• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy SOLO LEVELING

Story aapko kaisi lagi ?

  • Bahut achi lagi .

    Votes: 300 93.8%
  • Thik thak hi hai .

    Votes: 20 6.3%

  • Total voters
    320

sorbobhuk

Well-Known Member
2,355
5,554
158
UPDATE NO - 124
BACK TO THE START



Ab tak aapne dekha dosto ki kaise Aayat aa kar mujhe Ajay ka massage deti hai. Jise sunane ke baad mai apne power ke source ke bare me pata karne ke liye nirnay le leta hu. Wahi agle din ek Raid me Shubham mujhse Japan ke S Rank DENGEON ke bare me puchta hai. Lakin mai mana kar deta hu. Quoi mujhe double layer wale DENGEON me jana tha. Wahi Japan me Yuri Orlove aa kar SHORTSWORD guild se milta hai.



AB AAGE.....


Sugimoto shocked se Yuri Orlove ko dekhte hue khta hai " 10 million dollars ek din ke liye !? "

Yuri Orlove ek evile smile ke sath " Tum 3.6 billion dollars de kar apne country ko save kar skte ho. "
" Aisa nahi hai ki mai Sandy ki tarah 36 trillion dollars maang raha hu. "
" Mere hisab se to ye kafi cheap hai. "

Minoru Hoshino jo ki Sugimoto ke piche santi se khada tha wo bina koi reaction diye dhire se apne bagal me khadi Kanae tum to thodi Russian bol leti ho na ? "
" Aakhir Abhi is bewde ne kya kaha ? "

Kanae Tawata samne dekhte hue " Mai sure nahi hu, lakin itna pata hai mujhe ki yaha kuch bhi sahi nahi hai. "

Yuri Orlove haste hue " To, tum 10 million dollars per day me apne country ko buy kroge ya sirf kuch paiso ko bachane ke liye apne country ko musibat me jane doge ? "


BWAHAHAHAHA......

Yuri Orlove thode bhari tone me " Tmhe kya lagta hai ki tumhare paas abhi bhi select karne ka aur mere samne kud ko show off karne ka chance hai ? "
" Agar tm mere boots ko lick karte hue bhi aisa karne ke bare me sochoge to bhi aisa nahi hoga. "

Sugimoto, Yuri Orlove ko ektak ghurte hue kahta hai " To tmne apne abilities par bahut jyada confidence hai tabhi tumne to tmne ye baat hmare samne kahne ki himmat ki hai. "

Yuri Orlove " Of course ! "
" Tmhare piche jo losers khade hai. Aise 100+ log bhi mere liye kuch bhi nahi hai. "
" Hme is baat par matbhed to bilkul bhi nahi karna cahiye, ye to tum jante hi hoge. "

Minoru Hoshino gusse me Yuri Orlove ki taraf dekhte hue " Isne just abhi hmari insults ki hai. Hai na ? "

Kanae Tawata bhi gusse me apne red color ki ho rahi aakho ke sath Yuri Orlove ko dekhte hue turant hi kahti hai " Jane kya kaha wo to mujhe smjha me nahi aaya. "
" Lakin iski baato ka kya Matlb hai ye mujhe bahut achi tarah se smjh me aa gaya hai. "

Abhi wo dono gusse se kuch karte usase phle hi unhe apne charo taraf ek bahut hi powerful pressure feel hone lagta hai. Aur wo presan ho kar charo taraf dekhne lagte hai. To unhe apne charo taraf ek purple color ka powerful ghera dikhayi deta hai.

Tabhi ekdam se Yuri Orlove jiski aakhe is time light green color ki glow ho rahi thi aur jo ki apne right hath ko aage karke baithe hue hi aaram se ye pressure ka ghera banaya hua tha wo kahta hai " Tum log dekh skte ho ki mere bina anumit ke tum log ek step bhi hil nahi skte ho. "
" Tum log agar isase bahar niklne ke liye try karna cahte ho to tum try kar skte ho. "

Minoru Hoshino aur Kanae Tawata dono apni puri power ke sath, puri strength laga kar us pressure ke gole ko todne ki kosis karte hai. Lakin sb bekar rahta hai wo to apni ek finger bhi nahi move kar paa rahe the.

