne hi waala tha ki usne aenn waqt par khud ko rok liya.

Renshu : Mein samajh sakta hu ki tumhe kaisa mehsoos ho raha hoga. Par, abhi gusse se nahi dimaag se kaam lene ka waqt hai, Veer.

Veer (nods) : Right! Woh Divya ko kuch nahi karenge. P-Par-

Par, uske bawajood woh apne andar ki ghabrahat ko daba nahi paa raha tha.

Garofano : Divya ek aam insaan hai. Mujhe nahi lagta ki woh uske saath abhi kuch karenge. Aur, Divya ko wapas le jaane ka shayad ek hi maqsad ho sakta hai.

Unn sabhi ki nazre punah Veer par tik gayi. Sab jaante the ki Divya aur Veer ke beech hi qareebi ka ek rishta tha.

Renshu : Woh Divya ke zariye tumhe baahar laane ki koshish karenge.

Garofano (nods) : Exactly!

Renshu : Aur, woh akeli nahi hai. There was a man!! Ek system holder aur tha jisne mujhe ghayal kiya tha.

Veer (surprised) : You got wounded?

Renshu (nods) : Hmm!

Veer : Kaun tha?

Renshu : Usne apna chehra dhak rakha tha. Lekin, woh ek agile system holder hai. Raftar hi uska hathiyaar hai. Aur, aksar teer kamaan ka prayog karta hai. Uske teer kisi cheez se sparsh hote hi dhamaake me badal jaate hai. Dusre shabdo me, woh explosive arrows rakhta hai.

Veer (nods) : Got it!

Renshu : Veer! Hum sab ne milke kuch socha hai.

Veer : Hmm?

Renshu : Hume ek alliance ki zaroorat hai.

Veer : Alliance?

Renshu : Hmm! Jo kuch abhi humne dekha uske baad se koi sanshay nahi hona chahiye ki kuch system holders group me kaam kar rahe hai. Aur, unka maqsad kuch theek nahi lag raha. Hum pehle se hi ek dusre ke saath parichit ho chuke hai. Aise me ye behtar hoga ki hum ek dusre ka dhyaan rakh sake.

Veer (nods) : Hmm! Toh?

Renshu : Mein chaahta hu ki hum sab baari-baari bataaye ki iss ladaayi ke dauran unhe kya-kya rewards mile aur kitne points mile. Taaki, hamare beech ek transparency bani rahe aur ek dusre par vishvas karna hum sab ke liye asaan ho jaaye.

Veer : Hmm! Mujhe koi aapatti nahi hai.

Renshu : Hmm! Toh mein hi shuruat karta hu. Mein jhooth nahi bolunga. Mujhe iss ladaayi se sirf 5000 points hi praapt hue hai. System level 10.

Erica : A-Aur mujhe 1000. Also, basic seer vision skill bhi mili hai. Aur, mera system ab level 9 par aa chuka hai.

Ava : I got 10,000 points. And, Explo Artisan, Tribal Survival ye do skills mili hai mujhe Jaw Long se. And, also ek perk hai 'Shrapnel' ke naam se. System level is 9.

Garofano : Umm...! Well! Tum sab jaante ho ki maine isme participate kiya hi nahi so, I got nothing, okay? Par, fir bhi... Kahi aisa na lage tumhe ki maine kuch bataya nahi toh bharose ke liye mein apne cards share karti hu. I have Yohana's Scalpel jo mujhe ek skilled surgeon banata hai. And, the other card which I have is ~ Scourge! And, my system level is 10.

*Ding*

Garofano ke muh se card ka naam nikalte hi idhar Pari ne Veer ke mann me uss card ka description prastut kar diya.



IMG-20240504-113339

'Ohh! Toh ye tha woh card!'

Aur, Veer ko turant hi yaad aa gaya jab Garofano ne Renshu ke ghar par hamla kiya tha toh uski aankhein hare rang se kyu chamak rahi thi. Toh, ye card tha jo usne uss samay equip kar rakha tha.

Jab sab ne apne baare me bata diya toh sab Veer ke uttar ke liye uska intezar karne lage. Aur, usne bina koi reward chhipaate hue sab bata diya.

Veer : Mujhe 15,000 points mile hai. Berserk card mila hai. Aur, Aura Vision, Radio protective skills mili hai.

Erica : That much-!??

Veer : Hmm? Yeah! Uske badle me mujhe bahut kuch chukana bhi pada.

Kehte hue usne apne shareer ki orr ishara kiya jaha jagah jagah use chotein pahuchi thi. Aur, Erica ye dekh turant hi shaant ho gayi. Use woh manzar yaad tha jab Veer unn janvaro se bhaag raha tha. Uska woh khoon se lathpath shareer par woh nidar chehra jo haar maanane ko taiyaar nahi tha. Woh ant me uska khade hona aur aisi fight ka demonstration dena jo usne kabhi apne sapne me bhi imagine nahi ki thi.

Ye sab baatein kaafi thi uske puraane ego ko choor-choor karne ke liye. Woh laalsa bhari nazre Veer ke chehre ki orr tikaayi jaise kahi kho gayi.



IMG-20240504-114107

Renshu : Aur, Erica tum-!!! Maine tumhe samjhaya tha na ki frontline missions ke liye tum taiyaar nahi? Tumhe zara bhi andaza hai ki tumne kya kiya tha? Tum Order ke logo ko yu akela chorr bhaag nikli? Humne apne 6 aadmiyon ko khoya hai tumhe pata hai?

Erica : I... I was...

Veer ne jab dekha ki Erica apne pita ke aage kuch bol nahi paa rahi toh woh khud hi bol pada.

Veer : Don't blame her!

Renshu : Hmm?

Erica : ???

Veer : Ava ne mujhe bataya tha ki jab mein behosh tha aur woh Jaw Long se bhidi hui thi toh Erica ne hi meri hifazat ki thi Jaw Long ke uss eagle se.

Renshu : Ohh!?

Veer (smiles) : So, don't blame her. Woh ab frontline missions ke liye taiyar hai. She... has grown up!

*Ba-dump*



0f82f03e-f64f-4513-a3c7-9e4ae98c9d79

Maano jaise Erica ka dil ek dhadkan phaand liya. Woh mudte hue apne bagal se khade Veer ko dekhi. Aur, uski nigaahein chumbak ki tarah Veer ke chehre par jamm gayi. Dil ki dhadkane tezz ho chuki thi. Achanak hi uske gaalo ka paara badhne laga aur woh swayam apni nazro ko ferrte hue khud ko dosh dene lagi.

Ye kya ho raha tha uske saath? Itni zorro se uska dil toh kabhi nahi dhadka tha. Aur, woh bhi Veer ke prati kyu? Woh toh hamesha se hi Veer ke khilaf bolti aayi thi. Unhe mile hue itna samay bhi nahi hua tha. Fir kyu?


[Ohh!? Have you fallen for him?]

'Wh-What?*blushes* Nooo! Shut up, Genie!!!'

[Well, you have got a hard competition my girl. Look around you. There are two very competitors present in this room.]

'Huh!?'

Erica ne jaise hi dekha toh paaya ki Ava aur Garofano bhi Veer ko hi dekh rahi thi. Aur, unki aankhon me bhi wahi bhaav the jo kuch derr pehle uski khud ko aankhon me the.

Usne apna sarr zorro se hilaate hue inn vichaaro nikaalne ki koshish kari aur gehri saans lete hue shaant ho gayi.

Renshu : Mujhe ek baat bas khatak rahi hai.

Veer : Kya?

Renshu : Akhir, woh Rebecca bhaag ke nikal kaise gayi?

Veer : Hmm?

Renshu : Woh helicopter se gayi thi. Mujhe poora bharosa hai ki woh usi helicopter se China se bhaagi hai. Par, akhir security ne aisa karne se roka kyu nahi? Koi bhi foreign air object 12 nautica miles ke andar pravesh nahi kar sakta. Foreign flights ko bina permission ke 12 nautica miles ki doori se hi nikalna padta hai. Par, na sirf woh andar aayi balki asaani se nikal bhi gayi. Akhir kaise?

Veer : Ek doubt mujhe bhi hai. Garofano ke case ke waqt jab Divya yaha aayi thi. Toh, maine uss se kaha tha ki ye case woh handle kare. Aur, permission le ki woh FBCC se iss case ko handle karne aayi hai.

Renshu : Hmm!

Veer : Par, government ke officials ko toh ye pata hona chahiye tha na ki Divya FBCC se Legion aur Order ke beech ka case handle karne aayi hai. Na ki Garofano ka crime related case dekhne. Akhir, unhone manzoori de kaise di? Aur, koi virodh bhi nahi- Huhhhh!???

Achanak jaise Veer ka badan ek jhatka kha ke thitur gaya. Ek sansani bhara vichaar uske mastishk se hoke guzra. Aur, jitna woh sochta gaya uske haav bhaav utne hi bigadte chale gaye.

Renshu : Veer? K-Kya hua?

Veer ke maathe par silvatein chhaa gayi. Usne apne baalo ko kass ke pakad ke peeche kiya toh do latt uski aankhon ke saamne gir ke jhool gayi. Aur, uski woh aankhein bahut kuch bayaan kar gayi.

Veer (frowns) : That bitch-!!!

Renshu : Huh???

Veer ne aage jo kuch bhi kaha, use sunn na sirf Renshu balki, Ava samet baaki sab bhi hairat ke chalte uth ke khade ho gaye.

Veer : Ab samajh aaya meri. We were being played, Renshu!

Renshu : Saaf saaf kaho, Veer!

Veer : Maine tumhe abhi bataya tha ki uske paas koi hypnosis se related skill ho sakti hai, right?

Renshu (nods) : Haan!

Veer : That bitch... she hypnotised your government official.

*Silence*

Renshu ka chehra dekhne layak tha. Uski aankhein phati ki phati reh gayi thi.

Veer : Usne uss government official ko hypnotise kiya, aur khud hi uss se madad mangwayi. Yahi reason hai ki kyu Divya ke case badalne par government ki taraf se koi action tak nahi hua. Aur, rahi baat woh China se bhaagi kaise-!!?

Renshu : Don't tell me-!!!

Veer : Yeah!!! That's right! Foreign air flights ki security bhi hypnotised thi probably. Isliye, woh asaani se nikal paayi.

Renshu (growls) : Mere hi desh me aake mujhe hi gumrah karne ki koshish-

*Craaaackkkkk*

Renshu ne apne haath me liya glass itni zorr se jakda ki uske tukde-tukde ho gaye.

Garofano : Wh-What a master plan!

Veer abhi inn baato se ubhar paata ki tabhi ek aur sihran faila dena waala vichar uske mann me aaya. Aur, woh yahi chaah raha tha ki woh jhooth nikle.

Veer : Violet!!!

Garofano : Huh?

Veer (frowns) : Hamari pehli mulaqat ke dauran tumne mujhse kuch kaha tha. Tumne aisa kuch kaha tha ki- "She was right! You are the one who I was yearning for...!"

Ava (glances) : Huh???

Veer : Woh 'she' kaun thi?

Garofano : Ahh! Woh? Woh thi- huhhhh???

Garofano ne jaise hi yaad karna chaaha ki akhir kisne uss se ye sab kaha tha, woh achanak hi jaise uss insaan ke baare me sab kuch bhool gayi. Uske chehre par darr aur chinta saaf-saaf jhalak rahi thi.

Garofano (panics) : I- I don't remember!!!

Aur, uske itna kehte hi Renshu aur Veer ki nazre aapas me bhid gayi. Woh dono hi wahi soch rahe the.

Veer (frowns) : Damnnnn ittt!!!

Renshu : Veer?

Veer : Yeah!!! Rebecca Elsher-!!!! You were the mastermind behind all of this.

Ava : It was a plan all along.

Veer : Shit!!! Violet! Tumne ye bhi kaha tha ki Mumbai me Casa Belle hotel par baad me ek bada hamla hoga, right? Damn ittt!!! Renshuuu-!!! Turn on the news!!

Erica : M-Mein karti hu!!!

Erica ne daud ke jaise hi television on kar uspe international news lagayi toh jaisa socha tha bilkul wesa toh nahi hua magar-

"Breaking News : Luxury 5-Star Hotel named 'Royal Oasis' in Morocco obliterated by mystery missiles, Miraculously No Casualties Reported."



IMG-20240504-211555

"This is Lina reporting live from Morocco, where a stunning and tragic event has unfolded. In a shocking turn of events, a prestigious 5-star hotel, renowned for its opulence and grandeur, has been reduced to rubble by a barrage of unidentified missiles."

"Lina, what's the situation there? Have there been any eye-witnesses?"

"Ah! Yes, James. Eyewitnesses described a terrifying scene as explosions ripped through the hotel, sending debris flying in all directions. Despite the devastation, authorities confirm that there have been no reported casualties or injuries among guests or staff, marking a miraculous outcome amid the chaos. They say that someone made all the staff empty the whole hotel just prior to... to this destruction."

"And, how's security handling this situation right now, Lina?"

"Umm! Security forces and international agencies are scrambling to ascertain the origin and motive behind this brazen attack. Speculations abound as to the perpetrators and their intentions, with no clear answers emerging at this time. For the time being nothing has been confirmed, James."

"Alright! Lina! I'll catch up to you later. So, ladies and gentlemen, the destruction of this iconic landmark has sent shockwaves through the local community and the global hospitality industry. Questions loom large about the safety and security of similar establishments worldwide, prompting heightened vigilance and concerns for future incidents."

"So, stay tuned to our channel for the latest updates and insights into this developing crisis."

*Silence*

Sabke hosh ude hue the. Sabse zyada toh Veer aur Garofano ke. Jaha Garofano ka kehna tha ki Mumbai ka hotel Casa Belle tabaah kar diya jaayega toh wahi aisa kuch nahi hua. Hotel tabaah toh hua, magar Mumbai ka nahi, Morroca ka.

Veer : Kisne bataya tha tumhe ki Mumbai ki hotel par attack hone waala hai?

Garofano : I-It was her-!!! Aahhh!! V-Veer! I-I don't remember!!!!

Veer (yells) : Damnnnn ittt!!!

*Thuddddd*

Veer ne apne haath zorr se table par patke toh table ke beech ek moti daraar fel gayi.

Veer : Ava-!!

Ava : Huh?

Veer : You are coming with me!!!

Ava : What?

***

Agla din hua aur akhir kar lautne ka samay bhi jald hi aa hi gaya. Veer aur Renshu uske ghar ke baahar hi khade hue the. Aur, Erica car me Ava aur uska intezar kar rahi thi.

Veer ke kehne par Ava uske saath hi laut rahi thi. Abhi woh dono baahar aaye hi the ki tabhi aasmaan me ek awaaz goonj gayi.

*Keaaaarrrrrr*

Hawa me udta Sheba Veer ko dekh apne pankh fadfadate hue seedha uske kandho par aake baith gaya.

Veer : Ah! Right! Mein tumhe kaise bhool sakta hu? Kya mein Sheba ko India le jaa sakta hu?

Renshu (nods) : Bilkul! Par, abhi nahi! Iske liye kuch formalities karwani padengi. Akhir, Sheba ek janglee baaj hai. Koi sadharan pakshi nahi. Mein apne aadmi ke zariye ise tum tak bhijwa dunga.

Veer (smiles) : Thanks!

Renshu : Maango, Veer! Tumne yaha aake apna farz bas nahi nibhaya hai. Jaw Long jaise system holder ko maat deke Order ke liye jeet ka jhanda lehraya hai. Badle me tum jo chaaho maang sakte ho.

Veer (smiles) : Jo chaahu woh maang sakta hu?

Renshu : Order ka Lord hu. Aur, Shaolin ka master. Mein apne vaade se peeche nahi hatata. Maango, Veer!

Veer : Agar, mine se woh mil sake. Toh, woh mujhe chahiye hoga.

Renshu : Kya?

Veer : Lithium!!!

Ek khamoshi waha chhaa gayi. Mine milne ke baad Renshu ne apna dab-daba government par punah bana liya tha. Zaahir hai, government ki orr se use kuch na kuch chhooth di gayi thi mine ke liye. Aur, aise me Veer apne liye koi sunehra mauqa nahi chorrna chaahta tha.

Renshu (sighs) : Theek hai! Mein yaad rakhunga.

Veer (smiles) : That's it then!

Renshu : Aur, woh alliance-!!!

Veer : Hmm! I'm in!

Renshu (nods) : Good! Aur-

Veer : !??

Renshu (frowns) : Kuch bahut bada game khela jaa raha hai. Hume ek dusre ke sampark me rehna hoga.

Veer (nods) : Mmm!

Garofano : Aur, mera kya? Kya mujhse kuch nahi maangna Veer? Akhir, tumne hi mera case solve karwaya tha. *grins*

Veer : Mein, jald hi apni clothing brand ko market me utaarne jaa raha hu. So... Will you collab with me?

Garofano (smiles) : Ek guest ki tarah request kar rahe ho ya ek dost ki tarah haq se order de rahe ho?

Veer : Ek dost ki tarah haq se puch raha hu.

Garofano (smiles) : Then, consider it done!

Renshu aur Veer ne ek dusre se haath milaaya aur dono ne haami bhari. Ye ek ghoshna thi ki do taqatvar system holder ke beech ab ek dosti ka rishta bann chuka tha. Jisme Ava, Erica aur Garofano jaisi sadasya bhi shaamil thi.

Veer : Then, I'll take my leave.

Renshu (nods) : Hmm!

Garofano : Until next time, Veer!!!

Veer : See you later!

Aur, woh palat ke Ava ke sang Erica ki car me baith chal diya. Kuch ghanto ki duri tay karne ke baad hi airport par pahuch bhi gaye.

Ava aur Veer apna-apna samaan lete hue utre. Ava ko zara bhi umeed nahi thi ki Veer uss se apne sang chalne ke liye kahega. Uske paas kahi jaane ka koi thikana nahi tha. Wese bhi woh Veer ki suraksha karne ke liye hi ab jee rahi thi. Ye uske liye behtar tha ki woh Veer ke paas hi rahe.

Jaise hi Veer aur Ava flight ke liye nikalne lage toh Erica ki bekarari aur adhik ho gayi. Woh Veer ko dur se hi awaaz laga ke chillaate hue pukaari-

Erica : Veeeeeerrrrrr!!!

Veer (mudte hue) : Hmm?

Erica : W-Will we... Will we meet again???



Ng-Giao-K-D-Qu-n-S-T-ng-Th-c

Veer bas muskuraya aur wapas se mudte hue apna haath yuhi hawa me hilaata hua chala gaya. Uska matlab Erica samajh toh nahi paayi par woh jaanti thi ki jab fir se koi badi vipda aayegi toh uske Dad ke saath saath Veer waha zaroor maujood hoga. Woh kayi saare shabd kehna chahti thi. Magar, keh na saki.

Aur, dur se uski bebasi dekh kahi na kahi Ava ka dil ghabra raha tha. Aisa lag raha tha maano jaise koi apni cheez saamne rakhi hai magar baaki logo ki nazar bhi uss par hai. Na jaane kab kaun use jhapat ke hadap le.

Dheere-dheere Ava aur Veer Erica ki aankhon se ojhal ho gaye. Flight take-off hui aur dono apni manzil wapas se India ki orr chal pade.

Baithe-baithe Veer ne Ava se yuhi jab system ki baat chhedi toh kahi se usne ek aisa sawaal kar diya jiska jawab paate hi ek aakhiri par sabse bada jhatka use laga.

Veer : So? Tumhari Lily ki kitni personalities hai?

Ava : Huhhh?

Veer : Hmm? Maine pucha ki tumhari Lily ki kitni personalities hai?

Ava : What? What are talking about-!?

[M-Master-!]

Pari ki halki si dabi awaaz uske mann me goonji. Lag raha tha jaise woh nahi chaah rahi thi ki iss baare me koi charcha ho. Magar, Veer aaj jaise sab kuch janana chaahta tha. Inn do dino me uska dimag kisi supercomputer ki tarah chal raha tha.

Iss baar woh bauhe kase aage thoda uthate hue pucha.

Veer : Tumhari... Lily ki different personalities nahi?

Ava : Huh? Nahi! Tum kehna kya chaah rahe ho? Why would she have different personalities?

Aur, ye sunte hi Veer ki aankhein bhauchakke hone ke chalte failti chali gayi. Woh jhatke se apni jagah se utha.

Ava : V-Veeeerrr????

Magar, Ava ki pukaar ko ansuna kar woh sarpat washroom ki orr bhaaga.

Ava : Veeeeeer-!!!!

Peeche se Ava chillati rahi magar Veer seedhe washroom me ghusa aur usne andar se darwaza band kar washbasin ka nal chalu kar lagatar thande paani ke chheete apne muh pe maare. Saamne ke baal geele hote hue uski aankhon ke saamne latak gaye aur usne apne saamne lage sheeshe me khud ko dekha. Woh gusse me lag raha tha.

'Pari-!!!'

[M-Master-! I...]

Pari ki awaaz bhi thodi sehmi hui thi.

'Matlab mein sahi soch raha tha...! You fucking lied to me.'

[N-No! M-Master! P-Please listen to me.]

'Mujhe laga tha aisa possible nahi. Magar-!! Meri ek theory sach nikli.'

[M-Master!]

'Pari-!!! Stop being a bitch!!!'

[Noooo-!!!]

'YOU DON'T HAVE DIFFERENT PERSONALITIES.'

[????]

'RATHER... YOU ALL ARE DIFFERENT BEINGS!!!'

Boom! Maano jaise iss baar Pari ke mann me visfot hua. Aur, isi ke saath woh poori tarah se maun reh gayi.

***


FBCC Headquarters,
New York,

Evening ~ 7:44 PM


Ek kamra mand raushni me dooba hua tha jis se waha ke aparichit parivesh par lambi chhaaya pad rahi thi. Karahte hue ek aurat dheere-dheere apne hosh me aayi. Uska sarr dard se phata jaa raha tha aur peeche gardan par bhi kaafi dard fela hua tha. Palke jhapkaate hue woh apni yaadon ke kuch hisso ko jodne ki koshish karne lagi jab kahi se ek jaani maani awaaz uske kaano me padi.

"Took you quite a while aye, Mrs. Divya?"

Ye awaaz sunte hi Divya jo behoshi se abhi-abhi baahar aayi thi usne turant hi palat ke dekha. Toh paaya ki-



0a3a1a83-efdc-438a-8436-6725e741a78a

Uske saamne ek aurat black hat lagayi hui baithi thi. Aur, awaaz woh bhali bhaanti pehchanti thi.

Divya : Director???

Director : Yes!! Mrs. Divya, aap pichle do din se behosh ho. You know that?

Divya : Ahhh! M-Mein kaha hu? Wait! China?? M-Mera assignment-

Director : Calm down, Miss Divya. Aapka assignment complete ho chuka hai.

Divya : What?

Director : Yes! Aap hamle ka shikaar ho gayi thi. Par, hamari team ne aapko waha jald se jald sahi salamat khoj nikala. Hum FBCC ke headquarters me hai. More specifically, you are in my personal space here.

Divya ye sunte hi uth ke khadi ho gayi.

Divya : Th-That's... Apologies, please.

Director : It's okay! Just take rest. Aap free ho.

Divya : Free ho matlab? Did I mess up? Mera first assignment?

Director : Ohh no no! You did very well. In fact, meri umeed se kahi zyada aap uss par khari utri. *smiles*

Divya : Oh!

Director : Free se mera matlab tha ki aap ab jaha jaana chaahe kuch dino ke liye jaa sakti hai. Because, very soon... You will be given another assignment. It's a short break for you. So, enjoy!

Divya : O-Ohhh! Okay!

Woh waha se aage badhi. Use sabse pehle khud ko shaant karne ki zaroorat thi aur saari kadiyon ko ek dusre se jodne ki zaroorat thi. Saath hi use Veer ko bhi call karke kaafi cheezein puchni thi. Woh jaise hi baahar nikalne ko hui ki itne me Director chalte hue uske qareeb aa gayi.

Director : By the way, you wanted to know my name, right?

Divya : Ahhh! Y-Yes-!!

Director : Toh dhyaan se sunana. Kisi ko pata nahi chalna chahiye. *smiles* Okay? You have earned my trust. So, it's the least I could do.

Woh aage jhuki aur Divya ke kaano ke paas aayi.

Divya : ???

Director : Remember! My name is...

Divya : ???

Director : REBECCA ELSHER!!!

Divya : Rebecca-!??

Director (smiles) : You may take your leave now. Remember! Not to disclose it. Okay?

Divya (nods) : S-Sure!

Woh haami bharte hue waha se nikal gayi. Magar, uske jaate hi Rebecca ke hontho se muskan gayab ho gayi. Woh apne cabin se baahar nikal lift pakad seedhe ek floor neeche ko gayi.

Aur, waha ghuste hi uske saamne ek badi si chaudi kursi par ek insaan pehle se baitha hua tha.

"You are late-!!!!"

Uski awaaz Rebecca ke kaano me padi.

Rebecca : Mujhe apne staff ka dhyaan rakhna padta hai. Unlike you...

??? : Ohh?? How did it go?

Rebecca : Everything is just as you planned.

??? : Of course!!!!

Rebecca (frowns) : Now-!!! Woh records-

Iske pehle ki woh aage kuch keh paati. Ek chhuri uski orr tezi se udte hue aayi aur uski kaan ki baali ko kaatate hue peeche darwaaze me jaa ke khus gayi.

??? : I.. have limited patience, girl!

Rebecca (frowns) : Itna gussa theek nahi. Akhir woh... Unhone hamesha duniya ka bhala hi chaaha tha. Aise me, tum...

??? : Murde ateet ka hissa hote hai!!! Aur, mein... *inhales* Mein sirf aur sirf bhavishya ke baare me sochta hu.

Rebecca : And, what about the world???

"THE WORLD... NEEDS A LIVING GOD!!!"


bd1842a5-8462-4a81-93e2-c9e3b98ae9db
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This marks the end of the Chinatown arc. Kaisa laga? Maza aaya na? This update consists of 10.4k words. Umeed hai sabhi ne itminan se padha hoga. This update answers most of the questions which were left unanswered. I know naye questions saamne aa gaye hai but hey... Maine pehle hi kaha tha ki nayi gutthiyaan saamne aayengi hi. So, likes thokne ka aur revos rakhne ka. Target apna wahi hai. 200! Pahucha dene ka. Bolna na pade. Also, mein ek trip pe jaa raha hu family ke sang toh abhi kahani ab thode break par rahegi. Mujhe Disembowler arc ki blueprint taiyar karni hogi. Till then, enjoy this update.

Dhanyavad. ✨

.
.
.
.
Gazab ka update .
.
👻👻👻👻👻
👻👻👻👻
👻👻👻
👻👻
👻
 
  • Like
Reactions: Werewolf

som12350

No strings attached relationships, relax and enjoy
Banned
12
45
28
Beheterin update bhai,

Ek question hai aapse, aap ne ek barkaha tha ki, veer ke gele main jo pathar hai, us ka raz china town arc main pata chalega, magar china town arc to ab khatam ho gaya hai.
 
  • Like
Reactions: Werewolf

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,173
109,427
259
Beheterin update bhai,

Ek question hai aapse, aap ne ek barkaha tha ki, veer ke gele main jo pathar hai, us ka raz china town arc main pata chalega, magar china town arc to ab khatam ho gaya hai.
No! Neel mani ka raaz Disembowler me khulega.
 

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,173
109,427
259
mat likho ye faltu ki stories aurat ka smaan karo
jo aurat ka smaan nhi kar skata wo apni life m kabhi kuch nhi kar sakta
What an irony :claps:
What does your siggy says? Aunty aur uski beti se real love ho gaya.


itna-marunga-ki-bikhari-bikh-nahi-dega-1024x478
 

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,173
109,427
259
haabu ek baar jaa or meri story h ek payra badmassh ladka anshu wo dekh ke phir bolna
Toh mein kya karu? :dazed:
Aur kyu padhu? :dazed:
or chunni laal marne ki baat rhi ghr se utha laaunga smjhaa
Keyboard ke peeche baith ke toh jhaate bhi style maarti hai. Tu unhi me se ek hai. :dontknow: I don't give a fuck about you or your story. Ye adult forum hai. Yaha kisko gyan de raha hai? Forum chalta hi stories ki wajah se hai. Aur, agar pasand nahi toh seedhe seedhe dur rehne ka. Simple!
 

