• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)


  • Total voters
    22

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Kahani Abtak
Small Recap of Strange World : Apoclypse

kahani ki shuruwat saal 3146 me hui thi, jisme sam ne Earth special force ki team se istifa de diya tha
Sam ki aisa karne se rokne ke liye uski dost Akshita use samjane ke liye uske ghar jaati hai, aur sam ko samjane ne baad voh dono vapas apne headquarters ki aur jaane lagte hai
lekin vapas jaane se pehle dono hi ek dusre se apne pyaar ka ijhaar karte hai

saal 3146 me pruthvi ke haalat ache nahi the, ZORIANS naam ke aliens ne puri dharti par apna aatank faila rakha tha aur unhe rokne ke liye earth special forces ko kamiyabi nahi mil rahi thi

lekin tabhi kuch aisa hua ki sam ko ek ummid ki kiran najar aati hai, jab dinosuars uss waqt me aakar zorians ko khatam karne lagte hai
pehle toh yeh sach nahi lag raha tha, lekin jab sam aur uski team ne isspar research kiya toh yeh malum hota hai ki dharti par alag alag jagah par time-portals samne aaye hai aur usi se yeh dinosaurs anjane me hi unke waqt me aajate hai

Sam yeh faisla karta hai ki time-portals kaam kese karte hai use ache se samajne ke liye use fir ek baar time-portals se jaana hoga, aur iss baar voh akshita ko apne saath le jaata hai, aur voh dono time-portals ki madad se 2018 ki saal me Mumbai aa pahuchte hai

2018 me bhi pruthvi ka haal karib unke waqt jaisa hi tha, unhe vaha par bhi zorians dikhte hai aur baad me unn dono ki mulaqat Aarav, Pathik aur unke dosto se hoti hai
past me aane par yeh pata chalta hai ki zorians bhi uss time portals ke jariye atit me chale aaye hai aur voh yaha par bhi tabahi macha rahe hai..Sam ko apne khoyi hui army ke baare me bhi pata chalta hai jo zorians ke saath yanha aayi thi..lekin ab voh bhi nahi bachi hai

uske baad Sam ki mulakat Manthan(Mayank) se hoti jo apne dimension Travel karne ki kahani batata hai, aur uske baad voh fir ek baar Earth-1 par jata hai apni watch ko sahi karane ke liye
lekin jab voh vapas gaya toh use pata chalta hai ki earth-1 tabah ho rahi hai..aur sirf itna hi nahi laute waqt use yeh malum padta hai ki pura multiverse khatam hone ki kagar par aa khada hua hai

Manthan ki mulaqat Trod se hoti jo use ZORIANS ki sachai batata hai ki voh 10 dimensions me sabse powerful race hai aur unse koi nahi jeet sakta..unki sirf ek hi kamjori hai TIME, jo ab tut chuka hai

Manthan vaapas earth-2 par aane ke baad dr avi ke pass jaata hai aur unn sab ko yeh malum padta hai ki doc avi ke time travel karne ki vajah se puri time line tut chuki hai, toh avi ke kehne par manthan, sam, paridhi aur siddhi vapas waqt me piche jaate hai
unka plan tha uss bhavishya se aaye hue avi ko rokna jo particle accelerator ki experiment ko rokne aaya tha, lekin aisa karne se rokne ke liye zorian aur time wraith dono vaha par aa pauchte hai aur sam aur manthan par hamla karte hai

zorian aur time wraith se bachkar siddhi avi ko rok deti hai lekin badle me use apna balidan dena padta hai
time wraith ke saath hui ladayi se manthan kaafi chotil ho chuka tha, Paridhi sam aur manthan vaha se vapas lautne ke taiyaaari kar rahe the ki achanak se unhe koi dikh jaata hai

Ab aage
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 41 (Ek aur Anokha Khel)

“hello..hello….koi sun raha hai..we need heeeeellllllllpppppp”
ek dard bhari awaaz ek baar fir uss room me gunj uthi, koi kuch samaj paata usse pehle hi jordar dhamake ki awaaz sunayi di aur dusre hi pal sab kuch ekdum se shaant ho gaya

“dammidd” iss dhamake ki awaaz sunne ke baad Bennet apne haath ko desk par marte hue chillaya “we lost another one”

“behave yourself bennet”
ek khaufnaak awaaz bennet ke kaano me padti hai, jise sunkar bennet samaj jaata hai ki uske pass kaun khada hai

“I am sorry commander, but I just can’t take it..yeh aaj ke din me panchvi baar hua hai, we are just loosing more and more” kehte hue voh apne commander ki aur mooda jo usse kuch duri par khada tha

Commander “I know it son, but filhaal abhi hum kuch nahi kar sakte, atleast jabtak sam aur akshita vaapas nahi aajate”

Bennet “sir, sam aur akshita kab vaapas aayenge hume nahi pata..voh vapas aayenge ya nahi mai toh yeh bhi nahi jaanta”

Commander “we can just hope ki voh jald hi vapas aajaye”

Bennet “I am sorry sir, par agar aise hi haalat rahe toh hum jyada din tik nahi payenge..almost humari earth puri tarah se tabah ho chuki hai”

Commander “mai majboor hu bennet”

Bennet “apko aisa kyu lag raha hai ki sam aur akshita dono vaapas aayenge..??”

