• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-51





Sabhi ki najren ek tak tapak Vyas par.… Tabhi Pranshu… "Haan bhai, kyun nahi. Ab to Meera ji badi ho gayi hain. Boyfriend ke sath ghumti hai aur unke boyfriend ko ye tak pata hai ki Diksha se shadi hone par Meera shadi attend karti aur koi dusri ladki se shadi hoti to nahi aati. Jaisa ki Meera naa aa kar ye sabit bhi kar chuki hai"…


Meera, Paranshu ke baal dono hath se pakad kar nochti.… "Boyfriend… boyfriend… yahan Vyas sir ki maa baithi hai bahane baithi hai aur tumhe aise mazak karte sharm nahi aati"…


Pranshu jhat se apna mobile dikhate... "Ye le dekh le... Aaj subah ki viral tasveer.. Ab kya kahna hai... Sugandha kaki 5 baje ke karib Lucknow ke liye nikal rahi hai"…


Meera sab ko hath dikhati... "Main manti hun aap sab shocked hain aur bolne ke liye hi utavle. Thodi si confusion hai aur humare thode se masti mazak ko Soni kaki ne kuchh jyada he seriously le liya. Matr galatfehmi hai."


Alka Shashtri, Vyas ko ghurti... "Tasveer me confusion hai ya fir abhi confusion creat ki ja rahi hai. Ek ladki se dosti dusre se affair, sara din aawaragardi... Na tu chahta kya hai Vyas"…


Vyas:- Ek ladki se dosti ka matlab... Main aur Sia sath ek campus me hai, achhi baat hoti hai. Thode se hansi mazak ho jate hain... Isme ek ladki se dosti par jor dene wali baat kahan se aayi... Aur Meera ko lekar iske house maid ko confusion hua hai. Tum log bhi to dekhe the hum bus combined study karte hain... Ek sath baithne ko aise rumour udaoge"…


Pranshu:- Kuchh din pahle Soni kaki ki tabiyat kharab nahi thi balki Meera unse boli thi ki wo Vyas ko parakh rahi hai... Hone wali jamai ki taiyari kar le.…


Nirali:- Tabhi main kahun ki ye kal itna chahak kyun rahe the... Main to kal hi ye baat samjh gayi thi...


"Kya main bhi participate kar sakti hun"…. Darwaje par khadi Sia boli...


Sia ki aawaj sun kar Vyas ki najar ek pal ke liye thehar gayi. Vyas ki haalat dekh kar Sia ki hansi nikal gayi... Idhar darvaje par khadi Sia jiska chehra rang se pura laal tha aur Diksha jo tel me naha kar aayi thi… dono ki haalat dekh kar..


Lata Mishra:- Kaun sa paap hua jo dono ko kitchen me jaane di. Paglon kisi ke liye khana bhi banayi hai ya kichen ke sara saman ke sath udham chaukdi macha kar aa rahi...


Diksha:- Sia tu maa ko ignore maar. Dekh uss bechare Vyas ko jo ek ladki se dosti aur dusre ladki ke pyar me pad gaya... Ab bolti band hai bhai sahab ki...


Sia Vyas ke ore dekh kar hansti hui... "Ab jo ladkiyon se dosti karega usse aise sun'na to padega hi... Bechara... Waise Meera ke case me main clarification de deti hun ki, uss raat jo ghatna hui thi.. I mean Meera ke house maid ka wo tabiyat kharab hona, wo meri aur Meera ki shart ka natija tha. Main sunischit thi ki Vyas ke sath Asif aur Riaz bhi hospital jaayega... Jabki Meera kah rahi thi Vyas hi chal de hospital to wahi bahut hai..."

"Ab hum sab Meera ko Riaz ka female version mante hain. Jo log Riaz ko nahi jante hain wo detail Alka aunty se le le aur jo log Riaz ko jante hain wo samjh gaye honge ki bechari Meera apne badbole pan me khud to fasi hi, sath hi sath Riaz ki tarah Meera ne bhi Vyas ko hi fasaya... Jija ji mera ho gaya... Chalo aap bhi kitchen, ek chhota sa holi samaroh to ho hi jaye."


Pichhe se Diskha, Sia ko ander room ke ore dhakka deti... "Sari baten clear kar ke chehra saaf kar le. Lunch ka samay ho raha"…


Sia:- Are kuchh nahi, aaj bechare Vyas ka durbhagyapurn din hai. Lagta hai Asif aur Riaz kisi kaam se gaye hain. Ek ladka ek ladki ke dosti par sawal ho sakta tha, par meri to tkri ke sath dosti hai... Baki duniya jo bhi samjhe usko samjhte rahne do... Aunty aati hun thoda rang saaf kar ke tab tak leti rahiye Vyas babu ki class... Main to kahti hun yahin lawn ke bahar scooter bana do...


Sia apni baat kah kar chali... Uska andaj-e-byan dekh kar Vyas hasne laga. Lata Mishra Diskha ko dekh kar… "Tu kya muhrat ka intzar kar rahi hai. Tu bhi ja na"


Diksha:- Ja rahi hun maa lekin jaane se pahle Alka aunty se kahti chalun.. Aunty mujhe Vyas par kuchh-kuchh shak sa ho raha hai, jarra daba ke khabar lijiye... Ladka kahin dahej me aag na laga de...


Alka Shashtri:- Batao duniya itni bhi chhoti hoti hai kya... Yahan sab ek dusre ko jante hai bus ye nahi jante ki wo log bhi aapas me ek dusre ko jante honge...


Meera:- Haan pahle din college me mera bhi yahi haal tha. Jab mujhe pata chala ki Sia didi aur Vyas pahle se ek dusre ko jante hain…


Lata Mishra:- Ek kaam karo tum log ek list banakar de do kis-kis ko jante ho... Ek baar uss list ko dekh kar hum bhi taslli kar le ki unme se hum kis-kis ko jante hain… taki agli baar aise gajab ke mahol dekhne ko nahi mile... Aur Pranshu babu apni kaki ko mana karo warna Sugandha aati hi hogi idhar...


Pahle jitne shock huye uske baad utni ji jyada hansi mazak. Upar se Lata Mishra ka mazakiya andaz. Sabhi log khane ke liye bunglow ke hall me hi gaye. Nirbhay ki patni Shanti ne sab ke khane ka intzam wahin kiya tha.


Lata Mishra, Sia aur Diksha sabse aakhri me pahunchi thi, kyunki Lata Mishra ki bahu pahli baar apne sasural aayi thi, aise kaise khali haath jane deti. Diksha aur Sia ne bhi Meera ko le kar jo samiksha ki thi wo apne tak hi rahne dee aur Lata Mishra ke sath gift ki planning karne lagi. Ab ek ko diye baki ko nahi diye ye bhi achha nahi lagta isliye teeno mil kar kiske liye kaun sa gift, kya kaise pack kar ke lana hai, wo Som ko sandesh me likh dee...


Idhar Som, Zerul se jamin ka mamla settle karne nikla tha. Dimag me pahle se tay tha ki 10 rupya ki chij ka bhaw 5 rupya ya 6 rupya lagega. Lekin Som jab Zerul Imam ke yahan pahuncha to usse baithne tak nahi diya jabki ussi ke aankhon ke samne 25 se 30 sal ke bich ke majdoor type ke dikhne wale aadmi sidha ja jar sofe par baith gaye the aur unka swagat bhi kafi josh me hua tha...


Ek to khade rakh kar bejjati kiya, upar se jamin ki kimat kaidiyon ke bhaw laga diya. Mano Zerul Imam ko 10 rupya ki chij 10 paise me chahiye tha. Upar se warning bhi de dala... "November tak wahan party office ban jayega"…


Nirbhay, wahan se Som ko le kar bahar aa gaya. Dono car me jaise hi baithe, Nirbhay Som ko dekhne laga. Som bus shant Zerul Imam ki baton par hi gaur kar raha tha… Dono ke bich kuchh baat ho pati uss se pahle hi Diksha ka sandesh pahuncha gaya jisme lambi chaudi shopping ki list thi.


Som:- Singh sahab ghar se lambhi chaudi shopping ki list aa gayi...


Nirbhay:- Tumhe Zerul ki ghatiya harkaton par koi baat nahi karni...


Som:- Baat karne ke liye koi wajah chhodi hai kya?


Nirbhay:- Nahi...


Som:- To fir bus... Ek baar sahi tarike se ab samjhaunga dekhna hans ke kahega, aap ki jamin aap ko mubarak. Filhaal to meri jigyasa abhi Vijya aur Ajay me hai. Dono school se aa gaye honge kya?.


Nirbhay:- Nahi...


Som:- Ghar call kar dena... main unke sath kharidari karne ja raha hun.


Som Nirbhay ko uski jagah chhod kar Vijya aur Ajay ko lene school pahunch gaya. Som ko dekh kar dono hi bacche khush ho gaye. Wo apne doston se Som ka parichay karwaye aur Som unhe apne aane ka karan batane laga.


Som dono ko le kar shopping kar raha tha aur Zerul Imam se hui mulakat par bade dhyan se soch raha tha. Takriban 2 baje ke karib Som Nirbhay ke dono bacchon ke sath shopping samapt kar ghar pahuncha.


Ghar ka mahol poora bhara hua tha. Haan lekin ghar ke ander Meera ko dekh kar Som poori tarah se harbada gaya. Som, Meera ke har baat ki gahrai ko bhaanp chuka tha aur khud ko uss se dur rakhne me hi apni bhalai samjha. Som khane ke bahane se chup chap wahan se nikla aur bunglow ke hall me aa kar baith gaya...


Alka Shashtri bhi kab se jane ki jid pakdi hui thi. Som ke aate hi Lata Mishra ne bhi sab ko uska gift ka packet thama diya, aur anth me Meera ke hath me packet thamati.… "Kuchh bachpana kabhi kam nahi honi chahiye Meera. Main to chahti thi ki tum yahin ruk jao"…


Meera:- Aunty baad me aap se milti hun abhi jane do. Bhaiya main intzar kar rahi hun please aana. Bahut si baten karni hai aap se...


Pranshu:- Sham ko aata hun Kuku. Khyal rakhna apna...


11 baje jo kautuhal ka mahol shuru hua so lagbhag 3 bajte-bajte samapt tha. Lata Mishra to poori tarah se jhum rahi thi kyonki pahle to mann me sanka bhi tha ki Sugandha ki beti kaisi hogi, lekin ye ladki to pahle se jaanchi parkhi hui nikli...


Surprise se bhada din tha jahan kahan-kahan se bhatake log ek poori kadi me najar aaye. Waise to kautuhal ka mahol Shashtri family me lautne ke sath hi tha. Poore raste ek to Vyas bechara dono bahno ke bich pis gaya, aur fir raste me jate waqt aaj sham ko scooty ki kharidne ki jid hone lagi...


Khiar, Mate Alka Shahstri ne Nirali aur Jannat ko 2 din ruk jane ke liye bol di kyunki Sunday ke din poora parivar sath hoga. Zarina ki chutti hogi, Pandit ji freer rahenge... Zarina ki baat par Alka ka matha thanka... "Ye Asif kidhar hai"..


Vyas:- Maa wo Kamil ke sath kahin nikla hai...


Alka:- Ye wahi Zarina ke maa ki bahan ka pota hai na jo IIT Kanpur me hai..


Jannat:- Chachi itna kaise yaad rakh leti ho...


Alka:- Bacche kiske sath gunte hain uski detail to honi hi chahiye... Waise sahi kiya jo tum dono uss family se milne chali gayi... Haay kitni pyari ladki hai na Sia. Humare samne humari maa ne aise puchh liya hota to ghabra hi jate, lekin kitna santulit ho kar jawab dee..


Jannat:- Kyun chachi, dosti ke badle prem ka rishta soch kar aap ghabra jati...


Teeno bacche thahake laga kar hasne lage. Alka ghurti najron se teeno ko ek-ke kar ke dekhti... "Haan hanso teeno. Beta mujh me tum teeno ke jaisa presence of mind bhale na ho lekin mere hath me hamesa situation advantage to rahta hi hai. Teeno ye bhulna mat"…


Vyas:- Maa dhamki try kar rahi ho kya?


Alka Shashtri:- Wo sab chhod... Tu mujhe Sia ke bare me bata. Ae tum dono jarra kaan band karo, mujhe kuchh aapas ki baat karni hai..


Jannat:- Kyun ab ye din aa gaye ki bete ko ladki patane kahogi...


Nirali:- Humara samaj... Beti raste me kisi sath padhne wale se baat kar le to muh chadh jaye... Yahan maa-beta baith kar ladki patane ki baat karenge... Ye humara samaj ka jhukav shuru se hi ek pakshiya raha hai..


Alka:- Bhaiya gadi roko... 2 sawari ko raste me hi fenkna hai.... Chakachak ladki thi, tere bhi sath padhne walon me se koi mujhe achha lagega to kya main ruki rahungi...


Jannat:- Jyada sapna mat dekho chachi… Ladki 5 sal England me padh kar lauti hai. Wo har kisi se pyar se hi baat karegi…


Alka:- Ohhhh … tabhi ek ladke se dosti unke liye samanya si baat thi. Kafi khule mahol me parwarish hui hai… Ek minute... Tujhe kaise pata ki wo kahan padhi hai..


Nirali:- Bhaiya ne bataya tha...


Ek thappad kadake wali Vyas ke gaal par... "Chotta... Bahan ke sath ladka-ladki wale matter discuss karte sharm na aati"…


Vyas:- "Main kuchh bolunga hi nahi... Samajh se pare ho tum log. Poora ghar jab sath hota hai aur humare samne kisi ladke ki detail kahani tum dono pati patni batiyati ho... Pandit ji falane ka beta.. kal mila. Ye achha wo achha yahan padh raha wahan padh raha tab kya main bhi kah dun ladka-ladki ki baat ho rahi..."

"England me padhi hai lekin wo padhai karti hai. Kisi ko bina jane matr kahin videsh me padhi hai, iss baat se judge karna galat hai. Fir jab bahar hi akele padhna hai fir desh kya aur videsh kya? Dil saaf hai isliye uska poora parivar hi hum teeno (Vyas, Asif aur Riaz) ke bare me jaanta hai, iss baat ko bhi socha. Usse nahi laga ki doston ke bare me kuchh chhipana chahiye aur aap ki tarah unke gardian ko bhi khabar hai ki uske bacche kinse milte hai...


Alka Shashtri chidhti hui... "Wo kahin bhi padhe mujhe kya? Wo kaisi hai uski detail mujhe kyun suna raha. Maine bus common si baaten boli thi..."


Vyas kuchh bolne ko hua, Jannat haath dikhati... "Bus bhaiya ruko tum. Chachi yahan tum galat ho. Aap ka facial expression sari kahani kah raha tha. Bhaiya bus aap ko sahi kar rahe the."


Nirali:- Maa Chidhna band karo. Har baar aap sahi ho aisa sambhav hai kya..


Alka thodi afsos karti... "Bacche jab jawab dete hain na wakai bura lagta hai. Mauje bhi yaad aa gaya jab maa se meri bahas hoti thi. Mujhe lagta tha ki ye meri maa sunti kyun nahi, main sahi hun fir bhi daant deti hai... Aaj wo yaad aa gaya.. Khair main samjh gayi ki mujh se galti ho gayi... England me padhne ko le kar mujhe muh nahi banana chahiye tha...


Nirali aur Jannat dono Alka se lipat kar uske gaal chumti... "Ye hui na baat... Aap best ho maa... Haan chachi aap best ho."…


Thode se parivarik drame. Vyas aankhon se hi apni bahno ka abhivadan kar raha tha. Soch ki gape yani middle class family ki generation gape ki kahani thi, jahan dono beti apni maa ko janti thi aur unhe kaise sidhe samjhana hai ye bhi.





<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,030
173
Kar dijiye... Mujhe to maza aa raha hai...



Denied



Haan main bhi wahi kah raha tha... Experience ho gaya ek sath updates dene ka



Koi na college me kuchh nahi hota hai... Bus film aur kahani me fanstasy hoti hai aur college life uss se kafi dur dur ... Main aisa nahi kah raha ki kuchh nahi hota lekin jo padhte ya dekhte hain wo kafi jyada hita hai... Don't expect much..



Jute padne ki salaah yahan di ja rahi ☺☺☺



Bilkul galat hai... Melody khao khud jaan jao gayab hai... Aur kisi bhi site par nahi... kisi jagah log sabhi writer ke naam se I'd generate kar ke purani kahani post kar rahe ummid bhi na karen ki aage bhi kuch hoga...






Ek writer ko reader sanjota hai... Pata nahi yahan naye reader comment karte nahi aur jo comment karte hain wo mere story tak nahi pahunch paate ... Fir bhi jitne mere pass reader hain wo mujhe sanjoye rakhne ke liye kafi hai... Thanks to everyone...

Ek sach ye bhi hai ki mujhe bahut jyada kisi ke aane ki ummid nahi rahti lekin haan jo hai mere pass usnhe fir main gusse me kuchh bhi kah dun ... Kahin nahi jane wale ye viswas rahta hai... To bus karwan chal raha hai.. aur prarthna kijiye ki chalta rahe ..

Dhanywad
Dekhi jo nabj meri to hansh kar bola haqim
Tere Marj ka ilaj mahfil hai tere dosto ki
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
पचासवाँ भाग

बहुत ही मज़ेदार महोदय,

पंडिताइन, निराली और जन्नत सोच रही होगी कि कहाँ फंस गई वो। इतना विचित्र और अजीबोगरीब परिवार का सामना जो हुआ। मीरा के आ जाने के बाद कहानी और भी बदल गई। व्यास घर वालों के सामने छिछोरा साबित हो गया।

निराली सोच रही है कि जब प्यार सिया से करते हैं व्यास भैया तो मीरा को क्यों घुमा रहे हैं। सिया ने भी मीरा के बारे में भी वही सुना है जो सब ने सुना है कि वो अपने प्यार के लिए प्रबंधन पढ़ाई छोड़कर चिकित्सा को चुना। बात फिर से वहीं आकर अटकी है कि आखिर वो बन्दा है कौन जिसके लिए मीरा ने प्रबंधन छोड़कर चिकित्सा चुनी।।🤔🤔🤔

Aap Panditain par bahut jor deti hain... Jabki wo Shashtri family hai 😂😂😂😂

Khair poora confusion Shashtri family ki hi hai... Baki sabhi to normal hi the :D ... Vichitr situation kewal aur kewal Shahstri family ki layi hui hai...

Aur Som Som Som Som aur kewal Som ke liye Meera ne medical me admission liya.. ye baat jab wo class me pahle din ja rahi thi jahan rahhing hua tha wahan bataya tha maine..

Khair koi na ek baar explain hona hai to wahan poora clear ho jayega 😊😊😊😊

Thankooo for your beautiful reboo
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,030
173
Update:-51





Sabhi ki najren ek tak tapak Vyas par.… Tabhi Pranshu… "Haan bhai, kyun nahi. Ab to Meera ji badi ho gayi hain. Boyfriend ke sath ghumti hai aur unke boyfriend ko ye tak pata hai ki Diksha se shadi hone par Meera shadi attend karti aur koi dusri ladki se shadi hoti to nahi aati. Jaisa ki Meera naa aa kar ye sabit bhi kar chuki hai"…


Meera, Paranshu ke baal dono hath se pakad kar nochti.… "Boyfriend… boyfriend… yahan Vyas sir ki maa baithi hai bahane baithi hai aur tumhe aise mazak karte sharm nahi aati"…


Pranshu jhat se apna mobile dikhate... "Ye le dekh le... Aaj subah ki viral tasveer.. Ab kya kahna hai... Sugandha kaki 5 baje ke karib Lucknow ke liye nikal rahi hai"…


Meera sab ko hath dikhati... "Main manti hun aap sab shocked hain aur bolne ke liye hi utavle. Thodi si confusion hai aur humare thode se masti mazak ko Soni kaki ne kuchh jyada he seriously le liya. Matr galatfehmi hai."


Alka Shashtri, Vyas ko ghurti... "Tasveer me confusion hai ya fir abhi confusion creat ki ja rahi hai. Ek ladki se dosti dusre se affair, sara din aawaragardi... Na tu chahta kya hai Vyas"…


Vyas:- Ek ladki se dosti ka matlab... Main aur Sia sath ek campus me hai, achhi baat hoti hai. Thode se hansi mazak ho jate hain... Isme ek ladki se dosti par jor dene wali baat kahan se aayi... Aur Meera ko lekar iske house maid ko confusion hua hai. Tum log bhi to dekhe the hum bus combined study karte hain... Ek sath baithne ko aise rumour udaoge"…


Pranshu:- Kuchh din pahle Soni kaki ki tabiyat kharab nahi thi balki Meera unse boli thi ki wo Vyas ko parakh rahi hai... Hone wali jamai ki taiyari kar le.…


Nirali:- Tabhi main kahun ki ye kal itna chahak kyun rahe the... Main to kal hi ye baat samjh gayi thi...


"Kya main bhi participate kar sakti hun"…. Darwaje par khadi Sia boli...


Sia ki aawaj sun kar Vyas ki najar ek pal ke liye thehar gayi. Vyas ki haalat dekh kar Sia ki hansi nikal gayi... Idhar darvaje par khadi Sia jiska chehra rang se pura laal tha aur Diksha jo tel me naha kar aayi thi… dono ki haalat dekh kar..


Lata Mishra:- Kaun sa paap hua jo dono ko kitchen me jaane di. Paglon kisi ke liye khana bhi banayi hai ya kichen ke sara saman ke sath udham chaukdi macha kar aa rahi...


Diksha:- Sia tu maa ko ignore maar. Dekh uss bechare Vyas ko jo ek ladki se dosti aur dusre ladki ke pyar me pad gaya... Ab bolti band hai bhai sahab ki...


Sia Vyas ke ore dekh kar hansti hui... "Ab jo ladkiyon se dosti karega usse aise sun'na to padega hi... Bechara... Waise Meera ke case me main clarification de deti hun ki, uss raat jo ghatna hui thi.. I mean Meera ke house maid ka wo tabiyat kharab hona, wo meri aur Meera ki shart ka natija tha. Main sunischit thi ki Vyas ke sath Asif aur Riaz bhi hospital jaayega... Jabki Meera kah rahi thi Vyas hi chal de hospital to wahi bahut hai..."

"Ab hum sab Meera ko Riaz ka female version mante hain. Jo log Riaz ko nahi jante hain wo detail Alka aunty se le le aur jo log Riaz ko jante hain wo samjh gaye honge ki bechari Meera apne badbole pan me khud to fasi hi, sath hi sath Riaz ki tarah Meera ne bhi Vyas ko hi fasaya... Jija ji mera ho gaya... Chalo aap bhi kitchen, ek chhota sa holi samaroh to ho hi jaye."


Pichhe se Diskha, Sia ko ander room ke ore dhakka deti... "Sari baten clear kar ke chehra saaf kar le. Lunch ka samay ho raha"…


Sia:- Are kuchh nahi, aaj bechare Vyas ka durbhagyapurn din hai. Lagta hai Asif aur Riaz kisi kaam se gaye hain. Ek ladka ek ladki ke dosti par sawal ho sakta tha, par meri to tkri ke sath dosti hai... Baki duniya jo bhi samjhe usko samjhte rahne do... Aunty aati hun thoda rang saaf kar ke tab tak leti rahiye Vyas babu ki class... Main to kahti hun yahin lawn ke bahar scooter bana do...


Sia apni baat kah kar chali... Uska andaj-e-byan dekh kar Vyas hasne laga. Lata Mishra Diskha ko dekh kar… "Tu kya muhrat ka intzar kar rahi hai. Tu bhi ja na"


Diksha:- Ja rahi hun maa lekin jaane se pahle Alka aunty se kahti chalun.. Aunty mujhe Vyas par kuchh-kuchh shak sa ho raha hai, jarra daba ke khabar lijiye... Ladka kahin dahej me aag na laga de...


Alka Shashtri:- Batao duniya itni bhi chhoti hoti hai kya... Yahan sab ek dusre ko jante hai bus ye nahi jante ki wo log bhi aapas me ek dusre ko jante honge...


Meera:- Haan pahle din college me mera bhi yahi haal tha. Jab mujhe pata chala ki Sia didi aur Vyas pahle se ek dusre ko jante hain…


Lata Mishra:- Ek kaam karo tum log ek list banakar de do kis-kis ko jante ho... Ek baar uss list ko dekh kar hum bhi taslli kar le ki unme se hum kis-kis ko jante hain… taki agli baar aise gajab ke mahol dekhne ko nahi mile... Aur Pranshu babu apni kaki ko mana karo warna Sugandha aati hi hogi idhar...


Pahle jitne shock huye uske baad utni ji jyada hansi mazak. Upar se Lata Mishra ka mazakiya andaz. Sabhi log khane ke liye bunglow ke hall me hi gaye. Nirbhay ki patni Shanti ne sab ke khane ka intzam wahin kiya tha.


Lata Mishra, Sia aur Diksha sabse aakhri me pahunchi thi, kyunki Lata Mishra ki bahu pahli baar apne sasural aayi thi, aise kaise khali haath jane deti. Diksha aur Sia ne bhi Meera ko le kar jo samiksha ki thi wo apne tak hi rahne dee aur Lata Mishra ke sath gift ki planning karne lagi. Ab ek ko diye baki ko nahi diye ye bhi achha nahi lagta isliye teeno mil kar kiske liye kaun sa gift, kya kaise pack kar ke lana hai, wo Som ko sandesh me likh dee...


Idhar Som, Zerul se jamin ka mamla settle karne nikla tha. Dimag me pahle se tay tha ki 10 rupya ki chij ka bhaw 5 rupya ya 6 rupya lagega. Lekin Som jab Zerul Imam ke yahan pahuncha to usse baithne tak nahi diya jabki ussi ke aankhon ke samne 25 se 30 sal ke bich ke majdoor type ke dikhne wale aadmi sidha ja jar sofe par baith gaye the aur unka swagat bhi kafi josh me hua tha...


Ek to khade rakh kar bejjati kiya, upar se jamin ki kimat kaidiyon ke bhaw laga diya. Mano Zerul Imam ko 10 rupya ki chij 10 paise me chahiye tha. Upar se warning bhi de dala... "November tak wahan party office ban jayega"…


Nirbhay, wahan se Som ko le kar bahar aa gaya. Dono car me jaise hi baithe, Nirbhay Som ko dekhne laga. Som bus shant Zerul Imam ki baton par hi gaur kar raha tha… Dono ke bich kuchh baat ho pati uss se pahle hi Diksha ka sandesh pahuncha gaya jisme lambi chaudi shopping ki list thi.


Som:- Singh sahab ghar se lambhi chaudi shopping ki list aa gayi...


Nirbhay:- Tumhe Zerul ki ghatiya harkaton par koi baat nahi karni...


Som:- Baat karne ke liye koi wajah chhodi hai kya?


Nirbhay:- Nahi...


Som:- To fir bus... Ek baar sahi tarike se ab samjhaunga dekhna hans ke kahega, aap ki jamin aap ko mubarak. Filhaal to meri jigyasa abhi Vijya aur Ajay me hai. Dono school se aa gaye honge kya?.


Nirbhay:- Nahi...


Som:- Ghar call kar dena... main unke sath kharidari karne ja raha hun.


Som Nirbhay ko uski jagah chhod kar Vijya aur Ajay ko lene school pahunch gaya. Som ko dekh kar dono hi bacche khush ho gaye. Wo apne doston se Som ka parichay karwaye aur Som unhe apne aane ka karan batane laga.


Som dono ko le kar shopping kar raha tha aur Zerul Imam se hui mulakat par bade dhyan se soch raha tha. Takriban 2 baje ke karib Som Nirbhay ke dono bacchon ke sath shopping samapt kar ghar pahuncha.


Ghar ka mahol poora bhara hua tha. Haan lekin ghar ke ander Meera ko dekh kar Som poori tarah se harbada gaya. Som, Meera ke har baat ki gahrai ko bhaanp chuka tha aur khud ko uss se dur rakhne me hi apni bhalai samjha. Som khane ke bahane se chup chap wahan se nikla aur bunglow ke hall me aa kar baith gaya...


Alka Shashtri bhi kab se jane ki jid pakdi hui thi. Som ke aate hi Lata Mishra ne bhi sab ko uska gift ka packet thama diya, aur anth me Meera ke hath me packet thamati.… "Kuchh bachpana kabhi kam nahi honi chahiye Meera. Main to chahti thi ki tum yahin ruk jao"…


Meera:- Aunty baad me aap se milti hun abhi jane do. Bhaiya main intzar kar rahi hun please aana. Bahut si baten karni hai aap se...


Pranshu:- Sham ko aata hun Kuku. Khyal rakhna apna...


11 baje jo kautuhal ka mahol shuru hua so lagbhag 3 bajte-bajte samapt tha. Lata Mishra to poori tarah se jhum rahi thi kyonki pahle to mann me sanka bhi tha ki Sugandha ki beti kaisi hogi, lekin ye ladki to pahle se jaanchi parkhi hui nikli...


Surprise se bhada din tha jahan kahan-kahan se bhatake log ek poori kadi me najar aaye. Waise to kautuhal ka mahol Shashtri family me lautne ke sath hi tha. Poore raste ek to Vyas bechara dono bahno ke bich pis gaya, aur fir raste me jate waqt aaj sham ko scooty ki kharidne ki jid hone lagi...


Khiar, Mate Alka Shahstri ne Nirali aur Jannat ko 2 din ruk jane ke liye bol di kyunki Sunday ke din poora parivar sath hoga. Zarina ki chutti hogi, Pandit ji freer rahenge... Zarina ki baat par Alka ka matha thanka... "Ye Asif kidhar hai"..


Vyas:- Maa wo Kamil ke sath kahin nikla hai...


Alka:- Ye wahi Zarina ke maa ki bahan ka pota hai na jo IIT Kanpur me hai..


Jannat:- Chachi itna kaise yaad rakh leti ho...


Alka:- Bacche kiske sath gunte hain uski detail to honi hi chahiye... Waise sahi kiya jo tum dono uss family se milne chali gayi... Haay kitni pyari ladki hai na Sia. Humare samne humari maa ne aise puchh liya hota to ghabra hi jate, lekin kitna santulit ho kar jawab dee..


Jannat:- Kyun chachi, dosti ke badle prem ka rishta soch kar aap ghabra jati...


Teeno bacche thahake laga kar hasne lage. Alka ghurti najron se teeno ko ek-ke kar ke dekhti... "Haan hanso teeno. Beta mujh me tum teeno ke jaisa presence of mind bhale na ho lekin mere hath me hamesa situation advantage to rahta hi hai. Teeno ye bhulna mat"…


Vyas:- Maa dhamki try kar rahi ho kya?


Alka Shashtri:- Wo sab chhod... Tu mujhe Sia ke bare me bata. Ae tum dono jarra kaan band karo, mujhe kuchh aapas ki baat karni hai..


Jannat:- Kyun ab ye din aa gaye ki bete ko ladki patane kahogi...


Nirali:- Humara samaj... Beti raste me kisi sath padhne wale se baat kar le to muh chadh jaye... Yahan maa-beta baith kar ladki patane ki baat karenge... Ye humara samaj ka jhukav shuru se hi ek pakshiya raha hai..


Alka:- Bhaiya gadi roko... 2 sawari ko raste me hi fenkna hai.... Chakachak ladki thi, tere bhi sath padhne walon me se koi mujhe achha lagega to kya main ruki rahungi...


Jannat:- Jyada sapna mat dekho chachi… Ladki 5 sal England me padh kar lauti hai. Wo har kisi se pyar se hi baat karegi…


Alka:- Ohhhh … tabhi ek ladke se dosti unke liye samanya si baat thi. Kafi khule mahol me parwarish hui hai… Ek minute... Tujhe kaise pata ki wo kahan padhi hai..


Nirali:- Bhaiya ne bataya tha...


Ek thappad kadake wali Vyas ke gaal par... "Chotta... Bahan ke sath ladka-ladki wale matter discuss karte sharm na aati"…


Vyas:- "Main kuchh bolunga hi nahi... Samajh se pare ho tum log. Poora ghar jab sath hota hai aur humare samne kisi ladke ki detail kahani tum dono pati patni batiyati ho... Pandit ji falane ka beta.. kal mila. Ye achha wo achha yahan padh raha wahan padh raha tab kya main bhi kah dun ladka-ladki ki baat ho rahi..."

"England me padhi hai lekin wo padhai karti hai. Kisi ko bina jane matr kahin videsh me padhi hai, iss baat se judge karna galat hai. Fir jab bahar hi akele padhna hai fir desh kya aur videsh kya? Dil saaf hai isliye uska poora parivar hi hum teeno (Vyas, Asif aur Riaz) ke bare me jaanta hai, iss baat ko bhi socha. Usse nahi laga ki doston ke bare me kuchh chhipana chahiye aur aap ki tarah unke gardian ko bhi khabar hai ki uske bacche kinse milte hai...


Alka Shashtri chidhti hui... "Wo kahin bhi padhe mujhe kya? Wo kaisi hai uski detail mujhe kyun suna raha. Maine bus common si baaten boli thi..."


Vyas kuchh bolne ko hua, Jannat haath dikhati... "Bus bhaiya ruko tum. Chachi yahan tum galat ho. Aap ka facial expression sari kahani kah raha tha. Bhaiya bus aap ko sahi kar rahe the."


Nirali:- Maa Chidhna band karo. Har baar aap sahi ho aisa sambhav hai kya..


Alka thodi afsos karti... "Bacche jab jawab dete hain na wakai bura lagta hai. Mauje bhi yaad aa gaya jab maa se meri bahas hoti thi. Mujhe lagta tha ki ye meri maa sunti kyun nahi, main sahi hun fir bhi daant deti hai... Aaj wo yaad aa gaya.. Khair main samjh gayi ki mujh se galti ho gayi... England me padhne ko le kar mujhe muh nahi banana chahiye tha...


Nirali aur Jannat dono Alka se lipat kar uske gaal chumti... "Ye hui na baat... Aap best ho maa... Haan chachi aap best ho."…


Thode se parivarik drame. Vyas aankhon se hi apni bahno ka abhivadan kar raha tha. Soch ki gape yani middle class family ki generation gape ki kahani thi, jahan dono beti apni maa ko janti thi aur unhe kaise sidhe samjhana hai ye bhi.






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Sohadrpuran parvesh me rachi gai ek saff suthri rachnakriti sach me hi abhede hai bandhu
Riaz ke femele version ke badbolepan se sab log ulajh gaye Kish baat per yaqeen kare ya na kare
Kuku ulti ginti se fasha rahi hai Som babu ko aur Vyas bhiya ki rail ban gayi Sia v Meera ke parkhne ke chaker me
Bhagwaan jane ye ladkiyo ki maaya
Apni ajib garib baato ke pitare se kuchh bhi kar de shabd nahi hai bhai ish vishaye per
Alka Shastri ne Vyas babu ki jamkar scoter banai nirbhay ke gher me aur bahar lapet li nirali aur jannat bhi
Bhal mishrayin ji bhi kaha peeche rahti hone waali bahu ki khub chutki li aur maan bhi de diya bina bataye
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,030
173
Kya baat hai....kya baat hai ....kya baat hai...
Shukriya dost
Aapne na likhne ki baat uthai to kuchh bhav panp uthe mitr ke parti hridey se

Maa sarshwati ki anukampa se aap rachnakaar ke rupe me Anmol rachnaye rach rahe ho jo sawayam me itihash ka rup le rahi hai
Hum kuchh logo ki mul bhavna khamosh rahna chahe pahad hi tut pade nahi badal sakte
Haan apne huner me vo oujj bher sakte hai ki majboor ho jaaye har vo shay bolne per jo naqab Beth kar sirf aahe bhara karti hai
Kah pade bhai waah yeh jarur apne shabdo se duniya me parivartan laayega ek aawaaj banega in khamosh parhariyo ki
Jo dekhenge sunenge chader taan ke so jaayenge
Aur subah akhbaar padhte woqt chaiy ki chuski lete hue khenge dekho apni sanshkriti dharaatal per jaa rahi hai ab kya hoga ish sahitye ka
 

ragish7357

MaSooM ReAdeR
2,877
11,117
158
Update:-51





Sabhi ki najren ek tak tapak Vyas par.… Tabhi Pranshu… "Haan bhai, kyun nahi. Ab to Meera ji badi ho gayi hain. Boyfriend ke sath ghumti hai aur unke boyfriend ko ye tak pata hai ki Diksha se shadi hone par Meera shadi attend karti aur koi dusri ladki se shadi hoti to nahi aati. Jaisa ki Meera naa aa kar ye sabit bhi kar chuki hai"…


Meera, Paranshu ke baal dono hath se pakad kar nochti.… "Boyfriend… boyfriend… yahan Vyas sir ki maa baithi hai bahane baithi hai aur tumhe aise mazak karte sharm nahi aati"…


Pranshu jhat se apna mobile dikhate... "Ye le dekh le... Aaj subah ki viral tasveer.. Ab kya kahna hai... Sugandha kaki 5 baje ke karib Lucknow ke liye nikal rahi hai"…


Meera sab ko hath dikhati... "Main manti hun aap sab shocked hain aur bolne ke liye hi utavle. Thodi si confusion hai aur humare thode se masti mazak ko Soni kaki ne kuchh jyada he seriously le liya. Matr galatfehmi hai."


Alka Shashtri, Vyas ko ghurti... "Tasveer me confusion hai ya fir abhi confusion creat ki ja rahi hai. Ek ladki se dosti dusre se affair, sara din aawaragardi... Na tu chahta kya hai Vyas"…


Vyas:- Ek ladki se dosti ka matlab... Main aur Sia sath ek campus me hai, achhi baat hoti hai. Thode se hansi mazak ho jate hain... Isme ek ladki se dosti par jor dene wali baat kahan se aayi... Aur Meera ko lekar iske house maid ko confusion hua hai. Tum log bhi to dekhe the hum bus combined study karte hain... Ek sath baithne ko aise rumour udaoge"…


Pranshu:- Kuchh din pahle Soni kaki ki tabiyat kharab nahi thi balki Meera unse boli thi ki wo Vyas ko parakh rahi hai... Hone wali jamai ki taiyari kar le.…


Nirali:- Tabhi main kahun ki ye kal itna chahak kyun rahe the... Main to kal hi ye baat samjh gayi thi...


"Kya main bhi participate kar sakti hun"…. Darwaje par khadi Sia boli...


Sia ki aawaj sun kar Vyas ki najar ek pal ke liye thehar gayi. Vyas ki haalat dekh kar Sia ki hansi nikal gayi... Idhar darvaje par khadi Sia jiska chehra rang se pura laal tha aur Diksha jo tel me naha kar aayi thi… dono ki haalat dekh kar..


Lata Mishra:- Kaun sa paap hua jo dono ko kitchen me jaane di. Paglon kisi ke liye khana bhi banayi hai ya kichen ke sara saman ke sath udham chaukdi macha kar aa rahi...


Diksha:- Sia tu maa ko ignore maar. Dekh uss bechare Vyas ko jo ek ladki se dosti aur dusre ladki ke pyar me pad gaya... Ab bolti band hai bhai sahab ki...


Sia Vyas ke ore dekh kar hansti hui... "Ab jo ladkiyon se dosti karega usse aise sun'na to padega hi... Bechara... Waise Meera ke case me main clarification de deti hun ki, uss raat jo ghatna hui thi.. I mean Meera ke house maid ka wo tabiyat kharab hona, wo meri aur Meera ki shart ka natija tha. Main sunischit thi ki Vyas ke sath Asif aur Riaz bhi hospital jaayega... Jabki Meera kah rahi thi Vyas hi chal de hospital to wahi bahut hai..."

