• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Rowdywa

Banned
1,133
5,150
143
Update 40 Abhi Writes And Post A Letter To Ruhi

Kyunke Abhi ne last letter mein aur zubaani bhi keh diya tha Ruhi se ke wo ussko 31st December se pehle ek aur khat post karega, to ab soch liya ke ussi letter mein Ruhi ko yeh sab batayega ke wo usske ghar aega usske papa aur uss se milne.

Ab aaguey….

Abhi subha 8 baje chala gaya apne ilake ke post office Ruhi ki New Year wishing card ke saath wo letter post karne jo usske raat ko likha. 9 pages letter likha tha Abhi ne. Yeh usska teesra khat tha Ruhi ko jo post karne jaa raha tha, 1 ussko haath mein diya tha, dusra postman ne usske aankhon ke saamne Ruhi ko deliver kiya tha aur aaj third letter jaa raha tha Ruhi ke yahan Abhi ke taraf se.

Ab kyunke Abhi ki aadat thi penfriends ko likhna aur post karna to ussko pata tha ke post office ke working system kaisa tha. Ek EXPRESS delivery hoti thi jo subha 8 baje post kar dena chahiye hota tha, aur usske liye paise ziada lagte the, issi liye abhi 8 baje pahunch gaya tha post office aur Ruhi ki khat ko register karwaya as an Express letter jo issi din ko at latest 3 baje deliver ho jaega.

Ghar wapas gaya aur sochne laga kia hoga agar wo khat kissi aur ke haath lagega? To kuch decide kiya Abhi ne. Abhi gaya wahan ek taxi se. Pehle ussne post office jaakar information nikaale ke kahan kahan se wo Express delivery wala van guzar kar Ruhi ke ilake ke post office reach hoga…. Postman wale abhi ko pehchaante the kynke ussko aadat thi wahan hamesha se apne penfriends ke liye letter post karne ki to unn mein ek jawan ladki thi jo Abhi ko penfriendship posting ke liye appreciate karti thi kyunke ussne Abhi se kayi baar pucha tha ke aap ke kitne penfriends hein ke aap itne saare letter aksar post karne aate ho…. to Abhi ne ussi ladki se saare informations nikalwaaye ke express deliveray wala van kahan kahan se guzrega aur kitne baje Ruhi ke ilaake pahunchega… saare information mil gaye to Abhi khush hua aur ek taxi se uss express delivery van ko follow kiya Abhi ne… jiss jiss ilake ke post office ko wo van ruka courier deliver karne ke liye wahan wahan Abhi ne taxi ko rok kar dekha…. Aur jab Ruhi ke ilake ki post office mein delivery hui to Abhi ne taxi ko rukne ko kaha aur jab wahan se postman Ruhi ki letter lekar nikla 3.15 ko to Abhi ne taxi ko uss filling station par park hone ko kaha aur khud piche ke seat par baith kar Abhi ne dekha ke kaun aega Ruhi ki khat lene…. Aur itne dinon ke baad 5 din baad, (magar Abhi ko laga ke 5 saal baad aya tha wahan) Abhi ko Ruhi nazar aayi postman se apna khat lete hue Ruhi apni neeli dress mein thi, baal khule hue the, chehre par wohi massomiyat dikh rahi thi magar usski aakhen udaas the, Abhi ne sab bahot ghaur se dekha aur upar se Ruhi ki smile ghaayab tha…. ….. Abhi ko chain haasil hua ke khud Ruhi ne hi usska khat apne haath mein liya. Taxi se Abhi Ruhi ki expressions ko dekh raha tha…. Ruhi ko lifafa lete hi pata chal gaya ke Abhi ki handwriting hai, aur wo bahot khush nazar aayi aur letter ko apne seene se lagaate hue Ruhi wapas apne kitchen ke stairs ke taraf badhi….. Ruhi khush thi Abhi ke taraf se khat paakar…. Lifaafe se dikhta tha ke ek wishing card hai magar Ruhi ko pehle se hi pata tha ke Abhi sirf card nahin post karega andar letter zaroor hoga….. kyunke Abhi ne Ruhi se pehle keh diya tha ke wo ussko aur ek khat post karega New Year se pehle iss liye shayad Ruhi uss khat ka intezaar bhi kar rahi thi, aisa laga Abhi ko….

Abhi ko kia feel ho raha tha? Ajeeb. Ussko turant taxi se utar kar Ruhi ko jaa kar jakarne ka mann kar raha tha, magar nahin gaya…uss aangan ko Abhi dekh raha tha bilkool ajeeb dikh raha tha, khaali nazar araha tha kyuke wahan bus nahin tha….. Ruhi ko pata bhi nahin chala ke Abhi ussko ek taxi mein baith kar dekh raha hai….. (readers se guzarish hai ke iss baat ko yaad rakhe kyunke iss kahani ke end mein iss vakiah ko yaad kiya jaega aur Ruhi ke taraf se kuch baat kehne ko sunne ko milega jiss waqt postman ne ussko wo khat deliver kiya tha to kuch hua tha….. magar wo din bahot door hai jab wo baat aayegi -saalon baad)

Abhi ghar wapas pahuncha aur apne diary mein khud padhne laga ke Ruhi kia padh rahi hogi khat mein. Abhi ne jo kuch khat mein likha tha Ruhi ko exactly wohi sab apne diary mein copy kiya tha. Matlab do baar sab kuch likha tha, pehle khat likha phir jo kuch khat mein likha tha wohi apne diary mein bhi likha tha ussne. To ab Abhi dobara apne likhe hue khat ko padh raha tha yeh sochte hue ke abhi udhar Ruhi wo sab padh rahi hogi….

