• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-42

Bekabu si dharkane aise vyakul ho rahi thi mano samne se armaan chale aa rahe ho. Meera, Neerav ko bhinchti, ruwasi aawaj me kaan me bade dhime se boli... "Neero wo aa rahe hain"…

Neerav ek jhalak pichhe mud kar dekha aur hath pichhe le ja kar kisi tarah Meera ke aanshu pochhne ki kosis karne laga. Hath pahunchne me asamrth the. Iss visvsta ko Sia bhi dekhi. Sia lagbhag daud hi gayi. Apne hath badha kar Meera ke aanshu pochhte… "Aise roti kyun ho. Hum sab hai yahan par. Dekh to state ke ADG (survilense) khud aaye hain…

Neerav:- ADG ke aane se kya hoga...

Sia:- Aree jo admi apne biwi, bacchon par survilense laga sakta hai, fir uske liye doctor kya chij hai. Free me ilaj hoga dekhna...

(Kuchh varsh purv ki ghatna thk jab Neerav ke pita ko kisi ki dhamki mili thi aur uss waqt Neerav ki maa wahin boarding me thi. Ussi waqt hua ye ki Paali aur Neerav ke bachpan ka prem ujagar ho gaya tha)

Meera rote rote hasne lagi…. "Kishori aunty (Neerav ki maa) ke boyfriend dhundhne ke badle J.P uncle ne apni bahu hi dhundh liya tha"..

Neerav ke pita J.P. Jatav.… "Bus bhi karo tum dono. Kyun 1o din tak jhagde ka mahol bana rahi ho"..

Sia:- Kishori aunty dekh lijiye. Poora calculate kiye baithe hain kitne din tak gussa chalta hai...

Kishori Jatav:- Dhit ho gaye hain beta. Ab to mera ruthne se bhi J.P ko fark nahi padta. Waise ye tumhare sath kaun aaya hai..

Sia:- Kya aunty aap Som ko aaj tak nahi dekhi thi kya?

Som ka naam sun kar J.P pichhe mudte... "Aree Som sir, kaise hain aap?"..

Som:- Badiya Sir... Dr ne kya kaha Meera..

Meera:- Don't know sir, chaliye counter tak, pata karte hain...

Som, Meera ko kandhe se thoda kinare karte, Asif, Vyas aur Riaz ko dekhte ... "Kya teeno tumhare sath hain"

Meera:- Haan sir..

Som:- Vyas what is the status..

Vyas:- Bade bhaiya sab kuch thik hai. Ander Ecg waigrah kar rahe hai. Koi bahut chinta ki baat nahi hai chest pain hai kewal...

Yun to Sia, Vyas ko aate hi dekh lee thi, par poora dhyan chal rahe mahol par lagayi hui thi. Jaise hi Vyas ne jawab diya, Sia usse kha jane wali najron se ghurne lagi. Sia ke sath Meera ka bhi wahi reaction tha. Kahan wo Som ke sath counter tak jati, bich me Vyas ne adanga daal diya. Meera, Neerav ko ghurti hui isharon me hi kah di... "Bhagao teeno ko"

Wahin Sia ko ghurte dekh, Riaz thuski lagaate… "Bhai to maan gaya hai lekin uski bahan tujhe kaccha chaba jayegi"..

Vyas:- Kamino confuse mat karo. Sab pahle tay ho gaya hai na ab se only medical to ussi par strict rahne ka himmat dete raho.

Riaz:- Pagal bus bhi kar ye aatitude. Sia ke liye to 100 baar kasam le kar tod dun...

Asif:- Haan wo 1 January ki raat li gayi resolutions ki tarah hi samjh le... Samne hai besharmon ki tarah try karte rah. Kaun sa uske ghar ja kar taak jhaank karne kah rahe..

Riaz:- Sale tere se na hoga main hi ab try karunga... Bhag yahan se...

Riaz apni baat kah kar pahunch gaya char kadam aage bhid me. Usse aate dekh Meera, Neerav ko ishare ki...

Neerav:- Kuku ye teeno (Vyas & comp) paresan ho rahe honge. Hum sab yahin hai unhe bhej do wapas...

"Abe iska kaam ho gaya to hume hi bhaga rahi. Pagal ladki Vyas ka ghar basne de"… Riaz apne mann me sochte, pichhe mud kar hasrat bhari nigaahon se dono ko dekhne laga...

Asif, uth kar unke karib pahunchte… "Hum to yahan pahle aaye hain aur humare guruji ne hume kabhi ye nahi sikhaya ki kisi kaam ko bich me chhor kar chale aao"..

