- 16,459
- 110,956
- 259
Last edited:
That's rightPer schedule k hisab say to aaj aana chahye.
Ready hi nahi hai. Kaha se dedu?Per schedule k hisab say to aaj aana chahye.
Chalo matlab kal ya parso tak aa hi jayega .... Cant wait for veer meet up with his familyMost probably tomorrow at night.
Maha faltu opinion hai... Poll he mat rakho...Bhai ekk faltu sa opinion hai ... Ki abb yeh poll change kardo .. Bcz know everyone khow ki .. In the end veer badshah banega ... Abb koi or poll hona chahiye
So.. Finally Veer has put an end to Crimson & his threat for good! But what the hell was that fight scene!!!???Absolute Gold. Update after update, arc after arc, the story has unfolded in a way that the readers have been left amazed after every single update. The recent highlight was of course the fight scene, so that needs to be pointed out first... Veer getting beaten up by that nigga Ajay & party.. Then Ranga.. Aatish.. Matthew.. Dexter.. Slogan.. Jim.. Nightwalker.. and now this one.. the most badass antagonist of the story till now ~ Crimson! The level of fight scenes, the level of action has gone only one way.. and that's upwards & upwards!
Well the way Crimson was killed by Veer, all of that...
To pichhle 4 updates mein kaafi kuchh hua, kaafi kuchh badla aur aage ki kahani ke liye boht si ghatnaon ki neev ya to rakh di gayi ya fir pehle se hi rakh chuki neev aur bhi mazboot ho gayi!
Sarvpratham Veer ki mrityu.. ya kahun ki uski mrityu ka chhalawa jo Pari ne racha tha uski hakeekat saamne aayi aur uske saath hi saamne aaya Renshu bhi. Renshu.. Ek Chinese aadmi joki system dhaarakon ya kahun ki "achhe" system dhaarakon ki suraksha/sahayta karta hai. Jitna bhi Renshu abhi tak kahani mein dikhayi diya hai us se spasht hai ki wo System aur us se judi anekon baaton se parichit hai. Shayad abhi bhi kuchh baatein ho sakti hain jo usne Veer ko batayi na ho. (Between that 15 cm Sui is a strange weapon, no!?)... As Pari mentioned, Renshu has got some serious Survival, Medical and Identifying skills, and on top of that he has some kind of pigeon taming skill as well.
Samudra ki gehraayi mein Veer ko bachaana, use do din, teen raat tak surakshit rakhna, wahin samudra ke neeche Veer ki marham - patti athva sabhi medications provide karna.. Renshu ke baare mein boht kuchh bataati hai ye cheezein. Saath hi wo Pilot jo Veer ko Island (Cruise) par lekar gaya, usne Renshu ko Oyabun arthat Boss kehkar sambodhit kiya, aur wahaan mentioned tha ki wo pehle bhi is tarah ke nazaare dekh chuka hai. Obviously, Renshu has his own story to tell as well..!!
Renshu ne naa kewal wahaan gehre paani mein Veer ki jaan bachayi balki us se pehle bhi do baar, Crimson par goli chalakar Veer ki madad kar chuka tha wo. Aur obviously, bhale hi wo systems ka balance maintain karta ho, bhale hi wo Veer ke jaise system holders ki madad karta ho, parantu is sabke badle uski bhi koyi na koyi expectation hogi hi Veer se,joki I think Chinatown Arc mein saamne aa hi jaayegi. Parantu yahaan dekhne laayak baat ye hai ki Renshu ko Veer ko lekar jaankari Shri shri shri X mahodaya ne di thi... Even a little glimpse of this man is enough to send chills down the spine. Let's not get into his reasons of informing Renshu about all this, kya faayeda dimaag ka dahi karke..?
Khair, Renshu ke baad ab yadi baat ki jaaye Ava madam ki to kehna mushkil hai ki Ava ki filhaal kahani mein kya position hai... Obviously Ava ki jagah yadi koyi bhi hota, I mean koyi bhi to saaf tha ki Veer use maaf karna to door, tapka chuka hota. But because she's Ava (Ava not Natalia), and because of her story and reasons as well, aaj nahi to kal Veer use maaf kar hi dega, ismein koyi shakh nahi... Death of Grace is going to be one of the reasons for this as well. Sarvpratham, Ava ke Pita ka hatyara aur koyi nahi balki Crimson hi tha. Is se badi saza kya hi hogi Ava ke liye ki jis shakhs ke saath milkar usne Veer ki hatya (almost) kar hi di thi, wahi uske pita ka hatyara aur ab shayad uski Maa ki mrityu ki bhi wajah ban gaya...
One thing.. Mr. X made Crimson kill Jayesh. Why? Of course, Mr. X cannot see future, can he? I assume use pata hoga ki Jayesh, Ava (ek system holder) ka Pita hai, but still I don't know ki usne Crimson ke haathon Jayesh ki hatya kyun karwayi? Obviously, uski fetish rahi ho is tarah ki cheezein to alag baat hai, but I don't think ki wo aadmi bina kisi kaaran saans bhi leta hoga. Khair, is beech ye bhi pata chala ki Ava ki past life bhi aasan nahi rahi thi. Fir chaahe wo apni saheliyon se bichhadna ho ya fir Jayesh ke saath casino mein huyi ghatnaon ka nateeja.. Parantu System ke aane se uski zindagi beshaq poori tarah se badal gayi. Siren Rose naamak skill ne naa kewal use shohrat ki bulandiyon par pahunchaya balki saath hi use us mukaam par bhi laa diya jahaan wo Trinity mein baaki dono se kahin bhi pichhe nahi... And I think shohrat se zyada ye zaroori hai!
Iske saath hi ye bhi spasht ho gaya ki Ava ne Vegas ke us concert mein hi Veer par Death Flag laga diya tha. Aur uske baad kya hua wo kehne ki zarurat hi nahi. (The interplay here, even Ava looking at Veer in that concert wasn't random. Lmao.. This is peak interconnection! We bow!). Parantu Death Flag koyi Diamond Tier skill to thi nahi, isiliye ye kewal heartbeat jaanchkar hi vyakti ke jeevan athva mrityu ki jaankari pradaan karti thi. Pari ne isi ka faayeda uthaya aur Veer ki saansein kuchh waqt ke liye rok, Ava aur Death Flag ko gumraah kar diya.. I think this personality of Pari deserves special appreciation!
Khair, is sabke baad, finally Ava has started her journey of making amends with Veer. Pehle wo Tweet aur uske baad Crimson oar goli chala Veer ki sahayta karna. Bhale hi use Mission mila tha Veer ko assist karne ka par fir bhi she has at least started what she needs to do right now. Bhale hi Veer ne use keh diya ho ki from now on they're strangers, and has warned her not to cross paths with him ever again, but I don't think ki Chinatown Arc se zyada samay lagega dono ki fir mulakat hone mein. Aur ho sakta hai ki usi arc mein fir dono ke madhya cheezein normal hone lagen...(Between, I still have no soft spot or love for Ava, but ek to Hande ki pictures aur doosra, she's a central character and there's no point in hating her whilst knowing she'll be there with Veer all the time, no matter what... That's why I think it's okay to move on now...
)
Between Ava ke system ka naam Lily hai ye bhi pata chala aur saath hi Ava ne 15k points Death Flag ki range max karne mein laga diye. Pata nahi, kyun? Par jaise hi usne ye koya usi waqt Grace ki death, samajh nahi aaya... Kya wo pehle hi Grace par death flag laga chuki thi aur ab jaanchne ke liye uski range max ki? I don't know but I think yahin se Ava ke jeevan mein asli dukhon aur mushkilon ki shuruaat hone waali hai... Lessss goooo!
Idhar Suhana ka haal bhi poori tarah behaal hi hai. I think usne khud bhi nahi socha hoga ki Veer ki mrityu ki khabar uski ye haalat kar degi. But haan, iske baad jab use pata chale ki Veer jeevit hai aur wo Veer se mile, wo moment special hona chahiye. Ye request rahegi Werewolf man! The next meet-up between them should be.. should directly hit the heart..! You know what I mean!Veer ki shirt ho ya uske saath bitaaye palon ko yaad karna, in sabhi cheezon ne Suhana ke kirdaar ko aur bhi khubsurti se prakash mein laa diya hai. Wahin Ashita ab poori tarah samajh chuki hai ki Suhana ka uss naujavaan ladke se kya rishta hai, Suhana uske liye kya mehsoos karti hai, aur kyun uski mrityu ki khabar ne Suhana ka ye haal kar diya... I'm excited for the conversation between them regarding it, haalanki I think usmein abhi samay hai. Ashita won't start such a convo until Suhana gets back to normal. Par kuchh bhi kaho, Suhana is my most favourite female character in the story (outside Veer's family)... Kuchh waqt pehle shayad Sonia aur Suhana barabar hi pasand aa rahi thi mujhe parantu Sonia ko gaayab kar diya gaya hai kahani se, aur is anyaay ke khilaaf hum chup nahi rahenge...
Well, I hope Business Arc will unfold a new side of Sonia (Finally!!!!)...
Wahaan Vegas mein Divya bhi Veer ko lekar behad chintit thi. Afterall, jo hua uske aur Veer ke madhya, uske baad Veer ke liye uske mann ke bheetar ek alag jagah hona nischit hi tha. Will be interesting to see ki Divya ka aage chalkar kya role hoga story mein. I think uski aur Veer ki punah mulaakat to hogi hi, parantu kya Divya jald hi kahani se gaayab ho jaayehi ya uska kirdaar aage tak chalega, ye dekhna interesting rehne waala hai...
Idhar Teju & party ko bhi finally pata chal hi gaya ki Veer par kya charges lagaye gaye hain Vegas mein. As expected, kisi vyakti ne social media par Veer ki tasveer upload kar di thi. Parantu achha hua ki tab tak Veer hosh mein aakar waapas Paris laut chuka tha. Haalanki, Veer se baat hone ke baad bhi wo chaaron dare huye honge hi uski suraksha ko lekar, par jo haalat unki Veer ki maut ki khabara padhkar huyi thi, us sadme se to at least wo baahar aa hi gaye. Intezaar rahega agle update ka jab Veer in sabse milega. The world needs a long conversation between Veer & Tejal here...
Ab baat ki jaaye Carlos urf Crimson ki to ye pehla aisa villain tha jiske liye uski poori story sun ne ke baad bhi bura nahi laga... I'm referring to main villains here, obviously not to Jim/NW or Pitcher. Slogan aur Aatish ka ateet kaaran tha unke parivartan ka, ek aam insaan se ek apraadhi ban ne ka. Par Crimson pehle se hi apraadhi tha. Chori - chakari athva lootpaat, shuruaat se hi Crimson ka interest naa kewal adventure mein tha, balki crimes mein bhi tha. One might say ki at least wo kisi ki jaan nahi leta tha, but how far away was that? Even if we assume ki Jayden ke saath wo sab naa hota, even if Crimson ke paas system naa bhi aata, tab bhi in future aise choriyaan karte waqt pakde jaane par ye dono khud ko bachaane ke liye hatya karne se bhi parhez nahi karte... Yahi to hai jurm ka daldal, kisi bhi raaste se andar ghuso, sabne dhansna hota hi hai...
Khair, Crimson ke saamne hi uske iklaute dost Jayden ki hatya kar di gayi. Duniya satya mein boht vichitra hai. Naa jaane kahaan - kahaan aise mentally ill log rehte honge, jo in paagalpan se bhari fetishes ka shikaar hain... Jaise Jayden ki maut huyi, Crimson ne usi maut ke tarike ko apna trademark bana liya aur poora festival khud hi organise karne laga... Is beech Crimson ki mulakat huyi Mr. X se...
