• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy इच्छाधारी देव

Boby

Well-Known Member
2,741
12,999
159
UPDATE - 79

Subah ko dev aur rudra uthkar apni sadhna se free ho kar nashta kar ke taiyar ho jate hae .naye mukable ke liye.

Rudra – ha bhai saab chale apne chhote bhai se milne?

Dev – ha kyu nahi aakhir kitna intjar karwayege use chalo.

Rudra aur dev vanraj ki anguthi pahne samandar me aage bad jate hae. Jaese jaese wo aage badh rahe the wo pani ke andar hote ja rahe the. Aakhir ek waqt wo bhi aaya jab dono ne ek jump lekar pani me chalang laga di aur ab tairte hue wo hajaro lakho feet neeche samandar ki gahrai ki or jane lage. Kafi der ho gayi thi unhe neeche ki taraf jate hue lekin na to samandar ka tal najar aa raha tha na hi unhe waese golden aur silver magarmachh najar aa rahe the.

Taerte hue rudra – yar hum ja kaha rahe hae kya ye disha sahi hae?

Dev – vanraj ki anguthi pe yadi vishwas kare to wo hame sahi disha me hi le jayegi. Aur abhi to samandar ka tal bhi nahi aaya.

Ruudra - lekin yar itne me to patal lok bhi aa jata ye sala samandar ka tal kyu nahi aa raha hae?

Dev – ye neel sagar hae. Itna vishal hae ki iski koi seema nahi. Ye ek lok se dusre lok tak faila hae. To kya samudratal itni jaldi aa jayega?

Rudra – lekin yar ek baat aur hae hum log itni der se pani me hae hame thakan nahi ho rahi

Dev – hmmmm shayad vanraj ki anguthi ka hi kamal hae varna ab tak to humne bhi khud ko pani ke hawale kar diya hota. Par iske viprit hum abhi bhi tair rahe hae. Chal speed badha. Ab jyada der nahi lagni chahiye mitti ki gandh aa rahi hae.

Rudra aur dev fir se poori speed me teer ki bhanti tej gati se neeche ki taraf chal padte hae. Aur akhir koi aadhe ghante aur taerne ke baad unhe samandar tal najar aa jata hae. Jaha door se unhe kuchh chamakta hua bhi najar aa jata hae.

Rudra – savdhan dev waha kuchh chamak raha hae shayad ye wahi magarmachh hae.

Dev – ha sahi kaha tune chal aakhir hum apne mejban ke ghar pahuch hi gaye par sale marna mat unhe.

Rudra – pata hae be. Gyan mat de.

Dev – aur rudra tal pe ja kar khade ho jate hae unse thodi hi doori pe.unhe ek sone ki tarah chamakta hua magarmachh najar aaya. Jo apni jagah aaram se leta hua tha bina kisi harkat ke jaese koi mada apne ando ke upar baethti ho.

Rudra ne dev ko dekha to dev ne uska ishara samajh kar haa me garden hilai.

Rudra aage bada magarmachh ki taraf abhi wo uske pas pahucha bhi nahi tha ke wo silver magarmachh teji se aaya aur apni poonch ka bharpoor war rudra pe kiya rudra ne bhi use dekh liya tha lekin pani me hone ki wajah se utni furti nahi dikha paya. Jis wajah se rudra us silver magarmachh ki poonch ki range me aa gaya aur bhadak….. kar ke poonch rudra ko lagi hamla itna tej tha ke rudra pani me taerta hua door ja gira lekin turant hi sambhal ke khada bhi hua.

Rudra – sale hum kya teri lugai bhagane aaye kya jo hame mar raha hae? Hamari cheez hame de do hum chale jayege. Par tu kya meri baat samjhega tu to magarmachh hae. Ruk ishar me samjhata hu.

Silver magarmachh (SM) – mae tumahri bhasha samajh bhi sakta hu, bol bhi sakta hu. Isiliye isharo ki jarurat nahi hae. Kaun ho tum dono aur yaha kyu aaye ho.

Rudra taerta hua dev tak pahuch gaya tha. Aur magarmachh ke mooh se awaz sun ke dono haeran ho jate hae.

Taabhi dev haath jod ke - he dev aap jo koi bhi hae mae nag lok ka yuraj dev singh aapko pranam karta hu. Ye mera param mitra rudra hae iski taraf se hui bhool ke liye mae aapse kshama chahta hu. Ke isne aapko ek sadharan magarmachh samjhne ki bhul ki.

SM – ayushman yuraj, mae tumahri namrata se prasann hua.

Ab apne yaha aane ka karan bataiye.

Dev – kripya apna parichay dijiye.

SM – abhi aap dono ke liye hamara itna parichay kafi hae ke hum yaha ke prahri hae. Aur wo sunahri magarmchh jo aap dekh rahe hae wo meri dharma patni hae. yadi aap wapas lout jaye to hamari taraf se aapko koi kshati nahi pahuchegi. Kintu yadi aap nahi gaye to aage hone wali kisi bhi ghatna ke liye hum uttardayi nahi hoge.

Rudra – dekhiye mahatma hum aap dono ka aadar karte hae. Aur mere mitra ne mujhse pahle hi aapse kshama yachna bhi kar di. Fir bhi mae swaym aapse kshama chahta hu apni galti ke liye aur aapne jo mujh par parahar kiya us ke liye bhi mere man me koi bair nahi. Kintu hum yaha itni door sirf aapko pranam kar ke wapas jane ke liye bhi nahi aaye. isiliye wapas loutne ka to koi prashn hi nahi. Hum yaha jis karya se aaye hae use poora kiye bina nahi jayege.