Minoru Hoshino bahut baar try karne ke baad Yuri Orlove ko dekhte hue apne man me sochta hai ' Aakhir isne hmari movement ko hi kaise restricted kr diya. Jabki hum dono S Rank hunturs hai. '

Kanae Tawata dusri taraf shocked se soch rahi thi ' Dhat teri ki ! Ye to aisa feel ho raha hai ki jaise mujhe kisi ne puri tarah se bahut tightly bandh diya ho. '

Ye sun dekhne ke baad Yuri Orlove, Sugimoto ki taraf dekhte hue ek evil smile ke sath kahta hai " To mai tumhare S Rank gate ko sambhal lunga. Aur mai in dono idiots ko bhi jane de raha hu wo bi bina kisi extra charge ke. "
" Kya kahte ho is bare me ? Mere hisab se tumhe is baat se satisfied ho. "


SINGH....

Sugimoto ek lambhi saas chorte hue apni aakhe band krke niche dekhte hue kahta hai " Maine just abhi tmhari ability ko confirm kiya hai. "
" Halaki hmari government itne jyada khrche ke liye approval deti hai ya nahi wo ek alag matter hai.... "
( Apne man me ) ' Mai aashcharya chaki hu ki hma logo iski ability par bhrosa karne ke alawa aur kuch nahi kar skte hai. '
" Nahi sub thik hai. "
" Kya tum mujhe ijajat doge ki mai in sub ki ek Report bana lu ? "

Yuri Orlove smile karte hue " Ha kyu nahi. Jao ja kar apna kaam karo. "



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


RIDER HOUSE
NEXT DAY MORNING


Mai is time apne ghar me hall me sofe par baith kar apne jute ke diye baand raha tha. Is time maine ek black full sleeve wala t-shirt pehna hua tha aur ek black full cargo Jens bhi.

Mai " Mai ja raha hu. "

Tabhi piche se meri Maa aati hai jo mujhe hi jute ke leases tie karte hue mere back ko dekh rahi hoti hai. Fir kud der dekhne ke baad bade hi pyare voice me kahti hai " Beta. "
" Tumhari Mom ko kisi chij ko le kar chinta karne ki to koi jarurat nahi hai na ? "

Ye sun kar mai apni aakhe ek pal ke liye band krta hu fir kahta hu " Ye bhi koi kahne ki baat hai. "
" Aapko, meri fikar karne ki koi jarurat nahi hai. "
" Mera aaj bas kisi ke sath ek appointment hai. "


KHTAK.....

Fir mai door open krke bina mude bahar nikalte hue kahta hu " Mai thodi der me wapas aata hu. "

Fir mai apne Building ke bahar aa jata hu.


DING....


{ [ NAME : LAYERS KI BANI HUI TEMPLE KI KEY ]
[ DIFFICULTY LEVEL : ?? ]
[ ITEM TYPE : KEY ]
[ • Ye key user ko Layer wali Temple me jane ke liye allow karta hai.
• Is key ko iske choose kiye hue Gate me hi use kiya ja sakta hai.
• Gate ki location ek nishchit samay ke baad batayi jayegi.

• Time Remaining : 0 hour 1 minutes 2 second ] }


[ Time Remaining : 0 hour 0 minutes 50 second ]


[ Time Remaining : 0 hour 0 minutes 36 second ]


[ Time Remaining : 0 hour 0 minutes 15 second ]


[ Time Remaining : 0 hour 0 minutes 5 second ]


[ Time Remaining : 0 hour 0 minutes 0 second ]

SWOSSSSSS.....

Tabhi mai apne left hath ko aage karta hu aur mere hath me Black key appear ho jata hai.