Badguy001

New Member
37
122
44
yaar ek baat bolunga m terko
no doubt tera bhut creative mind hh
to apne is creative mind ka use ye faltu ki chizon m kyu kar rha hh
isko kisi esi ach chiz yaa esi good story m lgaa na jisko read kar ke logo ki life change ho or log is gandgi se bahar nikle
bhai to ek badiya story likh jisme apan logo ko kuch acha sikha ske
m kahridunga teri esi story
tu kuch acha likh
 

Badguy001

New Member
37
122
44
bhai m kalkaar ka smaan karta hun
or tu to ek kalm kaar h apni kalam ko achi chizon m laga bhai
 

Bilal jan

My Attitude your problem 🖕 Your attitude my foot
16,133
40,265
258
Update - 178 ~ The Collapse
[Note : Update kaafi bada hai. Itminaan se padhna.]

Ab tak...

Ava jo Veer ko uthata dekh ek raahat ki saans li, usne apni katana ko hawa me feka jo Veer ke bagal se jaa ke zameen par khus gayi.

Ava : Take it... Veer!!!

Magar, Veer ke muh se uske baad jo bol nikle woh uske nahi the. Awaaz uski hi thi, parantu bol Pari ke the.

"I don't need any weapons...! I AM THE WEAPON!!!"


Ab aage...

“Aage badhte raho! Aage badhte raho!”

“Hume rukna nahi hai! Lord aur Miss Erica hamare liye itni kathnaiyo ka saamna kar rahe hai.”

“Chaukanna raho! Aur, Captain Feng ko follow karte raho!”

Order ke do senior sadasya Bo aur Ming baaki sabhi ko samjhane me lage hue the. Sab ke sab Jawan Feng ke peeche peeche uske nirdesh anusar chalte jaa rahe the. Kayi log ghayal awastha me the toh kayi saare ladne ke baad thakaan se joojh rahe the. Magar, kuch chuninda aise the jo apni jaan bhi gawa chuke the.

Unit 2 ka saamna sabhi ne poori nidarta se kiya tha. Par, Legion ke log marr mitne ke liye taiyaar baithe the. Ghamasan ladayi me kayi logo ne apni jaane gawayi aur kuch buri tarah chotil ho gaye. Apne logo ko marta dekh bhala Order kaha chup baithne waala tha? Renshu ke aadesh ke vipreet jaa ke akhir unhone bhi apne bhaiyo ki maut ka badla liya. Bina khoon kharaabe waali ladaayi ab maut ki jung bann chuki thi.

Prann toh liya tha ki kisi ki bhi jaan nahi lenge. Par, jab Legion ke logo ko jaan ki parvah hi nahi toh bhala Order bina pratishodh liye kaise shaant reh sakta tha? Na hi Renshu yaha maujood tha aur na hi Erica. Iss waqt agar Order ke members ko kisi ki shiddat se talash thi toh woh thi apne Lord ki jo unhe kahi bhi nazar nahi aa rahe the.

Bo : Na jaane Lord kaha chale gaye hai. Woh theek toh honge na?

Ming : Lord ko dhundhna hamari sabse pehli priority honi chahiye.

Captain Feng : Dekho! Humare aadmi ghayal hai. Agar, hum firse kisi ladayi me pade toh aur log ghayal honge. Ho sakta hai aur bhi log apni jaan gawa baithe. Aise me sabse pehle humara Renshu Sir ko dhundhna bahut zaroori hai. Kyuki, iss jangal ka kona-kona wahi acche se jaante hai. Tum me se koi hai jo iss jangal se parichit ho?

Bo (aage aate hue) : Mein Lord ke saath kayi baar andar tak gaya hu. Lekin, din ke samay me. Iss andhere me mujhe samajh nahi aa raha ki kaha jaana chahiye. Haan, magar disha ka anuman hai mujhe. Abhi jaha par hum hai, yaha se hume dakshin-poorv disha ki orr badhna chahiye.

Captain Feng : Dakshin-poorv…? Matlab South-east! Pakka? Kya tumhe poora bharosa hai? Yahi sahi disha hai?

Bo (nods) : Haan! Mere khayal se yahi honi chahiye! Mine ka raasta wahi hona chahiye.

Captain Feng : Mere khayal se nahi…! Agar, zara bhi choonk hui toh ho sakta hai ki hum unke kisi jaal me jaake phans jaaye aur sab ke sab maare jaaye.

Bo : Toh aur hum kar bhi kya sakte hai? Yaha khade bhi toh nahi reh sakte na?

Ming : Captain Feng! Mujhe lagta hai Bo theek keh raha hai. Lord ke saath ye kayi baar yaha aa chuka hai aur ise hum sab se zyada anubhav hai. Hum satark reh ke uss disha me aage badh sakte hai. Zyada se zyada kya hoga? Hume ek aur unit se bhidna padega? Yahi karne toh hum yaha aaye hai. Pehle hi humne apne kuch saathiyo ko kho diya hai. Toh fir ab darr kaisa?

Captain Feng (sighs) : Theek hai! Ladayi ab aar ya paar ki ho hi gayi hai toh yahi sahi. Tum…! Aage aao aur mere saath chalna. Baaki sabhi…! Humaare peeche rahenge.

Captain Feng ne Bo ko apne sang chalne ke liye kaha jo iss jangal se thoda bahut parichit tha. Baaki sabhi unke peeche peeche chalne lage. Magar, sabse peeche ke sadasyo me se chal rahi Divya ki vyakulta ab apni seema ko laangh chuki thi.

Divya (pants) : Y-Ye sab chal kya raha hai? Hum kaha jaa rahe hai? Na hi direction ka pata hai, na hamare group ko lead karne waale mil rahe hai, na hi mere friend ka ata pata hai aur upar se-

Usne apne haath me liye hue phone ki screen ko ek baar punah dekha jisme koi bhi network dikhayi nahi de raha tha.

Divya : ...upar se ye goddamn network bhi nahi mil raha hai.

Jawaan 3 (glances) : Ye toh lazmi hai, Miss. Iss ghane jangal me... bhala kaise aapko koi network mil sakta hai?

Divya : Shit!!! Agar, mujhe pehle pata hota toh mein kam se kam kuch zaroori gadgets hi le aati.

Jawaan 3 : Filhal aage badhne ke alawa humare paas koi chaara nahi.

Divya (frowns) : Hamare group ke logo me se kayi log maare gaye hai. Jaane chali gayi. Y-Ye chhoti moti baat nahi.

Jawaan 3 : Isliye to Renshu Sir ne aapse wapas jaane ke liye kaha tha. Yaha aapka koi kaam nahi hai. Fir kyu-!?

Divya : Mein FBCC se hu, Special Agent Divya. Aur, ye mera first assignment hai. Mujhe iss case ke baare me saare raaz jaanane hai. Aur-

Kehte hue uske bol wahi tham gaye. Woh sirf FBCC ke diye gaye assignment ki wajah se yaha nahi thi.

'-Aur mein jaanti hu ki Veer mujhse kuch chhipa raha hai. Woh sirf business karne yaha nahi aaya hai. Director ne bhi mujhe hint kiya tha. Veer ka aise bade bade cases me involved hona. Koi gehra raaz chhipa hai iske peeche-! B-But where is he?'

Apne mann me soch bina kuch aage kahe, woh jawaan ke saath aage badhne lagi. Uski bauhe chinta aur sanshay ke maare kasi hui thi. Iss case ki teh tak jaane se zyada woh Veer ko dhundhne ke liye zyada aatur thi.

Unhe chalte chalte kuch samay beet gaya. Ghane jangal me neeche beechi jhaadiyo ko alag kar woh jaise hi ek khule hisse me daakhil hue toh saamne ka manzar dekh unn sabhi ki aankhein bhay ke maare fel gayi.

"Looordddd!!!!"

"Loooordddd-!!!"

Pukaarte hue woh sabhi saamne ki orr bhaage. Saamne Renshu ped ke tane se lag kar zameen par baitha tha. Magar, unke bhay ka kaaran ye nahi tha.

Kaaran tha unke Lord ki yeh dasha. Renshu ke pait se labalab khoon baha hua tha. Uske pait ko dekh lag raha tha ki kisi ne use nukeele auzaar se cheer diya ho.

Bo : L-Loooorddd-!!!

Samast sadasya Renshu ke ird gird aate hue use gher liye. Bo aur Ming aage aate hue uske paas baithe aur use sahara dete hue uthaane ki koshish karne lage. Unn sabhi ki aankhon me darr toh tha hi par saath hi woh namm bhi padne lagi thi.

Ming : L-Lord-!! Y-Ye kya-!? Kaise? Aapko?

Renshu ne apni palke uthaate hue unn sab ko dekha. Uski saansein ukhdi ukhdi chal rahi thi. Woh samajh gaya ki uske Order ke sadasya uski ye haalat dekh bhaari chinta me aa chuke the. Usne apna daaya haath hawa me uthaaya aur unhe aashvasan dete hue kaha.

Renshu : M-Mein theek hu-!!! Tum sab ko chinta karne ki zaroorat nahi.

Captain Feng (frowns) : Aap theek hai? Apni haalat dekhiye. Ye jaanleva hamla tha. Kisne kiya ye?

Renshu : Chinta mat karo! Ye toh bas mamooli sa- urgh-!!!

Jaise hi usne uthna chaaha, uske pait ke ghaav na use saaf inkaar kar diya.

Bo : Loooorrdd!!

Renshu : Mujhe bas thoda samay lagega. Pareshan mat ho. Aur, pehle... Jald se jald iss par patti baandh do.

Captain Feng : Patti baandhne se kuch hoga, Sir? Jaisi aapki dasha hai aapko isi waqt hospital me le jaane ki zaroorat hai. Damn it!!! Kaash government ki taraf se kam se kam helicopter hi assign kiya gaya hota... Toh aaj... Toh aaj ye sab-

Uske swar me nirasha thi aur krodh bhi. Jaise wo aage ke anjaam ko jaanta tha. Use lag raha tha ki ab Renshu ki zindagi kuch ghanto ki hi mehman thi. Peeche khadi Divya bhi jab saamne aayi toh uske chehre par bhi wahi bhaav umad pade jo samast sadasyo ke chehro par the. Aur, uska anuman bhi Feng se mel khaane wala hi tha.

Divya (frowns) : Y-Ye ghaav...! Bahut bada hai. M-Mujhe nahi lagta ki ab...

Uske kehne ka matlab saaf tha. Aisa ghaav agar kisi bhi aam insaan par hota toh harr koi andaza laga sakta tha ki uska bhavishya kya hone waala tha.

Maut!

Aise ghane jangal me iss tarah ke ghaav se grasit hone ke baad zara bhi sambhavna nahi bachti ki woh insaan zinda wapas ghar laut paaye. Kyuki, lautne ke dauran samay hi itna guzar chuka hoga ki blood loss ke chalte aadmi apni jaan beech raste me hi gawa dega.

Parantu, Captain Feng, Divya aur baaki sabhi sadasya... Koi bhi ye nahi jaanta tha ki Renshu ke paas system tha. Woh koi maamooli vyakti nahi tha.

Renshu Divya aur Feng ko dekh halke se muskuraya aur bola.

Renshu : Mujhe aam insaano ki tarah mat samjho captain! Shaolin ka master hu mein aur Order ka Lord! Ye mamooli chot kuch bhi nahi.

Captain : …?

Divya : ...?

Idhar Bo apne Lord ki aagya ka paalan karte hue aage aaya aur Renshu ke ghaav ko saaf karte hue uske pait par chinese jadi-bootiyon se bani aushdhi ka lep laga kar patti baandhne laga. Ghaav dekh ke bechaare unn sabhi members ki haalat kharab ho rakhi thi. Kintu, Renshu ke chehre par zara bhi dard ke bhaav nahi jhalke.

Ek baar punah sabhi ke mann me unke Lord ke liye izzat aur badh gayi. Akhir kitne sehen-sheel vyakti the unke Lord. Renshu ki marham patti ho jaane ke baad, kuch derr sabhi ne wahi theherne ka faisla liya. Kuch neeche zameen par apne Lord ke ird gird baith gaye toh kuch ped ke tane se tik kar khade ho gaye. Kuch abhi bhi hathyaar liye chaukanne the toh kuch do-chaar ke samooh me apni-apni vartalaap me jut gaye.

Unhi me se Captain Feng ne apne chaaro orr nazre maarte hue ilaake ka jayza liya. Andhere ke chalte use zyada dur ka toh kuch nahi dikhayi diya par apne aas paas ka nazara wo bhali bhaanti dekh paa raha tha. Kayi saare hathyaar zameen par bikhre pade the. Kahi kahi zameen aisi thi jaise maano waha par koi bada visfot hua ho. Sookhe patte bhi ajeeb tareeqe se ast-vyast bikhre hue the. Yeh kisi ghamasan ladaayi ka sanket de raha tha.

Captain Feng : Yaha kuch hua tha. Hai na?

Uske sawaal par Renshu ek baar fir muskuraya. Captain Feng waqai captain kehlaane yogya tha.

Renshu (nods) : Hmm!

Captain Feng : Trap?

Renshu (nods) : Hmm!

Captain Feng (frowns) : Fir?

Renshu : Mujhe gher liya gaya tha. Ek prakar ka jaal tha jo mere liye bichhaya gaya tha. Mujhe maarne ke liye.

Bo (scowls) : Unki itni himmat??

Divya : A-Aur, aap? Aap uss trap se akele baahar nikal aaye?

Renshu : Mujhe nikalna hi tha. Ye mamooli cheezein mere patan ka kaaran nahi bann sakti.

Ming : Woh hamaare Lord hai, madam! Koi aam insaan nahi!

Divya (glances) : …

Captain Feng : Aap waqai theek toh ho na? Kyuki, woh chot-

Renshu : Ghabrao nahi! Meri jaan khatre me nahi hai. Ghaav gehra zaroor hai par mein ghar lautne me saksham hu. Haan, iss haalat me mein daud nahi sakta par chal zaroor sakta hu.

Bo : Ye aap kaisi baat kar rahe hai, Lord? Hamare rehte hue aap iss haalat me kaise chal sakte hai bhala? Hum sab kis liye hai? Hum aapka sahaara banenge.

Renshu : Nahi! Tum sab khud thake hue ho. Apni haalat dekho zara. Aur, wese bhi mujhe chalne me dikkat nahi hogi.

Bo : P-Par-

Renshu : ORDER!!!!

Uske thoda sakhti se kehte hi Bo ne apna sarr turant hi aagya maante hue jhuka liya.

Bo : Jaisa aap kahe, Lord!

Captain Feng (sighs) : Aap ko confident dekh mujhe thodi raahat mili. Par, shayad meri iss khabar se kahi aapka confidence gir na jaaye.

Renshu : Hmm???

Captain Feng (frowns) : Order ke 6 sadasya maare gaye.

Khabar sunte hi Renshu ka sarr neeche jhuk gaya aur apne bhaale par uski pakad mazboot ho gayi.

Captain Feng : Maine bahut koshish ki ise rokne ki magar... Magar, Legion ke log jaise thaan ke aaye the ki unhe jaan leni hi hai. Mein chaah ke bhi kuch kar na saka. M-Mujhe maaf karna-!

Renshu jaanta tha ki aisi ladayi me harr koi sahi salamat bach ke nikal aaye ye sambhav nahi tha. Mann hi mann woh pehle se hi iske liye taiyar tha. Parantu, fir bhi... apne aadmiyon ko khona nirasha janak hi tha. Use jaise fir kuch dhyaan aaya.

Renshu : Tumhari galti nahi-!!! Erica!!! Ye Erica ki zimmedari thi. Kaha hai woh? Erica???

Nazre daudate hue Renshu ne chaaro orr dekha par Erica ka koi naam-o-nishaan nahi tha. Captain Feng, Bo aur Ming teeno ek dusre ko asmanjas me dekhne lage. Koi kaise kahe ki unki laadli Erica unhe pehle hi rann-bhoomi me chorr kahi aur hi laapata ho chuki hai.

Bo : L-Lord-!!

Renshu : Huh?

Bo : Miss Erica humaare saath nahi hai.

Renshu (frowns) : Tumhare saath nahi hai matlab?

Bo : W-Wo-!! L-Lord woh-

Captain Feng : Miss Erica bina bataaye pehle hi kahi aur chali gayi.

Jab Renshu ne ye suna toh uski aankhein aashcharya ke maare fel gayi.

Renshu : Kya?

Captain Feng : Ji! Woh jaise hi hamare paas aayi thi toh unhone humse yahi kaha tha ki unhe bahut zaroori kaam hai aur unka waha pahuchna bahut zaroori hai. Uske baad wo kaha gayi hum me se kisi ko kuch nahi pata.

Renshu ne agle hi shan itni zorr se apna haath ped par maara ki ped ke tane ka kuch hissa ukhad ke neeche gir gaya. Waha maujood sabhi log darr ke maare ekdum shaant pad gaye.

Renshu (gusse me) : Eriiicaaaa!!!!! Erica!!!! Maine use samjhaya bhi tha ki Order ko lead karne ki zimmedari uske sarr hai. Aur, uske bawajood wo...! Tum me se kisi ne roka kyu nahi use?

Ming : Humne bahut koshish ki thi, Lord. Magar, woh hamari baatein sunane ko taiyaar hi nahi thi. Bahut hi chinta me aur jaldbaazi me lag rahi thi.

Renshu (frowns) : Maine samjhaya tha use ki abhi wo frontline missions ke liye taiyaar nahi hai. Tch!!!


[Renshu! Zara pucho ki woh kis disha me bhaagi thi.]

'Hmm!'

Renshu : Tumhe yaad hai wo kis disha me gayi thi?

Bo (nods) : Jaha se hum aaye the, Lord. Usi disha me wo wapas gayi thi.

Jawaab sunte hi Lloyd ki awaaz punah Renshu ke mann me goonji.


[Samajh gaya. Erica agar jaldbazi me hamare aadmiyon ko chorr ke bhaagi hai toh iska ek hi kaaran ho sakta hai, Renshu.]

'Veer-!?'

[Exactly! Blemish apply kiya hoga usne. Iska matlab wo wapas se lauti aur eastside ki orr gayi hogi jaha... Shit! Blemish se notification aana iska matlab Veer khatre me hoga. Aur, Erica wahi gayi hai.]

Ye gyaat hote hi Renshu ke badan me ek sihran daud gayi. Erica uska sab kuch thi. Agar, use kuch ho gaya toh-

'Nahi!'


[Agar, tum ghayal na hue hote toh hum isi waqt mine ke raaste ki orr badh sakte the.]

'Tsk-!!! Ye ghaav!'

Usne apni chot par haath ferr kuch derr pehle ki ghatna ko yaad kiya. Sab kuch uski mutthi me tha. Par, achanak se hi jaise uss anjaan system holder ne baazi palat di thi.


Kuch derr pehle...

Renshu jab unknown system holder ko giraane ke baad uski orr badha toh kahi se bhi wo anjaan naujavan koi bahut shaktishali vyakti prateet nahi ho raha tha.

Uski vyatha saaf batla rahi thi ki use kaafi ghaat pahuchi hai. Renshu uske samaksh aake bas chand qadam ki duri par khada hua aur bola.

Renshu : Maine pehle hi kaha tha ladke. Mujhse bhidna vyarth hai. Tum aaye toh apni marzi se the magar jaoge meri marzi se.

Lekin, woh anjaan system holder khamosh hi raha. Apni saanso ko durust karne me laga hua tha. Muh par kapda lipte hone ke kaaran Renshu ko uska chehra nazar nahi aaya. Apne bhaale ki nok ko uske gale ke saamne kar usne chetavni di.

Renshu : Ab jo mein sawal puchu, unke jawaab seedhe-seedhe ugal dena. Warna, ye bhaala tumhare sarr ko dhad se alag kar dega.

Kintu, wo naujavan ab bhi khamosh bana raha. Uski taraf se koi bhi pratikriya nahi hui.

Renshu (frowns) : Kisne bheja hai tumhe yaha?

Koi jawab nahi. Renshu ke maathe par silvatein aur gehri ho gayi.

Renshu : Tumhe sunayi nahi diya? Maine pucha ki kisne bheja hai tumhe yaha?

Magar, ladka toh jaise uski baato ko ek kaan se sunn dusre kaan se nikaalta jaa raha tha.

Renshu : Tum aise nahi maanoge...!

Gusse me aa ke Renshu ne apne bhaale ko haath me do baar ghumaya aur nishaana saadhate hue woh uss ladke ke kandhe me bhaala khosne hi waala tha jab-

"Hahahaha-!!!"

Woh ladka achanak hi dheere se hassne laga. Uske kandhe thahaako ke chalte upar neeche uchhalne lage.

'!!?'

Ye dekh Renshu wahi ruk gaya. Kya ye ladka pagal ho gaya tha? Iss haalat me bhi bhala woh kaise hass sakta tha?

Ladka dheere dheere apne haath upar kar khud ko nihattha dikhaate hue utha. Renshu ka nishaana ab bhi uske kandhe par jama hua tha.

Ladka : Mein haar gaya! I really surrender.

Akhir kaar, uske muh se kuch shabd nikle.

Renshu : Mujhe bakwas nahi sunani. Mere sawal ka jawab do. Tumhe yaha kisne bheja?

Ladka : Hmm! Agar, mein jawab de du toh kya tum mujhe yaha se jaane de doge?

Renshu : Woh depend karta hai ki tum sahi jawaab dete ho ya nahi!

Ladka : Hahahahahahaha!

Ek baar fir woh zorr zorr se hassne laga. Jaise maano uss par koi bhoot sawaar ho gaya ho.

Ladka : Agar, mein sahi jawab deta hu toh use tum galat thehra ke mujhe maar daaloge. Aur, agar galat deta hu toh bhi. Toh, fir mere jawab dene ka matlab hi kya? Hahahahaha!

Renshu (frowns) : Mein aisa nahi karunga. Tum jaise system holders ko jitna ho sake mein maarne se khud ko rokta hu.

Ladka : Tch! Tch! Tch! Nahi nahi nahi! Tumne yaha par galat baat keh di.

Renshu : !!!??

Ladka (grins) : TUM...! MUJHE MAAR HI NAHI SAKTE!

Khatra!!! Renshu ko jaise uske haav bhaav dekh ek bura andesha hua. Lloyd ki oonchi awaaz bhi uske mann me turant goonj gayi.


[Renshuuuu-!!! Dur hato-!!!]

Aankhein phaade Renshu ne na aav dekha na taav aur seedha apna bhaala uss ladke ke kandhe ki orr feka.

*Swoosh*

Magar, ladka jaise jaanta tha ki uske kandhe ki taraf bhaala aayega. Halka sa bagal me hote hue wo hamle se bacha aur bhaala seedhe ped me jaa ke dhans gaya.

*Thuck*

Usne agle hi shan apne kapdo me kahi se gol sa padarth nikaala aur ungliyon se use Renshu ke perro ki orr feka...! Aur, tabhi-

*Pufffff*

Halka dhua Renshu ke ird gird fel gaya.

'Smoke bomb!!?'


[Smoke bomb nahi. Uska chhota roop hai ye. Baahar niklo! Jaldi!!]

Renshu dhue me se baahar aane ke liye peeche ki orr ucchla. Magar, jaise hi usne chhalaang lagayi. Hawa me rehte hue use ek dhwani sunaayi di, jise sunn uska badan thanda pad gaya.

*Whish*



IMG-20240421-180404

Aankhein bhay ke maare fel gayi. Ye awaaz aisi thi jaise maano kisi patle se wire ko haatho me leke kheencha gaya ho.

Aur, Renshu ka anumaan ekdum sahi tha. Uss ladke ne-

Apne haath se adrishya samaan wires ko kheencha. Agle hi pal zameen me khusi hui ek blade jo unn wires se bandhi thi woh Renshu ki taraf peeche se tez raftar se lagne ko aayi.

Magar, tabhi-

*Ding*


[Rapid Reaction]

Uski skill activate hui aur usne turant apne ped me khuse bhaale ko chain se zorr se jhatka deke kheencha.

*Kha-ching*

Bhaala itni raftar se uski orr aaya ki hawa me hi Renshu ne khud ke shareer ko tilt kar uss se bacha liya. Aur, woh bhaala seedhe jaake-

*Clang*

Peeche se aa rahi uss blade se takraya aur dono hathyaar hawa me zorr se bhidant ki wajah se gol ghum neeche gir gaye.

'Akhir, usne ye kab-!???'

Renshu hakka bakka tha. Bhala ye wires se lipti blade uss ladke ne kab zameen me khos di?


[That time...!]

Lloyd ne jaise turant hi use yaad dilaya. Renshu ke mann me kuch derr pehle hui vardaat chal-chitra bann daud gayi. Jab usne Mayhem ke lethal attack se uss ladke par hamla kiya tha tab woh ladka hawa me udte hue ped se jaa bhida tha.

Aur, yahi wo waqt tha jab uss ladke ne hawa me hi girne se pehle woh blade neeche khos di thi.


[He was waiting for us. What a scum!]

Ye gyaat hote hi Renshu ne apne daant gusse me mees liye.

Kintu, asli khatra toh ab tha-

*Whoosh*



IMG-20240422-094449

Dhua halka sa chhata aur achanak hi woh ladka Renshu ke upar lapka. Uske haath me ek chaaku thi. Wire se bandhi blade ka woh hamla toh bas uska dhyaan bhatkaane ke liye tha. Asli vaar toh ye tha.

'Shit-!! A feint attack-!?'


[Renshhhuuuu-!!!]

Na hi uske paas bhaala tha aur na hi itna samay ki bhaale ko kheench liya jaaye. Rapid reaction ne activate hona chaha par jaise woh kisi kaaran-vash ho hi na paayi.

Aur, tabhi-

*Squelchhhhhh*

Hawa me khoon ke chheethe bikhar gaye. Ek dabi hui karaah Renshu ke muh se nikli. Aur, saath hi uss ladke ke hontho par kutil muskaan felti chali gayi. Chaaku Renshu ke pait ko cheerte hue andar ghus chuki thi.


[Renshu-!!!]

'Urgh-!!!'

Dard ko sehen karte hue usne ladke ko jakda par ladka jaise chaaku ko aur marodte hue uske pait se atadiyo ko baahar nikaalne ki firaq me tha.

Renshu ne fauran hi ek haath se uske haath ko roka aur dusre se usne ek zordaar hamla uske sarr par maarna chaaha. Magar, ladka chaaku ko uske pait me chhorte hue khud ko chhura kar peeche kood gaya.

Ladka : Khush-kismat ho tum jo mujhe pehle chot pahucha paaye. Warna, aaj tumhara ant yahi kar deta mein. Par...! Par, abhi ye possible nahi. Tum zaroor bach gaye. Lekin, tumhare dwara bheja gaya woh ladka ab tak junglee janvaro ka maans bann chuka hoga. Hahaha!

Renshu : H-Huh-!?

Ladka (grins) : Jaw Long ke paas Animal Kingdom hai, Li Renshu. Aur, black magic se ladi hui skills aur cards. Ab toh uss ladke ka maans noch-noch ke kha rahe honge janvar. Hahahaha-!!! Tarqeeb acchi lagayi thi tumne ek aur system holder ko bula ke use eastside me bhejne ki. Par-! Tum isme akele nahi the.

Renshu ne jaise hi Jaw Long ki skills aur cards ke baare me suna, uske badan me raungte khade ho gaye. Veer ke liye chinta uske andar samaayi.

