• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

aka3829

Prime
3,369
12,321
159
Gajab ka update diya he bhai. Maja aa gya. Aur ye namaank mulaank aur bhagyaank ka bhi pata chal gya. Aur aapne to mera hi nikal diya. Gajab aur dhanyawad. Raj to gufa me ghus gya he ahr waha ka darwaja bhi band ho gya he. Ab dekhna ye he ki aage kya hoga.
Waiting 4 next update
 

Tony stark

Active Member
963
4,462
123
SAAJAN
UPDATE- 280

Agar sach kaha jaye to manav me vichar hi mukhya hain…vicharo ke anusar sanskar bante hain aur sanskar ke adhaar par jeevan ka nirman hota hai…marne ke baad achche vichar, aise sukhad aur anand dayak vatavaran ka nirman kar dete hain ki jinhe hum swarg kah sakte hain…jabki bure vicharo se klesh, yatna aur mansik kashto ka vatavaran taiyar hota hai, vahi nark hai.

Achche vichar aursanskar jeevan ko pane ka ek mulyavan avsar hai…iss avsar ke jariye jeevan paya bhi ja sakta hai aur khoya bhi ja sakta hai…manav jeevan kitna mulyavan aur mahatvapurna hai, ye tabhi samajh me aata hai, jab mar kar hum dono ko kho baithte hain.

chalte chalte akhir hum unn pahado ke nikat pahuch hi gaye jiske dusri taraf vo qila tha….mere hath me uss divya talwar ab bhi thi jiski roshni ke karan hame rasta dekhne me koi pareshani nahi ho rahi thi.

Unn pahado ko paar karne ke liye hamne apne kadam aage badhaye hi the ki tabhi….

Ab Aage…….

Kuch akritiyo ne achanak hi vaha prakat ho kar hame gher liya…sirf parchhayi hi nazar aa rahi thi unki…ye dekh kar sab ek bar phir se dahshat me aa gaye.

Neha—ye…ye…ab kya hai…?

Raj—daro mat chalte raho..ye shapit jagah hai to yaha kuch na kuch to chalta hi rahega..

Madhu—lekin ye hai kya bala... ? koi dikhayi kyo nahi de raha hai... ?

Raj—ye shapit jagah hai to yaha kuch na kuch to chalta hi rahega...mere hote huye kisi ko darne ki jarurat nahi hai..

Paridhi—mama ji aur munni ko bachane ke liye tumne apni power kyo use nahi ki pahle... ? dekho mami kitni dukhi hain... ?

Raj—kyon ki ye ek mayajaal hai, jisse ki hum isme hi ulajh kar rah jaye...main shaktiyo ka prayog karta bhi to unhe nahi bacha pata kyon ki vo na to asli mama the aur na hi asli munni..

Sabhi (shocked)—kya matlab... ?

Raj—matlab ye ki pahle maine bhi ye sab sach hi samajh raha tha lekin jab maine mama ji ko uss pret ke changul se chhudane ke liye unka hath pakda to mujhe sari sachchayi malum ho gayi...unka hath pakadte hi mujhe aisa laga jaise ki maine bina maans ke kisi haddi ko pakda hua hai...isliye maine dubara unko bachane ke liye apni power ka use nahi kiya.

Rooplay (bhavuk)—iska matlab ki tere mama jinda hain... ?

Raj—mami, ummid to yahi lagti hai..

Roopaly—to chal beta sabse pahle tere mama ko bachate hain..

Raj—mami, abhi hum chah kar bhi kuch nahi kar sakte..kyon ki ye sab mayajaal hai aur isko tode bina mama ji tak pahuchna lagbhag namumkin hi hai..

Priyadarshini—to phir ye jaal tootega kaise…?

Raj—inn sabhi ghatnao ka sambandh uss qile se hi hai…jo bhi hoga uss qile me pahuch kar hi ho sakta hai..

Hum baate karte huye chalte ja rahe the…maine sabhi ke charo taraf ek adrishya suraksha kawach bana diya tha jisse koi adrishya shakti kisi tarah ka nuksan na pahucha sake…vo parchhaiya bhi lagatar hamare sath sath hi chal rahi thi.

Payal—lekin ek baat samajh me nahi aayi ki itne saare raj kaise paida kiye tune…?

Veer—kya vo sab tera ansh hain…?

Raj—pahli baat to ye ki ansh ka matlab vahi nahi hota hai…ansh ka matlab hota hai ki usse hi uttapann hua…arthat jisse vo uttapann hua vo uska janak kahlaya…jaise ki hanuman ji bhagwan shiv ke ansh hain to kya hanuman ji mata parvati ko apni patni kahne lagenge…? Nahi na, jo roop jiska ansh hota hai unn dono me pita putra ka sambandh hota hai, dono ek hi nahi hote hain….jo ek hi hote hain unhe avtar ya pratichhaya (pratiroop) kahte hain…har putra apne pita ka ansh hota hai…apna ansh khud nahi hota….ye sabhi mere hi shakti dwara uttapann pratiroop the.

Mamta—maine hi tujhe apni kokh se paida kiya lekin khud bhi aaj tak tujhe samajh nahi payi..

Raj—aisa mat kaho maa, ek putra ko uski maa se jyada dusra koi nahi samajh sakta..shayad isliye hi iss brhmand me maa ka sthan sabse upar hai….yaha har kisi ka karz utara ja sakta hai lekin maa ke karz se putra kabhi bhi karz mukt nahi ho sakta.

Maa ke bina zindagi ki har baat hai bilkul kori,

Duniya ka sabse sundar sangeet hai maa ki lori.

Aise hi baate karte huye hum qile tak pahuch gaye…sabhi uss mahal numa qila ko dekh kar hairan the…maine sab ko apne piche aane ka ishara kar ke aage aage chalte huye uss khidki tak aa pahucha jaha par vahi tilismi kaanch laga hua tha jisse andar jhankne par past ki ghatnaye dikhayi deti hain.

Maine talwar ki madad se uss kaanch ko niche gira diya aur khidki ke raste bhitar ghus gaya…dhire dhire meri dekha dekhi sabhi andar aa gaye…sab ke bhitar aate hi vo kaanch apni jagah par pahle ki tarah hi apne aap khidki me fit ho gaya….ye chamatkar dekh kar sab ashcharya chakit rah gaye lekin divya ne sab ko uss kaanch ki vishesta ke baare me bata diya jisse unki hairani aur bhi jyada badh gayi….

Geeta mami—hey ram..! jane aur kya kya ajoobe dekhne ko milenge…?

Mamta—aap sahi kahti ho bhabhi..kabhi socha bhi na tha ki aisa din bhi dekhne ko milega…dharti ke bahar bhi koi duniya ho sakti hai jaha log rahte honge aur ek din hum bhi vaha jayenge, ye sab kab socha tha kisi ne..?

Kiran—haan aur sabse badi hairani ki baat to raj bhaiya ke paas supernatural powers ka hona hai…

Diksha—wow..ab to main bina padhe hi top kar sakti hu class me..bhaiya ki power ki help se..

Raj—aisa kabhi khwab me bhi mat sochna ki main iss kaam me tumhari koi madad karunga..

Diksha (kaan me)—bhaiya..main apki biwi bhi to hu bahan hone ke sath sath…kya apni biwi ki madad bhi nahi karoge aap…?

Raj (kaan me)—biwi ki madad dher saare bachche paida karne me karunga…exam me nakal karne me nahi..samjhi.

Veer—yaha se aage jane ka koi rasta hai hi nahi yaar..ye mata mahakali ki vishal murti bahut purani lagti hai..

Raj—abhi dikh jayega rasta bhi..

Maine turant uss talwar ko maa mahakali ke ek khali hath me pakda diya..agle hi kshan uss murti se ek tez prakash prakashit hua aur phir sab kuch shant ho gaya..ab vaha roshni ke sath darwaja bhi nazar aane laga tha...sabne uss murti ko jhuk kar pranam kiya.

Veer—wow..rasta bhi ban gaya..

Raj—sab aa jao andar…veer tum piche rahna sab ke…aur alert rahna kisi bhi khatre ke liye...vaise to ummid kam hai abhi koi khatre ki phir bhi kuch kaha nahi ja sakta..

Veer—tum chinta mat karo…main sambhal lunga..

Hum sab vaha se andar jane wale raste se bhitar chale gaye…main sidha sabse pahle vaha bane uss kamre me aaya jaha mujhe minakshi mili thi….andar ghuste hi kuch ko chhod kar baki sab chounk gaye uss kamre me meri aur divya ki tasveer dekh kar jisme pichle janam ki janam aur mrityu ki date likhi huyi thi.

Sabhi (shocked)—ye…ye..to mahak aur raj ki tasveer hai…ye tasveer yaha kaise…? Aur iss par ye date kaisi likhi hai…? Isme raj ka naam jitu (saajan) kyo likha hai…?

Mamta (hairan)—beta ye sab kya hai…?

Veer—haan raj..ye sab kya hai…?

