• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery MANN KI BAAT

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Rate this story

  • 5 star

    Votes: 164 77.7%
  • 4 star

    Votes: 22 10.4%
  • 3 star

    Votes: 13 6.2%
  • 2 star

    Votes: 2 0.9%
  • 1 star

    Votes: 10 4.7%

  • Total voters
    211

Jai_09

Active Member
697
3,561
139
Update-48

Dadi--Samar, kal kya chahiye tujhe?
Mai--jo aapko acha lage dadi, meri aisi koi demand nahi hai.

Mai gharwaalon ke saath hall me baith ke raat ka khaana khaa raha tha, kal meri zindagi ka bahot hi khaas din tha. Kal ke din mujhe is duniya me aaye 19 saal poore ho jaate, mai to kaafi excited tha. Kal 1 aisa din hota hai jab mai bada special feel karta hoon aur mai hi kya, har koi apne birthday par special feel karta hoga.

Chachi--1 kaam karte hain, Samar ko kal hum log bike gift kar dete hain.
Dadi--sahi bol rahi hai Rama.

Chachi aur dadi ki baat sunke mai bahot khush ho gaya.

Mai(mann me)--finally mere paas bhi bike hogi. Usme Aanchal ko bithaunga aur uske saath poori delhi naap loonga.

Mai apni swapna nagri me khoya hua tha ki tabhi Sujata ne kuch aisa bola ki mere saare sapne toot gaye.

Sujata--kya khaak sahi bol rahi hai, abhi bike nahi hai to ye itni aawaragardi karta hai. Agar bike mil gayi to ye to ghar me nazar bhi nahi aayega.
Papa--Sujata theek bol rahi hai, abhi ise bike dene ka koi matlab nahi hai. Bike ka ye aakhir kya karega, school to iska paas me hi. Aaram se paidal aa-jaa sakta hai, jab ye college jaane lagega tab sochenge bike ka.
Mai(mann me)--tab bhi sirf sochenge, bike denge nahi. Waise bhi jab tak ye Sujata hai tab tak mujhe kuch bhi nahi milne waala.

Maine khaana khaaya aur apne room me aa gaya, wahaan maine apne phone me movie dekhni shuru kar di. Raat ko 12 bajte hi dhadadhad mere phone par "happy birthday" ke message aane lage. Kuch messages mere doston ke the aur kuch mere rishtedaaron ke, mai sabko thanx bolne ke liye type karna shuru karta ki tabhi Aanchal ki call aa gayi. Maine call uthaaya to udhar se Aanchal apni madhur aawaz me "happy birthday" wala gaana gaane lagi.

Mai--thanx baby, waise kya baat hai. Roz to tu 10:30 tak so jaati hai par aaj 12 baje tak jaag rahi hai.
Aanchal--tujhe sabse pehle wish karna chahti thi mai isliye ab tak jaag rahi hoon.
Mai--hmmm...par tu late ho gayi. Tere call se pehle mujhe pata nahi kitne messages aa gaye.
Aanchal--ohh no....koi baat nahi, agle saal mai tujhe sabse pehle wish karungi. Promise.
Mai--acha ye sab chhod aur bata ki mujhe gift me kya de rahi hai?
Aanchal--abhi kuch socha nahi hai, par tu chinta mat kar. Tujhe kuch na kuch special gift hi doongi mai.
Mai--dekhte hain ki tera gift kitna special hota hai.
Aanchal--acha chal good night haan, kal milti hoon tujhse. Bye, love you.
Mai--bye, love you too.

Uske baad maine call kaat di aur ye sochne laga ki Aanchal mujhe kya degi gift me, yahi sab sochte-2 mai so gaya. Agli subah mai 7 baje utha aur seedha bathroom me ghus gaya, naha-dhokar taiyaar hone ke baad mai hall me aaya to sabhi 1-1 karke mujhe wish karne lage. Sujata ko chhod ke sabhi ne mujhe wish kiya, yahaan tak ki Anil bhi mujhe wish karne aaya tha. Sabko thanx bolne ke baad maine fatafat nashta kiya aur school ke liye nikal gaya. Jab mai school pahocha to wahaan bhi mere sabhi classmates ne 1-1 karke mujhe wish karna shuru kar diya, un sabko thanx bolne ke baad mai apne doston ke paas chala gaya.

Bhaanu--Samar bro, ye bata party kahaan dega tu?
Mai--bhai is weekend jahaan tum bolo, wahin chal denge party ke liye.
Amir--goa chalte hain.
Mai--maa ki choot teri, behanchod kam se kam aukaad dekh ke to party maang.
Sameer--ise chhod tu, mai bolta hoon pub me chalte hain.
Varun--mai pub me kya karunga be?
Mai--hum daaru piyenge aur tu humaara moot piyo, lund kaisi baatein karta hai tu.

Mai apne doston se baat kar raha tha ki tabhi class me Aanchal aa gayi, mai uske paas chala gaya to vo mere gale lag gayi.

Aanchal--happy birthday baby.
Mai--waah, aaj to tu full form me lag rahi hai. Class me hi gale lag rahi hai.
Aanchal--kyon, nahi lag sakti kya?
Mai--bilkul lag sakti hai, tera to haq banta hai. Vo to bas mai isliye keh raha tha kyoki sabke saamne....
Aanchal--baaki sab se mujhe ghanta farak nahi padta.
Mai--acha ye sab chhod aur bata ki mujhe kya gift dene waali hai tu.
Aanchal--surprise hai tere liye.
Mai--surprise, I like surprises. To kab milega mujhe mera surprise?
Aanchal--thoda wait kar le, jab sahi time aayega to de dungi tujhe tera gift.

Thodi der Aanchal se baat karne ke baad hum log assembly me chale gaye, wahaan se waapis aane ke baad boring classes shuru ho gayi. Vaise bhi mujhe classes se ghanta farak nahi padta tha, mujhe intezaar tha to bas Aanchal ke surprise gift ka. Mai uska dimaag padhke jaan sakta tha ki vo mujhe kya dene waali hai par fir usse surprise ka saara maza kharaab ho jaata isliye maine wait karna behtar samjha. Chhuti se pehle waale last 2 period humaare sports ke period the, jaise hi vo period start huye to sabhi class waale ground ki taraf jaane lage. Mai bhi apne dosto ke saath jaane laga to Aanchal ne mujhe rok liya, mai samajh gaya ki ab vo mujhe mera gift dene waali hai. Kuch hi der me saari class ground me chali gayi aur classroom me sirf mai aur Aanchal reh gaye.

Mai--chal, ab bata kya gift hai mera?

Jaise hi maine apni baat khatam ki to Aanchal sharmaane lagi, uska chehra sharam ke maare tamatar jaisa laal hua jaa raha tha. Usne apni nazrein jhuka rakhi thi aur apni ungaliyon ko aapas me fasa ke unke saath khel rahi thi.

Mai--arre, tujhe kya ho gaya. Bata na kya gift laayi hai mere liye.
Aanchal--vo....vo mai......
Mai--bol na Aanchal, ab aur kitna suspense banaayegi.
Aanchal--vo us din tune pucha tha na ki kitna waqt intezaar karna hoga tujhe.
Mai--maine kab pucha tha?
Aanchal--tune pucha tha us din theatre me.

Mai yaad karne laga ki maine kab pucha tha usse ye sawaal, jaise hi mujhe yaad aaya to mai hairaan hoke Aanchal ko dekhne laga. Vo abhi bhi apni nazrein jhukaaye baithi hui thi.

Mai--haa pucha tha, to?

Jaise hi maine Aanchal se ye kaha to usne 1 baar nazrein uthaake mujhe dekha, hum dono ki nazrein takraayi to mujhe uski aankhon me apne liye behisaab pyaar dikhaai diya. Kuch der me Aanchal ne apne honth mere honthon ki taraf badhaaye aur mere honthon par 1 halka sa kiss kar diya, kiss karte hi vo fir se meri aankho me dekhne lagi. Uske aisa karte hi mere rom-2 me bijali daud gayi, mere dil me laakhon pyaar ke bomb footne lage. Dimaag me to mere Arijit Singh ka "tum hi ho" gaana baj raha tha, khushi ke maare to mai foola nahi sama raha tha. Maine apna haath Aanchal ke gaal pe rakh diya aur uske hontho ki taraf apne honth badha diye, maine uske honthon ko apne hontho me pakda aur uske honthon ko choosne laga. Use kiss karna nahi aata tha to vo response nahi de rahi thi, mai kuch der uske honth choosta raha aur fir meri dekha-dekhi me Aanchal ne bhi mere honth choosne shuru kar diye. Jab humaari saanse foolne lagi to hum dono alag huye, hum dono abhi bhi ek dusre ki aankho me dekh rahe the. Pata nahi kya dikh raha tha hume ek dusre ki aankho me jo hume alag hi nahi hone de raha tha, maine fir se apne honthon ko uske honthon par rakh diya aur use choomne laga, maine apne haathon se Aanchal ke gaalon ko pakad rakha tha. Aanchal ne bhi apne haath meri gardan aur sar pe rakhe huye the, hum dono ek dusre ko passionately kiss kar rahe the aur kisi dusri duniya me khoye huye the ki tabhi hume kisi ke zor se khaasne ki aawaz aayi, hum dono vo aawaz sunke alag huye aur fir us aawaz ki taraf dekha. Vo aawaz gate ki taraf se aayi thi, jaise hi meri nazar khaasne waale par padi to mere tote hi udd gaye. Gate pe is waqt Sharma sir khade the, saale ke haath me mobile tha jisse shaayad photo ya video kuch record kar raha tha. Pata nahi saala kitni der se gate pe khada tha bhosdiwaala, jaise hi humne uski taraf dekha to usne apna mobile neeche kar liya aur mobile me kuch karne laga. Mai apni seat se utha aur uske paas chala gaya.

Mai--sir ye aap kya kar rahe hain?
Sharma--kar nahi raha hoon beta, kar diya hai maine.
Mai--kya matlab?
Sharma--jo tum dono ye rasleela kar rahe the na uska video banaake maine principal sir ko whatsapp kar diya hai. Arre, unhone to video dekh bhi liya.

Sharma ki baat sunke jahaan mujhe shock laga tha wahin Aanchal ke chehre par to darr fail gaya tha, thodi der me Sharma ka phone baja. Use principal ki call aa rahi thi to usne call utha li.

Sharma--haa sir......jee apne school ka hi hai......arre abhi just mere saamne hi hua hai.........theek hai sir......aata hoon mai sir...........ok sir

Uske baad Sharma ne call kaat di aur humaari taraf muskurate huye dekhne laga, uski hasi dekh ke to mera mann kar raha tha ki abhi ke abhi uski battisi tod doon.

Mai--how could you do this sir, aapne 1 baar bhi....
Sharma--beta mujhse faaltu baatein karke koi faayeda nahi hai, tum dono ko principal sir ne abhi bulaaya hai apne cabin me. Ab tumhe jo bhi bolna hai na, tum unhi se bolna. Chalo ab mere saath.

