• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,208 83.1%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 24 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 189 13.0%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 33 2.3%

  • Total voters
    1,454

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,435
89,321
259
Last edited:

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,435
89,321
259
First of all, I would like to appreciate you for the efforts you've been putting in this story, for more than an year now. The last update, it was huge, let's not talk about the quality right now, but the length was fucking insane. Around 8k words, as you mentioned there, deserves a lot of appreciation.:applause:
Haan man wo likhne ke baad meri haalat patli ho gayi thi :sweat: Thanks for the appreciation. ✨
And when you talk about quality!? Well, that's one word which has become synonymous to this story now
:wooow:
Every update revolves around multiple scenes, multiple locations and explores multiple emotions, but the way you weave each of them together through that superb narration makes it even more special. The last update proved it yet again, that the way you present all those emotions and feelings in a single update, makes you different from so many other writers. The Bhavna & Tejal scene, Arohi's shyness and Kavya being Kavya, the little conversation between Ava & Veer, Veer saving Eric & Terashima and finally, that insane fight scene... As I said in my last comment, proper goosebumps!! :bow:
Thanks a lot man! :thanx:
Actually, uss update me pehle koi bhi family scene dikhaana ka decision nahi tha. But fir mann me idea aaya :idea:
Ki abhi nahi dikhayenge to late hote jayega. This is the best time. Fir update 8k tak jaa raha tha? Toh kya kiya jaaye? Mene to decide kiya tha abhi mega updates nahi dunga. Then?
Fuck that shit!!! :fuck1: That's what my mind said. :laughing: Bada hota hai update to hone do. And that's what I did.
It was understood that Veer was not going to have an easy time facing Crimson. There were quite a few reasons for it. Firstly, the writer & the story.. Aatish, Slogan, House Of Killers.. Looking at the sequence, it was clear that the next enemy of Veer is going to be something else.
Exactly!!! You can already tell why it's one of the most anticipated arcs. :D And the arc hasn't finished yet.
What happened in Las Vegas was enough to clarify that the next negative prospect of the story will have to be way ahead of all those who faced Veer in the past, but at the same time, he'll have to be, maybe even better than Veer to make the story rise a level above from where it was. Secondly, Ava is a counterpart of Kaera, so obviously her coming closer to Veer needs some huge reason, her coming into the picture like Kaera is, needs a solid platform and Crimson, provides that too. Third, Pari wasn't able to fetch any kind of information about Crimson but Crimson knew a lot about Veer, even when he was in Vegas. All these things pointed to one fact only, and that's, Crimson's system is a level or two ahead of Pari, or maybe even more...
We'll come to know what's with the system. A few secrets will be out. Not the secrets actually but some details about the system. ℹ️ We'll see them. As i said earlier, the next 2 updates will be the game changing updates of the story. We have seen the first update i.e; update 140. Now we have to see the next one.
And after the two fight scenes, it's clear that Crimson, currently can beat the shit outta Veer, anytime, anywhere. Despite investing in agility and strength recently, Veer was brutalised completely by Crimson. The thing which caused most chills was that launcher, he fucking destroyed a whole building... :cold:
He doesn't gives a shit about people's lives.
This man is something else! He removed his own hand!!! :shocked2: Well, the kind of things that happened recently are too much to process, tbh. Crimson got injured in Ushant, that too badly. He cut his own hand, after he was attacked by Veer with the blade, and later on he was shot by an unknown person as well. But what surprised me was the first case. Why did he cut his own hand? I mean whatever the situation is, no one would take away his own hand...
He landed on that blade from that high fall. And even after falling from that height, the blade couldn't chop his hand completely. That's his strength. The fucking endurance. 🔥
But then too blade did him dirty for sure. His arm was sliced so deep that only a centimetre or 2 were left to completely chop away his arm. That's why Pari said...!

"Leave him stuck there. Search for Ava instead." Because Crimson was completely stuck there and had only 2 options.

1) To move his arm back going through the pain again while taking out the blade.

2) To just slice away through remaining 1 cm flesh of his own.

And guess what? He chose the second option. :laugh: Why? We'll see later.
This guy is a psycho for sure, but this act has pushed him behind in the ring, when Veer will collide with him next time... Ek haath se kitna hi ladd lega bhai?
Are you taking him lightly? :D
Ava ka mission bhi poora ho gaya hai, yaani Veer ko aur bhi rewards milenge, he can improve his stats, and maybe a card too... So, aise mein Crimson won't be having an easy time, facing Veer with only one hand.
Ava ka mission poora ho gaya? Kab? :hmm:
Did Veer save Ava? :hmm2:
So, aise mein Crimson won't be having an easy time, facing Veer with only one hand.
:evillaugh:
But the big question right now is, Why Ava? What has Ava got to do with Crimson? Why is he after that beautiful lady? :D I somehow believe that Grace Martin might be the reason for him being after Ava. But the questions will be answered only after a detailed flashback of Ava and Grace is shown.
Dheere dheere idea lagte jayega. Since there aren't nuch updates left in this arc. Hardly 9 to 10. In all those upcoming updates everything about crimson, ava will be covered and answered.
Her father is also dead, was it a natural death or a conspiracy is there as well? When Veer landed in France, a scene of Crimson was there when he exclaimed that he has found Grace, or he has found where she is. Is she safe currently? Cuz Ava was abducted herself, so it's plausible that Grace too, might have been kidnapped or something, and in the current situation, obviously Ava didn't get any information about her.
But are we even sure that Crimson is the one who kidnapped Ava? :hinthint:
After this Ushant face-off, Crimson is like a wounded lion. He lost his hand because of Veer, he was shot by an unknown person, Ava is safe for now, DGSI too got to the Island... All these have been like a slap on his face, and I'm sure the next thing he'll do, will blow everyone away... Maybe Veer too!! :?:
We'll see. :cheers:
The DGSI is after Veer currently, I'm not sure what they're actually doing. I don't think that they currently are after Crimson. Abhi tak aisa hi laga hai ki wo log kewal Veer ke hi pichhe hain, and I'm not sure whether they even know about Crimson or not. There has been a misunderstanding but what? Jahaan se Ava kidnap huyi thi, I mean in the allies, wahaan Veer aur Ava ko saath to dekha hi tha na un teeno agents ne? They were actually recording it, kya unhe tab samajh nahi aaya ki Veer actually Ava ko jaanta hai, and Ava is also comfortable around him.
Parda semi transparent hai man! Ju ko dikh toh raha hai par clearly na dikh raha hai. Parda paardarshi karna hoga mujhe. :D woh updates ke through hota jayega.
I mean, iske baad bhi they're suspecting Veer for kidnapping Ava? Kya Crimson hi hai is sabke pichhe bhi? Has he done something like providing false information and creating a manipulation in front of DGSI to make them go after Veer? Ya koyi teesra shakhs bhi juda hua hai is khel se? Ya ye sab kewal Veer ki buri qismat hi hai? But jo bhi ho, abhi ke liye Veer par kayi khatre ek saath mandra rahe hain.
:smartm:
Firstly, the Crimson threat, then Ava's security, possibly Grace's security as well, then this DGSI, then the unknown person who shot Crimson (no idea if he/she'll be against or with Veer)... I think in sabmein se sabse pehle Veer should deal with DGSI, anyatha har baar uski aur Crimson ki bhidant ke beech ye log kood jaayenge and maybe they'll end up messing it completely.
Or the noose has already tightened around Veer's neck!? :hinthint:
He saved Terashima despite she shot him, and currently he's in a very - very bad condition, kya itna kaafi hoga un sabko samjhane ke liye ki Veer wo nahi hai jo wo log samajh rahe hain.
But who will tell them that he saved Terashima? :D After all, she is unconscious. No one else saw him saving her. So? Will it work if Veer himself tells them about that?
Mike & Divya decided to help Veer and I felt ki Nolan bhi kahin na kahin raazi ho hi gaya tha ki kisi prakaar ki sahayta wo Veer ko pradaan kare, and if they'll tell the DGSI about Veer's past deeds, Vegas chapter, then there's a strong chance that DGSI will end up accepting that they messed it up. But kya Nolan Veer ki madad karega? He has his own reasons, use galath nahi thehraya jaa sakta, Veer par terrorism ke charges lage hain, and these charges are indeed big. Aise mein wo reluctant hoga hi kuchh bhi karne ko lekar, but let's see...
But what if it backfires? :hinthint: Nolan will help Veer now after that conversation with Divya and Mike. The question is- What will be the outcome if this?
Idhar Suhana Veer ko lekar kaafi pareshaan hai aur ho bhi kyun na, is baar kaand hi itna badhiya hua hai uske saath... Ashita ko poora doubt ho gaya tha ki Suhana ke dil mein Veer ke feelings panap rahi hain, aur pichhle kuchh samay mein jo hua hai, poore aasar hain ki Prakash ko bhi is baat ka gyaan ho jaaye. Suhana ki chinta Veer ke liye jaayaz hai but she needs to remember ki uske aas - paas ke logon ki raaye use lekar kya ban rahi hai aur kya ban sakti hai. Prakash is loyal towards her, but Suhana ke behaviour ko dhyaan mein rakhen to zyada samay nahi lagega sabhi ko ye pata lagne mein ki Suhana has fallen for Veer. Her care, her words, her being tensed about him.. kaafi hai ye bataane ke liye. Abhi ke liye wo France jaa rahi hai along with Prakash, kya hoga jab Sonia ko pata chalega ki Suhana France mein hai, aur Veer bhi wahi hai? Suhana's husband? Uska kya reaction hoga ye jaan ne ke baad? Suhana helped Veer in a massive way by providing him the Helicopter and Eric too, would love to see the conversation between them when the meet next time...
Hmmm! Never knew one day we'll see Suhana getting desperate for Veer. But it's happening. :D: Well, she will definitely arrive in Paris. Veer's phone is off. So there's no way anyone can contact him now. Eric is unconscious too.

