- 5,758
- 13,166
- 189
UPDATE 41
MEDICAL COLLEGE
Lunch break ka time tha.....Sabhi students canteen me lunch karne me busy the.....Bas Raj aaj park me kuch aur hi kaam me busy tha....Wo aaj padhne me vyast tha.....Internal exams pass aa raha tha aur uska preparation uske hisaab se thoda kam tha....Iss liye aaj usse bhukh ki koi parwaah nahi tha....Uske saath aaj Suresh bhi nahi tha....Raj bahut hi dhyaan se padh raha tha.....Aas pass kya ho raha tha ye usko pata nahi tha aur na hi usko koi parwaah tha....
Riya aur uski team bhi park se guzar rahi thi tabhi Riya Raj ko dekhti hai.....Raj ko aise dhyaaan se padhte dekh hi uske chehre pe ek kutil muskaan aa jaata hai aur dimaag me ek shararat sujhti hai....Wo Raj ke pass jaati hai....Uski team bhi uski peeche peeche hairaani me chal deti hai....Riya uske pass pahunch kar usse kehti hai....
Riya:- Raj...
Raj Riya ki aawaaj sun kar uski taraf dekhta hai.....Jaise hi Riya ka chehra dekhta hai uske chehre me gusse dikhayi dene lagte hai.....Wo bahut hi rudely jawaab deta hai.....
Raj:- Kya hua???Kyu dimaag kharab karne aayi ho???Jaao apna kaam karo aur mujhe disturb mat karo....
Riya:- Mujhe tumhaare saath baat karne me koi interest nahi hai....Tumhe Mishra sir bulaa rahe the iss liye keh diya....Abb jo karna hai karo....
Raj:-(Apne man me) Mishra sir ne bulaaya....Kya kaam ho sakta hai.....Jaakar dekhna to padega....
Yahi soch kar Raj Mishra sir se milne jaane lagta hai tabhi Riya usko fir se rok deti hai....
Riya:- Sir ke aage kya saabit karna chahte ho ki tum bahut padhne waale student ho....Book bhi saath le jaana jaruri hai kya...
Raj uski baat sunkar book wahi bench par rakh kar chala jaata hai Mishra sir ke pass....Usko Riya ke saath behas karne ka koi mood nahi tha...
Jaise hi Raj chala jaata hai Riya book utha leti hai aur book ke saath kuch karne lagti hai....
Thodi der me Raj gusse waala chehra le kar Riya ke pass aata hai aur usse kehta hai....
Raj:- Kya majaak tha wo....Sir ne to kaha ki unhone mujhe bulaaya hi nahi....(Apni books ki taraf dekhta hai....Jab usse book nahi dikhta to)....Dekho tum mujhe jyaada gussa mat dilaao....Abb chhup chaap mera book lauta do aur mujhe padhne do....
Riya:- Hame kyaa pata tumhaara book kaha hai....Tumhi ne to rakha tha....to tumhe hi pata hona chahiye....
Raj uski baat sun kar bahut hi gusse waala look deta hai....
Riya:- Accha thik hai....Abb sada hua face mat banaao....Ye lo tumhaara book....
Raj book le leta hai aur padhne ke liye jaise hi book open karta hai....Uska gussa bahut badh jaata hai....Riya ne uske books ke bahut pages ko phaad diya the....
Raj apna control kho kar sidha Riya ke pass chala jaata hai....Aur bina kuch soche samjhe ek jordaar thappad Riya ke gaal par maar deta hai ..... Riya ke saare dost bhi shocked ho jaate hai....Jab Riya mooh uthakar Raj ko gusse se dekhti hai tab Raj kehta hai....
Raj:- You stupid girl....Teri himmat kaise hui meri books faadne ki.....Maine tujhe baar baar kaha tha ki mujhe pareshaan mat kar....Maine kya bigada hai tera jo tu mere pichhe haath dho kar padi hai.... Mujhe tera ye chehra nahi dekhna.....Jaldi se jaa yaha se isse pehle ki gusse me mai kuch kar du.....