Meera gusse se Neerav ko dekhti isharo me hi... "Bhid kam kar yahan se jaldi"…

Neerav:- Mere guruji ne ek baar kaha tha ki "Akela chana bhad nahi phodta" wahin kuchh din baad bole... "Bade se bada kaam ke pichhe koi ek akela hi hota hai jo pahle chalta hai, baki log apne aap hi judte chale jate hai"… Guruji to kisi ek particular situation ke liye aise kahawten batate hain jo har jagah apply nahi hoga. Ye hospital hai Riaz sir aur yahan bhid achhi baat nahi...

Asif aur Riaz ek dusre ko dekhte... "Ye to bhagane par tula hai"…. Fir pichhe mud kar Vyas ko dekhte... "Abe tu apne chhote sale ko sambhal jarra. Hum teri gristhi basane me lage hain aur ye to tujhe Sia ke pass hi nahi rahne de raha"…

Vyas muskurate huye, sab ke karib pahuncha… "Hum sirf landlord nahi hai balki close padosi bhi hain. Chahti to Meera kahin bhi kiraye se rah sakti thi, lekin mere baba ke pass unke kisi mitr ka phone aaya tha… Unhone itna hi kaha tha ki samjho meri beti tunhare yahan rahne aa rahi hai, tumhare pass rahegi to Meera ke gardian sukoon me rahenge ki uski bacchi apne ghar me hai. Ek viswas ki dor hai".

Vyas apni baat kah raha tha aur Neerav, Meera ka hath kas ke tham liya. Usse dar satane laga kahin vyakulta me Meera, Vyas ke sar ke baal na noch le... Meera gusse se Neerav ko dekhti... "Bhagao inhe… vishwas ki dor se caring ki patang bolo fir kabhi uda le, poora mauka dungi"…

Neerav, Meera ko shant rahne ka ishara karte… "Thanks Vyas sir. Lekin ab vishwas maniye ki Meera apne ghar me hi hai. Aap chinta na karen. Hum aap sab ko aur pareshan nahi kar sakte"..

Vyas, Asif aur Riaz aapas me najron ki sangoshthi karte... "Yaar chhote-chhote mauke to hai Sia ke samne rahne ke, kyon bhaga rahe ho"..

Idhar Neerav, Meera ko dekhte... "Achhe log hain yaar, jane nahi wale. Rahne dete hain. Abhi pahli jhalak le to lee, aage kya karna hai uss par aaram se baat karenge"..

Inke najron ki sangoshthi hoti rahi aur pichhe se Soni kaki pahunch gayi.… "Chalo chalte hain. Dr ne bol diya sab thik hai?"

Riaz:- Admit nahi kiye???

Neerav ke papa J.P Jatav… "Sab thik hai to le kar jao inhe. Jabardasti kyun admit karwana."

Som:- Chalo Sia.. inhe bhi jaana hoga...

Kishori:- Chal Neero. Meera beta kisi bhi chij ki jaroorat ho to hume call karna. Aur apne doston se to milwao. Kafi jimmedar ladke hain...

Meera:- Haan so to hai aunty. Vyas hai humare land lord ke ladke aur ye dono uske dost Asif aur Riaz. Teeno humare sath hi medical first year me hain. Vyas ye hain Neerav ki mammi Kishori aunty aur J.P. uncle, UP ke Aditional Director General hai Servilence department me.

Teeno ek najar upar se niche J.P ko dekh kar namaste kiye. Tabhi Neerav bol diya... "Hum sab ka to samjh me aata hai Vyas sir, lekin aap Som sir aur Sia didi ko kaise jante hain"…

Sia:- Lucknow me main sab se pahle inhi teeno se mili thi. Kuchh din pahle Som ko inhi se milwane le kar aayi thi, jab in me se kisi ne Som ko dhakka de diya. Chal Som…

Som:- Hmmm !!! Chalo chalte hain. Neerav tum Meera ko chhod aao aur tum teeno humare sath chalo...

Sia:- Som no...

Som:- Sia please...

Sia:- Hmmm !!! Thik hai...

Som:-JP sir main baad me milta hun. Kya aap bhi inke sath chale jaoge drop karne?

J.P un logon ko le kar nikal gaye. Som, Sia ke sath teeno ko le kar nikla. Car chal rahi thi aur ander poori khamoshi...

Som:- So tum teeno bhi doctor ban'ne wale ho. Koi future plan...

Aisf:- Som bhai, kabhi iss par humne baith kar socha hi nahi kewal ek baat ko chhod kar...

Som:- Kya?

Vyas:- Duniya me doston ko alag uska profession kar deta hai. Humne medical chuna. Ek chhota sa hospital banawayenge jahan main physician, Asif pediatrician aur Riaz E.N.T. Wahin ek saath kaam bhi karenge aur zindgi sath bitayenge.. bus itna hi hai future plan..

Baten samapt hone ke baad ek baar fir khamoshi chhayi rahi. Chand seconds bite honege... "Som bhai aap dono bhai bahan ki delevary kahan hui thi?"

Riaz bechara ne sawal to puchh liya lekin koi jawab hi nahi aaya udhar se. Vyas aur Asif dono dhime se "thuuu" kahte... "Kuchh bhi haan"..

Riaz hath utha kar shant rahne kahte... "Shayad aap dono ne intrest nahi liya sawal me lekin wakai meri jaan'ne ki ikchha hai. Wo kya hai na ye sab mujhe badbola kahte hain. Pata chal jata ki aapko janm ke waqt Dr ne kaun sa tika lagaya tha to main bhi apne bacchon ko wahi lagwa deta"..

Riaz ki baat sun kar sabhi hasne lage. Som car ko kinare roka. Jaise hi car ruki... Sabhi bahar nikle. Samne hi sadak ke kinare ek chay ki dukan thi. Som ne sab ke liye chay bola...

Sia:- Som mujhe kuchh bhi samjh me nahi aa raha hai. In logon ko humare sath kyun liye ho. Inki apni life hai, inka apna jine ka tarika hai...

Tabhi Vyas dono ko chay badhate... "Bade bhaiya, madam bahut bhadki hui lagti hai."

Som "Thanks Vyas…" kahte uske hath se chay liya aur ek cup Sia ke ore badhaya.. jaise hi Sia ne hath aage badhaya, Som ne jaan bujh kar thoda sa chay Sia ke hath par gira tha.

"Ouchhhhhh" karti Sia apne hath jhatak di aur jab sar utha kar dekhi to Som ke dono hath ka chay uske poore badan par tha...

"Sia, exactly uss waqt yahi hua tha. Vyas ka koi intention nahi tha. Ye to humare sharir ka autonomous response hai. Hope you understand. Yahi dhakka mujhe Diksha ne diya hota to shayad uss waqt tum kahti ki dekh kar nahi chay badha sakte, bechari ko jala diya. Hello boys tea party is over. Aur maine tumhari dost ko samjha diya hai ki jo bhi hua wo natural tha. Chalen ab"..

Sia:- Kuchh baton me logic nahi kaam aati Som. Diksha ne bhi tumhe dhakka diya hota to shayad main uss se bhi baat nahi karti... Fact se sahi-galat ki pahchan hoti hai, na ki feeling ko shanti milti hai...

Som:- Haan thik hai samjh gaya... Chal wapas chalte hain...

Sab apni-apni manjil tak pahunch chuke the. Vyas aur uske doston ko sath lane ke chalte Sia, Som se naaraj chal rahi thi. Har chhoti baat par ek hi baat kah rahi thi... "Jab hospital me usne No kah dee thi, fir teeno ko kyun sath laye"… Som 2-4 baar shanti se sunta raha... Lekin uske baad bhi Sia ne chidh kar fir se wahi dohra dee...

Som:- Sia mujhe clear batao... Tumhari baat na maan'ne ke liye mujh par gussa ho ya teeno ko sath le kar aaya isliye...

Sia:- Meri baat na maan'ne ke liye. Wo teeno mere dost hain. Unhe approch karne do. Tumhe kyun bich me mediator ban'na hai... Tum un teeno ki itni pairvi kyun kar rahe the..

Som:- Achha isliye bhadke mahol me ye tak bol gayi ki Diksha ne mujhe dhakka diya hota to tu uss se bhi baat nahi karti...

Sia:- Main logon ko dikhane ke liye Diksha ko le kar, koi bhi statement publically de sakti hun.. "Dekho jab main Diksha ki nahi sun rahi fir tum kya ho"... Aur sab se hairani ki baat abhi ye hai ki iss baat ko mujhe tumhe samjhana pad raha hai... Aaj irritate kar rahe Som..

Som:- Samjh gaya mujh se galti ho gayi. Ab ye baat dhyan rakhunga ki Sia naa boli to nahi karna hai... Ab khush..