So, Prakash won't be able to contact him now. Her chopper is destroyed too. Now they can't even locate them. Wow! What a fantastic situation. Now how will they pin point their location? :D
Ava... She was rescued, but by DGSI. She saw Veer in pitiful condition there, but yadi Veer ne hi use chhudaya hota to baat hi alag hoti. Yahaan ye sochne waali baat hai kiis mission ke baad Veer ko poore rewards aur points milenge ya nahi? Because Ava ko rescue to DGSI ne hi kiya hai.
Well...! :idk1:

Veer had a mission to save Ava. Ava was saved by Chris and co during the crossfire. Veer was busy in fighting Crimson. So? What will happen? You tell me!
Khair, jo bhi ho par Ava ke mann mein Veer ko lekar jo thoda bhi sandeh ya doubt tha, ya shayad uncomfort tha, wo ab poori tarah se door ho hi jaayega. Veer ko us condition mein dekhna aur uske baad jo kuchh Veer ne kaha, definitely we can expect a good rise in her favourability. But ek cheez jaan na chahunga ki kya Ava DGSI, arthat Terashima/Chris ya Andre ke baare mein pehle se jaankari rakhti thi? Did she know ki DGSI uske maamle mein shuru se hi intrested hai? Don't know why, but mujhe laga ki wo pehle se hi in agents ko jaanti thi. Khair, abhi ke liye wo surakshit hai, aur ye sabse achhi khabar bhi hai, but kab tak wo safe hai, ye zaroor ek sawaal hai
If she knew, then she would have alerted Veer right? :smartm: She wanted a non-police handling of her case. DGSI still counts as any police force for her.
So, finally Veer! Pehle face-off mein to uski pooro tarah se durgati hi kar di thi Crimson ne. He can fucking dodge the effect of Hawkeye! Wasn't it a diamond tier skill !? If yes, then this guy isn't going anywhere for quite some time now. He surely is going to give Veer a lot of pain and testing...
Hawkeye is a Diamond tier skill. :approve: But as Pari said- Diamond tier skills shouldn't be bought at all. Veer got it for free through mission.

So that's okay. They aren't legendary skills. They do have their limitations as well. But still, veer has never missed any shot whenever he has used HAWKEYE. That only means one thing. Crimson used something more superior. :declare:
Crimson definitely kuchh skills use kar raha tha jismein se Pari kewal ek ko hi identify kar paayi, Vertigo!! The description of Vertigo was enough to describe ki wo apne arsenal mein kis tarah ke hathiyaar liye baitha hai.
Vertigo wasn't even his main skill. :laugh: It was just like Veer's Limbo!!!

It only causes disbalance, orientation problems. But yes, it can be effective if used smartly. :smartm:
Abhi ke liye, Veer ki haalat theek to bilkul bhi nahi hai. Crimson sang huyi ladaayi mein buri tarah se durgati hone ke baad use ek goli bhi lag chuki hai. On top of that, pattharon ke neeche daba hai is waqt Veer, aise mein samjha jaa sakta hai ki kitni chotein aur injuries use huyi hongi. Thanks to Bone Reaper, uski haddiyan surakshit hongi, but still I think to recover completely, use samay lagne waala hai...
There's also one more detail here which shouldn't be miss out.

And that's -

Bone Reaper gives absolute protection to the ribcage. :declare: You remember the card right? There's a ribcage picture on it. It grants indestructible ribcage to veer.

But that doesn't mean each bone receives the same treatment. :D Ye baad me bataya jayega hi Pari dwara as a reminder. But I thought I should tell you once again here too.

