• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-33

"Hasrat nahi thi kabhi aur naa hi kabhi sapno me bhi socha tha ki main kabhi yahan bhi ho sakti hun. Jis sahar ka naam kewal rajya aur rajdhani me rati thi, aaj wahan khadi hun. Thanks zindgi...".... Apne khyalon ke sath Meera taxi me sawar ho kar apne aage ka safar tay karne nikal padi...

Meera aur uska sara kunwa taxi me sawar chal diye. Taxi ke chalte hi Nikku ne Vyas ko call laga diya. Vyas sham ke 8 baje sandhya dhale aur Rasili baar me jaam chale kraykarm me vyast tha. Chaturvedi ki finence party teeno manaa rahe the.

Issi bich Vyas bhul gaya ki aaj uske yahan koi renter aane wala hai, jise wahin nukkad ki chay dukan se receive kar ke colony tak le kar aana tha. Teeno teesra peg utha rahe the jab Nikku ka call aa gaya Vyas ke pass.

Vyas call ko dekhte... "Areee yaar isko kaise bhool gaya"..

Aisf, aur Riaz ek sath... "Kaun hai?"

Vyas:- Baba ne dusre ghar ko kiraye par laga diya hai... Wahi renter ka phone aa raha hai..

Riaz:- Matster sahab bhi na. Kab tak aise ruthe rahenge. Batao aaj wo ghar bhi kiraya laga diya..

(Pandit ji ke paitrik sampatti ke ek hisse me bada sa ghar bana hua tha, jisme 2 kamre aur ek bahut bada hall tha. Pandit Ram Swaroop Shashtri aur unki patni Alka Shastri dono yahan padhaate the. Kayi garib students ka wo ghar hua karta tha. 3 sal huye the wahan se ye sab band kiye. Pahle kabhi kiraye ka soche nahi shayad wo bhi padhane ki ikchha rakhte ho. Lekin ghar ki jarooraton ne aise faisle lene par dono dampatti ko majboor kiya tha. Beta professional course karne ja raha tha paise na bhi maange to bhi jarooraten hoti hi hain. 14k kam amonut nahi hote.)

Asif:- Itni panchayat kyon. Abhi Master sahab ruthe hain, isliye unhe samjh me nahi aa raha. Wo nahi padhayenge to hum wahan class shuru kar sakte hain. Bhaga de unko Vyas..

Vyas:- Haan ye sahi hai... Commercially develope kar sakte hain… Medical entrance preparation ki class wahan shuru kee ja sakti hai...

Asif aur Riaz:- Haan sahi bola...

Teeno apni yojna bana rahe the ussi bich 2 baar poori ghanti baj kar teesra call aaya. Vyas phone uthate... "Haaluuuu"

Harihar kaka:- Beta main Harihar kaka bol raha hun. Tumhe batane ke liye phone kiya tha ki hum station se nikal gaye hain...

Vyas:- Are kaka, kaahe marne aa rahe ho... Wahin kahin hotel me ruk jao. Yahan dange shuru ho gaye hain…

Harihar kaka chaunkte huye.… "Kya????"

Vyas:- Ae pagal samjh me nahi aata kya. Iss ilake me ye aam baat hai. Subah sab sahi ho jayega, fir aana. Warna pata chala jis taxi se aa rahe wo taxi sahit aag laga denge...

Call disconnect aur teeno hanste huye apne kraykarm me lag gaye. Nashe me talli ho kar piye. Nashe me dhut, kab teeno Asif ke ghar ludhke pata nahi. Subah sab se pahle Riaz ki aankhen khuli aur pass me ek paper ka tukda feka hua tha. Riaz ne usse uthaya, aur padhna shuru kiya...

"Raat ke tumhare kaarname masaallah. Jab tak main na kahun apni shakl mat dikhana. Abhi poora parivar hi gusse me hai. Main, Nirali ke sath mil kar mamla settle karti hun, lekin tab tak please koi bewakoofi mat karna"…

Kagaj ke tookde par likhe shabdon ko padhne ke baad Riaz gala faad'kar chillane laga. Asif aur Vyas dono harbadi me uthe. Riaz dono ko letter dete.… "Jaanat ne aisa likha hai. Chal uth pata karte hain kaun ladka hai... Kaat dalenge sale ko"…

Vyas:- Chutiya, pahle samjh to lene de ki masla kya hai?

Asif:- Harami gala faad ke utha diya. Ab kya wahan sab ke bich Jannat se puchhne jaun kaun ladka hai. Confidence se likhi hai meri bahan ne ki Nirali ke sath mamla settle kar ke bulayegi... Matlab koi achha ladka hi hoga... Kyon Vyas..

Vyas:- Haan aur nahi to kya? Ho sakta hai kal raat wo yahan milne aaya ho aur sab abhi Jannat ki class le rahe ho... Fatafat chal, warna bechari ko sab thappad na laga de…

Teeno aede, dimag se paidal, bhagte huye teeno Master sahab ke yahan pahunche. Yahan to poori panchayat lagi hui thi. Asqa, uske pita Muzib Khan. Uske sath Asqa ke 3 bhai jisme Dansih bhi tha aur uske sar par pattiyan bandhi thi.

Kuchh aur jaane pahchane abhibhavkon ke chehre. Un abhibhavkon ke sath unke sabhi bachhe jinme kuchh toote-foote bhi the. Teeno jitni harbadi me pahunche the, ghar ki boundry se ander ka mahol dekh kar uss se jyada hairan the. Teeno boundry ke pass hi ruk kar...

Riaz:- Abe ye danga subah hua kya? Asif tere sala (Danish) aur uske panter ko kisne phoda hai?

Vyas:- Kuchh bhi samjh me nahi aa raha. Jannat se jo ladka milne aaya tha kahin wo Danish ki gali ka to nahi re Asif?

Asif:- Pata nahi… ho sakta hai. Mohalle me kisi ne pahchan liya ho aur Mashroof bhai (mohalle ka ek aadmi) ko bol diya ho. Gali vs Gali civil war to nahi ho gayi...

Riaz:- Abe to dusra paksh kahan hai…

Vyas:- Mc kahin nashe ka apna lafda to nahi hai... Kal raat ye sab harami bhi to the udhar.

Riaz:- Lag gaye apne. Nashediyon kal to Jannat, Nirali ke sath yahin iss ghar par hi hogi na, chachi (Asif ki maa) to apne mayke gayi thi. Yahan ka mamla dekh kar Jannat ne kisi ke hath sandesh bhijwa di hogi...

Asif:- Ho sakta hai. Pandit ji ne Jannat ya Nirali me se kisi ko uss ghar (Asif me ghar) jane hi na diya ho.

Riaz miyan ulte mud kar idhar-udhar dekhne lage, Asif aur Vyas ek dusre ka muh dekhte... "Ye harami apni jaldbaji me kisi din lamba le doobega. Mc pichhe kya muda hai... Batayega raat ka kuchh yaad hai ki nahi..."

Riaz:- Main dusra khamba le kar aaya tha bus utna hi yaad hai...

Asif aur Vyas dono ek dusre ka muh dekh kar jaan'ne ki kosis kar rahe hon, tujhe kuchh yaad hai ki nahi... Aur fir dono ne sath me "naa" me sar hila liya...

Sab hall ke ander panchayat kar rahe the isliye sab ka dhyan hall me hi tha… Asif, dono ko ishare me chuchap khiskane kaha. Teeno dabe paun nikal hi rahe the ki boundry ke aage 30-40 ldake khade... Asif aur Vyas dono apna muh chhipate... "Mc issi ki kami rah gayi thi. Ye sale harami aane se pahle call na kiye"…

Riaz:- Phone nahi hai..

Vyas aur Asif ek sath.… "Kya???"

Riaz:- Mc jeb check kar na.. kya-kya, kya kar raha hai?

Idhar jabtak launde ki poori bhid dhime-dhime Vyas aur Asif se baat karne lage. Bhid ko dekh kar Master sahab tamatmaye bahar nikle... Aur teeno ke upar pahle bhar pet chhadi barsa diye. Chhadi barsane ke baad... "Tum sab yahan kya kar rahe ho?"..

"Aise daant kyon rahe hain sir. Vyas aur Asif ko doctor bana diye aur hume bataya tak nahi. Ek bhoj to banta hai"… .

Pandit ji:- Chup chap nikal lo warna ek tarf se jab dande padne shuru honge to aaj koi kaam na aayega... (Aur idhar teeno ko ghurte) .. Ander aao...

Jannat aur Nirali apne kamre se bahar ka najara dekh rahi thi. Teeno ka first look dekhte hi... "Ye teeno na sudharne wale hai. Yahan aane se pahle apna huliya to dekh lete" …

Raat me talli ho kar pina. Pi kar maar karna aur subah uth kar jo pahle look milta hai bewre ka.. kapde gande, baal ajib se. Muh aur sharir se baas aati hui.. yahi first look dekh kar Nirali apna sar pit'te huye Jannat se kahi...

Jannat:- Aaj teeno ki khair nahi...

Idhar bahar hall me panchayat shuru. Mamla pata chala ki raat me talli ho kar Asif aur uske doston ne mil kar Danish aur uske doston ko peeta hai. Asif ki ammi ye sunte hi apne bete ko 4-5 thappad laga di. Gussa hona to lazmi tha. Jisne jawani me apni pati ko khoya, beta bhi ussi maar-pit wale raste par chale tab uss maa par kya bitegi.

Vyas, Asif ki ammi ko aaram se apni maa ke pass bithate… "Thodi si galat fehmi ho gayi thi. Kal raat Dansih aur uske doston ko koi maar raha tha, humne to kewal bachaya tha. Yadi maar humare sath hui hoti to chot hume bhi lagti na."

Kahani me palti. Danish aur uske dost chillte huye kahne lage.... "20-25 nikamme ek sath the aur hum 5 log maatr"

Tabhi Vyas ne Dansih ko ek minute sath chalne ke liye kahne laga... Dono bahar boundry tak aaye. Vyas, Danish ko ghurte... "Abhi sab ko bata dun na ki kal raat tu piye me apni hi bhabhi ka naam le raha tha, to teri bahan bhi yahin hain, tere abba bhi aur tera manjhla bhai, manjhli bhabhi sab. Shayad tum mujhe jhoota kah do, lekin tune jo harkat apni bhabhi ke sath ki thi aur tere bhai ne jo tujhe sut diya tha, wo dono meri baat ka jaroor yakin karenge. Fir soch le main tere bhai aur bhabhi ko yahan boundry tak launga, aur samjhaunga ki tu apne 5 doston ke sath ussi ka naam le kar kya plan kar raha tha. Aapas ki ladai ko ghar tak na laya kar chutiye warna gaand faad dunga agli baar harami. Ab chal hans aur jyada hoshiyari na kar."

Dono hanste huye ander aaye. Danish ne sab se maafi maangte huye Vyas ki baat par hami bhar diya.... Bola raat me andhere me pata nahi chala. Mujhe laga Vyas aur Asif maar raha hai jabki wo to hume bacha raha tha.

Danish ke abbu ne wahin 4 khadi khoti suna kar sab ko wapas le kar gaye. Haan ek mukadma me to teeno bach gaye, lekin jaise hi apni haalat se bach kar bhagne ko huye... Pandit ji ki robdar awaj gunji. Bhar pet bejjti ka silsila shuru hua unke huliye ke liye. Fir daru pine ke liye Pandit ji ne jaise apna hath uthaye... Alka mishra apne pati ko rokti... "Pandit ji nahi"..

Pandit ji:- Kya hai abhi.. bina maare akl na aayegi inko..

Alka:- Maaro na Pandit ji, par hath se mat maro. Aapke hath me chot lag jayegi...

Nirali, apne kamre me sab sun rahi thi... Chidh kar Jannat se kahne lagi… "Iski to, apne pati par bada maya aa raha hai."

Jannat:- Bol kar aaun kya..

Nirali:- Kamini comedy kar rahi hai... Yahin rah warna kisi na kisi bahane hume bhi thappad chipak jayega... Unka to maar khana tay hi hai. Kam se kam hum to bache rahe…

Jannat:- Aree yaar lekin in three idiots ke pass note chhod kar aayi thi. Yahan aaye hi kyun abhi. Aur aaye bhi to kaise, bhangaar ban kar pahunch gaye...

Nirali:- Wo ghonchu jo hai Riaz inke sath. Uske sath rah kar ye dono bhi mand buddhi hote ja rahe hain…

Jannat:- Bahar dekh bahar..

Idhar jab tak danda mil chuka tha master sahab ko. Pith par teeno ke danda ke chhap ukahrne ke baad… "Nirali, Nirali.."

Nirali:- Haan baba…

Pandit ji:- Ja pados se kirayedar ko bula la. Humare ilake me dange ho rahe hain dange...

Vyas, Asif aur Riaz teeno ek dusre ka muh dekhne lage… tabhi Riaz roni si soorat banate... "Tera baap kya har point par pitne wala hai."

Vyas aur Asif ek sath... "Chinta mat kar ab pitai na hogi00,".

Kuchh hi der me Meera apne bhai ke sath pahunchi aur master sahab unse raat ki ghatna puchhne lage…. Harihar kaka poori gahtna ko mirch masala laga kar kah gye. Sab ka dhyan chal rahe mahol par aur Riaz miyan ke nain kahin aur thehar gaye…

Pandit ji chilla rahe the, tabhi unki najar Riaz ki najar ka pichha kee... Ek jhannatedar thappad... "Kahan dekh raha tha"

Tabhi bakiyon ka dhyan bhi Riaz par gaya. Asif aur Vyas usse dekhte dhime se... "Thuuu" kar diye. Baharhaal jaisa ki Vyas aur Asif ne andaja lagaya tha, waisa hi ho raha tha. Teeno ko scooter chalane wale pose me sadak kinare khade hone ki saja mil gayi.

Jo bhi aa rahe the teeno ko dekh kar hanste huye ja rahe the. Kuchh der baad Meera apne bhai ke sath taiyar ho kar bahar aayi. Nikku ander pandit ji se milne chal diya. Meera bahar nikal kar aayi aur teeno scooter pose me khade dekh'kar… "Hello three idiots.. teeno achhe lag rahe ho"

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-34

Riaz:- Hello miss, apna parichay na diya...

Meera apna mobile nikal kar teeno ka video banati... "Parichay aur tumhe. Shukr karo makan malik ke pahchan ke ho warna aankhen nikal kar gotiyan khelti. Chal lukkhe face jarra smiley rakhna video bana rahi hun. Waise kal raat tum teeno kutte ki tarah uss ladke ko pit kyon rahe the"

Asif, Riaz ko ghurte.… "Ae ladki dhang se baat karo"..

Meera, Video banane me lin... "Hat bevre.."

Vyas:- Suno ladki, yahan padhne aayi ho to chup chap padhai me dhyan lagao. Chalo bhago yahan se...

Meera:- Silien ho kar chup-chap saja kato. Waise bhrummm bhrummm sound effect doge to mere video me char chand lag jayenge...

Aage kisi se Meera kuchh kahti uss se pahle hi Pandit ji bahar aa gaye aur Meera ko kuchh der rok kar Asif aur Vyas ko taiyar hone ke liye bhej diye. Wahin Riaz ko ghar ja kar taiyar hone aur wapas aa kar milne ke liye kah diye.

Meera ko Vyas aur Asif poore din shopping karwate rahne ka jimma mila, wahin Riaz ko aaj Pandit ji ne pakada tha. Ladke ko aaj salikha aur sistachar par poori class le liye Pandit ji ne. Ek taraf Vyas aur Asif ko Nikku se kahna pad gaya... "Bhai kaise jhelte ho isse"…

Nikku:- 5 sal yahan tum logon ki padosi hai.. aadat pad jayegi...

Shopping mall ke ander har product par mol bhav par utaru thi Meera. Kayi saman ke bill ban'ne ke baad wapas kar di thi. Eklauta wo apni scooty ko chhod kar aisa kaun sa product nahi tha jis par usne bargen na kiya ho. 5 rupye ke saman ko bhi mol bhav kar ke usse 2 rupye me chahiye tha.

Vyas, Asif aur Riaz aaj pahli baar zindgi me itna mentally tourcher huye the. Raat ko 8 baje teeno dost nukkad par pahunche. Ek poori raat ki ladai dimag se bahar thi, wahi pata karne aaye the. Kafi chaukane wale tathya samne the. Vyas aur Asif ko lag raha tha ki kal raat Danish ne fir se Jannat ya Nirali ka naam liya hoga aur maar issi wajah se hui hogi, lekin mamla to Huma ka tha. Dono hi paksh Huma ke naam se ladai kar rahe the.