Payal—maa, ye raj aur divya ke pichle janam ki tasveer hai..tab raj ka hi naam jitu tha aur vo yaha ka yuvraj tha..aur divya uski premika..iss jagah par hi dono ki mrityu huyi thi.

Sab (shocked)—kyaaaaaaa….?

Payal—hmmmm

Neha—haan didi, payal sahi bol rahi hai…

Ruchi (shocked)—to kyaa…to kya, raj hi vo saajan hai jiska naam le kar gudiya achanak cheekh kar neend se raat me uth jati thi..?

Payal—haan

Mitaly—ye kaisa sambandh hai…? Gudiya to raj ki choti bahan hai..phir ye kaise ho sakta hai…?

Geeta—bhabhi vo pichle janam ki baat hai…iss janam me vo uski bahan hai..

Mamta (mann me)—hey bhagwan ye kaisa adbhut chamatkar hai…kahi gurudev ki baat sach to nahi..?

Ruchi—betu—tu kuch bol na..

Raj—didi, abhi nahi baad me…yaha jab sab aa hi gaye hain to vaise hi sab kuch malum ho hi jayega…chalo ab yaya se…

Sabhi mere aur divya ke punar janam ki baat se hairan the..vo to achcha hua ki payal didi ya neha chachi ne apne baare me koi baat nahi batayi warna musibat ho jati…sab ko le kar main niche tahkhane me utar aaya…ki tabhi vaha kisi ko dekh kar vo sabhi chounk gaye..

“Aao saajan, main kab se tumhare aane ki pratiksha kar rahi thi.” Vaha tahkhane me ek singhasan par baithi ek aurat ne kaha.

Mamta (chounk kar)—ye koun hai beta..?

Raj—maa, ye rajlaxmi hai…iss mahal ki choti rani aur jitu yani ki meri patni..main yaha iski hi mukti ke liye aaya hu..

Sab (shocked)—kyaaaa…?

Rajlaxmi—saajan satya bol rahe hain maa ji…mera pranam swikar kare..

Roopaly—mukti, kaisi mukti…?

Mitaly—vo to hamare samne khadi hai..

Raj—nahi maa, rajlaxmi mar chuki hai..ye to sirf uski aatma hai jo yaha qaid hai…

Geeta (darte huye)—kyaaa mar chuki hai …? Iska matlab ki ye bhoot hai…? Bhago jaldi yaha se…

Raj—kisi ko rajlaxmi se darne ki jarurat nahi hai…vo kisi ko nuksan nahi pahuchayegi..vo to bechari khud hi bebas hai..

Mamta—kisne qaid kiya hai use... ?

Raj—yahi janne to aaya hu main yaha…jisne bhi qaid kiya hai uska hi hath sab ko gayab karne me bhi hai..agar uss tak pahuch gaya to rajlaxmi ki mukti ke sath sath baki gayab huye log aur mama ji bhi mil sakte hain agar unme se koi jivit hua to.

Veer—koun hai vo aur uss tak pahuchenge kaise hum…? Aur sabse badi baat ki vrihadpur ka tilism tootega kaise…?

Rajlaxmi—jisne iss tilism ki rachna ki hai vahi upaay bhi bata sakta hai isko todne ka..

Divya—kisne ki thi iss tilism ki rachna…?

Rajlaxmi—aapke pita kanva rishi ne aap dono ke sath yaha huyi ghatna se kroadhit ho kar ye tilism banaya tha..aur phir uss tilism me sabhi ko qaid kar diya tha.

Divya—kya..pita shri ne banaya tha…? Kaha milenge vo…mujhe unse milna hai…?

Rajlaxmi—iss jagah ko tilism se badhit karne ke pashchat vo yaha se chale gaye the..unke baare me to mujhe kuch bhi gyat nahi hai ki vo kaha mil sakte hain..lekin unhone uss tamra patra me saajan ke liye kuch likha tha…maine unse jab vinti ki thi to unhone kaha tha ki ek din saajan yaha ayenge tabhi meri mukti hogi

Raj—chalo abhi sote hain kal subah dekhenge..aur sab ek hi room me sona alag alag nahi..rajlaxmi inhe mere kaksh me le jao.

Rajlaxmi—theek hai saajan..

Payal—kyo tu nahi chalega…?

Raj—haan chal raha hu main bhi..

Rajlaxmi sab ko mere kaksh me le aayi....vaha aate hi chanchal ki ankhe bhar aayi..shayad use sab yaad aane laga tha...aur sandhya ko bhi...magar uske chehre par dukh ki jagah gussa umad raha tha...vo gusse se divya ki taraf dekh rahi thi..ye samajhte huye maine jaldi se sandhya ko apne seene se laga kar chipka liya...lekin vo khud ko mujhse chhuda kar uss pahle wale kamre me bhag gayi....chanchal bhi rote huye mere paas aa gayi to maine use bhi apni baho me qaid kar liya..ye dekh kar phir se sabhi hairan ho gaye..

Chanchal—saajannn...

Mamta (hairan)—ab ye sab kya hai... ?

Payal—main batati hu maa....(phir payal didi ne pichle dono janam ki kahani sab ki batayi)

Pichle janam ki kahani sun kar sabhi ki ankhe hairani se khuli rah gayi...unhe iss baat par vishwash karna mushkil sa ho gaya magar sach to samne tha...na chahte huye bhi unki ankho se aviral jaldhara pravahit hone lagi.

Main vaha se nikal kar sandhya ke paas gaya to vah deewar par tangi meri tasveer ko hath me pakde dekh rahi thi..uski ankhe gusse se ekdam lal thi...mujhe dekhte hi usne tasveer ko deewar me patak kar tod diya.

Sandhya (gusse me)—jao yaha se...tumne har bar mujhe dhokha diya hai...lekin...lekin iss bar main nahi hone dungi...divya ko marna hoga...main use chhodungi nahi...aur tum bhi nahi bachoge...mere sath huye har ek julm ka tumhe hisab chukana hoga.. iss bar bhi tumne vahi kiya...pahle mujhse pyar karne ka natak kiya aur phir divya ke milte hi mujhe apni zindagi se doodh me padi makkhi ki tarah nikal phenka...ab to jo bhi mere raste me ayega, unn sab ko marna hoga...suna tumne saajan, sab ko marna hoga..kisi ko nahi chhodungiii...

Aur phir sandhya dusri taraf muh kar ke rone lagi...maine use samjhana chaha to usne mera hath jhatak diya...main bahar aa kar darwaje ke paas khada ho ke chupchap use dekhne laga.

"Vo Roye To Bahut, Par Mujhse Muh Mod Kar Roye,
Koi Majburi Hogi To Dil Tod Kar Roye,
Mere Samne Kar Diye Meri Tasveer Ke Tukde,
Pata Chala Mere Piche Vo Unhe Jod Kar Roye."

Tabhi...

Chattttaaakkkk......Chatttaaakkkkk.......Chattttaaaaakkkkkk
SUPERB UPDATE

YE TO ACHHA HUA KE DHIRE DHIRE PURE PRIWAR KO SAAJAN KI SACHAI PATA CHAL RAHI HAI

LEKIN EK BAAT BAHOT GALAT HOTI JA RAHI HAI KI SANDHYA KA GUSSA AUR NAFRAT DONO HI APNE CHARAM PAR PAHUCH RAHI HAI, JO AAGE JA KAR SABKE LIYE....EK BURA WAQT LA SAKTA HAI
 

Tony stark

Active Member
963
4,462
123
SAAJAN
UPDATE- 281

Aur phir sandhya dusri taraf muh kar ke rone lagi...maine use samjhana chaha to usne mera hath jhatak diya...main bahar aa kar darwaje ke paas khada ho ke chupchap use dekhne laga.

"Vo Roye To Bahut, Par Mujhse Muh Mod Kar Roye,
Koi Majburi Hogi To Dil Tod Kar Roye,
Mere Samne Kar Diye Meri Tasveer Ke Tukde,
Pata Chala Mere Piche Vo Unhe Jod Kar Roye."

Tabhi….

Chatttaaaakkkk…..Chattttaaaakkkk…..Chattttaaaaakkkkk

Ab aage…..

Iss thappad se main chounk gaya….ye payal didi thi jo mera picha karte huye yaha na jane kab pahuch gayi aur sandhya ki baate sunte hi unka gussa satve aasmaan par pahuch gaya…main ya sandhya kuch samajh paate tab tak teer kamaan se nikal chuka tha…unhone gusse me aav dekha na taav tadatad sandhya ke gaalo par teen chaar thappad jad diye.

Payal (gusse me)—raj ko maarne ki baat sochne ki teri himmat kaise huyi…? Iss kulhadi se kaat ke tukde tukde kar dungi tere.. ye mat samajhna ki tu meri bahan hai to main tujhe chhod dungi…hath laga kar to dekh raj ko..phir tujhe abhi issi samay pata chal jayega ki main tera kya haal karti hu..