1 ghante baad:-

Mai is waqt principal office me khada tha, mere bagal me Aanchal khadi thi. Principal sir apni chair par baithe huye the, Sharma bhi cabin me khada hokar apna mobile chala raha tha. Aanchal ke mummy-papa aur mere papa bhi cabin me maujood the aur table ki dusri taraf waali kursiyon par baithe huye the. 1 baar principal sir ne humaari taraf dekha aur fir Sharma ki taraf dekhne laga.

Principal--Sharma sir, please inke parents ko bataaiye sab kuch.
Sharma--sir mai kaise bataaun, aap hi bata dijiye na.
Papa--koi kuch bataayega bhi ki aakhir hua kya hai.
Principal--mai bataata hoon Mr. Singh, actually Sharma sir ne aapke bete ko inki beti ke saath kissing karte huye pakda hai classroom me.
Aanchal's papa--kya, ye kya bol rahe hain aap sir. Hosh me to hain aap, meri beti apni class ki topper hai. Ye sab harkatein vo kar hi nahi sakti hai.
Aanchal's mummy--sir aapko zaroor koi galatfehami hui hogi, meri bachi aisa nahi kar sakti.
Sharma--mujhe pata tha ki aapko yakeen nahi hoga isliye maine saboot bhi rakha hai apne paas.
Papa--kaisa saboot?

Sharma sir ne apne mobile me vo video play kari aur apne phone ko table par rakh diya, humaare parents vo video dekhne lage to unke mooh khule ke khule reh gaye. Vo kabhi video ki taraf dekhte to kabhi humaari taraf, Aanchal to sharminda huye jaa rahi thi. Jab video khatam hua to humaare parents hume ghoor-2 ke dekhne lage.

Sharma--arre sir, inke sports ke period the. Ye dono nahi aaye to maine inki class ke dusre student se inke baare me pucha, unhone bataaya mujhe ki ye dono school to aaye the. Mai inhe dhoondane class tak gaya to ye dekha maine, shukar hai sir mai time pe pahoch gaya varna pata nahi ye kya-2 kar lete akele me.

Sharma ne apni baat khatam ki to principal sir ne use 1 baar ghoor ke dekha, principal ko dekh ke Sharma chupchaap khada ho gaya.

Principal--ab to aap logo ko yakeen aa gaya hoga, dekhiye ye school hai. Yahaan ye sab karke aapke bache school ki maryaada ko bhang kar rahe hain, is school ka principal hone ke naate mera farz banta hai ki mai aapko sabse pehle khabar doon isliye maine aap logo ko yahaan bulaaya hai.

Jaise hi principal ne apni baat khatam kari to papa apni jagah se uthe aur mere paas aa gaye, mere paas aate hi unhone mere gaal pe ghuma ke 1 thappad de maara. Thappad itna tez tha ki uski aawaz se sabhi ki gaand fatt ke 4 ho gayi.

Papa--nikamme naalayak, isliye tujhe school bhejta hoon mai chataak.... taaki tu school me ye sab kar sake chataak... arre apni izzat ka khayaal nahi tha to kam se kam meri izzat ka to khayaal karta chataak chataak

Papa apni baat bolte-2 mujhe pele jaa rahe the, baaki sab to buth bane meri thukaai dekh rahe the. Kuch der meri thukaai dekhne ke baad principal bol pada.

Principal--Mr. Singh, ye kya kar rahe hain aap. Ye mera office hai, please behave yourself.
Papa--arre sir, ye isi laayak hai. Pata nahi bhagwaan ne kyon mujhe ye nikammi aulaad de di hai, hamesha meri naak kataata rehta hai ye.
Aanchal's mummy--sir, isme meri beti ki koi galti nahi hai. Ye to apni class ki topper hai, zaroor is ladke ne meri bachi ko behkaaya hoga.
Principal--dekhiye, aap logo ko jo bhi kehna hai apne bacho se kahiyega. Mai aapke bacho ko 1 aakhiri warning deke chhod raha hoon, agar agli baar aapke bache kuch bhi aisa karte huye pakde gaye to mujhe majbooran inhe school se nikaalna hoga. Ab aap jaa sakte hain.

Uske baad hum sabhi log cabin se baahar aa gaye, maine 1 baar Sharma ki taraf dekha to vo muskurata hua jaa raha tha. Meri nazar fir gayi Aanchal pe jo apne parents se baat kar rahi thi, uske parents use sunaaye jaa rahe the aur vo bechaari roye jaa rahi thi. Use rota hua dekh mai turant uske paas chala gaya.

Mai--uncle aunty agar aap bura naa maane to mai aapse 1 baat kehna chahta hoon, please ise mat daantiye. Iski koi galti nahi hai......
Aanchal's papa--vo hume ache se pata hai, humaari beti aisa kar hi nahi sakti hai. Ye sab tumhaara kiya-dhara hai aur humaari beti ko bhi bhugatna pad raha hai. Tum jaao yahaan se, hume humaari beti se baat karni hai.
Mai--par uncle....
Aanchal's mummy--tumne suna nahi kya, please jaao yahaan se. Hume tumse koi baat nahi karni hai, jaao yahaan se.

Mai chupchaap waapis papa ke paas aa gaya, papa to abhi bhi mujhe ghoore jaa rahe the.

Papa--apni class me jaa aur apna bag leke aa jaa, tujhse to mai ghar chalke hi baat karunga. Naalayak nikamma kahin ka.

Papa ki baat sunke mai fatafat apni class me gaya aur apna bag leke aa gaya, Aanchal abhi bhi apne parents ke saath khadi thi. Maine use ishaara kiya ki sab theek ho jaayega aur fir papa ke saath school se nikal gaya.
Mere jaane ke baad Aanchal aur uske parents bhi jaane lage ki tabhi Meera unke paas aa gayi.

Meera--aunty, if you don't mind mujhe aapse akele me baat karni thi.
Aanchal's mummy--tum kon ho?
Meera--aunty mera naam Meera hai, please aunty, sirf 5 minute lagenge.
Aanchal's mummy--theek hai.

Uske baad Aanchal ki mummy aur Meera 1 khaali room me chale gaye, Meera ne 1 baar gate se baahar jhaank kar check kiya ki wahaan koi hai to nahi aur jab sure ho gayi to usne gate ko kundi lagaa di.

Aanchal's mummy--bolo, kis baare me baat karni hai tumhe?
Meera--Samar ke baare me baat karni hai aunty.
Aanchal's mummy--kya baat karni hai tumhe uske baare me?
Meera--aunty, please meri aap se guzaarish hai. Aap please Aanchal ko usse door rakhiye, Samar 1 bahot hi gira hua ladka hai. Uske jaisa ghatiya insaan maine aajtak nahi dekha, ladkiyon ki zindagi ke saath khelna uska shauk hai aunty.
Aanchal's mummy--kya....
Meera--haa aunty, ladkiyan badalna uski hobby hai aunty. Pehle to vo maasoom aur bholi-bhaali ladkiyon ko apne pyaar ke jaal me fasaata hai aur fir unke saath vo sab karta hai. Jab uska mann bhar jaata hai to vo un ladkiyon ko tissue paper ki tarah fek deta hai aur fir kisi dusri ladki ke peeche lag jaata hai.
Aanchal's mummy--tumhe ye sab kaise pata hai?
Meera--kyoki Aanchal se pehle vo mere saath tha, haa aunty. Usne pehle mujhe behla-fusla kar apne jaal me fasaaya aur uske baad usne mere saath vo sab kiya.

Ye bolte huye Meera ne rona shuru kar diya, Aanchal ki mummy uske paas aa gayi aur uske kandhe par haath rakhke use chup karaane lagi.

Meera--Jab mujhse uska mann bhar gaya to usne mujhe chhod diya, kuch din baad mujhe pata chala ki mai pregnant ho gayi hoon.
Aanchal's mummy--kya....
Meera(rote huye)--haa aunty, maine ye baat Samar ko bataayi to usne mujhe ignore maarna shuru kar diya. Mai usse baat karne ki koshish karti to vo mujhe suna deta, aakhir me thak-haar kar maine ye baat apne parents ko bata di. Pehle to mere parents ne mujhe bahot daanta aur maara, lekin jab unka gussa shaant hua to unhone mera abortion karwa diya
Aanchal's mummy--tumne uski police me complaint kyon nahi ki?
Meera--mai nahi chahti thi aunty ki mere mummy-papa ki badnaami ho, agar unki izzat pe aanch bhi aati to mai jeete-jee mar jaati. Mai apne parents ke liye kuch bhi kar sakti hoon isliye maine apne saath huye anyaaya ko bardaasht kar liya(ye bolte huye Meera aur tez rone lagi)
Aanchal's mummy--koi baat nahi beti, mai samajh sakti hoon ki tum par us waqt kya beeti hogi. Chup ho jaao, jo samay beet gaya use yaad karke mat ro.
Meera--aunty, mai nahi chahti ki jo mere saath hua vo Aanchal ke saath bhi ho. Aap use bacha lijiye aunty varna Samar naam ka bhediya uski izzat ko bhi taar-2 kar dega.
Aanchal's mummy--nahi, mai apni beti ke saath aisa kuch bhi nahi hone dungi. Jab tak uski maa zinda hai, tab tak uske saath kuch galat nahi hoga. Vo Samar ab meri beti ko haath bhi nahi laga paayega.
Meera--aunty, aap mujhe apna number de do. Mai aapko apni abortion report ki photo bhej dungi, aap please vo Aanchal ko dikha dena aur use samjhaana ki Samar uske liye sahi ladka nahi hai.
Aanchal's mummy--theek hai beti. Ab mujhe chalna chahiye, tumhaara bahot-2 shukriya jo tumne waqt rehte mujhe ye sab bata diya varna mai apni bachi ko kho deti.

Uske baad Aanchal ki mummy room se chali gayi, unke jaate hi Meera ne apne aansoo poche. Uske chehre par 1 kutil muskaan fail gayi.

Meera(mann me)--gazab ki acting karti hai tu Meera, tujhe to iske liye Oscar milna chahiye. Ab bas shaam ko vo jhooti report ki copy bhejni hai is aunty ko, uske baad Samar aur Aanchal ki prem kahaani khatam. Samar, maine kaha tha na ki tumhe paane ke liye mai kuch bhi kar sakti hoon. Tum mere nahi huye to kya hua, mai tumhe us Aanchal ka bhi hone nahi doongi.

Wahin jab mai ghar pahocha to papa ne mujhe fir se thapedna shuru kar diya, jab dadi aur chachi ne unse mujhe maarne ka kaaran pucha to papa ne unhe sab bata diya.

Papa--dekh lo maa apne laadle pote ki kartoot, yahi sab karta hai ye school jaake. Ab pata chala ki 2 saal kyon fail hua hai yeh.
Mai--papa please 1 baar meri baat suno, mai usse bahot pyaar karta hoon. Vo meri zindagi hai, uske bina nahi jee sakta mai.
Papa--1 maarunga na kaan pe to saara pyaar ka bhoot utar jaayega tera. Mai roz mehnat karta hoon tere school ki fees bharne ke liye aur tu yeh gul khila raha hai.

Papa mujhe thoda aur sunaate ki tabhi unka phone baj utha, unhone 1 baar mobile ki taraf dekha to call Narayan ji ki thi. Unhone apne aap ko gehri saans leke shaant kiya aur fir call utha li.

Papa--namastey sir.......kya hua sir.........ye kya bol rahe hain aap.......1 minute sir

Papa ne mujhe ghoor ke dekha aur apne kaan se phone hataakar use loudspeaker pe daal diya

Papa--sir, please 1 baar dobara bolenge jo aapne abhi kaha tha.
Narayan--Mahipal ji, mai mazaak ke mood me nahi hoon. I'm serious right now, aaj hi mai apni family ke saath vacation se waapis aaya hoon aur ghar aake mujhe mere naukar se kya pata chalta hai. Aapke bete ne party waali raat mere hi ghar me meri beti ko kiss kiya tha aur jab mere naukar ne aapke bete ko ye sab karte huye dekh liya to aapke bete ne use dhamki di thi ki agar ye baat usne mujhe bataai to aapka beta uske bachon ko nuksaan pahochaayega.

Jaise hi sab ne ye baat suni to sab mujhe ghoor-2 ke dekhne lage, mere to tote udd gaye the. Behanchod aaj 1 ke baad 1 bomb gir rahe the mere oopar, meri to samajh hi nahi aa raha tha ki mai kaise in saari situtations ko handle karun.

Papa--par sir ho sakta hai ki aapka naukar jhoot bol raha ho...
Narayan--mr. Mahipal, mera naukar Ramu mere prati bahot wafaadaar hai. Aapke bete ne uske bachon ko nuksaan pahochaane ki dhamki di thi lekin fir bhi usne bina dare mujhe sach bataaya hai.
Papa--sir kya aapne Urvashi mam se is baare me baat ki?
Narayan--usne bhi ye baat maan li hai ki vo aapke bete ko kiss kar rahi thi. Usse to mai baat kar lunga par pehle aap apne ladke ko to dekhiye. Mai samajhta tha ki aapke pariwaar ke sabhi members bhale log hain par aapne to apne ghar me gunda paal rakha hai. Mera mann to kar raha hai ki abhi aapke bete ko jaan se maar doon par ye mai nahi kar sakta, kaanoon mujhe iski ijaazat nahi deta. Par iska matlab ye to nahi ki mai saza nahi de sakta. Ab meri baat dhyaan se suniye aap, Mr. Mahipal Singh, you are fired.
Papa--kya.....
Narayan--aapko kal se kaam par aane ki koi zaroorat nahi hai, aapke is mahine ke jo bhi bakaaya paise honge vo aapke account me transfer kar diye jaayenge. Aaj ke baad na mai aapki aur na hi aapke kisi family member ki shakal dekhna chahta hoon.
Papa--par sir....hello....hello sir......sir please....

Narayan ne dusri taraf se call kaat di thi, papa ne unhe dobaara call karne ka try kiya par Narayan ne shaayad apna number switch off kar liya tha. Kaafi der koshish karne ke baad jab Narayan ne phone nahi uthaaya to papa 1 kursi par baith gaye. Unhone apne chehre ko apne haathon me chhipa liya, Sujata unke paas gayi aur unke kandhe par haath rakh ke khadi ho gayi. Sabhi log kabhi papa ko dekhte to kabhi mujhe, ye sab meri wajah se hua tha to maine papa se maafi maangni chahi.

Mai--papa....I'm sorry....

Meri baat sunte hi papa ne gusse se meri taraf dekha, unke chehre ka gussa dekh kar meri gaand fattne ko ho gayi. Vo apni jagah se khade uthe aur mere paas aakar unhone mera collar pakda aur mujhe dobaara pelna shuru kar diya.

Papa--nikamme naalayak, khud to kuch kaam-dhaam ka hai nahi, oopar se teri harkaton ki wajah se meri naukari bhi chali gayi. Ab bata mujhe, kaise paalunga mai apne pariwaar ko, bata mujhe kaise paalunga mai tum logo ko.

Papa thodi der mujhe pelte rahe aur fir waapis kursi par baith gaye, mai to chupchaap 1 kone me khada tha.

Papa--meri izzat ki dhajjiyan uda di tune, kuch kaam ka nahi hai tu. Tu sirf abhi mere paise khaa aur mera khoon pi. Maa, ise bhagaao yahaan se. Mujhe iska chehra bhi nahi dekhna, ise le jaao mere saamne se.
Mai--par papa....
Sujata--suna nahi kya tune, tu jaa yahaan se. Kyon inki tabiyat kharaab karne par tula hua hai, jaa yahaan se tu.

Mai thodi der wahaan khada raha aur uske baad apne room me aa gaya, mujhe aaj apni kismat pe bahot hi tez gussa aa raha tha. Aaj mera birthday tha aur meri kismat ne mujhe itne saare gift ek saath de diye the. Maine socha ki Aanchal ko phone karta hoon aur usse puchta hoon ki uske ghar me maahol kaisa hai. Maine use call kiya to uska phone switch off jaa raha tha, maine kayi baar try kiya par nateeja same raha. Us din aur kuch khaas nahi hua, ghar me lagbhag sabhi mujhse naaraz the meri us harkat ke liye jo main Ramu ke saath ki thi. Yahaan tak ki chachi bhi mere is rawaiye se naaraz thi, papa to gusse aur tension ki aag me jal rahe the. 1 taraf vo mere oopar gussa the to wahin unhe tension bhi thi ki ab ghar kaise chalega. Jab bhi unhe dikh jaata to vo mujhe khari-khoti sunaane lagte. Ye birthdaymeri life ka sabse special birthday tha, is birthday ko to mai agle janam me bhi nahi bhool paaunga.
Agle din mai mare mann se school ke liye taiyaar hua, jab mai hall me nashta karne aaya to papa chacha se baat kar rahe the.

Chacha--bhaiya, mai baat karta hoon apne senior se. Humaare yahaan agar aapke laayak koi post khaali hogi to mai aapko bata doonga.
Papa--theek hai Hari, dekh lena bhai kuch. Agar mujhe jald hi koi job nahi mili to ghar me paiso ki tangi ho sakti hai, achi-khaasi job thi meri par is ladke ki wajah se sab barbaad ho gaya.

Jaise hi maine papa ki baat suni to mai bina nashta kiye hi school ke liye nikal gaya, school pahocha to maine paaya ki sabhi ko kal ke kaand ke baare me pata chal gaya tha. Sab ke sab mujhe dekhte aur aapas me baat karne lagte, maine unhe ignore kiya aur Aanchal ka wait karne laga. Lekin us din gajab ye hua ki Aanchal school hi nahi aayi, maine uski best friend Preeti se jab uske na aane ka reason pucha to usne keh diya ki use nahi pata. Us poore din ye sochke mera dimaag kharaab raha ki aakhir Aanchal school kyon nahi aayi, maine ghar aane ke baad use call kiya par is baar bhi uska phone switch off aa raha tha.
Uske baad 2-3 din aise hi beet gaye, is beech Aanchal 1 din bhi school nahi aayi. Mai har baar Preeti se uske naa aane ka kaaran puchta aur vo har baar ye kehke mana kar deti ki use nahi pata, mai ghar aake use call karta to uska phone switch off jaata. Is beech papa ko chacha ki company me job mil gayi, papa ke paas acha-khaasa experience tha to unhe achi salary bhi mil rahi thi. Papa aur Sujata to is baat se khush the ki ab ghar me paiso ki dikkat nahi aayegi.
1 shaam mai apne bed pe leta hua tha ki tabhi mera phone baja, maine phone dekha to usme Preeti ki call aa rahi thi. Maine call uthaaya aur turant bol pada.

Mai--Preeti, kuch pata chala ki Aanchal school kyo nahi aa rahi hai?
Preeti--Samar, vo apni family ke saath Agra jaa rahi hai. Uski family ab wahin shift ho rahi hain.
Mai--kya.....par achanak kyon?
Preeti--Usne bataaya ki tera bad influence uspe na pade isliye uske parents use hamesha ke liye yahaan se le jaa rahe hain
Mai--aisa nahi ho sakta, mai aisa hone hi nahi doonga. Mai use nahi jaane dunga....

Maine call kaat di aur turant Varun ko call lagaaya, jab usne call uthaaya to maine use mere ghar scooty leke aane ko kaha. Uske baad maine call kaati aur turant ghar ke gate ki taraf daud pada, jaise hi papa ki nazar mujh pe padi to unhone mujhe rok diya.

Papa--kahaan jaa raha hai?
Mai--papa, vo Aanchal ke parents use Agra le jaa rahe hain hamesha ke liye. Mai use nahi jaane de sakta papa, mai use rokne jaa raha hoon.
Papa--chupchaap ghar me baith jaa, agar baahar gaya to teri taange tod dunga.
Mai--please papa, mujhe jaane do. Mai to kehta hoon aap bhi mere saath chalo, aap uske parents se baat karna. Aap unhe convince karna ki vo Aanchal ko mujhse door na bheje. Papa, aap chahte ho na ki mai dhang se padhai karke kuch banu. Mai banunga papa, aap please unhe rok lo papa. Aap unse kehna ki vo thoda wait kar le, jab mai kuch ban jaaunga tab mai Aanchal se shaadi kar lunga, bas vo mujhe Aanchal se door na kare. Mai uske bina nahi jee sakta hoon papa.
Papa--mai kisi se bhi jaake koi baat nahi karne waala, samajh gaya na tu.
Mai--please papa, 1 baar baat kar lo unse. Meri khushi ke liye papa, please aap chalo naa saath mere.
Papa--maine kaha na ki mai unse baat karne nahi jaaunga.
Mai--kyon nahi jaa sakte aap?
Papa--kyoki mai unse already baat kar chuka hoon.
Mai--kya matlab?
Papa--matlab ye ki shaam ko Aanchal ke papa ka call aaya tha mujhe, shaayad Aanchal ne kaha tha unhe ki vo mujh se baat kar le. Unhone mujhse pucha tha tere baare me, tere character ke baare me.
Mai--to aapne kya kaha?
Papa--jo sach hai wahi bataaya maine unhe. Maine unse keh diya ki tere pehle bhi dusri ladkiyon ke saath relation reh chuke hain aur tu unki beti ke liye bilkul bhi sahi ladka nahi hai.
Mai--par aap ne aisa kyon kiya papa?
Papa--maine kya galat kaha unse, kya tera pehle Urvashi ke saath relation nahi tha. Vaise bhi, ye Aanchal naam ki ladki teri life ka sabse bada distraction hai. Jab tak vo teri zindagi me rahegi tab tak tu apni life me kuch achieve nahi kar paayega isliye maine use teri zindagi se hataana behtar samjha. Ab vo teri life se chali jaayegi to tu apni padhaai par ache se focus kar paayega.

Papa ki baatein sunke mere dimaag ki nasse fatne ko ho gayi, meri to samajh me hi nahi aa raha tha ki mai us time kaise react karun. Mai apne baap par gussa karun ya apni footi kismat par hasun jo mujhe aisa baap mila hai jo meri khushiyon ki maa-behan karne me laga hua hai. Maine papa se kuch kehna chaha ki tabhi mera phone baj utha, Varun ki call thi jiska matlab ye tha ki vo ghar ke baahar aa gaya tha. Maine phone apni jeb me rakha aur waapis gate ki taraf daud gaya, papa aawaz lagaakar mujhe rokte rahe par mai nahi ruka. Mai seedha Varun ke paas gaya aur uske saath baith ke Aanchal ke ghar ki taraf nikal gaya, jab mai uske ghar ke baahar pahocha to maine dekha ki un logo ne saara saaman apni car me rakh diya tha aur car me baithne waale the. Maine Aanchal ko aawaz lagaake roka aur daudte huye uske paas chala gaya.

Mai--Aanchal, kahaan jaa rahi hai tu. Tu kahin nahi jaa sakti, mai nahi jaane dunga tujhe.

Maine uska haath pakad rakha tha to usne 1 baar meri taraf dekha aur fir haath jhatak kar apna haath chhudwa liya. Uske aisa karne se mai bahot hairaan hua.

Aanchal--haath mat lagaana mujhe.
Mai--Aanchal, kya ho gaya hai tujhe. Mai tera Samar hoon, baby aise behave kyon kar rahi hai tu.
Aanchal's mummy--mat lena apni gandi zabaan se meri beti ka naam, door raho usse.
Mai--aunty 1 minute meri baat sun lijiye aap please....
Aanchal's papa--sunane ke liye ab reh hi kya gaya hai, jo sunana tha humne tumhaare papa se sun liya hai. Tum jaisa ghatiya aur besharam ladka humne aaj tak nahi dekha hai, door raho meri beti se.
Mai--aap unki baaton ka vishwaas mat kijiye uncle, unhone aap se jhooth kaha tha.
Aanchal's mummy--konsa baap apne bache ke baare me aisa jhooth bolega, unhone jo kuch bhi kaha hai sab sach hai. Tumhe sharam nahi aati maasoom ladkiyon ki zindagi barbaad karte huye.
Mai--aunty, maine kisi ki zindagi barbaad nahi kari hai. Aap mera yakeen kijiye.....
Aanchal(chillate huye)--chupppppp......aur kitna jhooth bolega tu. Mujhe to pehle hi samajh jaana chahiye tha ki tu kitna gira hua hai lekin mai paagal thi jo tere pyaar me andhi ho gayi thi. Sahi cheezein to dikhna hi band ho gayi thi mujhe.
Mai--ye tu kya bol rahi hai Aanchal, meri kuch samajh nahi aa raha hai.
Aanchal--itna bhola mat ban, mere saamne hi tu Neetu mam ko kis nazar se dekhta tha.
Mai--Aanchal, vo 1 misunderstanding thi, meri baat sun...
Aanchal--acha, to jo tune Meera ke saath kiya vo bhi misunderstanding rahi hogi.
Mai--maine kya kiya Meera ke saath....
Aanchal's mummy--kitna bhola ban raha hai, hume nahi pata ki kaise tu ladkiyon ko apne jaal me fasaata hai aur uske baad unki izzat se khelke unhe chhod deta hai. Us bechari Meera ke saath bhi tune yahi kiya.....
Mai--aunty maine uske saath kuch bhi nahi kiya hai.....
Aanchal's mummy--jhooth...sab jhooth bol raha hai tu. Usne bataaya mujhe ki kaise tune uske saath vo sab kiya aur jab vo bechaari pregnant ho gayi to tune use ignore karna shuru kar diya tha. Us bechaari ko abortion karwaana pada tha apni family ki izzat bachaane ke liye.
Mai--aunty ye sarasar jhooth hai....
Aanchal's mummy--jhooth hai ye sab, 1 minute ruk jaa....

Aunty ne apna phone nikaala aur usme 1 photo kholke mujhe dikhaayi, maine vo photo dekhi to vo kisi clinic ki abortion report thi. Usme Meera ka naam likha hua tha, mai jab tak ye sab shit process kar paata tab tak uncle fir bol pade.

Aanchal's papa--humne ye sab bataaya tha Aanchal ko lekin vo yeh maanane ko taiyaar hi nahi thi isliye humne tumhaare papa ko phone lagaaya tha tumhaari sachaai jaanane ke liye. Unhone hume jo bataaya usse ye saaf ho gaya that you are just a fucking playboy. Ab hum yahaan 1 pal bhi nahi rukna chahte hain, chalo yahaan se.

Vo sab jaane lage to maine Aanchal ka haath pakad liya, vo apna haath mujhse chhudwaane lagi lekin maine uske haath ko pakde rakha aur uski aankho me dekhte huye bolne laga.

Mai--please don't go Aanchal, I love you. Yaad hai maine kaha tha ki you are the best thing happened to me after my mom, maine vo sach kaha tha Aanchal. Mat jaa please, I love you.

Ye bolte huye mujhe rona aa raha tha, aankho me to aansoo lagbhag aa hi chuke the. Aanchal ne 1 baar meri aankhon me dekha aur fir 1 jhatke me mujhse apna haath chhudwaaya.

Aanchal--but I don't love you anymore. Mai nafrat karti hoon tujhse aur waada karti hoon ki apni poori zindagi tujhse nafrat karti rahungi. Aaj ke baad mujhe kabhi apni shakal mat dikhaana.

Ye bolte hi Aanchal gaadi me baith gayi, uske mummy-papa bhi gaadi me baithe aur fir vo gaadi start karke wahaan se jaane lage. Mai to abhi bhi Aanchal ko jaate huye dekh raha tha, jaise-2 vo mujhse door jaa rahi thi mera dil aur tez rota jaa raha tha. Mai wahin zameen par baith gaya aur bilakh-2 kar rone laga, kuch der me baarish bhi shuru ho gayi aur baarish ke paani me mere aansoo jaise kahin gum ho gaye. Meri ye haalat dekhkar Varun mere paas daudta hua aaya aur usne mujhe gale laga liya, mai uske gale lagkar na jaane kitni der roya. Mere dimaag me 1 hi baat chal rahi thi.

Mai(mann me)--Aanchal, aaj bhale hi tu jaa rahi hai par mera waada hai tujhse ki 1 din mai waapis tere paas aaunga aur apne aap ko teri nazar me sahi saabit karunga. Us din mai tujhe hamesha ke liye apni bana loonga, tab tak mera intezaar karna Aanchal.

Thodi der baad Varun ne mujhe uthaaya aur scooty par bitha diya, uske baad vo mujhe mere ghar le gaya aur mujhe mere ghar par drop karne ke baad vo apne ghar ke liye nikal gaya. Mai apne ghar me ghusa to dadi aur chachi mere paas aa gaye aur mujhse sawaal karne lage lekin maine unki baaton ko ansuna kar diya aur seedha chhat waale kamre me chala gaya, wahaan mai bed par let gaya. Maine socha tha ki agar neend aa jaayegi to shaayad mera dil aur dimaag dono thode halke ho jaayenge lekin neend to aankho se koson door thi. Dimaag me to bas wahi lamha chal raha tha jab Aanchal mujhe chhod ke jaa rahi thi. Vo poori raat maine bina soye nikaal di, jab subah hui to mera phone bajna shuru ho gaya. Meri phone uthaane ki bilkul ichha nahi thi to maine use bajne diya, lekin pata nahi kon tha jo baar-2 call kiye jaa raha tha. Aakhirkaar maine tang aake phone uthaaya to dekha ki Varun ki call thi, maine call pick ki aur bina uski baat sune bolne laga.

Mai--bhai meri bilkul ichha nahi hai baat karne ki....
Varun--sun-2 bhai, call mat kaatiyo. Kuch bataana hai tujhe.
Mai--bol jaldi.
Varun--tere TV par xxxx news channel aata hai na, jaldi jaake usme aa rahi khabar ko dekh.
Mai--kyon, kya hua hai?
Varun-- bhai, tu khud hi dekh le. Jaldi jaa, bahot important hai isliye phone kiya hai tujhe.
Mai--theek hai, mai dekhta hoon.

Mai kamre se nikalkar jaldi se bhaagta hua hall me gaya aur maine TV on kar diya, mujhe daudta hua dekh chachi bhi hall me aa gayi. Maine vo news channel lagaaya to pata chala ki vo koi jhaantbhar ka news channel tha.

Reporter--is waqt ki khabar aa rahi hai Yamuna expressway se jahaan kal raat 1 accident hua hai. Is accident me 3 logo ki maut ho chuki hai, accident ka kaaran gaadi ke kharaab tyres ko bataaya jaa raha hai. Aapko bata de ki kal Delhi NCR me moosladhaar baarish hui thi, ghatna kareeban 10 baje ki hai. Ghatna sthal par maujood logo se humaare reporters ne baat kari to pata chala hai ki baarish me us gaadi ke tyres slip ho gaye jiski wajah se unki gaadi palat gayi thi. Ghatna sthal pe maujood logo ne ambulance bulaayi par ambulance ke pahochne se pehle hi gaadi me maujood teeno logo ne apna dum tod diya. Gaadi 1 white indica thi jiska number tha xxxxxxxxxx

Jaise hi us reporter ne gaadi ka number bataaya to mere dimaag ki maa-behan ho gayi, mere pair kaampne lage. Us pal mujhe aisa lag raha tha jaise kisi ne mere pairon ke neeche se zameen kheech li ho, mai turant zameen par baith gaya aur zor-2 se saans lene laga. Chachi ne meri haalat dekhi to vo turant mere paas aa gayi.

Chachi--Samar, kya hua tujhe. Tu theek to hai na, bata kya hua tujhe.

Chachi mujhse thodi der meri haalat ke baare me puchti rahi to maine unki taraf dekh ke bolna shuru kiya.

Mai--vo....vo car ka number.....
Chachi--haa bol Samar.
Mai--vo car ka number Aanchal ke papa ki car ka hai.
Chachi--kya.....
Mai--vo kal raat Agra jaa rahe the, us reporter ne kaha ki gaadi me teen log the aur teeno ki maut ho chuki hai. Iska matlab....iska matlab hai Aanchal........Aanchal ab nahi rahi.
 
Jai_09

Active Member
697
3,561
139
Fantastic Update 👍
badhiya update bhai....
hero apne bap ko impress larne ke chakkar main hai.. aur nitu ne toh iski bara bar leli...
maja a agaya bro
Jbardust update Bhai
Wow! Wonderful. Waiting for next update
Shandaar update bhai
Ye nitu ke chakkar me Hindi ke paper me watt lg gyi Sam ki.
Waiting for next update
Nice Update...
Bahot hi badhiya 👌👌
Mast update bro
Awesome Update Bhai
Fantastic update..
Nice update
Super update hai bhai
Waiting for update bhai
Update Posted Guys
Please read and give your precious reviews
 
Hunterrrr69

Well-Known Member
2,069
4,813
159

Amazing jbardust update bahut Sahi twist laya
 
Top