Shrimaan Enigma bhau,
Meri dwara pehle ki likhi gayi lagbhag sabhi trutiyo ka aapne iss addyatan ke maadhyam se bahut hi nipunta ke un sabhi ka ullekh kiya.
shuruaat ke hi 3 pariched kando ke maadhyam se aapne rakt ki 3 boondo ka v 2 ajnabi chakshuo se sambandhit sanshyo ka nirvaran ati sahajta se kiya.
Rameshwar ji aur Sanjeev bhiya ke vaartalap ke maadhyam se aapne un do badmaasho ke khaatme ka v ek anye paatr se bhi avgat karaya 'Bhaan singh', jiska shayaad aap aage aane wale addyatan mein vistaar purvak ullekh kar denge. tatha saath mein hi aapne Rameshwar ji ki manoistithi se bhi avgat karaya ki ve kis prakaar Sanjeev se bhi रुष्ट hai jis prakaar ve Shankar ki kaargujaariyo se bhi आहत hai, aur saath unhe iska bhi bhaan hai ke Sanjeev bhi apne chaacha ke samaan hi galat marg (par striyo se sharirik sambandh) ka anusaran kar raha hai.
Rtd. adhikaari shri Rameshwar ji aur thana incharge 2 star Tejpal mama ke samaksh jo vartaalap hua usse hum paathako ko iska bhi pata laga ki Sanjeev mein abhi tajurbe ki kami hai, jo ki bahut hi aasani se Tejpal ji apne tajurbe ke aadhar par pehchaan li. Bhaan singh jaisa oochi rasukh rakhne wala v in dono badmaasho ka kisi vakeel Bansal ki beti ki hatya ve samuhik dushkarm se bhi taar juda hua hai jiske karan hi ye itna samvedan sheel police case hai.
Rameshwar ji ne major Kaushal ji ko samjhane ke maadhyam se hi Dr. Shankar ji ko kaha tha par unhone to bina kisi mashware ke unka mangadhant muthbhed ki aivej mein unki hatya hi kara dali wo bhi unke hi kisi saath ke haatho taaki baad mein iska raajfaash na ho paye, aur ye kaam Shankar ji ne bahot hi tigdam bhida kar kiya hai taki army apna naam kharab hone se bachane ke liye is saare fasaad ko internal enquiry mein hi rafa - dafa kar degi. Chalo is bahane Renuka ji ka to matter solve hua.
Maadhuri didi ne to Arjun ko manaane ke liye Priyanka didi ko bheja tha par yaha to Arjun Priyanka didi ki majboori ka faayda utha kar unke saath hi game khel gaya. jis baare mein soch kar Priyanka didi itna ghabra rahi thi ab wohi kaam unhe Maadhuri didi ki upastithi mein hi karna hoga.
Rekha ji ke haav - bhaav dekh kar abhi tak to sirf Ritu ko hi shak tha par shayad ab Alka jaisi shaatir ladki ko bhi kuch - kuch shak hone laga hai, par Ritu ne is baat ko ghumane ke liye Alka ke saamne apna khud ka aur uske saath - saath preeti ko Arjun ke saath samuhik kaamkrida karne ka sujhav pesh kiya, ab ye upkarm sarthak hota hai ya nahi par ye vichaar kaafi dilchasp laga.... 3 dilkash bhaddkili aag lagati ladkiya ek saath apne saarvjanik aashik ke saath antrang palo mein.... oye hoye oye hoye...... that's quite a colorful picture and would be damn hot scene to watch...
Arjun ke nanihaal se rubaro hone ke baad ek baat to nishchit taur par jaahir ho gayi hai ki Arjun ko uski kad - kaathi usko apne nana ji se virasat mein prapt hui hai. Arjun ke nanihaal mein uski hamumrr 3 behne hai aur 2 maamiya abhi nayi - naveli dulhan jaisi hai jinki shaadi shayad saal - do - saal pehle hi hui hai. Rekha ji ke maayke mein bacche aur vyask adhed hi nahi balke bujurg log bhi abhi jawaan hi hai. jaha Rekha ji aur unki maa mein to sirf kaale aur dhole baalo ka hi farak najar aaya. jabki Nana ji bhi shareer se apni umar ke lihaaj se kaafi tandrust hai. Jis ghar mein bade log hi itne aakarshak vyaktitav ke dhani ho to us kul ki jawaan kanyaaye kitni sundar hogi. Ye baat kisi ne satye hi kahi hai ki jiss vraksh ka beej uttam hota hai us vraksh par aane wale fal bhi utne hi uttam hote hai. Jaisa sundar naam hai Arjun ke nana ji ka Shri Kundan Sharma bilkul waisa hi unka hasta - khelta bhara - pura sundar aur samridh pariwaar hai.
Not to forget a dog jiske liye yahi kaha ja sakta hai ke 'TIGER ZINDA HAI'.

D