Iss thappad se sandhya ka gussa bhi badhne laga aur vo payal didi ko ghur ghur kar dekhne lagi…payal didi ne use maarne ke liye kulhadi wala hath upar uthaya hi tha ki maine jaldi se unhe pakad liya…ye achcha hua ki ye kamra sound proof tha jisse kisi ko dono ke chillane ki awaz sunayi nahi padi warna naya bakheda khada ho jata.

Payal (gusse me)—rajjj..chhod mujhe…isne tujhe maarne ki sochi bhi kaise…?

Raj (baaho me le kar)—didi, meri baat to sun lo..sandhya didi ne mujhe maarne ki nahi balki mere dushmano ko maarne ki baat kar rahi thi…aap ne galat fahmi me aa kar unke upar hath utha diya..

Payal (chillate huye)—achcha..ab tu kahna chahta hai ki main bahri hu…? Jaise ki mujhe kuch sunayi hi nahi deta ho..?

Baat badhte dekh maine payal didi ko apni god me utha liya aur apna ek hath unke sir pe rakh kar unke manas patal se abhi jo kuch bhi hua ya unhone jo kuch suna uski yaade mita di…abhi sandhya ki kahi huyi baate dimag se vismrit hote hi aur apne aap ko meri god me dekh kar unka chehra khushi se khil utha…unhone jaldi jaldi mere chehre par chumbano ki jhadi hi laga di.. didi ko room me chhod kar main phir se sandhya ke paas lout aaya jo ki phir se meri tasveer ke tukdo ko dekh dekh kar ro rahi thi.

Raj—sandhya meri baat suno..

Meri awaz sunte hi usne unn tukdo ko phir se phenk diya...maine ek bar phir se usko jabardasti apne seene se laga diya.. pahle to usne chhutne ki bahut koshish ki lekin phir dhire dhire shant ho gayi rote rote….uske shant hote hi main usko apne room me le aaya…sabhi thake huye the to jaldi hi so gaye..main aur veer jagte rahe pahra dete.

Veer—tune mujhse kya kya chhupaya hai…tune mujhe sach batane ke kabil hi nahi samjha kabhi kuch bhi…?

Raj—aisi baat nahi hai yaar…teri dosti mere liye sabse anmol hai dost…mujhe khud hi pata nahi tha pahle to kya batata main tujhe ya kisi ko…har baat ka apna ek samay hota hai…ab jab uska samay aaya to sab ko yaha le aaya, sach se rubaru karane ke liye….

Veer—lekin unn gayab huye logo ka kya hua…kisne gayab kiya unhe..ye to didi ne bataya hi nahi…?

Raj—sab pata chal jayega…

Aise hi hum dono baate karte rahe...main veer ke sawalo ke jawab deta raha jo abhi dene layak tha, baki ko future ke liye taal diya...tabhi rajlaxmi bhi vahi aa gayi.

Veer—apko neend nahi aayi ab tak.... ?

Raj—vo aatma hai…uske liye to raat hi din hai..

Veer—main to bhool hi gaya tha ye..hihihi

Raj—ab tum bhi so jao kuch der veer..

Veer—meri neend to teri kahani sun kar hi gayab ho chuki hai..ab to aane wali nahi hai….vo sab chhod aur ye bata ki aage karna kya hai…?

Raj—uss bhoj patra me likhi bhasa ko padhna hai aur kya…shayad usse kuch jankari mil jaye…

Veer—to padh na phir…main bhi to dekhu ki usme likha kya hai…?

Raj—vo to payal didi ke paas hai..subah dekhte hain.

Veer—kya rajkumari janhavi ka bhi pichle janam se koi rishta hai tumhara…?

Raj—pata nahi..pichle do janam se to koi rishta nahi hai hum dono ka…

Rajlaxmi—aage ka rasta ussi bhoj patra me hi mil sakta hai..jo kanva rishi se saajan ke liye likha tha shayad..

Raj—dekhte hain..

Subah hote hi sab ek bar phir se mere paas ekatthe ho gaye…maine payal didi se vo bhoj patra le liya…vo meri har cheez ko bade hi dhyan se sambhal kar rakhti thi….kamre se mile uss patra ko dhyan se dekhne laga kintu uski likhawat hum sabki samajh se bahar thi…

Priyadarshini—main dekhu kya…?

Kanta—jab raj nahi samajh paya uss writing ko to tu kya samjhegi…?

Mrinal (gussa ho kar)—ye kaanta (kanta) apko kya pareshani hai…? Meri saheli bahut si bhasa janti hai..ho sakta hai ki use ye bhasa padhni aati ho…? Agar usne dekh liya to kya burayi hai aur apko mirchi kyo lag rahi hai…?