His other bones surely do get much stronger and dense but they can be crushed too. Luckily, Those stones doesn't have that much impact power to crush his bones. Our boy is lucky here.
Wahin Crimson ki bhi haalat theek nahi hai, arthat recovery time use bhi chahiye... Aise mein interesting hoga ye dekhna ki agli bhidant in dono ki kitne samay baad hogi! I still think ki DGSI waala maamla inki agli bhidant se pehle Veer ko nipta lena chahiye... :approve:
Jo kuch bhi hona hai inn 9-10 update ke andar hi hona hai.
Idhar India mein Ragini ke ghar bhi kuchh interesting cheezein huyi... Obviously that badi Tai Ji & Chhoti Tai Ji, waala matter... Lambi chalne waali hai Bhavna aur Shweta ki ye cold war. I don't see them ending it anytime soon. But on the other hand, It looks like Tejal can soon come out of the chaos she's in. Bhavna is indeed a very - very intelligent woman, as I said in my last review too! Her understanding on everything is crazy... The way she explained it to Tejal was absolutely mesmerizing, and I think Tejal will be giving that 'sibling's love' to Veer soon! Sahi bhi hai, sage bhai - behen ka pyaar wo ek bhaavna hai jo Veer kabhi experience nahi kar paaya. Saalon tak to use apne cousins tak ka pyaar bhi praapt nahi hua tha. Aise mein yadi Tejal wo pehla kadam uthaayegi, aur jaisa Bhavna ne kaha, bilkul naturally behave karegi, to uske aur Veer ke madhya use jo doori mehsoos ho rahi hai, wo samaapt hoti chali jaayegi... This conversation between Bhavna & Tejal was one of the most beautiful scenes of this story till now! Love this character of Tejal to bits! :love3:
Ye bhi abruptly hi hua tha. Family scene ke bas kuch hi dikhana tha. But I got invested in it. :laugh: So I showed a few Purvi's dialogues too. And then I decided to show Tejal's internal conflict. I'm glad it turned out to be good. :good:
Khair, ab dekhna ye hai ki Veer aur DGSI ke beech jo bhi misunderstanding create huyi hai uski hawa kahaan tak pahunchegi. I'm assuming ki Kaera ko potentially is baat ka pata chal sakta hai. Maybe Kishor too! But Veer ke ghar tak kya ye sab baatein pahunchengi? Yadi kisi tarah se aisa hua to kaafi zyada bawaal hone ke chances hain, but I don't think ki aisa hoga... Ab jo points agle updates mein khaas dhyaan mein rahenge unmein sarvpratham Ava hi hai. What will be her reaction after knowing what DGSI did? After all, use hi kidnap karne ka ilzaam laga tha Veer par. Would love to see her reaction on it. Grace ki sthiti bhi sandehaspadh hai.
Basically agar kisi desh me chota sa koi bhookamp aata hai to news fel hi jaati hai. Lekin padhte kitne log hai uss news ko?

World news ko aadmi hamesha preference baad me hi deta hai. Pehle desh ki khud ko news ko aadmi padhta hai.

So Even if Veer is labelled as a terrorist there. It's still in happening... France news jas just started to report about this.

There's no way our Hindi or any other newspapers are getting that news. It's DGSI. They don't share details like a broadcast. Everything will be confidential. So it's unlikely for now atleast that Veer's family will know anything about him.
Doosra, Suhana kab pahunchegi France? Aur pahunchegi tab kya hoga? Ava se saamna hona nischit hai uska.. arthat aur zyada kheenchtaan ki sambhavna. Third, Divya kya karne waali hai aage, Mike too! Veer saved Terashima, so it would be interesting ki DGSI ki spch badlegi uske prati ya nahi. I hope Terashima hosh mein rahe, kahin wo behosh huyi to use maarne ka ek aur charge na lag jaaye Veer par. And of course, Crimson ka agla step, and also, mission completion ke baad Veer ko milne waale rewards...
Terashima is unconscious! :laugh:
You didn't read the last part? Uski aankhein dheere dheere band hoti chali gayi jab wo budbuda rahi thi Veer ko leke...!
But above all.. Who shot Crimson? Pahaadi waali ladki? Sweetie? Priya? Ya koyi aur hi? I'm sure agle do updates kuchh na kuchh bada reveal karne waale hain, probably about Pari too!!!
:approve:
Teenon hi updates boht hi, boht hi, boht hi shaandar the men! Outstanding stuff! The way you've elevated the fight scenes is mental, absolutely mental! From Aatish, to Slogan, to HOK, to this... The last scene especially, completely blew me away! So kudos to you for all the efforts you've put in... :bow:

Waiting for the next one...
Thanks a lot man! :thanx: :five:
Crimson arc was already planned. I knew what I was doing. You can see already how the latest update got connected to update 74 and 75. The Slogan's final chase ones. Toh tab jab wo updates likhe gaye the, toh update 140 ko dhyaan me rakh ke likhe gaye the. Koi bhi spoiler waha reveal nahi hua tha. Dialogues were written in a way so that they can be used in both the updates.

Ek side me aise likhe gaye jaha kuch bhi reveal na ho inn sab ke baare me. Toh wahi iss dusre me aise likhe gaye ki woh beech beech ke gaps ko fill karte gaye and now you were able to see the bigger picture.

Mein kehta hi tha Crimson arc ko leke mein excited hu. I knew it will blew my readers off. Aur ye bhi kaha tha ki fights samay ko saath intense hoti jayengi. And that's what is happening. :D:

Toh appreciation aise hi milte rehta hai toh mein behtar likhte jaata hu. Once again, massive thanks for this massive revo man.!!

Aur aise hi bane rehne ka. ✨ Keep supporting! :five:
 

K S Lover

Well-Known Member
3,324
5,969
158
Bohat he zabaradast lajawab update wah yar system wale character bohat hy Lagta hy is story me veer or crimson ke bad ek female character dekhna hy sab ke Pas ek SA system hy ye alag Alag waiting for next update
 
Last edited:

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,435
89,321
259
Ye dobar a update aaya hai slogan ka end tho phley bhi ho gya tha aur ldki ka jikr bhi ho gya tha fhir dobar q...?
Poora toh padh update bhai :Jerry:
 

Werewolf

ʏᴏᴜ ᴍᴀʏ ᴄᴏᴍᴇ ᴛᴏ ʀᴇɢʀᴇᴛ ᴛʀʏɪɴɢ ᴛᴏ ᴍᴀɴɪᴘᴜʟᴀᴛᴇ ᴍᴇ
Supreme
11,435
89,321
259
Mujhe laga hi tha kahani logo ke sarr ke upar se na jaani lage. :sweat: Abhi se ye haal hai. Pata nahi aage kya hoga.
 

Suraj13796

💫THE_BRAHMIN_BULL💫
279
2,818
123
सबसे पहली चीज इस अपडेट से एक गलतफैमी मेरी दूर हो गई and i hope की वीर की भी जल्दी से हो जायेगी वो ये की system शायद एक दो लोगों के पास नही बल्कि बहुत से लोग के पास है बहुत सारे लोग है और common sense के हिसाब से देखा जाए तो सही भी है।

I mean वीर कब तक आम आदमी लोग से लड़ता रहेगा, एक normal human के बस की बात नही है की वो वीर का कुछ बिगाड़ सके। तो अगर कहानी को आगे बढ़ाना है तो ये जरूरी है की ऐसे लोग जो वीर की तरह से ही system रखते है, वीर की टक्कर उनसे हो।

तो जिस आदमी ने call किया था वो शायद वो भी शायद crimson से ही जुड़ा होगा, ये जो भी लड़की है ये ava और ग्रेस मार्टिन से जुड़ी है may be twin sister or just sister और फोटो फ्रेम में भी शायद उन्ही की तस्वीर है।

