-----: Bulletin Board :-----
Update 88 (A & B) is posted on 537.. Must give your valuable feedback...
End Of The Chepter:-1 is posted on 542...
Last edited:
Haan to.. kahe jhagda na karu.... mana ki in dino zyada busy hun, story pe nahi aa pa rahi, iska hargiz ye matlab nahi ki jo marzi karte phirenge aapBahut din baad shock me aayi hai... Kya hi kah dun ... Chutti par gayi thi to soch kar madam lauti hai mujhs jhagda karne ke irade se![]()


Yaar ye to badi khatarnak type ki alochak nikli ......meri ek chhoti si mistake se mujh pe hi waar.... nain11ster bhai aap hi sambhalo inko.......... mera dur se pranam swikar krke mujh baksh de devi jiiHaan galti meri hai, abhi umar hi kya hai bichari meera ki.. Sorry nain11ster saheb sorry SANJU ( V. R. ) saheb... abhi to meera 12 saal ki bachi hai...
aur is baat pe khud Indrajeet ne muhar lagayi thi![]()
Lagta hai photo Wali ladki ko polio ki do bund nahi pilayi kisi neUpdate:-43
Subah ke lagbhag 8.30 baj rahe the. Sia ke college pahunchne ki pakki information Meera ke pass pahunch chuki thi. Meera gahre laal rang ke libas me taiyar aaj apne premi par bijli girane ko taiyar thi. Aisa lag raha tha aaj poore itminaan se apni chahat ko rijhane ke irade se saji-snwari thi. Ander ki utsukta aur chehre ki ghabrahat Meera ko ati vises roop de rahi thi…
![]()
Ghar ke samne cab laga. Meera cab me baith kar apne sajan se milne chal di. 9 sal ke dil hi dil ka prem aur ek aisa mauka nahi jo sath baithe ho. Aaj pahli baar thi. Dharkan kabhi tej to kabhi dhime ho rahi thi. Vyakulta se hath paun kaanp rahe the.
Tabhi driver ne fm lagaya. Aur ek pyari si dhun kaan me sunai dene lagi...
Paalki Mein Ho Ke Sawaar Chali Re
Main To Apne Sajan Ke Dwaar Chali Re
Paalki Mein Ho Ke Sawaar Chali Re
Main To Apne Sajan Ke Dwaar Chali Re
Mushkil Se Maine Ye Din Nikaale
Mushkil Se Maine Ye Din Nikaale
Chal Tej Chal Tu Wo Gaadi Waale
Mann Mein Lagi Hai Aisi Lagan
Aisi Lagan.. Haay Aisi Lagan..
Hoke Main Badi Bekaraar Chali Re
Hoke Main Badi Bekaraar Chali Re
Main To Apne Sajan Ke Dwaar Chali Re
Paalki Mein Ho Ke Sawaar Chali Re
Main To Apne Sajan Ke Dwaar Chali Re
Madhyam se aati awaj me jo sangeet baja wo to jaise aaj Meera ke liye hi baj raha tha. Chehre par bikharti muskaan aur hoton par wahi geet gungunane lagi. Kuchh der baad, Meera bade se darvaje ke bahar Nirbhay Singh ka name plate padh rahi thi.
Utsukta aur ghabrahat ke bich phansi Meera ke paun achanak se kuchh jyada hi tej kaanpne lage. Meera gahri shwans poore ander tak khinchti hu... "Shant Meera... Baat karne se hi baat banegi"….
"Kin se milna hai madam"… Bahar khade guard ne puchha...
Meera:- Som sir aur Sia didi se milne aayi hun..
Guard:- Aap ka naam..
Meera:- Kya yahan aane wale ko aise hi bahar khade rakh kar puchh-tachh karte hain…
Guard:- Madam kya karun duty hai... Aap naam bataeye main sir ko call kar deta hun...