SM – jid mat karo balak varna tum nahi jante ke tumhara kya anjam hoga

Rudra – anjam se hi darna hota to itni door nahi aate.

SM – to apne aane ka karna hi spasht kar do.

Dev – aap koi sadharan prahri to ho hi nahi sakte. Isliye hey dev mae aapki patni ko bhi pranam karta hu. Aur unke udar (pet) me jo manchitra hae use pana chahta hu. Kripya aap wo hame de dijiye usi ke liye hum yaha aaye hae. Use lekar hum swayam chale jayege.

SM – tumhe us manchitra ki kya awashyakta hae yuraj? Kya mani ka lobh khinch laya tumko? Yadi aesa hae to fir kahta hu laut jao. Kyu ki lobh achha nahi hota, tum yuraj ho naglok ke aur naglok bhi dekha hae maene wo to bahot sampanna lok hae fir kyu lobh karte ho?

Dev – mere yaha aane ka karan mani ko pane ka lobh nahi hae. Balki nag lok ke saath saath tilism lok ki suraksh ke liye aur ek bahot bade dusht aghori ko marne ke liye bhi us mani ki awashyakta hae mujhe. Yadi us ke baad apko uchit lage to mae wo mani swaym wahi sthapit kar duga aur manchitra bhi aapko wapas kar duga. Kintu abhi mujhe manchitra har hal me chahiye.

SM – wo asthiyo ka dher dekh rahe ho yuuraj. SM ne ek taraf ishara kiya.

Dev aur rudra ne us taraf dekha waha insano aur pata nahi kis kis jeev aur danavo ki haddiyo ka ek pahad khada tha.

SM – ye sare jeev, rakshas, insane , asur, aur bhi kaiyo ki asthiya hae. Jo yaha tak tum logo ki tarah pahuch to gaye kintu hum dono ke hatho mare gaye. Sirf apni taqat ke ghamand me . hum nahi chahte ke tum jaese kabil yuraj ko nag lok kho baethe. Isiliye ab bhi waqt hae chale jao. Kyu ki yadi tum nahi gaye to tumhara marna nishchit hae. Waese to mae hi tum dono ko maar duga. Akela Na maar paya to meri dharma patni ke saath milkar tum dono ko mar duga. Aur yadi man lo tum dono hum dono se adhik taqatwar siddh hue aur tum logo ne hame mar diya to bhi hamare marte hi hamare in shareero me ek bhayanak visfot hoga. jisme wo manchitra bhi nasht ho jayega sada ke liye. Aur tum dono bhi us visfot me mare jaoge. Yani aage badne par tumahre liye sirf mout hi hae. Aur koi vikalp nahi. Ab bhi soch lo.

Itni baat sun kar jaha dev muskra raha tha wahi rudra ka krodh uske sir chadh kar bolne laga.

Rudra – hey prahri tumne do galtiya kar lee ek hame dhamkane ki dusri mere samne dev ko jan se marne ki bat kah kar. Ab hum na to wapas jayege na hi tum dono ko marege. Balki tumhari ankho ke samne hi hum wo manchitra hasil karege wo bhi tum dono ko jivit rakhte hue. Aur tumhara ye ahankar nasht karege. Kya samajhte ho? tum bahot bade shoor veer ho? Are itne gahre pani me chhup kar baethe ho. Tum se jyada bahadur to ye sab hae jinki haddiya tumne hame dikhai. Mae nahi janta ye kaun kaun the lekin the tumse bahadur kyu ki in sabne tumahre ghar aakar tumhe lalkarne ki himmat to ki. Apni gali me har koi bahadur hota hae. Lekin ye sare aur hum. Sachhe bahadur hae jo tere ghar aa kar lalkar rahe hae ………..

……………dev tum inhe sambhalo mae ja kar manchitra lata hu.

Dev – nahi rudra inhe tum sambhalo mae jauga manchitra lene.

Rudra dev ke pas ja kar dheere se – yar ye bada khatarnak hae mujhe dar lag raha hae isse tu sambhal na

Dev – abe sale natak mat kar mae janta hu tu koi nahi dar raha isse tu ye sab isiliye hi kah raha hae na kyu ke mae us magarmach ke pet se naksha lane wala hu aur usme khatra bahot jyada hae. Par mere yar tu chinta mat kar tu ise uljha ise mere pas aane mat dena mere pas ek yojna hae. Bas tu use sambhal. Use uljha. Use gussa dila khud par. Uska dhyan bhatka de. Use yaha se door le ja Jisse ke wo meri taraf na aa sake. inki taqat aadhi ho jayegi.

Rudra - matlab plan hae na?

Dev – ha hae.

Rudra – tab to dekh mae iski pungi kaese bajata hu. Lekin tujhe ek kharoch bhi aayi na fir dekhna bhad me jaye swarn mani bhad me jaye meri jindagi mae is neel sagar ko lal sagar bana duga itna khoon bahauga yaha.

Dev – shant gadadhari bheem shant. Aesa kuchh nahi hoga. tu ja sambhal use.

Rudra chala jata hae SM ke pas
 
Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,931
173

super lovely update bhai
aakhir dev v rudra ko dono magar mil hi gaye insaani bhasha bolte hue
 
Scorpionking

Active Member
991
3,431
123

Superb shaandar update bhai maza aa gaya.
 
Top