Raj ki baat se hi pataa chalta hai ki wo kitna gusse me me hai.....Kuch der waha khamoshi chha gaya....Iss khamoshi ko todte hue Riya ka ek ladka dost ya chamcha ne bola....
Ladka:- Ladki ko maar ke tu apne aap ko hero samajhta hai.....Dum hai to mujhse lad kar dikha....
Raj uski baat ko sunne ke baad usko gour se dekhta hai aur chehre pe thoda muskurahat laakar usko kehta hai....
Raj:- To tu bhi ladki hai kya.....Bhul gaya uss din tujhko kaise maara tha....Aaj bhi maar khaane ka man hai to aaja....Mai bhi full mood me hu...
Raj ne iss baat ko confidently kaha to wo ladka bhi chhup ho gaya.....Abb uss ladka ki jagah Riya ne jawaab diya....
Riya:- Itna over react kyu kar rahe ho....Ek book hi to phaada hai....Book ki price bolo....Abhi de deti hu aur apna mooh band rakho....
Riya ne ye baat bahut ghamand ke saath kaha....
Raj:- Ek to tum apni galti nahi maan rahi upar se mujhe paise ki ghamand dikha rahi ho.....Ek baat tumse keh deta hu....Jaanta hu meri iss baat se tumko koi farak nahi padega....Fir bhi keh deta hu.....
Tum apni iss paise ki ghamand jyaada mat dikhaao.....Tum apne baap ki paise ka ghamand dikha kar har cheez ka apmaan karti ho....Jis din tumhaara ye ghamand tootega uss din tumhe har ek cheez ka value pata chalega.....Paise se har cheez nahi milta....Jaisa tumne kaha mujhe book ki price de dogi....Kya tumne mera jo keemti vakt waste kar diya kya tum usko lauta paaogi....Hai tumhaare pass itna paisa ki mera khoya hua vakt lauta sako????Paise se tum book to bahut kharid sakti ho lekin gyaan nahi kharid paaogi....Uske liye mehnat karna padta hai wo paise se kharida nahi jaata....Mujhe pata hai tum iss college me donation me aayi hogi MBBS padhne .....Ye to tum bhi jaanti ho ki tumhaare jaisi student kabhi bhi scholarship me nahi padh paaogi.....Jitna bhi paisa kharch kar lo gyaan to tumhe apni mehnat se hi milega....Paisa se kuch nahi hone wala....Chahe tum paise dekar kitna bhi college me admission kyu na le lo yaa fir acche se acche teacher se tuition kyu na le lo .....Exam me marks aur dimaag me gyaan bharne ke liye padhne ki jarurat padti hai mehnat karni padti hai.....Ye sab paise se nahi milta.....
Ant(Last) me yahi kahunga ki padhaayi se related cheez ka majaak mat udaao aur jyaada ghamand mat dikhaao....Tumhaara ye ghamand ke kaaran tumhaara koi bhi dost nahi ban paaya hai....Tumhaare paise me bhi itna taakat nahi ki saccha dost kharid kar de sake...Tumhaare picche jo khade hai wo dost nahi chamcha hai jo tumhaare paise ka dost hai tumhaara dost nahi....Kahi aisa na ho ki ek din tumko pachhtaana pade....Vakt rehte sambhal jaao....
Raj itna keh kar chup ho gaya....Suresh bhi waha pahunch gaya tha....Abb lunch time khattam hone wala tha to wo Suresh ke saath jaane laga....Riya bhi gusse se usko dekh rahi thi....
Raj ek baar pichhe dekh kar Riya ko kehta hai....
Raj:- Tum ye mat samajhna ki mujhe tumhaara koi parwaah hai iss liye maine tumhe samjhaya....Tum baat ko samjho yaa na samjho mujhe koi fark nahi padta.....Maine tumhe ye sab iss liye kaha hai taaki tum mera piccha chhod do....Abb agli baar se mujhe pareshaan kiya to accha nahi hoga.....Sidhe jaake pehle college me tumhaara complain kar dunga agar usse bhi kuch na hua to mujhe apna tarika use karna aata hai.
Last edited: