• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

Naag Pasha

Member
129
576
93
Update:-47

Khamosh aur bilkul madhurmay mahol tha. Iss madhurmay mahol me do dil surmayi tarike se dharak rahe the. Chehre par asim sukh faili thi jo bhini si muskaan banaye huye the. Pyar ki madhur bela me dono khoye se the... Tabhi.…

Som ke ek baar fir se tej khaansne se dono thode se jage. Sia, Vyas se alag ho kar mukurati hui usse dekhne lagi... Vyas bhi madhur muskaan bikhed raha tha... "Sia bade bhaiya ko dekho, main kal milta hun"

Sia muskurakar haan me apna sar hilati, bilkul shwans ke chalne jitni dhimi aawaj me... "Ab jaoooo"..

Vyas muskurate huye wahan se chala gaya aur Sia, kisi tarah Som ko jaga kar usse fruit juice pilayi. Thode pani waigrah pilane ke baad Sia, Som ke sirahne pass baith kar uske sar ko gode me lee. Uski jatayen khol kar poora baal sidhi karti uske sar par tel laga kar malish karti hui...

"So mere Purusom, aaj kis baat par sir emotional ho gaye haan. Mera cuteee... Zindgi me khushiyan bator lo bhai, jinhone hume dar diya wo to nidar ho kar rangraliyan manaa rahe... Tum kyun har baat par dil jala lete ho... Haan samjh gayi, ek stri moh aur stri prem ki tumhe bhi aawasyakta hai dost. Jaldi main Sugandha ki beti se tumhari mulakat karwati hun."

Sia, Som ka chehra bade dhyan se dekhti hui apni baat kahi aur pyar se uske chehre ko chumti wahin tek laga kar so gayi. Subah darwaje ki lagaatar ghanti bajne se dono bhai-bahan uthe. Som, Sia ke gode me apna sar dekh kar chhota sa muh banate... "Sorry" kaha. Sia apne dono hath se uska poore chahre par hath firati...

"Agli baar behoshi haalat me aaya na Som to tumhare nashe ka mujhe kuchh karna padega. Chal uth aur huliya thik kar. Bahar maa aayi hogi"… Sia apni baat kah kar uthi aur chahakti hui chal di darwaja kholne. Darwaja kholi aur Sia poori chahakti hui... "Areeeee wahhhh... Jija ji aaye hain... Sab ek minute bahar hi ruko.. koi ander na aayega main kahe deti hun"…

Apni beti ke call par bhala Lata Mishra kitna intzar karti. Bilkul subah savere hi Lucknow pahunch gayi. Uske sath Kapendra Mishra, Diksha aur Pranshu bhi pahunche the. Sia jhatpat daur lagati, bhagti daudti aarti ke thal ke sath ek badi si thali bhi le aayi.

"Ae satkeli, ab ye sab kya hai"… Diksha aarti ki thal dekhti hui puchhne lagi..

Sia:- Shut up.. naye jamai ka ghar me swagat kar rahi. Bhul gayi aise hi tera swagat hua hoga. Selfish ladki... Sorry ab to tu aurat ho gayi na... Selfish aurat...

Sia ki baat par Lata aur Kapendra Mishra hansne lage. Diksha, Sia ko ghurti hui... "Thoda settle ho lun fir teri charbi utarti hun. Jaldi kar subah-subah utha layi maa. Mujhe tej nind lagi hai. Deri ki to darwaje par hi so jaungi"…

Sia, Diksha ko shant rahne ka ishara karti aarti ki thal Pranshu ke aage firayi aur tilak karne ke baad aarti ki thal ko kinare rakhti... "Jija ji 2 minute"…

Khali badi thal jo Sia apne sath le kar aayi thi usse jamin par rakh kar usme pani aur laal rang daalti.… "Haan jija ji ek-ek kar ke apne dono paun iss thali me dalo aur dayan paun aage badha kar grih prawes kijiye"…

Morning lafter therepy chal rahi thi. Har kisi ka hans hans kar bura haal tha. Pranshu bhi hans raha tha.… "Pyari saali sahiba ji, koi chawal ka kalash nahi hai, jise dhakka de kar grih prawes karun. Aap ko nahi lagta ki rashm kuchh adhura sa hai"….

Lata Mishra:- Aur kitni der bahar rakhegi, ander aane de na. Ho gaya itne lotpot to ho gaye. Ab chhod de beta...

Sia:- Maa tum har kisi ki sifarish na kiya karo... Achha thik hai aa jao sab....

Kapendra Mishra ghar me ghusne ke sath hi Sia ke kaan madodte…. "Tu ye apni maa se har kisi ki sifarish ke naam par mujhe hi taane maar rahi thi na badmash"…

Sia:- Aaooo Pitaji bus bhi karo... ( Jaise hi Kapendra Mishra ne kaan chhoda, Sia pichhe se Lata Mishra ke kandhe se ladt'ti)… ganimat hai pichhli bahas me maa bich me aa gayi, warna main aap ke school ground me baith kar sabhi bacchon se chinkh-chinkh kar kahti dekho kitna nirdayi baap hai...

Kapendra Mishra:- Accha aur jis motercycle ke liye itne drame huye wo kidhar hai. Mujh se to lad kar li thi, lekin teri car aur cycle apni jagah hai, bike najar nahi aa rahi...

Diksha:- Servising me gayi hogi pitaji... Som.. Som..

Diksha, Som ko pukarti hui ander pahunchi. Itni der baton ke dauran Som quick shower le kar taiyar to ho gaya lekin Diksha ko smajhte der na lagi ki kal raat ye overload ho kar aaya tha. Som bahar aa kar sab se mila. Sabhi log aaram se settle ho gaye.

Maa, Pitaji ke aane ki khushi me Sia ne aaj poori class hi bunk kar di thi. Ghar poora bhada tha, bhala Som bhi kidhar ja sakta tha. Badi si mehfil saji aur khatti mithi nok jhonk ka silsila shuru hua.

Kal ghar ke sapno par huye aaghat ko Sia apne hi andaj me bhula rahi thi. Gum kahin aur se mila to apno ke bich khushiyan samet rahi thi. Haan lekin chehre par ek alag muskaan tab phail jati jab ye khyal aata ki Vyas kya kar raha hoga...

Kya kar sakta tha bhala Vyas... Mijaj ke mausam me aashiqi ki barish ke baad barshati mendhak ki tarah tarrr tarrr kar ke apni khushiyan indirectly dikha raha tha... Raat ko der raat pahuncha, Nirali pahle se hall me baithi... Gusse me tamtamayi...

Jaise hi Vyas ne darwaja peeta, gusse me laal-pili ho kar Nirali ne darwaja khola. Jaise hi Nirali samne aayi, Vyas uska hath pakada aur poora gol ghuma kar ek baar nacha diya.… "Pagal bhang kha kar aaya hai kya aaj?"

Vyas, Nirali ke dono gaal khinchte.… "Bilkul nahi. Bus khush hun. Aur suna tera kya chal raha hai"…

Nirali:- Bhaiya, koi kaand kar ke aa rahe ho kya?

Vyas:- Chhi chhi... Har kaand se sanyas le liya... Khana khilayegi ya aaj bhi kahegi, ja kar khud le lo...

Nirali:- Besharm kahin ke... Jaroor kisi ladki ka chakkar hai isliye aisi mithi-mithi baaten ho rahi hai...

Vyas:- Achha... Kahin aisa to nahi tera koi ladke ka chakkar hai... Jaise hi main kahun haan kisi ladki ka mamla hai, jhat se kah de main bhi kisi ladke ko chahti hun..

Nirali:- Kisi ladke ke karam thode na fute hain jo meri taraf dekhe bhi. Pata na 3 chandaal kahan se mere aur Jannat ki kismat me likh gaye. Aur ek wo gadha Riaz, pata na uski maa ne kya kha ke paida kiya tha, baat shanti se bhi salat rahi to bhi maar karwa dega…

Vyas:- Waise Riaz apni Jannat ke liye kaisa rahega... Jancha parkha ladka hai aur mujhe pasand hai...

Nirali:- Kya tum serious ho…

Vyas:- Aisi baton me mazak karunga kya pagal.

Nirali:- Bus karo, abhi ye sab baaten sochna bhi mat... Padhne do hume abhi... 4-5 sal to kosis kar lene do...

Vyas:- Pagal, 4-5 sal kyun.. jab tak kamyabi nahi milti tab tak tum dono kosis karo.. Kal tum dono bahano ko scooty..

Nirali:- Maska polish haan... Bhaiya sach-sach batao kaun hai wo...

Vyas:- Tu batati hai, roj jo tu Viraj se baat karti hai aur wo Jannat, Sahil se...

Nirali, Vyas ke kandhe par apna mukka tej chalati… "Chhi sakki kahin ke... Baat to Subham aur Aashu se bhi hoti hai... Sab ka hi naam gina dete… sankuchit log aur sankuchit mansikta.."

Vyas:- Achha beta mujh se hi hoshiyari... Naam ka bhai nahi hun samjhi... Viraj aur Sahil dono achhe ladke hain.. Khair usme to koi doubt hi nahi hai ki meri bahne agar kisi ke sampark me ho to wo bura ho. Lekin dhyan padhai me hona chahiye aur phone par jitna milna ho milte rahna... Baki sath ghumne firne ka khyal aaye to bata dena, engagement karwa dunga... Kya samjhi...

Nirali:- Yahi ki kamine ho... Bahut bade wale kamine… hum sath batch me hai aur taiyari akele nahi hoti, isliye sampark rakhna padta hai. Haan lekin ab mujhe samjh me aa raha hai ki wo Sahil jab apne bhai ke shadi fix hone ki khushi me sab ko treat de raha tha, tab mujhe aur jannat ko kyun nahi bulaya... Chandalon ja kar dhamka aaye hoge...

Vyas:- Areeeeee ek bhai ho kar main kah raha na Viraj aur Sahil achhe ladke hain... Soch kitna badlav aaya hai. Ab kam se kam iss baat par to shant hun ki nahi meri bahan kisi ladke ko chahti hai...

Nirali:- Kutte ki dum kabhi sidhi hui hai... Muh se ugalwa lo abhi aur kal se wo hume dikhega hi nahi... Hath muh dho kar aao khana lagati hun..

Khana khane ke uprant Nirali bartan samet'ti... "Aaj pi kar aate to mujhe bahut dukh hota bhaiya. Thanks…."

Vyas:- Pagal ab se pine ke mamle me koi shikayat nahi aayegi. Yun maan ke chal ki chhod diya maine….

Nirali, Vyas ke kandhe par ladti... "Bhaiya sach sach batao, aaj itna chahak kyun rahe ho. Kaun ladki hai wo?"

Vyas:- Ohhhh !!! Taki tu apni gange le kar usse pitne chali jaye...

Nirali:- Dhattt pagal... Middle class family me sare niyam aur pabandi to ladkiyon ke liye hote hain… Tumhe to intercast marriage karne ki bhi chhut mil jayegi... Main to issi me khush hun ki tum khush ho bhaiya…

Vyas:- Emotional blackmailer... Main teri intercast marriage karwaunga... Dhundh le apne liye ladka... Khush… Tu ya Jannat itni bewakoof kabhi ho nahi sakte ki galat faisle lo... Hum sab ko tujh par garv hota hai, warna aaj kal ki ladkiyan kaisi hoti hai kya hume pata nahi..

Nirali:- Waqt aane par wo bhi dekh lungi lekin baar-baar baton ko ghumao mat... Jaldi batao kiske sath taanka bhida hai...

Vyas:- Pagal kaisi baten karti hai... Khush isliye hun kyunki kal ghar me tere aur Jannat ke liye scooty aayegi...

Nirali:- Scooty???? Itne paise kahan se aayenge... ???

Vyas:- Paise aaye hain tabhi to khush hun... Wo freelance ke job ka bataya tha na... Uske 3 project ke paise ek sath aaye hain… 1 lakh 20 hazar...

Nirali, apne bhai ko hairani se dekhti... "Ek project ke 40 hazar. Sach-sach batao kahin kuchh galat dhang se to paise nahi kamaye na"…

Vyas, Som ka card Nirali ke hath me thamate... "Bade bhaiya ka number hai jo hume kaam dete hain. Puchh le pata kar le aur santust ho ja fir aaram se parso tak bata dena, warna scooty ke badle main kuchh aur le aaunga"…

Nirali:- Ruko... Paise mere scooty ke naam ke hain to wahi aayega... Lekin haan main cross varification to karungi hi... Chalo ab jao sone.. aur main bhi chali sone…

Nirali tay nahi kar pa rahi thi ki aakhir uska bhai paise aane ki khushi me naach raha hai ya kisi ladki ka chakkar hai. Vyas jhum to aise raha tha jaise varshon ka khaawb poora hua ho. Ufff ye Vyas ke dil ki umang. Raat mithe khyalon me gujri aur subah ka haal to aur bhi jyada khushnuma tha. Sia ko karna tha ek jhannatedar andaj me propose, aur issi silsile me Vyas subah-savere chal diya Meera se milne...

Meera jab Vyas ko hall me muskurate aur lahrate huye chalte dekhi, uski tej hansi nikal gayi.… "Hello miss Kuku tumhe kya hua..."

Meera:- Kuchh nahi jija ji... Aap sunao...

Vyas:- Ji... Jaa... Ji... ???

Ye to Vyas ke liye jhatke se kam na tha. Aisa laga maano chori pakdi gayi ho. Vyas hairani se Meera ko dekhne laga.… Meera, Vyas ke hairani se bhara chehra dekh kar khul kar hasnti hui... "Areeee jija ji aap thode hairan dikh rahe hain. Kya ho gaya?"

Vyas:- Areee aise subah-subah jhatke dogi to hairani to hogi hi... Mujhe Jija ji pukar rahi...

Meera:- Som Malhotra ko Sia didi ke samne dhakka dene wala ladka sahi salamat khada tha... Upar se Hospital aur college me Sia didi ki najar...

Vyas:- Sia ki najar ka kya???

Meera, tej hansti.… "Muh se ye na nikla, ab Sia kahan se bich me aa gayi. Babu ye chahton ki najar main na dekh sakun aisa ho sakta hai kya? Maine to hospital me hi tumhe Jija ji maan liya jab dhit ki tarah atke rahe..."

Vyas:- Haan dhit ki tarah atka raha aur tum dono mitr (Neerav aur Meera) mujhe bhagane me koi kasar na chhod rahe the... Dekho wo aa gaye... Dekho wo aa gaye... Dekho wo aa gaye...

Soni kaki ko jabardasti hospital me dikhane aur Som ki pahli jhalak dekh kar jo Neerav se lipat kar Meera kahi thi, Vyas wahi dohrane laga. Meera apni hairani bhadi sawaliya najron se Vyas ko dekhne lagi... Vyas bhi 4 kadam pichhe hat kar natkiya andaz me jhumte aur bhagte..."

"Woh aa gaya, dekho

Dekho woh aa gaya

Ha aa ha aa ha aa

Meeraaaa! Meeraaa!

Piya tu ab to aaja

Shola sa man dehke aake bujha ja

Tann ki jwaala thandi ho jaaye

Aise gale laga ja

Ah ha haha, ah ha haha

Ah ha haha, ah ha haha

Meeraaa.. oh my darling...

Meeraaa.. oh my darling."

Vyas ne jaise hi gaana shuru kiya, Meera uske pichhe bhagi. Vyas sofe ke charo ore ghum-ghum kar gane laga aur Meera uske pichhe. Jab Vyas pakad me nahi aaya tab Meera muh latka kar sofe par baith gayi... Vyas dono kaan pakad kar dhime se sorry kahte...

"Gudiya hamase ruthhi rahogi, kab tak na hnsogi. Dekho ji kiran si laharaai aai re aai re Som ke chahton ki hansi aai"…

Meera, Vyas ke natkhatpan par hans di... Thoda sa ithlati, aur thodi si pyar wali narajgi jatati... "Jija ji apni eklauti saali ko chhedte sharm nahi aati."

Vyas:- Ab eklauti sali se itni to chhed-chhad jayaj hai... Kyun hai ki nahi...

Meera:- Haan ye bhi sahi hai..

Vyas bhi Meera ke karib baith gaya. Dono sofe par tek laga kar aankh mund liye aur apne-apne walon ke khyal ander utarte muskurate rahe. Idhar ye dono tek lagaye aankhen munde muskura rahe the aur udhar Soni kaki Meera ka nasta le kar pahunchi thi. Dono ko yun sath baithe dekh jhatpat apna mobile nikal kar 3-4 photo click karti.… "Smile please"… Soni kaki Meera aur Vyas ki tasveer nikal kar aise hansti hui nikli jaise damad final kar ke ja rahi ho...

<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>
wah bhai bahot hi badhiya update siya ko vyas ka pyar mila aur uske mata pita v aa gae uski khushi to doguni ho gai idhar vyas ki khusi chhupae nahi chhup rahi nirali ko to paiso ki goli dekar bach gaya aur meera to badi tez chiz hai wo pahle hi bhanp li thi sari situation ko waise vyas v kuch kam nahi hai wo v meera ka secret jan liya.vyas ko to uska pyar mil gaya ab dekhna hai meera ki jindagi mein pyar ki barish hoti hai ya nahi🙏
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,260
189

Brilliant update with awesome writing skills :applause:
 
Jamesleon

“Failure is not a person, it’s an event.”
542
2,129
124
Sorry nain bhai apke update ke review nahi de pa raha hu Kafi time se

wo kya he thoda sa life me busy hu firbhi apke story read kar ne jarur ata hu

Abtak ke sare updates Kamal or dhamal wale he

Dekhte he Vyas or sia ki life me anewale wale update me kya dhamal Hota he waiting for next nain bhai
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,260
189
Sia dhire dhire giri Vyas poori tarh se pahle gira... Aur kafi tej gira... Khair ...

Wo kya na Vyas bahut talented hai lekin jinke sath padh raha hai wo talented ko hi padhane ki kabliyat rakhte hain iskiye Vyas uske sath padh raha... Kisi ke study par interfare na karen...

Aap naaz kar to rahi hai Vyas par aur kya chahiye Khair...

Kyaa raat ko Meera aap ko khujane bulati hai jo aise sangaan de rahi.. lagta hai room share ki thi aur aap ko niji anubhav hai.. khairr..

Lagta hai raat ko jagakar aap se Meera khub khuwayi hai isliye bhadas mit na raha hai... Dekhiye apni presonal baton ka bhadas kripa yahan na ujagar karen overall it's open forum.. Khair...

Kise kya pata aur kya nahi wo to waqt hi bayega naina ji kyonki waqt waqt ki baat hai...

Lagta hai aap ko apne 4-5 bade bade nakhun gawane pade honge Meera kk khujane me... Ek aur baar Meera ki khujli ki charcha...

Kripya confuse na kiya kare .... Mujhe kya kisi bhi reader ko khujli ka pata nahi... Lagta hai bahut frequently tha ek dusre ke sath khujana jo charcha par charcha kiye ja rahi...

Vyas ko jyada se jyada important mile update me....iss baat ka jawab .. Aji bolte rahiye...

Baki thankoo sooo much for your lovely comment.. smile please...
Na munna na :baby: :consoling:
aisa bhi kya sasti nasha kar liya kal raat ko ki, story character khujli wali gal meera ko meri dost phir roommate tak bana diya.. :lol:
Aur haan IS STORY KI YE kirdaar MEERA KABHI THE GREAT LEAD STORY CHARACTER MEERA PUROHIT NAHI BAN SAKTI.. .. I thought ki xp ki the great, great, great lead story character Meera purohit entry lene wali hai :hmm2: , lekin ye meera to.. Khair :D
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,260
189
Thanks for your beautiful comment ... Kisi bhi kirdar ke sath apne niji anubwon ko yahan sajha na kare.... Maine khujli ki charcha nahi ki hai aur aap ke sath Meera ke kisi bhi prakar ke khujli khujli khelne wala rishta hai to apne tak rahne de..

Dhanyyyyyywaaaadddff
Alle alle matlab Vyas ko kuch bhi keh do writer ko koi problem nahi.. Lekin meera ko ittu sa koi kuch bol de to writer sahab kisi nageen bhaanti fufkarne lag jaate hai :roflol: :lotpot:
Itna lagav achhi baat na hai, warna office hours mein bhi office works ki jagah meera meera meera hi likh na dein sab jagah definitely :p: :hehe:
Mujhe dar hai kahi nainu ji Medical department ki jagah meera department na likh de har jagah, wo bhi definitely :p: :hehe:
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,618
80,605
259
Na munna na :baby: :consoling:
aisa bhi kya sasti nasha kar liya kal raat ko ki, story character khujli wali gal meera ko meri dost phir roommate tak bana diya.. :lol:
Aur haan IS STORY KI YE kirdaar MEERA KABHI THE GREAT LEAD STORY CHARACTER MEERA PUROHIT NAHI BAN SAKTI.. .. I thought ki xp ki the great, great, great lead story character Meera purohit entry lene wali hai :hmm2: , lekin ye meera to.. Khair :D
Wo kya na munni kisi ke ander presonal itna ghusne ka hi matlab wahi hota hai... Niji roop se jaan'na ....

Ek hi tali ke chatte batte apne har sathi ki harkaton ko niji roop se jante hai, jiski charcha kabhi poore sansar me na hoti... You are doing the same... Main maanta hun Meera & u bahut hi close aur ghanist ho...

Aur kaun maa di ladli apni kahan kahan marwa kar aayi thi, usse dekh kar main kyun inspired hone laga... Kisi bajaru ko dekh kar bhi inspiration kahe ko len....aapne jahan ki aur jiski bhi charcha ki hai wo mast marwati rahe apne ko kya... Smile plzzz
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,260
189
...
Aur kaun maa di ladli apni kahan kahan marwa kar aayi thi,
Hawww :cmouth: khud kehte hai ki kirdaaro leke koi abhadra vyavhar ya kirdaaro ko leke koi galat shabd istemaal nahi karneka,, ab khud hi abhadra vyavhar aur galat shabd Boling :roflol:
Akhir readers samaj kya ashar padega, :sigh: akhir sab readers mann ke sachhe hai.. Kuch to reham kar dete :D
 
Indrajeet

Active Member
822
1,568
138
Wo kya na munni kisi ke ander presonal itna ghusne ka hi matlab wahi hota hai... Niji roop se jaan'na ....

Ek hi tali ke chatte batte apne har sathi ki harkaton ko niji roop se jante hai, jiski charcha kabhi poore sansar me na hoti... You are doing the same... Main maanta hun Meera & u bahut hi close aur ghanist ho...

Aur kaun maa di ladli apni kahan kahan marwa kar aayi thi, usse dekh kar main kyun inspired hone laga... Kisi bajaru ko dekh kar bhi inspiration kahe ko len....aapne jahan ki aur jiski bhi charcha ki hai wo mast marwati rahe apne ko kya... Smile plzzz
Control nain bhai control ...... sanyam rakhe thoda cool mind aapki pehchan h aise bhadne lage to aap "teen wolf " peter hale ban jayenge...jo bilkul bhi achcha nha rahega kisi ke liye bhi
 
nain11ster

Prime
23,618
80,605
259
Alle alle matlab Vyas ko kuch bhi keh do writer ko koi problem nahi.. Lekin meera ko ittu sa koi kuch bol de to writer sahab kisi nageen bhaanti fufkarne lag jaate hai :roflol: :lotpot:
Itna lagav achhi baat na hai, warna office hours mein bhi office works ki jagah meera meera meera hi likh na dein sab jagah definitely :p: :hehe:
Mujhe dar hai kahi nainu ji Medical department ki jagah meera department na likh de har jagah, wo bhi definitely :p: :hehe:
Simple si baat samjha dun, aur ye pahle bhi samjha chuka hun ... Koi mere emotions ke sath mazak karne ki kosis karega ya karegi main wahi uske emotion ke sath karunga...

Main serious ho kar aur utne hi punchuality ke sath hun to... you should respect my work ..... Again paying your attention... You should respect my work ... And my work is my story ....

Aap se jyada achhe naye comment karne wale hain jo jante hain ki unke word ki limit kitni hai... You are doing over and I don't like that...

Main bade vinatmtapurvak fir se samjha raha hun.... Hansi mazak ka ye matlab nahi ki kisi par abdhar tippni ki jaye... Yadi aap ko kisi ko nicha dikha kar hi hansi mazak karne aata hai to please yahan mat kijiye, to the point story sandarv me likhiye bus...

Dhanywad
 
Top