"Sala dimag ki dahi kar raha" ander se chidhti, upar se unchacha muskurahat deti... "Ji Meera naam hai"…
Kuchh der Meera bahar khadi rahi. Chhoti si window se Som ko aate huye dekh rahi thi. Haalaat bekabu ho gaye. Armaan aahen bharne lagi. Paun me ek baar fir pankha lag gaye. Ander se dharkane itni tej thi ki tej-tej shwans le kar khud ko kabu karne ki kosis kar rahi thi...
"Are you alright Meera"?…. Kaan me Som kee awaj sunai di. Meera najren utha kar dekhi, fir najron ne jaise himmat haar lee ho. Khud-v-khud palken nichi ho gayi... "Meera, kya tum thik ho"?.. Ek baar fir Som ne puchha…
"Aa .. haaan .. Sir, main thik hun."… Kisi tarah Meera apni baat kah kar wapas se khud ko niyantrit karne lagi.
Som:- Sia to college hi gayi hai...
Meera, hadbadati... "Wo main aap se hi milne aayi thi"..
Som:- Come on in... Ab kya bahar hi khadi rahogi...
Meera, ek baar fir najar utha kar dekhi. Dhime se poori gahri shwans apne ander khinch kar Meera, Som ke pichhe kadam badha dee. Som aage chal raha tha, Meera pichhe-pichhe… "Aahhh yun hi har safar ke humsafar rahna sir"… khayal kafi khushnuma tha, soch kar hi Meera ke chehre par muskaan failne lagi.
Kadam badhati Meera cottage ke darwaje se ander praves ki. Kinare hi diwar par ek bahut bada board tha, jis par Meera aur uske doston ke sath Sia ki kayi sari tasveer lagi hui thi. Meera bade dhyan se sabhi tasveren dekh rahi thi. Wahan Som ki bhi kayi tasveeren thi. Un tasveeron ko dekh kar Meera aise khoyi ki uske hath apne aap hi un tasveeron ko sparsh karne ke liye uth gaye..
"Tea or coffee"… Khoye se uss mahol me Som ki awaj sunai dee. Meera vastavik sthiti me pahunchi… "Sorry main wo tasveer dekh rahi thi"..
Som:- Tea or Coffee...
Meera:- Kuchh nahi sir rahne dijiye. Waise Som sir kya aap ko main yaad hun...
Som:- School days ke bare me puchh rahi ho..
Meera:- Haan Sir...
Som:- Sorry Meera, mujhe utne junior class ke bare me yaad nahi... tum aaram se baith kyon nahi jati?
Meera ab bhi un tasveeron ko hi dekhti hui baat kar rahi thi. Shayad samne se dekhne par armaan iss kadar bekabu hote ki baat na ho pati, isliye Meera, Som ko face hi nahi karna chahti thi...
Meera:- Main thik hun sir. In tasveeron me kuchh purani aur pyari yaden hain, unhi ko sanjo rahi hun.
Som:- Koi nahi ye poora board hi tum rakh lo. Jo tasveeren tumhare kaam ki na ho usse lauta dena.
Meera:- Thanks Sir.. Sir 2 sal pahle 11th ki ek ladki ne aap ko ground me propose kiya tha... Uske bare me kuchh yaad hai kya?
Som:- Kya wo tumhari dost hai? Yadi haan to uss se meri baat karwana. You know life me first time kisi ko thappad marne ka afsos hua tha..
Meera, ki bhavna to wahi samjh sakti thi. Som ke kahe ye aakhri shabd usse asim sukh de rahi ho jaise. Meera apni bhavnayen apne ander dabati... "Aap ne to kayi ladkiyon ko thappad maara hai sir. Fir uske liye afsos kyun?"
Som gahri shwans lete.... "Achha sawal hai. Jara mera huliya dekho, ye kisi ladki ko attrect bhi kar sakta hai kya? Mujhe yaad bhi nahi ki kisi ladki ne aaj tak mujhe muskura kar dekha ho. Ya to mere bedhange look ya fir main unhe kyon nahi dekhta, ya unko ore ruchi kyun nahi leta, inhi sab baaton ka aaklan karti mujhe dekha karti thi ya mere bare me jaan'ne ki ikchha rakhti thi. Ab soch sakti ho school me mile proposal kis maksad ke honge..
Meera:- Apne bare me aisa kyun kahte ho sir... Ladkiyan aap ko pasand karti thi..
Som:- "Mujhe utne hi log pasand kar sakte hain jo mujhe samjhte hain. School me ladkiyon ke liye main matr ek object tha. Aisa object jise apne pichhe ghumane ke liye kayi ladkiyon ne shart lagayi thi. Wo Som ko dekh kar attrect nahi thi, balki Som, Diksha aur Sia ke sath kewal hota tha, iss wajah ladkiyan ego me propose karti thi."
"Tumhe nahi pata jab main unhe thappad marata tha to kaise sobhniya shabdon se mera swagat kiya karti thi. Ek thappad kafi tha uski bhavna juban tak lane ke liye. But the last girl... Thappad marne ke baad na to wo kuchh boli aur na hi uski aankhon ki bavna badli. Wo aankhen jinme kuchh to sapne the... Kuchh to arman the. Bacchi thi, kuchh jyada shakti kar di. Mujhe aaram se baith kar usse samjhana chahiye tha"…
Meera bade dhyan se Som ki baten sun rahi thi. Chehra bata raha tha ki wo kitni khush hai. Aankhen bata rahi thi ki wo Som ko sun kar kitni bhav vibhor ho rahi hai...
Dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak dhakk-dhak.. apne bekabu dharkano ki aawaj wo saaf sun sakti thi.
Meera kisi tarah himmat juta kar saamne mud gayi. Meera ke aanshu dekh kar Som apne kadam aage badhaya. Meera apne hath aage dikhati... "Nahi sir, wahin khade rahiye... Varna main kuchh kah nahi paungi."..
Som:- Meera listen...
Meera:- No you listen Som Malhotra... Main hi wo ladki hun jise bacchi bol kar thappad mar diye. Now tell me kya main tumhare sath khadi rahungi to unmatched lagaungi...
Som:- Meera take a deep breath, calm down. I really apologize. Kyun uss waqt ki baat ko dil se lagaye baithi ho...
Meera:- Shut upppp !!! Main thappad ke clarification nahi maangne aayi hun. Main to kahna chahti hun, meri aankhon me ab bhi wahi chahat hai... Som Molhotra main tumhe apna sab kuchh maan chuki hun, bus ye batane aayi hun...
Som:- Meera main tum se itna friendly kewal aur kewal Sia ke wajah se hun. Tum jo baat kar rahi wo galat hai...
Meera:- Sia didi baat karegi to baat karoge, nahi karegi to nahi karoge. Aur mera kya jo tumhe dekhne ke liye itni vyakul thi ki kal apni Soni kaki tak ko admit karwa dee...
Som uski nam aankhen aur gusse se nikalti awaj sun kar hans diya.. "Meera it's just an attrection. Aise chhote umr me apne seniors ya teacher ko dekh kar ho jata hai. Tum itni kamal ki khubsoorat ho ki tumhe to koi prince charm milega. Abhi bhi bachpana aur hat hi hai"…
Meera:- Bachpana hi sahi… Main tumhe pasand karti hun. Maar kar thappad bhaga do. Mai sadak par baith jaungi aur ye baat kahungi. Tab tak kahti rahungi jab tak tunhe samjh me nahi aa jata ki main wakai tumhe chahti hun aur tum hi mere sab kuchh ho... Koi attrection nahi hai... Bahut clear hai life ke concept…
Som:- Meera main kya karun jo tumhe samjh me aayega ki main tumhare se ye rishta nahi nibha sakta...
Meera:- Accept me... Mat bahar lao apni feeling. Ban jao bhola bhandari. Meri feeling to samjh sakte ho... Mere sath to ho sakte ho..
Som:- Meera tumhe abhi nahi pata ki tum kya kah rahi ho. Vatsvik duniya me jab tum mere sath hogi to issi Som se tumhe nafrat ho jayegi. Apni chahat me tum 1 sal ya 2 sal kaat logi lekin uske baad fir tum ghut jaogi...
Meera, mano poore thak aur haar kar kahin baith rahi ho, thik waise hi bistar par baith kar, kinare hath ka tek lagati... "Som sir main aap ko kaise yakin dilaun, maine aap ke liye 9 sal bita diye, kya aage ke 40-50 sal nahi bitaungi aur yakin maniye main koi adjustment nahi karungi. Aapke sath jaisi bhi life rahe khushi se accept kar lungi"..
Som:- Meera main Lucknow me rahne aaya hun. Aisa mahol mat banao ki main Lucknow chhodne par majboor ho jaun. Aur ek baat pyar me pagal log suside karne ki sochte hain, tum bhi aisa soch sakti ho fir tum mere liye sirf aur sirf ghrina ke patr hogi...
Meera:- "Meera naam hai mera Som Malhotra. Tum mere chhaliya aur main tumhari Meera. Main sath jine me viswas rakhti hun. Bhale kosis karte-karte meri poori umr nikal jaye aur matr ek lamha hi sahi, tum mere sath mujhe apni jivan sangni maan kar kyun na raho... Main uss ek lamhe ke aane tak kosis karti rahungi... Ye hoga likh lo..."
"Tum mujhe baby, sweeto aur anya pyare naam se manoge... Main Ruthi na jaun iss baat se ghabraoge... Main apni maa ke pass jaungi to naaki dhunte kahoge, mat jao abhi to gayi thi... Hoga, ye sab hoga... Likh lo.… Aur haan jo gyan atmhatya ke liye mujhe de rahe the wahi gyan khud me jagao. Ek ladki se thik se 10 line baat nahi kar paye aur kuchh na sujhne ki paristhiti me bhagne lage, shahar chhodne ki dhamki dene lage.
"Kayar log bhagte hain Som Malhotra. Main to atmhatya ki soch nahi rahi kyunki meri chahat tumhare sath judi hai, lekin mujhe mere poore parivar aur upar wale ki kripa se kuchh ajij chahne wale mitr mile hain. Ek ladke ke liye atmhatya kar ke main unhe aanshu de dun aisa soch bhi kaise liya Mr Som Malhotra. Pahle hi batayi thi mere life ke concept bahut clear hain. Main atyhatya to katai nahi kar sakti, tum bhi achhe bacche ki tarah yahin Lucknow me raho… ... Chalti hun Som sir... Love you sweety..."
Meera apni baat kah kar poore vishwas ke sath uthi. Deewar se apna gift utha kar Som ke samne hi uski tasveer ko chumti, ek baar pichhe mudi aur honth ko gol banati... "Bye bye Sweety kal subah fir aaungi. Bhagna mat."…
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>

are nain saheb ek rassi bhi de dete bichari ko taki hawa ke jhonke ke sath ud na jaaye 
Ab sumo luci aake vichar karega ju ki us post lekar ki ju ne kya soch ke UA content add ki comment peYaar ye to badi khatarnak type ki alochak nikli ......meri ek chhoti si mistake se mujh pe hi waar.... nain11ster bhai aap hi sambhalo inko.......... mera dur se pranam swikar krke mujh baksh de devi jii![]()

तलाकaise 4-5 comment aa gaye to kisi din mera talak pakka ho jana hai...![]()
Haan to.. kahe jhagda na karu.... mana ki in dino zyada busy hun, story pe nahi aa pa rahi, iska hargiz ye matlab nahi ki jo marzi karte phirenge aap
menka ke sath jo kiya ju ne wo kaafi tha, ab Sia aur MEERA PUROHIT ke sath agar kuch gadbad ki to baaki rab jaane![]()
Achhi bhali sidhi raah par chalne wali kirdaar ko pagal banane mein tule hai![]()
Ye future bata raha tha main... Yadi 4-5 comment aise aa gaye to talak pakka hai.. 4-5 comment future tense me hai so aage ki sari ghatnayen bhi future se judi hai..तलाक
किसके साथ महोदय।
आप तो उस दिन बोल रहे थे कि सबसे योग्य कुंवारों की सूची में आप नीचे से पहले स्थान पर हैं।
फिर तलाक किससे लेंगे आप।![]()