Update 80
Jab satve chaakar me kuch hi kadam dur the to laga ki ab to parikarma puri ho jayegi tabhi mere paanv me ek thokar lagi aur.............
Mera paanv mud gaya aur bahut tej dard hua mere muh se bahut tez chikh nikli jise sunkar Rekha ke chehre par bhi pareshani ke bhav umra aaye aur vah mujhse puchne lagi ki "kya hua"
Main is shitti me nahin tha ki uski baat ka jawab de paun, mere paon mein itna dard hua ki us paanv par khade rahana bahut hi mushkil ho gaya tha aur mera dusra paon pehle se hi ghayal tha tu Mujhe a Rekha ko sambhalna bhari padne laga aur mera ghuttna mudta gaya aur jakar zameen par lag gaya. main jaise jaise jhukta ja raha tha mere man mein pujari ji ki baat yaad aane lagi Rekha ka koi bhi Ang zameen ko nahi chuna chahiye tu mere dimag ke taaro ne mujhe chetavni dete hue yah jataya ki kuch bhi ho jaaye lekin Rekha ka koi bhi ang zameen ko nahi chuna chahiye.
jaise hi ya chetavani mere mann mastishk mein baith gayi tu mane apni iccha shaktiyon Ko iKatha karte hue ye soch liya ki kuch bhi ho jaaye Mujhe karya mein safalta prapt karni hai aur jaise hi Mera ghutna niche Jane laga to Maine Rekha ko apni bahon mein bharkar thoda sa upar utha liya taki uska koi bhi Ang zameen ko na chu jaye.
Yeh sochne mein jitna aasan lag raha tha karne mein utna hi mushkil tha. ek taraf tu paon mein dard aur dusri taraf Rekha ko apni baazuon mein upar uthana. Dard to mujhe bahut ho raha tha lekin mein jo roj roj sharirik parishram karta tha uska aaj mujhe fal mil raha tha aur aaj mein Dil se apne dadaji ko dhanyavad de raha tha ki unhone mere sharir ko parishram karwa karwa kar aisa bana diya.
ab paristhiti yah thi ki mera vo ghutna zameen ko chhu gaya tha jo paanv mudkar bahut dard kar raha tha, aur dusre paanv mein bhi kuch ghus gaya tha jisse khun bhi nikal raha tha aur dard bhi ho raha tha.
Itna hi nahi upar se barish bhi ho rahi thi aur tez havayen bhi chal rahi thi jo vatavaran ko ek bhayanak rup de rahi thi.
Sabse badi samasya yeh thi ki main kisi se madad bhi nahi le sakta tha kyounki agar madad li to yeh parikarma adhuri mani jayegi aur puja purn nahi hogi. Idhar Rekha bhi preshan hokar baar baar mujhse puch rahi thi ki "kya hua", main use kya jawab du mujhe kuch samajh nahi aa raha tha
A: dekho, kisi bhi halat me tumhara koi bhi ang zameen ko nahi chuna chahiye, isliye mujhe kas kar pakad lo aur jyada hilna dulna nahi.
R: lekin aap ko kya hua hai.
A: kuch nahi hua hai
R: fir aap chikhe kyoun the
A: vo kuch nahi mera paanv mud gaya tha
R: aapko bahut dard ho raha hai na, please iss parikarma ko yanhi samapt kar dete hain
A: bilkul nahi, kisi keemat par bhi nahi, chahe mujhe kuch bhi ho jaye aap apna koi bhi ang Zamee par nahi lagne dengi, apne aap ko pura ka pua mere upar le lo
R: main aapko taklif me nahi dekh sakti
A: to fir main jo keh raha hu vo karo
R: lekin aapki taklif
A: yeh taklif kuch bhi nahi hai us taklif ke samne jisme main parikarma ko pura nahi kar paya to, isliye please meri is taklif ke bare me mat socho
R: lekin
A: koi lekin nahi, agar agle saat janmo tak meri patni banna hai to
R: main to har janam me aapki patni banana chati hu, saat janam hi kyoun.
A: to fir meri himmat bano aur mujhe kas kar aise pakad lo jaise tum aur main do jaan nahi balki ek hain aur man me bitha lo ki hame safal hona hai, haar nahi manani
Meri baat sunkar Rekha ne apne aap ko nujh se bhinch liya to maine kaha ki "mere bajuon ko bilkul free rakhna unhe mat pakadna"
Rekha ne vaisa hi kiya jaisa maine kaha aur Kya bataun jab usne mere sharir ko apne sharir ke sath jod liya to uske sharir ki garmi aur vatavaran ki nami ne Mere armaanon ko bhadKa diya aur Mera Mann Rekha ke sharir se khelne ka Karne laga, parantu samay ki mang yeh thi ki parikrama ko jaldi se jaldi pura kiya jaye.
