• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Mahagatha - Sadhna, Sadhak, Shaktiya aur dragons

Status
Not open for further replies.

Shadow_Chaser

แ—ชEแ—ฉแ—ช ๐Ÿ’€
1,215
3,847
144

Annexure ll : World Mapping
๐ŸŒŽ ๐Ÿ—บ๏ธ ๐Ÿ–‹ ๐ŸŒ


~ Human Realm ~​

IMG-20230526-104851.jpg




Poori duniya basically 5 elements (tatvon) se bani hai jinhe panch-tatv bhi kaha jata hai.

South-East Asian culture ke hisaab se ye 5 elements hai -


1. Metal,
2. Wood,
3. Water,
4. Fire, aur
5. Earth,

Dragons kayi types ke ho sakte hai. Normally, inke type elements (tatv) ke adhaar par hote hai.


Jaise Water element dragon, Metal element dragon, Fire element dragon, Wood element dragon aur Earth element dragon.
(Shalini metal type dragon hai)


Inn elements ke adhaar par Dragons ke alag alag raj-vansh bhi hai.

Itna hi nahi, 1 element ke ander, dragons ke anya types bhi ho sakte hai, jaise

Water Element Dragon Clan -

Iske 4 sub - types hai :


1. River
2. Steam
3. Lake aur
4. Ocean




Jaisa ki Map me bataya gaya hai, Demon Sea ko chhodkar poori dharti 4 Ocean Dragon Clans me bati hui hai.

1. East Ocean Dragon Clan
2. West Ocean Dragon Clan
3. North Ocean Dragon Clan
4. South Ocean Dragon Clan


Lekin, ye ek simple overview hai. Dusri clans - River, Steam, Lake aur Dusre elements ke Dragon raj-vanshon ke isi dharti par jagah jagah apne-apne independent & sovereign kingdoms hai.


Nisandeh, Water Element Dragons ka dabdaba anya element dragons ke mukaable thoda jyada hai. Jisme chaaron Ocean Dragon Clans sabse jyada samriddh aur shaktishali forces hai.


Inn chaaron Ocean Dragon Clans me bhi, East Ocean Dragon Clan ka apna alag hi sthaan rakhta hai. Ye kehna bhi galat nahi hoga ki East Ocean no. 1 Ocean Dragon Clan hai.


Ye chaaron Ocean Dragon Clans aur dusri Water element Dragon Clans ke representatives aur officials, saal me kam se kam ek baar "Annual Conference" me mila karte hai.


Baaki, sabhi elements (fire, wood, water, metal, earth) ki Top Royal Clans ke officials "Biannual Dragon Tribe Meetings" me mila karte hai.

Region - Whole East Asia, Australia continent, Indian Ocean, East Southern Ocean,, portion of East Antarctica and Arctic region, West Pacific.

(Parantu, is region me dusri dragon clans ke independent aur sovereign kingdoms bhi hai.)


King - Rajyavardhan Maurya
Queen - Avantika Maurya
Princess - Saanvi Maurya

Is clan ka control area kareeb 3000 sq kilometres tak phaila hua hai.


East Ocean jise modern world me 'Bay of Bengal ' and ' Indian Ocean' bhi kaha jata hai.
Iske neeche samudra tal me hai bhavya

"East Ocean Dragon Palace".
East Ocean ke maximum Elders Dragon Palace me hi rehte hai aur apni saadhna karte hue uski rakhwali karte hai. Kuch chuninda smarts elders (jaise Vinod, Sharad) hi hai jo yahan city me rehkar, Rajyavardhan ki help kiya karte hai.

Inke normal world ke business group ka naam hai - " Shaurya Group "

Region - Both America Continents, Parts of West Atlantic, Southern Ocean, Antarctica and Artic region.

(Parantu, is region me dusri dragon clans ke independent aur sovereign kingdoms bhi hai.)


King : (to be updated)


West Ocean powerful to hai lekin iski overall image achchi nahi hai. Inhe cruel aur behad ghamandi samjha jaata hai.

Inka normal world ka business average hai.

Region - Europe, Artic area, parts of East Asia(Middle East), North Africa

(Parantu, is region me dusri dragon clans ke independent aur sovereign kingdoms bhi hai.)

Other info to be updated

Region - Southern Ocean, South African, parts of Antarctica.

(Parantu, is region me dusri dragon clans ke independent aur sovereign kingdoms bhi hai.)

Other info to be updated

โ”€โ”€โ”€โ”€โ”€ ยฐโˆ˜โ‰โˆ˜ยฐ โ”€โ”€โ”€โ”€โ”€

Is area me Demons (Asurs, Rakshas etc) ๐Ÿ‘น๐Ÿ‘บ๐Ÿงœโ€โ™‚๏ธ๐Ÿงžโ€โ™‚๏ธ๐Ÿง›โ€โ™‚๏ธ๐ŸงŸโ€โ™€๏ธ niwas karte hai.

Region - Pacific

Other info to be updated
 
Last edited:

Shadow_Chaser

แ—ชEแ—ฉแ—ช ๐Ÿ’€
1,215
3,847
144
Annexure lll : Saadhna
๐Ÿƒ ๐Ÿ˜Œ โœจ


Tapasya.. Sadhna.. kisi ka bhi sadhna karne ka main goal powerful aur amar banna hota hai.

Natural essence -
( Prakriti ki energy, Heavenly and Earthly Spiritual Energy)
- ise God particles kahe ya base of existence
- overall sansaar ka saarbhut

Sadhna matlab Natural essence ke saath khelna. Saara khel Natural essence ka hi hai. Jitna bada aur shaktishali sadhak hoga wo prakriti ki energy ko utna hi jyada control kar sakega.

Aura

Sab ki apni-apni aura hoti hai. Jo sadhna ke jitna high level par hoga wo apne se neeche level walon ki aura utni hi asaani se dekh lega.

Lekin Dragon Tribe ke inspectors ke paas aisi shakti hoti hai ki ve normal conditions me kisi ki bhi aura dekh sakte hai.



Dragon Core/Internal Core

Dragons ke shareer me ek internal core hoti hai, jise ' Dragon core' kaha jaata hai. Iss core se hi wo saadhna kar paate hai aur iss core se hi wo asal dragons ke roop me transform ho paate hai.
In short, Dragons ki life inki dragon core par hi depend rehti hai.


โœง Prakriti se mile special gift "dragon core ya internal core" ke kaaran amuman sabhi dragons sadhak hote hai.

โœง Ek dragon core swabhawik roop se swargiye aur saansarik aadhyatmik oorja (Heavenly and Earthly Spiritual Energy) ko absorb karti hai. Isliye, yeh duniya ka ek supreme treasure bhi hai!

Dragon Clan me dragons swabhavik roop se dragon core ko apne shareer me liye hue hi paida hote hai aur isi wajah se Dragon Vansh ke log duniya ki sabse khaas aur shaktishali log hote hai!



Apne jaisa koi aam insaan agar mature ' dragon core' ko nigal le to wo core ki shakti se weh turant phat jayega. Manav bach gaya tha kyuki, Saanvi ki dragon core mature nahi hui thi. Immature core ki power to kam rehti hai lekin wabajood iske, uske side effects bhi kamaal ke hote hai, jaise ki humne starting ke kuch updates me dekha tha.



Sadhna ke levels -

Dragon Clan me saadhna ko normally 8 levels me divide kiya gaya hai:
1. Kan,
2. Li,
3. Zhen,
4. Gen,
5. Dui,
6. Xun,
7. Kun,
8. Qian.

Aur... Highest level Qian ko Heavenly/deviye level bhi kaha jaata hai.

Heavenly Tribulation (swarg ki pareeksha):
To be updated

โ”€โ”€โ”€โ”€โ”€ ยฐโˆ˜โ‰โˆ˜ยฐ โ”€โ”€โ”€โ”€โ”€

Kayi inspectors Qian ya Heavenly level se bhi oopar hai.
 
Last edited:

Shadow_Chaser

แ—ชEแ—ฉแ—ช ๐Ÿ’€
1,215
3,847
144
Annexure lV : Saadhna ki vidhiyaan ya techniques
โ˜ธ โ˜ฏ โš• โš˜

โœง Spirit concentration scroll :

Ye bas saadhna ki starting hai. Asal me ye scroll jyada kuch nahi karta hai. Isse kewal shareer ki shuddhi hoti hai jisse shareer aage ki saadhna ke liye taiyaar ho jata hai.

Spirit Concentration Scroll me 3 level hote hai :


Level 1 : me heaven aur earth se taalmel ko samjhna, prakriti ki energy ( Heavenly and Earthly Spiritual Energy) ko mehsoos karna aur iske saath saath apne shareer ko shuddh karna hota hai..

Level 2 : isme uss energy ko apne shareer me capture karna hai. Ye process bahut dheemi hai, lekin vaastav mein ye aapke shareer ko majboot karne me help karti hai...

Level 3 : apne shareer me capture ki gayi energy ko apne shareer ke chaaron or release karna hai. Third level ko paar karne ke baad hi koi sadhak dusri vastvik aur prabhavi saadhna techniques se apni saadhna ko aage badha sakta hai.
 
Last edited:

Shadow_Chaser

แ—ชEแ—ฉแ—ช ๐Ÿ’€
1,215
3,847
144

Annexure V : Characters
๐Ÿ‘ฉโ€๐Ÿฆฐ๐Ÿ™…โ€โ™‚๏ธ๐Ÿ‘ท๐Ÿ‘ฉโ€โœˆ๏ธ๐Ÿงžโ€โ™€๏ธ๐Ÿ‘น


NOTE :
Jis identity se characters ka introduction hua.. unhe usi group me yahan darshaya gaya hai.



Aahna - Manav ki Class President

Adarsh - Manu ka roommate, aur uska sabse kareebi dost, Manu ke Hostel ka self-declared captain

Armaan - hostel me hall ke baad wale hostel room se

Chetan - Corner ke hostel room se

Danish Mirza - 4th year student, University ki basketball team ka Deputy Captain, Lakshya ka khaas dost

Faisal - Manav ka classmate

Fareeha - Chennai University ki sabse popular ladki, 3rd year Mechatronic Engineering student

Harleen - ladki jo manav ko humesha neecha dikhati thi

Harwinder Singh - Principal , Chennai University

Kartik Kundra - advanced class ka super rich guy

Kunal - Student Council ka President

Lakshya Chowdhury - University ka celebrity student 4th year; 'most handsome guy' ke roop me famous, Rock Climbing Club ka President, Manav ka senior - International Business Administration Major , Chennai ke deputy mayor ka beta.

Manav - aka Manu- apna hero, 2nd year Mechatronic Engineering student

Nimra - Aahna ki roommate and classmate

Palak - Manav ki classmate

Rannvijay - aka Rocky, Giant Hulk, University ki basketball team ka captain, Aahna ka cousin

Ritik - Manav ka classmate. Uske samne wale room no. 301 me rehta tha.

Rupam - Manav ka roommate

Sameer - Manav ka roommate

Shalini - Manav ki teacher, husn ki pari, dragon inspector

โ”€โ”€โ”€โ”€โ”€ ยฐโˆ˜โ‰โˆ˜ยฐ โ”€โ”€โ”€โ”€โ”€

Anvi Kapoor - Globally Well-known Meteorologist - Manav ki maa

Dadi - Manav ke sab se kareeb hai

Manas Shisht - world famous biologist, Manav ke pita

Shyam Uncle - Manav ke ghar me cook hai

โ”€โ”€โ”€โ”€โ”€ ยฐโˆ˜โ‰โˆ˜ยฐ โ”€โ”€โ”€โ”€โ”€

Avantika Maurya - Saanvi ki mom, East Ocean Dragon Queen ๐Ÿ‘ธ, famous Designer

Elder Indrasen - Rajyavardhan ka sabse chhota bhai, very powerful Qian level master

Elder Sharad - Elder of East Ocean

Elder Vinod Bedi - Saani ko saadhna ki guidance dete the. Managing Vice Principal, Chennai University, Elder of East Ocean

Saanvi Maurya- Iska kya kahen? Saare fasaad ki jad, Kahani iske karan hi shuru hui thi, ๐Ÿ˜… Princess of East Ocean

Rajyavardhan - Saanvi ke father, East Ocean Dragon King ๐Ÿ‘‘, CEO of Shaurya Group

โ”€โ”€โ”€โ”€โ”€ ยฐโˆ˜โ‰โˆ˜ยฐ โ”€โ”€โ”€โ”€โ”€

Vaels International Middle School - (VIMS)

Daksha - Saanvi ki classmate, aur uski best friend

โ”€โ”€โ”€โ”€โ”€ ยฐโˆ˜โ‰โˆ˜ยฐ โ”€โ”€โ”€โ”€โ”€

Gopi kaka - sabji wala

Vimla maayi - phal wali

Philippe Starck - French architect & designer - Avantika ka studio visit karne aya tha


โ€ข Elders - ye ek designation/pad hai , hum inhe pancho se relate/compare kar sakte hai.. [Sarpanch wale panch mahodaye jan]
 
Last edited:

Shadow_Chaser

แ—ชEแ—ฉแ—ช ๐Ÿ’€
1,215
3,847
144

~ Quizzes ๐Ÿงฉ


Doston ab Mahagatha par time to time 'Quiz' hua karenge.. Jinme high score karne wala reader hoga...
'Maha Reader' ๐Ÿ”ฅ
:hippi:
NOTE : Unregistered readers (guests) bhi quiz de sakte hai lekin, 'Maha Reader' sirf 'Registered readers' hi ban payenge!
(Quiz 2 se jo bhi sabse pehle high score karega wahi Maha Reader hoga - only one ๐Ÿ™‚)

 
Last edited:

Shadow_Chaser

แ—ชEแ—ฉแ—ช ๐Ÿ’€
1,215
3,847
144

Dharma Treasures
๐Ÿน๐Ÿ”ฑโš”


Dharma Treasures :-
treasures yahi khajana. Sadhna ki raah me ye, tamaam jaduyi ashtra - shastra, ya dusri upyogi cheejen ho sakti hai.
Ye treasures, artificial bhi ho sakte hai aur natural bhi; pracheen bhi ho sakte hai aur.. naveen bhi. Inko use karne ke liye ek special mantra (spell) ki jarurat hoti hai.


โœง Mount Tai Bracelets :

Ye sirf inspectors ke paas hote hai. Ye handcuffs (hathkadi) jaise hote hai aur inka use bhi same hi hai.. jaise normal police criminals ko pakadne ke liye handcuffs ka use karti hai.

Jo sadhak mistakes karte hai.. rules todte hai, uhen inspectors ye bracelets pehna dete hai. Inka purpose, criminals ki strength (takat) aur uski supernatural powers ko rokna hai taaki wo bhaag na saken.

Mount Tai Bracelets - criminals ke physical force ko daba sakte hai. Aur, ye bracelets unke emotional state ko bhi mehsoos kar sakte hai. Suppose jab agar koi criminal bure mood me hoga to ye aur jyada heavy ho jayenge. But agar wo khush rahoga to, inka weight lagbhag normal hi rahega.
Level 1 ke ek bracelet ka normal weight kareeb 25 kilograms hota hai.


Ye bracelets alag alag level ke ho sakte hai. Jo bracelets Shalini ne Manav ko diye the ve Level 1 bracelets the.

Ye bracelets secret mantras (spells) se khole jaate hai.






Word Meanings ๐Ÿ“š


Kahani me agar koi sa bhi word aapko naya lage ya samajh me nahi aaye to aap yahan se refer kar sakte hai. :good:

โœง Array formations - ye ek technique aur skill h jisse hum kisi cheez ki appearance ko manipulate kar sakte hai. Defence, Attack, manipulations me iska jyada use hota hai.

Example : Maanlo ek darwaja hai uspar maine khidki ki array formation kar di, matlab actual me hoga to woh darwaja hi par dikhegi khidki.

Jaise xforum ke ads :lol1: dikhta to update ka link hi hai par aisi "array formation" hui hai ki click karne par page open hoga kisi ad website ka.


โœง Dharma Treasures :- treasures yahi khajana. Sadhna ki raah me ye, tamaam jaduyi ashtra - shastra, ya dusri upyogi cheejen ho sakti hai.
Ye treasures, artificial bhi ho sakte hai aur natural bhi; pracheen bhi ho sakte hai aur.. naveen bhi. Inko use karne ke liye ek special mantra (spell) ki jarurat hoti hai.


โœง Elders - ye ek designation ya pad hai , hum ise pancho se compare kar sakte hai.. [Sarpanch wale panch mahodaye jan]

โœง Exilirs - sadhna ki duniya me Exilir chamatkari dawai , jadi-bootiya, goliya (pills) ya solutions; ho sakte hai jo tamaam jadi-butiyon aur anya doosri durlabh cheejon se banaye jaate hai.
Examples:
โ€ข Update 50 : jo golden colour ki goliyaan Shalini ke haath me thi, wo sadhna ke pain ko kam karne me madadgaar Exilirs thi,
โ€ข Saanvi - dragon rajkumaari : ye to sadhna progress ko badhane wali Exilirs khaya karti thi.


โœง Prakriti ki energy - Heavenly and Earthly Spiritual Energy ya natural essence - ise God particles kahe ya base of existence - overall sansaar ka saarbhut

โœง Water Repellant Bead - ek aisa jaduyi manka jo paani ko door bhagata hai.
- isko use karne ke liye Spirit Concentration Scroll ya koi dusri basic technique ki jarurat padti hai, jisse ki ye bead user ki body se energy (natural essence) ko kheech sake.
- user ki energy lekar ye bead user ke chaaron aur hawa ka ek bubble bana deta hai jisse paani user tak nahi pahuch pata.



โœง yin and yang - South East Asian culture me yin and yang โ˜ฏ - paraspar dwandta ko darshaata hai .. Ye dwandtaye poori duniya me samayi hui hai. Asaan shabdon me "opppsite" Cheejen jaise - male aur female, andhkaar aur prakash, earth aur heaven, janm aur mratyu etc.
 
Last edited:

Shadow_Chaser

แ—ชEแ—ฉแ—ช ๐Ÿ’€
1,215
3,847
144

Signatures โœ


Collection of all past signatures :

IMG-20230506-200310.jpg





Charaters' Photos ๐Ÿ“ท


Collection of all past photos with update number :

Saanvi - Update 15
IMG-20221113-113818.jpg
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top