Let's talk about him first. Crimson ki mrityu ke baad Ava se message ke zariye usne jaan loya ki Veer ki jeet huyi, but he said, 'as expected'... Kya is expectation ka kaaran ye tha ki wo kahin na kahin jaanta tha ki Ava bhi Veer ki sahayta karegi, ya kahun ki Ava ko Veer ko assist karne ka mission milega..? Ya wo bhaanp chuka tha ki Crimson ka overconfidence use le doobega... Pehle Ava ko Slogan jeevit hai ya nahi ye dekhne ke liye bhejna aur ab ye... Mr. X ki harkaten abhi samajh se pare hain. But obviously, he's plotting, ya kahun ki he has been plotting some crazy ass stuff here. Jiski jaden boht hi gehri hain.
Khair, sawaal ye bhi hai ki Mr. X us system owner ka gaadi se peechha kyun kar raha tha Vegas mein? Kyon usne Crimson ke haathon use marwaya? Kyun usne aisi situation banayi ki Jayesh ki hatya bhi Crimson ke hi haathon ho...? Use Hindi aati thi, kya is se ye anuman lagana sahi rahega ki uske paas bhi system hai..? Something like a "Father of all systems"?Khair, usne wahin par Crimson se uska right hand man banne ko bhi kaha jiske liye I guess Crimson ne baad mein mana kar hi diya hoga. But highlight was, jab usne kaha ki "Koi hoga jo ise baad mein dekhega".. He knew that someone would kill Crimson and he'll have the skill to see the past of Crimson..? Ya uske kehne ka matlab tha ki uska chehra baad mein koyi aur dekhega, not Crimson...
Coming back to Crimson... Use us gaadi waale ko maarkar hi Vertigo ki praapti huyi thi aur isi kaaram se wo Veer ko bhi maarna chaahta tha. Obviously aur bhi kayi kaaran the uske paas, but ye bhi unmein se ek tha. Crimson stats mein Veer se aage tha, kuchh behad hi strong cards aur skills the uske paas, par teen cheezein kul milaakar uski maut ka kaaran bani. Firstly, uska overconfidence, usne Veer ko bohthi halke mein le liya. Doosra, Veer ka fights aur aisi situations ka experience. Veer ne kayi baar life & death situation experience ki hai aur yahi use baakiyon se alag banata hai. Teesra aur shayad sabse bada kaaran - Full Moon!!! Shayad Crimson anjaan tha ki Veer Beowulf jaisa aatank apne saath liye ghoom raha hai. Kuchh bhi kahi, Beowulf is a mental - mental card... Maybe one of the strongest we'll ever see in the story.
Finally let's talk about Veer! He's special, isn't he? Chaahe wo paani ki gehrayi mein us chotil awastha mein Renshu ko Crimson samajhkar uspar jhapatna ho ya fir wahaan balcony mein khade hokar Ava ki aur dekhna... Renshu felt ki Veer ke ird - gird kuchh alag hi aura tha... Aur mujhe kahin na kahin lagta hai ki Veer alag hai baaki system holders se, naa kewal apne saaf dil ke kaaran, balki kuchh aur bhi hai jo abhi shayad chhupa hua hai... Sarvpratham, Get To Ava mission fail hone ke kaaran Veer ko 2500 points ki penalty lagi... Parantu uske paas tab kewal 1692 points the isiliye I think wo debt mein add ho gaye honge... Lekin of course is samay ek ek point ki apni alag hi keemat hai. Mehngai badhti jaa rahi hai jaise - jaise system age badh raha hai.
Veer aur Ava dono ko hi Crimson ke ant se juda mission mila aur dono ke hi rewards mein question marks the, jiska kaaran ab saamne aa hi chuka hai. Crimson ki skills aur cards use maarne waalon mein bant gayi (not all, but kuchh skills aur cards). Veer Crimson ko maarne tab pahuncha jab Vruise par Grand Festival manaya jaa raha tha. Jahaan wo sabhi insaan roopi bhediye kinhi maasoom logon ko maarna chaah rahe the wahin Crimson ko mission mila hua tha un logon ko maarne ka. Parantu sadly, Crimson ka ye mission bhi Veer ki wajah se fail ho gaya. Crimson ne yahaan is ladaayi mein bhi teen baar Veer dwara chalaayi gayi goli ko dodge kar diya aur finally saamne aaya ki wo aisa kaise kar paa raha tha... Probability Manipulation is a mental card as well, I think it's right up there with Beowulf's Blessings...