DING....


[ Key ko aap kaha use kr skte ho uski location disclose ho cuki hai. ]


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


KAVYA COLLEGE

Kavya ke College jaha High orcs ka DENGEON break ho gaya tha. Wo tab se band pada hua tha. Charo taraf restrictions ka wo yellow Patti lagi hui thi. Aur College ke Building me wapas se construction ka kaam suru hota usase phle hi yaha ek aur Gate appear ho gaya tha.
Jisme is time Raid chal rahi thi. Aur Gate ke bahar Huntur Association wale khade apna kaam kar rahe the. Unhi logo me se do log aapas me baat kar rahe hote hai.

1st person " Sochne wali baat hai ki same location par ek baar fir se Gate appear ho gaya hai. "

2nd person " Achi baat ye hai ki College band tha. Agar College open rahta to ye students logo se pura bhara rahata. Aise situation me hum yaha sub kuch sahi se control bhi nahi kr pate. "

Tabhi Huntur Association ki Raid ki dekh rekha karne wale wo chasmis ladki jo ki ek side me khadi thi usko samne se koiblack huddi me aate hue dikhayi deta hai.

Girl " Ahh ! Aap yaha nahi aa skte hai. "

Wo band koi aur nahi mai hi rahta hu. Us ladki ke samne aa kar mai apna huddi hata deta hu. Aur mere face ko dekhte hi wo ladki turant hi shocked se kahti hai " Ahhh ! Huntur Rider aap ? "

Mai " Is Gate ko appear hue kitna time ho gaya hai. "

Girl, meri taraf dekhte hue politely " 3... 3 din. "

Mai ye sun kar apne man me sochne lagta hu ' To ye baat hai. '
' Waise bhi Usme likha tha ki location ka pata ek time ke baad pata chlega. Usme ye nahi likha tha ki Gate bhi samne time par hi appear hoga. '
' Sochne wali baat hai is Gate ko open hue 3 din bit chuke hai. '
( Gate ki taraf dekhte hue ) ' Gate ke ander se jo Magic energy nikal rahi hai uske hisab se to Gate C Rank ka hai. '
' Jo ki koi badi baat nahi hai. '

Mai, us ladki ki taraf dekhte hue " Kya Hunturs log Gate ke ander ja chuke hai ? "

Girl " Ha lagbhag 2 hour phle hi. "


Tap... Tap... Tap...

Mai Gate ki taraf jate hue " Tumhe un logo ko wapas bula lena cahiye. "

Girl thode confusion aur shocked se " Lakin hmare analyke hisab se ye Gate to sirf ek C Rank hi hai. "

Mai " Assault team khatre me hai. "
" Agar unhen abhi wapas nahi bulaya gaya to wo sare mare jayenge. "

Girl shocked ke sath " Sare hunturs mare jayenge. Ye kahne se aapka kya matlab hai ? "

Mai Gate ke ander enter karte hue " Mai, Assault team ke sath wapas aaunga. "

Girl jldi se " Aakhir aap ye sun kyu kar rahe hai ? Agar aap hme smjha sakte to bahut acha hota.... "

Mai " Hmare paas uske liye time nahi hai. "



~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

INSIDE THE DENGEON


C Rank monstars ki mari hui body pure DENGEON me jagah jagah padi hui thi. Aur Hunturs logo ki ek team ek bade se door ke bahar khadi thi.
Ye Gate same wahi tha jo Rider logo ke time Double DENGEON ka Gate tha.

Hunturs log Gate ko dekhte hue aaps me baate kar rahe the.

" Kya ye Boss room hai ? Kahir jo bhi ho ye open kyu nahi ho raha hai ? "

" Ab hum kya kare ? Yaha tak ki Magic ke help se bhi hum is door ke upar ek scratch bhi nahi la paa rahe hai. "

" Tumhare kahne ka matlb kya hai ? Tum khana cahte ho ki itni dur aane ke baad hum yaha se wapas laut jaye ? "


Tap.... Tap.... Tap....