Danish ke paksh se koi aisa nahi tha jo Huma aur Vyas ke bare me janta ho, siway Asqa ke. Anth me teeno ne yahi samiksha kiya.… "Ho sakta hai nashe ki haalat me Asif aur Riaz ne mazak me Huma ke kisse ko ek baar fir chheda ho, aur Danish aur uske doston ne baat aage badhane ke khyal se baat ko pakad liya ho"…

Anth me baat fir itni hi nikli, kacchi umr ki baat ko jyada tavojjo na hi diya jaye to jyada achha hai. Baat ko ignore karna hi jyada behtar hoga. Sabhi kadiyan milne ke baad teeno thode sukoon me aaye. Jaise hi sukoon me pahunche fir baat subah ki chhid gayi.

Aaj Vyas aur Asif ne Riaz ko sidha kah hi diya... "Tere ladki tadne ki harkat ghar tak pahunchti hai. Kisi bhi samaj me ye galat hai. Kal se tu humare sath mat dikhna"… Vyas aur Asif ki baat Riaz ko kuchh jyada hi chubh gayi..

Haalanki Asif aur Vyas dono ko pata tha ki iske ghurne aur aawara ke ghurne me jamin aasman ka anter hota hai. Ye bus khubsurat chehre ke pichhe aakarshit hota hai, iss se jyada kuchh nahi. Lekin ye kuchh nahi ki aadat ab bahut jyada pareshan karne lagi thi jis vajah se Vyas aur Asif ko kahna pad gaya.

Riaz ne wada kiya ki ab wo kisi ko bhi ghurega nahi. Jin se baat hogi aur jo ladki uske flirt ko casual le, ussi se flirt karega aur ghar kya ab kisi bhi jagah par kisi ko ghurne ki koisis na hogi, siway Meera ke jo usse pasand aa gayi hai...

Vyas aur Asif uski baat par hanste huye.… 291 ke baad ye ek aur ladki tujhe pasand aa gayi hai...

Riaz bhi hanste huye kahne laga.… "Ye bahut chulbuli hai, mujhe pasand aayi"…

Meera ke bare me prashansha sun kar Vyas aur Asif ek dusre ka muh dekhte.… "Haan kuchh jyada chulbuli hai beta. Kahan kahan se tere bulbule nikalegi pata na chalega"… Teeno hanste huye wapas se sadak par udham chaukdi machate ghar ko nikle.

Meera ke liye pahla din tha Lucknow me. Vyas aur Asif ke sath wo subah hi shopping ke liye nikli thi. Poora khandan hi uske sath tha. Pahle home decoration ka saman karida gaya aur Harihar kaka aur Soni kaki ke sath wo sara saman 12 baje tak ghar pahunch gaya tha.

Fir idhar shuru hui chhote bade saman ki kharidari jise 5 baje tak Asif ne ghar tak pahunchaya. Asif bada khush tha jaise hi usse iss brain tourcher session se chhutkara mila. Sabse aakhri shaam ke 7 baje tak fase rahe Nikku bhai sahab aur Vyas. Dono ne mil kar 12 ice-cream back to back khaya tha khud ko thanda rakhne ke liye. Ye shopping ke badle disaster kah le to jyada sahi tha.

Baharhaal Meera 7 baje tak wapas laut aayi. Aate hi sidha Pandit ji ke ghar hi gayi. Wo Vyas aur Asif ko thanks kahne aayi thi lekin wo dono to wahan the hi nahi. Nirali apne kamre se bahar nikal kar Meera ko attend karti… "Aao Meera baitho na. Chay logi ya coffee"..

Meera:- Chay agar mil jaye to. Wo bhi thodi kadak...

Nirali:- Haan kyon nahi.. Maa, Meera aayi hai, 2 cup chay bana do na...

Alka apne kamre se hi... "Tere hath me menhdi lagi hai ya paun toot gaye jo 2 cup chay ke liye mujhe kah rahi hai"…

Nirali, chhota sa muh banati, Meera ka chehra dekhti... "Maa aise hi bol deti hai. Tum ruko main chay bana kar le aati hun"…

Meera:- Rahne do Nirali. Waise maine tumhe distrub to nahi kiya na?

Nirali:- Haan thoda sa. Abhi kuchh question paper solve kar rahi thi. Lekin koi baat nahi. Itna distrub to chalta hai...

Meera:- Thank you so much.. waise kis chij ki taiyari kar rahi ho...

Nirali:- Civil preparation kar rahi hun.

Meera:- Quite impressive. Tabhi main kahun tum aur tumhari dost poore din kitab me kyon ghusi rahti ho...

Nirali:- Nahi poora din kahan ghuse rahte hain. Main aur Jannat poore din sath hote hain to bahut se masti mazak to aise ho jate hain padhai ke dauran. Fir waqt ka pata hi nahi chalta…

Meera:- Bechare...

Nirali:- Kaun bechare...

Meera:- Tum 2 hot ke pichhe jo ladka apne sapne sanjoye honge, unhe bechare kah rahi..

Nirali:- Ye ladke aur bechare... Tum kya bahar ki duniya me kabhi rahi hi nahi kya? Koi bechara nahi hota. 4 din try karne ke baad decide ho jata hai ki naah ye nahi, chal kisi aur par try karte hain...

Meera:- Tumhe bada anubhav hai ladkon ka.... tum par kitno ne try kiya…

Nirali:- Chhodo tum bhi kya le kar baith gayi. Humare batch ki average ladki ki ginti me main aur Jannat aate the. Hushn-pariyan itni thi ki hum par kisi ki najar hi nahi jati, sara competition udhar hi tha…

Meera:- Ye sab tumhari maa ka kamal hoga. Jo tumhe dhang se taiyar na hone deti hogi... Warna dono to katilana waise hi ho.

Nirali:- Kya hum kuchh aur baat kar sakte hain..

Meera:- Haan kyun nahi. Lekin pahle ye pakdo...

Meera bada sa 2-3 thaili pakdati hui kahne lagi. Nirali un pakets ko hairani se dekhti... "Kya hai isme?"…

Meera:- Mere kuchh armaan. Vyas aur uske doston ne jo meri help ki uske liye ek chhota sa tohfa. Aur haan tum dono dost ke liye bhi kuchh hai.

Nirali:- Meera please isse le jao...

Meera:- Main nahi le sakti. Ye aisa, wo aisa bol kar yadi wapas karne ki kosis ki na to tumhare ghar me ek jhoot bol dungi... "Raste se kisi ladke ne jabardasti mujhe rok kar ye sab diya hai. Sath me sandesh bhi diya uss ladke ne... College ke pichhe ka maza ek baar aur hona chahiye... Ab mujhe to samjh me nahi aaya ye sandesh, usne kahne bola isliye kah rahi.".. Itni si baat mujhe sab ke bich to kahni hai..

Nirali apni badi si aankhen kiye... "Tum mazak kar rahi ho na"..

Meera:- Ek baar wapas kar ke dekho mera gift. Mere sine me aag lagegi to main kya tumhe chain se sone dungi... Aag laga kar main bhi 6 mahine ke liye yahan se gayab.

Nirali:- Tum mujhe dara kar apna parichay dena chah rahi ho ya tumhara parichay hi itna khatarnak hai...

Meera:- Jaisa bhi parichay hai lekin tum se kam hi khatanak hoga Nirali, mujhe aisa lagta hai... Hum dono ko pata hai wo mahaj mazak tha. Please rakh lo main bahut pyar se le kar aayi hun..

Nirali, Meera ko aankh maarti... "Lagta hai apni khub jamne wali hai Meera. Kyon na jab tak tumhari class shuru hoti hai, day time humare sath gujaro...

Meera:- Bus bhagana mat... Kal se milte hain...

Nirali:- Bus tum bhagna mat. Yahan mere sath matlab meri maa ki beti. Aur unko to sun hi chuki ho. Fir wo Nirali, Jannat ya Meera me koi anter nahi karengi...

Meera:- Maza aayega fir to...