Khat mein Abhi ne uss se kaha tha ke wo apne parents ko bata dein ke Abhi usske ghar araha hai 3rd, 4th ya 5th January ko. Inn teen dinon mein se ek din wo Ruhi ke ghar aega, samajh lena ke New Year ke liye aa raha hai aur Ruhi se request kiya tha ke wo bhi ghar par hi rahe inn 3 dinon ko. Isske ilawa Abhi ne apne dil ka hal bayaan kiya tha Ruhi se… kia feel kar raha hai, kitna miss kar raha hi ussko, kitni baar wo ussko dhundne gaya tha uss sheher aur supermarket mein, phir kaise usski chachi ke ghar gaya, Shweta se mila aur usske chachi ne salah diya ke Abhi usske ghar jaakar usske parents se mile iss liye wo araha hai usske ghar…..

To Abhi ko ab tassali thi ke Ruhi ko pata hai ke Abhi 3,4, ya 5th ko wo usske ghar ane wala hai….

Khat mein Abhi ne yeh bhi likha tha ke

“jab main tumhare chachi ke ghar gaya tha mujhe umeed thi ke tum wahin hogi magar ussne kaha ke tum ek din pehle wapas apne ghar chali gayi thi magar jab main ne Shweta se pucha to usski expressions se laga ke tum wahin thi. Mujhe weisa feel bhi ho raha tha ke tum wahin kahin mere aas paas ho… Kia tum wahin thi Ruhi? Kia tumne wo sab kuch suna jo tumhare chachi ne mujhse kaha? Kia tum wahin kissi kamre mein baith kar sab sunn rahi thi? Agar tum wahin thi to tum mere saamne kyun nahin aayi thi Ruhi? Main kitna tadap raha tha tumko dekhne ke liye!!”

*********************************************************************************

Ab Abhi ne kia socha tha? ke wahan jaega Ruhi ke ghar to kia kahega? Kaise manaega Ruhi ke mummy papa ko?

Abhi ne aisa socha tha ke Ruhi ke papa se kahega ke wo usske ghar aaye, yaane unn logon ko apne ghar invite karega. Taake weh log dekh sake ke Abhi ka ghar kaisa hai, taake wo log dekh sake ke kia Ruhi Abhi ke ghar mein khush rahegi ya nahin….

Abhi unn logon ko yakeen dilaane ke liye wahan jana chahta tha ke Ruhi usske saath bahot khush rahegi… Ruhi ki maa ko Abhi convince karne ke liye jaana chahta tha ke usski beti khush rahegi usske saath… Abhi ne bahot kuch soch liya tha baat karne ke liye Ruhi ke mata pita se….

Aur Abhi ne socha tha ke ab to wahan kaam nahin kar raha hoga to wo Ruhi ke ghar ke andar araam se baith kar baat karega Ruhi ke parents se, aur Ruhi bhi present hogi, Manoj aur Mahesh bhi honge, to kum se kum ek koyi to kahega ke haan thik hai tum donon ek dusre se pyar karte ho hamein pata hai to lets move on, donon ke rishte kar dete hein…. Abhi sab positive soch raha tha ke uss din ko sab sahi ho jaega jab aamne saamne baat karega tab….

Jab bhi Abhi cigarette jalata to Ruhi ko sochta aur khud se kehta ke kab usski sach mein Ruhi se mangni hogi aur wo cigarette peena chorega hamesha ke liye… ussko cigarette chorrne ka mann tha aur sirf issi intezaar mein tha ke Ruhi usski ho jaaye aur wo cigarette peena chorr dega hamesha ke liye. Aur khud se kaha ke sach hai iskh insaan ko badal deta hai….

30th aur 31st December ko Abhi kaam karne gaya Saeed ke saath ek chota sa kaam mila tha ek bus ko repair karna tha kyunke wo bus kissi company ke workers ko carry karta tha aur abhi firm new year ke holiday par tha to bus free tha aur uss mein kaam ho sakta tha….. door ki ek bade sheher mein kaam karne jata tha Abhi… aur sab thik se guzra udhar….

Ab hui baat Mehboob ke 2 lakh jo baaki the dene ko to Saeed ne Abhi se kaha ke Mehboob ne sirf ek laakh diya hai aur kaha ke 1 laakh do mahine baad dega…. Uss 1 lakh mein se saeed ne Abhi ko sirf 25 hazaar rupay diye… Abhi ne kaha ke 50/50 karna chahiye tha to Saeed ne kaha ke agla 1 lakh milega tab wo Abhi ko 75 hazaar dega aur khud sirf 25 hazaar lega. To Abhi maan gaya. Abhi udhar kaam karta to baar baar idhar udhar dekhta, usko aisa lagta ke abhi Ruhi nazar aegi ussko, wo seeti bajata uss gaane ki aur kuch bhi karta bus ke andar to sirf Ruhi ka chehra dikhta…. Ruhi ko bhulana naamumkin tha Abhi ke liye, Ruhi Abhi ke rooh mein bass gayi thi, usske rag rag mein Ruhi samaayi hui thi…. Jo bhi kaam karta, jo bhi tool use karta har ek chiz Ruhi se judi hui lage Abhi ko… jaise bus ki coach building karne ka naam badal kar Ruhi ho gaya ho… har choti choti chiz jo Abhi karta to Ruhi se related tha har ek chiz se…. jaise jab hathoda istemaal karta to Ruhi yaad aati kyunke hathode se Abhi ko lagi thi to Ruhi aayi thi dawa lagaane…. Kissi bus ki shishe ko lagata to Ruhi saamne dikhti kyunke wahan Ruhi shishe ke paas Abhi ko jeeb se chidhaati thi…. Ek tin kaatta Abhi to Ruhi se related wo tin bhi tha kyunke usski aangan mein Abhi Ruhi ke kitchen ke saamne tin kaatta tha… koyi bhi kaam jo bus se related tha sab Ruhi se related tha…. kia Abhi yeh kaam aage chal kar kar paata?

Aur Saeed ne Abhi se kaha ke Mehboob mila tha ussko kal aur Mehboob ne bataya ke Abhi usski sister in law se milne gaya tha usske ghar aur mehbbob naraz tha iss liye ke Abhi uss se milne gaya tha usske ghar…

Yeh sunkar Abhi ko jhatka laga….

31st December ko kaam end kia 2 baje. Ghar jaakar naha dho kar Abhi gaya uss sheher jahan Ruhi ke chacha ka supermarket tha….. iss date ko bhid bhade hue the chaaron taraf sheher mein…..

Abhi supermarket reach hua, Ruhi ki chachi thi wahan, donon ek dusre se araam se baat kiye … Shweta mili, chachi ne khud Shweta se kaha Abhi se milne ke liye…. Shweta Abhi ke gale mili, aur Abhi ne ussko happy new year wish kiya aur Shweta ne Abhi ko bhi wish kiya, phir Abhi ne wahan ke baaki sabhi ko wish kiya aur nikal liya wahan se…. Ussne socha tha Ruhi new year ke liye supermarket aayi hogi jaise usski ma ne kaha tha magar Ruhi nahin mili wahan usse…..

Abhi ke liye yeh eve of the new year kuch khaas nahin tha, wo udaas tha aur Ruhi ki yaadon mein dooba hua tha….

Ussne sabke liye new year gifts kharide, Ruhi ke liye wo perfume kharida Abhi ne jissko ek baar Ruhi ne pucha tha ke kaun sa perfume use karta hai aur wo tha Bourgeois ki “Soir De Paris”. Bahot mehnga perfume tha magar Abhi ne kharida wo Ruhi ke liye…. Aur ghar mein sabke liye kuch nah kuch kharida aur raat ke 8 bajne se pehle Abhi wapas ghar agaya tha aur apne diary mein sab kuch likh kar sone gaya! Magar usske sath pehle kabhi aisa nahin hua tha, 1 baje, 2 baje, 3 baje subha ko wo jaaga, neendh tooti, ghutan mehsoos hui, Ruhi sapne mein aayi, ussko uthne ko kaha, uss se pyar kiya, royi, phir muskuraayi, Abhi ko kiss kiya, usske saath kahin chalne ko kaha…. Abhi ke saath aisa kabhi nahin hua tha pehle ussne apni diary mein subha 4 baje likha:

“I was feeling chocking, Ruhi came in my dreams, I was gasping for air… Ruhi!! She will turn me mad this girl!!”

To be continued…..

Sorry bro yesterday was too busy so could not read.
Just finished this update.
Really bright idea of Abhi to follow the post office van to succeede to watch Ruhi receiving his letter. Wonderful awesome.
He was at least able to read her sad face with her smile vanished. But she looked happy receiving Abhi's letter and the way she put it to her heart meant a lot to Abhi.
Well he was satisfied and did not do all that in vain.
Super update bro. Hats off.
 

aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,185
158
:superb::good: amazing update casi bhai,
behad hi shandaar aur lajawab update hai bhai,
jaisi ummid thi ye update bilkul vaisa hi hai,
iss update ke liye maine khud ko pahle se hi prepare kar rakha tha,
isliye utna nahin roya, lekin sach mein bahot hi emotional aur heart breaking update hai bhai,
Manoj to ab gaya kaam se, abhi ne use sachche dil se baddua di hai,
Dadaji abhi ki shaadi ke liye ready the lekin uski kisi ne baat hi nahi suni,
ab dekhte hain ki aage kya hota hai,
Waiting for next update
 

Savi

Banned
443
4,366
123
Update 41 - Happy New Year…. & 5 Days After

Abhi music bahut passand karta tha, Sirf Bollywood nahin Western bhi. To iss 1st January ko subha ko ussne apne top ten western songs ko note kiya apne favourite channel par aur wo yeh the, aap log bhi enjoy aur yaad kijiye jinnko weh gaane yaad hein, sab 1986 mein top par the aur 1st January 1987 ko play kiya jaa raha tha. To apne diary mein Abhi ke Top ten list mein yeh gaane likhe hue the:

1. I want to wake up with you by B.Gardiner

2. Lady in Red by Chris de Burg

3. Different corner by George Michael

4. Papa don’t preach by Madonna

5. Say you say me by Lionel Ritchie

6. Lover why by Century

7. Promise you made by Cock Robin

8. Take my breath away by Berlin

9. Jane by Century

10.I just died in your arms by Cutting Crew

Abhi subha se din ke 1 baje tak ghar par hi tha. kahin nahin gaya, ussko kuch acha nahin lag raha tha sirf Ruhi ki yaad arahi thi usse. Ek bharipan sa mehsoos ho raha tha usse. Soch raha tha kia udhar Ruhi bhi ussko weise hi yaad kar rahi hogi? Kia Ruhi bhi Abhi ko miss kar rahi hogi….

Ruhi ko yaad kar hi raha tha ke radion par yeh gana chala jissne Abhi ko rula diya, bahot hi roya wo iss geet ko sunkar kyunke iss gaane ke shabd sab jaise ussi ke liye likhe gaye the, gaana yeh tha:

“Wo beete din yaad hai, Wo pal chin yaad hai

Guzaare tere sang jo, Lagakke ujhe ang jo

Wo muskana tera, wo sharmana tera

December ka samaa, wo bheegi bheegi sardiyan

Wo Mausam kia hua nah jaane kahan kho gaya

Buss yaaadein baaki….”

Yeh gaana unhi dinon ka hai aur Abhi ko laga ke gana specially usske liye aur usske situation ke liye likha gaya hai… khub roya wo issko sunkar aur Ruhi ko yaad kar kar ke.

Kaise nahin rota jab geet mein wohi sab likha hai jo Abhi aur Ruhi ke beech hue the – December ka sama tha, Ruhi ka pyar, ussko ang lagaya tha Abhi ne, Ruhi ka muskana, usska sharmana… sab kuch to hua tha Abhi aur Ruhi ke beech weisa hi, to kaise Abhi nahin rota bhala.

Shaam 2 baje Abhi apne bed par leyta hua tha aur usske dimaagh mein Ruhi leyte hue dikhaayi diya aur wo din yaad aya jab ussne Ruhi ko sote hue dekha ta apni nili dress mein…. Uss din Abhi ko Ruhi ko jakar kar kiss karne ka mann kar raha tha….. sab yaad kar raha tha Abhi….wohi din tha jab Reza bhi Abhi ke piche khada hua tha Ruhi ko dekhne ke liye….. yeh sab kuch Abhi ko paagal bana raha tha….. sab yaadein ussko tadpa raha tha….

Aur weise lete hue Abhi Ruhi ke jism ko sochne laga, uss ke har uss ang ko sochne laga jo usske jism se kabhi chipka tha, Abhi Ruhi ki jism ko sochte hue utejit hone laga ussne socha ke kaash Ruhi iss waqt naye saal ke din usske saath hota to wo kaise usske kapdon ko ek ek karke utaarta, kaise usske jism ke har unn komal hisson ko chumta, apna jeeb ferrta, Ruhi se kehta apne jeeb nikaal kar ussko weise hi chidhaane ko jaise wo kiya karti thi, tab jhat se Abhi usski jeeb ko apne munh mein le leta aur ussko passionately kiss karta aur apne haath se kiss karte hue usski jism ko sehlaate hue ussko bed par leytata….

Abhi Ruhi ko, usski touch ko bahot miss karne laga tha…..

Aur kuch der baad Abhi sochne laga ke 5th ko wahan jaega to kia hoga, kaise kiss se baat karega…….

1st January, 2nd, 3rd 4th ko Abhi buss Ruhi ki yaadon mein khoya raha…. Sirf sochta raha ke 5th ko jab wo wahan jaega to kia hoga. Abhi soch raha tha ke Ruhi ne baar baar khat padhi hogi aur kyunke Abhi ne khat mein likha tha ke 3rd, 4th aur 5th ke bich kissi ek din ko aega to Ruhi usska wait karna 3rd se shuru kar diya hoga. Abhi aisa soch raha tha, ussko pata bilkool bhi nahin tha ke uss taraf kia ho raha tha.

To Abhi jo kabhi bhi negative nahin sochta tha aaj pehli baar negative bhi socha ke kia pata iss liye ke Ruhi ne apni parents ko bata diya hoga ke Abhi in 3 dinon mein ek din ko wahan aane wala hai iss liye Ruhi ke maa baap ne unhi 3 dinon ke liye Ruhi ko usske nani ke ghar bhej diya ho aur jab Abhi wahan jaaye to Ruhi mile hi nahin usse! Yeh soch kar Abhi ghabra raha tha, wo nahin chahta tha ke Ruhi ussko nahin mile wahan aur sirf usske parents se milna pare ussko. Abhi chahta tha ke Ruhi bhi saamne ho jab Abhi usske maa baap se baat karega.

4th January ki raat ko mushladhaar baarish shuru hui pure desh mein. Monday ka din tha aur 3rd aur 4th Weekend the aur Naina aur Abhi ki maa, Abhi ki choti behen apne nani ke ghar chale gaye the New Year ke mauke par. Abhi aur usske pita aur baaki ke bhai ghar par the…. Itni baarish hue raat bhar, phir subha ko Abhi ke ghar se nikalna namumkin tha… Abhi ke ghar ke charon taraf paani bhare hue the jaise usska ghar ek jahaz tha samumdar ke beech. Raaste par paani aise beh rahe the jaise nadi.

Abhi ko phir bhi jana tha Ruhi ke ghar kyun ke ussne socha weh log usska intezaar kar rahe honge….

9.30ko Abhi tayyaar hokar ghar se nikla. Abhi ne naye saal ke mauke par naye kapde kharide the apne liye bhi, wohi pehna tha Ruhi ke ghar jaane ke liye. Jab Abhi ghar se nikal raha tha to usske pita ne uss se kaha ke aise Mausam mein kyun kahin jana hai, bahot tez aur khatarnaak tarike se baarish ho rahi thi pita ne kaha ke baadh bhi aa sakte hein kahin bhi desh mein.

Magar Abhi ko jaana tha chahe toofan aaye ya kayamat ussko Ruhi ke ghar jaana hi jaana tha.

Magar pehle ussne socha ke apne nana ke ghar se hote hue tab jaaye Ruhi ke yahan, uss tarah se wo naina se mil leta aur usski good wishes bhi mil jata usse.

Abhi ne ek bus liya, bus ke saare passengers bheege hue the aur khud Abhi bhi bilkool bheeg gaya sirf ghar se nikal kar bus stop tak jaate hue.

Uss sheher se hokar Abhi ko apne nana ke ghar jana tha jiss sheher mein Ruhi ke chacha ka supermarket hai. Wahan se ek dusra bus lena tha Abhi ko.

Uss sheher mein bhi baarish weisa hi tha aur raaste mein jagah jagah par gadiyan break down dikhaayi dete rahe charon raraf baarish ki vajah se… ek bhi aadmi kahin sukha hua nahin dikh raha tha, chhatri ho ya nahin, sab bheege hue the…. Abhi khud itna bheeg gaya ke usske underwears bhi bheege hue the…..

Apne nana ke ghar pahuche to naina, apni maa aur chhoti behen se mile, nana, mamou maasi sabse bhi mile, aur apne kapde utaar kar de diya naina ko iron se sukhaane ke liye jab tak wo khana kha raha tha.

Aur wahan se 1 ghante baad Abhi nikla Ruhi ke ghar jaane ke liye. Naina aur usski maa ko pata tha ke Abhi Ruhi ke ghar jaa raha hai aur shayad ek ya do hafte baad apne mata pita ko lekar Abhi jata Ruhi ka haath officially mangne shaadi ke liye, sab aaj ki meeting par depend karta ke weh log kia kehte hein Abhi ko. Naina ne Abhi ko good luck wish kiya aur Abhi nikal pada…. Aur wahan bhi buss nana ke ghar se nikal kar bus tak pahuncte hue hi Abhi phir pura bheeg gaya….. tar tar ho gaya andar ke kapde bhi bheeg gaye Abhi ke….

Udhar se ek aur chhota sheher tha jahan se Abhi ko bus lena pada Ruhi ke ghar pahunche ke liye….. Aur ussko bus mein Sunil ka apprentice mila aur uss yeh khabar mili ke kal Mehboob ne sabko apne bus mein lekar picnic ke liye seaside gaya tha, Sunil, George, Reza, usske behnein, Ruhi ka baap, usski maa, Manoj, Mahesh, Rahima, Farzinah, Ruhi ki dusri Cousin, sab gaye the seaside kal…. To Abhi ko tassalli hui ke agar kal seaside gaye the picnic par sab to aaj thakke honge to ghar par zaroor hogi Ruhi araam karne ke liye.

Aur aakhir mein Abhi reach hua aaj Ruhi ki aangan mein daakhil hote hue main road se, mushladhaar baarish mein….. Ruhi ke ghar jaate jaate Abhi ekdum bheeg gaya, usske sar se paon tak sab kuch bheega hua tha… sar ke baal se paani aise beh rahe the jaise Abhi ek nadi se nikla tha….

Ruhi ke ghar ke lounge ke paas terrace par khade hokar Abhi ne darwaza khatkhtaya….. baarish itni tez thi ke ek jiv jantu nazar nahin araha tha nah kahin kissi raaste par, nah udhar Ruhi ki aangan mein…. Wo aangan Abhi ko ab bahot bada dikh raha tha aur saaf suthra tha… New Year ke mauke par Ruhi ne terrace par new floor polish kiya hua tha wo dekh kar Abhi ko pata chal gaya ke Ruhi ghar par hi hai kyunke usske ilawa usski maa wo kaam kabhi nahin karti thi Sirf Ruhi karti thi wo kaam….. jitna der Abhi kadha raha darwaza khatkhataane ke baad utna hi wo aur bheegta raha….. Abhi ke haath mein ek plastic bag tha jiss mein kuch chocolates the Ruhi ke liye, chewing gum ka packet bhi tha aur wo perfume bhi tha, sab Ruhi ke liye.

Abhi apne pocket se apne rumal nikal kar sar ponch raha tha baar baar rumal ko piro kar uss mein se paani nikalte hue….

Der lagaya andar se darwaza kholne ke liye unn logon ne… Abhi expect kar raha tha ke Ruhi hi darwaza kholegi magar Manoj ne khola darwaze ko…..

Abhi ne ussko greet kiya, haath milaya, Manoj ne pucha

“kia chahiye”

To Abhi ne kaha ke usske papa se milna hai, phir Manoj ne kaha “andar aao bulata hoon….”

Aur Abhi andar gaya tab Manoj ghar ke andar gaya apne parents ko bulaane ke liye…. Aur Ruhi ki maa aayi, Abhi ne ussko greet kiya, Wo Abhi se muskuraayi phir Manoj ke piche ghar ke andar chali gayi… Manoj ke chehre mein bilkool Khushi nahin dikha Abhi ko, wo jaise naraaz tha Abhi ko apne dwaar par dekh kar…. Abhi itna bheega hua tha ke ussko unn ke ghar ke sofe par baithna acha nahin laga wo khada wait kar raha tha tab dada ji aaye Abhi se milne… Abhi ne unn se bhi haath milaya, aur dada ji ne Abhi ko baithne ko kaha. Magar Abhi ne kaha ke wo bilkool bheega hua hai nahin baith paega, dada ji zid karta raha to Abhi ne kaha ke sabko ajaane diya jaaye tab baithega. Dada ji ko Abhi ne naye saal ki shubkaamnaayein diye aur Dada ji ne bhi Abhi ko same kaha. To dada ji ne pucha,

“kiss se milne aaye ho?!”

Abhi ne kaha,

“Aap sab se!”

To Dadaji ne hansste hue pucha,

“ya Ruhi ke liye aaye ho hahahaha!”

Abhi ko achcha laga magar usska chehra pata nahin kyun laal ho gaya ussko jaise sharam sa laga… aur Abhi ne dada ji se pucha,

“Yahin hai nah Ruhi?!”

Dada ji ne haan mein sar hillaya aur kaha,

“Aate honge tum se milne sab, Manoj bulaane gaya hai nah!”

Dada ji ne Abhi se pucha kia jidhar wo rehta hai udhar bhi aise hi baarish ho raha hai, to Abhi ne bataya ke pure desh mein aise hi baarish ho rahe hein aur raaste bhar charon taraf cars break down hein aur raaste par jaise nadi mitti aur kichad samet chaaron taraf beh rahe hein….

Koyi nahin araha tha Abhi se milne, ulta Abhi ne socha tha Ruhi dhadpadaati hui daud kar aegi Abhi se milne aur bahot khush dikhegi, sharmaaegi Abhi ko apne ghar mein dekh kar… Abhi apne khayaalon mein har tarah ki drisht bana raha tha Ruhi ko lekar…. Ussne soch liya tha ke Ruhi ko apna gaal dega kiss karne ke liye, kyunke yeh ek tradition tha New Year par weise kiss karke wish karna… to Abhi tayyar tha aur Ruhi ka wait kar raha tha….

5 minats beet chuka tha, dada ji aur Abhi baat kiye ja rahe the, Abhi ab tak khda tha aur Dada ji ussko baithne ke liye kahe ja rahe the magar Abhi keh raha tha ke sab ko aane ka wait karega tab baithega….

Ghar ke andar bhunbhun baatein karte hue sunaayi de raha tha, matlab andar Ruhi ke mata pita, Manoj sab baat kar rahe the…. Abhi soch raha tha ke weh log shayad soch rahe honge ke ab Abhi se sab settle kar lena hai aur ussko apne parents ko saath lekar aane ko kahenge issi liye ghar ke andar sab decide kar rahe the ke Abhi se kia bola jaaye….

Kyunke koyi bhi nahin araha tha to dada ji ne awaaz diya,

“Arey kahan ho tum log ghar mein mehmaan aaye hue hein itni der koyi lagata hai mehmaan ki khatir daari karne ke liye? Ari oh Ruhi aakar dekh to kaun aya hai sun rahi ho?!”

Aur Manoj wapas aya….. aate hi ghusse mein laal baboola hokar Abhi se kaha

“MERA BAAP TUM SE NAHIN MILNA CHAHTA, USSNE KAHA KE WO TUMKO EK BAAR JAWAAB DE CHUKA HAI BAAR BAAR WOHI BAAT NAHIN DOHRAEGA KYUN AAYE HO YAHAN? HUM KIA TUMHARE RISHTEDAAR HAI? WE ARE NOT RELATED TO YOU? HUMKO TUMSE KOYI VAASTA NAHIN HAI. AGAR MEHBOOB SE MILNE AAYE HO TO WO USSKA GHAR HAI MEHBOOB YAHAN NAHIN REHTA. UDHAR JAO. AUR PHIR KABHI BHI IDHAR MAT AANA TUM HAMARE RISHTEDAAR NAHIN HO, AUR SUNON KHABARDAAR AGAR MERE DUSRE RISHTEDAAR KE GHAR GAYE KISSI SE MILNE USS SHEHER MEIN YA SHWETA SE MILNE GAYA TO! AUR YE LO JO LAST KE BUS KE PHOTOS LIYE THE ISSKE PAISE NAHIN CHAHIYE MUJHE LE JAO, CHALO NIKLO BAAHAR MERA GHAR KHARAAB KAR DIYA, PAANI BHAR DIYA CHAARON TARAF – GET OUT!!”

Abhi ka gala sukh gaya, ek lavz bhi nahin nikla balke aankh se aansoo tapke Manoj ki baton ko sunkar…. Usske peyr kaamp uthe, honth tharthara gaye haath kaampne lage ussko laga ke wahin girr padega… sirf Manoj ke chehre mein dekhta raha ussko sunte hue….. itni zillat life mein kabhi nahin jhela tha Abhi ne… ussko laga ke usske gaand mein laat maar ke, dhakke dekar Manoj ne ghar se nikala ussko….wo turant bina kuch kahe apne kadam ko ghar ke baahar nikala…. Dada ji bilkool heyraan Manoj ko dekh raha tha aur khada hua yeh kehte,

“Are Ruhi ko bulado wo usske liye aya hua hai nah?”

Manoj ne oonche awaaz mein Dadaji se kaha,

“aap chhup rehiye kissi ne aap ki raaye nahin mangi hai!”

Tab tak Abhi baahar nikal chuka tha aur dada ji ko yeh kehte hue suna,

“To kyun itne dinon tak Ruhi ko usse badhawa dene diya tha tum logon ne? Ab donon ki shaadi karwa dena chahiye!”

Abhi ke paon nahin uth rahe the chalne ke liye, aankh se aansoo jaari the uss baarish mein mein Abhi ko uss aangan se main road tak chalte hue uss faasla ko tey karne mein laga ussne ek ghanta liya Ruhi ke ghar se main road tak reach hone mein… taaqat nahin baaki raha tha Abhi mein….. main road par aya to raasta khali pada tha… ek bhi insaan nahin dikh raha tha Abhi baith gaya raaste par aur bahot zor se chilla kar rona shuru kiya!!!!!itna zor se chilaaya ke milon ke faasle tak usski awaaz reach hui hogi halaan ke bade zoron ki baarish ho rahe the…..

Abhi life mein kabhi uss tarah se nahin roya tha, thik Ruhi ki aangan aur Main road ke darmiyaan baitha hua tha, paani beh raha tha usske niche jaise ek stream mein baith kar ro raha tha,

“HAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAA”

“HAAAAAAAAAAAAAAAAAAA”

“HAAAAAAAAAAAAAAAAAAA”

Iss tarah se chilaate hue rota gaya koyi 5 minats tak….. filmon mein dekha hoga sab ne, movies mein aate hein aise scene magar yahan sach mein, hakikat mein weisa ho raha tha…magar sunne wala, ya dekhne wala koyi nahin tha… Abhi ne apne sar ko peeta, kuch iss tarah peeta apne sar ko jaise khud ko maar raha tha, khud ko kissi baat ka sazaa de raha tha, jaise uss se koyi gunah ho gayi thi aur uss gunah ke liye Abhi khud ko maarte hue saza de raha tha…..

Abhi ke haath peyr sab kaamp rahe the ussko samajh mein nahin araha tha ke weisa kyun ho raha hai, wo kaamp raha tha… ek bus guzra kuch tez raftaar se aur road ka sara pani kichar sameth bus ke guzarne se Abhi ko 100 gunah aur bhigo diya… Abhi ke naye kapde par kichad lag gaye, safed kamiz tha, aur cream colour ka pant pehna hua tha Abhi ne, maila paani kichad ke saath usske upar andaza lagaiye kaisa dikh raha hoga uss waqt…. uss plastic bag mein jo chocolates aur perfume the wo Abhi ne road par wahin rakha hua tha sab bhig rahe the, plastic bag ke andar paani chala gaya aur wo behne lage the… Abhi ke haathon mein jaise taaqat nahin tha uss plastic bag ko pakarne ke liye… agar ek pathar se wo bag nahin takrata to sab wahin chorr deta abhi….

Abhi ko kissi ke sahare ki zaroorat mehsoos hui uss waqt, ek dost ki, ya koyi bhi aisa insaan jo ussko apna sahara deta, ussko wahan se uthata, ussko sahara dekar bus stop tak pahunchata… apne doston ko soch kar roya Abhi…. Naina ko soch kar roya aur chilla kar kaha ke kaash ussko koyi thoda zeher deta uss waqt to be jhijhak wo pee jata uss zeher ko… ussi pal ko Abhi ko mar jaane ko mann kar raha raha, socha ke ek truck ya bus udhar se aate dikhaayi deta to usske saamne aa jata…. Magar tab raasta bilkool khali tha, sannata tha chaaron taraf baarish ke ilawa aur kuch nahin tha…. Abhi ne aasmaan ke taraf sar utha kar dekha aur aasman se baat kiya,

“Issi liye aaj ro raha hai tu ey aasmaan? Mere aansoowon ko tu bhi baha raha hai, tujhe pata tha mere saath yeh hone wala hai to tum ne pehle se rona shuru kar diya hai….. January 5th 1987 yeh date Abhi kabhi nahin bhulega… usski life ki ek aisi tariq thi yeh jo ussko umar bhar yaad rahega, iss date ko Abhi ne marne ki tamanna ki thi.

15 minats ke baad khud ko sambhaalte hue Abhi wahan se utha, mudh kar piche aangan mein nahin dekha…. Ussko nahin pata tha ke koyi Ruhi ya Mehboob ke ghar se ussko dekh raha hoga ya nahin… waise Mausam itna kharaab tha ke har ghar mein sab log pakode tal kar TV ke saamne baithe honge….

Uss plastic bag ko uthaya Abhi ne uss mein se saare paani ko nikala aur chocolates ko feink diya magar perfume ko sambhaal liya….. kissi tarah bhi Ruhi tak zaroor pahunchana tha ussko wo perfume….. Bus ki photos jo Maanoj ne usse diya tha wo bilkool bheeg gaye the; phir bhi weise hi saare photos ko Abhi ne ussi bheege hue platic bag mein daal diya…

Abhi ne apne dimaagh mein sab soch liya tha ke ab aaguey ussko kia karna hai…..

Wahan se uthte hue, bus top ke paas kade hokar, Abhi ne itna kaha aise hi hawa mein,

“Ghar aaye mehmaan ka aise swagat kiya jata hai Manoj, badduah lagegi mere tute hue dil ka tujhe yaad rakhna, kahin kutte ki maut naseeb nah ho jaaye tujhe ek din issi jagah” Abhi ke zubaan se aise hi yeh alfaz nikal gaya tha, kyunke usska dil buri tarah se tuta hua tha uss waqt… ussko pata bhi nahin tha ke wo kia bol raha hai, magar kia pata ek din yeh bad duah lag jaega Manoj ko? Who knows?

Abhi ke ansso behne lage bina roye yeh soch kar ke Ruhi kyun nahin aayi uss se milne? Manoj Abhi ko itna beizat kar raha tha, ussko dhitkar raha tha aur andar baithi Ruhi sab sun rahi thi? Ussko Abhi se bahot pyar hai isska yakeen tha abhi ko, to Abhi khud se puch raha tha kaisa pyar tha yeh ke mujhko ruswa kiya jaa raha tha, mujhko kutte ki tarah dhake dekar ghar se baahar nikala ja raha tha magar Ruhi ne kuch nahin kaha, kyun wo nahin aayi Abhi se milne, dada ji ne kaha ussko aane ke liye phir bhi nahin aayi kyun?! Aur Abhi ko darr tha ke kahin usske tute hue dil ki bad duha kahin Ruhi ko bhi nah lag jaaye…. Abhi nahin chahta tha ke usski Ruhi ko koyi bhi takliff ho magar usska dil bahot ro raha tha ke Ruhi ne kyun ussko uss tarah se ruswa hone diya!!

Bade beabroo hokar hum tere kuche se nikle…. Khud se kaha Abhi ne… bina awaaz ke, bina roye usske aankhon se darya beh raha tha aasman ke baarish se aansoo dhul rahe the, baarish aur aansoo ke milaap ho rahe the Abhi ke chehre par….


Uss waqt Abhi ne dekha wo dukaan khula hai jahan uss raat ko Abhi ne Ruhi ke liye cakes aur ice creams kharide the… Abhi wahan pahuncha….. dukaan wale ke siwa koyi bhi nahin tha wahan… sirf ek darwaza khula tha dukaan ki, baaki band the barsaat ki vaja se….. Abhi ne sharaab kharida aur piya 1 ghante tak wahan baith kar… Tab bus liya ghar wapas jaane ke liye…

Iss din ke baad Abhi ne USSKI GALI MEIN JAANA CHORR DIYA magar nahin ek baar gaya ek BAHOT HI IMPORTANT kaam ke liye – kissi se mila vila nahin siwae uss ek insaan se jiss se milne gaya tha uss kaam ke liye

Shaam ke 4 baj chuke the aur Abhi ghar wapas aya aur Naina ke gale lag kar itna roya, itna roya ke Naina ke saath usski maa, aur saare bhai sab ro pade…..

To be continued…… (3822 words)

Pehle se pata tha aisa kuch hoga tabhi to title sahi hota. Magar iss LEVEL par hoga ye bilkool socha nahin tha.
Casi ji bahut dukh ho raha hai mujhe. Main bata nahin sakti ke kia haal hua mera iss update ko padhne ke baad.
Dil jaise churr churr ho gaya.
Abhi ne kaise sambhala khud ko. Mujhe bahut rona aya.... saha nahin gaya mujhse.
Kiss tarah se poor Abhi utha wahan se sahare ke bina? Kaise kadam uthaya hoga ussne wahan se uss dukaan tak jaane ko?
Oh my God. Aisa kyun hota hai pyar karne walon ke saath?
Ek akela insaan gham mein ghira, dil tuta hua, saare aansoo sukha kar wapas chalte hue kaise gaya hoga apne ghar tak uffff
Casi ji kia kahun....
Kuch kaha nahin jaata...
Abhi ke liye dil ro raha hai
 

PK@yadav

Member
188
940
108
Shayad kisi bhi reader ne aur khud Abhi ne bhi aisa behaviour expect nahi kiya hogaa Ruhi ke kisi bhi family member se. Dadaji ka ka kahna bilkul sahi tha ki Ruhi ke ghar walon ne kyo itna badhawa diya tha Abhi aur Ruhi ki relation ko.
Sab kuchh unexpected ho rahaa tha.
Shayad ab Abhi kuchh aisa karegaa apne professional life mein, kuchh badaa karegaa.
Jo aaj abhi ke sath hua hai ye kuchh aisa hai jo dimag se pyar ka bhut bhi bhagaa sakta hai. Abhi pakaa Manoj ke gaand pe laat maar chuka hota agar Manoj ne ye sab ghar ke baahar bola hota to..
 
Last edited:
Top