• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Lallu

Dil mai
1,245
3,272
158
:hi:
Thank You sO sO much Lallu bhau
๐Ÿ˜„๐Ÿ˜


๐Ÿฅฒ
Daily updates to filhal possible nahi h bhai
Kal apni 'daily update continuity' toot jayegi
:sad:
Haa par updates ke beech me jyada gab nahi hoga :good: :hug:


thanks once again bro
๐Ÿ˜Š๐Ÿ™
๐Ÿ‘๐Ÿ˜
Bhai story bahut likhate hain per adhuri chhodate Hain
Isliye dar Laga rahata hai
Aapki story alag hai jo romance adventure aur thriller banati hai
Dil mat todna ham hajiri lagate rahenge
 

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,872
159

Shadow_Chaser

Active Member
1,217
3,872
159
โ€ขยฐUPDATE 36โ€ขยฐ


Recap -


Aur jahaan tak baaki contestants ki baat hai.. to ve Audience ka dhyaan apni or nahi kheench paye. .


Idhar,

Audience stand par, Daksha achaanak Saanvi ki or mudi aur apni compliment di,

Daksha : "Sani! tere 'uncle' long distance races me kitne amazing hain yrrr~ ! " ๐Ÿ˜

Saanvi ne garv se apne hothon ko sikod liya,

Saanvi : " Of course~ " ๐Ÿ˜Ž




AB AAGE :-


Jald hi long distance race, apne aakhiri 1.5 lap (chakkar) par pahuch gayi aur ab... mukaabla apne charam par pahuch chuka tha.
Nissandeh.... tamaam audience ka dhyaan, Manav aur Lakshya ke beech 1st position ke liye chal rahi kaante ki takkar par hi tha..


1500 meter ki race tab tak surkhiyon me nahi aayi thi jab tak ki usme Lakshya as a participant shaamil nahi hua; aur uska naam add hone se, ladkiyaan is race ka besabri se intjaar kar rahi thi.


Jab Manav dheere-dheere Lakshya ke najdeek pahuch gaya aur uski leading position khatre me aa gayi to audience stand par maujood sabhi log, apne apne kaamon (taash, gupshup, khaana peena, bakloli etc) ko chhodkar, race ko bade dhyaan se dekhne lage..


Unme se jyadatar logon ke liye, Lakshya ki "Parmanent Champion" wali position ko khatre me aate dekhna bada sukoon-bhara & majedaar tha. Taakatwar se kaamjoor aur asahaay dikhne ke alawa, ye Lakshya ke muh par ek jordaar tamacha hoga ki koi uski 'first position' itne easily lele.
Agar aisa ho gaya to ye poori university me ek sansanikhej khabar hogi!


Track par, Lakshya ki saansen foolne lagi aur uske kadam bhi bhaari ho gaye. Ek anubhavi athlete ke roop me, use ye vishwas tha ki 1500 meter race ka Champion sirf or sirf wahi ban sakta hai. .
Lekin ab..., koi anjaan mamuli junior ladka use kadi chunauti de raha tha; yeh uski "born champion' wali high profle image par ek kaale dhabbe ke jaisa tha!


Swabhaavik roop se, Chennai University aasamaany kshamtaon wale logon se bhari hui thi aur.... Lakshya unmen se kewal ek tha.



Doosri or, Manav ke chehre par drdh bhaav the, aur... uske kadam bhi sthir hi rahe.

Jab usne start line ko paar kiya, to usne race track ke kinaare lage sign board par najar daali : 1.


Ab kewal ek chakkar baaki tha.



Audience stand par, Adarsh ke aas paas sabhi log dang rah gaye the. Unhone ummeed nahi ki thi ki Manav race me kabhi second place par aa sakta hai aur.. yahaan tak ki itni der tak apni position par kaayam reh sakta hai.
Doosre shabdon me.., Bhale hi ab bachi race me Manav ka saara stamina khatam ho jaye lekin agar ab woh koi galti nahi karega to weh, nishchit roop se 2nd na sahi magar asaani se 3rd rank par aa jayega.


Aur.. unmen se kisi ne bhi shart nahi lagayi thi ki Manav Top 3 me aa jayega! un ladko beech me maujood, Adarsh ke chehre par ek badi gehri muskurahat tair rahi thi kyonki... kisika bhi shart na jeetne ka matlab tha... yahi ki unka saara paisa sirf or sirf uska hone wala tha. ๐Ÿค‘


Jab Manav track ke najdeek khadi Aahna ke paas se gujra to, Aahna ne bhi uske saath ground par daud laga di aur daudte hue use ek paani ki bottle thama di, jiska dhakkan pehle hi hata diya gaya tha,


Aahna : "Manav! thodA paani piloO!! "


Uska ehsaan maante hue Manav ne muskura kar use dekha, aur daudte hue hi paani ke kuch ghoont pi liye.
Iske baad usne, bottle waapas Aahna ko saump di.


Aahna ke dekha dekhi ek ladki apne haath me water bottle liye tezi se bhaagi aur Manav se kuch meter aage daud rahe Lakshya ke paas pahuch kar, usne bottle Lakshya ki or badha di,


Lekin aashcharya-janak roop se, Lakshya ne uss ladki ki haath ko door dhakel diya, aur.. bottle ke jameen par girte hi paani poore track par phail gaya.


Lakshya ki ye abhadr harkat saaf bata rahi thi ki weh kitna baukhlaya hua hai!


Jab Manav daudta hua Audience stand ke kareeb aaya to wahan baithi Saanvi achanak apna poora zor lagaakar chillayi,


Saanvi : "GOO !! UNCLEE!!! "


Manav ne uski or dekha aur use jeet ka ishare kiya. โœŒ


Phir, apni aankhon ko apne saamne ke track par focused kar, Manav ne apni body thoda aage ki or jhukayi, jabki uski eaidiyan (heels) zameen par hi tiki hui thi.
Aur ek jhatke ke saath , weh hawa ke jhonke ki tarah aage badha! ๐Ÿƒ๐Ÿ’จ


Sprint doston! Weh sprint kar raha tha!

(Sprint - asaan shabdon me, race me apne poore zor se, apni poori dum lagakar daudna)


Use abhi se sprint karta dekh, har koi excitement se chilla raha tha.


Abhi to lagbhag poora ek chakkar bacha tha aur usne sprinting shuru kar di!
Abhi weh finish line se kareeb 400 meter door tha!


Apne chaaron or chakit aur excited chehron ko dekhkar, sabse aage daud rahe Lakshya ne anaayaas hi peechhe mudkar dekha. ๐Ÿ‘€

Aur jab usne Manav ko ek rocket ki tarah apni or bhaagte hue dekha, to weh use block karne ki koshish karte hue teji se right side aa gaya.


Lekin Manav dheema nahi hua! Inner track ke kareeb bhaagte hue, usne hawa me halki chhalaang lagayi aur fir apne left side ke track par daudta hua Lakshya ke bilkul paas pahuch gaya.


Uska ye move, hurdle race ke jump move aur Football ki power kick ka mixture tha.



Manav ko aise dodge karta dekhkar Lakshya ka dil bhari ho gaya. Usne phir se use block karne ki koshish ki.., lekin Manav to.. usse aage nikal chuka tha!


Uski poori life me aaj yeh pehli baar tha jab kisi ne use itni arrogance aur saralta se maat di thi!



Use aisa mehsoos hua jaise Manav ne uske muh par sharmindgi ki kaalikh poot di ho.



"Hahh! Lekin wo itni jaldi sprint karne par jaroor pachhtayega ..."
Manav ko dekhte hue, jo tezi se usse door ja raha tha, Lakshya ne gusse me socha.



"Go..! ManaV ! "

Audience stand par, Adarsh achaanak khada hua aur chillaaya.
Subah se dophar tak, wo Sameer aur kuch doosre doston ke saath taash khel raha tha aur games par jyaada dhyaan nahi de raha tha..
Yeh.. uski, sports event ki pehli cheering thi.


Khair.. Rupam aur Sameer bhi uske saath shaamil ho gaye,

"GoO! ManaVV !! "


Aur ek ke baad ek, Chetan, Ritik, Kartik, Armaan, aur doosre classmates jo Manav ke kareebi the, uske liye cheer karne lage.


Unki cheering ne anya classmates ka dhyaan aakarshit kiya, aur ve sab bhi khade ho gaye aur high spirit se taaliyaan bajate hue Manav ko cheer karne lage.

:applause: :claps: :cheerlead: :claps: :laughclap:


Aur.. Unki damdaar cheering doosri classes tak bhi pahuch gayi. Pados ki 3rd year class se lekar 1st & 2nd year ki classes (jo bhaag aaye the boring indoor games se) se lekar 4th year tak... Jald hi, Mechatronics Engineering Major ke sabhi students Manav ke liye apna poora zor lagakar cheering karne lage.


Phir, unka josh aur excitement doosre Majors me bhi phail gaya. Aur jald hi..! Tamaam students ke alawa poori Engineering Faculty ne bhi Manav ke liye cheer karna shuru kar diya!


"GOO!! GOOO !! MANAVVV !!!! "

"GOO!! GOOO !! MANAVVV !!!! "
....
....

Ye cheering poori sports field me goonjne lagi, aur cheering ki aawaajen tej aur jyada saaf hoti gayi.


Faculty me jyadatar teachers aur professors male hi the, aur unka tez awaaj me laybadhh tareeke se cheer karna yakeenan ek shaandaar drshya tha.


Is beech, Lakshya ke liye ladkiyon ki cheering aise toot gayi jaise ki chhoti leharen kisi tsunami ke aa jaane se toot jaati hai.


Aasmaan ko chhoti cheering ko sunkar, aaj Lakshya pehli baar behad ghabraaya hua tha.
Usne yah bhi dekha ki na kewal anya Majors ke students, balki faculty bhi iss " Ordinary Junior " Ke liye cheering kar rahi thi!


"To Tum sab chaahte ho ki mai haar jaun! ?!" Lakshya ke dimaag me gusse ki lahar daud gayi, aur uska ye gussa uske ander ek new - energy ke roop me ubhra.. kyuki iss gusse ke kaaran hi, ab usne bhi sprinting shuru kar di thi!


Track par, aage ke 2 runners itne veg se sprinting kar rahe the maano ve kisi 100 meter dash me hon.
Finish line abhi bhi 300 meter door thi aur ve apni poori taakat se sprint kar rahe the.


Laksya ki tarah ya usse ulat, apne liye gaganbhedi cheering ko sunkar, Manav ko apni body me ek ubharti taakat mehsoos hui. Aur jameen par jor se pair patakte hi weh aur tezi se daudne laga!


Laksya, jo filhal sprinting kar raha tha, dhool me bahut peeche chhoot gaya..
Usne dekha ki Manav usse lagbhag teen guna jyada speed se daud raha hai..;
Aur wo achi tarah se jaan gaya tha ki, woh iss junior se kabhi aage nahi nikal payega..


Nirasha ne use gher liya. Usne apne iss pratidwandwi ko tiraskaar ki drishti se dekha tha, lekin phir bhi yeh pratidwandi aasaani se usse aage nikal gaya tha.. aur ab unke beech 20 meter se jyada ki doori thi.



Jab Manav lagbhag finish line par hi tha, to usne peechhe mudkar dekha ki kya Laksya uske theek peechhe hai?


Uski iss subconscious harkat ko jyadatar audience ne dekh liya tha.


"Kitna ghamandi hai ye...! Sprint karke Finish line ko cross karte hue bhi usne peechhe mudkar dekha..."


"Damn! ye.. ye Lakshya ke muh pe ek jordaar tamacha thaโ€ฆโ€


"Yeh.. to asaan jeet thi..."

....
....


Beshak, Manav ne un comments ko nahi suna. Jab usne dekha ki Lakshya abhi bhi usse bahut peechhe hai, to weh finish line paar karne ke dauran relax ho gaya tha.


Kareeb 3 seconds ke baad Lakshya bhi finish line par pahuch gaya.


Lakshya ke ek dost ne uske kandhon par jacket lapetne ki koshish ki, lekin Lakshya ne use ek jabardast dhakka de diya.
Apni laal aankhon ke saath, weh bina peechhe dekhe apne thake hue shareer ko locker room me le gaya.
Jahir tha.. Uska award ceremony attend karne ka koi irada nahi tha.


Yahaan manch par, University ke vice principal, Vinod Bedi, haath mein chaai ka cup liye ek kursi par baithe the. Jab unki nazar Manav par padi, jo race jeet te hi Aahna ki or badh raha tha.. to use dekh kar ve bas muskura kar reh gaye ๐Ÿ˜Š




ye update bas yahin tak,

:reading1: ๐Ÿ…๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ณ,

๐Ÿ„ป๐Ÿ„ธ๐Ÿ„บ๐Ÿ„ด ๐Ÿ‘ ๐Ÿ„ฐ๐Ÿ„ฝ๐Ÿ„ณ
๐Ÿ„ฒ๐Ÿ„พ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ผ๐Ÿ„ด๐Ÿ„ฝ๐Ÿ…ƒ ๐Ÿ“ ๐Ÿ˜„

Doston, "Annexure V : Characters" update ho chuki hai. Yahan aapko ab tak ke saare characters mil jayenge,

Annexure V : Characters ๐Ÿ‘ˆ click here

To be continued.....
 
Status
Not open for further replies.
Top