Update : 2 (Hospital)
Sunil “jo bhi hai, bas yahi hai” aur voh patil se kehta hai “aur haan, doctor ko bolna ki PM report hume computer par hi dikhaye”
Yeh sun Aryan kuch nahi bola, Patil salaam karte hue apne kaam me lag jaata hai aur sunil jeep ko police station ki aur mod deta hai
Ab aage….
Dupher ke 3 baj rahe the, vese toh aaj subah ko bahut dino ke baad suraj nikla tha, lekin kudrat ke aage suraj bhi lachchar sa dikh raha tha, jese jese din aage badh raha tha, vese vese asmaan me badalo ne apna kabja jamana shuru kar diya tha, haroj ke muqable aaj thand thodi kam thi, par fir bhi thand itni jyada thi ki koi bhi blanket se bahar nikalna nahi chahega
Aryan aur Sunil police station ke andar bani cabin me baithe hue the, Sunil ke liye toh ese hadso ko dekhna jese daily routine sa bann gaya tha, lekin Aryan ki haalat ab bhi thodi se naram thi, voh chahkar bhi unn drishyo ko nahi bhula paa raha tha jo usne aaj subah dekhi thi, baar-baar vohi tasweer uske aankho ke samne aajati thi aur use firse ultiya shuru ho jaati
Lekin iss waqt Aryan ne khudko thoda sambhal liya tha, aur voh chayi ki chuski lete hue “bhai, muje kuch samaj nahi aa raha hai, koi kisiko itni behrehmi se kese maar sakta hai..??”
Sunil “yahi toh samaj nahi aa raha, aakhir me yeh sab kar kaun raha hai”
Aryan “aur tune kaha tha ki yanha par ese hadse hote rehte hai, kuch toh evidence hoga ki yeh sab kaun raha hai”
Sunil “nahi mere bhai, hume aaj tak koi evidence nahi mile aur naahi kisine bhi aisa kuch karte dekha hai” fir voh rukkar kehta hai “jaanta hu mere bhai, tere dimaag me iss waqt bahut se sawaal ghum rahe hai, vese bhi aaj tera dusra din hai, toh dimaag par itna jyada jor mat daal, vese bhi aaj teri haalat kuch theek nahi hai, tu aaj aaram kar le, hum kal iss baare me baat karenge”
Aryan ko bhi sunil ki baat sahi lagti hai, voh jald se jald ghar jaakar sona chahta tha, fir ek baar voh Sunil se apna sawaal firse dohrata hai “koi itna berehem kese ho sakta hai..itni darindgi ki usne sharir ke do hisse hi kar diye..??”
Sunil haste hue Aryan ke sawal ka jawab deta hai “hahahaha, muje nahi lagta bhai ke tu yanha par jyada din ruk payega, sach kahu toh DG se kehkar apna transfer karwa le”
Yeh sunkar Aryan use thoda gusse se ghurne laga, toh Sunil hasna band kar deta hai, tabhi vaha Patil aakar kehta hai “sir, doctor saab ka phone tha, unhone kaha hai PM report taiyaar hai”
Sunil “chal mere bhai, asli darindgi toh tuje ab dekhne ko milegi” aur voh vaha se bahar chala gaya, Aryan kuch sochne lagta hai aur fir voh bhi Sunil ke pass chala gaya
abhi jeep khud sunil drive kar raha tha, aur Aryan uske pass baithe hue apni hi soch me duba tha, jabki Patil apni hi masti me jeep me piche baithe hue gaana gun-guna raha tha
Karib 35 min ki driving karne ke baad yeh teeno gaanv ke sarkari hospital me pahuch gaye, jeep se utarte hue Sunil Aryan se puchta hai “kya soch raha hai..?? tu pure raste me chup tha”
Aryan iss waqt sunil se koi baat nahi karna chahta tha toh voh keh deta hai “kuch nahi bhai, bas tabiyat thodi kharab thi” aur voh Hospital ki aur dekhne lagta hai
Hospital ko dekhte hi Aryan kehta hai “yeh hospital hai ya kabaad khaana”
Vese Aryan ka kabaad khaana kehna galat nahi tha, yeh hospital ko jo bhi pehli baar dekhta use yeh kabaad khaana hi lagta tha
Ek tuta hua chota sa bunglow tha, road ke khatam hote hi main gate tha jispar ek sada hua name plate laga tha, name plate ki kinari jagah jagah se tuti hui thi aur voh plate puri tarah se jaang kha chuki thi jis vajah se hospital ka naam dikhayi nahi de raha tha
Kehne ko toh hospital thi, lekin voh hospital se jyada kabad khaana laga hua tha, gate ke dono side logo ne kuda faink raha tha, aur kuda itna ki dono hi side bade bade dher ban chuke the, jinpar anginat makhiya udd rahi thi
Vese toh gate ke haalat bhi kuch thik nahi the, Aryan gate se andar jaate hue dekhta hai ki lohe gate ek side se juk gaya aur dusri side vala gate side me gira pada tha, aur samne ki aur dekhe toh ek choti si pagdandi thi jo thodi dur ek darwaze ki aur jaa rahi thi