Sia:- Naah... Pahle jao society ke kisi ghar ka kaanch tod aao fir main manugi...

Som:- Pagal… kisi ka nuksan karne se kya fayda.. aur kaanch kisi ko lag gayi to…

Sia:- Ye sab sochna tumhara kaam hai...

Dono ke bich bahas chhid gayi. Som jitna mukda Sia utni hi kaanch todne ki sankhya badhati rahi. Som jab maan nahi raha tha tab Sia ja kar cottage ke bahar hi muh fula kar lawn me baith gayi. Sia jiti Som haara. Anth me bhai ne 8 ghar ke kaanch chori se tod dale...

Wahin Soni kaki ko dikha kar lautne ke baad Meera ne Neerav ko apne pass rok lee. Dono hall me hi baithe the.… Meera poori chahkti hui.… "Tune dekha kya mast lag rahe the Som sir. Aahhhhh !!! Ab to pahle se bhi khatarnak look me hai"…

Neerav:- Mujhe lagta hai unki shadi ho gayi hai.

Neerav ki baat sun kar Meera jhapatta maar kar uske baal ko mutthi me daboch lee... "Kuku didi baal chhod do... Pleaseeeee.. warna maine jo tasveer lee hai wo delete kar dunga"…

Meera baal chhodti... "Kiski tasveer liya hai. Neero jhoot bola to achha na hoga. Som sir ke matter me main inch bhar ka majak pasand nahi..."

Neerav:- Kismat wala hai Som Malhotra jise tum jaisi bhakt chahne wali mili hai. Lekin ati srwatr varjayate... Excess of anything dengerous. Ladkiyon ke mamle me wo kaisa hai tumhe pata hai na...

Meera:- Ladke aur ladki ke mamle me jyadatar dhokebaaj to ladkiyan hi hoti hai... Kyonki ya to wo apne aas pass sacche chahne wale ko najarandaj kar deti hai, ya fir samne se dil se khel jati hai. Mere Som sir bhi ussi ka shikar hain bus. To kya hua jo thodi mehnat karni padegi…

Neerav:- Pagal kahin ki... Chalo ab batao ki plan kya hai?

Meera:- Mujhe Som sir se akele me milna hai...

Neerav:- Kal class bunk kar de aur ghar pahunch ja.

Meera:- Great idea.. chal ghar ka pata laga unka...

Neerav:- Subah hi pata kar liya tha... Bus tu thoda khud ko sambhalna...

Meera:- 4th class me 45 minute ki unki ek class me dil hari... 7 sal baad 11th me mujh se 10 minute ke liye mile aur 2 saal baad aaj dekh rahi thi... Kitna aur sambhal lun Neero…

Neerav:- Fir bhi emotion kabu me rakhegi tabhi to baat kar payegi. Aur jab baat karegi tabhi to baat banegi duffer...

Meera:- Haan ye baat to hai... Fir thik hai main poori kosis karungi sambhlne ki. Neero lekin meri medical ki class...

Neerav:- Pagal main hun na... Extra samjh lunga uss visay ko. Tum uski chinta chhod do Kuku, poora focus Som sir par laga de...

Meera:- Chal issi khushi me nachte hain..

Neerav:- Pagal raat ke 11 baj rahe hain…

Ab 11 baje ya 12, khushi se jhumna tha matlab jhumna tha. Neerav aur Meera nachte rahe. Nachte khushi ka izhar karte aur hall me hi baat karte-karte ludhak gaye. Subah khushnuma thi aur ander ek dridh sankalp liye Meera poore siddat se taiyar ho rahi thi...

Itne salon baad aisi subah aayi thi jab Meera pahli baar Som se akele me milne ja rahi thi. Dil joron se dharak raha tha. Ander kee bhawnayen poori tarah se bekabu thi. Akele me apni dil ki bhavna Som ko samjha payegi yah ek uljhan baar-baar Meera ke ander chal raha tha. Khyal bahut vichlit karne wale the aur Meera kisi tarah khud ko samjhati taiyar ho chuki thi...

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
 
nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-43

Subah ke lagbhag 8.30 baj rahe the. Sia ke college pahunchne ki pakki information Meera ke pass pahunch chuki thi. Meera gahre laal rang ke libas me taiyar aaj apne premi par bijli girane ko taiyar thi. Aisa lag raha tha aaj poore itminaan se apni chahat ko rijhane ke irade se saji-snwari thi. Ander ki utsukta aur chehre ki ghabrahat Meera ko ati vises roop de rahi thi…

images-2021-06-30-T104805-385

Ghar ke samne cab laga. Meera cab me baith kar apne sajan se milne chal di. 9 sal ke dil hi dil ka prem aur ek aisa mauka nahi jo sath baithe ho. Aaj pahli baar thi. Dharkan kabhi tej to kabhi dhime ho rahi thi. Vyakulta se hath paun kaanp rahe the.