Tabhi sbke piche se apne paint ke pocket me hath dale aaram se aate hue mai kahta hu " Ye ek trap hai. "

Piche se aaye is aawaj ko sun kar sare log chuk jate hai aur sub turant hi piche mud kar dekhne lagte hai. Jaha mai bade aaram se chalta hua unke hi taraf aa raha hota hu.

Ek huntur apne saaso ko kabu karke rahat ki saas lete hue mujhe dekh ke kahta hai " Oh shit ! "
" Tumne to hme ekdam se bahut jyada Surprise kar diya. "

2nd huntur halke gusse se " Aur tu hai kon ? "

Mai un sub ko dekhte hue " Mai Double DENGEON ka survivor hu. "


1rd huntur shocked ke sath " Double DENGEON ka survivor ? "

Tabhi ek huntur bahut jyada Surprise hote hue kahta hai " Oh !! "
" Ye ladka to.... Kahi ye Huntur Rider to nahi hai na ? "

Ek dusra huntur darte hue jor se chilla kar " Ha... Ye.. ye... To Huntur Rider hi hai.... "

Mai subko dekhte hue santi se kahta hu " Tum imagine bhi nahi kar skte ho ki ye place kitni jyada dangerous hai. "
" Ab is Raid ko yaha se mai smbhalunga. So sare log please abhi is DENGEON se bahar chale jaiye. "

Itna kahne ke baad mai aage ja kar door ko open krne lagta hu. Lakin jaisa ki assault team ke members ke sath hota hai. Door open nahi hota hai. Sare hunturs mujhe hi dekh rahe hote hai.

Mai door ko dekhte hue apne man me ' Ye open nahi ho raha hai. Kya ye Magic se band kiya hua hai ? '

Tabhi mujhe door me ek jagah ek hole dikhayi deta hai.


DING...


[ LAYERS KI BANI HUI TEMPLE KA DOOR FILHAL KE LIYE LOCKED HAI. ]
[ PLEASE KEY KO USE KIJIYE.]

Ye dekh kr mai apne right hath ko aage karke usme black key mangwa leta hu. Aur use dekhte hue sochta hu ' Ye pichli baar se alag hai. '
' Tabhi mujhe is key ki jarurt thi. '


CUUU......

Uske baad mai us keyhole me Black key daal kar lock ko open kr deta hu. Aur agle hi second wo bada door open hone lagata hai.
Ye dekh kr mere piche khade sare Assault team ke hunturs ek baar fir se Surprise hote hue kahne lagate hai.

" Kya ? Ye kya hai ? "

" Isne door ko kaise open kiya ? "

" Ye door halka sa hila bhi nahi tha jab hum logo ne open krne ki kosis ki thi tab. "

Aisa is liye kyuki maine key se is door ko open kiya ye kisi ne nahi dekha mai apni body ko cover karte hue chupke se key se door ko open kiya tha.

Tabhi ekdam se us assault team ka leader jisme full body armour pehna hua tha meri taraf dekhte aage aate hue halke arrogant tone me kahta hai " Excuse me huntur sir ! "
" Is DENGEON ke Raid ki permission Courage Guild ne buy kiya hai. "
" To aapko koi right nahi hai ki aap hmko is DENGEON ko chor kar jane ko kahe. "

Ye sun kar ek aur huntur gusse se meri taraf dekhte hue kahta hai " Ye sahi kah rahe hai. Tum bhale hi S Rank huntur ya india ke Top huntur hoge. Lakin iska ye Matlb nahi hai ki sub kuch tmhari marji ke hisab se chlega. "

Inki bate sun kar mai kuch kahne hi wala hota hu ki achanak se mere dimak me ek idea aata hai aur mai, un sub ko dekhte hue kahta hu " Thik hai fir mai tum logo ko nahi rokunga. "
" Jo koi bhi is Door ke ander jana chahata hai wo door ke ander ja skta hai. "

Ye sun kar Raid team ka leader sbse aage aate hue full confidence me kahta hai " Thik hai fir mai sbse phle ander jaunga. "

Door ke ander is time bikul andhera chhaya hua tha. Ander kya tha kuch bhi pata nahi chal raha tha. Bas door ke ander muskil se door se 1se 2 feet ki duri hi dikhayi de rahi thi. Jo ki bilkul khali thi.