Pagdadni ke aaju baaju badi badi ghaas ugi hui thi, aur uss bunglow ki baat kare toh bunglow ko puri tarah se paid ki daaliyo ne dhak rakha tha
Deewar tak podho se hare rang me rang chuki thi, khair Aryan unn sab ignore karte hue Sunil ke saath bunglow ke darwaze par pahucha, usne dekha ki main door bhi sahi nahi hai..lakde ka darwaza tha par voh bhi niche se puri tarah sad chuka tha, jagah jagah darwaze me ched ban chuke the
Yeh se dekhne ke baad Aryan se raha nahi jaata toh voh Sunil se sawaal karta hai, “bhai..yeh toh muje kaha lekar aaya hai, yeh hospital se jyada muje ek kabaad khaana hi lagta hai”
Patil “saab ji, yanha par yahi haalat hai” ispar Aryan kuch nahi bolta aur voh teeno hi hospital ke andar chale jaate hai
Jab hospital ke bahar aise haal the toh hospital ke andar kya halat hogi yeh toh aap sab samaj hi gaye honge, andar ka haal bhi kuch khaas acha nahi tha, jese hi darwaze se andar dekhe toh samne ek bada sa hall tha, jisme roshni ke naam par kuch nahi tha..jo kuch bhi dikhayi de raha tha uski vajah khidki se aati hui roshni thi
Ab baat kar khidki toh usme bahut sare madki ke jaale bane hue the, hall me charo aur sirf tuti futi cheeze rakhi hui thi..yaa fir giri hui thi kehna muskil tha, hall ki haalat dekhkar aisa lag raha tha maano saalo se yanha par safaayi hui hi nahi hai
Aryan ne apne charo aur dekha, aur gehri saanse lete hue voh Sunil aur Aryan ke saath aage chala gaya, voh teeno side me bane ek room me aakar rukte hai, jo kuch thoda sa sahi tha, room me ek chota sa bulb laga hua tha aur upar chatt par chhrrr chhhhrrr awaaz karta hua pankha dheere dheere ghum raha tha, jiski haawa naa ke barabar thi
Room me ek budhe se doctor the, jinki umar karib 50 saal ke karib thi..voh Sunil ko dekhte hue kaatil se hasi ke saath kehta hai “aao inspector aao, mai tumhara hi intezaar kar raha tha”
Sunil bhi ese hi thoda masti me kehta hai “kya baat hai tau, aaj bade khush lag rahe hai”
Doc “ab kya batau, baat hi kuch esi hai ki mujse raha nahi jaa raha” fir uski najar Aryan par padti hai, “sunil, tumhe lagta hai yeh chora yeh sab dekh paayega”
Doc ke sawaal ka jawaab khud Aryan deta hai “nahi nahi, subah se meri tabiyat kharab hai, aap sidhe report dijiye, baaki mai khud hi dekh lunga”
Doc “jesi aapki marji” kehte hue ek report deta hai, jise dekhte hi Aryan chauk jaata hai
Aryan “yeh kya majak hai doctor, isme toh kuch hai hi nahi”
Doc “vahi toh mai bhi keh raha hu, yeh kankaal kisi kaam ka nahi hai”
Aryan “aur iski chamdi..aapne likha hai ki iski chamdi naakhun se nikali gayi hai”
Doc “haa, chamdi nikali toh naakhun se hi hai..par”
Aryan “par kya doc, itna toh mai bhi jaanta hu ki koi bhi insaan apni chamdi iss tarah se nahi nikal sakta, aur agar mai maan leta hu ki kisine aisa kar bhi diya hai toh sharir ke andar ke hissa ka kya hua..??”
Doc haste hue kehta hai “inspector yanha par sirf kankaal hi aate hai, ab andar ke hisso ka kya hota hai iska pata lagana aapka kaam hai”
Aryan thoda gusse se kehta hai “yeh kya bakchodi hai, Sunil yeh sab kya hai, yeh report hai ya majak hai”
Sunil “bhai, tu shant hoja, yaanha jitni bhi maute hoti hai unki reports hamesa se ese hi aati hai, hume aajtak laash ke naam par sirf kankaal milte hai, aur uske saath me unki ek aankh”
Aryan apne dono haatho ko upar karta hai, jise puch raha ho ki yeh sab kya hai, par voh kuch bolta nahi hai, fir sunil “doc, sirf yahi kaam tha yaa kuch aur bhi”
Doc “are haa, voh baat yeh thi ki mai 4 din ke liye apne ghar jaa raha hu, toh ab uske baad hi mulaqat hogi” fir voh hospital ki chaabiya dete hue kehta hai “agar kuch kaam ho toh hospital aajana”
Aryan abhi bhi kuch samaj nahi paa raha tha, usne PM report apni jeb me rakhi aur voh tino vapas police station aagayi
Khair Aryan ne aaj kuch kaam naa karne ka faisla kiya aur voh bhi apne ghar chala jaata hai, jo usne gaanv me hi kiraye par liya tha, jabki Sunil kuch der police station me hi rukta hai
To be continued…