Raj—ye lo priyadarshini…

Priyadarshini—(patra ko dekhte huye)..ye main padh sakti hu..

Divya—thats great…kya likha hai usme…?

Priyadarshini—isme likha hai ki ‘iss tilism ko khatam karne ke liye tilismi kamal mata mahakali ke ek hath me arpan karna hoga jo ki behad mushkil kaam hai...uss kamal ko kewal vahi hasil kar sakta hai jiska namank, mulank aur bhagyank ek hi ho...murti ke niche jo tahkhana hai usme se hi ho kar aage ka rasta nikalta hai...kamal ko mata mahakali ke hatho me rakhte hi aage ka marg khulega.’ Iske aage meri samajh me nahi aa raha hai ki kya likha hai kyon ki aage kuch dikhayi hi nahi de raha hai..

Raj—itna kafi hai…aage keshabd tilism se bandhe huye hain…vo mere liye hain isliye kewal mujhe hi dikhayi denge vo shabd aage ke..yahi tilism ki khasiyat hoti hai..

Sab—ye namank, mulank aur bhagyank ka kya chakkar hai…?

Raj—namank ka matlab hota hai kisi ka naam…vyakti ka naam bar bar bola jata hai, isliye uska bahut bada prabhav hum par padta hai…aisa mana jata hai ki soche samjhe tarike se namank, mulank aur bhagyank ka mel ho jaye to vyakti ka bhagya badalne me der nahi lagti…samanytah manav ka bhagya nahi badla ja sakta..hamare jeevan ki teen mukhya ghatnaye..janam, vivah aur mrityu to bilkul bhi nahi badli ja sakti….mulank aur bhagyank hamari janam tithi se bante hain jinhe badla nahi ja sakta vo sthir hoti hain.. kintu naam kya rakhna hai ye to hamare hath me hota hai…naam parivartan kar ke hum apne jeevan me kuch mahatvapurn parivartan avashya hi la sakte hain.

Raj—namank parivartanshil hai…yadi kisi vyakti ka namank uske anukool nahi hai to uske naam ke anko me plus minus kar ke use parivartit kar sakte hain…jisse vah uss vyakti ke anukool ho sake…namank ka sidha sambandh mulank se hota hai…vyakti ke jeevan me sabse adhik prabhav uske mulank aur bhagyank ka hota hai…kyon ki mulank aur bhagyank sthit hain..jo ki vyakti ke vastavik swabhav ko darshata hai..mulank ka taalmel hi namank se banaya jata hai…parantu namank ka taalmel agar mulank aur bhagyank dono se kar diya jaye to sone pe suhaga jaisi sthiti sambhav hai.

Raj—vyakti ke jeevan me utar chadhav ka karan uska namank hota hai…agar hum kisi city me ja kar naukri ya business karna chahte hain to hame uss city ka namank malum karna hoga..phir uss namank ki khud ke namank se tulna karenge…yadi dono anko me behtar taalmel hai to to vo city apke liye faydemand sabit hogi..aur agar ank bhinn hain to sirf nuksan hi hoga apko uss city me…aise me hamare samne do vikalp hain..pahla to hum uss city ko hi tyag de..dusra apne hum apne naam ke aksharo me kuch iss tarah se change kare jisse hamara namank uss city ke namank ke anukool ban jaye..ye sabse saral aur prabhavi tarika hai..

Neha—vo kaise….?

Raj—namank, mulank aur bhagyank ka hamare jeevan me bada mahatva hai…agar namank, mulank aur bhagyank me taalmel na ho to jeevan me kamyabi nahi milti, jeevan hamesha dukhmay rahta hai…isliye namank hamesha mulank aur bhagyank ko dhyan me rakhte huye hi rakhna chahiye…hum kewal naam hi badal sakte hain…mulank aur bhagyank to hamare janam lete hi nishchit ho jate hain, jinhe badla nahi ja sakta…hamare jeevan ke sabhi mukhya karya namank, mulank aur bhagyank ke anko me hi ghatit hote hain….sabhi vyaktiyo ka janam kisi bhi month ki 1 se 31 tarikh me se kisi ek me hota hai…janam ki date har admi ki alag ho sakti hai kintu mulank 1 se 9 ke beech hi niklega…yadi kisi admi ka janam kisi mahine ki 31 tarikh ko hua hai to uska mulank 3+1=4 hoga.

Raj—bhagyank janne ke liye hame date of birth, month aur year ki avashyakta hoti hai…for example..ki agar kisi admi ka janam 31 july 1978 ko hua hai to uska bhagyank hoga…31.7.1978=3+1+7+1+9+7+8=36=3+6=9…uska bhagyank 9 hoga.