Parantu hamesha ki hi tarah is baar bhi teen goliyon ke baad uski lifeline samaapt ho gayi aur Ava dwara chalaayi gayi goli se wo bach nahi paaya. Is beech Crimson ne apna haath kyun kaata tha ye bhi pata chala. Kyonki uske paas Limb Substitution naam ka ek aur bhayavah card tha. Bc usne kisi aur ka haath kaatkar apne saath jod liya...
Ye poora fight scene, har ek moment.. proper goosebumps!!! Chaahe wo Veer ka khud par hi Limbo istemaal karna ho ya fir Engine Room mein huyi tabaahi... Chaahe fir wo Cruise ka do hisson mein tootna ho ya fir un sabhi bhediye samaan logon ki maut... Bilkul waisi hi maut huyi un sabki jaisi wo log deserve karte the... Bhayavah!Aur ek aur baar is kahani mein humen dekhne ko mila ki karmfal har ek ko, kabhi na kabhi to praapt hota hi hai... But obviously, yahi mission mila tha Crimson ko jiske fail hone se 10k points ki penalty use lagi and I think wahin wo haar gaya. Cuz I felt ki ye penalty lagne ke baad uska gussa uspar poori tarah se haawi ho gaya tha aur wo kewal Veer ko maarna chaahta tha, you can say ki uska dimaag shayad kaam karna hi band kar diya tha...
Iske saath hi do aur hathiyaar saamne aaye Crimson ke - Aquatic Breathing aur Shark Taming Skill... Kya kuchh nahi tha Crimson ke paas? Par fir bhi uski haar huyi... Another message - Yadi mantavya sahi naa ho to maayne nahi rakhta ki vyakti kitna shaktishaali hai, uska patan nischit hai...
But man, what was that underwater fight sequence!? My god!!!That shit was something else... Crimson ka paani mein saans lena, Veer ko underwater kheenchna taaki use fight mein upper hand mil jaaye, Sharks ka aana, un sabhi logon ka Sharks ka shikaar banna, and then Crimson tamed a shark... As I said Goosebumps.. proper goosebumps!!! Crimson dwara Aquatic Breathing ka istemaal kar H20 ka breakdown karna hi uski maut ka kaaran ban gaya. And as Pari said, Veer is indeed a fucking genius. Literally, Veer's rise has been enormous. The way he has evolved himself into someone who knows how to escape death from inches, is crazy. Easily the greatest protagonist I've read in recent times. (Rahul still has my heart
)...
Engine se nikle Diesel ka istemaal kar Veer ne Crimson ko Carbon Dioxide aur Monoxide ke jaal mein aisa fasaya ki fir uski mrityu nischit hi thi. Paramtu Veer ke wo shabd... Jo usne us bench par kahe the unhe sarthak bhi to karna tha... Veer ne Crimson ko bilkul waisi hi maut di jaisa ki usne kaha tha... Naa kabhi kisine dekhi, aur naa suni... He's a man of his words!!Shark ke jabdon mein fans Crimson ke shareer ke do hisse hona was indeed chilling...
Aur isi ke saath Veer ke is safar, Baadshah ban ne ke is safar se ek aur obstacle sada - sada ke liye hatt gaya... But what an insane arc it was! Maine shayad pehle bhi kaha tha, after Slogan & HOK, the story required something unbelievable kinda stuff to maintain it's run towards the skies.. And this arc absolutely delivered that! Crimson as an antagonist has been the best till now in the story and the glimpses of Mr. X and obviously that Psycho Doctor, have given a hint of what way the story is going to take us in near future... Par abhi ke liye as I said, Veer has taken down death, once again!!!
Saath hi jaisa ki aapne pehle hi bataya tha is arc ne system ke kuchh raaz bhi khole... Ya shayad boht se raaz khol diye... Sarvpratham, Veer aur Crimson ko system tab praapt hua jab dono hi life & death situation mein fanse huye the. Parantu kya Ava ke baare mein aisa kaha jaa sakta hai? Obviously wo aur uski family bhi tab pareshaani mein thi, but it wasn't a life & death situation. Isn't it? :Huh To aise mein System kab jaagrit hota hai host ke andar? Host ka chunaav kaise hota hai? Kya Mr. X hi systems ka rachayita hai? But If I remember correctly Pari, in the beginning said that she's from some other planet... :Hmm Wahin ye bhi spasht ho gaya ki system owners ek - doosre ko check nahi kar sakte, joki mere hisaab se achha hi hai. This way the face-off between Veer and other system holders will be more intense. Between, kya ab Veer Ava ki favourability bhi nahi jaan paayega?
Total 30 systems the, jinmein se 13 ki ab mrityu ho chuki hai (including Crimson). Arthat 17 hi ab bache hain... Veer, Renshu, Ava, Psycho Doctor... In chaaron ke paas system hai ye confirm hai, Mr. X ke baare mein kuchh kaha nahi jaa sakta parantu Renshu ki baat ki usne Veer ki sahayta ki taaki balance banaya jaa sake... 17 bache hain, if we assume ki usmein se 9 Crimson types hain aur baaki 8 wo jinki madad ko Renshu tatpar rehta hai... Tabhi uski baat taarkik lagti hai. Because if Crimson would've killed Veer, tab 10-7 ho jaata, that would've not been balanced for sure. Kitne system holders humen kahani mein dikhenge ye bhi ek sawaal hai, I doubt ki sabhi saamne aayenge but dekhte hain...
Khair, Crimson ki mrityu ke baad Veer ko naa kewal 10k points mile balki aur bhi kayi behatreen rewards use praapt huye. Par abhi ke liye Veer ke paas kul 9192 points bache hain, I think abhi inhe use to nahi karega wo. Parantu, Aquatic Breathing naamak skill, Probability Manipulation aur Limb Substitution naamak cards ke milne se Veer ka level ab boht oopar jaa chuka hai... Crimson ke shayad sabse behatreen teen hathiyaar the ye, jo ab Veer ke paas hain... Undoubtedly, is poore prakran se Veer ko atyadhik laabh hua hai... Ava ko bhi Healing Factor naamak card praapt hua & I'm sure ye card bhi boht hi khaas hai... Iske pros shayad Chinatown Arc mein hi humen dekhne ko mil jaayenge!
Wahin ab system bhi 9th Level par pahunch gaya hai aur dukh ki baat ye hai ki Pari ki ye personality ab dekhne nahi milegi. Obviously shayad future mein punah laute ye personality par abhi ke liye ek nayi personality humen dekhne milegi, let's see wo kya hogi... Sweetie bachkar bhaag nikli wahaan se aur ab bachi hai to kahani mein dobara dekhne ko milegi hi... Dekhte hain uski kya bhumika hogi aage chalkar, wo orphan hai aur kewal paison ke liye kaam karti hai, she might prove to do the same things for Veer as she did for Crimson, ya shayad kisi naye antagonist sang mil jaaye wo...
Khair, ab intezaar rahega agle update mein Veer - Tejal aur Veer - Arohi ki convo ka, Suhana ka bhi intezaar rahega jab use Veer ki khabar milegi, wahin next to next update mein Kaera Ji ke darshan bhi hone waale hain... Means, is roller - coaster ride ke baad in do updates aur Business arc ke chalte kuchh soothing moments humen dekhne milenge...
Chaaron hi updates boht hi khubsurat the bhai. Pehle Maine socha ki Crimson waala sequence poora hone par review doonga par fir last second update ke baad samay hi nahi mila so finally ab review likh paaya... Zyada kuchh lehne ko hai nahi ab, because story ab uss mukaam par pahunch chuki hai jahaan tareef bhi bemaani si ho chuki hai... But kudos to you for all the efforts you've been putting in from so long, to finally make the story shine like the moon amongst all the stars...
Outstanding Updates Bhai & Waiting for Next...
Thik hai bh@i....koi baat nhi aap aaram se dedoReady hi nahi hai. Kaha se dedu?
Thik hai bh@i....koi baat nhi aap aaram se dedoReady hi nahi hai. Kaha se dedu?