तभी crimson ने ग्रेस मार्टिन को देख कर कहा था की finally i found you

अगर फोन पर उन दोनो मांगो के बारे में कुछ पता चलता तो बहुत कुछ साफ हो जाता लेकिन फिर suspence creation करने के wolfie को थोड़ी ज्यादा मेहनत करनी पड़ती so मेरे side से इतनी Liberty है।
? (smiles) : Tum kisi ki talaash me ho!!
पर इतना साफ है की जब unknown guy ने उस लड़की को कहा की तुम किसी की तलाश में हो तो अंदर से gut feeling कह रही थी की grace martin की बात हो रही है। और ऐसा करने के लिए unknown guy को उसके system ने कहा होगा।

खैर unknown guy जो की मै मान कर चल रहा हूं की crimson से ही related है उसके और उस लड़की के बीच deal हुई होगी। लड़की को 2 काम करने होंगे बदले में वो उसे ग्रेस मार्टिन का पता बताएगा।

मुझे बस कुछ चीज़े समझ नही आ रही जैसे की सुहाना ava के पेरिस जाने पर ऐसा reaction क्यों दे रही थी, दूसरा crimson ava को kidnap क्यों कर रहा था, क्योंकि अगर उसको ava को मारना होता तो वही मार देता या ushant island में रखा था तब मार देता लेकिन उसने नही मारा वो बस वीर का wait कर रहा था, क्या वो ava को kidnap करने की deal किया था।


Jwaala ki tarah bhadko nahi dear. Jal ki tarah shaant raho. I'll wait for your result.
मेरे खयाल से system वाले unknown guy का उस लड़की को स्लोगन के पास भेजने का कोई खास मकसद होगा शायद सिस्टम के पास से दिया गया mission।
Slogan शायद crimson का target था

ee

Ladki ke chehre par se saare bhaav gaayab ho gaye.
ये वो जगह जहा शायद वीर crimson या उस unknown guy के रास्ते में आ गया क्योंकि जब वीर crimson से मार खा रहा था तो ऐसा लग रहा था जैसे crimson वीर को मार कर अपने दिल का आग शांत कर रहा हो, क्योंकि भले ही ये लड़की को mission आया हो लेकिन उसको भेजने वाला तो crimson का पार्टनर था

Jal bhi mein hi hu!!!
Aur jwaala bhi...!!!
No one can stop me!!!
Not even you!!!"
"Slogan is DEAD!"
ये वो जगह जहा शायद वीर को मारने के लिए crimson को कोई mission मिला हो, देखते है आगे क्या होता हैं ।

I guess अगले अपडेट में हमे वीर और परी के बीच के conversation सुनने को मिलेगा, कुछ राज पर से पर्दा उठा जाए शायद, उधर crimson का भी एक हाथ अलग हो गया है और वो घायल शेर की तरह वीर को मारने के इंतजार में है।

रही बात वीर की तो dgsi वाले charges जल्दी ही हट जाने चाहिए, i mean nolan अपने side से pressure create करेगा, terashima को भी शायद अपनी misunderstanding समझ आ जाए और सबसे बड़ी बात ava का बयान काफी important रहेगा। I guess इतना काफ़ी है उसके ऊपर से criminal charges हटाने के लिए।

अब मैं क्या बोल रहा था की वीर भी पेरिस में हैं और सुहाना भी यही है तो दोनों के बीच gulu gulu देखने को मिल जाता तो मजा आ जाता, जिस हिसाब से वीर बाबू मार खा रहे है अगर उनके नुनु में चोट लग गई तो सुहाना बेचारी अधूरी रह जायेगी

भाई बुरा मत मानना लेकिन मुझे लगा की अपडेट छोटा था और उसमे भी आधा स्टोरी back की cnp थी। मुझे लगा की थोड़ा और बड़ा हो सकता था,वीर के situation के बारे में थोड़ा जगह था

इंतजार रहेगी kaira के आने का, बहुत सारी expectations हैं उस अपडेट से i hope वो अपडेट बेहतरीन होगा और हमें नई kaira देखने को मिले

बाकी तो update के लिए धन्यवाद and
As always waiting for next update ❣️
 
Last edited:

Death Kiñg

Active Member
1,372
6,949
144
Because Crimson was completely stuck there and had only 2 options.

1) To move his arm back going through the pain again while taking out the blade.

2) To just slice away through remaining 1 cm flesh of his own.

And guess what? He chose the second option. :laugh: Why? We'll see later.
Don't fucking tell me that he can regenerate it or fix it somehow... Please, don't! :crazy2:
 

MAD DEVIL

Active Member
849
1,573
123
Update - 140 ~ No one can stop me!

Ab tak...

Terashima ki body jaa ke thos deewar se jab bhidi toh sarr par impact hone ki wajah se uske hosh jaane lage.

Akhiri drishya jo usne dekha woh ye tha ki jaha woh khadi hui thi, waha dherr saare bade bade patthar girte jaa rahe the.

Usse realize hua,

'Wh-Why did you-!!? S-Sav...e... m..e...!?'

Par uski aankhein agle hi shan band ho gayi.


Ab aage...

A few months ago…

Derr raat ke samay ek bade se aalishan ghar me bane ek gym ke andar bas kuch lights jal rahi thi. Aur punching bag ko maarne ki zorr-zorr se awaazein aa rahi thi.

Uss punching bag ko maarne waala koi aadmi ya ladka nahi tha. Punching gloves pehne ek ladki teevr gati me apne mukke uss bag par barsaane me lagi hui thi.

*Bam*

*Bammmmm* Bammmmm*

*Bam*

Uska badan paseene se bheega hua tha. Sirf black sports bra aur gym leggings daale wo apna aaj ka practice session complete karne me lagi hui thi.

Na hi woh koi boxer thi aur na hi koi athlete. Soorat aisi ki raaste chalte harr mard ko apni orr modne par majboor kar de.

Akhiri punch maarte hi usne apne chehre ko apni towel se pocha.

Aur woh baahar nikal washroom me shower lene ghus gayi.

Bheega badan liye woh naha ke apne shareer par bathrobe daale baahar aayi aur apne wardrobe ke saamne khadi ho gayi.

Ek se ek mehnge kapde uske wardrobe me hangers ke upar latke hue the.

Ek mehnge brand ka nightwear select karte hue usne apne jism se bathrobe giraaya aur uska nagn badan vatavaran me saamne aa gaya.

Parantu, uss jism ki khubsoorat nakkaashi ki taareef karne ke liye waha koi bhi maujood nahi tha.

Kapde badalte hue woh apne bistar par baithi.

Bagal se rakhe stool par ek photo frame ko usne dekha aur uski mutthi gusse me kass gayi.

'Kuch bhi ho jaaye, I won't stop!!'

Woh sone hi jaa rahi thi jab uske phone pe achanak ek call aaya.

*Ring* *Ring*

*Ring* *Ring*

'Hmm?'

Phone utha ke usne screen par dekha toh paaya ki kisi unknown number se call aa raha tha.

'Unknown number!?'

Woh wese toh unknown number ke calls ko kabhi uthaati nahi thi. Par itni raat gaye usse ye call aa raha tha. Kahi koi jaan-pehchaan ka toh nahi tha?

Yahi soch usne call utha liya.

Ladki : Hello?

Par saamne se kuch derr tak koi awaaz nahi aayi. Wrong number samajhte hue woh phone kaatne ko hui,

Ladki : Hah! I knew it. Mujhe uthana hi nahi tha.

Par tabhi dusri orr se ek awaaz aayi,

"Kyu pareshaan ho? Kya neend nahi aa rahi?"

Sunte hi ladki ki bauhe upar ko chadh gayi. Kintu, abhi bhi ek wrong number samajh woh boli,

Ladki : Sorry! Wrong number!

? : Arre arre nahi nahi! Koi wrong number nahi hai.

Ladki (frowns) : Kaun ho tum? Aur kis se kaam hai?

? : Mein kaun hu? Ye tumhe jaan'ne ki zaroorat nahi my dear.

Ladki : Y-You-!!!

? : Ahn! Don't be so mean! Just listen to me first. Uske baad decide kar lena ki kya karna hai. Hmm?

Ladki : Be quick! Agar tumne firse bakwaas kari to mein phone cut kar dungi.

? : Of course! Of course! To sabse pehle kya batau...!? Hmm! Okay! I'll start with this.

Ladki : ...

? (smiles) : Tum kisi ki talaash me ho!!

Achanak hi ek sannaata chhaa gaya. Ladki ki aankhein hairaani me fel gayi.

? : Kya mene kuch sahi kaha? I guess I was right. Hmm! Ab agar mein ye kahu ki jis insaan ki tum talaash me ho. Mein uska pata jaanta hu. Toh?

Uss ajnabi shaks ke hontho par ek muskaan thi.

Yaha Ladki ki pakad apne phone par aur mazboot ho gayi. Woh stabdh khadi hoke ek shock me jaa chuki thi.

Ladki : K-Kaun ho tum?

? : Mene kaha na! Mein kaun hu. Kaha se hu. Iss se tumhe koi fayda nahi hone waala. Also, ye number trace mat karna. Tumhara waqt barbaad hoyega. Time is precious dear. Right?

Ladki : Y-Youuuuu-!! Mein kaise maan lu ye koi prank nahi hai. You are nothing but a fraudster. I'm hanging up.

? : Call cut karne se pehle ye akhiri sach to sunn lo.

Ladki chaahte hue bhi phone cut nahi kar paayi. Kahi na kahi woh jaan'na chaahti thi ki ye insaan kis sach ki baat kar raha tha.

Aur tabhi uss orr se kuch shabd ladki ko sunaayi diye. Jinhe sunn, woh ghabra ke apne bistar par gir ke baith gayi.

Ladki (shocked) : T-Tum...!??

? : What? Mujhe kaise pata chala? Well! It's a small world after all dear. Kya ab bhi tumhe lagta hai ki ye call ek fraud call hai? Hmm?

Ladki : K-Kya chaahte ho tum? Aur mujhe y-ye sab bataane ka kya maqsad hai tumhara?

? : Well! Meri tumse sirf 2 hi maange hai.

Ladki : Speak!!!

Uske baad uss vyakti ne apni pehli maang rakh di.

Ladki (frowns) : Tumhe ye bhi pata hai? J-Just what else do you know? You bastard!!!!

? : Na na na! No cuss words okay? Jitna kaha gaya hai, utna hi karna hai bas tumhe.

Ladki : And why should I? Who are you to begin with? Mein tumhe nahi jaanti. Toh tumhara kaam kyu karu?

? : Simply because agar nahi karogi to problem me pad jaogi dear.

Ladki : Hmph! What can you do?

? (smiles) : Photo frame...! Ko bohut sambhaal ke rakha hai tumne! Hai na? Such a beautiful picture.

Ye sunte hi, ladki ki aankhein aag baboola ho uthi.

Ladki : DON'T YOU FUCKING DARE...!

? (smiles) : Wise people know what to do. Right?

Ladki ghabra ke apne bedroom ki khidkiyo ko khol idhar-udhar dekhne lagi.

? : Hahaha! Kya mujhe dhoondh rahi ho? Chill! Mein waha nahi hu.

Ladki : T-Tum-!!!

? : Toh? Bolo! Karogi ya fir mein koi aur option dhundu?

Woh apne daant gusse me meeste hue jawaab di,

Ladki : F-Fine!!! I'll do it!!

? : As expected from an intelligent lady.

Ladki : A-Aur tumhari dusri maang?

? (smiles) : Samay aane par wo bhi rakh dunga. Mein tumhe ek tasveer aur address bhej raha hu. Tomorrow night! You must leave!

Ladki (growls) : F-Fine!!!

? : Ohh! Naraaz ho? Jwaala ki tarah bhadko nahi dear. Jal ki tarah shaant raho. I'll wait for your result. Till then...! Goodbye~ Ohh! And have a good night! Byeee~

*Call ends*

Haafte hue ladki ne phone apne kaano par se hataaya. Uski dhadkane tezz thi. Gussa bhi usme koot-koot ke bhara hua tha ki mann kar raha tha phone ko deewaar par fek ke de maare.

Parantu, aisa karne se usne khud ko roka.

Dobaara ussi photo frame ko dekh achanak hi uski aankhon me ek tej aaya aur uski mutthi punaah dridhta me kass gayi,

'No one can stop me!!!!'

***

Agli shaam ek sundar se spot par wahi ladki maujood thi. Saamne sunset ho raha tha, par uski aankhein kahi aur hi focused thi.


77a80c5a93cd15897000b251d90bd9f4

Jaha aisi scenery ko dekhne log lambi rides lete the toh wahi iss samay saamne maujood khubsoorat drishya ko dekhne me bhi usse koi dilchaspi nahi thi.

Aaj usse yaha se nikalna tha. Uss jagah jaana tha jaha par kal uss anjaan vyakti ne jaane ke liye usse kaha tha.

'Mein ye kyu kar rahi hu meri samajh me hi nahi aa raha. Lekin, usne jo kuch kaha. Woh sab sach tha!'

Na chaahte hue bhi usse jaana pad raha tha.

Magar nishchay kar woh waha se chal di. Aur uski manzil thi~

India!!!

Safar lamba tha, par ladki ke chehre par kahi koi thakaan nahi jhalak rahi thi.

Usne apna phone nikaala aur uss aadmi dwaara bheji gayi location ko padha. Phir woh uss location ke liye ravaana ho gayi.

Kaafi dur thi ye jagah par yaha tak pohuchne me ladki ka ek paseena tak nahi baha. Woh ek rental car ko saaye-saaye bhagaate hue araam se pohuch chuki thi.

Shaam bhi dhal chuki thi. Raatri ka aagman ho raha tha. Akaash me andhera chhaane laga tha.

Andar uss jagah me pohuchte hi ladki ko baahar kayi aadmi khade dikhaayi diye. Unn sabhi ke haatho me hathiyaar the.

Ladki ko aate dekh woh sab dang reh gaye. Sabse pehli baat ki ye ek khufiya jagah thi. Kisi ko iss jagah ke baare me pata kaise laga?

Dusri baat ki agar pata laga bhi toh aisi jagah par ek ladki kya kar rahi thi? Woh bhi aise samay par?