Main bhi Rekha Ko apane se jakad kar apni icchashakti ko prabal karke apne dard ko bhool kar phir se khada Ho gaya. khada tu main ho Gaya lekin mere donon paon mein bahut dard tha. Main kuch der tak Rekha ko lekar khada Raha aur apna santulan banata Raha. main is soch mein tha ki kis paanv ko aage badhu. main Bhagwan ka naam liya aur jis pair mein kuch ghussa hua tha usko zameen par rakh kar jis paon mein mouch thi usko utha Kar aage rakha. mooch wale paanv ko niche tu main rakh Diya lekin ab samasya thi ki agar main dusre paon ko zameen se uthata hoon tu yeh ho sakta tha ki mera balance bigad jaaye aur hum dono gir jaien. Main apne dimag mein is baat ko soch Raha tha Ki ab Kiya kiya jaye? Meri pareshani ko dekhte hue Rekha ne mujhse pucha
R: bahut dard ho raha hai
A: mujhe dard ki parwah nahin Hai main tu yah soch raha hoon ki parikrama ko purn kaise karen
R: Mai to pahle hi kah rahi hoon isko yehi samapt karte hain
A: yeah to bilkul bhi nahin hoga
Maine jab Rekha se yeh baat kahi us waqt koshish kar ke dekh raha tha ki mera panv ghisit kar aage ja sakta hai ki nahin?
main ek do baar koshish karke jab nischit Kar liya ki mera paanv ghishit kar aage ja sakta hai to main ne nirnay le liya ki ab Jo bhi ho yeah parikrama purn karunga.
main ghishit ghishit kar apne us paanv ko aage laya jisme khuch ghusha hua tha aur fir moch vale paanv ko uthakar thoda aur aage kar diya aur fir zakhmi paanv ko ghishit kar thoda aage laya aur yeh parkirya baar baar karne laga jisse ham manzil ki aur badne lage.
Jo duri thodi der pehle mujhe kuch kadmo ki lag rahi thi vo ab mujhe kafi jyada lagne lagi. Lekin man me dridh nishchay ho to koi bhi baadha dam tod deti hai.
Maine apne man me bitha liya tha ki parikrama puri karni hai, jisme Rekha ne bhi mera pura pura sath diya, main jaise hi dard se uff karta to vah mujhe thodi der aaram karne ke liye kehti aur mera honsla apni bato se tatha apni kriyaon se badathi rahi
Main jaise hi rukta to mere dard ko kam karne ke liya apne galo ko mere galo se ragad kar mujhe sukun deti, apne hatho ko mere balo me lejakar unhe sehlati jisse mujhe dard ka ehsas kam hota aur fir apani meethi meethi baton se mera man dusri taraf le jati jisse main apane dard ko yaad na karu.
Is tarah dhire dhire ham apni manzil ki aur badte rahe aur aakhir vo pal aa gaya jab hamne apani mnzil ko paa liya aur saatva chaakar bhi purn ho gaya. Pujariji ne hame bahut aashirvad diya aur pushpo ki baarish kar di aur bole" beta yeh parikarma karke tum ne Rekha ko agale saat janmo ke liye apani dharampatni niyukt karwa liya hai. Aap donon par Bhagwan ki kripadrishti bani rahe"
Maine Rekha ko niche utara to usne sabse pehle jhukhkar mere paanv ko dekhne lagi. Usne jaise hi mere paanv me ghuse hue sheeshe ke tukde ko dekha to usko rona aa gaya, aur vo mera paanv uthane lagi to mere dusre paanv par bhar pada to mere munh se "aauch" nikal gaya to usne mere chere par dard ke bhav dekhe to maine dekha ki uske chere par mere se jyadaa dard ke bhav ubhar aaye, main man me sochne laga ki yeh munhse had se jyadaa pyar karti hai.
Vo khadi hui aur mujhe pakadkar ek taraf ae sahara dekar ek chubtre par bitha diya aur fir jhukkar mere panv se us sheeshe ke tukde ko bahar nikala to khoon ki dhara mere paanv ae beh chali usne jaldi se apna hath rakhakr use daba diy aur apani sadi ko fadne ke liye uthi to maine use rok diya. Maine apani jeb se rumal nikal kar use de diya jo usne mere paanv par bandh diya.
Itne me Pujariji ne ek vaidh ko bula liya tha jisne aakar mere Zakhmi paanv me malham lagai aur patti bandh di, aur dusre paanv ko idhar udhar karke muyana kiya aur ek jor ka jhatka diya jisse meri chikh nikal gayi Maine kaha ki ye kya kiya to usne jawab diy ki aapka paanv ab theek ho gaya hai.
Maine khade hokar dekha to vakai us paanv ae dard gayab tha aur fir usne mujhe ek dawai peene ke liye di jisse main apne aapko tarotaza mehsus karne laga, mujhe bahut accha laga. Maine use kuch dena chaha to vo mana karne laga, lekin maine use zabardasti kuch paise de diye.
Uske jane ke baad Pujariji ne hamara halchal pucha aur hame puja ke liye aane ko kaha to main bola" Pujariji ham to bhigh chuke hain" to Pukariji ne hame kaha ki yeh puja inhi vastro me isi awastha me purn karni hogi to ham donon Pujariji ke sath puja karne chal diye.
Puja koi ek ghanta chali jisme ham donon ko puja ke doran aise bahut se pal aaye jab ham ek dusre ki aankhon me kho gaye aur puja puri karne ke baad Pujariji ne hame dilkholkar aashirvad diya aur hame batay ki "ab aap donon ke kafi sare kashto ka nivaran ho jayeg aur aap dono sada sukhi rahoge"
Ham Pujariji ko dakshina dekar unse aagya lekar ghar ki or chal pade