• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

Ssking

Active Member
1,302
1,576
144
B
Update:-44…



Aadhi raat ke waqt......



Josefer sab se najar bachate, Jivisha ke ghar se apne adde tak pahuncha. Josefer ko dekh kar Apini usse gale lagate kahne laga.... "Aakhir hum manjil ki ore badhne lage hain".


Josefer.... Apini ek padesani hai.... aur sath me ek achhi khabar bhi.


Apini.... Kya hua....


Josefer.... Khud he dekh lo....


Josefer ne visuals dene shuru kar diye….. College se car me Jivisha aur Kasak car me nikle… Ye aaya kisi dusre car ke niche ek pappi, Kasak apni car se bahar nikli, dusre car ke samne khadi ho gayi, Kasak ka takkar hote-hote bachna, pappi ko utha kar usse apne car me le lena.. Car ke ander Jivisha ki chinta. Unka baat karna, aakhir ek chhote se dhakke ke karan kaise ghayal ho gaya Nischal. Nischal ke flat me Nischal ki haalat, pasliyan tooti hui. Fir Jivisha aur Nischal ki najdikyan aur Sawalker ka aana. Sawlker ka case discuss karna aur Nischal ki aakhon me aisa laga jaise ab wo Apini aur uske sathiyon ke talash me he niklne wala hai.


Sare visuals clear the. Sab ko dekhne ke baad Apini gahri sans lete kahne laga..... "Uss ladki ke case me Nischal yadi hum tak pahuncha to bana banaya khel bigad jayega".


Tanisha.... To ab hum kya karen....


Apini.... Hum bas jasn manayenge Tanisha aur ye waqt to jasn manane ka hai, Kyonki Malkia ke humle se Nischal ko mara ja sakta hai, bas jaroorat hai to Malkia ko uss ke khilaf istamal karne ki.


Josefer.... Hum Malkia ko uss ke khilaf kaise istamal kar sakte hain, jab ki wo dono to karib aa rahe hain. Upar se Nischal humari he talash me nikla hai uska kya? Malkia ne jis hisab se usse himmat di hai, wo yadi hum tak pahucha to hume saaf he kar dega.


Apini jor se haste huye.... "Un dono ke bich me Kunal jo aa raha hai, fir kaise dono karib aa sakte hain. Malkia ko uss ke khilaf hathiyar main banauga".


"Tanisha tum bas uss Nischal par najar diye raho. Nischal ne Malkia se iss case me jit hasil karne ka wada kiya hai na, aisa uljhao isse ki ye case me uljha rahe aur main Malkia ke karib aa jaun. Aur anth me jab ye case solve hoga to sara credit Kunal ko milega, taki Kunal he hero bana rahe".


Tanisha.... Aur hum inhe uljhayenge kaise....


"Shikar kar ke uljhana hai. Har hafte iss desh ke alag-alag kone me shikar karo taki ye idhar udhar ghumta he rah jaye".


Josefer, Apini ke sath meeting khatm karke apna pappi wala role nibhane wapas Kasak ke pass jane laga. Lekin rah-rah kar Josefer ke dimag me ek he baat ghum rahi thi, aakhir kyon ye prithwi washi apne se kamjor janwaron ke liye bina soche khud ki jaan khatre mein dal lete hain.


Nandni ka flat… Sham Ke Waqt


Nandni se sari baten karne ke baad, Nischal ne apne bag se kuch saman nikala aur Nandni se ek saman ka vivran sajha karte huye kahne laga…. "Dekho Nandni ye hai mask"..


Nandni ab bhi kuch der pahle hui Nischal ki haalat par gum thi, lekin jaise he Nischal ne globes ko mask kaha, wo jor se hansti hui kahne lagi… "pagal wo globes hai."


Nischal:- Ullu ye globes nahi Mask hai..


Nandni:- dhakkan hai tu aur mujhe ullu kah raha. Ye globes hi hai.


Nischal:- acha thik hai ise pahan..


Nandni ne jaise hi wo globes ko pahna, wo hatheli ki skin se chipak kar kahin gayab ho gayi…. Nandni khule muh aur aschrya se fati aakhon se dekhti hui… "ye kya hai Nischal, kahin mere hath ko to tum apne kabje me nahi le rahe na".


Nischal:- Hey bhagwan, Nandu ashrya me ho manta hun.. lekin kabhi-kabhi na tunhare sawal ajib hote hain.. yahan par tumhe puchna chahiye ki "ye kya tha aur achanak mere skin se kahan gayab ho gaya"…


Nandni:- haan main bhi apne pahle sawal ke baad yahi puchne wali thi… chal ab bata ki ye kya chij tune mere hathon me chipka diya..