Tabhi driver ne fm lagaya. Aur ek pyari si dhun kaan me sunai dene lagi...

Paalki Mein Ho Ke Sawaar Chali Re
Main To Apne Sajan Ke Dwaar Chali Re
Paalki Mein Ho Ke Sawaar Chali Re
Main To Apne Sajan Ke Dwaar Chali Re

Mushkil Se Maine Ye Din Nikaale
Mushkil Se Maine Ye Din Nikaale
Chal Tej Chal Tu Wo Gaadi Waale
Mann Mein Lagi Hai Aisi Lagan
Aisi Lagan.. Haay Aisi Lagan..

Hoke Main Badi Bekaraar Chali Re
Hoke Main Badi Bekaraar Chali Re
Main To Apne Sajan Ke Dwaar Chali Re
Paalki Mein Ho Ke Sawaar Chali Re
Main To Apne Sajan Ke Dwaar Chali Re

Madhyam se aati awaj me jo sangeet baja wo to jaise aaj Meera ke liye hi baj raha tha. Chehre par bikharti muskaan aur hoton par wahi geet gungunane lagi. Kuchh der baad, Meera bade se darvaje ke bahar Nirbhay Singh ka name plate padh rahi thi.

Utsukta aur ghabrahat ke bich phansi Meera ke paun achanak se kuchh jyada hi tej kaanpne lage. Meera gahri shwans poore ander tak khinchti hu... "Shant Meera... Baat karne se hi baat banegi"….

"Kin se milna hai madam"… Bahar khade guard ne puchha...

Meera:- Som sir aur Sia didi se milne aayi hun..

Guard:- Aap ka naam..

Meera:- Kya yahan aane wale ko aise hi bahar khade rakh kar puchh-tachh karte hain…

Guard:- Madam kya karun duty hai... Aap naam bataeye main sir ko call kar deta hun...

"Sala dimag ki dahi kar raha" ander se chidhti, upar se unchacha muskurahat deti... "Ji Meera naam hai"…

Kuchh der Meera bahar khadi rahi. Chhoti si window se Som ko aate huye dekh rahi thi. Haalaat bekabu ho gaye. Armaan aahen bharne lagi. Paun me ek baar fir pankha lag gaye. Ander se dharkane itni tej thi ki tej-tej shwans le kar khud ko kabu karne ki kosis kar rahi thi...

"Are you alright Meera"?…. Kaan me Som kee awaj sunai di. Meera najren utha kar dekhi, fir najron ne jaise himmat haar lee ho. Khud-v-khud palken nichi ho gayi... "Meera, kya tum thik ho"?.. Ek baar fir Som ne puchha…

"Aa .. haaan .. Sir, main thik hun."… Kisi tarah Meera apni baat kah kar wapas se khud ko niyantrit karne lagi.

Som:- Sia to college hi gayi hai...

Meera, hadbadati... "Wo main aap se hi milne aayi thi"..

Som:- Come on in... Ab kya bahar hi khadi rahogi...

Meera, ek baar fir najar utha kar dekhi. Dhime se poori gahri shwans apne ander khinch kar Meera, Som ke pichhe kadam badha dee. Som aage chal raha tha, Meera pichhe-pichhe… "Aahhh yun hi har safar ke humsafar rahna sir"… khayal kafi khushnuma tha, soch kar hi Meera ke chehre par muskaan failne lagi.

Kadam badhati Meera cottage ke darwaje se ander praves ki. Kinare hi diwar par ek bahut bada board tha, jis par Meera aur uske doston ke sath Sia ki kayi sari tasveer lagi hui thi. Meera bade dhyan se sabhi tasveren dekh rahi thi. Wahan Som ki bhi kayi tasveeren thi. Un tasveeron ko dekh kar Meera aise khoyi ki uske hath apne aap hi un tasveeron ko sparsh karne ke liye uth gaye..

"Tea or coffee"… Khoye se uss mahol me Som ki awaj sunai dee. Meera vastavik sthiti me pahunchi… "Sorry main wo tasveer dekh rahi thi"..

Som:- Tea or Coffee...

Meera:- Kuchh nahi sir rahne dijiye. Waise Som sir kya aap ko main yaad hun...

Som:- School days ke bare me puchh rahi ho..

Meera:- Haan Sir...

Som:- Sorry Meera, mujhe utne junior class ke bare me yaad nahi... tum aaram se baith kyon nahi jati?

Meera ab bhi un tasveeron ko hi dekhti hui baat kar rahi thi. Shayad samne se dekhne par armaan iss kadar bekabu hote ki baat na ho pati, isliye Meera, Som ko face hi nahi karna chahti thi...

Meera:- Main thik hun sir. In tasveeron me kuchh purani aur pyari yaden hain, unhi ko sanjo rahi hun.

Som:- Koi nahi ye poora board hi tum rakh lo. Jo tasveeren tumhare kaam ki na ho usse lauta dena.

Meera:- Thanks Sir.. Sir 2 sal pahle 11th ki ek ladki ne aap ko ground me propose kiya tha... Uske bare me kuchh yaad hai kya?

Som:- Kya wo tumhari dost hai? Yadi haan to uss se meri baat karwana. You know life me first time kisi ko thappad marne ka afsos hua tha..

Meera, ki bhavna to wahi samjh sakti thi. Som ke kahe ye aakhri shabd usse asim sukh de rahi ho jaise. Meera apni bhavnayen apne ander dabati... "Aap ne to kayi ladkiyon ko thappad maara hai sir. Fir uske liye afsos kyun?"

Som gahri shwans lete.... "Achha sawal hai. Jara mera huliya dekho, ye kisi ladki ko attrect bhi kar sakta hai kya? Mujhe yaad bhi nahi ki kisi ladki ne aaj tak mujhe muskura kar dekha ho. Ya to mere bedhange look ya fir main unhe kyon nahi dekhta, ya unko ore ruchi kyun nahi leta, inhi sab baaton ka aaklan karti mujhe dekha karti thi ya mere bare me jaan'ne ki ikchha rakhti thi. Ab soch sakti ho school me mile proposal kis maksad ke honge..

Meera:- Apne bare me aisa kyun kahte ho sir... Ladkiyan aap ko pasand karti thi..

Som:- "Mujhe utne hi log pasand kar sakte hain jo mujhe samjhte hain. School me ladkiyon ke liye main matr ek object tha. Aisa object jise apne pichhe ghumane ke liye kayi ladkiyon ne shart lagayi thi. Wo Som ko dekh kar attrect nahi thi, balki Som, Diksha aur Sia ke sath kewal hota tha, iss wajah ladkiyan ego me propose karti thi."

"Tumhe nahi pata jab main unhe thappad marata tha to kaise sobhniya shabdon se mera swagat kiya karti thi. Ek thappad kafi tha uski bhavna juban tak lane ke liye. But the last girl... Thappad marne ke baad na to wo kuchh boli aur na hi uski aankhon ki bavna badli. Wo aankhen jinme kuchh to sapne the... Kuchh to arman the. Bacchi thi, kuchh jyada shakti kar di. Mujhe aaram se baith kar usse samjhana chahiye tha"…

Meera bade dhyan se Som ki baten sun rahi thi. Chehra bata raha tha ki wo kitni khush hai. Aankhen bata rahi thi ki wo Som ko sun kar kitni bhav vibhor ho rahi hai...

Dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak.. apne bekabu dharkano ki aawaj wo saaf sun sakti thi.

Meera kisi tarah himmat juta kar saamne mud gayi. Meera ke aanshu dekh kar Som apne kadam aage badhaya. Meera apne hath aage dikhati... "Nahi sir, wahin khade rahiye... Varna main kuchh kah nahi paungi."..

Som:- Meera listen...

Meera:- No you listen Som Malhotra... Main hi wo ladki hun jise bacchi bol kar thappad mar diye. Now tell me kya main tumhare sath khadi rahungi to unmatched lagaungi...

Som:- Meera take a deep breath, calm down. I really apologize. Kyun uss waqt ki baat ko dil se lagaye baithi ho...

Meera:- Shut upppp !!! Main thappad ke clarification nahi maangne aayi hun. Main to kahna chahti hun, meri aankhon me ab bhi wahi chahat hai... Som Molhotra main tumhe apna sab kuchh maan chuki hun, bus ye batane aayi hun...

Som:- Meera main tum se itna friendly kewal aur kewal Sia ke wajah se hun. Tum jo baat kar rahi wo galat hai...

Meera:- Sia didi baat karegi to baat karoge, nahi karegi to nahi karoge. Aur mera kya jo tumhe dekhne ke liye itni vyakul thi ki kal apni Soni kaki tak ko admit karwa dee...

Som uski nam aankhen aur gusse se nikalti awaj sun kar hans diya.. "Meera it's just an attrection. Aise chhote umr me apne seniors ya teacher ko dekh kar ho jata hai. Tum itni kamal ki khubsoorat ho ki tumhe to koi prince charm milega. Abhi bhi bachpana aur hat hi hai"…

Meera:- Bachpana hi sahi… Main tumhe pasand karti hun. Maar kar thappad bhaga do. Mai sadak par baith jaungi aur ye baat kahungi. Tab tak kahti rahungi jab tak tunhe samjh me nahi aa jata ki main wakai tumhe chahti hun aur tum hi mere sab kuchh ho... Koi attrection nahi hai... Bahut clear hai life ke concept…

Som:- Meera main kya karun jo tumhe samjh me aayega ki main tumhare se ye rishta nahi nibha sakta...

Meera:- Accept me... Mat bahar lao apni feeling. Ban jao bhola bhandari. Meri feeling to samjh sakte ho... Mere sath to ho sakte ho..

Som:- Meera tumhe abhi nahi pata ki tum kya kah rahi ho. Vatsvik duniya me jab tum mere sath hogi to issi Som se tumhe nafrat ho jayegi. Apni chahat me tum 1 sal ya 2 sal kaat logi lekin uske baad fir tum ghut jaogi...

Meera, mano poore thak aur haar kar kahin baith rahi ho, thik waise hi bistar par baith kar, kinare hath ka tek lagati... "Som sir main aap ko kaise yakin dilaun, maine aap ke liye 9 sal bita diye, kya aage ke 40-50 sal nahi bitaungi aur yakin maniye main koi adjustment nahi karungi. Aapke sath jaisi bhi life rahe khushi se accept kar lungi"..

Som:- Meera main Lucknow me rahne aaya hun. Aisa mahol mat banao ki main Lucknow chhodne par majboor ho jaun. Aur ek baat pyar me pagal log suside karne ki sochte hain, tum bhi aisa soch sakti ho fir tum mere liye sirf aur sirf ghrina ke patr hogi...

Meera:- "Meera naam hai mera Som Malhotra. Tum mere chhaliya aur main tumhari Meera. Main sath jine me viswas rakhti hun. Bhale kosis karte-karte meri poori umr nikal jaye aur matr ek lamha hi sahi, tum mere sath mujhe apni jivan sangni maan kar kyun na raho... Main uss ek lamhe ke aane tak kosis karti rahungi... Ye hoga likh lo..."

"Tum mujhe baby, sweeto aur anya pyare naam se manoge... Main Ruthi na jaun iss baat se ghabraoge... Main apni maa ke pass jaungi to naaki dhunte kahoge, mat jao abhi to gayi thi... Hoga, ye sab hoga... Likh lo.… Aur haan jo gyan atmhatya ke liye mujhe de rahe the wahi gyan khud me jagao. Ek ladki se thik se 10 line baat nahi kar paye aur kuchh na sujhne ki paristhiti me bhagne lage, shahar chhodne ki dhamki dene lage.

"Kayar log bhagte hain Som Malhotra. Main to atmhatya ki soch nahi rahi kyunki meri chahat tumhare sath judi hai, lekin mujhe mere poore parivar aur upar wale ki kripa se kuchh ajij chahne wale mitr mile hain. Ek ladke ke liye atmhatya kar ke main unhe aanshu de dun aisa soch bhi kaise liya Mr Som Malhotra. Pahle hi batayi thi mere life ke concept bahut clear hain. Main atyhatya to katai nahi kar sakti, tum bhi achhe bacche ki tarah yahin Lucknow me raho… ... Chalti hun Som sir... Love you sweety..."

Meera apni baat kah kar poore vishwas ke sath uthi. Deewar se apna gift utha kar Som ke samne hi uski tasveer ko chumti, ek baar pichhe mudi aur honth ko gol banati... "Bye bye Sweety kal subah fir aaungi. Bhagna mat."…

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Bahut din baad shock me aayi hai... Kya hi kah dun ... Chutti par gayi thi to soch kar madam lauti hai mujhs jhagda karne ke irade se :doh:
Haan to.. kahe jhagda na karu.... mana ki in dino zyada busy hun, story pe nahi aa pa rahi, iska hargiz ye matlab nahi ki jo marzi karte phirenge aap :bat:
menka ke sath jo kiya ju ne wo kaafi tha, ab Sia aur MEERA PUROHIT ke sath agar kuch gadbad ki to baaki rab jaane :bat:
 
Indrajeet

Active Member
814
1,572
138
Haan galti meri hai, abhi umar hi kya hai bichari meera ki.. Sorry nain11ster saheb sorry SANJU ( V. R. ) saheb... abhi to meera 12 saal ki bachi hai... :D
aur is baat pe khud Indrajeet ne muhar lagayi thi :D
Yaar ye to badi khatarnak type ki alochak nikli ......meri ek chhoti si mistake se mujh pe hi waar.... nain11ster bhai aap hi sambhalo inko.......... mera dur se pranam swikar krke mujh baksh de devi jii🙏🙏
 
Lagta hai photo Wali ladki ko polio ki do bund nahi pilayi kisi ne :lol:
sukhe patte bhi itne patle nahi hote jitni ye photo wali mega hai, ek hawa ka jhonka aur ye 10 km door jaa giri :roflol: are nain saheb ek rassi bhi de dete bichari ko taki hawa ke jhonke ke sath ud na jaaye :roflol:
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Yaar ye to badi khatarnak type ki alochak nikli ......meri ek chhoti si mistake se mujh pe hi waar.... nain11ster bhai aap hi sambhalo inko.......... mera dur se pranam swikar krke mujh baksh de devi jii🙏🙏
Ab sumo luci aake vichar karega ju ki us post lekar ki ju ne kya soch ke UA content add ki comment pe :roflol:
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
47,620
64,524
304
aise 4-5 comment aa gaye to kisi din mera talak pakka ho jana hai... :D
तलाक
किसके साथ महोदय।

आप तो उस दिन बोल रहे थे कि सबसे योग्य कुंवारों की सूची में आप नीचे से पहले स्थान पर हैं।

फिर तलाक किससे लेंगे आप।🤔🤔🤔
 
nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Haan to.. kahe jhagda na karu.... mana ki in dino zyada busy hun, story pe nahi aa pa rahi, iska hargiz ye matlab nahi ki jo marzi karte phirenge aap :bat:
menka ke sath jo kiya ju ne wo kaafi tha, ab Sia aur MEERA PUROHIT ke sath agar kuch gadbad ki to baaki rab jaane :bat:

Chill and smile ... Don't panic .. ok

Achhi bhali sidhi raah par chalne wali kirdaar ko pagal banane mein tule hai :sigh:

Pagal... U cannot imagine the madness of Meera... Abhi jaana hi kitna hai.. when u feel her .. u will get all the answers.. kisi ke past me ghatna hui hai... Kisi ke sath love failure hua hai... Lekin Meera..

Uske pass 9 sal tapasya hai... Uska chal raha jivan hi poora ka hi bachpan se le kar abhi tak ghatnao se ghira ho...

Kisi ko pana to dur uske sath baith kar apni poore dil ka haal kabhi bata nahi sakti iss khyal se wo kisi ko chahti rahi hai...

Ye chahat ko aap aise dekhiye ki kisi ko kuber ka khajana milne ke chance hai to wo kitne corruption karega... Bus Meera ke sath bhi wahi condition ubhar gayi hai... Usse duniya ka sab se anmol khajana dikh gaya... Kya wo rukegi ab...

Realise the situation ... And think about that... Haa. Usne galat kiya.. and if yiu read me then u know properly know ... Main kisi bhi galat ko... Fir chahe wo kisi situations me galti jayaj kyun na ho ... Galat ko galat ki maanta hun... Isliye main aap ke galat ko bhi utna hi strongly galat kahunga...

Chill and rido only .. u will get all your answers.. feel the emo of charecter .. warna pyar me log aise hi beakoof hote hain.. jab unhe apna kiya khud samjh me nahi aata to fir aap ko samjh me kaise aayega aur main kaise fir ek samjhdar ishq plot kar sakta hun... Bus itni si baat hai
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
तलाक
किसके साथ महोदय।

आप तो उस दिन बोल रहे थे कि सबसे योग्य कुंवारों की सूची में आप नीचे से पहले स्थान पर हैं।

फिर तलाक किससे लेंगे आप।🤔🤔🤔
Ye future bata raha tha main... Yadi 4-5 comment aise aa gaye to talak pakka hai.. 4-5 comment future tense me hai so aage ki sari ghatnayen bhi future se judi hai..

By the way main niche se top par na raha .. 😂😂😂
 
Top