Commander “mai nahi janta, par filhaal hum plan ke mutabik hi kaam karenge..atleast jitna waqt sam ne manga hai”

Bennet “sir, agar ese hi baithe rahe toh haalat aur kharab ho jayenge”

Commander “we have to take risk..agar use fail hona hota toh humne use kabka kho diya hota, but voh pehle bhi time-travel karke vaapas aaya hai..aur iss baar bhi voh jarur vaapas aayega”

Bennet “common sir, aap special force ke head hote hue bhi esi baate kar rahe hai..??”

Commander “mai janta hu bennet yeh baithe rehne ka time nahi hai..yeh action lene ka time hai..mai bas hamare plan ke hisab se chalne ke liye keh raha hu, jo uss din tay hua tha..jabtak 3 din pure nahi ho jaate mai yeh manunga ki sam aur akshita dono sahi Salamat hai aur unka mission abhi tak pura nahi hua hai”


Bennet nirasha bhari awaaz me kehta hai “sir chahta toh mai bhi yahi hu..but koi nahi janta ki yeh time-portals asal me kaam kese karte hai..aur…” voh bolte hue ruk jaata hai

Commander “just few more hours bennet, agar voh dono vaapas nahi aate fir mai yeh maan lunga ki hamara mission fail ho chuka hai”

Bennet “sir, with all your respect..mai bas yeh puchna chahta hu ki agar…agar voh dono vaapas nahi aaye toh hamara backup plan kya hoga..?? yeh ladayi jeetna hamare bas ke baahar hote jaa raha hai”


Commander kuch sochte hue “fir hamare pass OCULUS PROTOCOL ke use karne ke alawa aur koi rasta nahi rahega” usne saans chodte hue kaha aur screen par rahi tasweer ko dekhne laga jo pruthvi ki tabahi ko darsa rahi thi

Kuch der tak unn tasweero ko dekhne ke baad commander ne pucha “any news bennet..??”

Bennet “not yet sir”

Commander “anything”
usne apne sawal ko firse dohraya..iss ummid me ki shayad bennet iss baar kuch aur jawab de

Bennet “nothing sir, muje koi bhi energy signatures nahi mil rahe” iss baar usne apna jawab puri detail ke saath diya

Commander “keep looking” aur fir voh vaha se chale jaata hai aur bennet vahi baithkar kuch der ke liye apni aankhe band kar deta hai

Time : 3146, 11:00 PM, 3 din pehle
Location : Coronal City

“are you sure sam..?? tu sach me yeh karna chahta hai”
bennet ki awaaz sam aur akshita ke kaano me sunayi di

“bennet, hume yeh karna hi hoga..hamare ghar ke liye” sam ne apne kaan par pehni device par haath rakhte hue kaha

Bennet “dekh sam, tere mom dad ke khona ka dukh muje bhi hai..so please mai aakhri baar keh raha hu..gusse me aakar kuch aisa vesa naa kar dena jisse hume hi nuksaan ho”

Sam “mai thik hu..muje yeh karna hi hoga..ab yeh time-portals hi hamari aakhri ummid hai”

Bennet “you are the boss par yeh yaad rahe..agar kuch bhi gadbad hui toh tum dono fauran yaha vaapas aaoge”

Sam “don’t worry bennet, we will be fine..kuch nahi hoga”

Commander “sam..it’s my order”

Sam “right sir, I will return”


Commander ki awaaz sunkar Akshita ne jawab diya “aap fikar na kijiye sir, koi bhi gadbad hoti hai toh hum dono fauran vapas laut aayenge”

Commander “good, we are counting on you..good luck”

Sam “thank you sir, bas ek request hai, agar hum dono 3 din me vapas naa aaye toh samaj jaana ki hamara yeh mission fail ho gaya hai and we are dead”

Bennet “don’t ever talk like that, tuje yaha vapas aana hi hoga”

Sam “bennet, hume har tarah se prepare rehna padega, it’s war mere bhai”


Itna kehne ke baad sam call disconnect karta hai aur voh akshita ko dekhte hue uske haath ko pakadkar kehta hai “dar lag raha hai”

Akshita “muje bhi, par hume yeh karna hi hoga”


Sam haa mein apna sar hilata hai “right then, let’s do it” aur fir voh dono hi apni aankhe band karke uss portal ki aur badhe aur vaha se gayab ho gaye


Back to Headquarters
Commander aur bennet dono hi screen par dekh rahe the, screen par coronal city ka naksha tha aur ek jagah par do heat signatures dikhayi de rahe the..jo achanak se hi gayab ho jaate hai, jise dekhkar commander kehta hai “yeh heat signatures…”

Bennet ne uski baat ko pura karte hue kaha “voh dono sam aur akshita ke the”

Commander “that means they are gone”
uske baad voh vaha se chala gaya aur bennet apne kaam me lag gaya

Bennet lagatar coronal city par najar rakhe hue tha, aur uske saath me voh pure earth par uss unknown energy ko dhundhne ki koshish kar raha tha jo uss time-portals se nikal ke aa rahi thi…aur use karib 13 jagah esi mili jaha par bennet ko uss unknown energy ke traces milte hai



“I hope ki tum dono sahi Salamat ho” bennet ne uss pal ko yaad karte hue kaha jab sam aur akshita uss time-portals me gaye the, jiske baad voh apne kaam me lag jaata hai