Idhar, canteen me uss helerious ghatna ke baad Sia, Lucknow se Mumbai, Diksha ke pass nikal gayi thi. Diksha ki shadi me wahi takriban 10 din bache huye the. Shadi me 6 din pahle jab Diksha, apni maa Lata Mishra ke sath Mount Abu ke liye nikli, Ussi din Mishra ji, Sia ke sath Som ki bike kharidne bhi gaye the.

Wahan mahol tab funny ho gaya jab Sia jid par utar gayi ki wo Lucknow Som ki nayi bike se drive karti jayegi. Lucknow pahunch kar wo bike ko Mount Abu bhijwa degi. Mishra ji sadme me chale gaye. Unhe Diksha ki shadi me bhi jana tha aur Sia ko na to akele bike se jane de sakte the aur na hi uske bike ke pichhe kisi ko bitha kar bhej dete.

4-5 ghante tak dono baap beti me jung si chhidi hui thi. Sia bhi drame extand karti jamin par hi naak muh fula kar baith gayi. Mishra ji ne kya nahi pralobhan diya. Muh khol kar bol de beta kya chahiye. Sia hati, har pralobhan ka jawab naa me hi de rahi thi.

Anth me fir Sia nakiyati hui kahne lagi.. "khali bete ko hi dila do bike. Ye bhi nahi dikh raha ki beti cycle se college jati hai". Sia ki baat sun kar Mishra ji bhi chidh gaye. Unhone car ke bare me puchha. Sia fir se thunakti hui kahne lagi, "Car se nahi achha lagta college jana". Mishra ji ki jarra bhi ikchha na thi ki Sia bike se college jaye.

Kuchh din pahle bhi aisa hi natak hua tha. Sia, England se sidha Mishra ji ke pass hi pahunchi thi. Jab Sia ke Lucknow jane ki taiyari ho rahi thi aur Sia ne apni ikchha jatayi ki wo Lucknow me hi apne liye bike kharid legi. Mishra ji ke kaan khade, unhone bade pyar se aur emotionally Sia ko raji kiya ki wo apni pasand se yahin uske liye kharidna chahte hain aur Sia maan gayi.

Jaise hi Sia maani, Mishra ji scooty par arr gaye. Sia bike-bike chillati rahi aur Mishra ji scooty ki rat lagaye thi. Baat jab nahi maane Mishra ji tab Sia muh fula kar baat karna band. Mishra ji ko laga beti ruth gayi to Volkswagen Beetle ki orange colour ki car utha laye.

Car dekh kar Sia iss kadar bhadki ki wo ja kar Mishra ji aur Diksha ke car ka sisa phod aayi aur kah dee badle me uski nayi car rakh lo. Usse bike hi chahiye thi. Wo to bich me Lata Mishra ne madhyatha ki tab ja kar wo car ke liye raji hui. Raji to hui lekin ab car se drive kar ke Lucknow jayegi. Ye ek aur naya drama.

Lagbhag 1300-1400 km ki driving. Badi muskil se to car ke liye raji hui thi. Fir baat uthi ki hum teeno (Mr & Mrs Mishra aur Diksha) bhi drop karne chalte hain. Sia saaf manaa kar dee. "Uske pasand ki bike nahi aayi isliye wo test drive me car akele chala kar le jayegi. Kisi ko sath aana tha to meri pasand ki bike dilate. Fir main pichhe bitha kar poora Hindustan ghumati."

Diksha aur Lata Mishra hans-hans kar lot pot aur in dono (Sia aur Kapendra Mishra) ki bahas khatm hone ka naam hi nahi le rahe the. Jid me jit Sia ki hi hui. Sia ke nikalne se pahle Mishra ji ne apne chhote sale ko call lagaya tha. Wo bhi apne jija ke maze lete phone ko Gajendra Mishra yani ki Mishra ji ke sasur ke pass speaker par daal diya. Gajendra Mishra ki nawasi Lucknow aa rahi thi, wo bhi akeli car drive kar ke. Pahle to apne jamai ko 4 baat suna diye... "Bacchi hai kuchh bhi jid karegi iska kya matlab, nalayak jarra bhi jimmedari ka ehsas nahi. Uske baad to MP se le kar UP tak alag-alag jagah se alag-alag gadi express Highway par kuchh dur tak Sia ke sath hoti. Der raat jab Gajendra Mishra ke pass call gaya ki Sia Nirbhay ke sath hai tab ja kar unhone Kapendra Mishra ko char baat suna kar suchna diye aur Gorakhpur apne niwas sthan me sukoon se so gaye.

Mishra ji ke jahan se 15-20 din pahle ke drame khatm nahi huye the, issi bich, Sia fir se bike ki jid kar baithi. Mishra ji ko samjh me aa gaya ki kahin unhone iss baar bhi jabardasti kar diye to Sia, Som ki bike le kar bhag jayegi. Haar kar anth me unhone Sia ke liye bike dila to diye lekin ab Mishra ji ke drame shuru. Mishra ji ke drame shuru huye to Sia ki comedy. Mishra ji ka fula muh kab pichka aur gusse se bhade chehre par kab hansi asyi unhe bhi pata nahi chala.

Mishra ji ek bike Lucknow aur dusri bike Mount Abu ke resort tak delivery ka jimma shaunp kar Sia ko drop karne khud Lucknow tak aaye aur fir Sia ko drop karte Mount Abu Nikal gaye.

Diksha ki shadi ka din aur Lucknow me kayi sari ghatnayen ho rahi thi. Deeksha ke shadi ki raat hi Meera Lucknow pahunchi thi. Meera pahunchi to thi apne ek priya mitr Neeraj ke kahne par, lekin na to Neeraj aur na hi Meera ko pata tha ki Sia bhi Lucknow me hai. Jabki dono ke most favourite senior Sia thi aur Sia ke liye Meera ke doston ka group sweeto tha. Sia pyar se unhe pukarti thi.

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
 
Indrajeet

Active Member
814
1,572
138
Kayi log kahte hain ki mujhe revoo likhna nahi aata... Areee mere bhai aur khubsurat mahila mitron... Review mat do na ... Bus padhne ke baad jo feel kiya wo likh jao...

Jaise behad lajij khana khane ke baad ye thode na kahne jate ho pahle.... "Bhai khane ko jo tumne 40⁰ celcius par pakate huye jo Alana Falana aur chiplane masale ko bilkul Napa tula diya .. so on kahte chale gaye"... Aisa kaha hai kya kisi ne... Bus kahani par vichar dena bhi waisa hi hai... Jo feel kiya wo likhiye na.. jaroori nahi ki poori vidhi ki charcha ki jaye ... Aur fir hichkichate raho ki kaise likh dun revoo
Jii saaab jii ab aap ko is tuchh prani pe taras aa gya ho to update de dijiye story band karne ki khabar se mai to xf chhodne wala tha ....khair manane walo bada dum dikhaya ab man gye h to thoda prasad bhi bat do ....aur bhi datna ya samjhana ho wo update ke baad kar lena bhai ...mai pura padhunga aur mujhe koi baat mere liye h to reply bhi karega mai us pe:)
 
mohit98075

Well-Known Member
3,263
1,791
159

Nice update:D waiting for next
 
nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Jii saaab jii ab aap ko is tuchh prani pe taras aa gya ho to update de dijiye story band karne ki khabar se mai to xf chhodne wala tha ....khair manane walo bada dum dikhaya ab man gye h to thoda prasad bhi bat do ....aur bhi datna ya samjhana ho wo update ke baad kar lena bhai ...mai pura padhunga aur mujhe koi baat mere liye h to reply bhi karega mai us pe:)
Aap ke peshe-e-khidmat me 2 update aap ke post ke upar hain jaanh-panaah...
 
Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,679
174
Kayi log kahte hain ki mujhe revoo likhna nahi aata... Areee mere bhai aur khubsurat mahila mitron... Review mat do na ... Bus padhne ke baad jo feel kiya wo likh jao...

Jaise behad lajij khana khane ke baad ye thode na kahne jate ho pahle.... "Bhai khane ko jo tumne 40⁰ celcius par pakate huye jo Alana Falana aur chiplane masale ko bilkul Napa tula diya .. so on kahte chale gaye"... Aisa kaha hai kya kisi ne... Bus kahani par vichar dena bhi waisa hi hai... Jo feel kiya wo likhiye na.. jaroori nahi ki poori vidhi ki charcha ki jaye ... Aur fir hichkichate raho ki kaise likh dun revoo
I agree with that...
 
Indrajeet

Active Member
814
1,572
138
Dhanyawad 🙏......aur ab aate h revo pe..bhai ye meera bhi usi boarding school ki nikli.....sala ab kahi aisa na ho ki ye som ki pahle se diwani ho....khair jo bhi ho ...ye story itni touching ho jayegi mere liye socha na tha ....jitna meera ka character samne aa rha sala wo purana dil ka dard badhta ja rha...khair chhodiye sala mai hu hi emotional ......:nocomment:......okk agle update me milte h...aur ha kal chutti na mariyo ...bhabhi ko bolna date jalti khatm kare

Aap ke peshe-e-khidmat me 2 update aap ke post ke upar hain jaanh-panaah...
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
47,478
64,414
304
तैतीसवाँ भाग
बहुत ही जबरदस्त महोदय,
तो मीरा व्यास की किराएदार थी, जो उसके यहां पर रहने के लिए आ रही थी, लेकिन तीनों खुराफाती दोस्तों ने उसे झूठ बोलकर होटल में रुकने के लिए बोल दिया। तीनों ने जमकर शराब की पार्टी की और सो गए। सुबह रियाज़ को एक पत्र मिला जो जन्नत ने उन्हें पंडित जी से बचाने के लिए लिखा था, लेकिन तीनों ठहरे मूढ़ बुद्धि। उन्होंने कुछ दूसरा मतलब निकाल लिया।।
व्यास के घर जाने पर पता चला कि दानिश अपने दोस्तों के साथ आया है उसकी शिकायत लेकर, पर व्यास ने दानिश को अच्छे से समझा दिया। दानिश अपनी ही भाभी पर बुरी नजर रखता है। क्या होता जा रहा है आज कल के समाज को। बहू बेटियां घर मे ही सुरक्षित नहीं हैं। दानिश क्षमा मांगकर चला जाता है तो पंडित जी तीनों की अच्छी खातिरदारी करते हैं डंडे से। जिसमे पंडिताइन भी पंडित जी का पूरा साथ देती हैं। सज़ा फिर घर से बाहर खड़ा करके देते हैं पंडित जी।
 
Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,030
173
Update:-33

"Hasrat nahi thi kabhi aur naa hi kabhi sapno me bhi socha tha ki main kabhi yahan bhi ho sakti hun. Jis sahar ka naam kewal rajya aur rajdhani me rati thi, aaj wahan khadi hun. Thanks zindgi...".... Apne khyalon ke sath Meera taxi me sawar ho kar apne aage ka safar tay karne nikal padi...

Meera aur uska sara kunwa taxi me sawar chal diye. Taxi ke chalte hi Nikku ne Vyas ko call laga diya. Vyas sham ke 8 baje sandhya dhale aur Rasili baar me jaam chale kraykarm me vyast tha. Chaturvedi ki finence party teeno manaa rahe the.

Issi bich Vyas bhul gaya ki aaj uske yahan koi renter aane wala hai, jise wahin nukkad ki chay dukan se receive kar ke colony tak le kar aana tha. Teeno teesra peg utha rahe the jab Nikku ka call aa gaya Vyas ke pass.

Vyas call ko dekhte... "Areee yaar isko kaise bhool gaya"..

Aisf, aur Riaz ek sath... "Kaun hai?"

Vyas:- Baba ne dusre ghar ko kiraye par laga diya hai... Wahi renter ka phone aa raha hai..

Riaz:- Matster sahab bhi na. Kab tak aise ruthe rahenge. Batao aaj wo ghar bhi kiraya laga diya..

(Pandit ji ke paitrik sampatti ke ek hisse me bada sa ghar bana hua tha, jisme 2 kamre aur ek bahut bada hall tha. Pandit Ram Swaroop Shashtri aur unki patni Alka Shastri dono yahan padhaate the. Kayi garib students ka wo ghar hua karta tha. 3 sal huye the wahan se ye sab band kiye. Pahle kabhi kiraye ka soche nahi shayad wo bhi padhane ki ikchha rakhte ho. Lekin ghar ki jarooraton ne aise faisle lene par dono dampatti ko majboor kiya tha. Beta professional course karne ja raha tha paise na bhi maange to bhi jarooraten hoti hi hain. 14k kam amonut nahi hote.)

Asif:- Itni panchayat kyon. Abhi Master sahab ruthe hain, isliye unhe samjh me nahi aa raha. Wo nahi padhayenge to hum wahan class shuru kar sakte hain. Bhaga de unko Vyas..

Vyas:- Haan ye sahi hai... Commercially develope kar sakte hain… Medical entrance preparation ki class wahan shuru kee ja sakti hai...

Asif aur Riaz:- Haan sahi bola...

Teeno apni yojna bana rahe the ussi bich 2 baar poori ghanti baj kar teesra call aaya. Vyas phone uthate... "Haaluuuu"

Harihar kaka:- Beta main Harihar kaka bol raha hun. Tumhe batane ke liye phone kiya tha ki hum station se nikal gaye hain...

Vyas:- Are kaka, kaahe marne aa rahe ho... Wahin kahin hotel me ruk jao. Yahan dange shuru ho gaye hain…

Harihar kaka chaunkte huye.… "Kya????"

Vyas:- Ae pagal samjh me nahi aata kya. Iss ilake me ye aam baat hai. Subah sab sahi ho jayega, fir aana. Warna pata chala jis taxi se aa rahe wo taxi sahit aag laga denge...

Call disconnect aur teeno hanste huye apne kraykarm me lag gaye. Nashe me talli ho kar piye. Nashe me dhut, kab teeno Asif ke ghar ludhke pata nahi. Subah sab se pahle Riaz ki aankhen khuli aur pass me ek paper ka tukda feka hua tha. Riaz ne usse uthaya, aur padhna shuru kiya...

"Raat ke tumhare kaarname masaallah. Jab tak main na kahun apni shakl mat dikhana. Abhi poora parivar hi gusse me hai. Main, Nirali ke sath mil kar mamla settle karti hun, lekin tab tak please koi bewakoofi mat karna"…

Kagaj ke tookde par likhe shabdon ko padhne ke baad Riaz gala faad'kar chillane laga. Asif aur Vyas dono harbadi me uthe. Riaz dono ko letter dete.… "Jaanat ne aisa likha hai. Chal uth pata karte hain kaun ladka hai... Kaat dalenge sale ko"…

Vyas:- Chutiya, pahle samjh to lene de ki masla kya hai?

Asif:- Harami gala faad ke utha diya. Ab kya wahan sab ke bich Jannat se puchhne jaun kaun ladka hai. Confidence se likhi hai meri bahan ne ki Nirali ke sath mamla settle kar ke bulayegi... Matlab koi achha ladka hi hoga... Kyon Vyas..

Vyas:- Haan aur nahi to kya? Ho sakta hai kal raat wo yahan milne aaya ho aur sab abhi Jannat ki class le rahe ho... Fatafat chal, warna bechari ko sab thappad na laga de…

Teeno aede, dimag se paidal, bhagte huye teeno Master sahab ke yahan pahunche. Yahan to poori panchayat lagi hui thi. Asqa, uske pita Muzib Khan. Uske sath Asqa ke 3 bhai jisme Dansih bhi tha aur uske sar par pattiyan bandhi thi.

Kuchh aur jaane pahchane abhibhavkon ke chehre. Un abhibhavkon ke sath unke sabhi bachhe jinme kuchh toote-foote bhi the. Teeno jitni harbadi me pahunche the, ghar ki boundry se ander ka mahol dekh kar uss se jyada hairan the. Teeno boundry ke pass hi ruk kar...

Riaz:- Abe ye danga subah hua kya? Asif tere sala (Danish) aur uske panter ko kisne phoda hai?

Vyas:- Kuchh bhi samjh me nahi aa raha. Jannat se jo ladka milne aaya tha kahin wo Danish ki gali ka to nahi re Asif?

Asif:- Pata nahi… ho sakta hai. Mohalle me kisi ne pahchan liya ho aur Mashroof bhai (mohalle ka ek aadmi) ko bol diya ho. Gali vs Gali civil war to nahi ho gayi...

Riaz:- Abe to dusra paksh kahan hai…

Vyas:- Mc kahin nashe ka apna lafda to nahi hai... Kal raat ye sab harami bhi to the udhar.

Riaz:- Lag gaye apne. Nashediyon kal to Jannat, Nirali ke sath yahin iss ghar par hi hogi na, chachi (Asif ki maa) to apne mayke gayi thi. Yahan ka mamla dekh kar Jannat ne kisi ke hath sandesh bhijwa di hogi...

Asif:- Ho sakta hai. Pandit ji ne Jannat ya Nirali me se kisi ko uss ghar (Asif me ghar) jane hi na diya ho.

Riaz miyan ulte mud kar idhar-udhar dekhne lage, Asif aur Vyas ek dusre ka muh dekhte... "Ye harami apni jaldbaji me kisi din lamba le doobega. Mc pichhe kya muda hai... Batayega raat ka kuchh yaad hai ki nahi..."

Riaz:- Main dusra khamba le kar aaya tha bus utna hi yaad hai...

Asif aur Vyas dono ek dusre ka muh dekh kar jaan'ne ki kosis kar rahe hon, tujhe kuchh yaad hai ki nahi... Aur fir dono ne sath me "naa" me sar hila liya...

Sab hall ke ander panchayat kar rahe the isliye sab ka dhyan hall me hi tha… Asif, dono ko ishare me chuchap khiskane kaha. Teeno dabe paun nikal hi rahe the ki boundry ke aage 30-40 ldake khade... Asif aur Vyas dono apna muh chhipate... "Mc issi ki kami rah gayi thi. Ye sale harami aane se pahle call na kiye"…

Riaz:- Phone nahi hai..

Vyas aur Asif ek sath.… "Kya???"

Riaz:- Mc jeb check kar na.. kya-kya, kya kar raha hai?

Idhar jabtak launde ki poori bhid dhime-dhime Vyas aur Asif se baat karne lage. Bhid ko dekh kar Master sahab tamatmaye bahar nikle... Aur teeno ke upar pahle bhar pet chhadi barsa diye. Chhadi barsane ke baad... "Tum sab yahan kya kar rahe ho?"..

"Aise daant kyon rahe hain sir. Vyas aur Asif ko doctor bana diye aur hume bataya tak nahi. Ek bhoj to banta hai"… .

Pandit ji:- Chup chap nikal lo warna ek tarf se jab dande padne shuru honge to aaj koi kaam na aayega... (Aur idhar teeno ko ghurte) .. Ander aao...

Jannat aur Nirali apne kamre se bahar ka najara dekh rahi thi. Teeno ka first look dekhte hi... "Ye teeno na sudharne wale hai. Yahan aane se pahle apna huliya to dekh lete" …

Raat me talli ho kar pina. Pi kar maar karna aur subah uth kar jo pahle look milta hai bewre ka.. kapde gande, baal ajib se. Muh aur sharir se baas aati hui.. yahi first look dekh kar Nirali apna sar pit'te huye Jannat se kahi...

Jannat:- Aaj teeno ki khair nahi...

Idhar bahar hall me panchayat shuru. Mamla pata chala ki raat me talli ho kar Asif aur uske doston ne mil kar Danish aur uske doston ko peeta hai. Asif ki ammi ye sunte hi apne bete ko 4-5 thappad laga di. Gussa hona to lazmi tha. Jisne jawani me apni pati ko khoya, beta bhi ussi maar-pit wale raste par chale tab uss maa par kya bitegi.

Vyas, Asif ki ammi ko aaram se apni maa ke pass bithate… "Thodi si galat fehmi ho gayi thi. Kal raat Dansih aur uske doston ko koi maar raha tha, humne to kewal bachaya tha. Yadi maar humare sath hui hoti to chot hume bhi lagti na."

Kahani me palti. Danish aur uske dost chillte huye kahne lage.... "20-25 nikamme ek sath the aur hum 5 log maatr"

Tabhi Vyas ne Dansih ko ek minute sath chalne ke liye kahne laga... Dono bahar boundry tak aaye. Vyas, Danish ko ghurte... "Abhi sab ko bata dun na ki kal raat tu piye me apni hi bhabhi ka naam le raha tha, to teri bahan bhi yahin hain, tere abba bhi aur tera manjhla bhai, manjhli bhabhi sab. Shayad tum mujhe jhoota kah do, lekin tune jo harkat apni bhabhi ke sath ki thi aur tere bhai ne jo tujhe sut diya tha, wo dono meri baat ka jaroor yakin karenge. Fir soch le main tere bhai aur bhabhi ko yahan boundry tak launga, aur samjhaunga ki tu apne 5 doston ke sath ussi ka naam le kar kya plan kar raha tha. Aapas ki ladai ko ghar tak na laya kar chutiye warna gaand faad dunga agli baar harami. Ab chal hans aur jyada hoshiyari na kar."

Dono hanste huye ander aaye. Danish ne sab se maafi maangte huye Vyas ki baat par hami bhar diya.... Bola raat me andhere me pata nahi chala. Mujhe laga Vyas aur Asif maar raha hai jabki wo to hume bacha raha tha.

Danish ke abbu ne wahin 4 khadi khoti suna kar sab ko wapas le kar gaye. Haan ek mukadma me to teeno bach gaye, lekin jaise hi apni haalat se bach kar bhagne ko huye... Pandit ji ki robdar awaj gunji. Bhar pet bejjti ka silsila shuru hua unke huliye ke liye. Fir daru pine ke liye Pandit ji ne jaise apna hath uthaye... Alka mishra apne pati ko rokti... "Pandit ji nahi"..

Pandit ji:- Kya hai abhi.. bina maare akl na aayegi inko..

Alka:- Maaro na Pandit ji, par hath se mat maro. Aapke hath me chot lag jayegi...

Nirali, apne kamre me sab sun rahi thi... Chidh kar Jannat se kahne lagi… "Iski to, apne pati par bada maya aa raha hai."

Jannat:- Bol kar aaun kya..

Nirali:- Kamini comedy kar rahi hai... Yahin rah warna kisi na kisi bahane hume bhi thappad chipak jayega... Unka to maar khana tay hi hai. Kam se kam hum to bache rahe…

Jannat:- Aree yaar lekin in three idiots ke pass note chhod kar aayi thi. Yahan aaye hi kyun abhi. Aur aaye bhi to kaise, bhangaar ban kar pahunch gaye...

Nirali:- Wo ghonchu jo hai Riaz inke sath. Uske sath rah kar ye dono bhi mand buddhi hote ja rahe hain…

Jannat:- Bahar dekh bahar..

Idhar jab tak danda mil chuka tha master sahab ko. Pith par teeno ke danda ke chhap ukahrne ke baad… "Nirali, Nirali.."

Nirali:- Haan baba…

Pandit ji:- Ja pados se kirayedar ko bula la. Humare ilake me dange ho rahe hain dange...

Vyas, Asif aur Riaz teeno ek dusre ka muh dekhne lage… tabhi Riaz roni si soorat banate... "Tera baap kya har point par pitne wala hai."

Vyas aur Asif ek sath... "Chinta mat kar ab pitai na hogi00,".

Kuchh hi der me Meera apne bhai ke sath pahunchi aur master sahab unse raat ki ghatna puchhne lage…. Harihar kaka poori gahtna ko mirch masala laga kar kah gye. Sab ka dhyan chal rahe mahol par aur Riaz miyan ke nain kahin aur thehar gaye…

Pandit ji chilla rahe the, tabhi unki najar Riaz ki najar ka pichha kee... Ek jhannatedar thappad... "Kahan dekh raha tha"

Tabhi bakiyon ka dhyan bhi Riaz par gaya. Asif aur Vyas usse dekhte dhime se... "Thuuu" kar diye. Baharhaal jaisa ki Vyas aur Asif ne andaja lagaya tha, waisa hi ho raha tha. Teeno ko scooter chalane wale pose me sadak kinare khade hone ki saja mil gayi.

Jo bhi aa rahe the teeno ko dekh kar hanste huye ja rahe the. Kuchh der baad Meera apne bhai ke sath taiyar ho kar bahar aayi. Nikku ander pandit ji se milne chal diya. Meera bahar nikal kar aayi aur teeno scooter pose me khade dekh'kar… "Hello three idiots.. teeno achhe lag rahe ho"

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Update:-34

Riaz:- Hello miss, apna parichay na diya...

Meera apna mobile nikal kar teeno ka video banati... "Parichay aur tumhe. Shukr karo makan malik ke pahchan ke ho warna aankhen nikal kar gotiyan khelti. Chal lukkhe face jarra smiley rakhna video bana rahi hun. Waise kal raat tum teeno kutte ki tarah uss ladke ko pit kyon rahe the"

Asif, Riaz ko ghurte.… "Ae ladki dhang se baat karo"..

Meera, Video banane me lin... "Hat bevre.."

Vyas:- Suno ladki, yahan padhne aayi ho to chup chap padhai me dhyan lagao. Chalo bhago yahan se...

Meera:- Silien ho kar chup-chap saja kato. Waise bhrummm bhrummm sound effect doge to mere video me char chand lag jayenge...

Aage kisi se Meera kuchh kahti uss se pahle hi Pandit ji bahar aa gaye aur Meera ko kuchh der rok kar Asif aur Vyas ko taiyar hone ke liye bhej diye. Wahin Riaz ko ghar ja kar taiyar hone aur wapas aa kar milne ke liye kah diye.

Meera ko Vyas aur Asif poore din shopping karwate rahne ka jimma mila, wahin Riaz ko aaj Pandit ji ne pakada tha. Ladke ko aaj salikha aur sistachar par poori class le liye Pandit ji ne. Ek taraf Vyas aur Asif ko Nikku se kahna pad gaya... "Bhai kaise jhelte ho isse"…

Nikku:- 5 sal yahan tum logon ki padosi hai.. aadat pad jayegi...

Shopping mall ke ander har product par mol bhav par utaru thi Meera. Kayi saman ke bill ban'ne ke baad wapas kar di thi. Eklauta wo apni scooty ko chhod kar aisa kaun sa product nahi tha jis par usne bargen na kiya ho. 5 rupye ke saman ko bhi mol bhav kar ke usse 2 rupye me chahiye tha.

Vyas, Asif aur Riaz aaj pahli baar zindgi me itna mentally tourcher huye the. Raat ko 8 baje teeno dost nukkad par pahunche. Ek poori raat ki ladai dimag se bahar thi, wahi pata karne aaye the. Kafi chaukane wale tathya samne the. Vyas aur Asif ko lag raha tha ki kal raat Danish ne fir se Jannat ya Nirali ka naam liya hoga aur maar issi wajah se hui hogi, lekin mamla to Huma ka tha. Dono hi paksh Huma ke naam se ladai kar rahe the.

Danish ke paksh se koi aisa nahi tha jo Huma aur Vyas ke bare me janta ho, siway Asqa ke. Anth me teeno ne yahi samiksha kiya.… "Ho sakta hai nashe ki haalat me Asif aur Riaz ne mazak me Huma ke kisse ko ek baar fir chheda ho, aur Danish aur uske doston ne baat aage badhane ke khyal se baat ko pakad liya ho"…

Anth me baat fir itni hi nikli, kacchi umr ki baat ko jyada tavojjo na hi diya jaye to jyada achha hai. Baat ko ignore karna hi jyada behtar hoga. Sabhi kadiyan milne ke baad teeno thode sukoon me aaye. Jaise hi sukoon me pahunche fir baat subah ki chhid gayi.

Aaj Vyas aur Asif ne Riaz ko sidha kah hi diya... "Tere ladki tadne ki harkat ghar tak pahunchti hai. Kisi bhi samaj me ye galat hai. Kal se tu humare sath mat dikhna"… Vyas aur Asif ki baat Riaz ko kuchh jyada hi chubh gayi..

Haalanki Asif aur Vyas dono ko pata tha ki iske ghurne aur aawara ke ghurne me jamin aasman ka anter hota hai. Ye bus khubsurat chehre ke pichhe aakarshit hota hai, iss se jyada kuchh nahi. Lekin ye kuchh nahi ki aadat ab bahut jyada pareshan karne lagi thi jis vajah se Vyas aur Asif ko kahna pad gaya.

Riaz ne wada kiya ki ab wo kisi ko bhi ghurega nahi. Jin se baat hogi aur jo ladki uske flirt ko casual le, ussi se flirt karega aur ghar kya ab kisi bhi jagah par kisi ko ghurne ki koisis na hogi, siway Meera ke jo usse pasand aa gayi hai...

Vyas aur Asif uski baat par hanste huye.… 291 ke baad ye ek aur ladki tujhe pasand aa gayi hai...

Riaz bhi hanste huye kahne laga.… "Ye bahut chulbuli hai, mujhe pasand aayi"…

Meera ke bare me prashansha sun kar Vyas aur Asif ek dusre ka muh dekhte.… "Haan kuchh jyada chulbuli hai beta. Kahan kahan se tere bulbule nikalegi pata na chalega"… Teeno hanste huye wapas se sadak par udham chaukdi machate ghar ko nikle.

Meera ke liye pahla din tha Lucknow me. Vyas aur Asif ke sath wo subah hi shopping ke liye nikli thi. Poora khandan hi uske sath tha. Pahle home decoration ka saman karida gaya aur Harihar kaka aur Soni kaki ke sath wo sara saman 12 baje tak ghar pahunch gaya tha.

Fir idhar shuru hui chhote bade saman ki kharidari jise 5 baje tak Asif ne ghar tak pahunchaya. Asif bada khush tha jaise hi usse iss brain tourcher session se chhutkara mila. Sabse aakhri shaam ke 7 baje tak fase rahe Nikku bhai sahab aur Vyas. Dono ne mil kar 12 ice-cream back to back khaya tha khud ko thanda rakhne ke liye. Ye shopping ke badle disaster kah le to jyada sahi tha.

Baharhaal Meera 7 baje tak wapas laut aayi. Aate hi sidha Pandit ji ke ghar hi gayi. Wo Vyas aur Asif ko thanks kahne aayi thi lekin wo dono to wahan the hi nahi. Nirali apne kamre se bahar nikal kar Meera ko attend karti… "Aao Meera baitho na. Chay logi ya coffee"..

Meera:- Chay agar mil jaye to. Wo bhi thodi kadak...

Nirali:- Haan kyon nahi.. Maa, Meera aayi hai, 2 cup chay bana do na...

Alka apne kamre se hi... "Tere hath me menhdi lagi hai ya paun toot gaye jo 2 cup chay ke liye mujhe kah rahi hai"…

Nirali, chhota sa muh banati, Meera ka chehra dekhti... "Maa aise hi bol deti hai. Tum ruko main chay bana kar le aati hun"…

Meera:- Rahne do Nirali. Waise maine tumhe distrub to nahi kiya na?

Nirali:- Haan thoda sa. Abhi kuchh question paper solve kar rahi thi. Lekin koi baat nahi. Itna distrub to chalta hai...

Meera:- Thank you so much.. waise kis chij ki taiyari kar rahi ho...

Nirali:- Civil preparation kar rahi hun.

Meera:- Quite impressive. Tabhi main kahun tum aur tumhari dost poore din kitab me kyon ghusi rahti ho...

Nirali:- Nahi poora din kahan ghuse rahte hain. Main aur Jannat poore din sath hote hain to bahut se masti mazak to aise ho jate hain padhai ke dauran. Fir waqt ka pata hi nahi chalta…

Meera:- Bechare...

Nirali:- Kaun bechare...

Meera:- Tum 2 hot ke pichhe jo ladka apne sapne sanjoye honge, unhe bechare kah rahi..

Nirali:- Ye ladke aur bechare... Tum kya bahar ki duniya me kabhi rahi hi nahi kya? Koi bechara nahi hota. 4 din try karne ke baad decide ho jata hai ki naah ye nahi, chal kisi aur par try karte hain...

Meera:- Tumhe bada anubhav hai ladkon ka.... tum par kitno ne try kiya…

Nirali:- Chhodo tum bhi kya le kar baith gayi. Humare batch ki average ladki ki ginti me main aur Jannat aate the. Hushn-pariyan itni thi ki hum par kisi ki najar hi nahi jati, sara competition udhar hi tha…

Meera:- Ye sab tumhari maa ka kamal hoga. Jo tumhe dhang se taiyar na hone deti hogi... Warna dono to katilana waise hi ho.

Nirali:- Kya hum kuchh aur baat kar sakte hain..

Meera:- Haan kyun nahi. Lekin pahle ye pakdo...

Meera bada sa 2-3 thaili pakdati hui kahne lagi. Nirali un pakets ko hairani se dekhti... "Kya hai isme?"…

Meera:- Mere kuchh armaan. Vyas aur uske doston ne jo meri help ki uske liye ek chhota sa tohfa. Aur haan tum dono dost ke liye bhi kuchh hai.

Nirali:- Meera please isse le jao...

Meera:- Main nahi le sakti. Ye aisa, wo aisa bol kar yadi wapas karne ki kosis ki na to tumhare ghar me ek jhoot bol dungi... "Raste se kisi ladke ne jabardasti mujhe rok kar ye sab diya hai. Sath me sandesh bhi diya uss ladke ne... College ke pichhe ka maza ek baar aur hona chahiye... Ab mujhe to samjh me nahi aaya ye sandesh, usne kahne bola isliye kah rahi.".. Itni si baat mujhe sab ke bich to kahni hai..

Nirali apni badi si aankhen kiye... "Tum mazak kar rahi ho na"..

Meera:- Ek baar wapas kar ke dekho mera gift. Mere sine me aag lagegi to main kya tumhe chain se sone dungi... Aag laga kar main bhi 6 mahine ke liye yahan se gayab.

Nirali:- Tum mujhe dara kar apna parichay dena chah rahi ho ya tumhara parichay hi itna khatarnak hai...

Meera:- Jaisa bhi parichay hai lekin tum se kam hi khatanak hoga Nirali, mujhe aisa lagta hai... Hum dono ko pata hai wo mahaj mazak tha. Please rakh lo main bahut pyar se le kar aayi hun..

Nirali, Meera ko aankh maarti... "Lagta hai apni khub jamne wali hai Meera. Kyon na jab tak tumhari class shuru hoti hai, day time humare sath gujaro...

Meera:- Bus bhagana mat... Kal se milte hain...

Nirali:- Bus tum bhagna mat. Yahan mere sath matlab meri maa ki beti. Aur unko to sun hi chuki ho. Fir wo Nirali, Jannat ya Meera me koi anter nahi karengi...

Meera:- Maza aayega fir to...

Idhar, canteen me uss helerious ghatna ke baad Sia, Lucknow se Mumbai, Diksha ke pass nikal gayi thi. Diksha ki shadi me wahi takriban 10 din bache huye the. Shadi me 6 din pahle jab Diksha, apni maa Lata Mishra ke sath Mount Abu ke liye nikli, Ussi din Mishra ji, Sia ke sath Som ki bike kharidne bhi gaye the.

Wahan mahol tab funny ho gaya jab Sia jid par utar gayi ki wo Lucknow Som ki nayi bike se drive karti jayegi. Lucknow pahunch kar wo bike ko Mount Abu bhijwa degi. Mishra ji sadme me chale gaye. Unhe Diksha ki shadi me bhi jana tha aur Sia ko na to akele bike se jane de sakte the aur na hi uske bike ke pichhe kisi ko bitha kar bhej dete.

4-5 ghante tak dono baap beti me jung si chhidi hui thi. Sia bhi drame extand karti jamin par hi naak muh fula kar baith gayi. Mishra ji ne kya nahi pralobhan diya. Muh khol kar bol de beta kya chahiye. Sia hati, har pralobhan ka jawab naa me hi de rahi thi.

Anth me fir Sia nakiyati hui kahne lagi.. "khali bete ko hi dila do bike. Ye bhi nahi dikh raha ki beti cycle se college jati hai". Sia ki baat sun kar Mishra ji bhi chidh gaye. Unhone car ke bare me puchha. Sia fir se thunakti hui kahne lagi, "Car se nahi achha lagta college jana". Mishra ji ki jarra bhi ikchha na thi ki Sia bike se college jaye.

Kuchh din pahle bhi aisa hi natak hua tha. Sia, England se sidha Mishra ji ke pass hi pahunchi thi. Jab Sia ke Lucknow jane ki taiyari ho rahi thi aur Sia ne apni ikchha jatayi ki wo Lucknow me hi apne liye bike kharid legi. Mishra ji ke kaan khade, unhone bade pyar se aur emotionally Sia ko raji kiya ki wo apni pasand se yahin uske liye kharidna chahte hain aur Sia maan gayi.

Jaise hi Sia maani, Mishra ji scooty par arr gaye. Sia bike-bike chillati rahi aur Mishra ji scooty ki rat lagaye thi. Baat jab nahi maane Mishra ji tab Sia muh fula kar baat karna band. Mishra ji ko laga beti ruth gayi to Volkswagen Beetle ki orange colour ki car utha laye.

Car dekh kar Sia iss kadar bhadki ki wo ja kar Mishra ji aur Diksha ke car ka sisa phod aayi aur kah dee badle me uski nayi car rakh lo. Usse bike hi chahiye thi. Wo to bich me Lata Mishra ne madhyatha ki tab ja kar wo car ke liye raji hui. Raji to hui lekin ab car se drive kar ke Lucknow jayegi. Ye ek aur naya drama.

Lagbhag 1300-1400 km ki driving. Badi muskil se to car ke liye raji hui thi. Fir baat uthi ki hum teeno (Mr & Mrs Mishra aur Diksha) bhi drop karne chalte hain. Sia saaf manaa kar dee. "Uske pasand ki bike nahi aayi isliye wo test drive me car akele chala kar le jayegi. Kisi ko sath aana tha to meri pasand ki bike dilate. Fir main pichhe bitha kar poora Hindustan ghumati."

Diksha aur Lata Mishra hans-hans kar lot pot aur in dono (Sia aur Kapendra Mishra) ki bahas khatm hone ka naam hi nahi le rahe the. Jid me jit Sia ki hi hui. Sia ke nikalne se pahle Mishra ji ne apne chhote sale ko call lagaya tha. Wo bhi apne jija ke maze lete phone ko Gajendra Mishra yani ki Mishra ji ke sasur ke pass speaker par daal diya. Gajendra Mishra ki nawasi Lucknow aa rahi thi, wo bhi akeli car drive kar ke. Pahle to apne jamai ko 4 baat suna diye... "Bacchi hai kuchh bhi jid karegi iska kya matlab, nalayak jarra bhi jimmedari ka ehsas nahi. Uske baad to MP se le kar UP tak alag-alag jagah se alag-alag gadi express Highway par kuchh dur tak Sia ke sath hoti. Der raat jab Gajendra Mishra ke pass call gaya ki Sia Nirbhay ke sath hai tab ja kar unhone Kapendra Mishra ko char baat suna kar suchna diye aur Gorakhpur apne niwas sthan me sukoon se so gaye.

Mishra ji ke jahan se 15-20 din pahle ke drame khatm nahi huye the, issi bich, Sia fir se bike ki jid kar baithi. Mishra ji ko samjh me aa gaya ki kahin unhone iss baar bhi jabardasti kar diye to Sia, Som ki bike le kar bhag jayegi. Haar kar anth me unhone Sia ke liye bike dila to diye lekin ab Mishra ji ke drame shuru. Mishra ji ke drame shuru huye to Sia ki comedy. Mishra ji ka fula muh kab pichka aur gusse se bhade chehre par kab hansi asyi unhe bhi pata nahi chala.

Mishra ji ek bike Lucknow aur dusri bike Mount Abu ke resort tak delivery ka jimma shaunp kar Sia ko drop karne khud Lucknow tak aaye aur fir Sia ko drop karte Mount Abu Nikal gaye.

Diksha ki shadi ka din aur Lucknow me kayi sari ghatnayen ho rahi thi. Deeksha ke shadi ki raat hi Meera Lucknow pahunchi thi. Meera pahunchi to thi apne ek priya mitr Neeraj ke kahne par, lekin na to Neeraj aur na hi Meera ko pata tha ki Sia bhi Lucknow me hai. Jabki dono ke most favourite senior Sia thi aur Sia ke liye Meera ke doston ka group sweeto tha. Sia pyar se unhe pukarti thi.

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
Ab laga kuchh garmagarm parosh kar laaye ho babu gusshe me dono update
Dekha bhai ka gussa aate hi teelango ko three idiot ki upadhi mil gayi Meera dwara aur danish miya ki marham Patti bhi kar gaye three idiot
Meera ki chaal ko nirali ke nirale dimag ne turant pakad liya aur laajwaab kar diya apni lokattiyo se
Sia ke natkhat pan ne mishra v mishraiyan ko niruttar kar diya v khud hi pahunchane chale gaye ish shaan ki sawari ko lukhnow Sia the great ke liye
 
Top