- 1,511
- 3,006
- 143
Update - 18 ( flashback)
.
Anshu Jiya ki manodasha bakhubhi samjh gayi par wo boli kuchh nahi balki 2 din baad hone wali Jiya ke b'day party ki taiyari karne me jut gayi . Use Jiya ko besh keemti gift jo dena tha .
Doosri taraf Anshu ko khamosh dekh Jiya ko laga ki ya to Anshu ko uski problem samjh nahi aayi ya use koi dilchaspi nahi hai . Jiya ki bechaini jas ki tas rah gayi to usne aaj akele yani khud ke sath time spend karne ka socha . waise bhi jab pyar , ishq hota hai to banda na apna rah jata hai na kisi aur ka . Upar se Jiya to khud se hi poonchh rahi thi ki kahi " ye ishq to nahi hai " par koi jawaab nahi tha uske paas .
Jiya khamosh si jheel ke kinare baithi apni halat par kabhi hasti kabhi roti apne dupatte ke kone se khel rahi thi . Ye jinda dil aur naisargik najaron se labrej jheel bhi aaj use neeras lag rahi thi . Kayi jode wahan baahon me baahein dale ishq ki rangeen galiyon me khoye the , na jane kyu ye sab dekh Jiya ko chidh si hone lagi to wo wapas laut aayi .
Agle do din bhi Jiya ke bechaini me beete . Use to ye bhi yaad nahi tha ki aaj uska birthday hai . Raat 12 baje Anshu ne Jiya ko bahar chalne ke liye bola ,
Anshu - Jiya chal thoda mere sath ,
Jiya - baap re itni raat ko par kahan ?
Anshu - meri masi bimar hain yaar , admitted hain ,
Jiya - omg ye kya ho gaya , par Anshu tune kabhi bataya nahi ki teri masi bhi hain ?
Anshu - kyu nahi honi chahiye thi ?
Jiya - sorry mera wo matlab nahi tha . Chal .
Jiya simple se lower top me thi us wakt .
Anshu - inn kapdon me ?
Jiya - uff to kya Hospital jane ke liye party ke kapde pahnu ?
Anshu - tu chal bahan .
Anshu Jiya ko lekar cab se seedhe ek club me pahunchi . Jiya uske peechhe to chal rahi thi par kafi pareshan thi .
Jiya - club me admitted hain teri masi ?
Anshu - tujhe mujh par bharosa hai ?
Jiya - hmm,
Anshu - peechhe aa mere .
Dono ladkiyan party hall me pahunchi jahan unke sare dost maujood the . Jiya ki to khushi ka thikana nahi raha . Tabhi shruti ek pyari si red colour ki party gown lekar aayi .
Jiya - ye sab karne ki kya jarurat thi yaar ?
Shruti - kyu nahi thi jarurat b'girl , chalo mai tumko taiyar kar doon tumhare is behad khas din ke liye .
Jiya - itna bhi khas din nahi hai yaar ,
Shruti - ye to mai party khatm hone ke baad punchhungi baby kyu ki real surprise to abb bhi parde me hai .
Jiya - hai kya surprise yaar mujhe bahut ajeeb lag raha hai .
Shurti - 10 min aur wait kar lo dear .
Jiya - uff itna suspence koi rakhta hai kya ?
Jiya ko 10 min ke andar Shruti ne ready kar diya . Dono party hall me aa gayi . Yummy sa cake bhi aa gaya . Jiya bahut excited lag rahi thi tabhi Anshu ne uske kaan me kaha ,
Anshu - mera gift kaisa laga ?
Jiya - bahut pyara , thank you so much yaar for this amazing party .
Anshu - gift ki taraf to tune dekha hi nahi , badi door se mangwaya hai ,
Anshu ne Jiya ke kaan me kaha aur haal ke door ki ore ishara kiya . Samne Tarun khada tha . uska bag abb bhi kandhe par tha to jahir si baat thi ki wo seedha airport se yahi aa raha tha . Jiya ki bolti wapas band ho gayi . Saanse tez ho gayi , heartbeat rajdhani express ko bhi pichhe chhodni lagi . Tarun Jiya ke bilkul paas akar khada ho gaya . uske baad kareeb do ghante ki party me Jiya khamosh rahi aur najre chura kar Tarun ko dekhti rahi . Uske galon par faila gulabi rang uski khushi bayaan kar raha tha .
Party khatm hone ke baad sirf Tarun , Jiya aur uski saheliyan bachi . Sabhi bahar aa gaye to Anshu ne Tarun se poonchha ,
Anshu - stay kahan karoge ?
Tarun - cousin ko bulaya hai 15 min baad aa jayega . Tum logon ko hostel drop karte huye nikal jaunga .
Anshu - ok to tum dono tab tak baatein kao mai aur Shruti lounge me hain .
Anshu Jiya ko aankh mar kar chali gayi , Jiya ka dil joron se dhadak utha . Aaj wo pahli baar kisi ladke se is tarah aadhi raat ko tanhai me baat karne wali thi .
Tarun - Happy Birthday Jiya .
Jiya - tthhanx .....( ghabra kar )
Tarun - mujhse itna ghabrati kyu ho ?
Jiya - nnnahi pata mujhe .
Tarun - khud call nahi kar sakti thi mujhe ?
Jiya - aap ka number delete kar diya tha .
Tarun - Anshu se le leti ,
Jiya - khayal nahi aaya iska kyu ki mai bahut pareshan thi .
Tarun - mai bhi bahut pareshan tha ki mere " Pyaar wali pari sirf " mujhse hi itni khafa kyu hai ?
Jiya - iska jawaab mujhe khud nahi pata ki mai khafa thi ya inhi halaaton se bhag rahi thi jo beet rahe hain mujh par .
Tarun - mujhse gift nahi manga tumne ?
Jiya - gift se kya gift mangu ,
Jiya ne sharma kar kaha to uske chehre ki doodh si rangat gulabi ho gayi . Tarun ek baar aur fida ho gaya uski ada par . Tarun ne apne bag se ek box nikal kar Jiya ki Taraf badha diya .
Jiya - ye kya hai ?
Tarun - tumhara gift par ise yahan mat kholna please .
Jiya - bomb hai kya isme .
Tarun - usase bhi khatarnak .
Tarun aur Jiya baat kar hi rahe the tabhi ek ladki jo apni chal dhal se kafi nashe me lag rahi thi un dono ke samne aakar khadi ho gayi . Jiya kuchh samjh pati isase pahle hi uss ladki ne Tarun ka coller pakda aur boli ,
Girl - you cheater , liar , I will kill you .
itna kah kar wo ladki Tarun ke upar hi gir kar behosh ho gayi .
Jiya sakte me aa gayi jabki Tarun ke paseene chhot gaye .

Last edited: