-----: Bulletin Board :-----
Update 88 (A & B) is posted on 537.. Must give your valuable feedback...
End Of The Chepter:-1 is posted on 542...
Last edited:
Aap sab bhi jimmedar bane aur comment maar ke jane ka aalsiyon...
Are Bhai hamka nirlajj bolde nirmohi bolde or chahe to khadus khusat bhi bolde pr alsi... Na na na ye mat BolAre Ye bhaya hamka alsi Kon bola


Main to big bang ke jamane se kehti aa rahi hu ki Meera hi Sugandha ki beti hai...Main ek sath poore gaanv ko sambodhit kiye deta hun... Almost sabhi ne kabhi na kabhi kaha hi tha ki Meera Suganda ki beti hai...
Khair main haan to tabhi kah sakta tha lekin kuchh baton ka sahi waqt hota hai... Aise hi guess karte rahe and belive in me...
Ek baar storyline complete hone ke baad main fer-badal katai nahi karta... isliye guess karte rahne ka iss vishwas ke sath ki main yahan readers ko jhutha sabit karne aur surkhiyan batorne baitha hun ki meri kahani koi guess nahi kar sakta ya sakti☺
☺
☺
☺
☺
Yadi khoji reader hain to main har baat ka hint update dar update karte jata hun... aap har wo baat pahle pata kar sakte hain jo hone wala hai...
Khair, abhi apan likh raha hai aur mood se likh raha hai... Aaj early chhuti ka bharpur fayda lunga... Aap sab bhi jimmedar bane aur comment maar ke jane ka aalsiyon...
suspense hai hi nahi story peYadi khoji reader hain to main har baat ka hint update dar update karte jata hun... aap har wo baat pahle pata kar sakte hain jo hone wala hai...

To ham sab ganv valo ki par par... par dadi ji dhanya ho gye hamMain to big bang ke jamane se kehti aa rahi hu ki Meera hi Sugandha ki beti hai...![]()

लो जी nain11ster भाई हो गया कांड, हम तो पहले ही चेता चुके थे की ये सोनी काकी RAW, FBI Mossad या KJB की agent है और Facebook, Twitter, Instagram, whatsaap से भी फास्ट, फोटो खिचा और upload भी कर दिया और लोगो को पता भी नही, व्यास का तो भूगोल पहले ही बिगड़ा हुआ था अब तो सुनामी मे फस गया बेचारा और मीरा का तो प्यार सुरू होने से पहले खत्मUpdate:-50
Sia:- Pasand hai tabhi to dost hain. Ab iss baat ko aap sab jitna khinchna hai khinch dijiye, mujhe kya? Aap log baten kijiye, lunch ka samay ho gaya hai main sab ke liye lunch arrange karti hun...
Alka:- Nahi bus hum niklenge...
Lata:- Aise kaise... Oh haan pahle confusion dur kar dun. Mere teeno bacche boarding me padhe hain. Waise teeno ke shant chehre par bilkul nahi jaeyega, dikhte bhar shant hai lekin aaj din dhalte-dhalte inki sitaniyan shuru ho jayegi. Ab teeno itne waqt tak sath rahe ki uske baad kisi ko jodte hi nahi hai apne zindgi me. Humne jab suna ki Sia ke boarding ke alawa bhi dost hai to bus ye swagat ussi khushi me thi… Nirali tum yahan aane ka karan batao…
Nirali:- Hum middle class log hai. Achnak se yadi ummid se badh kar paisa, padhne wala ladka le aaye to hume sochna padta hai. Bhaiya ne bataya ki ye paise wo aap ke bete ke sath kisi freelancing ki job ko poora karne ke baad kamaya hai. Hum bus bhaiya ke ussi source ko dekh kar parakhne aaye the ki sahi dhang se paise kamaye gaye hai ya nahi… Hume nahi pata tha ki Vyas bhaiya aur Sia ek dusre ko jante hain aur unhi ke through bade bhaiya se sabki mulakat hui. Vyas bhaiya ne hume poori baat nahi batayi...
Diksha:- Really appreciate. Har ladki ko tum dono ki tarah hi sochna chahiye. Na sirf paise ko le kar balki jo tum apni maa ko sath layi na hats off. Khair, Som ke liye sunischit rahe, ye khud se kamane me vishwas rakhta hai. Pitaji kah-kah kar thak gaye ki apni company dekh. Itna lamba chauda karobar hai... Lekin naa.. Sir ko apne freelance service se fursat nahi. Haan lekin aunty ye apne kaam me itna paripakv hai ki iske pass kaam ki koi kami nahi rahti... Som aunty, Nirali aur Jannat ko poora portal dikhao ki tum kya kaam karte ho aur kis tarah ke kaam haath me lete ho ..
Diksha ki baat sun kar Som ne laptop on kar ke dikha diya. Nirali aur Jannat jab wahan ke kaam ko dekhi tab ja kar tasalli hui. Tabhi achanak... "Bade bhaiya yahan to police department aur department of defense ke bhi official request hai"…
Som hadbari me apna laptop band karte... "Nahi wo najron ka dhoka hoga"…
Diksha:- Dikha jarra najron ka dhoka...
Som, Diksha ko ghurte... "Meri inquiry karna band kar, department wale kabhi-kabhi kisi kaam ke liye samprak kar lete hain?"
Diksha:- Ye ghuskhor police wale ab case tumse solve karwate hain…
Som:- Kuchh sensitive mamlon me outsourcing karte hain lekin maine haan nahi kaha kisi bhi case ko... Wo 2-3 case Bansal bhaiya ke department ka kiya tha, isliye mere paas police walon ka kaam aa jata hai…
Khair Som apni baton se Shahstri family ko poorn sunischit kar chuka tha ki paise galat tarike se nahi aa rahe. Santust hone ke baad Alka Shashtri sbahi logon se izazat lene lagi, lekin ghar aaye mehman ko koi itni jaldi chhod sakta tha kya...
Sia sabhi ko khane par rok lee. Diksha aur Sia kitchen me chale aaye aur thik ussi waqt Nirbhay singh Som ko le kar Zerul Imam ke ghar chal diya, jahan aaj jamin ka mamla settle hota. Yun to Som nahi jana chahta tha lekin kaam hi aisa aan pada ki usse jaana pada.
Diksha, kitchen me apna kaam shuru karti… "Kaisi hai Sia.."
Sia:- Bilkul achhi nahi hun. Som ke liye jo ladki final kar aayi thi, uske baad kisi ne intrest hi nahi liya. Tu samjh gayi thi na kal raat kya hua tha?
Diksha:- Haan samjh gayi thi aur itni upset kyun hoti hai. Pahle ladki ko parakhne to de. Kya hai kaisi hai?
Sia:- Areeee kam se kam mujhe to dikha de. Aur kab tak parkhogi... Nirlaj khud ki shadi ho gayi to bus pati ke sath mast rah aur duniya ko bhul ja...
Diksha:- Aye pagal kuchh bhi bolti hai... Yahan main aayi kis liye hun..
Sia:- Mujhe kya pata kyun aayi hai... Factory lagane aayi hai ya mujhse milne...
Diksha:- Tera jhagda karne ka mann hai..
Sia:- Haan mann hai... Tera pyar bant gaya, mujhe achha nahi lagta. Tujhse ab main jab chahun tab nahi mil sakti… mujhe bura lagta hai...
Diksha, pichhe se Sia ka gala daboch kar uske gaal ko pyar se chumti... "Pagal ladki, kuchh bhi sochti hai. 6 maine ka waqt de de bus. Abhi kya bataun ek bade se ghar me 40 logon ke bich pagal ho jati hun. Bus 6 mahine de fir hum sab settle hoga. Main mukhya office Delhi shift kar rahi hun. Ek branch Lucknow me hoga aur main yahin se poora kaam dekhne wali hun.. Samjh gayi"..
Sia:- Jhooti.. bus kar .. tum dono (Diksha aur Som) ko jhoot bolna nahi aata. Samjh gayi abhi sasural me vyast hai. Dur ya pass nahi akadta samjhi... Chal pyaj kaat alsi.. aur mujhe ladki ke bare me bata...
Diksha:- Ladki Lucknow me hi hai. Pahle main Pranshu ke sath jaungi, fir jugad laga kar tum sab ki ek mukakat karwa du taki baad me milte raho...
Sia:- Wo kyon milne lagi...
Diskha:- Duffer ladki bhi ussi school ki hai jahan ke hum hai. Uski badi bahan Jugnu bhi wahin se padhi hai... Inke ek cousin brother bhi wahin se padha hai... Kuchh samjhi ki nahi...
Sia badi si aankhen faade... "Jugnu didi ki bahan"..
Diksha:- Tujhe kya hua... Aise shoking expression kyun de rahi…
Sia:- Tujhe pata bhi hak tu kiski baat kar rahi hai...
Diskha:- Kiski...
Sia:- Kuku ki baat kar rahi hai..
Diksha, chaunkti hui... "Neero, Aksha, Paali aur Kuku… tunhare sweetos group"..
Sia:- Ji haan...
Diksha, jor se hansti... "Le tu itni sadme me thi aur main yahan pareshan... Ye to Kuku nikli. Kash pahle pata hota to ab tak baat kitni aage badh gayi hoti...
Sia:- Baat badh na gayi hoti balki hum kisi aur ladki ko dekh rahe hote...
Diksha:- Kyun...
Sia:- Kyunki Meera kisi ko itna chahti hai ki uski chahat me kayi saal se chal rahi apni management ki taiyari ko drop kar ke medical me admission lee hai...
Diksha:- What????? Meera yahan apne lover ke karan hai..
Sia:- Haan bilkul..
Sia ki baat sun kar Dikaha gahre khyalon me chali gayi. Sia, Diksha ko hilati… "O madam kahan kho gayi."
Diksha:- Kuchh nahi.… Soch rahi thi kaam badh gaya... Som ke liye dusri ladki dhundhni hogi...
Sia:- Iss kaam ko maar goli... Ye bata tere sasural wale sab achhe to hai na... Maa bata rahi thi tera sasur kafi egoistic hai...
Diksha:- Egoistic kam aur moti buddhi wala jyada bol de.... Haan lekin kuchh din baad main aur Pranshu Delhi shift honge..
Sia:- Kyun itne sare logon ke bich tere maze me pareshani hoti hai kya???
Diksha, Sia ko ghurti... "Kaisa maza"…
Sia:- Wahi jiske liye dhol pite gaye aur nagade baje the… Maza aaya tha ki nahi...
Diksha:- Kya matlab maza aaya tha... kis bare me baat kar rahi ..
Sia:- S... E... X..
Diksha, Sia ke kandhe ko thokti... "Hat pagal.. tu kya sab puchh rahi hai"…
Sia:- Tere chehre se teri mansik sukh ko anubhav kar rahi… isliye sharirik sukh ki jaankari le rahi hun...
Diksha:- Aann haann .. tujhe mere sharirik sukh ki jankari leni hai... Har ek baat ki detailed dun tujhe, poore lipta chipti sahit...
Sia:- Haan haan kyun nahi...
Diksha, Sia ke pichhe khadi thi. Baton ke dauran hi hath me aa gaya liquid colour. Bade pyar se Diksha apne hath par wo rang mali, dhime se hath Sia ke chehre tak laati apne dono hath Sia ke poore chehre par malti.....
"Mere dono hath jaise tere chehre ko mal rahe the, waise hi mere poore badan se lagta hai aur jaise mere hath ka rang tere chehre par laga hai thik waise hi Pranshu ka rang mere poore tan par chhap chhodta hai. Tujhe aur detail jaan'ni hai to mere pass aur rang hai"…
"Haan to ye le"… vegitable oil ko lee aur Diksha ke mathe par uddel dali. Jaise hi Diskha thodi pichhe hui. Sia teji dikhati gale ke pass se uske top ko khinch kar poora oil ander daal di.… "Aaya maza. Mere pass bhi urredlne ke liye bahut si chijen hain"…
Kitchen ke bahar Nirbhay ki patni Shanti khadi thi. Shanti dono ko dekh kar hansti hui.… "Bus bhi karo tum dono aise me to tumhare yahan aaye log bhukhe rah jayenge. Hato baki ka khana main dekh leti hun... Champa.. Champa"…
Sia aur Diksha bhi ek sath... "Ari o Champa sunti nahi hai"…
Shanti:- Sia apni bahan ko dekh kar tum itni sharaarti niklogi pata nahi tha…
Diksha:- Aunty aap bhi kya yaad karogi ki kin shararti bacchon se pala para tha...
Diksha apni baat kahti bacha hua rang Shanti aunty ke sar par daal dee... "Areee poore kapde kharab ho gaye mere. Tum dono chalo bahar"…
Dono aise kaise chale jaye bahar. Udham chaukdi ke sath khana pakane ka kraykarm basatur jari tha. Ghar ke ander Lata Mishra kaman sambhale, Alka, Nirali aur Jannat se baten kar rahi thi. Tariban 1 baje dophar cottage ke darvaje par dastak hui. Lata Mishra uth kar darvaja kholne ja rahi thi. Nirali baithne ka ishara karti khud chal di darvaja kholne... Aur jaise hi darvaja kholi, Nirali ka muh khula rah gaya.… Aur Vyas.……, Nirali ko yahan dekh kar uski hairani ki to koi seema hi nahi thi.…
"Uss raat isse kuchh bataya nahi, Asif ko bhi kuchh pata nahi fir inke pas info aayi kahan se. Upar se poori paltan ke sath kahin Sia ko dekhne to nahi chali aayi?"
"Ye bhai Meera ke sath bike par kyun aa raha... 4 din na huye iss ladki se mile, aur bike par ghum raha. Upar se ek ladki ko dopahar ke waqt apne dost ke yahan laa raha. Sala ye jagah itni confusing kyun hai. Har conclusion itne utt-patang kyon nikal kar aa rahe"…
Darvaje par Meera aur Vyas dono khade the. College me Meera aur Vyas se bardast hi nahi hua aur dono hi Sia ke bike par aa gaye mehboob ke ghar. Haan lekin darwaje par jiski ummid nahi thi wo najara dekhne ko mil raha tha...
Lata Mishra:- Bahar kaun hai beta...
Nirali:- Aunty wo mere bhaiya aur humare yahan ki paying guest Meera aayi hai..
Lata Mishra:- Areee to bahar darvaje par hi khada rakhegi... Aa jao beta...
Vyas badi si aankehn kiye, dhime se fusfusate... "Ye sab kya hai"…
Nirali:- Cross varification… Lekin tum Meera ke sath bike par kyun ghum rahe.. Yahan chal kya raha hai...
Cross varification sun kar Vyas ke jaan me jaan aayi lekin jis lahje me Vyas se Meera ke bare me Nirali puchhi, Vyas ko lag gaya… ho gayi galatfehmi…
Vyas ko yahan dekh kar Alka, Nirali aur Jannat aise ghur rahi thi mano kah rahi ho... "Ghar chalo fir batati hun"… Bechara Vyas ghabraya sa apna muh chhipane ki kosis kar raha tha...
Meera charo ore ka mahol dekhti... "Lata aunty aap ne pahchana mujhe"…
Alka:- Tunhari bhi yahan jaan pahchan hai...
Meera:- Bahut purani… Sia didi aur Som sir mere senior the...
Alka:- Haan isliye tum dono (Vyas aur Meera) ek hi bike par aaye ho... Jis se kabhi jaan pahchan hi nahi thi…
Vyas:- Maaaa...
Alka:- Baad me baat karte hain… tum dono yahan kyun aaye ho…
Vyas, kaise kah de ki bike lautane aaya hun... "Wo main bade bhaiya se milne aaya tha"…
Lata:- Alka ji kitne sawal puchhti ho... Sab sath padhne wale hain..
Neerali:- Sath padhne walon ke bich ka itna anokha sangam humne aaj tak nahi dekha... Ye usko jata hai... Wo usko janti hai.. wo dono ko janti hai aur ye dono bhi ek dusre ko jante hain… kya baat hai...
Vyas:- Hosh me rah kar baat kar le... kya bole ja rahi hai...
Nirali fusfusali.… "Jyada aankh mat dikhao warna sab pol patti khul jayegi ki kaise inhe hi gaali dene ki dhamki diye the..." (Canteen ke break up ki ghatna jahan Vyas, Sia ke dad ko gaali dene ki baat kah gaya tha)
Meera:- Aise dono khusur fusur mat karo, sabhi yahin dekh rahe...
Lata:- Kisi se akele me milne ki ummid se aaye the jo itne hairan ho aur apni bahan ko aankhen dikha rahe Vyas… Kuchh dil me ho to bol do..
Vyas ki to hichki nikal gayi. Mej par pada pani ki bottol utha kar peete huye.… "Aunty aap yahan mazak me bol rahi... Aur ye teeno ghar par mera jeena haram kar dengi. Upar se Sia madam ke kya kahne.. unhe ek hi chij achhe se karne aata hai..."
Vyas aage kuchh aur kahta ussi bich Lata Mishra.... "Chal re ladke bore na kar... Itne clarification nahi suna jata... Kuchh hai to haan bol warna naa bol... Ye usne aisa kiya wo usne waisa kiya..."
Meera:- Aunty aap class baad me lena pahle batao Som Sir aur Sia didi kahan hai...
Lata:- Beta itna close hokar baat kar rahi... Kuchh aisa to bata jis se pata chale ki hum ek dusre ko jante hain...
Meera:- Umr ho gayi hai aap ki... Dhyan se dekho to sahi...
Lata Mishra bade dhyan se Meera ko dekhti... "Na nahi yaad aa raha"…
Meera:- Natak karne ki aadat nahi gayi aapki... Pahchan kar bhi nahi pahchaana...
Lata Mishra:- Teri madam dekh leti na Kuku to abhi chamri udher deti... Batao salo baad mili hai... Mere paun kya tumhare pitaji chhuyenge...
"Kukuuu" ….. "Pranshu bhaiya"…. Pranshu uth bahar aaya hi tha ki najren uski bhi phail gayi...
Nirali:- Lo ab ye usko bhi janti hai...
Vyas, Nirali ke kaam khinchte... "Pagal ye sabhi ek jagah se padhe hain"…
Jannat:- Isliye ek dusre ke bare me sab seperately jante hain aur ek sath jab ek dusre ko dekh rahe to utne hi chaunk rahe hain... Batao Lata aunty ki beti ki jis ladke se shadi hui hai uski bahan nikli Meera aur Diksha didi, Sia ki bahan... Meera Diksha didi ko bhi janti hai aur apne bhai ko bhi. Lekin Meera ko ye baat pata nahi ki uske bhai ki shadi kis se hui... Ab iska kya matlab hai...
Lata:- Kuku.. Sugandha ki beti hai kya?
Lata Mishra ka chaunkna sun kar sabhi hanste huye... "Lo ek aur shocking expression"
Pranshu:- Haan Meera, Sugandha kaki ki beti hai. Baki kya hi kah dun ab Meera to Meera thehri... Unke samne to hum pani kam chay hain... Facebook tak na dekhi jo samjh me aata ki kiske sath shadi hui meri… Apna bhai thode na hun jo shadi attend karti…
Lata:- Beta emotional blackmail try kar rahe...
Meera jhat se Pranshu ke kandhe se ladti... "Pranshu bhaiya main kya kah rahi thi chalo kahin ghum ke aaya jaye... Kafi ukhde lagte ho"…
Vyas:- Haan chale jaeye. Meera apni galti par pachta rahi hogi ki ek baar pata hota iss ghar se rishta ho raha hai to wo shadi jaroor attend karti... Kyun Meera..
Sabhi ki najren ek tak tapak Vyas par.… Tabhi Pranshu… "Haan bhai, kyun nahi. Ab to Meera ji badi ho gayi hain. Boyfriend ke sath ghumti hai aur unke boyfriend ko ye tak pata hai ki Diksha se shadi hone par Meera shadi attend karti aur koi dusri ladki se shadi hoti to nahi aati. Jaisa ki Meera naa aa kar ye sabit bhi kar chuki hai"…
Pranshu ke hathon me thi technology. Chand din pahle mulakat huye ek ladka Vyas aur ek ladki Meera ki viral tasveer. Call record par Soni kaki ka confession... "Natak jamai pasand karne ke liye tha".… Aur samne tha bhada poora mahol... Bhagwan bachaye … bechara Vyas..
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Lo Maine yaha khud itna bara kand kr dia or mujhe hi pta nahi h wah lalyAsif khan miyan itne chalak kai ko ho gaye jo Vyas ko guthli de kar gf ke sath bhag gaye... Leon bhai ko kharab lag raha hai.. aakar bol do ki agli baar jab jaoge to writer ko bhi pata na chalega jiss se pol na khulegi aur logon ko mirchi na lagegi
Baki sab to bada achha achha likha hai aapne padh kar laga ki aaj bhi aap me wahi masoomiyat bachi hai... Lekin utne din aap kiske sath bike ride le rahe the![]()
Thankooo sooo much Krish bhai ...Mast shaandar behtreen update