Tabhi achanak se uss room me alert ka alaram bajne laga aur red light pure kamre me flash hone lagti hai, yeh dekh bennet fauran screen par dekhne lagta hai
Alaram ki awaaz sunte hi commander bhi uss room me aajata hai aur voh puchta hai “kya hua bennet”

Bennet “don’t know sir, muje kuch high intensity ke energy signals mil rahe hai”

Commander “kis tarah ke”

Bennet “unknown hai sir, aur voh aa rahe hai..”
voh bolte hue ruk jaata hai

Commander “kaha se..??” voh bhi screen ki aur dekhkar chup ho jaata hai kyunke uske sawaal ka jawab bennet ne pehle se hi screen par laa diya tha

Bennet “it’s time portals sir”

Commander “what’s happening out there”

Bennet “mai khud nahi janta sir, iss tarah ke signals muje aajse pehle kabhi nahi mile”

Commander “muje uss jagah ke fauran satellites images chahiye”

Bennet “already working sir”
ne apne samne rahe hologram screen par kuch buttons ko touch kiya aur ek badi si image coronal city ki uss screen par aagayi

“Yeh vahi jagah hai jaha par sam aur akshita ko akhri baar dekha gaya tha” screen par rahi tasweer ko dekhte hue bennet ne kaha

Commander aur bennet dono hi ektak unn tasweero ko dekhe jaa rahe the, halaki screen par kuch saaf dekhayi nahi de raha tha…lekin unn tasweer ko dekhkar koi bhi bata sakta hai ki vaha par ho kya raha hai

Uss jagah par dhool ka bhawandar bana hua tha jo har second aur bhi bhayankar banta jaa raha tha, tabhi achanak se uss jagah par alag alag gatividhya hone lagti hai..achanak se uss jagah hawa me hi ek ajeeb tarah ki Roshni dekhayi deti hai, jo kuch hi pal me golakar me tabdil ho gayi aur uss golakar ke charo aur alag alag rang ki Bijli kadakne lagti hai
thik uss golakar ke bich me gehra andhera jama hua tha…lekin yeh andhkar bhi jyada der naa ruka aur andhere ko chirte hue ekdum se ujala ho gaya aur joro se dhamaka hone laga

Dhamaka hote hi kuch pal ke liye screen puri tarah se blank ho gayi, Bennet alag alag tarike se uss jagah ki tasweer ko dekhne ki koshsh kar raha tha lekin use kuch nahi mila

Commander “what the hell was that”

Bennet “it’s nothing sir”
ne hakalate hue apna jawab diya

Bennet ke ese jawab par commander ghurate hue kehta hai “uss jagah par muje ek dhamaka hote hue dikha aur tu keh raha hai it’s nothing”

Bennet “sir, mere kehne ka voh matlab nahi tha, I mean to say voh time-portals..uski voh energy..”
voh bolte hue ruk jaata hai

Commander “kya..??” shayad use anuman ho gaya tha ki bennet kya kehna chahta hai, isiliye iss baar uske awaaz me narmi ke saath saath halka sa darr tha

Bennet “sir, voh time-portals nahi rahe..they are just completely vanished”

Commander “it’s impossible..kya yeh Zorians ka kaam hai..??”

Bennet “nahi sir, Zorians iss waqt apne ship me hai, they are not here”


Commander kuch bolne jaata uske pehle hi uss screen par fir ek baar tasweer aane lagti hai, jo waqt ke saaath ekdum saaf hoti chali gayi

Kuch der pehle jo dhool ka toofan tha voh ekdum se shant ho chuka tha, jo Bijli uss jagah chamak rahi thi voh bhi ab puri taraf se band ho gayi thi, aur vahi bennet lagatar dusri screen se unn time-portals ko dhundhne ki naakaam koshishe kar raha tha

Bennet “yeh nahi ho sakta, no no no no…” voh teji se bahut sare commands ek saath de raha tha, lekin samne se jawab har baar negative hi aa raha tha

Commander “are you sir bennet, ki voh time portals ab nahi rahe..??”

Bennet “sir, jo energy signals muje abtak mil rahe the voh achanak se gayab ho chuke hai..aur sirf itna hi nahi, yeh dekhiye”
usne alag alag do tasweer uss screen par khol di “sir yeh pehli tasweer dhamake ke pehle ki hai aur dusri abhi ki”

Commander ne uss tasweer ko dekhte hue pucha “yeh hai kya..??”

Bennet “sir, maine uss energy ki intensity ko naapne ke liye kuch algorithms banaye the, yeh usi ka result hai..achanak se hi aaj uss energy ki intensity ekdum se badh jaati hai aur fir ab zero”

Commander “tune kaha tha ki pure planet par karib 13 time-portals hai, uska kya hua..??”