Raj—aise hi namank janne ke liye…hame uska sabse adhik naam upyog me aane wale ko adhar manna hota hai..english me sabhi aksharo ke liye koi na koi ank nirdharit kiya gaya hai..jaise ki.

1— A,I,J,Q,Y

2— B,K,R

3— C,G,L,S

4— D,M,T

5— E,H,N,X

6— U,V,W

7— O,Z

8— F,P


For example…31 july 1978 ko janam liye admi ka naam amtul kumar agrawal hai, tab uska namank hoga..
AMTUL KUMAR AGRAWAL
1+4+4+6+3 2+6+4+1+2 1+3+2+1+6+1+3
18 15 17
1+8 1+5 1+7
9+6+8

23
2+3=5..
atah uska namank 5 hoga … jiska namank, mulank aur bhagyank ek jaisa hota hai uske jeevan me khushihali bani rahti hai hamesha…hum naam me kuch changes kar ke usko mulank aur bhagyank ke anuroop bana sakte hain.

Divya—iska matlab ki ab hame aage chalna chahiye…

Raj—hmmm..chalo.

Priyadarshini ne patra me jaisa likha hua bataya uske anusar hum sab apni manzil ki taraf badh chale..jo ki ek tahkhane se ho kar rasta nikalta tha…hum sab ussi tahkhane me ( jo ki mahakali ki murti ke niche hai) ghus kar aage chalte rahe.

Chalte huye hame ek bahut bada gaddha nazar aaya to uske paas pahuch gaye…chaand ki madhyam roshni me bade bade jungli pedo ke beech jamin ki mitti me bane uss bade se gaddhe ka nazara bilkul alag hi tha…uss gaddhe ki satah me mitti ke dhelo se bane bahut saare chote chote patthar kuch iss tarah bikhre pade jaise ki unko jamin par rakh kar kisi ka chehra banaya gaya ho.

Sab ke ankho ke samne ki sachchayi chahe jitni bhi rahasyamayi dikh rahi ho magar unn paristhitiyo me main kuch aur hi manobhavo me bah raha tha..main usko kuch dekhne ke baad yakayak aage badha aur jamin par pade unn mitti ke dhelo me se ek ko utha kar sahsa hi gaddhe me bahar ki taraf jor se phenka…meri dekha dekhi bakiyo ne bhi unn dhelo ko phenkna shuru kar diya..agle hi pal sab ke beech unn dhelo ko jyada se jyada door phenkne ka khel shuru ho gaya…aur yahi vo pal tha jab mere muh se achanak hi alphaz nikal pade.

Raj—khul ja simsim

Mera bolna bhar tha ki maano vaha jadu ho utha…dekhte hi dekhte vaha ki poori jamin kampte huye hilne lagi…jis jamini satah se hum sab mitti ke dhele utha utha kar phenk rahe the, vaha se saare dhele apne aap hi idhar udhar ko ludhakne lage..phir dhire jab jamin ka kampan band hua to unn mitti ke dhelo ne ludhak ludhak kar ek aisi sthiti le li jaise ki vo koi pravesh dwar ho.

Jamin ka kampan jaise hi poori tarah shant hua..yakayak unn dhelo ki sajawat se bane dikh rahe pravesh dwar ke beech se ek tez roshni chhan kar bahar ko samne aane lagi aur vaha ek rasta nazar aane laga…iss ghatna kram ko dekh kar sabhi andar tak dahal gaye..agle hi pal uss raste me ek surang nazar aane lagi.

Ruchi (shocked)—bhagwan jane ..ye koun si bala hai jo hamare samne muh khol kar aa khadi huyi hai..aur tum ho ki khud ja kar uske gale lag jana chahte ho..?

Payal—raj, kya ye vahi gufa hai…?

Raj—ye kya hai aur kya nahi..ye to andar jane par hi pata lagega..

Madhu—lekin ye to bahut gahri surang hai..hum iske jayenge kaise... ?

Raj—hum nahi kewal main jaunga…aap sab yahi bahar mera intazar karna..

Payal—nahi, main tere sath jaungi matlab jaungi..mujhe kuch nahi sunna.. samjha.

Divya—main bhi jaungi.

Mamta—main tujhe akele nahi jane dungi..jayenge to sab jayenge…ye mera order hai

Raj—didi, andar jyada khatra bhi ho sakta hai…aur maa, aap sab andar jayenge kaise…? Yaha se andar utarne ke liye koi sidhi nahi hain…isliye sab yahi bahar ruk kar mera intazar karo...main jaldi hi aa jaunga....sirf payal didi aur divya hi mere sath jayengi..(mann me) agar payal didi ko sath nahi le gaya to koi bharosa nahi ki yaha vo kisse ulajh pade..

Raj—veer tum yaha sab ka dhyan rakhna..sab ki suraksha ki jimmedari ab tumhari hai…mrinal tumhari madad karegi..kyo mrinal karogi na madad veer ki…?

Mrinal—haan, haan kyo nahi…jarur karungi

Veer—abe ..ye chudail meri madad karegi…?

Mrinal—ye chota balatkari..jyada chu.. cha kiya na to iss surang me utha kar phenk dungi tujhe..

Raj—hihihi…good

Mrinal—gud…lekin gud (good) to mere paas nahi hai..kaha milega gud…? Mujhe khana hai…mujhe gud bahut pasand hai..

Veer—arey kaan ki bahri…khane wala gud nahi balki good..matlab ki achcha hota hai..samjhi..

Mrinal—mujhe sikhane ki jarurat nahi hai…samjhe…mujhe malum hai ki gud achcha hota hai tabhi to mujhe gud khana achcha lagta hai..

Veer (sir pakad ke)—kuch nahi ho sakta iss ladki ka..

Mamta—maine kah diya na ki hum sab jayenge..ab kya tu meri baat bhi nahi manega…?

Veer—maa theek bol rahi hai..

Raj—theek hai, jaisi sab ki marzi…lekin pahle main jaunga taaki check kar lu ki vaha niche utarne me koi khatra to nahi hai…veer tum iss rassi ko jor se pakad ke rakhna..

Veer—ok

Veer ke rassi pakadte hi main surang me ghus gaya…surang ke muh se andar jate hi usme andar jamin ki gahrayi ki oar jata hua rasta tha...vo rasta kya tha balki bas chattane yu ek ke upar ek aisi khadi thi ki chattani deewaro par jagah jagah pair tika kar niche ki taraf utra ja sakta tha..main kisi jhijhak ke unn chattano me apne pair tikate huye sidha niche utarta chala gaya.

Uss gufa me kayi feet niche utarne tak apne charo taraf ho rahe badlavo par dhyan hi nahi gaya…par badlav to ho rahe the… kuch niche aur utarte hi mujhe apne ird gird bahut garmi mahsoos hone lagi..tab mera dhyan iss taraf gaya to maine ek baar niche ki taraf dekha..to vaha nazro ke samne sirf aur sirf ankho ko choundhiya dene wali roshni thi...uss tez roshni ko dekh kar achanak hi mere mann me pal bhar me kayi khyal umadne lage.

Niche utarte huye bahut garmi, ankhe choundhiya dene wali roshni aur saare halato ka matlab ek hi tha ki jo kuch bhi vaha tha, vo kuch aur nahi balki khaulta hua lava hai..khaulte tapte laava ka khyal hi bade bade irado ko pighla dene ke liye kafi tha...niche dekhne ke chakkar me jaise hi meri pakad chattano se dheeli padi vaise hi main kamar me bandhi rassi ke sahare hawa me jhul gaya.

Mera ekdam se poore vajan ke sath rassi par jhul jane se rassi ke dusre chhor par aisa jhatka pada ki har koshish kar ke bhi veer rassi ko apne kabu me nahi rakh saka...sab ke dekhte hi dekhte rassi ka dusra chhor gufa ke muhane me sama gaya..rassi ke gufa me samate hi jaha vo gahra gaddha tha, vaha ab vaisa kuch bhi nahi tha...bas gaddhe ki upri satah par nazar aa rahi mitti ki jagah par dher sari chattane aa gayi thi...aur vo bhi aisi bhari bhari chattane ki unhe hatakar niche jana to door ki baat unme se ek bhi chattan ko hila pana bhi unn logo ke bas ki baat nahi thi.

Gufa ke andar jane ka rasta band hote dekh kar sabhi ghabra gaye...tabhi achanak
BAHOT HI UMDA UPDATE

AAP TO JYOTISH SHASTRA KE DHANI NIKLE, NAMANK, MULANK, AUR BHAGYANK KO BAHOT HI BHETAR ULLEKH KIYA HAI AAP NE

MUJHE WO KHAND ITNA ACHHA LAGA KI MAINE TURANT HI SCREENSHOT LE LIYA

SUKRIYA EK BEHTAREEN KAHANI KE LIYE
 
Status
Not open for further replies.
Top