"Ab hum sab Meera ko Riaz ka female version mante hain. Jo log Riaz ko nahi jante hain wo detail Alka aunty se le le aur jo log Riaz ko jante hain wo samjh gaye honge ki bechari Meera apne badbole pan me khud to fasi hi, sath hi sath Riaz ki tarah Meera ne bhi Vyas ko hi fasaya... Jija ji mera ho gaya... Chalo aap bhi kitchen, ek chhota sa holi samaroh to ho hi jaye."


Pichhe se Diskha, Sia ko ander room ke ore dhakka deti... "Sari baten clear kar ke chehra saaf kar le. Lunch ka samay ho raha"…


Sia:- Are kuchh nahi, aaj bechare Vyas ka durbhagyapurn din hai. Lagta hai Asif aur Riaz kisi kaam se gaye hain. Ek ladka ek ladki ke dosti par sawal ho sakta tha, par meri to tkri ke sath dosti hai... Baki duniya jo bhi samjhe usko samjhte rahne do... Aunty aati hun thoda rang saaf kar ke tab tak leti rahiye Vyas babu ki class... Main to kahti hun yahin lawn ke bahar scooter bana do...


Sia apni baat kah kar chali... Uska andaj-e-byan dekh kar Vyas hasne laga. Lata Mishra Diskha ko dekh kar… "Tu kya muhrat ka intzar kar rahi hai. Tu bhi ja na"


Diksha:- Ja rahi hun maa lekin jaane se pahle Alka aunty se kahti chalun.. Aunty mujhe Vyas par kuchh-kuchh shak sa ho raha hai, jarra daba ke khabar lijiye... Ladka kahin dahej me aag na laga de...


Alka Shashtri:- Batao duniya itni bhi chhoti hoti hai kya... Yahan sab ek dusre ko jante hai bus ye nahi jante ki wo log bhi aapas me ek dusre ko jante honge...


Meera:- Haan pahle din college me mera bhi yahi haal tha. Jab mujhe pata chala ki Sia didi aur Vyas pahle se ek dusre ko jante hain…


Lata Mishra:- Ek kaam karo tum log ek list banakar de do kis-kis ko jante ho... Ek baar uss list ko dekh kar hum bhi taslli kar le ki unme se hum kis-kis ko jante hain… taki agli baar aise gajab ke mahol dekhne ko nahi mile... Aur Pranshu babu apni kaki ko mana karo warna Sugandha aati hi hogi idhar...


Pahle jitne shock huye uske baad utni ji jyada hansi mazak. Upar se Lata Mishra ka mazakiya andaz. Sabhi log khane ke liye bunglow ke hall me hi gaye. Nirbhay ki patni Shanti ne sab ke khane ka intzam wahin kiya tha.


Lata Mishra, Sia aur Diksha sabse aakhri me pahunchi thi, kyunki Lata Mishra ki bahu pahli baar apne sasural aayi thi, aise kaise khali haath jane deti. Diksha aur Sia ne bhi Meera ko le kar jo samiksha ki thi wo apne tak hi rahne dee aur Lata Mishra ke sath gift ki planning karne lagi. Ab ek ko diye baki ko nahi diye ye bhi achha nahi lagta isliye teeno mil kar kiske liye kaun sa gift, kya kaise pack kar ke lana hai, wo Som ko sandesh me likh dee...


Idhar Som, Zerul se jamin ka mamla settle karne nikla tha. Dimag me pahle se tay tha ki 10 rupya ki chij ka bhaw 5 rupya ya 6 rupya lagega. Lekin Som jab Zerul Imam ke yahan pahuncha to usse baithne tak nahi diya jabki ussi ke aankhon ke samne 25 se 30 sal ke bich ke majdoor type ke dikhne wale aadmi sidha ja jar sofe par baith gaye the aur unka swagat bhi kafi josh me hua tha...


Ek to khade rakh kar bejjati kiya, upar se jamin ki kimat kaidiyon ke bhaw laga diya. Mano Zerul Imam ko 10 rupya ki chij 10 paise me chahiye tha. Upar se warning bhi de dala... "November tak wahan party office ban jayega"…


Nirbhay, wahan se Som ko le kar bahar aa gaya. Dono car me jaise hi baithe, Nirbhay Som ko dekhne laga. Som bus shant Zerul Imam ki baton par hi gaur kar raha tha… Dono ke bich kuchh baat ho pati uss se pahle hi Diksha ka sandesh pahuncha gaya jisme lambi chaudi shopping ki list thi.


Som:- Singh sahab ghar se lambhi chaudi shopping ki list aa gayi...


Nirbhay:- Tumhe Zerul ki ghatiya harkaton par koi baat nahi karni...


Som:- Baat karne ke liye koi wajah chhodi hai kya?


Nirbhay:- Nahi...


Som:- To fir bus... Ek baar sahi tarike se ab samjhaunga dekhna hans ke kahega, aap ki jamin aap ko mubarak. Filhaal to meri jigyasa abhi Vijya aur Ajay me hai. Dono school se aa gaye honge kya?.


Nirbhay:- Nahi...


Som:- Ghar call kar dena... main unke sath kharidari karne ja raha hun.


Som Nirbhay ko uski jagah chhod kar Vijya aur Ajay ko lene school pahunch gaya. Som ko dekh kar dono hi bacche khush ho gaye. Wo apne doston se Som ka parichay karwaye aur Som unhe apne aane ka karan batane laga.


Som dono ko le kar shopping kar raha tha aur Zerul Imam se hui mulakat par bade dhyan se soch raha tha. Takriban 2 baje ke karib Som Nirbhay ke dono bacchon ke sath shopping samapt kar ghar pahuncha.


Ghar ka mahol poora bhara hua tha. Haan lekin ghar ke ander Meera ko dekh kar Som poori tarah se harbada gaya. Som, Meera ke har baat ki gahrai ko bhaanp chuka tha aur khud ko uss se dur rakhne me hi apni bhalai samjha. Som khane ke bahane se chup chap wahan se nikla aur bunglow ke hall me aa kar baith gaya...


Alka Shashtri bhi kab se jane ki jid pakdi hui thi. Som ke aate hi Lata Mishra ne bhi sab ko uska gift ka packet thama diya, aur anth me Meera ke hath me packet thamati.… "Kuchh bachpana kabhi kam nahi honi chahiye Meera. Main to chahti thi ki tum yahin ruk jao"…


Meera:- Aunty baad me aap se milti hun abhi jane do. Bhaiya main intzar kar rahi hun please aana. Bahut si baten karni hai aap se...


Pranshu:- Sham ko aata hun Kuku. Khyal rakhna apna...


11 baje jo kautuhal ka mahol shuru hua so lagbhag 3 bajte-bajte samapt tha. Lata Mishra to poori tarah se jhum rahi thi kyonki pahle to mann me sanka bhi tha ki Sugandha ki beti kaisi hogi, lekin ye ladki to pahle se jaanchi parkhi hui nikli...


Surprise se bhada din tha jahan kahan-kahan se bhatake log ek poori kadi me najar aaye. Waise to kautuhal ka mahol Shashtri family me lautne ke sath hi tha. Poore raste ek to Vyas bechara dono bahno ke bich pis gaya, aur fir raste me jate waqt aaj sham ko scooty ki kharidne ki jid hone lagi...


Khiar, Mate Alka Shahstri ne Nirali aur Jannat ko 2 din ruk jane ke liye bol di kyunki Sunday ke din poora parivar sath hoga. Zarina ki chutti hogi, Pandit ji freer rahenge... Zarina ki baat par Alka ka matha thanka... "Ye Asif kidhar hai"..


Vyas:- Maa wo Kamil ke sath kahin nikla hai...


Alka:- Ye wahi Zarina ke maa ki bahan ka pota hai na jo IIT Kanpur me hai..


Jannat:- Chachi itna kaise yaad rakh leti ho...


Alka:- Bacche kiske sath gunte hain uski detail to honi hi chahiye... Waise sahi kiya jo tum dono uss family se milne chali gayi... Haay kitni pyari ladki hai na Sia. Humare samne humari maa ne aise puchh liya hota to ghabra hi jate, lekin kitna santulit ho kar jawab dee..


Jannat:- Kyun chachi, dosti ke badle prem ka rishta soch kar aap ghabra jati...


Teeno bacche thahake laga kar hasne lage. Alka ghurti najron se teeno ko ek-ke kar ke dekhti... "Haan hanso teeno. Beta mujh me tum teeno ke jaisa presence of mind bhale na ho lekin mere hath me hamesa situation advantage to rahta hi hai. Teeno ye bhulna mat"…


Vyas:- Maa dhamki try kar rahi ho kya?


Alka Shashtri:- Wo sab chhod... Tu mujhe Sia ke bare me bata. Ae tum dono jarra kaan band karo, mujhe kuchh aapas ki baat karni hai..


Jannat:- Kyun ab ye din aa gaye ki bete ko ladki patane kahogi...


Nirali:- Humara samaj... Beti raste me kisi sath padhne wale se baat kar le to muh chadh jaye... Yahan maa-beta baith kar ladki patane ki baat karenge... Ye humara samaj ka jhukav shuru se hi ek pakshiya raha hai..


Alka:- Bhaiya gadi roko... 2 sawari ko raste me hi fenkna hai.... Chakachak ladki thi, tere bhi sath padhne walon me se koi mujhe achha lagega to kya main ruki rahungi...


Jannat:- Jyada sapna mat dekho chachi… Ladki 5 sal England me padh kar lauti hai. Wo har kisi se pyar se hi baat karegi…


Alka:- Ohhhh … tabhi ek ladke se dosti unke liye samanya si baat thi. Kafi khule mahol me parwarish hui hai… Ek minute... Tujhe kaise pata ki wo kahan padhi hai..


Nirali:- Bhaiya ne bataya tha...


Ek thappad kadake wali Vyas ke gaal par... "Chotta... Bahan ke sath ladka-ladki wale matter discuss karte sharm na aati"…


Vyas:- "Main kuchh bolunga hi nahi... Samajh se pare ho tum log. Poora ghar jab sath hota hai aur humare samne kisi ladke ki detail kahani tum dono pati patni batiyati ho... Pandit ji falane ka beta.. kal mila. Ye achha wo achha yahan padh raha wahan padh raha tab kya main bhi kah dun ladka-ladki ki baat ho rahi..."

"England me padhi hai lekin wo padhai karti hai. Kisi ko bina jane matr kahin videsh me padhi hai, iss baat se judge karna galat hai. Fir jab bahar hi akele padhna hai fir desh kya aur videsh kya? Dil saaf hai isliye uska poora parivar hi hum teeno (Vyas, Asif aur Riaz) ke bare me jaanta hai, iss baat ko bhi socha. Usse nahi laga ki doston ke bare me kuchh chhipana chahiye aur aap ki tarah unke gardian ko bhi khabar hai ki uske bacche kinse milte hai...


Alka Shashtri chidhti hui... "Wo kahin bhi padhe mujhe kya? Wo kaisi hai uski detail mujhe kyun suna raha. Maine bus common si baaten boli thi..."


Vyas kuchh bolne ko hua, Jannat haath dikhati... "Bus bhaiya ruko tum. Chachi yahan tum galat ho. Aap ka facial expression sari kahani kah raha tha. Bhaiya bus aap ko sahi kar rahe the."


Nirali:- Maa Chidhna band karo. Har baar aap sahi ho aisa sambhav hai kya..


Alka thodi afsos karti... "Bacche jab jawab dete hain na wakai bura lagta hai. Mauje bhi yaad aa gaya jab maa se meri bahas hoti thi. Mujhe lagta tha ki ye meri maa sunti kyun nahi, main sahi hun fir bhi daant deti hai... Aaj wo yaad aa gaya.. Khair main samjh gayi ki mujh se galti ho gayi... England me padhne ko le kar mujhe muh nahi banana chahiye tha...


Nirali aur Jannat dono Alka se lipat kar uske gaal chumti... "Ye hui na baat... Aap best ho maa... Haan chachi aap best ho."…


Thode se parivarik drame. Vyas aankhon se hi apni bahno ka abhivadan kar raha tha. Soch ki gape yani middle class family ki generation gape ki kahani thi, jahan dono beti apni maa ko janti thi aur unhe kaise sidhe samjhana hai ye bhi.






<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
superbb update bro
ye sbke milan samaroh ne to tahlka macha diya
or iss soni kaki ne bhi pura hi kand kr diya
chlo km se km galatphami door to hui
or ye som ab iss imam sahab ko kese andle krta h delkhte h
philhal to middle class wale apne generation gap ko km krne m lg rhe
 

Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,679
174
Hahahaba ... Itni jyada khushi... Itni jyada khushi... Main to chakit ho gaya... Hanste hanste bistar se to nahi gir gaye na... Well

Thanks for your beautiful expression
Na Bhai Mai jamin pr baith kr hi padhta hu khas kr garmi ke mausam me vhi chatai pr hi lot pot ho gya tha padhte padhte
Vo to accha hua sirf ek bande ne hi dekha Varna log kahte chhora pagal ho gya...
 
Top