Bennet “har jagah same result hai sir”

Commander “yeh kese possible hai..?? time-portals ka apne aap samne aana aur fir ese hi apne aap gayab ho jaana..kuch toh hai jo hum samaj nahi paa rahe”

Bennet “pata nahi sir yeh sab kya ho raha hai, but agar yeh sach hai toh sam aur akshita kabhi vaapas nahi aa payenge”

Commander “keep trying son, ho sakta hai hamari satellites kaam nahi kar rahi”

Bennet “sir, hume kese bhi karke unn time-portals ko firse activate karna hi hoga..varna sam aur akshita ki vajah se puri time-line bigad sakti hai”


Commander ne apne watch me time dekhte hue kaha “then I think it’s time to use OCULUS PROTOCOL”

Bennet “right sir, I will start it’s procedure, lekin usse pehle mai ek akhri baar time-portals ko dhundhne ki koshish karnunga”

“it won’t work bennet, time portals jaa chuke hai”
ek awaaz bennet aur commander ke kano me gunjti hai

Voh dono hi turant piche mudkar dekhte hai toh unhe sam buri haalat me khada dikhayi padta hai, voh dono kuch bol paate usse pehle hi sam vahi par gir pada aur behosh ho gaya

Sam ke girte hi uske baaju me khadi akshita fauran niche baith gayi aur sam ki nabs dekhne lagti hai
Yeh sab itni jaldi me hua ki bennet aur commander kuch pal ke liye putle ki tarah khade rehte hai, lekin jab akshita ki awaaz unn dono ke kaano me padti hai toh voh fauran harkat me aajate hai “bennet, please help him”

Bennet fauran sam ke pass gaya, aur akshita ke saath milkar sam ko medical room me le gaya, aur vaha uski treatment AI’s ke jariye shuru ho jaati hai

Commander “how is this possible..??”

Bennet “tum dono yanha achanak kese..?? aur voh time-portals..unka kya hua..?? mai unn time-portals ko ab trace nahi kar paa raha hu”

Bennet ki baat sunkar akshita aur bhi jyada pareshan ho jaati hai. “what..?? mai nahi jaanti bennet, infact muje toh yeh bhi nahi malum ki hum yanha kese aagaye..?? it’s just impossible”
voh haklate hue kehti hai

Commander ko kuch shaq hota hai “who are you..??”

Akshita “sir it’s me, Akshita”
uske saath hi vaha par ek AI ki awaaz gunjti hai “identity confirmed”

AI ki baat sunne ke baad Commander thode normal ho jaate hai aur akshita se sawaal karte hai “yeh sab ho kya raha hai..??”

Akshita “sir..yeh toh muje bhi nahi malum, but agar hum yanha par hai toh matlab saaf hai ki hamari time-line thik ho chuki hai..par dusri aur yeh impossible hai..hume yanha nahi hona chahiye tha”
voh bahut hi jyada pareshan thi

Bennet “tere kehne ka kya matlab hai..?? vanha par hua kya tha..?? sab thik toh haina”

Commander “time-line thik ho gayi hai..iska kya matlab tha”


Akshita ke liye yeh sab samaj paana bahut muskil tha, shayad isiliye usne dono ko sabkuch batana shuru kar diya..har ek ghatna ko batane ke baad usne kaha “isliye maine kaha ki time-line thik ho chuki hai..shayad” fir voh rukkar kehti hai “lekin agar aisa hota toh hum yaha nahi hote..kyunki Mayank ne already yeh kaha tha ki hum vaapas kabhi bhi apne ghar nahi jaa sakte”

Bennet halke se haste hue kehta hai “heh, pehle time-portals, time travel, uske baad Dimension travel aur last me universal dominators, mai pagal ho jaunga”

Bennet ki baad sunne ke baad commander aur akshita dono uski aur dekhte hai, Akshita “shayad ab sam hi kuch bata sakta hai ki past me aisa toh kya hua ki hum dono yanha aagaye”

Commander “usko thik hone me kitna time lagega..??”

Bennet “sir, sam ki haalat bahut kharab hai, use thik hone me kam se kam 6 hours jayenge”

Commander “hamare pass utna waqt nahi hai”

Bennet “I am sorry sir, mai kuch nahi kar sakta”

Akshita “bennet, I think muje teri madad chahiye”

Bennet “haa bolna”

Akshita “agar timeline sahi ho gayi hai toh kya pata hume past me kuch mil jaaye..ho sakta hai ki uss hadse ke baare me hi hume kuch mil jaaye”

Bennet “good idea, let’s go”
jiske baad voh dono vapas uss room me chale jaate hai aur commander kuch der vahi rukkar apne cabin me chala gaya

To be continued….
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,534
31,893
244
romanchak update ....bennet aur commander pareshan the sam aur akshita ke liye ..
aur achanak saare time portals gayab ho gaye aur ghayal sam aur akshita unke saamne aa gaye ..
aisa kya hua ki portals gayab ho gaye aur dono apne time me vapas aa gaye 🤔..

akshita ko kuch samajh nahi aa raha par shayad sam kuch bata paaye 🤔..

aur ye timeline bhi theek kaise ho gayi dekhte hai ..
 