Nischal:- Ye mask hai… iska istamal tum kisi ko bhi tej jhatke dene aur usse kayi ghanton tak sulane mein istamal kar sakti ho. Ye tumhare body neurotransmitter ki urja se chalta rahega, jise tumhara brain control karega…


Nandni:- kuch bhi fenkta hai…


Nischal:- aisa hai to fir soch ki tujhe mujh par humla karna hai aur tu mujhe tej jhatka dena chahti hai… bus is khyal ke sath bus mere skin ko kahin bhi touch kar le…


"Tu fekta rah aur main lapet rahi hun"… aur itna kahti hui Nandni ne Nischal ke hath ko pakad liya… jaise hi usne hath pakdi bijli ki tej chingari uthi aur Nischal pura hil gaya…


Nandni wapas se aschrya karti hui…. "Kya wakai me tune sach kaha tha... Gadhe khud par try karwane ki kya jaroorat thi kam akal.. ise to main kisi lohe ya steel par bhi try kar sakti thi"…


Nischal:- Tu samjhi nahi, main janta tha ki tujhe viswas nahi hoga aur tu try karegi. Mere sharir ko bhi ek tej jhatke ki jaroorat thi, taki mera bhi blood circulation bana rahe…


Nandni:- kamal hai, kitna samjhdar ho gaya hai ladka... Chal iss ajibo garib chij ko dikhane ka shukriya, ise nikalte kaise hain…


Nischal:- yah ajib chij tumhare liye hi banaya hai. Jaroorat ke waqt ye kaam aayega…


Nandni:- oye pagal aisi khatarnak chij main nahi istamal karne wali. Kahin gusse me maine Ansh par ye istamal kar diya to… tu to jhatke bardast kar lega bechara mera doctor kya karega...


Nischal:- istamal karne ki manual book ko padh le… sab dimag ka khel hai aur sara control wahin hai… bus thode se practice ki jaroorat hai.. thik waise hi jaise humare dimag me har prakar ki gali hoti hai, lekin kitne bhi gusse me kyon na raho dimag janta hai ki kis waqt kaun si gali dena uchit hai, fir chahe wo pariwar ke log ho ya fir koi bahar wala… ye mask thik waisa hi hai… manual book padhkar practice kar le .. 4-5 din ki bus practice chaiye…


Nandni:- kya baat hai ladke.. sahi ja rahe ho.. I am proud of you. Ye sab to thik hai lekin ise utarun kaise…


Nischal:- sab uss manual book me likha hai… ummid karta hun gift tumhe pasand aaya hoga aur ab mai nikalta hun.. jo galti se shuru kar diya hun, usse khtam karke aa jaun..


Niachal apni baat samapt karke wahan se sidha lab bhag gaya. Wo itna tej tha ki kisi bhi Cc TV me uska aana lagbhag namumkin tha.… Wo bina kisi ke najar me aaye idhar se udhar bhagta raha aur tabhi usse store room dikh gaya, jahan se usne doctor ki ek poshak utha liya aur chehre par mask lagakar lab ke ander chala gaya, jahan Sapna ki lash rakhi thi.


Nischal ne uss puri jagah ko ache se seal kar diya aur ek-ek kadam badhate wo Sapna ke ore jane laga… jaise-jaise wo kadam badha raha tha, aisa lag rhaa tha uss jagah ki bhi tasveer badalni shuru ho gayi thi…


Aisa lag raha tha jaise Nischal lab ke uss section me na hokar uss clinic me chal raha hai… jahan yah sari ghatnayen hui hai… ek-ek kadam badha kar wo upar ki ore pahuncha..


Sapna iss waqt chadar ki rassi bana kar khidki se niche fek rahi thi... Jaise hi wo Nischal ko dekhi, bhag kar Nischal se lipat kar…. "Please mujhe bacha lo, mujhe nahi marna hai… please bacha lo na Nischal… please… dekho wo aa rahe hain Nischal… please tum kuch karte kyon nahi… Nischal… Nischal"..


Jaise hi upar Apini aur Tanisha ki aahat hui, Sapna, Nischal ko chhod kar bathroom me bhagne lagi… lekin bathroom me bhagne ke kram me tej jhatka jaise Nischal ko laga ho… Nischal se alag hokar bathroom me bhagne wali Sapna nahi balki Jivisha thi.…


Nischal uss jagah ke madhya me khada hokar sab kuch apni aakhon se hota hua dekh raha tha. Kaise Apini aur Tanisha upar aaye, bathroom ke pass gaye… sab kuch waise hi ho raha tha jaise uss ghatna ke waqt hui thi.…


Tabhi ek baar fir Nichal ki aakhen fati rah gayi jab usne bathroom se bahar Sapna ko nahi balki Jivisha ko dekha… wo pura kritya hote huye dekh raha tha… Nischal apni puri urja ke sath kosis kar raha tha ki Jivisha ke sath kuch nahi ho, lekin lakh kosis ke baad bhi wo bebas hokar sab kuch apne aakhon ke samne hote dekhta raha…..


Tabhi achanak wahan ek tej raushni hui aur fir pura kala ghanghor andhera… Nischal ko kuch bhi nahi dikh raha tha.. dhire-dhire wo apne kadam aage badhane laga… jaise-jaise wo kadam aage badha raha tha, uski dristi bhi saaf hone lagi thi. Fir se usse wahi jagah najar aane laga tha aur ek baar fir surwat Sapna ke chadar niche dalne se hui aur ant Jivisha ki ghutan ki wo dard se, jise Sapna ne jhela tha..


Nischal har bar yahan tak pahunch kar isse badalne ki kosis karta raha, lekin zindgi me pahli baar usne apne khuli aankho se dekha tha ki bebasi aur ashay hona kise kahte hai. Kaisa lagta hai jab khud me kshmta hone ke bawjoood kuch bhi na kar pane ka wo guilt…


Anyerdhyan hone aur dimag ke ander jhankne ki iss prakriya me Nischal kis paheli me fasa tha wo khud bhi usse pata nahi tha... Sapna ke dimag ke ander ki yaad se jab Nischal ka samna hua to ander ki yadon ki tasveer hi badal chuki thi.


Is baat ka jikr na to kabhi Nischal ke guruji ke kitab me tha aur na hi Nischal ne aaj se pahle kabhi aisa hota dekha ho, ki dimag ki yaden badal gayi ho athwa ander ki tasveer…baharhaan ander jin halaaton se Nischal jujh raha tha, bahar usse kahin jyada gambhir paristhithi ban chuki thi…


Na to dimag me ghusne ki kala mein Nischal mahir tha aur na he usme itna santulan tha ki wo khud ki marji se bahar nikal sake… aur issi wajah se wo lagbhag 1 ghante se dimag ke bus ek hi yaad me ulajh kar rah gaya tha...


Dimag ke ander Nischal jitni kosis kar raha tha Jivisha ko bachane ke liye, bahar uske sarir par utna hi bura asar ho raha tha… Abhi yah sari ghatnayen lab ke ander ke uss hisse me chal rahi thi, jahan Sapna ki lash rakhi hui thi aur forensic doctor ki nayi team iss case par janch ke liye pahunch chuki thi…


Lagbhag 10 minute se sab log bahar se ander aane ki kosis kar rahe the...Lekin Nischal apna kaam shuru karne se pahle yah sunischit kar chuka tha ki koi tabtak ander na aa sake jabtak Nischal wahan ka seal khol na de…


Ek ghante me Nischal ke sharir se lagbhag uski jaan nikal chuki thi… dimag ke ander ab bhi wo Jivisha ko bachane ki nakam kosis kar raha tha... Aur uska sharir bahar kisi tarah apne pran bachane me juta hua tha… Tabhi uske sar par kafi tej bijli ka jhatka laga… pura sharir bijli ka kafi tej jhatka khaya aur Nischal ki aakhen khul gayi….


Idhar Nischal ki aakhen khuli, udhar Zoren grah ke Mahamhim ki bhi aakhen khul gayi..... Garjte huye mahamahim bolne laga..... “Rijo pata nahi kaise, par koi humare bahut karib aa gaya hai. Tum aaj he sabse khatrnak tukdi ko taiyar karo aur jald se jald Malkia ke grah niklo. Wahan jakar sare mamle ko suljha kar aao"
Bebasi isko kehte hai chahkar bhi kuchh na kar pana,,,,,achha to ye key tarah kam kar rahi hai ek tarah se zoren grah ke rizo tk pahunchne ki??
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-45


Ek ghante me Nischal ke sharir se lagbhag uski jaan nikal chuki thi… dimag ke ander ab bhi wo Jivisha ko bachane ki nakam kosis kar raha tha... Aur uska sharir bahar kisi tarah apne pran bachane me juta hua tha… Tabhi uske sar par kafi tej bijli ka jhatka laga… pura sharir bijli ka kafi tej jhatka khaya aur Nischal ki aakhen khul gayi….


Idhar Nischal ki aakhen khuli, udhar Zoren grah ke Mahamhim ki bhi aakhen khul gayi..... Garjte huye mahamahim bolne laga..... “Rijo pata nahi kaise, par koi humare bahut karib aa gaya hai. Tum aaj he sabse khatrnak tukdi ko taiyar karo aur jald se jald Malkia ke grah niklo. Wahan jakar sare mamle ko suljha kar aao"


Nischal ki jab aakhen khuli usme itni jaan baki nahi thi ki wo uth kar khada bhi ho paye. Badi mushkil se khisakte huye wo apne sath laye tharmus ke pass pahuncha aur bebasi ke haalat mein kisi tarah pani pikar, niche he apni bahen failakar let gaya. Thode samay baad jab uska sharir recover hua tab usne bache huye 2 tharmus ka pani bhi pi gaya…


Lambi lambi shwans lete Nischal, ander kafi der tak baitha raha. Sharir ki urja jab Nischal ne wapas sameta, fir wahan ke darwaje ka seal kholkar darwaje ke pass ikattha logon ke sar ke upar se aise hawa bankar nikla mano koi tej jhonka wahan se gujra ho… staffs, security aur doctors jab uss hall ko khali paye to sabhi dang the aur sabhi log apne apne hisab se theory bana rahe the, jisme Sapna ke bhoot ke hone ki theory kuch jyada he jor pakad rahi thi…


Nischal teji ke sath bahar nikla aur kuch der tak sochne ke baad wo wapas flat na lautkar, sidha ussi disco mein gaya jahan pahli baar wo sawalker ke sath party ke liye gaya tha.. Lagbhag 20-25 peg jaldi-jaldi khinchne ke baad, Nischal ne ander se tej dakar mari aur apne dagmagate kadam ke sath bahar nikal hi raha tha ki wahan ek bar tender ne Nischal ko rok kar usse paise mangne laga…


Ab bechare ke pass paise ho to na wo de… thodi si bahasbaji ke baad Nischal ne sawalker ko phone laga diya… Sawalker ne jaise hi phone pick kiya nischal ne phone sidha bar ke manager ko thamate huye… "suno tum.. ye hain mere bade bhaiya… inse paise mang lo"


Sawalker se thodi der baat chit ke baad, jab sawalker ne bill pucha aur jawab me 15000 rupye sune, tab bechara Sawalker behosh hote-hote bacha… Bhagte huye wo disco pahuncha... Kisi tarah manage karke usne 2 khambe (2 bottol sharab) ka theka rate se bill pay kiya aur Nischal ko apne gadi me load karwaya…


Sawalker:- sun chhote tu to aise me barbaad kar dega mujhe. Dekh bhai apne thane me pura stock aate rahta hai, tu aaram se bata diya kar kab pina hai, main tere liye ek se ek mahnge khambe bhijwa diya karunga.. lekin tu ye mahngi jagah mat aaya kar yaar.. aadhi salary to sala ek raat ke pine me ghus jayegi…


Nischal:- chup ekdum… pakao na mujhe bade bhaiya… ghar chalo bhabhi ke hath ka khana khaunga..


Sawalker:- kya ???


Nischal:- itna chaunk kahe rahe ho bhau… chalo bhabhi ke pass, unke hath ka bana khana khana hai…


Sawalker apna sir pit'te huye Ghorpade se ghar chalne ke liye bola. Nischal ke sath uski himmat nahi hui darwaje tak jane ki, isliye Nischal ko aage badhakar, Sawalker apne jeep sahit chhip gaya…


2 baar jaldi jaldi bell bajane ke karan Jyoti gusse me darwaja kholi aur samne Nischal ko dekhti hui… "Kya badtamiji hai Nischal, aise kaun bell bajata hai"..


Nischal, Jyoti ke dono gal khinchte… "Ae bhabhi aap gusse me kafi cute lagti hai"… Sawalker jo piche chhipkar sara tamasha dekh raha tha, Nischal ki harkat ko dekhkar… "Ye aaj meri hi markar jane wala hai".. aur idhar jaise hi Nischal, Jyoti ke karib pahunchkar gal khincha, uske muh se itni tej badbu aayi ki jyoti apne naak par hath rakhti…. "Tu ander aa pahle".. fir Jyoti jor se chinkhti hui kahne lagi... "2 min ke ander tum bhi aao ghar me, warna main thane pahunch rahi hun"


Ghorpade:- Saheb madam to aapse badi jasoos nikli.. jao saheb uss ke chakkar mein aaj aapki solid lagne wali hai..


Sawalker:- Ghorpade tu janta kal main ek baba ji ke satsang me gaya tha aur wahan baba ji ne mujhe bahut si gyan ki baat sikhayi…


Ghorpade:- Haw saheb…


Sawalker:- Kal na baba ji ki ek solid baad mere dimag me ab bhi ghum rahi hai…


Ghorpade:- kaun si baat saheb…


Sawalker:- Tu beta abhi samjh jayega… ek kaam kar ye jeep thane le ja aur Solanki ko bhej dena…


Ghorpade:- Lekin saheb baba ji aap ko aisa kyon karne kahenge..


Sawalker:- Wo isliye kyonki guruji ka manna hai ki bahut dino se ghorpade bhau ne night duty nahi kiya, isliye Solanki ki night duty off kar ke uski jagah main teri duty laga raha hun… wo bhi mere agle aadesh tak..


Ghorpade aaschrya se apni aakhen fade…. "Lekin saheb wo to kunwara hai aur main bal bache wala"..


Sawalker:- wo to main janta hun re ghorpade, lekin tune kuch sikha ki nahi abhi…


Ghorpade, apna chhota sa muh banaye… "Haw saheb, jitni jaroorat ho utna hi muh kholna chahiye aur khaskar apne senior ke samne"..


Sawalker:- warna kya hoga..


Ghorpade:- watt lagli dada…


Ghorpade thane nikla aur Sawalker darte huye ghar me ghusa… ander aakar dekha to Nischal khane par toot chuka tha aur kha bhi aise raha tha mano janmo ka bhukha hai.. "bhabhi aap bahut sweet khana pakati ho, aap ki chhoti bahan nahi dikh rahi... Bhaw hum dono ke lagan ki baat karne wale hain"..


Jyoti, samne khade Sawalker ko jaise hi ghuri…. "Are Jyoti ye piye me aise hi bakwas kar raha hai"…


Jyoti:- Main khun jalati rahungi aur aap ki harkaten band nahi hogi… Dundh liye apne hi jaise piyyakad ko Amla ke liye… maro iske sath, main ja rahi hun apne mayke…. aur khabardar jo mere piche aaye..


Sawalker:- Sun to Jyoti…


Jyoti:- Ek shabd bhi kaha na to mujh se bura koi na hoga… kaise police wale ho sharm jara bhi aati hai ki nahi…. Dono piyakkad. Chhi…


Nischal:- Bhabhi aap ko main chhod dun.. wahan aap mujhe apni chhoti bahan se bhi milwa dena… hum dono ek dusre ko jaan lenge..


Sawalker ko mano aisa lag raha tha jaise wo 2 chakki ke bich me pis raha ho… "Thodi der aur ye ruka to pakka mera ghar tudwa kar rahega"… kisi tarah usne Nischal ko hi samjha kar wahan se nikala, jabtak Solanki bhi jeep lekar pahunch chuka tha…


Sawalker usse sath bithate huye Nandni ke flat tak jeep lene bol diya, lekin Nischal garajte huye kahne laga…. "Bade bhaiya mujhe abhi apne sasural jana hai"..


Sawalker:- sala kaun si manhoos ghadi me tujhse main takra gaya tha... O bawra, iss waqt tu Jyoti ki bahan se milna chahta hai…


Nischal:- Dhat tere ki, main apne sasural ki baat kar raha bade bhaiya… baki aap ko to maine saza diya tha aaj din ke aapke badbole pan ka… aur do apni rai..


Sawalker:- Tu kisi din mazak ki baton par mera talak na karwa de… chal bhai Solanki sir ko unke sasural drop kar de…


Jeep Jivisha me ghar ke pass ruki aur Nischal choron ki tarah boundry kud kar dakhil hua… "Solanki chal yahan se wrna ghar me talak aur yahan par naukri jane ka khatra badh jayega"… Sawalker wahan se jeep ko bhaga diya aur idhar Nischal pipe ke sahare se upar chadha aur patli si railing par khade hokar Jivisha ki khidki par knock karne laga..


Jivisha aur Kasak dono bistar par tik kar movie dekh rahi thi. Khidki par knock hone se dono ne light jalakar jab khidki par najar dali… "Ye pagal ho gaya hai Kasak, aaj mere hathon se pitega"..


Kasak:- Aur kitna pitegi bechare ko, subah hi to dakka di thi..


Jivisha, Kasak ki baat par ghurti hui usse dekhti khidki ke ore badh gayi aur idhar Kasak hansti hui kahne lagi…. "Samjhna main hun hi nahi yahan darling lage raho dono"..


Kasak ki baat jab Nischal ke kano me pari tab wo khidki ke bahar se hi chumte huye Kasak ko thanks kahne laga…. Aur Jivisha ko laga ki Nischal uske ore chumma fenk raha… "tum pakka pagal ho Jungli"… jhatke ke sath Jivisha khidki kholti hui apni baat kahi.. aur khidki itne jhatke me kholi ki bechara Nischal balance nahi bana paya aur dhammn ki ek tej awaz…


Kasak bhag kar khidki ke pass aayi… Jivisha usse niche girte khidki se jhank rahi thi aur Nischal apna kamar pakde niche lete huye upar jor se kahne laga… "Tum thik to ho Jisa.. tumhe kahin chot to nahi lagi"…


"Fir se tune dhakka de diya… bechare ko maar hi degi kya".. Jivisha ke sath Kasak bhi niche dekhti hui kahne lagi…

Jivisha Kasak ki baat ko darkinar karti, Nischal ko dekhne niche dauri. Hall me kuch log baithe the, jo Jivisha ko aise bhagte dekh chaunk gaye .. aur wo bhi Jivisha ke piche bhage aur sablog Nischal ko dekh kar diwal ke kone se lag kar chhip gaye.


"Kyon tum aisa kar rahe ho Nischal, kyon padeshan karte rahte ho mujhe"… Jivisha apne hath badhati hui kahne lagi..


Nischal khud se hi khada hote.… "Jivisha tumhe dekhne ka man kiya to aisi harkaten kar baitha… ufff kya lagti ho tum, tumhe dekhne ki bahut hi tiwr ikchha ho rahi thi"..


Jivisha:- Pagal kahin ke, Mammi Papa ne to tumse mafi mang liya tha.. darwaje se aa jate.. had hai Nischal. Hamesa mujhe guilt feel karwate ho..


Nischal:- Tum bahut pyari lag rahi ho Jivisha..


Jivisha:- Yakkkk .. tumne sharab pi hai…


Nischal:- Muh to aise bana rahi jaise khud kabhi sharab pi hi na ho… badmash kahin ki..


Jivisha:- Bus bus… mujhe sikhane ki jaroorat nahi hai… mujhe dekhne ki ikchha ho rahi thi, aur tumne dekh bhi liya ab jao…


Nischal:- Thik hai bye… good night..


Bye bolkar jaise hi Nischal palta, Jivisha usse jate dekh hansti hui..… "Thik hai jao, subah college me milte hain"..


Nischal:- Ek minute, ek minute, ek minute…


Jivisha:- Ab kya hai…


Nischal:- Main kuch aur bhi soch kar aaya tha…


Jivisha:- Kya soch kar aaye the…


Nischal:- Had hai, mujhe yaad hota to tumse thode na puchhta… wahi to yaad nahi aa raha..


Jivisha, usse kandhe se pakad kar, gate ke ore modti hui… "thik hai jab yaad aa jaye tab aa jana, nahi to apne bhrm ko bhej dena… ab jao lekin"..


Nischal:- Stop, tum mujhe dhakel kar bhaga rahi ho kya? Ye to bejjati hai yaar.


Jivisha apne chehre par banawati hansi lati… "Sir to kya aap ke liye main palki mangwaun… pagla… jao bhi ab, kahi to kal milte hain College me..
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-46…​




Nischal:- haan yaad aa gaya..


Jivisha:- Kya ?


Nischal ne Jivisha ka hath pakad kar usse thoda bich me khada kiya aur Jivisha ke charo ore ghum-ghum kar, main jatt Yamla pagla deewana gaate huye, bilkul dharm paji jaise step karta, wo Jivisha ke charo ore chakkar kat-kat kar nachne laga… Jivisha uski iss harkat par samne se to nahi hasi, lekin jab bhi wo uske piche jata.. Jivisha jor-jor se hansne lagti….


Tabhi Jivisha ko aisa laga jaise piche aur bhi log hans rahe hain…. Aur jaise hi Jivisha palti pura khandan kuch dur piche khada hokar, dono ko dekhkar hans raha tha... Jivisha nischal ka hath pakadte… "ruko… rukoo".. karne lagi.. lekin kahe rukne naam le wo.. lagatar gaate aur nachte charo ore chakkar lagaye ja raha tha...


Pass hi pade ek dande ko utha kar Jivisha uske pith par marti hui usse ghurne lagi… Nischal danda khakar apni jagah par ruka aur Jivisha ki ghurti najron ko dekhkar uske gal ko khinchte huye kahne laga…. "Ae cutie .. tum dande se kya goli bomb se mar do... Ye jaan hajir hai tumhare liye, anytime"..


Jivisha ander se hansti hui aur upar se apni bhawna ko dabati hui apna hath sar par rakhkar kahne lagi… "Pure ghar ke samne karwa di na beejati… tab se kah rahi thi jao.. lekin tumhe to Dharmendr banna tha na… aur itne purane gane par kaun nachta hai"..


Nischal ne aankh utha kar ek baar sabko dekha fir chhota sa muh banakar jate-jate kahne laga…. "Ye tumhare gharwale hain ya chandal, jab dekho tab banti baat ke bich aa jate hain.


Jivisha ghurti hui… Kya kaha tumne haan…


Nischal:- Good night kaha maine .. jao so jao… aur show khatm ho gaya hai.. aap sab bhi jao so jao… kabab me haddi...


Uski ye baat sabne suni… Nichal ruthkar iss kadar gusse ka izhar karte gaya ki har koi sunkar hansne laga… Nischal ke jate hi har koi wapas hall me laut aaya kewal Jivisha ko chhod kar... Wo ab bhi wahin khadi Nischal ke bare me sochkar muskura rahi thi... Aur usi ke khayalon me khoyi wo ghar ke ander chal di…


Jaise hi wo hall me pahunchi, Chirag turant uska haath pakad kar bich hall me khada karte huye… "Didi ek minute ruk jao yahin"…. "Betu yahan sab sakki log hain… kisi se dosti bhi ho to galat matlab hi nikalte rahenge.. chal yahan se".. Jivisha apne pariwar ko tane deti hui kahne lagi…


Jivisha abhi kah kar shant khadi hi hui thi ki Chirag bhi Nischal ki tarah hi ghum-ghum kar "Yamla pagla deewana" gane laga… usse dekh pahle Kasak kud aayi Chirag ke sath aur fir dekhte-dekhte bhaiya, bhabhi sab Jivisha ko gher kar, gol-gol ghumte huye Yamla pagla deewana gane gate huye nachne lage.…


Idhar Nischal Jivisha ke ghar se nikal kar sidha apne thikane ke ore rawana ho gaya… Nischal jaise hi flat ke ander kadam rakha… Iss waqt Ansh aur Nandni hall me aamne-samne baithe, bina palken jhapkaye ek dusre ko dekhte huye, ek dusre ko ice-cream khila rahe the.


Dono iss kadar khoye huye the ki, Nischal ko aaye 5 min ho gaya tha par kisi ne dhyan nahi diya. Yahan tak ki Nischal ne ek do baar hello bhi kaha, lekin sunta kaun hai.


Anth me Nischal ne un dono ke bich apna sir dal kar kahne laga..... "Ek dusre ko bahut khila chuke, ab 2/4 chamach mujhe bhi ice-cream khila do".


Nandni usse iss kadar ghuri jaise wo ice-cream ki jagah Nischal ko he kha jayegi. Ansh apna gussa dikhate kahne laga.... "Tum me jarra bhi manners nahi hai na, kyon hamesa hume padesan karte rahte ho. Achhe khase mood ki maa-bahan ek kar diya”.


Nischal..... Hooo Dr sahab maine to socha tha aap bahut sabhya honge, par aap bhi aise shabdon ka prayog karte hain.


Ansh.... Main kya dusre grah se aaya hun, jo mujhe aise bhasha me baat karni nahi aati. Padhai ke waqt kewal padhai he nahi kiya hai, samjhe tum.


Nischal, Nandni ko aankh marte kahne laga…. "Doctor sahab apna knowledge update kar lo, dusre grah wale bhi iss se kharnak shabdon ka proyog kar sakte hain .. wo to aap aur hum unke bare me nahi jante isliye aisa bol jate hain…


Nandni jo ab tak khamosh gusse ka ghunt pi rahi thi, wo khud me gussa bharne lagi … dayen-bayen dekh kuch sochi aur ek wire ka sira plug on karke board se jod di aur matr ansh ko dikhane ke liye pichhe se tar ka dusra sira le jate dikhayi… jab tak Ansh nahi-nahi karta tab-tak Nandni pure gusse me usse touch kar di… achanak se laga ye jhatka… wo bhi itna tej…


Nischal bijli ke jhatke se dur jakar kanch ke ek table se takraya aur kanch tootne ki chhan-chhan ki awaz aani shuru ho gayi… Nischal kamar pakad kar khada hua aur gusse me badhte huye Nandni ke baal pakad kar usse jor jor ke khinchte huye kahne laga…. "Pagal kahin ki maar dalti mujhe. Sala aaj subah se tum dono pagal saheliyan mujhe jhatke par jhatke diye ja rahi ho"…


Nandni fir se gusse me usse touch karti.. iss baar lekin bardast karne wala touch ki aur Nischal halka-halka jhatka mehsus karne laga... Jhatke khakar jab wo Nandni se alag hua, kuch baal toot kar uske hath me aa agye the... Aur Nandni koi bhutni se kam nahi lag rahi thi…


Nischal, Nandni se alag hote kahne laga.… "Apna ropa ped hi bhutha nikal gaya… sala main hi gadha hun"..


Nandni apne baal samet kar upar ki. Uske shwans tej chal rahe the... Aur wo gusse me puchhne lagi… "abhi jo bola uska matlab bata nahi to bahut marungi"..


Nischak:- war zone nahi banana hai … kahne ka matlab ki jis ped ko yah soch kar ropa tha ki fal lagenge wahan par bhuton aur chudail ka kabja ho gaya hai..


"dialogue baji haan"… aur ye udta hua kanch ka glass sidha Ansh ke sine par laga…. "Tum dono pakke wala pagal ho… aapas me jhagro na.. tum dono ka har baar nishana main hi kyon hota hun".... Doctor sahab apni baat kahke bhannate huye sidhe apne kamre me chale gaye aur uska gussa dekhkar dono jor-jor se hanste huye kahne lage… "free ke show ka aise hi maza milta hai"..


Dono kuch der sofe par baithkar abhi huye jhagre ke bare me soch-soch kar hans rahe the... "Ek baat bata itne kamal ke jhatke, wo bhi kuch hi ghanton me kaise sikha tune. Complete balance ka itna shandar namuna"..


Nandni:- teri hi sikhayi trick to thi… pahla jhatka un darinde alian ke bare me soch kar… jisne wo ladki Sapna par apni haiwaniyat dikhaya tha... Jo Jivisha ke piche pada hai.. jo tumhe padesan kar raha hai… aur sala na jane kaun-kaun vesh me ghumta hai… ussi ko yaad karke tujhe pahla jhatke di aur kaam kar gaya…. Dusra jo normal jhatka tujhe laga, wo kutte-kamine jaise gali wale gusse tujh par asar karta isliye maa-bahan ki gali wali gusse ke sath tere liye normal wala jhatka….


Nischal:- kamini kahin ki, meri-maa bahan ko ghasit rahi.. gandi ladki...


Nandni:- Ullu waisi gandi gali dungi kya unhe.. tu pakka satak gaya hai… bus aise thode mazak wala maa-bahan ki galiyan.. .


Nischal:- chhi gandi… yahan baith kar clarification de rahi.. chi chi .. ..


Nandni:- sorry baba.. dekh tere dono kaan pakadti hun .. sorry..


Nischal:- Chal chal nautanki… jane de ye sab… chal ab good night, main ja raha hun sone.. kal subah college bhi jana hai.. tera kya hai tu to apne upar ki tijori me chit le jakar pass ho jayegi .. koi sala check bhi nahi kar sakta wahan.. mujhe to pass hone ke liye padhna padta hai na…


Nandni:- Pagal kahin ka, kuch bhi bolta hai… chhod ye sab abhi kaisa hai aur kaam kuch hua ki nahi..


Nischal:- Acha hun, fit hun aur sabhi kaam, bina kisi taklif ke ho bhi gaye.. Ab bus kuch logon ko uski darandgi ki saza deni hai…


Nandni:- Meri ek chhoti si khwaish hai, puri karega kya?


Nischal:- Baat kya hai Nandu, kisi ne padesan kiya hai kya?


Nandni:- Haan un haiwano ne jisne bhi uss ladki Sapna ke sath ye sab kiya… .Main chahti hun ki wo log bhi wahi dard jhele jo uss bechari ladki ne jhela hai… koi raham nahi karna.


Nischal:- Nandu fikr mat kar … unka marna dekhkar un jaise jitne bhi unke log honge … un sab ki ruh kanp jayegi… Main ab sone ja raha hun … kal uthana mat.. na hi college aur na hi khane ke liye… yadi main ek gahri nind nahi lunga to aage koi kaam nahi ho payega...


Nandni:- Thik hai tu aaram kar, aur haan main hall me hi soungi.. kisi chij ki jaroorat ho to awaz laga lena…


Nischal pyar se uske gaal ko thap-thapa kar usse thanks kaha aur sone chala aaya… bistar jaise uska pahle se intzar kar raha ho… kuch hi pal baad Nischal bahut hi gahri nind me ja chuka tha…



Agli subah.... college time...



Sab aam dino ki he tarah, Kasak aur Jivisha ek sath, magar aaj Nandni akele college aayi thi. Jivisha jab Nischal ko nahi dekhi to.... “Kya hua Nandu, aaj Nischal college kyon nahi aaya”.


Nandni..... Chot jyada aayi thi isliye wo aaj college nahi aaya...


“Ohhhh” kahti hui Jivisha apne balon ke laton ko aage se pichhe lene lagi, itne me Kasak usse kewhni marti hui kahne lagi.... “Kya baat hai Jivi, aaj kal badi-khoj khabad li ja rahi hai, baat kya hai”.


Jivisha.... Tum dono ke chehre sab kuch bayan kar rahe hain, mujhe tumhari baton ka koi jawab he nahi dena.


Nandni.... Aay haye, jarra dekh to chhori ko, sharmate huye kitni pyari lag rahi hai.


Itne me samne se Kunal hath hilate huye “hi” kahne laga. Iss par Kasak tippni karti kahne lagi.... “Sala yahan hume koi ek nahi milta, aur iss ke pass options ke line khule hain, dekh Nandu iss ka ek aur aashiq hath dikhane laga hai”.



Nandni.... Lekin dono becharon ko kya pata, isse to koi teesra he le jayega. Jivisha ka sacha aashiq Shresh, jisne kasam khayi hai ki wo Jivisha ke sapno ka rajkumar ban kar rahega.


Jivisha..... Very funny, thakti nahi na dono itna bak-bak kar ke. Please band karo ye sab, warna main yahan se chali jaungi.


Kasak..... Tere 2 aashiq, Nischal aur Shresh to hai nahi yahan, to kya apne iss nawele aashiq ke sath jayegi.


Jivisha ab kya defend kare, aur kahan tak defend kare. Wo bhi dono ki baat par hasti hui kahne lagi.... “I am a lucky girl, jiske pass 3 aashiq hain, jinhe main bhaw tak nahi deti. Ab rahi baat iss majnu ki to chalo chalte hain, iss aashiq ka janaja jarra dhum se nikalenge....


Kasak aur Nandni dono ek sath.... “Kya humne sach suna, ya hum dono ko koi waham hua hai”.


Jivisha...... Meri ek badi galti kya gharwalon ke pass pakdi gayi, main kya ab maze bhi nahi le sakti....


Kasak aur Nandni dono ek sath, Jivisha ka aviwadan karti, sar jhuka kar hath hilati kahne lagi...... “Welcome back Jivi, kisne kaha tum maze nahi le sakti, ulta jab ye paglon ki tarah shant rahti ho to bura lagta tha. Dil se swagat”.....



“To fir ho jaye”........ “Haan ho he jaye”......
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Naina ji aaj yahan 2 update diye aur bhanwar par 1 .. now happy na
:happy:
revo kal :goodnight:
Btw Ju ne pallavi ko hata hi kahani se.. Khair... chaliye koi na dusri kahani mein fit kar deni hai usko as a lead character aur hero aarav... :D

-:AARAV143:- bhi ishi koshish laga hua hai.. :D
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Wo aajkal ladkiyon ki I'd me ghum raha :sigh2:
ju kuch bhi kah ya kar lijiye ab koi farak nahi padta ushe.. ab aarav ke sapne bich koi nahi aa sakta :roflol:
poor guy.... the lounge mein bhi pallavi ka naam hi japta rahta hai :D
 
Top