Enigma Sir,
Baithe baithe kya karenge, karna hai kuch kaam, suru karo antkashari lekar
Enigma prabhu ka naam ?
To suruwat karte hain shastri ji se, shastri ji ka insab baaton me dilchaspi lene ka kaaran to samjh aaya, lekin kya wo is sandarbh me arjun se pahle hi baat chit kar chuke the, kya unhe pata tha ki arjun saarang me dilchaspi le raha hai ?
Shastri ji ne ek naam liya "kunwar rajwardhan" jisne shastri ji ki aatma ko aahat kiya hai, ye to samajh aata hai ki ye vyakti raj pariwar se hai lekin ye raj pariwar me kiska kya lagta hai ye aapne nahi bataya
To raghuvir ji ke pita ek dhani aur samridh vaikti the aur raj pariwar ke sambandhi bhi the, meenakshi aur prabha devi ke sath 4 aur logo ki hatya ki gai, lekin ye 4 log koun the ye pata nahi chala, mera anuman se ek to pandit ji ki premika lakshika ji aur dusra vaikti shayad meenakshi ka pati ho ???
Baki to aap hi bata sakte hain
To lakshika ji aur apne padit ji aapas me prem karte the, isliye ye purana aashiq harkat me aa gaya hai ???
Jahan tak mujhe samjh aaya satta palat ke naam par pahli rani ke pure vansh ko hi khatm kar diya gaya aur raghuveer ji ke sath inke pita ko bhi lapet liya gaya
Saarang krishneshwar ji ka mitra raha hai, aur isi wajha se shayad saarang ka asli chehra samne aane me waqt lag gaya
Aap ne kaha saarang apni maa ke sath milkar ye sab kar raha tha ya kar raha hai, to kya wo kangan jo pandit ji ke paas hai kya wo kangan saarang ki maa ka hai, lekin is pe bhi ek sawaal uthta hai ki kya ajju saarang ki maa ko pahchanta tha, kya yahi wo "kaki" hai ?
Ab to lagta hai neelam ko hi samne lana hoga, dekhte hain wo kya jaanti hai
Lekin ek baat to zarur hai jis tarha se aap is kahani ko ghuma rahe hain, jis tarha ka suspense aap bana rahe hain, ye kaabil-e-taarif hai ???
Agle update ka besabri se intezar hai ❤