Tap... Tap... Tap...

Raid team ka leader bina kisi dar ke aaram se samne ki taraf dekhte hue ander jane lagta hai. Aur jaise hi wo door ke ander apne pair rakhta hai.

DING....


[ Ek aisa Person jiske paas key nahi hai wo Tample me enter hua hai. ]
[ Entry ki permission nahi hai.]

SWOSSSSSS.....
JHUPP....
BOOMMMMM......

Aur leader ke ek kadam aur ander pair rakhte hi door ki rakhwali kar rahe dono side ke bade bade stone ke guards me se right side wala stone statue turant hi apne sword ko puri takat se Leader ke taraf ghuma deta hai.
Lakin isase phle ki wo Attack leader ko lag pata mai turant full speed me move ho kar leader ko uske gale se pakad kar ekdam se piche door ke bahar kich lata hu.
Sword jamin se takra kar waha par ek bahut bada crack bana deti hai. Aur wo stone ka bada Statue jhukne ke karan bahar se aa rahi light me dikhne lagta hai jo ki apne red color ki glow hoti aakho ke sath apna sir ghuma kar bahar kahde sare hunturs ko dekh raha hota hai.
Fir agle hi second wo statue wapas se apne phle wali position me aa jata hai.

Mai, leader ki taraf dekhte hue " Ye DENGEON aisi hi chijo se bhara pada hai. "
" Ab batao kya tum abhi bhi iske ander jana cahte ho ? "

Ye sun kar wo leader jo ki ab thak bahut jyada dara hua aur shocked me tha. Turant hi apni gardan naa me hilane lagta hai. Uska haal is time bahut bura tha puri body pasine se bhigi hui thi. Aakhir aisa ho bhi kyu na wo maut ko bas kuch Centimetres se chhu kar jo aaya tha.
Aur ye haal sirf uska hi nahi balki baki ke pure Assault team ka tha.

Mai " Dhyan se meri baat suno. "
" Please is DENGEON me se abhi nikal jao. Aur ja kar Huntur Association ko contact karo. "
" Unse kahna ki ek double Gate appear hua hai. "


Tap... Tap... Tap...

Itna kah kar mai santi se apne paint ke dono pocket me apne hath dale Gaye ke ander chala jata hu. Aur bahar khade sare Assault team wale muh fade bas mere ko hi ander jate dekh rahe hote hai.

DING....


[ Key rakhne wala ek person Tample me enter kiya hai. ]

BAAMMM.....

Mere door ke ander jate hi door bahut hi jor se band ho jata hai. Aur assault team ke sare members kuch der kud ko control karne ke baad turant hi feel speed me DENGEON se bahar nikalne lagte hai.

Buzz.... Buzz.... Buzz....

Wahi mere ander aate hi door ke band hone ke agle hi second pure room me charo diwal par lagi hui badi badi masale apne aap jalne lagti hai. Aur uske baad mujhe waha sub kuch last time ki hi tarah bilkul same dikhayi deta hai. Circle ke size me bana hua ek bahut bada room. Jiske charo kafi sare almost 50 feet ke stone ke bane hue Statue. Her ek ke hath me alag weapon ya musical instruments the.
Aur in sub ke alawa room ke bikul centre me ek bahut badi chair jiske upar 200+ feet ka ek bahut bada stone ka Statue baitha hua tha. Jo ki in sub ka king laha raha tha. Ye sub kuch, sari chije bikul last time ki hi tarah same thi.


YE SUB KUCH YAHI SE START HUA THA.

Mai sb chije bade dhyan se dekhte hue bikul calm way me chlte hue aage ja raha tha aur kahta hu " Ek baar fir se. "
" Mai pratibandhit chijo ko break karte hue yaha aa gaya hu. "
( Apne man me ) ' Lakin is baar ye alag hai. '
' Mai apne bones me ye sub kuch feel kar skta hu. '
( Diwar ke sath lage hue sare Statue ko dekhte hue ) " Ye Statuse na to monstars hai na hi living beings. "
" Ye sub kisi chij ya kisi ke hatho ki kewal kathputaliya hai. "
" Lakin is room me bhara hua Magic kewal ek hi source se hi emits ho raha hai. "
" Tum iske ture source ho. "

Ye sub kahte hue mai ek Statue ke paas aa kar ruk jata hu. Aur apni glow hoti aakho ke sath usko ektak dekhte hue kahta hu " Kya tum kuch bhi nahi kahoge ? "
" Mere hisab se wo past time jo sub kuch hua tha wo tmne hi kiya tha. "

Ye sub mai kisi aur Statuse se nahi balki us Statuse se kah raha tha jiske back par angle wings the. Aur usne apne dono hatho se ek bada sa slab pakda hua tha. Jiske upar wo rule likhe hue the. Jisko follow karke mai last time end tak bacha rah paya tha.
Jab mai ye sub kah raha hota hu to us huddi wera kiye hue Statue me koi motion nahi hota hai. Uska face bhi andhera hone ke karan nahi dikhayi deta hai. Lakin kuch mere bolne ke kuch der baad hi us Statue ke dark face me se mujhe do aakhe aur ek muh dikhayi deta hai. Uski aakhe bahut hi jyada glow kr rahi thim aur uske face par ek bahut hi badi si smile thi jisase uske pure daat saaf saaf dekhe ja skte the.

Statue bahut badi smile krte hue
" Kam se kam, tum yaha tak itni dur to aa gaye. "















Aaj ke liye bs itna hi dosto !!

Aapke review nd suggestions ka wait rahega comments ke through !!
Apna pyar aur support aise hi banaye rakhiye !!
bahut badhiya update hai Bhai...
Waiting for next update
 

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
Staff member
Sectional Moderator
7,816
26,944
204
UPDATE NO - 125 will be posted tomorrow at 6PM.
 
Last edited:

Shetan

Well-Known Member
11,875
30,291
259
UPDATE - 1

Delhi , India

Mera name RIDER hai aur mai Ak E-Rank HUNTER hu.
yadi aap meree thodee asaamaany strength aur regeneration ko najar andaaj karate hain to mujhe khud ko hunter kahana me bhee sharm lagta h .
Mai itta weak hu Jiske karan Hamesa hi mujhe bahut baar chote lagi hai aur kai baar to nearly death ka experience kiya h.

Ak aisa kaam jisme aapke life and death ke bich bs ak line ka anter ho use hunter kahte h , aur mai ye job is liye nahi karta qki ye mujhe pasand hai ....!
Mai badi muskil se apni bimar maa ke medical bills ko pay kr pata hu jo mujhe HUNTER GUILD pay krta h is kaam ke liye isi liye mai ye kaam krta hu .
Ak aam insan ke liye jiske paas koi particular talent na ho , aise me mere paas aur koi choice nahi h siway hunter banane ke.


Ak construction site in delhi....

Ak food truck khada tha aur uske aas paas bahut se log tea nd breakfast kr rahe the....

Food truck wala ak customer se ..
"Ye rahi tmhari tea nd good luck tmhare aaj ke raid ke liye."

Coustomer "thanks"

Tabhi piche se koi us coustomer ko aawaj deta h " hey Rohan ! "
" Bahut samay ho gaye tmse mile hue "

Rohan " are abhi tm yaha kya kar rahe ho ? Tmne to chor diya tha na tha na qki tm hunter nahi banana cahte the !! "

Abhi " actually meri wife 2nd time pregnant hai , ha ha..."

Rohan " sahi kaha raid ke jaisa kuch nahi h jaha aap apni kismat aajma skte ho "

Abhi " jindgi jina aasan nahi hai . Mujhe fikar hai ki ... Itna kafi time bita gaya h kahi mai piche na rah jau "
" Meri skill phle se hi khrab hai , aur ab to wo aur khrab ho gayi h itte time ke break ke karan jo maine liya h "

Tabhi samne se kuch aawaj aati h ...
" Rider tum aa gaye ! "
" Rider aane ke liye sukriya "
"Bahar thand hai na ? "


Rider " haha ... aisa kuch nahi h , mai aaj bhi tmhare sath hi rahunga "
Wo aadmi " Achi baat hai "


Tabhi Rohan riderko aawaj lagata hai ..
" rider tmne ab tk breakfast kiya ? "

Rider " haa Mr Rohan maine khaa liya , mere bare me fikar krne ke liye sukriya "

Itta kah kr rider aage nikal jata hai aur abhi use dekh kr Rohan se puchta hai..
"Kya ye ladka powerful hunter hai ? Har koi ise dekh kr bahut happy hai !"

Rohan " hehehehe.... Tm ise nahi jante qki jb tmne chora tha ye uske baad aaya hai . Iska nike name hai WORLD WEAKEST "

Abhi " kya duniya me sbse kamjor ? na ki sbse powerful!! "

Rohan " bro tabhi to aise logo ko hm S - Rank hunter kahte hai . Rider unmen sbse weak hai "
"Mera matlab hai ki wo itta weak hai ki wo E rank ke Dengoun se bhi hurt ho jata h "

Abhi " kya such me wo itta weak hai "

Rohan " haa !! Mere hisab se to wo hm sb me sbse weak hai "

Abhi " kya such me !!"

Rohan " ha iska mtlb hai humara Dengoun iske aane ke baad se weak ho gaya h "

Abhi " ahhh !! Aisa hai kya "


Rohan " hay ! Sayad wo hame sun skta hai hame. Is baat ko hm yahi khtam krte hai fu fu..."

(Ab Rider ke views se story )


Mai apne mn me 'mai suru se sb sun raha hu you old geezers '

Mai food truck ke paas chla jata hu usse bolta hu " kya mujhe ak cup coffee milegi ?"

Food truck wala " are hunter rider .. I m sorry , bs abhi kuch der phle hi sari coffee khtam ho gayi "

Mai bad feel karte hue sochta hu coffee bhi ni mili..

Food truck wala " I m really sorry rider coffee khtam hone ke liye "

Mai " koi baat nahi "


Aur m waha se aage chla jata hu .
Kuch der chalne ke baad ak ladki ki aawaj aati h " rider tmko fir se chot lag gayi !! "

Mai " ohh hi ! Aisa lagta h miss Anjana bhi raid me sath chl rahi h ?"

Anjana " of course , lakin problem ye nahi h ! Tmhare face pr fir se chot kaise lagi ?"

Mai " pata nahi .... Sayad tb laga hoga jb mai hunting kr raha hunga haha..."

Anjana " really..ab such such batao kya huaa tha. Kya tm hospital bhi gaye the ?"

Mai " ha mai gaya tha . Hm sb ak E rank dungeon me the aur mai akela hi jise chot lagi "

Anjana " huh ? Ye kaise ho gaya ?"

Mai " baki dusre hunter mere se higher ranked ke the to wo apne sath ak bhi healer nahi le gaye the "

Anjana " fir bhi wo bs is liye healer nahi le gaye qki unko lagta tha wo safe rahenge "

Mai " it's ok , ye sb is liye huaa qki mai weak hu , mujhe in sb ki aadat ho gayi h miss Anjana bhi ye baat janti h ,right ? "
" Well lagta h sb log gate ke ander jane ke liye ready h hme bhi chlna cahiye ..."

Anjana " ok "


Hm sb gate ke samne ikatha ho gaye the tabhi ak aadmi bich me ja kr sbke samne kahta hai " sun log suniye . Hm sb hunting pr jane ko taiyar aur khush hai , mai ye kahane ke liye qualified to nahi hu pr fhir bhi mai is raid ke liye party ka leader banane ko ready hu , isme aap me se kisi ko koi dikkat to nahi hai ?"

Rohan " Mr Rahul aap yaha present sb logo me sbse high rank wale h mujhe aapke leader bananese koi problem nahi hai "

Abhi " well Mr Rahul hame aap pr pura yakin hai . Mujhe bahut time ho gaya h aapke skills dekhe hue "

Baki sb log bhi Bolte hai
"Mai aapke leader banane se sahmat hu "
"Mai bhi "
" Meri bhi haa hai "

Mai " hamara dhyan rakhiyega Mr Rahul"

Rahul " all right to hm chlte hai Dungeon me "
Aur sb chl dete hai gate ke ander tb chlte chlte Mr Rahul mujhse kahte hai " Mr rider kosis karna hamare piche chot mt khaa jana "
Mai haste huee " haha okay"

Anjana " rider jldi chlo "

Mai " ha chlo "

Mai chlte huee kud se kahta hu 'mai aaj apna best karne ki kosis karunga '




aaj ke liye itta hi .
Bhai log 1st story hai to koi bhi problem ya suggestions ho comments krke jarur
bataiyega . Bs aapka pyar milte rahe story jarur complete hogi enjoy story....
Kuchh super power jesi story mahesus ho rahi he
 

Itachi_Uchiha

अंतःअस्ति प्रारंभः
Staff member
Sectional Moderator
7,816
26,944
204
Kuchh super power jesi story mahesus ho rahi he
Ha ye story ek aise time ki hai jab earth par Monsters bhi time time par aane lagte hai. Jinse bachane ke liye kuch humans ke ander special power ek time ke baad aa jati hai. Aur wo Huntur kahlate hai. Aisa hi ek huntur rahta hai. Lakin wo world ka sbse weak huntur hota hai. Lakin kuch aisa hota hai ki use ek System mil jata hai jiske use se wo mission pure kr ker ke world ka sbse strong huntur banta hai.
 

Shetan

Well-Known Member
11,875
30,291
259
Ha ye story ek aise time ki hai jab earth par Monsters bhi time time par aane lagte hai. Jinse bachane ke liye kuch humans ke ander special power ek time ke baad aa jati hai. Aur wo Huntur kahlate hai. Aisa hi ek huntur rahta hai. Lakin wo world ka sbse weak huntur hota hai. Lakin kuch aisa hota hai ki use ek System mil jata hai jiske use se wo mission pure kr ker ke world ka sbse strong huntur banta hai.
Kuchh shupar comics ki jesi story ka abhash hota he. Crime or comics story me jyada antar nahi he. Carime storys me jamin par ladha jata he. Or comics storys me ashman par.
Bas farak itna he ki crime story me inshan ki gandi se gandi burai najar asti he. Or comics storys me aap ko ek alag shpano ki duniya najar aati he. Vo duniya jo ham khud banate he. Ek romancahak safar ka ehsas. Padhne me maza aaega lagta he. Agar sex nikal du to meri butiya story saya ki tarah yah ek kalpna he. Kafi mazedar topic chuna he. Me jarur aaungi
 

Said ismail

Active Member
592
1,157
138
Dono hi updates awesome superb hey bhai, dekhtey hey ab Rider ko kya pata chalta hey khud ki barey mey, ek question hey ki Rider ki dad Alok kaha hey,aap to usey nimit ki sath fight k baad dikhaya hi nahi.
KEEP IT UP AND AS ALWAYS WAITING FOR
 
Top