  • Love
Reactions: Milan2010

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
romanchak update ....bennet aur commander pareshan the sam aur akshita ke liye ..
aur achanak saare time portals gayab ho gaye aur ghayal sam aur akshita unke saamne aa gaye ..
aisa kya hua ki portals gayab ho gaye aur dono apne time me vapas aa gaye 🤔..

akshita ko kuch samajh nahi aa raha par shayad sam kuch bata paaye 🤔..

aur ye timeline bhi theek kaise ho gayi dekhte hai ..
:thanks: DARK WOLFKING bhai :dost:
filhaal isska jawab mere passs bhi nahi hai bhai
agar aapko malum pade toh muje bhi batana ki yeh time portals kese gayab ho gaye
dekhte hai sam kya batata hai
saath bane rahiye :dost:
 
  • Love
Reactions: DARK WOLFKING

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 42 (Jung ka Elaan)

“akshita”
jor se chillate hue sam apni neend se uth khada hua aur joro se haanfne laga

Kuch der tak use dhundla sa sab dikhayi de raha tha, iss vajah se voh yeh tay nahi kar paa raha tha ki voh iss waqt kaha hai, voh apne haatho se aankhe malte hue idhar udhar dekhne ki naakam koshish ae kar raha tha, voh lambi lambi saanse lete hue khud se hi bolta hai “yeh…yeh ho kya raha hai mere saath” voh atak atak kar bolta hai

Jab kuch der baad uski aankho se voh dhundlapan hata toh usne apni najar charo aur daudayi aur sab dekhte hi voh samaj gaya ki voh iss waqt kaha par hai “what the hell” kehte hue voh uss bed se khada hota hai lekin voh do kadam bhi nahi chal paaya aur ladkhada kar vahi gir pada

Kuch der me bennet, akshita aur commander uss room me aate hai aur sam ko jameen par gira hua dekhte hi Akshita fauran uske pass jaakar use sahara dekar uthane lagti hai “tuje aaram karna chahiye sam”

Sam gehri saanse lete hue bola “yeh waqt aaram karne ka nahi hai, we are in big trouble”

Commander “baat kya hai sam”


Sam ne ek baar apni najar bennet aur commander par dali lekin voh kuch bol nahi paaya aur firse behosh hokar gir pada
Akshita ne bennet ka sahara lekar sam ko vapas bed par laita deti hai aur baad me sam ke pass hi baith gayi, jabki bennet aur commander control room me vaapas chale jaate hai

Commander “any update”

Bennet “kuch nahi hai sir, maine hamara pura database check kar liya..20 October 2016 ko kuch hua hi nahi tha, I mean particle accelerator ke experiment ke baare me toh details maujud hai..lekin jo kuch akshita ne bataya aisa kuch bhi hamare records me available nahi hai..aur naa hi pure history me kabhi kisike time machine banana par ya kisi ke dimension travel karne ki bhi koi details nahi hai”

Commander “iska kya matlab ho sakta hai bennet”

Bennet “sir..iske liye mere pass 2 theories hai, pehli yeh ki sam aur akshita time-travel naa karke koi dusri earth par chale gaye the”

Commander “bennet iska matlab samaj raha hai..?? iska matlab to yeh hua ki voh time portals ek nahi balki do se bhi jyada earth’s ko ek dusre se connect karte hai, kyunki dinosaurs bhi jo hamari duniya me aate jaate hai..aur kitne honge iske baare me koi nahi janta”

Bennet “right sir”

Commander “aur tere study ke hisab se hamari pruthvi par ese total 13 portals hai..toh kya mai yeh maan lu ki hamari duniya aur 13 duniya se jud chuki hai…jaha se keval 2 hi pruthvi se jeev idhar udhar ho rahe hai”
iske baad kuch der ke liye dono shant rehte hai

“aur dusri theory kya hai..??” commander ne ussi chupi ko todte hue apna sawaal rakha

Bennet “yahi ki jo kahani akshita ne batayi voh puri tarah sach nahi hai, I mean sir mai yeh nahi keh raha ki jo akshita ne kaha voh galat hai..bas time line ke thik hone ki baat muje sahi nahi lag rahi”

Commander “aur inn dono mese konsi theory sahi hai..?? what do u think..?? kyunki bina proper expalanation ke hum yeh tay nahi kar payenge ki aakhir me sachhayi kya hai”

Bennet “pata nahi sir, yeh toh ab sam hi bata sakta hai”

Commander “hum itna wait nahi kar sakte..agar jo akshita ne bataya hai voh sach hai toh we are dead already”

Bennet “sir, agar akshita ne jo kaha voh sach hai toh yeh saari baate off record hui hai..uski jaankari milna impossible hai..atleast hamare liye..so hume sam ka wait karna hi padega”


After 50 minutes

Sam ko dubara se uss bed par sulane ke baad Akshita usi ke pass rehti hai, aur voh sam ka haath pakadkar vahi baithkar apne atit ki duniya me ghum ho jaati hai
Sam ke saath bitaye hue har ek lamhe ko voh firse jee rahi thi..lekin shayad kudrat ko yeh manjur nahi tha..voh sam ka haath pakde hue hi baithe baithe bed par sar rakhkar so jaati hai

Aisa hona ke piche bhi ek kaaran tha..pichle dino me hui vardaato se voh puri tarah thak chuki thi..aur kehte haina insaan kitna hi jiddi kyu naa ho..sharir ke samne use apne ghutne tek hi dene padte hai..apne pyaar ke saath hone par insaan apne aap hi bekhauf ho jaata hai..shayad yahi vajah thi Akshita kuch hi der me sam ke pass so jaati hai

Sam ke hosh aane par sabse pehle voh akshita ko dekhta hai, jo uska haath pakde hue vahi par uske bed par sar rakhe soyi hui thi aur sam use kuch der ke liye aise hi dekhte rehta hai

Iss tarah sone ki vajah se akshita ke chehre par uske baal aagaye the, jise dekh sam akshita ke chehre ko dekhta rehta hai aur fir kuch pal baad usne apne haatho se akshita ke chehre se baal hataye..Sam ke aisa karte hi akshita ki neend tut jaati hai aur voh turant hi uthkar sam ki aur muskurate hue dekhti hai “ab kesa feel ho raha hai..??”

Sam “tum saath ho toh bhala muje kya ho sakta hai..mai thik hu, hume commander ke pass jaana chahiye”

Akshita “nahi sam, iss waqt tuje rest karna chahiye”


Sam ne pyaar se apne haath ko akshita ke chehre par rakha aur kaha “relax aksh, mai bilkul thik hu” uske baad akshita ne sam ko gale se lagaya aur fir voh dono command room me chale aate hai jaha pehle se hi bennet aur commander dono hi maujud the

Bennet ne sam ke aate hi usse pucha “kesa hai mere bhai”

Sam “tere samne hu”
sam ne haste hue kaha

Bennet “so tu nahi maana na, aakhir tune time travel kar hi liya”

Sam ne vese hi muskarate hue haa mein apna sar hilaya aur fir commander ki aur dekhte hue bola “mai janta hu sir, aap kya soch rahe hai”

Commander “well, agar janta hai toh shall we proceed”

Sam “right sir..”
voh aage kuch bolta uske pehle bennet uski baat ko bich me hi kaatte hue bolta hai “first of all, congrats..iss mission ko successful banana ke liye”

Sam “well bennet, kaam abhi pura nahi hua hai..aur muje nahi lagta ki hum kabhi bhi ZORIANS se jeet payenge”

Bennet “haa suna bhai, 10 dimensions, UNIVERSAL DOMINATORS..toh kya hum haar maar le”

Commander “aakhir CDC lab me jaane ke baad hua kya tha..?? kya tumhara plan kamiyab hua..??”


Commander ke iss tarah se direct sawal se Sam ek pal ke liye unko dekhne lagta hai, aur fir voh batata hai jo kuch unke saath CDC lab me hua tha

Year 2016
Waqt : Siddhi ki maut ke baad
CDC lab me


Siddhi ke mare ne baad Manthan emotionally tut chuka tha, aur time-wraith se hui ladayi se voh chotil ho gaya tha, Lekin shayad yeh waqt inn sab ke liye nahi tha, Sam ne haalat ko samjate hue kaha “manthan, I think we need to leave, agar voh dusra Avi aagaya toh gadbad ho jayegi”

Paridhi ne sam ki baat ko sunkar Mayank ki aur dekha, “lekin manthu ko iss haalat me yanha se kese le jayenge..??” uski awaaz me mayank ke liye dard saaf sunayi de raha tha

Sam “I don’t know, but we have to move..hum jitni der yaha rukenge time line utni jyada bikhar ti jayegi, aur yeh bhi ho sakta hai ki hamari mehnat aur siddhi ke balidaan par paani fir jaaye”

Iske baad sam aur paridhi milkar Mayank ko uthate hai, aur mayank ruansi awaaz me dard me kahrate hue bola “siddhi ko hum yaha nahi chod sakte”

Mayank ki baat sunkar voh dono hi ruk jaate hai aur ek baar Siddhi par najar daalte hai, pari ne sam se kaha “tum siddhi ko le lo, mai Manthan ko sambhal lungi”

Sam “are you sure Pari..??”


Pari sirf haa mein apna sar hilati hai lekin boli kuch nahi, aur fir sam mayank ko paridhi ke hawale kar Siddhi ke sharir ko uthata hai ki tabhi unn logo ko ek awaaz sunayi deti hai “who the hell are you” lekin fir jab uski najar Mayank aur Paridhi par gayi toh voh bola “yeh sab kese hua..?? aur tum dono yanha kya kar rahe ho..??”

Insaan bhi kitne ajeeb hote haina..?? darr ke aage hum khud ke dard ko hi bhul jaate hai, Mayank ke saath bhi kuch aisa hi hua..vese toh voh Pari ke sahare apni aankhe band kiye hue chal raha tha..lekin jab uske kaano me jaani pehchani si awaaz padti hai toh voh ek pal ke liye ruk jaata hai..ladkhadate hue hi sahi..lekin ek pal ke liye voh pari se ek kadam aage badh gaya..mayank ko jis chiz ka darr tha vahi hua..aur apni mehnat aur apne dost ki kurbaani ko jaaya hote dekh voh muskil se hi sahi par apni aankhe kholne ki koshish karta hai

Mayank ki haalat aisi nahi thi ki voh apni aankhe khol paaye, lekin fir bhi apne dard ki parwaah kiye bina apni aankhe kholne ki koshish karta hai..aur apni ardh khuli aankho se hi samne khade uss AVI ko dekhta hai jo iss waqt aakhri round maarne uss pipeline me aaya tha

Sam ne siddhi ke shav ko utha jarur liya tha, lekin voh bhi iss waqt kuch samaj nahi paa raha tha..dil me darr tha ki ab kya hoga..?? itni mehnat karne ke baad bhi agar voh safl nahi hue tohi ska anjaam kya hoga..?? Samne khade avi ko dekhkar voh yeh tay nahi kar paa raha tha ki voh inn sabko lekar vanha se kese nikle..aur sabse bada sawaal toh yeh tha ki AVI ko kese samjaye ki voh log yanha par aaye kyu the..??

Koi kuch bolta uske pehle hi uss jagah par tej Roshni ki dhaar nikali..jisne palak japakte hi uss pure pipeline me kabja kar diya…uss Roshni ki tivrata itni jyada thi ki sabhi logo ko apni aankhe majubarn hi band karni padi..aur fir voh hua jo shayad asambhav tha

Back to Present
Itna bolte hi Sam chup ho jaata hai..voh apni baat khatam kar chuka tha..sam ki baat sunne ke baad kuch der ke liye control me sannata chahta rehta hai, jise Bennet apne mann me umad raha sawal ko puchkar todta hai “aisa toh kya hua tha..??”

Sam “muje nahi pata bennet, jab maine aankh kholi toh hum yanha par the..aur uske alawa muje kuch bhi yaad nahi”


Bennet ajeeb si shakal banate hue kehta hai “bas aivay, ek Roshni hui aur tum dono yaha”

Akshita “mere saath toh aisa kuch nahi hua, ek pal ke liye mai asmaan ki aur dekh rahi thi..aur dusre hi pal me mai yanha”

Bennet “iska kya matlab ho sakta hai..??”

Sam “sach kahu toh ab mai kuch soch hi nahi paa raha..jo kuch bhi hamare saath atit me hua use naa chahte hue bhi muje manna pad raha hai, jo baate jo chize hum insaano ne aajtak sikhi hai voh saari ki saari galat saabit ho rahi hai”

Akshita “aur itna hi nahi..kisne socha tha ki yeh Zorians mamuli alien naa hokar kuch aur honge”

Sam “shayad itihas me isiliye yeh kaha gaya hai ki insaan kudrat se hamesa piche hi rahega”


Commander ne gehri saans lete hua kaha “insaan hamesa yeh bhul jaata hai ki kudrat ne use banaya hai..naaki insaan ne kudrat ko”

Akshita “bilkul sahi kaha commander”
fir voh kuch rukkar “par ab hume kya karna chahiye..??”

Akshita ke iss sawal par koi kuch nahi bola, kyunki shayad ab bolne ke liye kuch bacha hi nahi tha, akshita ne sam ka haath pakadte hue uski aankho me dekhkar kaha “sam kuch toh bol, kya yeh hamara ant hai..?? kya yeh insaaniyat ka ant hai”

Sam “aksh, hum yeh jung nahi jeet sakte..hum kudrat ke niyamo ke saath ulaj nahi sakte..agar kudrat ne chaha ki use insaano ki jarurat hai toh hum yeh ladayi jarur jeetenge”

Bennet “comman sam, yeh kudrat yeh niyam, tu inn sab ko kabse manna laga”

Sam “mere bhai, tu maan yaa naa maan, lekin mai yeh jaan chuka hu ki insaan sirf ek kathputli hai, hume unse nahi ulaj na chahiye jiski vajah se hamara astitva hai”

Bennet “toh kya hamara ant hai..??”


Bennet ka itna bolna tha ki achanak se control room ki sari lights band ho jaati hai aur unn charo ke samne Zorian ki ek hologram parchayi aati hai jo ZORIAN ke General ki thi..aur use iss tarah apne samne dekh sab ke sab heran reh jaate hai

General “hello earthlings”

Commander “kya chahiye tumhe”

General “humne insaano ko pehchan ne me galti kar di, jitna socha tha..tumlog usse bhi jyada samajdar ho..par itna kaafi nahi hai..rahoge toh fir bhi tum low level planet se hi”

Sam “Zorians ka army general..voh bhi hamare control room me”
apna sar naa mein hilate hue “sirf yeh batane ke liye itni mehnat toh nahi karega..so tell me what do you want..??”

Sam ke iss sawal ka jawab General ne narmi se diya “SAM..abtak toh tumhe yeh samaj aahi gaya hoga ki tum log humse nahi jeet sakte”

Sam ne rukhe hi swaar me kaha “ha toh..?? isse yeh saabit nahi hota ki humne haar maan li hai”

General “kamaal hai, sach jaan ne ke baad bhi itni akad, I am impressed”

Akshita “hamara pass tumhare yeh bakwaas sunne ka waqt nahi hai”


General haste hue kehta hai “waqt, hahaha, waqt hi toh nahi hai, kaash ki waqt hota”

Sam yeh sunnkar gusse me aajata hai, voh muthi bharte hue bola “toh voh tum the, tumne kiya hamara saath aisa”

General “samajdar ho, ek mauka de raha hu, abhi bhi waqt hai haar maan lo aur yeh grah hamare hawale kar do..varna anjaam bhugatna padega”

Sam “mai nahi darta tumse”

General “kaafi himmat hai tere me, lekin darna chahiye tuje”

Sam “dar uss chiz se lagta hai jo mere samne ho…mai usse nahi darta jo chupkar vaar karta hai”


Sam ke bolne par akshita bhi uske saath bolti hai “sam ne sahi kaha, hum tumse nahi darte..ladenge hum..aakhri saans tak ladenge”

Bennet “chahe kuch bhi ho jaaye…hum apne ghar ko tumhare hawale kabhi nahi karenge”

