- 579
- 1,412
- 139
Last edited:
Chalo ye acha hua ki Geetika ne unhe maara nai bas unhe saaja dekar chhod diya aur unhone apni galti ki maanfi bhiaang Li aur Sumi darling bhi ab apne maike jaa rahi hai Mita ki mami ab jarur Mita se puchegi ki dono me kya hua hai itne dino meUpdate 27
Bahar jo gaadi ruki usme se nikle logon ne gate peetna shuru kar diya. Aisa lag raha tha jaise gate nahi khola gaya to wo sab gate ko tod kar andar aa jayenge. Baneet ne bahar jaa kar darwaja khola. Darwaja khulte hi andar upasthit sabhi logon ko jhatka laga. Sabse pehle unhe Kailash ki Patni Chandraja dikhi uske baad Prem ki patni Dipali uska beta Krish, Raj ki Patni Runjhun uski bitiya Vrishali ke saath chaar aur anjaan chehre dikhe. Chandraja seedhe Gitika ji ke charnon me gir padi.
Chandraja:- Didi, inhe aur mere bacchon ko maaf kar dijiye. Aap bhi ek maa hain, aap to mere dard ko samajhiye.
Gitika:- Ye saari mamta, karuna kahan gayi thi jab mere bete ko inn dono kaminon ne peeta tha??? Kya tu inn dono ko nahi rok sakti thi??? Aaj jab inn sab ke sir pe mrityu naach rahi hai tab tera munh khula!!!! Aaj kisi ko bhi maafi nahi milegi. Jo peeda main seh rahi hoon wo tujhe bhi sehni hogi.
Tabhi Chandraja ka bhai Pushpit bhi Gitika ke pairon me gir gaya,
Pushpit:- Didi, aap to jaanti ho putramoh kaisa hota hai. Jija didi ke laad pyaar ne inhe itna bigaad diya ki kab ye unke haath se bahar nikal gaye inhe pata bhi nahi chala.
Gitika:- Aaj to tu bada sant mahatma ban raha hai. Tu bhi koi doodh ka dhula nahi hai. Bada bahubali bana firta hai na, aaj bhagwaan ne tujhe mujh jaisi budhiya ke pairon me gira diya. Aaj main kisi ki nahi sunungi.
Chandraja Pushpit ki baaton ka Gitika ji par koi prabhav nahi pada aur unhone Raj ke sar par bandook taan goli chala di.
Chandraja:- Hey bhagwaan mera beta.......
Chndraja samet uske poore parivaar ne darr se aankhein band kar li thi par jab unhone aankhein kholi tab Raj bilkul sahi salamat tha.
Gitika:- Aaj pata chala ki jab beta mrityu ke munh me jaata hai to kaisa lagta hai. Mera beta to wapaas nahi aa sakta. Main dushmani ko hawa dekar apne pote poti ka jeewan nasht nahi karna chahti.
Gitika ne Sumit ko ishara kiya tab usne Kailash Raj Prem teeno ke haath pair khol diye. Teeno Gitika ke pair me gir pade.
Raj:- Mujhe maaf kar dijiye badi maa. Paise ke ghamand me main ye bhool gaya ki mera naam aap ka hi diya hua hai. Maa se jyada to aapke aur Tauji ki god me khela hoon.
Prem:- Main bhi paise ke ghamand me andha ho gaya tha badi maa. Ham dono nalayakon se galti ho gayi.
Kailash:- Bhabhi, maine bhi apne auhde ka galat istemaal kiya. Aaj main aapke saamne ye faisla sunata hoon ki main aur mere ye dono bete police ke saamne surrender karenge. Police hame jo saja degi wo manjoor hogi.
Sumit:- Tum teeno ko ye likhit me dena hoga ki aaj ke baad tum inke pariwaar ko pareshaan nahi karoge. Agar pareshaan kiya to marne ke liye taiyaar rehna. Pushpit aur Ishayu tum dono ko bhi sign karna hoga.
Sumit ne apne ek lawyer ko pehle hi iss tarah ke kaagaj taiyaar karwane ko keh diya tha. Use laga hi tha ki aisi sthiti aa sakti hai. Usne ek jagah call kiya aur 10 min me ek banda use papers thama kar nikal gaya. Inn 10 minute me maafi ka daur chala aur Gitika Ritika se Kailash ke poore parivaar ne maafi maangi. Papers mangwane ke baad Kailash Prem Raj samet ghar ke sabhi logon ne uss par sign kiya. Iss tarah ye poora prakaran samapt hua. Sumit Hitesh dono wahaan se apni building ke liye nikal pade. Raat bahot jyada ho gayi thi isliye dono ne maggie bana kar khaayi aur so gaye. Agle din Kailash ne apne dono bete samet surrender kar diya aur yahi khabar Hitesh padh raha tha. Sumit apne samay anusaar utha aur fresh'n up hokar naashta karne laga. Picchle 3 din se use Sumi ka koi call nahi aaya tha.
Sumit:- Hitesh, Sumi ka call nahi aa raha bhai. Kahin uska mann badal to nahi gaya???
Hitesh:- Tune jis tarah uski badantod chudai ki uske baad koi nayi ladki hoti to tere peeche daudi daudi aati par wo ek adhed umar ki mahila hai Sumit. Use bahot kuch sochna padta hai Bhai.
Sumit:- Teri baat sahi hai par ek message tak nahi kiya usne. Koi gadbad to nahi ho gayi???
Hitesh:- Faaltu ki tension mat le. Koi gadbad nahi hui hogi. Main bank jaa raha hoon. Tab tak tu ghar ki saaf safai kar de aur haan kapde jama kar rakhe hai, dho dena.
Sumit:- Mujhe kya naukrani samjha hai?? Main kuch nahi karne waala.
Hitesh:- Theek hai to aaj se tere paise band.
Sumit:- Aisa mat kar bhai. Main saaf safai bhi kar doonga aur kapde bhi dho dunga.
Hitesh bank ke liye nikal pada aur Sumit use koste hue saaf safai karne laga.
Mita ke ghar par sthiti me kuch khaas antar nahi aaya tha. Sumitra Mita ke beech gehri naraajgi aur chuppi chhai hui thi. Tabhi bahar ek car ke horn ki awaaj aayi. Aawaaj jaani pehchani lagi to Mita ne jaakar darwaja khola. Car uske mama ki thi aur usme uske mama samet poora parivaar tha. Mita ne poora gate khola aur Mamaji car andar le aaye. Mita ne sabke pair chhue aur phir Nanaji se poocha.
Mita:- Aap log to do din baad aane waale the. Itni jaldi kaise aa gaye????
Nana:- Ladke waalon ko jyada jaldi thi to shaadi ke karyakram thoda jaldi nipat gaya. Kaisi hai meri beti???
Mita:- Main ekdum theek hoon Nanu. Aap sabko bahot miss kiya.
Nana:- Ham sabne bhi tujhe bahot miss kiya. Teri Nani nahi dikh rahi??? Abhi tak so rahi hai kya!!!
Nanaji samet sabhi log iss majak par hansne lage par Mita ke chehre pe jhoothi hansi thi jo Mami ki aankhon se chhip na saki.
Mama:- Ab andar bhi chaloge sab ya yahi khade khade baatein karte rahoge.
Sabhi andar aaye aur sabne Sumitra ji ka aashirwaad liya. Aaj Mita apni Nani se najrein nahi mila rahi thi jo Mami ko thoda khatak raha tha. Mami Nani ke saath milke naashta banane lagi aur kuch der me naashta taiyaar hone ke baad sab saath baith khaane lage.
Sumitra:- Ji main kuch din ke liye apne maayke jaana chahti hoon.
Nana:- Wahaan sab thik to hai na???
Sumitra:- Sab thik hai bas bahot din se nahi gayi to mann kar raha hai wahaan jaane ka.
Nana:- Ab home minister ki baat se ham inkaar kaise kar sakte hain. Nakul apni maa ko chhod aana.
Naashte ke kuch der Sumitra ne apna bag pack kar liya aur Nakul ke saath apne maayke ke liye nikal padi. Jaane ke pehle unhone sabko bye kaha par Mita aur unke beech ke jhoothe bhaavon ko Mami ne padh liya.
Jaari....
Thankyou Abhishek Bhai for your complementShikari bhaiya congratulations for 50k views