Renshu (growls) : T-Tum-!! Kaun kaun hai iske peeche?

Ladka : Tum toh aise puch rahe ho jaise mein ye saare jawaab tumhe de dunga. Hahahaha! Fir milenge...! Li Renshu-! Of course... Agar, tum zinda rahe toh-! Goodbye!

Renshu : R-Ruko-!!! Urgh!!!

Magar, ladka waha se tezi me faraar ho gaya. Woh chaahta toh Renshu ko maar sakta tha lekin, use dur kahi se patto ke hilne ki awaaz pehle hi sunayi de chuki thi. Reinforcements apna raasta tay kar yaha aa rahe the. Majbooran use yaha se bhaagna hi pada.

Renshu apne pait me khusi chaaku ko jakde ped se lag ke neeche baith gaya. Sabse zaroori tha blood loss ko rokna. Usne chaaku ko nikaalte hue use feka. Aur, agle hi shan-

*Ding*


[Chi Perception]

Uski skills me se ek badi hi khubsurat aur upyog me aane waali skill. Aankhein band kar Renshu ne apni chot ko andhruni taur par mehsoos karna shuru kiya.

Chi ka arth hota tha urja. Chi perception use urja ko mehsoos karne ka nazariya uplabdh karwati thi. Woh apne pait ke andar hui haani ko apni urja ke zariye bareeki se jaanchne laga.

Usne ek gehri saans li...! Lloyd ne use chi perception bahut hi acche se sikhaya hua tha.

'Jaha dhyaan hota hai, waha urja hoti hai. Jaha urja hoti hai, waha uddeshya hota hai.'

Lloyd ke kahe gaye ye bol pehle use kadapi samajh nahi aate the. Magar, ab jaise woh isme maahir ho chuka tha.

Apne dhyaan ko usne apni chot par kendrit kiya. Uske mastishq se saari fizool baatein gayab ho chuki thi. Dimag me bas ek hi vichar ghoom raha tha. Aur, woh tha apni chot ko andhruni taur par mehsoos karna.

Jaha dhyaan hota hai, waha urja hoti hai. Chot par dhyaan lagaate hi use uss jagah apni urja mehsoos hone lagi. Woh urja ko apne mann ke hisaab se ek aakaar dene laga.

Jaha urja hoti hai, waha uddeshya hota hai. Apni urja ko mehsoos karte hi... Usne uss urja ko uske uddeshya me laga diya. Aur, uddeshya tha-

Khoon ko baahar behne se rokna. Aur, yahi thi ~ Chi perception. Jo na sirf aisi sthitiyo me balki aakraamak aur bachaav dono hi tareeqo ke liye bhi upyog ki jaa sakti thi.

Yahi sab hua tha inn guzre lamho me. Isi beeti vardaat ko yaad kar woh apni vichaaro se baahar aaya. Order ke sabhi log use chinta-janak bhaav liye ghoor rahe the.

Erica ke liye ab uski chinta atyadhik badh chuki thi. Khaas kar ye jaanane ke baad ki Jaw Long kin-kin prakaro ki shaktiyo ko apne paas rakhe hue tha.

Renshu : Captain! Hume jald se jald mine ke raaste ki orr badhna hoga.

Captain : M-Magar, aisi haalat me aap-?

Renshu : Samay bahut kam hai, captain! Meri beti kisi badi musibat me ho sakti hai. Mera waha pahuchna bahut zaroori hai.

Bo : Lord ke baare me chinta karne ki zaroorat nahi. Hum sab kis liye hai? Ming!! Lakdiyo ko ikhatta kar ek takhta taiyaar karwao. Hum Lord ko uss par bitha ke le jayenge.

Ming (nods) : Hmm!

Aur, Bo ke sujhaav par sabhi aadmi lakdiyo ko ikhatta kar ke ek takhte ko banaane me jut gaye.

Divya : Mera bhi ek sawaal hai.

Renshu : Hmm?

Divya (frowns) : Mera dost...! Veer kaha hai? Ye straight wala rasta Eastside ke raaste se kab milega? Agar, use kuch hua toh-

Renshu : Bas, thoda dur aur-! Hum mine ke kaafi nazdeek hai. Iske thoda baahar nikalte hi hum uss raaste par aa jayenge jaha se eastide judta hai. Aur, Veer sahi salamat hi hoga.

Divya badle me boli kuch nahi. Magar, uski bechaini uske chehre par saaf jhalak rahi thi. Toh wahi Renshu ne keh toh diya ki Veer sahi salamat hoga lekin, use khud andar hi andar nakaratmak vichaar khaaye jaa rahe the.

Renshu : Hamare log... Jinhone apni jaane gawayi. Woh sab kaha hai?

Bo (sarr jhukate hue) : Unhe wahi dafna diya humne, Lord. Hum unke shav ko saath leke nahi chal sakte the. Aur, unhe uss tarah waha chorr bhi nahi sakte the. Isliye, jo sabse sahi hume laga, humne wahi kiya.

Renshu (nods) : Tumne theek kiya. Aur, Legion ke logo ka kya jo maare gaye?

Bo : Unko bhi humne wahi dafna diya, Lord. Aap ne hi sikhaya tha. Jab tak hum zinda rehte hai tabhi tak ye dost dushman ki paribhasha hum par laagu hoti hai. Maut ke baad kya dushman aur kya dost. Sab ek samaan reh jaate hai. Isliye...!

Renshu (smiles) : Tumne kahi kuch galat nahi kiya. Mujhe tum sab par naaz hai.

Sabhi badle me muskuraye. Bhale hi kuch saathiyo ko unhone kho diya tha. Par, woh jazba aur woh ekta ab bhi unme kaayam thi. Aur, unn jaan gawaane waale logo ke balidaan ko woh yu hi vyarth nahi jaane dena chaahte the.

Bo : Mine hum hathya ke rahenge!

"Haaaaaaannn!!!!"

"Yeaaaahhhhhh!!!!"

"Order-!!!!"

"Zindabaaaaaaddd!!!!"

Renshu ne turant hi seeti bajaayi. Toh kahi se na jaane ek kabootar udti hui aasmaan se uske paas aake uske haath par baith gayi.

Renshu ne apne kapde me se ek chithhi nikaali aur use modte hue uske chhote chhote perr par baandh diya.

"Tumhe pata hai na kya karna hai?"

*Coo-hooo*

Woh jaise jawab me chehki. Aur, use apne haatho me lete hue Renshu ne use hawa me chorr diya. Woh pankh fadfadaate hue waha se ravana ho gayi.

Aur, isi tarah Renshu ko takhte par baitha ke woh sabhi fir mine ke raaste par chal diye.

***


Deep inside Eastside...

Jaha Renshu aur baaki sab Eastside ke raaste se judne ke liye nikal pade the wahi yaha idhar jangalo ki gehrayiyo me avishvaneeya drishya dekhne ko mil rahe the.

Pari ne Veer ke shareer par apna niyantran kar liya tha. Veer ke ird gird ki hawa bhaari ho chuki thi. Uske khatarnak aura ke chalte uske baal hawa me lehra rahe the aur jin teero ko fekte hue Jaw Long ne unn par insaano ki khopdi latkayi hui thi woh khopdiya bhi kit-kitate hue hawa me kampan maar rahi thi.

Sookhe patte kisi bheegi billi ki tarah thar-thar kaanp rahe the. Jaw Long khud do qadam peeche ko ho chuka tha. Toh wahi, Erica samet Ava dono ke muh hairat ke maare khule hue the.


[What- What is this?]

Lily ki awaaz Ava ke mann me goonj gayi. Magar, jab Lily ko khud nahi pata tha toh bhala Ava ke paas koi jawab kaise ho sakta tha. Yahi haal Genie aur Erica ka bhi tha. Woh bhauchakki si Veer ke iss naye vikral raudra roop ko dekh rahi thi.

Apne kaale jaadu ka upyog kar Jaw Long ne tamaam nakaratmak urjao se bhaint ki thi jinka aura kaala paaya jaata tha. Magar, usne aaj tak apne jeevan kaal me itna prachand black aura kisi ka bhi nahi dekha tha. Aura itna bheeshan tha ki Veer ke badan ke baahar tak wo lapte maar raha tha.

Aur, Jaw Long ke liye sabse asahejta waali baat thi Veer ki woh muskaan jo iss samay ajeeb tareeqe se uske hontho par feli hui thi.

Veer ne ek qadam apna aage badhaaya-

*Ba-dump*

Jaw Long ki dhadkane tez ho gayi.

Teer me latki hui khopdi ko Veer ne apne ek haath se baahar nikala aur aankhon ki putli waale chhed me apni ungli daal woh khopdi ko gol-gol ghumaane laga. Uske iss roop ko dekh Ava samet Erica ka badan kaanp utha.

Zorr se khopdi ko ghumaate hue usne woh kisi gulel ki tarah chorri jo seedhe Jaw Long ke sarr ki taraf sansanati hui aayi aur-

*Craaaassshhhhh*

Sahi samay par Jaw Long ne apne sarr ko baayi orr jhuka liya. Khopdi uske baalo ki lato se takrate hue jaa ke peeche ped se bhidi aur tukdo me toot ke bikhar gayi.

Insaan ki khopdi sabse mazboot haddiyo me se maani jaati hai. Kitna force lagta hoga ki khopdi ko tukdo me tod ke bikher diya jaaye?

Veer ki aankhein laal ho rakhi thi. Beowulf ON tha. Aur, uski agility, aur senses pehle se kayi guna badh chuke the.

Force = Mass x Acceleration

Veer ne uss khopdi ko itni zorr se feka tha ki uska acceleration hi itna tha jiske chalte uska force apne aap badh gaya. Nateeja? Uska tukdo me bikhar jaana.

Pichli baar woh Jaw Long se bhidte waqt Beowulf ka istemal kar hi nahi paaya tha kyuki Beowulf ki timing ka saara samay usne janvaro se bhaagne me laga diya tha. Magar, iss baar woh taiyaar tha.

Ava aur Erica ekdum stabdh thi. Unke hosh ude hue the. Aur, tabhi-

*Whooooooosshhhh*

Veer apni jagah se gaayab ho gaya-!!

Jaw Long : Tā hěn kuài (He's fast)

Dara hua vyakti... Hamesha apni maatra bhaasha me hi bolta hai. Bhale hi Jaw Long tribal bhaasha ki boli waala tha magar, janm toh uska china ki bhoomi me hi hua tha. Maatra bhaasha toh chinese hi thi.

Aur, iss waqt darr ke maare uska mastishq Mandarin Chinese bhaasha me hi vichaar karne par majboor ho gaya. Usne jaise hi Veer ki raftaar dekhi, uski haalat patli ho gayi. Use pata tak nahi chala ki Veer kab apni jagah se gaayab ho gaya.

Aur, akasmat hi-

*Whoosh*

Kisi glitch hoti hui image ki tarah Veer uske saamne prakat ho gaya. Bhay ke maare Jaw Long jaise hi peeche koodne ko hua-

'Shénme (What?)'

Veer ne apna perr itni kass ke uske perr ke upar rakha ki Jaw Long ka perr hi neeche zameen me dhans gaya. Veer jaise iss baar use kahi bhi bhaagne nahi dena chaahta tha.

Aur, agle hi shan-

Veer ka ek vaar seedhe Jaw Long ke gale ki orr aaya. Jaw Long ne jaise hi apna haath aage kar Veer ke vaar ko rokna chaaha-

Veer ke dusre haath ne uske haath ko maar peeche dhakel diya.

*Baaaammmm*

Aisa ek baar nahi, palak jhapakte hi harr baar hota gaya. Veer jaise jaan boojh ke Jaw Long se wahi hamle karwa raha tha jidhar woh unhe chaahta tha taaki woh unhe khud deflect kar sake.


[Th-This-!!!]

Lily ke honth thar-thara uthe.

'L-Lily-!!?'


[This is insane!!! Woh kaun si fighting style use kar raha hai? Woh jaan boojh ke aise hamle kar raha hai jis ke badle me Jaw Long wahi wahi vaar kar raha hai jaha Veer chaahta hai. It's like... It's like he's making Jaw Long to attack him for his own advantage.]

Veer ke moves ki speed itni zyaada thi ki woh Jaw Long ki capture karne ki capacity se baahar ho chuki thi. Aur, fir wahi hua jo hona tha.

*Thuck*

Ek vaar Jaw Long ke liver ke hisse me...! Uske binn aankho ke khaali maans waale eye socket dard ke maare fel gaye.

*Thuck*

Dusra vaar Jaw Long ke haath ko deflect karta hua uske fefdo ke upar. Laga maano ek shan ke liye uska dil hi rukk gaya ho.

*Thuck*

Teesra vaar uske gale ke bagal me. Dard aisa ki maano nass phatne ko aa jaaye.

*Thuck*

Aur, akhiri vaar seedhe uski chhaathi ke ekdum beecho-beech. Impact itna tagda ki Jaw Long ka bhari bharkam shareer hawa me udd gaya.

Uske shareer ke udte hi Veer ne wahi khusa ek bhaala upar hawa me feka aur tezz raftaar me woh Jaw Long ki taraf lapka...!

Dono aapas me moves exchange karne lage. Dono ke prahar aapas me bhid halki-halki shock waves paida kar rahe the jinke chalte fele patte udte hue bikharte jaa rahe the. Veer uss se ladte ladte use ped ke paas le jaane laga. Dono ek dusre ke haatho ko jakad bhayanak gusse me ek dusre ko ghoor rahe the. Aur, tabhi-

*Swoosh* *Swoosh* *Swoosh*

*Thuck*

"Aaaaarrrrrrrgghhhhh!!!!"

Jaw Long ki dard bhari cheenkh waha goonj gayi. Uska kandha ped se lage hue ek bhaale se khus chuka tha.

Ye wahi bhaala tha jo Veer ne kuch shan pehle upar hawa me feka tha. Jaw Long ki aura vision skill upgraded nahi thi. Woh non living things ko dekhne me asamarth tha.

Veer ne pehle hi bhaale ki trajectory ko calculate kar use hawa me fek diya tha. Aur, woh jaan boojh ke Jaw Long ko uss ped ke paas le jaata gaya. Kyuki... Bhaala yahi par girna tha. Aur, bhaala Jaw Long ko dikhna hi nahi tha.

Veer ne agle hi shan apni do ungliya uski binn aankhon waale khaali hisse me ghused di. Aur, punah-

"Aaaaarrrrrrrgghhhhh-!!!!!"

Ek khaufnak aur dard se bil-bilati cheenkh waha fel gayi. Ava aur Erica itna sehem gayi ki maano unke shareer se unki rooh hi nikal gayi. Aur, fir Veer ke bol Jaw Long ke kaano me pade. Jo asal me Veer ke nahi, Pari ke the.

"IF ONLY I HAD EVEN A TINY OUNCE OF MY POWER THAT I HAD BEFORE, I WOULD HAVE DESTROYED THIS INSIGNIFICANT, LITTLE PLANET OF YOURS IN A BLINK OF AN EYE, YOU LOWLY PIG...! YOU ALL ARE LIKE ANTS GROVELING IN THE DIRT WAITING ONLY TO BE CRUSHED UNDER THE FEET OF AN UNPARALLELED BEING... SUCH AS ME-!!!"

Aur, fauran hi Jaw Long ke system ko andesha ho gaya. Uski ghabrati hui awaaz uske mann me sunayi di.


[L-Long-!!! Bhaago! Bhaago yaha se warna maare jaoge. Ye ladka apne hosh me nahi hai. Iska system iske shareer ko control me kiye hue hai.]

Par, Jaw Long toh bechara dard se bilbila raha tha. Uski aankhon waale khaali hisse me Veer ki do ungliyaan ghusi hui thi. Veer ne apni ungliyon ko kisi machhli pakadne ke hook ki tarah maroda aur turant hi woh andar ke maans ko kheenchte hue baahar nikaalne laga.

"Haaaaarrrrrggghhhhhh-!!!!"

Erica itna ghabra gayi ki pichhle kiye gaye uske sarr par vaar ke chalte aur saamne manzar ko ghatate dekh woh bechari behosh hi ho gayi. Magar, Genie ne aenn waqt par uske behosh hone se theek pehle abhi abhi praapt hui 'Basic Seer Vision' activate kar di.

Jaw Long ke andhruni maans ko jaise Veer baahar kheench ke nikaalna chaah raha tha. Drishya itna bhayanak aur daravna tha ki aam insaan ise lagatar dekh hi nahi sakta tha. Agar, dekh le toh sakpaka ke reh jaaye.

Zorr laga ke Jaw Long ne apne kandhe ko bhaale ki qaid se mukt kiya aur Veer par hamla bolna chaaha par-

*Baaaaammmmmmm*

Ek laat uske nichle jabde par itni zorr se padi ki uska shareer hawa me kisi lakdi ki tarah gol gol ghoomte hue udd gaya. Usne hawa me hi santulan banana chaaha. Jaise hi ghoomne ke baad usne hawa me sthirta praapt ki-

Veer uske saamne tha!

'Huh!???'

Jaw Long ne bhay ke maare apne dono haath se cross banaate hue khud ko chhek liya. Lekin, Veer hawa me hi uske bagal se nikal gaya. Ye sab kuch bahut tezi me ho raha tha. 1 second tak Jaw Long ko kuch samajh nahi aaya ki Veer bina hamla kiye uske bagal se kyu nikal gaya. Kintu, agle hi pal-

*Baaaammmm* *Baaaaammmmmmm*

*Baaaaammmmmmm* *Baaaammmm*

*Baaaammmm* *Baaaaammmmmmm*

Uski chaathi 6 alag alag jagaho se pichak gayi.

*Blurgh*

Muh se khoon ke cheethe nikaalte hue woh neeche zameen par aa gira aur uth ke Veer ko bhaybheet hue dekha. Veer ne pehle hi uske badan par mukke barsa diye the. Gati itni tezz thi ki Jaw Long unhe dekh hi nahi paaya. Jo usne dekha woh toh bas hamle ke after effects the. Jagah jagah use itna dard ho raha tha ki ab ye dard uske liye ek baadha bann ke saamne aa raha tha.

Woh bhi akhir ek insaan hi tha. Na jaane kab se woh iss ladaayi me akela ladd raha tha. Itni chot pahuchne ke baad swabhavik tha ki kahi na kahi dard ab use zyada mehsoos hone laga tha.

Lekin, Veer toh aaj jaise poore aakramak roop me tha. Woh hawa ke jhonke ki tarah apni jagah se gayab hote hue uski orr aaya aur apni laat seedhe Jaw Long ke muh par par maarni chaahi.

Par, Jaw Long ne uski laat ko apne ek haath se pakad liya. Itni derr ke baad pehli baar Jaw Long ke chehre par ek muskaan aayi. Akhir kaar, usne Veer ko pakad hi liya.

Parantu, ye jaise uss bechare ka vaham tha. Kyuki-

*Ding*

[LIMBO]

Fir woh hua jise dekh khud Jaw Long ke raungte khade ho gaye. Veer apne perr ke jakde hone ke bawajood ulti disha me ghoom ke muda...!

Uska perr toh Jaw Long ke haatho me tha. Magar, shareer toh azaad tha. Apne bhaar ka istemal kar woh baayi orr poora ghoom gaya, jiske chalte-

*Crack* *Crack*

Uske ghutno se kuch kasht bhari awaazein aayi. Woh ghoom ke iss qadar aaya ki ab uski daayi laat padne ko taiyaar thi. Jaw Long hakka bakka reh gaya. Aur-

*Baaaaammmmmmm*

Kaam tamaam!!!

Nichle jabde par laat itni zorr se padi ki Jaw Long ka daant toh ukhda hi muh se khoon ki dhaar alag nikal gayi.

Uske girte hi Veer ne apni taang haath se pakdi aur-

*Crack* *Crack*

Apni haddiyo ko wapas se sahi sthaan par le aaya. Usne apne aap ko kasht pahuchaya tha. Ya yu kahe ki Pari uske shareer ke saath khel rahi thi.

Woh Jaw Long par fir aise lapki aur ghuso ki baarish kar uske thobde par itne hamle kiye ki lag raha tha woh uske sarr ko tarbooj ki tarah phod degi.

Idhar, Ava ne jab dekha ki Veer ka palda iss ladaayi me bhaari tha woh chenn ki raahat lete hue khud ki healing ke liye apne hosh kho baithi. Lily ne use kuch derr ke liye unconscious state me daal diya aur Healing Factor activate kar diya.

Magar, kehte hai na... Harr cheez jo shuru hoti hai woh khatam bhi hoti hai. Pari, jisne Veer ke badan par qabza kar rakha tha uska saath bas yahi tak tha.

"YOU MUST THANK ME, LATER KID-!!! DAMN IT!!! IT'S NOT ENOUGH!!! IF ONLY I HAD MORE-!!!!"

Aur, bolte bolte uski awaaz dheemi hoti chali gayi. Pari ki consciousness jaise hi gayi, Veer apne unconscious state se baahar aa gaya.

Hosh me aate hi usne paaya ki uska seena zorro se upar-neeche ho raha tha. Woh haaf raha tha. Aur, tabhi use bhayanak dard apne haath-perro me mehsoos hua.

'Ack-!!'

Pari uske shareer ka istemal kar max speed me jo bhaagi thi. Veer bhale hi Jaw Long se strength me peeche tha. Magar, uski agility iss waqt itni zyaada thi ki woh uska istemal kar apne vaar ki taaqat ko kayi guna badha paane me saksham tha.

Force = Mass x Acceleration

Yaha poora game Pari ne acceleration par khela tha. Aur, yahi kaaran tha ki kyu Veer ke haath aur perr atyadhik dukh rahe the. Indirectly, zaroorat se zyada strength ka istemal jo kar rahe the woh.

Veer ne jaise hi nazre utha ke saamne ladkhadate Jaw Long ko dekha toh uski aankhein phat ke chaar ho gayi.

Uske baal bikhre hue the. Khaali aankhon ke hisse se andar ka kuch maans latak raha tha jisme se khoon behta hua uske gaalo se hoke tapak raha tha. Uske haatho ki kuch ungliyaan vipreet disha me mudi hui thi. Aur, muh se bhi khoon beh raha tha.

'Wh-What happened!'

Veer ki kuch samajh na aaya. Aur, na hi Pari ne kuch jawab diya. Kyunki, woh pehle hi sleep mode me jaa chuki thi. Ab jo kuch tha, Veer ke haatho me hi tha.

Usne dekha ki Ava aur Erica dono hi aankhein band kar laiti hui thi. Dono jeevit thi. Shayad, heal hone ki koshish kar rahi thi. Usne ek raahat ki saans li.

'K-Kya ye... Ye maine kiya?'

Use vishvas nahi ho raha tha ki jis Jaw Long ne unn teen system holders ki khatiya khadi kar ke rakhi hui thi uski ye haalat bhi ho sakti thi.

'Akhir... Hua kya? Fuckkkk! Mujhe kuch yaad nahi aa raha.'

Usne dekha ki Jaw Long mushqil se apna santulan banaate hue bhaag raha tha. Use abhi bhi yahi lag raha tha ki Veer ke shareer ka niyantran uska system kar raha tha.

'Woh mujhse bhaag raha hai-!? Shit!!! I need to catch up.'

Veer utha aur jodo me dard hone ke bawajood woh apni poori koshish kar bhaaga. Jaw Long bhaagta hua mine ke raaste me pravesh karne laga. Aur, mine par woh pahuchne hi waala tha.

China ke liye Yunnan province ki sabse zaroori mines me se ek...! Aur, sabse badi mine, jisme radioactive elements bhi paaye jaate the.



4-FB8271-E-A013-11-EE-822-A-12-A5717989-BF

Jaw Long andha-dhundh bhaagte hue mine par pahucha...! Jangal se baahar aate hi vishalkaay mine ki sanrachna chaand ki raushni me Veer ki aankhon ke saamne aayi. Ek aadmi bhi yaha maujood nahi tha. Koi bhi pehra nahi de raha tha. Mine me andar jaane ke liye jagah jagah se kayi raaste the.

Parantu, main opening hi thi jaha se radioactive elements ki khoj ke liye jaaya jaa sakta tha. Baaki, openings jo thi woh non-radioactive elements ke liye banayi gayi thi.

Veer ne dekha ki Jaw Long ek non-radioactive elements ki opening me jaa ke ghus chuka tha.

'Tch-!! This motherfucker!!!'

Bina jhijke woh khud uss entrance me ghus gaya. Toh wahi-

"Badhte raho! Badhte raho!!!"

"Hum bas thodi hi dur hai ab!!!"

Renshu aur Order ke samast members bhi mine ke behad nazdeek aa chuke the.

Jaw Long aise bhaag raha tha jaise maano ek chuha billi ko dekh bhaagta hai. Uski haalat bahut buri ho chuki thi. Woh yahi samajh raha tha ki Veer abhi bhi Pari ke control me tha. Aur, Veer iska poora fayda utha raha tha.

Jaise hi woh andar ghus thodi gehrayi tak gaye. Jaw Long achanak hi ek patli si surang me ghus gaya jo ekdum neeche ki orr jaa rahi thi. Veer ne apna qadam aage badhaya par use hawa me hi rok liya.

'K-Kuch gadbad lag rahi hai. Why is he luring me inside that?'

Veer nahi jaanta tha ki jaha Jaw Long uska andar intezar kar ke use girana chaah raha tha woh iss mine ka bottle neck trap tha. Ek aisa gaddha jaha par insaan agar gira toh uski maut nishchit thi. Kyuki, woh gehra hi itna tha aur upar se Jaw Long agar uske upar koi patthar gira de toh aisi haalat me bachna namumkin tha.

Veer ne apne qadam peeche kar liye. Aur, tabhi-

'Huh-!!?'

Usne kuch check kiya. Jankari praapt hote hi usne apne agal bagal dekha. Ek lohe ki seedhi lagi hui thi jo upar ek hole se baahar nikalne ke liye thi. Ek emergency exit.

Veer turant ke turant uss par chadha aur baahar nikal usne andar jhaakte hue neeche khade Jaw Long ko dekha. Dono ne ek dusre ko dekha...!

Ek taraf jaha Jaw Long Veer ke baahar nikal jaane par asahaj mehsoos karne laga toh wahi Veer ke hontho par ek vijayi muskaan fel gayi.

"This is your end... Jaw Long!"

Usne apni jeb se kuch nikaalte hue seedhe Jaw Long ki orr haule se feka aur tez raftar ke saath woh peeche ko bhaaga. Agle hi pal-

*Booooooooommmmmm*


b16a53b26834f0420689bfb72cf5f4b5

Ek tez dhamake ne waha janm liya. Dharti kaanp uthi aur halke bhookamp ke chalte Renshu aur uske aadmi shor sunte hi chinta me aa gaye.

"L-Lord!?"

"Ye kya tha??"

"Ruko nahi! Ruko nahi! Jaldi chalo!!!!"

Veer ki body hawa me aag ki lapto se baahar aate hue dur jaa giri.

*Blurgh*

Muh se dherr saara khoon nikla. Internal bleeding kaafi ho chuki thi. Use jald se jald araam ki zaroorat thi. Aur, ek doctor ki bhi-!

Tabhi-

*Ding*

['Mission : Be the saviour.' has been completed.]

[You have been rewarded 15,000 Points.]

*Ding*

[You have gained the card 'Berserk.']

*Ding*

[You have gained the scroll 'Bird Tamer.']

*Ding*

[You have gained the skill 'Aura Vision.']

[You have gained the skill 'Radio Protective.']

Notifications ki jaise jhadi lag gayi uske mann me. Jaw Long marr chuka tha. Par, sawaal tha kaise?

Aur, jawaab tha ~

Methane!!!

Mine me maujood methane gas kaafi bhaari maatra me maujood thi. Ek jwalansheel gas jiski na hi koi gandh hoti thi aur na hi koi rang. Jaw Long ko na hi methane ki koi gandh aayi aur na hi use aura vision me kuch nazar aaya. Gas bhi akhir- non living things me hi aati thi.

Kya hoga agar aisi sakri jwalansheel gas se bhari mine me ek jalta hua lighter fek diya jaaye?

Bhayanak visfot!!!

Jaw Long ki apni hi skill uske patan ka kaaran bann gayi. Use Veer ka feka gaya lighter dikha hi nahi. Veer ke mann me tamaam notifications pop hote jaa rahe the.

Kintu, ye nahi tha jinke liye woh utsuk tha. Use toh bas uss notification ko sunana tha.

*Ding*

[You have been rewarded with a new 'Slot'.]

Ye sunte hi Veer ki mutthi dridhta me kass gayi. Yahi woh cheez thi jo besh-keemti thi. Unn 15000 points se bhi zyada keemti.

Slot!!!

Jo card ko equip karwata tha. Ek slot me Veer card jab chaahe switch kar sakta tha. Par... Kya hoga jab slot hi do ho jaaye? Woh ab ek nahi... Do cards ko ek saath equip kar sakta tha. Dono me kisi bhi card ko jab chaahe shuffle kar unhe equip kar sakta tha. Maatra chhoti si ye cheez kitni taqatvar thi iss baat ka andaza Veer ko pehle hi mission ke rewards dekh ke pata lag gaya tha.

Woh abhi mann hi mann iss khushi se baahar aaya hi tha ki-

*Ding*

[The system has been upgraded to Level 10.]

*Ding*

[The system's internal feature 'Perk hunt' is available now.]

Naye feature ke baare me sunn Veer jigyaasa liye uske baare me dekhna chaahta tha par agle hi shan ek jaani pehchani aur use bhaavuk kar dene waali awaaz uske mann me goonj gayi.

[Maaaasttteerrr-!!!!!]

'Huh-!!??'

[Master-!!!]

'P-Pari???'

Nahi! Ye kaise ho sakta tha. Ye awaaz woh bhali bhaanti pehchanta tha. Harr Pari ki personality ki awaazo me antar hota tha. Aur, ye awaaz-

Usi Pari ki thi jo Crimson ki ladayi ke waqt uske saath thi. Jisne uske dil ko ruk use Crimson aur Ava ke shadiyantra se bahar nikaala tha. Jo atyadhik smart aur saath hi emotional thi. Jise usne itna miss kiya tha.

'P-Pari-! Tum? Kya waqai tum wahi ho?'

[You idiotic stupid bastard, Maaastteerr!!!]

'Huh???'

[Kyuuuuu??? Kyu kiya aapne aisa??]

'What?'

[Why did you give your points to her??]

'Huh? M-Mein-!!!'

[You idiot, Master!!! There was no need to give your points. I missed you so much, aapko pata bhi hai? Mujhe laga tha aap se acche se dobaara milungi. It will be our happy reunion. But no... Here you are in this mess.]

'Agar, mein nahi karta toh mein Ava aur Erica ko kaise bacha paata, Pari.'

[I was so scared when you lost your consciousness. Shit!!! That bitch-!!!! Tsk!!!]

'Huh?'

[Listen to me, Master. Ahinda se kabhi bhi kitni bhi dire situation kyu na ho. Aap kabhi bhi points ko iss tarah mujhe ya meri kisi bhi personality ko nahi denge. Okay?]

'Umm-!'

[Okay? Or not? Boliye!!!]

'H-Haan! Alright!'

[Pakka na?]

'Yeah!'

[Promise me!]

'What?'

[I said, promise me ki aap kabhi bhi iss tarah apne points system me invest nahi karenge.]

'Alright! I promise.'

Jab Veer ne vachan diya tab kahi jaa ke Pari ne ek raahat ki saans li.

'Lekin, bhala kyu?'

[Because... Points are not just points Master. I mean aapke liye woh sirf points ho sakte hai. Par, hamare liye they are like... Something greater than that...]

'Aur, tum mujhe ye nahi batane waali ki unki aur kya ahamiyat hai. Hai na?'

[It's not that I don't want to tell you. It's just that I'm unable to tell you right now. I cannot!]

'Ohh?'

[Kyuki, ye bol ke nahi bataya jaa sakta master. Aur, jo tareeqa hai uske liye abhi aap taiyaar nahi.]

'I see!'

[Par, woh sab chorriye. Look at you! Jagah jagah ghaav hai. I can feel it. Aap khade kaise ho iss waqt? It's so painful-!!!]

'I have to... Pari! Aur-'

Uski baatein beech me hi reh gayi jab-

*Keaaaarrrrrr*

Ek baaj hawa me udta hua aaya. Veer chaukanna ho gaya. Ye wahi baaj tha. Magar, jaise hi woh nazdeek aaya.

'???'

Woh Veer ke kandhe par aake apne panje jamaate hue baith gaya. Aur, taktaki laga ke use dekhne laga.

'Ohh-!!'

*Keaaaarrrrrr*

Uski teevra awaaz Veer ke kaano me padi.

"Tum Sheba ho!! Hai na?"

Veer ne uske gale par ungli halke haath se feri toh baaj ne apna gala upar kar diya. Jaise maano woh chaah raha tha ki use aur sehlaya jaaye.

"Hahaha! Maine kabhi itne paas se kisi baaj ko nahi dekha. Does that mean tum ab Jaw Long ko nahi balki, mujhe apna master maante ho?"

*Keaaaarrrrrr*

Baaj ne jaise Veer ki baaton ko samajh awaaz nikaali.

"Huh? He can understand me? Pari!"

[Bird Tamer scroll ke tehet ise apna paaltu banaya gaya hoga, Master. Choonki ab Jaw Long nahi hai aur Bird Tamer aapke paas hai. Zaahir hai ki woh ab aapko apna master samjhega. It's cute by the way... But deadly too.]

'Yeah-! Well, mujhe lagta hai ki-'

Veer ke bol ek baar fir adhure hi reh gaye kyuki ek naya notification uske mann me goonj gaya.

*Ding*

[Past illustration has been invoked.]

[Do you want to see 'Jaw Long's' past?]

Veer ne jawaab me kuch na kaha. Woh Sheba ko hawa me chorr apne ladkhadate shareer ko ghaseetate hue wahi paas me bane ek lakdi ke cabin me le jaane laga. Ye cabin ek chhote ghar ke barabar tha aur pehle government ka hua karta tha. Par, lag raha tha jaise mine par qabza karne ke baad yaha ke workers ko tribal logo ke dwara bhaga diya gaya tha.

Woh andar daakhil hua. Andar ekdum ghapp andhera tha. Filhal aur kisi ki nazro se bachne ke liye ye kaafi tha. Use shaant jagah chahiye thi Past Illustration dekhne ke liye. Iss se kayi saare saboot uske haath lag sakte the.

Aur, Veer notification ke sawaal par haami bhar Past Illustration ke ateet ke panno me doob gaya.

*Caw* *Caw*

Hawa me udte kauwe shor machaate hue jangal ke upar se nikle. Jangal ke gehre hisse me ek lakdi se bane ghar me Jaw Long apni gaddi par baitha hua tha.

Aur, uske saamne ek sundar si stree baithi hui thi jiska chehre uske sarr par maujood kaali hat se dhaka hua tha.

Jaw Long ne ek lakdi ke glass me sharaab daali aur use peete hue bola.

Jaw Long : Kaho! Kya baat karni hai?

Lady (smiles) : I have a deal for you. Ek simple deal.

Jaw Long : Hmm?

Lady : Mein tumhe wo pradan karwa sakti hu jiski tumhe abhi talaash hai.

Jaw Long : Mudde pe aao. Warna yahi kaat di jaogi. Farq nahi padta ki tum system holder ho. Mere ilaake me parinda bhi meri marzi se udaan bharta hai.

Lady (smiles) : I know everything! Tum Order par dhaava bol ke use apne under karna chaahte ho. Right?

Jaw Long (frowns) : ...

Lady : Lekin, ye toh sab ko pata hoga. Hai na? Toh ek aur cheez puchti hu. Tumhe iss waqt dherr saare insaano ki zaroorat hai. Hai na?

Iss baar Jaw Long ki aankhein uss aurat ke bolo par chaudi ho gayi.

Lady : Insaan jinki bali chadhaayi jaa sake. Jinhe kaale jaadu me upyog kar khud ko taqatvar banaya jaa sake.

Jaw Long : ...

Lady (smiles) : Ek yahi kaaran hai jo tum government ko andar ghusne aur talashi karne nahi dete. Hai na?

Jaw Long : ???

Lady (smiles) : Tumhare iss ghar ke neeche unn insaano ke kankaal jo chhipe hue hai jinhe tumne ab tak maara hua hai.

Ye sunte hi Jaw Long uss aurat ke gale ki orr lapka toh woh peeche uchakte hue uske prahar se bach nikli.

Lady (smiles) : Mein tumhari hi side hu. Mujh se dushmani tumhe bhaari pad sakti hai. Mein toh tumhare liye prastaav leke aayi hu.

Jaw Long : Bolna hai toh seedhe tareeke se bolo. Warna dafa ho jao.

Lady : Mein tumhe insaan provide kar sakti hu.

Jaw Long : Huh?

Lady : Insaan jinhe tum asaani se maar sakte ho aur koi unke baare me kuch puchega bhi nahi.

Jaw Long : Aur, badle me?

Lady (smiles) : Badle me mein chahti hu ki Legion Yunnan ki mine par qabza kare.

Jaw Long : Huh? Aur, uss se tumhe kya?

Lady (smiles) : Mujhe bas kuch chahiye jo mine me hai. Baaki, uske baad...! Poori ki poori mine tumhari.

Jaw Long : ...

Lady : Soch lo! Na sirf tum Order ko jald se jald apne haatho me le loge balki mine bhi tumhari apni ho chuki hogi.

Jaw Long : Mine me aisa kya hai jo tumhe chahiye?

Lady : Kuch hai. Kuch radioactive elements jo asaani se nahi mil sakte.

Jaw Long : Aur, unka kya karogi tum?

Lady (smiles) : Mein unka kuch bhi karu, uss se tumhe kya? Haan, par tumhare khilaaf kuch bhi nahi karungi. I can guarantee you.

Jaw Long (frowns) : Meri skills ke baare me tumhe kaise pata laga?

Lady (smiles) : Meri nazre harr uss zaroorat mand par tiki rehti hai jise meri madad ki talash hoti hai. Kyuki, badle me woh hi... meri madad ke kaam aate hai.

Jaw Long kuch derr sochta raha. Aur, fir haami bharte hue bola.

Jaw Long : Theek hai! Mein taiyaar hu. Par, zara bhi chhal karne ki koshish ki, toh chhalni kar diya jayega.

Lady (smiles) : Never! Never!

Woh lady apni jagah se uthi aur jaane lagi par tabhi wapas mudi aur-

Lady : Ek baat aur-

Kehte hue usne achanak hi apni jeb se ek pocket watch nikaali aur use pendulum ki tarah latka ke daaye baaye karte hue boli,

Lady : Koi hoga... Jo ye dekhega...! So, just to be safe... I must- *smiles*

Uski pocket watch achanak hi Veer ka dhyaan kheenchne lagi.

[Shitttt!!! Masterrrrr-!!! Turn it off!! Baahar aaiye!!!]

Pari ki ghabrahat bhari awaaz ne jaise Veer ko turant hi Past Illustration se baahar nikalne par majboor kar diya. Uski saansein tezz ho rakhi thi.

*huff* *huff*

'What was that-!??'

[She... She's dangerous!!! Woh-]

Parantu, Pari ko apne bol wahi thaamne pade jab Veer ke peeche se ek madhur awaaz uske kaano me padi.

"Ohh? I didn't think you would break free from my casting."

Ye awaaz-!!! Veer ke badan me ruye khade ho gaye. Uske maathe par chinta ki lakeere chhaa gayi. Aur tabhi,

*Click* *Clack*

*Click* *Clack*

Kisi ke jooto ki chalne ki awaaz use apne peeche se aayi. Nahi! Ye joote nahi the. Ye high heels ki awaaz thi. Veer ne apni baayi orr se mud sarr ghumaate hue peeche ko apni nazre daudaayi.

Andhere me se ek aakriti chalte hue aa rahi thi. Aakriti kisi stree ki lag rahi thi. Aur, jaise jaise woh qareeb aa rahi thi uski visheshtaaye aur bhi spasht hoti jaa rahi thi.

Chalne ki woh adaa, wo nazakat, uske baare me kaafi kuch bayaa kar rahi thi. Nazdeek aate hue dheere dheere ventilation se aati roshni uske chehre par bhi padti jaa rahi thi.

Uska ek haath bagal se rakhi table par tha jisme dhool ki parat jami hui thi. Jaise jaise wo aage badh rahi thi, uske saath saath uski ungli table par komalta ke saath fisalte hue aa rahi thi.

Aur jyo hi woh ekdum saamne aayi, ungli me jami dhool ko fookte hue roshni me uska chehra Veer ki nazro me aaya. Parantu, woh kaali hat se aadha dhaka hua tha. Keval uske honth hi dikhayi pad rahe the.



Noir-Rohan-Dalvi

Veer ne jaise hi use dekha, uske raungte khade ho gaye. Ye wahi thi-!!! Jisko past Illustration me abhi usne dekha tha.

'Check!'

Usne ek pal bhi nahi gawaya uss stree ko check karne me. Aur-

*Ding*

[No information available.]

Jaisa usne socha tha bilkul wesa hi nikla. Ye wahi system owner thi! Veer ne inn kuch palo me hi sab kuch bhaanp lia.

Veer : Y-You-!!!?

Woh ajnabi stree muskurayi. Uski nigaahein abhi neeche hi tiki hui thi. Veer ke sawaal par usne apna sarr upar kiya aur uski palke haule-haule badi hi nazakat ke saath uthi aur nazre Veer se jaa ke tiki. Hontho par muskaan aur bhi adhik fel gayi. Woh apne daaye kaan ke paas baalo ki latt ki orr haath leke gayi aur unhe peeche ki.

Veer sachet tha. Saamne kaisa bhi saundarya kyu na ho, woh laparwahi nahi barat sakta tha. Harr surprise attack ke liye woh pehle hi khud ko prepare kar chuka tha.

Woh stree Veer ko neeche se upar tak ek antim baar dekhi aur fir boli,

"You really are such a surprise, Veer. Fufu~"

Veer (frowns) : State your business!

Lady (nods) : Bilkul! Jaisa ki tum dekh hi chuke ho. I’m one of the system owners. And, don't worry please! I'm not here to hurt you.

Veer : ???

Lady : By the way...! Let me introduce myself first. I'm Rebecca Elsher!

Veer : Rebecca?

Rebecca : Don't worry! Ye asli naam hai. I don't like to fake things like your cute lover. Fufu~

Veer ki bauhe kass uthi. Rebecca ka ishaara Ava ki taraf tha. Iska matlab woh jaanti thi ki Ava ne Nat naam rakh ke usko apne jaal me fasaaya tha? Bhala aur kya kya jaanti thi ye Rebecca?

Rebecca ke muh se naam nikalte hi idhar Pari ne uske naam ko poore Google par search kar liya lekin fir bhi kahi pe bhi uska naam nahi mila. Internet search par same naam ki alag Rebecca nazar aa rahi thi. Kintu, Rebecca Elsher nahi.

Veer bahar se toh khud ko sakht dikha raha tha magar andar hi andar woh chintit tha. Ghabrahat bhi thi. Woh kisi bhi waqt behosh hoke gir sakta tha. Thakaan aur dard itna zyada tha ki woh abhi keval apni dridhta ke chalte khada hua tha. Aur, aisi dasha me iss aurat se ladna matlab apne hi perr par kulhadi maarne jaisa tha. Ye aurat zaroorat se zyada hi uske baare me jaanti thi.

Veer (frowns) : So... You were behind all of this, huh?

Rebecca : Hmm? Nahi! Tum bina thos saboot pesh kiye ye sab kaise keh sakte ho, Veer?

Veer : I saw it!!!

Rebecca : Oh!? Isliye, toh mein yaha par hu.

Veer : Huh???

Ek jhatke me Rebecca ne apni pocket watch nikaali aur use pendulum ki tarah daaye baaye ghumaate hue woh Veer ko dekhi. Uske haav bhaav achanak hi badal gaye.



istockphoto-926714978-612x612

Rebecca : Now...! You will have to forget every-

Par, uske bol adhure reh gaye kyuki, Veer ek jhatke me uski orr lapka. Aur, ye jaldbazi me uski sabse badi bhool thi.

*Baaaaammmmmmm*

Ek titanium se bana hua cane uski chaathi par zorr se laga jo uske poore dhaanche ko hila ke rakh diya. Woh seedha hawa me udta hua dur jaa ke deewar se jaa bhida.

"Hum pahuch gaye!!! Hum pahuch gaye!!!"

Baahar se achanak aate shor ne Rebecca ko chaukanna kar diya.

"Tsk! You are very lucky, my dear!"

*Craaaassshhhhh*

Woh wahi lagi kaanch ki khidki ko todte hue waha se kood ke bhaagi.

"W-Wait-!!!!"

[Maaasterrrr-!!!]

Veer apna haath felaate hue uthne ki koshish karta raha magar, uska shareer pehle hi bahut load jhel chuka tha. Aur, ye jaise antim vaar tha. Kyuki, agle hi shan woh behosh ho gaya.

[Maaasttterrr-!!!!]

Mine ke ek hisse me bheeshan aag lag chuki thi. Methane gas poori tarah se jalti jaa rahi thi. Aur, wo tab tak jalne waali thi jab tak ki andar maujood saara oxygen samapt nahi ho jaata.

Renshu aur baaki sabhi ne jaise hi saamne ka manzar dekha toh unke perro tale zameen khisak gayi.

'Y-Ye kya???'

Renshu : Aag ko bujhaane ki koshish karo aur kar sakte ho toh-!!! Ming!!! Erica ko dhundhne ke liye kuch log leke jao. Bo-!!! Cabin check karo.

Usne ek ke baad ek aadesh diye aur tabhi-

*Chakk-chackk-chak-chak chak-a-chak-akk-chk-chk-chk*

Upar hawa me ek copter zameen se utha. Renshu ne dur se uske darwaaze par dekha toh uska reaction bhi wahi toh jo Veer ka tha.

Rebecca helicopter ke darwaaze se Renshu ko halki muskaan ke saath ghoor rahi thi. Uska aadha chehra uski hat se dhaka hua tha jo usne ek haath se thaam rakhi thi.

Toh wahi, uska dusra haath uske kandhe par tiki kisi stree ko thaame hue tha. Aur, jaisi hi uss stree par Renshu ko nazre padi-

Ek aur jhatka use laga. Woh Divya thi!!! Jo behoshi ki haalat me Rebecca ke kandho par ladi hui thi.

'Shit-!!!'

Aur, helicopter chalaane waala koi aur nahi-!!! Wahi unknown system holder tha.

"Until next time... Li Renshu-!!!"

Uske bol waha goonj gaye. Aur, helicopter waha se udaan bharta hua nikal gaya.

'Damn it!!!'

Renshu : Captain? Miss Divya ke liye jinhe tainaat kiya tha woh kaha hai?

Captain Feng : Woh hamare peeche hi toh the na? Woh- huh!!!?

Feng ne jab dekha toh paaya ki captain 3 dur dur tak kahi nazar nahi aa raha tha. Na hi Divya, aur na hi Divya ke sang aaye Clark aur uska security guard.

Captain Feng : Shit-!!! Kaha gaye woh sab?

Renshu : Pehle Erica ko dhundho!! Jaldi!!!

Captain Feng : J-Ji!!!

Aur, kuch hi palo me Bo apne kandho par Veer ko leke haazir tha. Toh wahi Ava Erica ko apni peeth par laad ke Renshu ke samaksh thi.

Renshu : Ericcaaa--!!!!

Renshu ne uthna chaaha magar dard ke chalte ek karaah uske muh se nikal gayi.

Ava : Woh rest kar rahi hai. Don't worry! She's fine!!!

Renshu : Aur, Jaw Long?

Ava : He's dead!

Renshu ko apne kaano par yakeen nahi hua. Woh jaanta tha ki Jaw Long kin shaktiyo ka maalik tha. Aise me uski hi territory me ghus ke use maar dena, bahut badi baat thi.

Ava : Veer killed him.

Renshu : Huh??

Usne Veer ko dekha jo behosh hue Bo ki peeth par lada hua tha.

'Veer ne Jaw Long ko maar diya-!?'


[He's very powerful. I must say. Kuch bhi ho jaaye, iss ladke ko apne paas se mat jaane dena.]

Renshu apne khayalo se baahar aaya aur sabhi ko lead karte hue le jaane laga. Mine me lagi aag sirf ek hi hisse me thi aur woh jald hi apne aap hi bujh jaane waali thi. Beshaq, thoda bahut nuksaan zaroor pahucha tha magar utna nahi ki elements ko haani pahuch sake.

Filhal, yaha se nikalna zyaada zaroori tha. Unhe yaha se wapas lautne me lagbhag aadhe din se bhi zyada samay lag gaya.

Jaise hi Renshu apne ghar ke mukhya hall me pravesh kiya. Andhere me chamakti do hari aankhein use dassne ki nigaah se ghoor rahi thi.

Renshu : You're here!!!

"Tumne itni guhaar laga ke bulaaya tha. Mujhe aana hi tha."

Andhere se nikalte hue woh baahar aayi. Ye aur koi nahi ~ Garofano hi thi.

Renshu ne jo chithhi bheji thi woh Garofano ke liye hi thi. Jald se jald woh yaha par aa gayi.

Ava ne jab Garofano ko dekha toh woh aashcharya me reh gayi. Ava Garofano ko saamne se pehli baar dekh rahi thi. Woh China tab hi aayi thi jab Garofano ka matter samapt ho chuka tha. Isliye, Veer aur Garofano ke beech ki chemistry ko woh dekh na paayi.

Garofano ne aage badh jaise hi Bo ki peeth se Veer ko apne dono haatho me uthaaya toh Ava ki aankhein hairaangi me fel gayi.

Andar se dil kachot utha. Kaun thi ye ladki? Veer ka iske saath kya rishta tha? Aur, iss tarah se kyu uthayi hui thi woh use?

Ava (panics) : V-Veer ko-

Renshu : It's okay!!!

Ava ne kuch kehna chaaha lekin, Renshu ne haath uthaate hue use aashvashan deke shaant kar diya. Majbooran use chup hona pada.

Garofano ne ek teekhi nazar se Ava ko dekha jaise maano udhar hi use daboch ke dass legi. Kintu, bina kuch kahe woh Veer ko andar ki orr le gayi.

Le jaate hue uski bauhe Veer ki dasha dekh sikudi hui thi.

'Look at you now! Maine tumse kaha tha na Veer. Renshu tumhe Jaw Long se ladne bhejega. Mat jaana...! Fir bhi tumne meri baat nahi maani.'

Veer ko ahista se bed par litaate hue Garofano ne uske gaal ko pyaar se sehlaaya. Aur, usne kamre ko andar se band kar liya.

***

Kuch derr baad...

Erica ki palke jhapki. Aankhein malte hue woh uthi. Usne dekha ki ye toh uska hi kamra tha.

'Mein ghar pe-!?'


[Yes! We won.]

'Uhh!? Kya hua tha?'

[Mujhe kaise pata hoga? I couldn't see anything. Apne dad se pucho.]

'Right-!!'

Woh uthate hue aage badhi. Hall me hi use khusur pusur ki awaazein aa rahi thi. Dead Silence aur Chameleon ko activate kar woh dabe paav hall me darwaze ke paas pahuchi toh use andar ki baatein sunayi di-

Garofano : Maine tumse kaha tha na ki Veer ko mushqil me nahi daalna.

Renshu : Hmph! Ye baat tumhaare muh se acchi nahi lagti. Tumhari wajah se hi Veer uss faaltu case me fasa tha.

Garofano : What? Faaltu case? Tumhe pata bhi hai woh mere liye kitna important tha? Mujhe ye saari formalities karne me itna samay lag gaya ki mein pichli 2 raato se theek se soyi bhi nahi hu. Aur, Veer...! Uski haalat dekhi hai tumne? Kya soch ke use eastside akela bheja tha tumne?

Renshu (sighs) : Mujhse waqai iss maamle me galti hui hai.

Garofano : Huh?

Renshu (frowns) : Unki taraf se do system holders aur the-!!!

Garofano (in shock) : Do???

Renshu (nods) : Haan! Ek anjaan naujavan tha jo mujhse bhida tha. Aur, ek koi aurat thi. Helicopter me...! Woh ant me hi nazar aayi. Miss Divya uske kandho par ladi hui thi.

Garofano (frowns) : Iska matlab woh Divya ko kidnap kar ke chale gaye? Shit!!! Veer ne agar ye suna toh woh gusse me aa jayega.

Renshu : Kuch pak raha hai andar hi andar. Bahut gehraayi me...! Mujhe nahi laga tha itna involvement hoga kisi ka. Lekin, mein galat tha. Veer ne past zaroor dekha hoga Jaw Long ka...! Woh aur jankari hume de sakta hai.

Garofano : Par, galti tumhari hi hai. Akhir, tum use uss danav aadmi se ladne akele kaise bhej sakte ho?

Renshu (smiles) : Simply because of one reason...!

Garofano : Huh??

"...Because, Veer is stronger than I am!!!"

Aur, ye bol sunte hi Garofano se leke baahar khadi Erica ke badan me raungte khade ho gaye.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This update consists of 11.6k words. Sabse bada update ab ye ho gaya hai. Maine koshish bahut ki likhte rehne ki par 2:30 baje meri jhapki lag chuki thi. :redface: So, sorry for that...! Ab mujhse zyada late jaga nahi jaata kyuki subah jaldi uthne ki aadat dali hui hai. :sweat: Isliye, mein kehta hu timing ka mat pucho karo. :spank: Par nahi!! Sudharna nahi hai! :spank2:
Anyways, ek update aur bacha hai arc ke closure ka. Uske baad ye arc khatam hai. So, likes pelne ka aur revos rakhne ka. Target same hai apna. 200! Also, agar mujhe laga toh iss arc me ek update aur badha dunga. But I don't think ki wo necessary hai filhal.

Dhanyavad! ✨
Shandaar update 👍 🥰
 
  • Like
Reactions: Werewolf

prem pujari

Active Member
1,181
2,888
158
yaar ek baat bolunga m terko
no doubt tera bhut creative mind hh
to apne is creative mind ka use ye faltu ki chizon m kyu kar rha hh
isko kisi esi ach chiz yaa esi good story m lgaa na jisko read kar ke logo ki life change ho or log is gandgi se bahar nikle
bhai to ek badiya story likh jisme apan logo ko kuch acha sikha ske
m kahridunga teri esi story
tu kuch acha likh
tu karke dekh le jo tujhe karna hai
dusro ko kyu gyan pel raha hai
aunty aur unki beti se pyar aur bhabhi se pyar aur adultery konsi achi cheez hai kis angle se hai
dusro pe comment karne se pehle apne gireban mai jhankna chahiye
nashe ki halat mai lag raha hai ya tu jaan bujh kar jinki reach achi hai unpe comment kar raha hai taki tere pass reach pohche 12 kahaniyo par same comment

aur mujhe esa kyu lag raha hai tu engima/enigma jo bhi tha uska naam uski dusri id hai ya uska chela hai (stories bechne ka to unka hi seen suna hai maine)

waise pango mai ana maine chod diya tha bahut pehle par pata nahi kyu yaha ane ka man kiya

Story achi lage to padho nahi to dur raho

Werewolf bhai aap bhi kyu reply dekar inko badhava de rahe ho just story pe reply rights revoke karva do yar story inke liye hidden karvado ( Mods ye karne ke liye ready hi rehte hai jitna maine dekha hai)

yar mujhe story hide mat karwa dena kyunki mai to regular reader hu bas reaction deke chala jata hu jyada reply nahi karta just silent reader ban gaya hu
 
Last edited:
Top