General “hahahaha, kese haraoge hume..tum kamjor ho..insaan kamjor hai..bilkul tumhare planet ki tarah”

Sam “muje usse koi farak nahi padta ki hum tumhare najar me konsi sthan par hai..hum kamjor hai ya tum taqatwar yeh toh waqt hi bataega”

General “thik hai fir, jesi tumhari icha..ab tumhare iss chote se grah ko koi nahi bacha sakta..shayad tum yeh bhul gaye ho ki tumahre saath kya hua tha”

Sam “muje usse koi farak nahi padta, mai bas itna janta hu ki maine tumhe uss waqt me bhi roka tha, aur mai tumhe iss waqt me bhi rokunga”
Sam muthi banakar gusse me kehta hai “tumne mere mom dad ko maara hai, bujdil ho tum..aur kaayar log hi chipkar vaar karte hai”

Sam ki iss baat par general ko bahut gussa aata hai “ladke, tu jaanta nahi hai kisse baat kar raha hai, agar maalik ne yeh sun liya hota toh ab tak tu hamare samne nahi khada hota”

Sam “hai taaqat toh samne aakar lado, jo galti mom dad ne ki thi voh mai nahi dohraunga”


General haste hue kehta hai “teri yeh ichha jarur puri ki jaayegi, aakhir me marne valo ki akhri khwasih puri karni chahiye” fir kuch rukkar “thik hai, 2 din ke baad hamari mulaqat hogi..aur usi din hoga dharti ka ant” jiske baad voh hologram band ho jaata hai aur control rooms ki sari light firse on ho jaati hai

Akshita “ab hum kya karenge..?? jo itne mahino me hum nahi kar paaye voh 2 din me kese hoga..??”

Zorian ki baat sunne ke baad sabhi log pareshan the, siway sam ke..jise dekhkar Bennet kehta hai “tu itna chup kyu khada hai mere bhai..??”

Akshita “tere dimaag me chal kya raha hai”

Sam “sir, we need to use OCULUS PROTOCOL”
usne commander ki aur dekhte hue kaha

Commander ispar kuch nahi bola toh sam kehta hai “sir, mai janta hu ki mai kya maang raha hu, but I have a plan..please commander muje OCULUS PROTOCOL istemaal karne ki ijjajat dijiye”

Commander “what is your plan..??”

Sam “sir, iss general se baat karne ke baad mai sure ho gaya hu ki mere aur akshita ke vapas aane ka karan yeh zorians hi hai”

Bennet “par kese..??”

Akshita “kyunki maine aur sam ne past me rukna ka faisla kar diya tha” voh kuch samajte hue kehti hai “aur Zorians aisa kabhi nahi chahenge ki unke dushman kuch aisa kare”

Sam “exactly..zorians jitna time se darte hai utni hi time ki kadar bhi karte hai..shayad yahi vajah thi ki unhone hume vaha rehne nahi diya”

Bennet “bhai..yeh toh samaj me aagaya..lekin yeh tu bhi janta hai ki zorian time-travel karne se sakht khilaaf hai”

Sam “exactly, par time bacha hi kaha hai..voh toh Doc Avi ke time-travel karne ki vajah se tut chuka hai..aur jab hum uki galti sudharne ke liye gaye toh kya hua..?? sabse pehle vala Aviv aha par aagaya tha..shayad yahi vajah rahi hogi ki manthan ko use sab kuch batana pada aur isiliye Zorians ne hum vaha se time-shift kar diya”

Bennet “ho sakta hai..ya yeh bhi ho sakta hai ki hum jo soch rahe hai voh galat hai”

Commander “nahi bennet, shayad sam sahi keh raha hai..agar aisa kuch nahi hua hota toh hum abhi yanha rehkar yeh nahi soch rahe hote ki hume aage kya karna hai”

Sam “yeh final ho chuka hai ki time-line thik nahi hui hai, toh saaf hai ki agar hum time me piche jaakar kuch bhi karenge toh uska asar hamari time-line par nahi hoga”

Akshita “par manthan ne toh kaha tha ki time ko kabhi toda nahi jaa sakta”

Sam “exactly..mai bhi toh yahi keh raha hu…hamara time thik nahi hua hai..lekin fir bhi hum vapas apne waqt me laut aaye hai, iska matlab samaj rahi hona..??”

Akshita “kuch toh aisa hai jo hamari samaj ke baahar hai”

Sam “muje nahi lagta ki Zorians ko iss baat ka andaaza hai, varna yeh hamare time-travel karne par kabka hume khatam kar chuke hote..na aki hume yanha vapas laate”

Akshita “par hum jayenge time-travel karke jayenge kaha..??”

Sam “we need to go back to 2018, hume manthan ki madad ki jarurat padegi”

Bennet “how..?? voh hamari madad kese karega…??”

Sam “hume kese bhi karke hamari time-line ko thik karna hoga..aur sirf vahi ek banda hai jo yeh karne me hamari madad kar sakta hai”

Akshita “aur uske baad hum vahi ruk jayenge..taaki aane waale waqt ke liye hum pehle se taiyaar rahe..insaano ke pass 1100 saal honge yeh sochne ke liye ki hum Zorians ko kese harayenge”

Commander “toh fir der kis baat ki, go on, mai tumhe OCULUS PROTOCOL ke use karne ki puri izazat deta hu”


To be continued…
 
Top