• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance >>> Too Young !! Too Old (Completed) <<<

10,468
48,903
258
इतना कुछ हो गया फिर भी मीरा की असलियत सोम पर जाहिर नहीं हुई । लगता है सुगंधा जी के आने के बाद ही वो मीरा के बारे में जान पायेगा कि ये वही लड़की है जिसके बारे में उन्होंने कहा था ।
वैसे मिश्रा फैमिली और शास्त्री फैमिली अब पुरी तरह से एक दूसरे से परिचित हो गए । जान पहचान अच्छी तरह से हो गई लेकिन सिया और व्यास के प्रेम संबंधों पर अभी भी पर्दा पड़ा हुआ है ।

दोनों फैमिली में एक गैप है । हैसियत का , रूतबे का , धन का । चूंकि मिश्रा दम्पत्ति ने अपने जीवन में संघर्ष भी किया है और अपनों से धोखा भी खाया है । इसलिए लगता नहीं कि वो सिया और व्यास के शादी में कोई विध्न डालेंगे ।
वहीं सोम और मीरा की कहानी इनसे बिल्कुल अलग है । यहां पर अभी भी सोम के दिल में मीरा के प्रति किसी तरह का भाव नहीं है । इनकी लव स्टोरी लगता नहीं आसानी से परवान चढ़ेगी ।

अलका शास्त्री बिल्कुल एक मध्यम वर्गीय परिवार की सोच वाली औरत है । टेलीविजन पर अधिक समय तक चिपके रहना , बात बात में अपने बच्चों पर अपना अधिकार जमाना , छोटी छोटी बातों पर उन्हें फटकार लगाना , ऊंच नीच का ख्याल करना उनके मध्यम वर्गीय सोच को दर्शाता है ।
जब उन्हें पता लगा कि सिया लंदन से पढ़कर वापस आई है तो एक बार उनकी सोच एक मिडिल क्लास की सोच बन गई थी ।

इस अपडेट में जरीना का जिक्र आया । कौन है यह लड़की ?
आसिफ अपनी माशूका अश्क के साथ डेट पर तो गया है पर लगता है कुछ बुरा होने वाला है उसके साथ ।

इस अपडेट में भी कभी ठहाकों की गूंज थी तो कभी पारिवारिक ड्रामा । सारी लड़कियों ने तो तबाही सी मचा कर रखी है । सिया , मीरा , दीक्षा , निराली , जन्नत , हुमा । बड़ी ही खुराफाती लड़कियां हैं सभी । और बुजुर्ग औरतें भी इनसे कोई कम नहीं है । :D
सोम ने अपनी जमीन के लिए कुछ नया सोचा है । लगता है जेरूल ईमाम से अच्छी खासी भिड़ंत होने वाली है ।

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग अपडेट नैन भाई ।
जगमग जगमग अपडेट ।
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,357
304
Som hi asli hero hai ....vo legend hai or legend never kide makode :budhau:
Som gaya bhaad mein ab to Sugandha ji ke bade jamayi Vyas hi honge :D
Jugnu & Vyas... Jodi superhit.. :love:
Kyun nain11ster saheb thik hai na..
 

Kingfisher

💞 soft hearted person 💞
7,469
26,139
204
Som gaya bhaad mein ab to Sugandha ji ke bade jamayi Vyas hi honge :D
Jugnu & Vyas... Jodi superhit.. :love:
Kyun nain11ster saheb thik hai na..
Jis bhad me som girega usme foolo ki sej hogi , vyas ek side cherecter hai Jise bs Sia Ka hamsafar banane ke liye create Kiya gya hai , abhi 21 update tak uska name ek dukka bar suna hai ...hhhaa vyas or hero hhhaaa lol :toohappy:
 

nain11ster

Prime
23,655
80,781
259
Sohadrpuran parvesh me rachi gai ek saff suthri rachnakriti sach me hi abhede hai bandhu
Riaz ke femele version ke badbolepan se sab log ulajh gaye Kish baat per yaqeen kare ya na kare
Kuku ulti ginti se fasha rahi hai Som babu ko aur Vyas bhiya ki rail ban gayi Sia v Meera ke parkhne ke chaker me
Bhagwaan jane ye ladkiyo ki maaya
Apni ajib garib baato ke pitare se kuchh bhi kar de shabd nahi hai bhai ish vishaye per
Alka Shastri ne Vyas babu ki jamkar scoter banai nirbhay ke gher me aur bahar lapet li nirali aur jannat bhi
Bhal mishrayin ji bhi kaha peeche rahti hone waali bahu ki khub chutki li aur maan bhi de diya bina bataye
Hahaha .... Nevil bhai yakinan bhagvan bhi striyon ki maya nahi samjh paye honge... Hum aap to fir bhi sadharan se manushya hai 😂😂😂😂

Dekhiye ye striyan kya kya gul khilati hain... Aur vays ko kitna fansati hai ☺️☺️☺️☺️☺️

Thanks for your beautiful words :hug:
 

nain11ster

Prime
23,655
80,781
259
Shukriya dost
Aapne na likhne ki baat uthai to kuchh bhav panp uthe mitr ke parti hridey se

Maa sarshwati ki anukampa se aap rachnakaar ke rupe me Anmol rachnaye rach rahe ho jo sawayam me itihash ka rup le rahi hai
Hum kuchh logo ki mul bhavna khamosh rahna chahe pahad hi tut pade nahi badal sakte
Haan apne huner me vo oujj bher sakte hai ki majboor ho jaaye har vo shay bolne per jo naqab Beth kar sirf aahe bhara karti hai
Kah pade bhai waah yeh jarur apne shabdo se duniya me parivartan laayega ek aawaaj banega in khamosh parhariyo ki
Jo dekhenge sunenge chader taan ke so jaayenge
Aur subah akhbaar padhte woqt chaiy ki chuski lete hue khenge dekho apni sanshkriti dharaatal per jaa rahi hai ab kya hoga ish sahitye ka
Aap hum jaise bhi to log hain Nevil bhai... Lakh charo ore katuhal ka mahol hoga aur kuritiyan apne charam par hogi 100 me 90 unhi kuritiyon ke followers honge... Lekin lekin lekin wo 10 kafi hai santulan banaye rakhne ke liye...

Wo 10 kafi hai ye batane ke liye ki tum galat ho aur unhe sun'na hoga...

Wo 10 kafi honge parampara aur sanskriti ko sanrakhsit karke aage badhane me...

Isliye poora jag bairi hai iss par hatash na ho... Wo sadaiv rahega nahi badlne wala... Muskaan to iss baat ki honi chahiye ki apne jaise ikka dukka aas pass hai na ... Bus ho gaya... Unhi se karwan aage badhega :hug:
 

nain11ster

Prime
23,655
80,781
259
superbb update bro
ye sbke milan samaroh ne to tahlka macha diya
or iss soni kaki ne bhi pura hi kand kr diya
chlo km se km galatphami door to hui
or ye som ab iss imam sahab ko kese andle krta h delkhte h
philhal to middle class wale apne generation gap ko km krne m lg rhe
Hahaha ... Hoga hoga hoga... Dhire dhire sare gape cover kar lenge ragish bhai... Ummid hai vichitr milan samoroh pasand aay hoga :hug:
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,357
304
Jis bhad me som girega usme foolo ki sej hogi , vyas ek side cherecter hai Jise bs Sia Ka hamsafar banane ke liye create Kiya gya hai , abhi 21 update tak uska name ek dukka bar suna hai ...hhhaa vyas or hero hhhaaa lol :toohappy:
Kya yaar udhar us tharki budhau gun gaan gaa rahe ab ya Som ki.. :akshay: I thought ki ju Sia ya meera ya Jugnu ki tarif karoge... Par ju to................. :roflol:
 

nain11ster

Prime
23,655
80,781
259
:akshay: ab kya karein nain bhai aapke saath kadam milakar chalna itna asaan kahan hota hai,
aur mujhe to jiviya ne aisa pareshan kar diya ki.......,
aur uske baad thoda samay ka bhi abhav ho gaya
Aayyy chal jhuta.. poora padhe nahi aur thrill ke bich me hi jivisha ko chhod chale gaye... Aur je samay ka kya abhav hota hai... Maine hi dhol de rakhi hai isliye aisa ho raha hai...

Apni upastithi ke sandarv me mujhe pahle avgat karwaye baki baaten baad me hogi
 

nain11ster

Prime
23,655
80,781
259
ye baat maine kayi baar jikar ki hai.... ki saamaj humse nahi saamaj se hum hai.. hum jis saamaj mein jee rahe usi ke taur tarike rahna padta hai...
haalaki aaj sabhi kuch adhunkik ho chuke yaha tak ki humare ird gird ke log, saamaj sabhi.... lekin phir bhi kuch soch nahi badal sakti... wo soch purane khayalato ki, jaise ladka - ladki ke bich dosti.. haalaki bachpan wali dosti ko consider kar dete hai, lekin ye jo jawani mein, school ke upper class mein ya college mein dosti hoti hai ushe hamesha se shaq ki nazar se hi dekhte hai, aur kayi baar anchaahi baatein bhi suna dete hai..
waise is saamaj se maa baap, bhai bahan, rishtedaar bhi alag nahi.. so weh bhi to wohi sochenge na ki akhir ye rishta dosti ka hai ya kuch aur..
Lata ya Alka ji ya phir soni kaki... ya phir pranshu ho ya Nirali Jannat inka Vyas aur meera par shaq hona lazmi hai...
lekin ye log kuch baaton se anjaan the... Meera had zyada ghulne milne wali ladki hai, wait a minute.. par wo ushe parakh hai samne wale ki... ki samne wala kaisa hai... wo dekhte hi pehchaan leti hai ki saamne se jo jaan pehchaan badhane aaya ya aayi hai wo kis swabhav ke hai..
saamne wale ki nazar ko chutkiyo mein pehchaan leti hai wo..
Aur aaj jamana jaisa hai, kayi log jo chehra pe kam ladki ke sarir pe zyada nazar rakhe is baat ki bhi gyat hai ushe... isiliye meera har wo saksh ke sath nahi ghul milti... wo unhi logo ke sath zyada ghulti milti hai, apnapan dikhati hai, Jo sach mein ush kabil hai, Vyas bhi us kabil logo ki list mein aata hai, Vyas meera ki dosti haalaki abhi haalhi mein huyi hai aur mulakat bhi,,, lekin unki dosti dekh lage ki dono bachpan se sath mein khelte kudte bade huye ho...
wo hota hai na kuch logo ke bich ajib sa connection , Jaise kab kaise best friend ban gaye pata hi nahi chale.. ki kab hum apni saari baatein puri viswash ke sath sirf unhi ke samne share karte hai, unhi se help lete hai,
Meera aur vyas ka rishta bhi wohi hai...
inhi baaton se anjaan the sabhi gharwale.. isliye is galatfami ki suruwat huyi, haalaki Sia jaanti thi saari baatein,,, isliye usne deri na karte huye galatfami ko dur karte huye is baat ko confirmation kar di ki Vyas aur meera ke bich sirf dosti hai... uske atirikt aur kuch nahi..
waise meera aur vyas ko dekh jo galatfami huyi soni kaki ko... iski khabar Sugandha ji tak pahunch gayi thi..
Well.. par Alka ji shayad mann hi mann Sia ko apni bahu maan chuki hai...
isliye ghar aate waqt uske charche kar rahi thi, waise teeno bachho ki kuch baatein sun aur kuch baaton jaan kar gussa bhi ho gayi thi,, yaha tak ki Vyas ko thappad bhi maar di lekin saari baatein clear hote maafi bhi maang li..

Udhar jo meeting honi thi jameen ko leke, zerul ne jo kiya... lage ki wo insaan power aur paise ke chalte andha ho gaya hai, baatein to suno uski, Khair Som udhar to thande dimag se kaam liya lekin wo samjhayega jarur usko apne hi tarike se, aaj nahi kal.. Tab shayad zerul ko ehsaas ho ki bina jaane parkhe har kisi se aise vyavahar karne ka natiza kya hota hai..

Update mein kuch baatein jisse gussa badha de ~

Sia sachme premika hi hai na Vyas ki, par uski baaton se, uski soch se to lage ki sia jaani dusman hai Vyas ki, lage ki kal ko Vyas ko kuch ho bhi jaaye to Sia party hi karegi... apne hi premi ke liye aise shabd.. :sigh:
Mujhe afsos hai ki sia ko Vyas ki heroine maan baithi :sigh:
Sia jo pyar ka izhar kar rahi thi pichli raat wo ek jhuth hai, in fact Sia hi jhuthi hai, jhuthi uske wade, jhutha uska pyar... behtar yahi hoga ki Vyas Sia ko apni jindagi se bahar nikal feke... warna kabhi bahot badi musibat mein fansh sakta hai Vyas..
huma best hai Vyas ke liye ezgif-com-resize-7
Khair.. update kaafi dilchasp tha aur sath hi kirdaaro ki bhumika bhi
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :applause: :applause:
Edited ~ Sugandha ji agar chaahti to Jugnu ke liye Vyas ko as a dulha select kar sakti thi, :popcorn:

Meera ke bare ye kya sa. Bol rahi ghulne milne wali and all... Aisa lag raha hai gode me khilayi ho Meera ko ☺️☺️☺️☺️ Khair aisa hai to mujhe pm me bata dene ka haan 😜😜😜😜

Samajik darpan ki baten aap ki sat pratisat sahi hai... Aap ki soch Som aur Sia se poore milti hai 👍👍👍👍👍👍

Baki Sia ko lekar jo conspiracy theory aayi hai dekhte hain kya hota hai... lage rahiye aur theory par theory thokte rahiye 😜😜😜😜

Thanks for your so lovely conclusion
 
Top