Ladki ke muh par kapda bandha hua tha. Par uske bawajood usse bina dekhe hi woh sabhi aadmi ladki ki khubsoorti se waaqif ho chuke the.

Zaroor kapde ke peeche koi bohut hi aakarshak aur haseen mukhda chhipa hua tha. Ladki ke kaayal naino ne sab bayaa kar diya tha.

Phir bhi apni hawas ko niyantran me kar aadmiyo ne uss par apni bandooke taan di,

Aadmi : Kaun ho tum? Aur yaha kar rahi ho?

Dherr saari bandooke apne upar tani hone ke baad bhi woh ladki tass se mass na hui.

Ladki : Tumhare boss ko dekhna hai mujhe. Bas! Aur kuch nahi!

Aadmi : Hahaha! Boss ko toh baad me dekhna. Yaha aayi ho toh pehle apna parichay toh deti jao! Ayyye! Pakad ke isse andar leke aao.

Do aadmi abhi uss ladki ki taraf badhe hi the ki wo bol padi,

Ladki : Soch lo! Agar galti kar di toh kahi dhad se sarr alag na ho jaaye.

Aadmi ke chehre par iss baar chinta jhalki aur uske bagal se khade aadmi ne usse sunaaya,

Dusra aadmi : Abey kya kar raha hai tu? Marwaega kya? Kahi ye ladki boss ki koi khaas nikli toh? Tu khud soch na. Agar ye khaas na hoti toh isse jagah ke baare me pata kaise chalta?

Pehla aadmi : P-Par aisa bhi toh ho sakta hai na ki ye ladki boss ki koi dushman ho? Kahi koi jasoos nikli toh?

Dusra aadmi : Abey akeli ladki kya kar legi? Agar jasoos hui bhi to kya hi jasoosi kar legi? Hum sab toh hai na yaha?

Pehla aadmi : H-Haan yaar! Ye toh mene socha hi nahi.

Dusra aadmi : Isse boss ke paas le chalte hai. Phir hume sab pata lag jayega. Par uss se pehle iski talaashi leni hogi.

Pehla aadmi : Haan!

Talaashi lene ke liye agle hi pal kuch aadmi aage aaye toh ladki ne apne jeb se ek dhaar-daar chaaku nikaal unke saamne kar di.

Toh wahi aadmiyo ne apni bandooko ko chalaane ke liye ungliya jama li.

Ladki : Aaj tak kisi mard ki himmat nahi hui mujhe chhune ki. Apne sapne me bhi mujhe chhoone ke baare me mat sochna. Sirf ye ek chaaku hi hai mere paas. Take it!

Chaaku ko hawa me uchhaalte hue usne aadmi ki orr feka. Aadmi ne hadbadaate hue usse lapka aur woh chaaku ko bareeki se dekhne laga.

Ladki ko dekhte hue usne fir haami bhari aur bola,

Aadmi : Theek hai! Hamaare peeche aao. Aur agar chalaki karne ki koshish ki, toh ye goliyaan tumhare shareer ke andar hongi. Par uss se pehle...!

Uske hontho par ek hawas bhari muskaan saji,

Aadmi : Kuch aur bhi goliyo ke pehle andar jayega.

Apne jism par aadmi ki hawas bhari pyaas aur laalsa dekh ladki ke maathe par gusse ki nass thanki. Uski mutthi zorr se kassi.

Agar uska bas chalta toh abhi usne uss aadmi ki zubaan ko chaaku se kaat ke uske haatho me thama diya hota.

Parantu, apne gusse ko peete hue woh chup chaap unn aadmiyo ke peeche chal di.

Andar se jagah behad badi thi. Ladki ki nazar baaj ki tarah harr kone ko dekhne me lagi hui thi.

Andar aate hi usse dherr saare aadmi dikhaayi diye. Sabke haatho me ek ek hathiyaar the. Dherr saari petiya na jaane kin kin samaano se bhari wahi padi hui thi ek ke upar ek.

Harr aadmi usse hi ghoor ke dekh raha tha. Khaas kar uske badan ko.

Kuch qadam chalne ke baad hi aadmiyo ne usse ek kamre ke baahar rok diya.

Aadmi : Tum yahi ruko. Boss andar hai. Mein pehle baat karke aata hu.

Ladki bina jawaab diye wahi khadi rahi. Aadmi andar gaya aur 2 minute baad nikal ke baahar aaya.

Aadmi : Chalo andar!

Andar jaate hi ladki ki nazar table ke saamne baithe ek aadmi par padi. Aadmi ke bagal se aur bhi ek aadmi baitha hua tha. Koi bhi dekh ke ye bata sakta tha ki woh ye main aadmi inn sab ka Boss tha.

Uske kapde, haatho me chamakti hui sone ki anguthiya, athwa uska andaaz. Sab kuch anya gundo se uchh starr par tha. Uske coat ki jeb me ek painting brush bhi maujood tha.

Nazre upar kar Boss ne ladki ko dekha.

Boss : Kaun ho tum?

Toh ladki agle hi pal muskuraayi,

Ladki : Mein kaun hu ye jaan ke kya karoge? Mera kaam ho gaya hai. Chalti hu!

Woh palat ke jaane lagi tabhi itne me aadmiyo ne bandooko se uska raasta rok liya.

Boss peeche se khada hua aur apne muh se cigar nikaal ke usne ashtray me fek diya.

Boss : Tum yaha se tab hi zinda jaa paogi jab mein chaahunga. Kamaal ki baat hai ki jis hideout ke baare me kisi ko kaano kaan khabar nahi hai, waha tum jaisi ladki kya kar rahi hai? Muh se kapda hatao apne!

Par ladki kuch na boli.

Boss (frowns) : Tumne suna nahi? Kapda hatao!

Ladki palti aur Boss ko dekhi. Fir agal bagal khade aadmiyo ko dekhi.

Ladki : Kya karoge jaan-

Boss : Shayad tumhe apni position ka andaza nahi hai ladki. Kya tumhe dikhayi nahi de raha ki tum kaha khadi ho?

Ladki ne punaah usse dekha aur kuch derr baad boli,

Ladki : Dikhaati hu. Par apne aadmiyo ko kaho ki woh peeche jaaye. They don't deserve to see my face. Deserve to tum bhi nahi karte ho par bina chehra dikhaaye tum maanoge nahi.

Ladki ki tippadi par uss Boss ki bauhe sikud uthi.

Usne ek ishaara kiya aur sabhi aadmi ladki ke peeche ho gaye. Ab ladki aur Boss aamne saamne the.

Dheere se ladki ne apna kapda khola aur apna chehra saamne kar diya.

Chehra dekhte hi, Boss ke hosh udd gaye.

Nahi! Aisa nahi tha ki ladki ko woh jaanta tha. Hosh uske ude the ladki ki khubsoorti ko dekh ke.

Aisa aakarshak lubhaane wala chehra, jo kisi buddhe ko bhi jawaani ki yaad dila de.

Agle hi shan, Ladki ne kapda apne chehre par waapas se lapet liya.

Boss : T-Tum-!!!? Kaun ho tum? Kisne bheja hai tumhe?

Ladki : Bas yu samajh lo ki koi shubh-chintak hai tumhara. Jo dekhna chaah raha hai ki tum zinda ho ya-

Boss : Kaun hai woh?

Ladki : Shubh-chintak ko shubh-chintak hi rehne dena chahiye. Uska naam bata ke saara khel bigad jayega. Aur sach kahu toh mein khud nahi jaanti.

Ladki bas shabdo se khel rahi thi. Usse toh khud nahi pata tha woh phone par ajnabi kaun tha.

Boss : Seedhe seedhe bataati ho ya-!?

Usne achanak hi apni jeb se gun nikaal uspe taani,

Ladki : Ya fir kya? Goli chalaoge? Chala lo! Tumhe kuch pata nahi lag payega. Mein khud hi nahi jaanti. Mujhe to bas yaha aake yahi dekhne ke liye bheja gaya hai ki tum zinda ho ya-

Boss ne apni gun ko neeche kiya.

Ladki : Mein koi nuksaan nahi pohuchana chaahti kisi ko. Mera kaam ho gaya hai. Ab mein chalti hu!

Aur wo jis nidarta se andar aayi thi ussi nidarta se baahar ko jaane lagi. Poore hideout me uski heels ki chalne ki awaaz bas goonjti rahi.

Aur kuch hi shano me woh unn sab ki nazro se ojhal ho gayi.

Na hi Boss ne usse pakadne ke liye kaha aur na hi aadmiyo ne apne aap se koi qadam uthaaya.

Baahar aate hi ladki ki aankho me ek chamak thi. Usne apna ek kaam kar diya tha. Ab bas ek aur kaam karna baaki tha.

Hideout ke andar baitha boss koi aur nahi...! Wahi tha...!

SLOGAN!!!

Ladki ke baahar nikalte hi woh garaj utha,

Slogan (yells) : Steve!!!!

Steve : Haan Dada!!!

Slogan : Ye ladki-!!!

Steve : Kya aap isse jaante hai?

Slogan : Bilkul nahi!!! Kahi ye ladki-!!

Steve (hairaani me) : Aapka matlab uss phone waale bande se-!?

Slogan : Steve!!!

Steve : ???

Slogan : Iss ladki ke peeche aadmi bhejo. Mujhe shaq hai ki ye ussi phone waale insaan ki saath hai. Dhyaan rahe woh marrni nahi chaahiye.

Steve ne agle hi pal aadmiyo ko ishaara kar kayi saare aadmi uss ladki ke peeche laga diye.

Steve : Dada...!?

Slogan : Gaadi taiyaar rakho! Hum nikal rahe hai. Aaj kaise bhi kar ke mein nakaam nahi ho sakta. Hargiz nahi!!!

Usne apni chaathi ke jeb me rakhe uss paint brush ko mehsoos kiya aur usse apni andar ki shirt me daal liya.

Steve : Jii Dada!!

Gaadi taiyaar hote hi Steve aur Slogan uss par sawaar hue aur nikal gaye apni manzil ki orr.

Slogan : Aadmi taiyaar hai?

Steve : Haan Dada! Sab jangal waale ilaake ke paas taiyaar hai. Baahar ke mangwaaye assassin me se woh Matthew bhi taiyaar hai.

Slogan : Hmm!!

Steve : Uss Kaera ko qaid karte hi, hume waha se speed me nikalna hoga.

Slogan : Galti na hone paaye.

Steve : Haan Dada! Aap fiqr mat karo!

Slogan : Woh Balhaar bhi kuch chaal chal raha hai shayad!!

Steve : Hume abhi pata lag jayega Dada!

Raat ke sadhe dus ho rahe the aur unki gaadi Mumbai ke ek resort ki taraf bhagti hui pohuchi.

Steve ke gaadi entrance par lagaate hi resort ka ek guard apni jagah se uth ke car ke nazdeek aaya.

*Thud* *Thud*

Usne haath se sheeshe par do baar thoka toh...

*Swwiiissshhhhh*

Sheesha neeche hua.

Guard : Peeche ki Dickey kholo.

Steve ne sarr haan me hilaaya aur dickey khol dii. Guard ne poori Dickey check kii aur band kar andar jaane ka ishaara de diya.

*Vrrroooommm*

Car aage badhi aur andar chalti gayi. Resort itna bada tha ki aisa lag raha tha kisi highway me gaadi chal rahi ho.

Gaadi ko ek jagah laa ke Steve ne headlights band kar di.

Slogan ne lighter jalaate hue ek cigarette jalaayi aur ek kash lagaaya.

Slogan : Aaj sab doodh ka doodh aur paani ka paani ho jayega.

Steve : Yadi aapka anumaan sahi hai Dada. Toh woh yaha nahi aaega. Par...

Slogan : Hmm! Information usne sahi bheji. Par abhi uska aana baaki hai.

Aaj Balhaar ka test tha.

Aur ye resort kisi aur ka nahi, balki Kaera ka hi tha. Jo usne haal hi me apne naam karwaaya tha. Aaj wo yaha bas bachi hui payment karne aayi thi.

Aur kuch hi derr me woh haazir thi. Uske saath saath bodyguards bhi maujood the.

Kendall-Jenner

Steve : Woh toh aa gayi Dada! Matlab Balhaar sahi hai.

Slogan : Usse ek aur kaam saunpa hai humne. Woh ye ki woh Kaera ko kahe ki iss car me Veer uska intezaar kar raha hai. Woh yaha aayegi aur-

Steve : Hum usse dhad dabochenge! Tum dono taiyaar rehna!

Steve ne peeche baithe do aadmiyo se bola toh dono ne haami bhari.

Slogan : Uska call bhi aana chahiye.

Steve : Haan Dada! Call karega hi abhi Balhaar!

Dono ke phone baahar hi the jeb ke. Parantu,

Koi call na aaya.

Steve : Huh?

Slogan ne dekha ki Balhaar ke hontho par agle hi pal haivaano waali muskurahat chhaati jaa rahi thi. Uske raungte khade ho gaye. Steve ko jaise hi samajh aaya woh chillaaya,

Steve : Balhaaaaaaarrrrr!!!!

Par,

*BAAAANNGGGGG*

Steve ka sarr tarbooj ki tarah phat gaya. Aur laalam laal khoon poori car ke andar bikhar gaya.

Ek laat dete hue Slogan ne Steve ko car ke baahar dhakela aur woh gusse se chillaaya,

"Veeeeeeeeeeeeerrrrrrr!!!!"

*Vrrrrooooooommmmm*

Gaadi bhagaate hue woh resort se nikla.

Aur idhar uske nikalte hi, Veer aur Karan ki gaadi uske peeche lag gayi.

Karan ne agle hi pal Jassi ko phone bhidaaya. Aur signal milte hi Jassi samajh gaya usse kya karna tha. Mod pe apne saathiyo ki 15-20 cars me drivers ko usne ishaara kar diya.

Karan apni blue mulsanne me Veer ke sang Slogan ke peeche tha.

Veer : Snipers ne apna kaam acche se kar diya.

Karan : Fuck!!! You were right!

Veer : I told you!

Slogan ki car tezz raftaar me bhaagti jaa rahi thi. Uske peeche na jaane kitni hi gaadiya lagi hui thi.

Slogan paseene se lath-path steering sambhaale hue tha.

'Veeeeeeerrrr!!! Bhale hi tumne ek ladaayi jeet li hai. Par jung mein hi jeetunga. Tum meri territory me aa rahe ho!!! Aaj mujhe mere maqsad se koi dur nahi kar sakta...!!'

Usne asmaan me dekha. Akaash me woh chamak raha tha.

Full Moon!!!

Par uss car chase me woh akela nahi tha. Idhar uss ladki ke peeche Slogan ke khud ke aadmi lage hue the.

Woh ladki apni car ko sarpat raaste par dauda rahi thi.

Farq sirf itna tha ki Slogan ki tarah uss ladki ke chehre par koi chinta nahi thi.

Aisa lag raha tha maano woh kisi video game me car chala rahi ho. Jaha zindagi aur maut ki koi fiqr hi nahi rehti thi.

Woh dekh paa rahi thi kaise 2 gaadiya uska peecha kar rahi thi.

Ladki : Hmph~ Kids...!

Usne gear shift kiye aur ek sateek turn par usne drift maar di.

Peeche waali ek gaadi samay par mud na paayi aur agle hi shan,

*CRAAAAAASHHHHHH*

Woh railing se jaake khaayi me jaa giri.

Dusri ab bhi uske peeche lagi hui thi.

Ladki ne achanak hi speed ekdum badha di. Aur gaadi ko seedh me bhagaane lagi. Steering usne maano chodh hi diya tha.

Peeche lagi car bhi uski hi raftaar se uski orr aane ki koshish me lagi rahi.

Par achanak hi,

*Turn*

Ladki ne steering ko halka sa ghumaaya aur car ko zara sa daayi orr kar liya.

Peeche se aa rahi car me baithe driver ki aankhein tabhi phati ki phati reh gayi.

Uske saamne divider ka ek chhor tha.

Aur,

*BOOOOOOMMMMMMM*

Ek tezz awaaz ke saath woh car bhi waha jaa bhidi. Dono cars ko asaani se chakma de chuki thi woh.

Woh ek flyover ke paas pohuch hi rahi thi jab usse ek ke baad ek gaadiya jaati nazar aayi.

Aur usne agle hi pal apni car unn gaadiyo ke peeche laga di.

Idhar Veer aur Karan ki car drift par drift maar rahi thi. Saath hi Raghu aur Jassi ki bhi,

nightdriver3

Raghu : Shit!!! Ye road kesi hai? Overtake bhi nahi kar sakte. Aur zyaada speed me gaye toh uss se bhid jaenge. Oye! Jassi!!! Kuch bol!!!"

Par unhe nahi pata tha ki ek aur car unke iss safar me jud chuki thi.

Veer aur Karan bhi chintit the.

tumblr-f3249cdcadddfaaef927e37b3da43778-aabca2f1-400

Karan : What the fuck is wrong with that guy? Akhir wo hume le kaha jaa raha hai??? Ye road mujhe bilkul bhi nahi lagta ki cars ke liye hai. Itni sunsaan aur upar se dusri side se ek gaadi tak nahi aa rahi hai. Bas abhi tak chuninda 2 se 3 hi nikli hai dusri orr se.

Idhar Jassi ne achanak hi gaadi ko slowdown karne ki chetaavni di.

Parantu, pehli car ne uski baat na maani. Aur nateeja...!

*BOOOOOOOOOOOOOOOMMMMM*

Car ke chithde udd gaye.

Aur fir shuru hui gang fight.

Jassi aur Raghu apne saathiyo ke saath gang members se bhid chuke the.

Toh wahi Veer Karan ko waapas lautne ka vaada kar uski blue mulsanne liye andar jangal me ghus gaya tha.

Toh wahi woh ladki apni car ko unn sab se thoda dur rok raaste par khadi ho gayi.

'Idhar se nahi ho paayega. I must be within a close distance.'

Agle hi pal uski nazre bagal se lagi chhote chhote pahaado ki chotiyoon par gayi.

Aur uske hontho par ek muskaan sajj gayi.

Veer aur Matthew ki bhidant andar jangal me chaalu thi.

Harr taraf se bas bullets ki awaazein aa rahi thi. Aur shor macha hua tha.

Par inn sabki nazro se bach ke, ek saaya tha jo pahaad ki choti par maujood tha.

Jassi : TEAM!!! Datte raho!!! Bas cover se baahar nahi nikalna hai. Aim kar ke hi shoot karna. Zyada time nahi lena aim karne me. Nishaana chookta hai toh chookne do.

Team : Yessss Sirrrr!!!

Samay beetata gaya. Aur Veer Matthew ko thikaane lagaane ke baad Slogan ko dhoondh chuka tha.

Chand hi palo me Slogan ki saansein tham gayi.

Aur idhar pahaad par khadi uss ladki ke mann me agle hi pal ek awaaz goonji,


0fa762c99ba71ae596c2dcc88bc16a57

*Ding*

e

Ladki ke chehre par se saare bhaav gaayab ho gaye.

Usse uss ajnabi aadmi ki woh baat yaad aayi,


'Jwaala ki tarah bhadko nahi dear. Jal ki tarah shaant raho. I'll wait for your result.'

Usne agle hi pal apna phone nikaal uske number pe ek message bhej diya,

"Slogan is DEAD!"

Aur uske honth kuch apne aap se kehne ke liye khule,


"Jal bhi mein hi hu!!!
Aur jwaala bhi...!!!
No one can stop me!!!
Not even you!!!"

Uske bol uss ajnabi caller ke liye the.

Woh agle hi shan mudne ko hui jab uski aankhein neeche sadak par khade ek aadmi se jaa takraayi. Kisi ne usse yaha khade dekh liya tha.


96278611d6bcc9c962f4b7cd5cc3d1c5

Woh koi aur nahi...! Jassi hi tha.

Jiske badan me woh saaya dekhte hi raungte khade ho gaye.

Magar, agle hi second woh saaya waha se gaayab ho gaya.

Aur idhar,

Raghu : Kya baat hai? Tu kuch pareshaan lag raha hai?

Jassi : Huh? N-Nahi! Kuch nahi! Chal!

'Akhir wo kya tha??? I'm sure mene uchaayi par wo saaya dekha tha. Kya wo koi jaanvar tha? Samajh nahi aa raha.' Jassi apne mann ki gutthi me uljha reh gaya.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Veer ki dasha par hum agle update me lautenge aur usse prakran ko finish karenge. Abhi zyada kuch nahi kahunga kyuki bas abhi ju logo ki pratikriya dekhunga :D haha! Aur apna apna kaam kar ke jaane ka man!! Likes thokne ka. Aur revos rakhne ka. Mujhe kehna na pade baar baar. Baaki milte hi hum agle update me.

Dhanyavaad! ✨
Ohho to ye hai wo madam but abi bi 1 suspense or kr dia iske paas system bi system hai
.
Lgta hai hai ab system ka RAAZ bi jldi dekhne ko milega
.
Update mast hai
.
Poorani yad taja krdi bhai or Raaz bi
 
Top