Update 63
Me school ke liye nikal gaya, aaj badal bahot ghire hue the, barish hone ke pure aasar najar aa rahe the, me jaldi daudte hue school ki aur ja raha tha. Mene dekha ki Nazia didi khadi thi. Samim najar nahi aa rahi thi.
Shiv : Kaisi ho didi?
Nazia : Me thik hu, tum kaise ho?
Shiv : Me bhi thik hu, Samim gayi?
Nazia : Ha abhi abhi gayi.
Shiv : To aap akele kyu khadi ho?
Nazia : Tera intejar kar rahi thi.
Shiv : Mere intejar, kyu?
Nazia : Bas aise hi, wo dono akele hoti hai na, tu unke pichhe jata hai to muje rahat ho jati hai.
Shiv : Aap chinta maat karo, sab thik hai, wo ladka bhi kafi dino se nazar nahi aaya.
Nazia : Fir bhi chinta to lagi rehti hai na.
Shiv : Thik hai, me chalta hu.
Nazia : Ghar kaab aa raha hai?
Shiv : Jald hi aata hu didi. Muje der ho rahi hai bye.
Nazia : Bye. (Wo Shiv ko daud kar jate hue dekhti rahi, fir apne ghar ki aur nikal gayi)
Me school pahuchne wala tha ki joro se barsat suru ho gayi, me thoda sa bhig gaya par me school pahuch gaya tha. Sab class me chale gaye the, me class ke darwaje tak pahucha to muje samne se aati hui Bina madam dikhi. Wo muje dekh kar sharmane lagi, me muskurate hue unhe dekh raha tha. Wo ek do pal ke ruk gayi, wo meri aur muskurate hue dekh rahi thi. Par class ka bell baj gaya tha to unhone muje ander jane ka issara kia. Me muskurate hue ander dakhil ho gaya, wo bhi mere pichhe ander dakhil ho gayi.
Jab badi recess me me aur mere dost nikale to hume kayi ladke aur ladkia dekh rahe the, unme se kuchh ladko ne muje ‘Hi Shiv’ kaha aur hath bhi milaya. kuchh ladkio ne bhi ‘Hi Shiv’ kaha.
Mahesh : Ye kya hai bhai, bada popular ho gaya hai tu to, jise dekho tuje hi bula raha hai, sala hame to koi puchhta hi nahi.
Shiv : (Muskura raha tha, mene dekha Samim aur Vaiswi bethe the to )Hi.
Samim : (Khus hote hue)Shiiiiv, hi, aao na betho.
Shiv : (Mene Vaiswi ki aur dekha to uska muh fula hua tha, shayad use humara yaha bethna pasan nahi tha)Are nahi, tumlog betho hum waha bethte hai.(samim bhi samaj gayi to usne jyada force nahi kia)
Harsh : (Hum thodi duri par beth gaye)Sale beth jata, kyu nakhare dikha raha tha. Iss bahane hamara bhi kuchh bhala ho jata.
Mahesh : Aur nahi to kya.
Shiv : Tum logone dekha nahi, hamara waha bethna Vaiswi ko pasand nahi tha. Aur jabardasti kisi ke gale padna meri aadat nahi.(Hum alag beth kar apna nasta karne lage)
Samim : Tumhara muh kyu aisa ho gaya. Tumhe kya problem hai Shiv se.
Vaiswi : Agar tuje unke sath bethna hai to tu chali ja, me class me jati hu.(Wo uthne lagi to Samim ne hath pakad kar wapas bitha diya)
Samim : Beth!, muje kahi nahi jana. Pata nahi teri kya problem hai Shiv se. Chal nasta kar.
Aaj din me kafi baris hui thi, muje lag raha tha ki aaj stadium bhi pani se bhara hoga to, stadium jana bekar hai. Asman me abhi bhi badal chaye hue the, pani girne ki wajah se vatavaran thanda ho gaya tha, me daudte hue ja raha tha, Samim ko chhod kar Vaiswi wapas laut rahi thi, usne meri aur dekha, mene bhi use dekha, wo nikal gayi, Samim muje dekh kar ruk gayi.
Samim : Hi.
Shiv : Hi.
Samim : Chalo ghar, pani pi kar jana.(Muje aaj stadium jana nahi tha to me ne baat maan li, hum dono uske ghar pahuch gaye, Samim ne darwaja khatkaya to uski ammi ne darwaja khola, muje dekh kar wo thoda hichkichayi)
Ammi : Aa o beta. (Hum dono ander gaye to Nazia didi apna chehra saaf kar rahi thi par saaf pata chal raha tha ki wo ro rahi thi.)
Samim : Kya hua ammi, aapa kyu ro rahi hai?
Nazia : Nahi, me kaha ro rahi hu?
Samim : Aapa, juth kyu bol rahi ho, kya hua?
Nazia : Kuchh nahi hua, Shiv, aa na beth. (Muje samaj nahi aa raha tha ki me kya karu, me ab jaa bhi nahi shakta tha, muje lag raha tha ki me galat waqt par aa gaya)
Shiv : Nahi, me chalta hu, baad me aaunga.
Samim : Dekho aapa, aapki wajah se Shiv ja raha hai, kya hua, bataona.
Ammi : Hona kya hai, Abhi thodi der pehle iske sasuralwale aaye the.
Nazia : Ammiiii.
Ammi : Shiv koi gair nahi hai, mera beta hi hai, ab iss se kya chhupana. Iske sasuralwale aaye the, wo log jald se jald talak lena chahte hai.
Samim : To de do na talak, waise bhi aise logo se rista rakh kar kya fayeda, jinhe insano ki kadar hi na ho.
Ammi : Tu chup kar, abhi teri samaj me ye sab nahi aayega. Ja Shiv ke liye paani aur kuchh khane ko le kar aa, jab dekho tab apni juban chalati rehti hai.
Samim : Ha ha, aap ko to me hi khatakti hu. (Wo gussa karti hui ander chali gayi)
Shiv : Kya baat hai aunty, agar aap ko dikkat na ho to muje bata shakti hai.
Ammi : Are nahi beta, kuchh nahi hai, iski futi kismat aur kya, pata nahi uparwale ne iski kismat me kya likkha hai. Tu beth, ye sab to ab chalta hi rahega. Me apne kamare me hu.(Wo uth kar chali gayi, ab me aur didi hi the)
Shiv : Kya baat hai didi, wo aapko talak kyu de rahe hai?
Nazia : Tu chhod na ye sab, meri kismat hi kharab hai. Tu aaya aur yaha ye sab bakheda chal raha tha, tu chhod ye sab aur bata tera kaisa chal raha hai?
Shiv : (Me didi ke pass beth gaya, unka hath pakadte hue)Kya hua didi?
Nazia : (Unki ankho se ansu tapakne lage)Tu chhod na, mene kaha na meri kismat hi kharab hai, isme koi kya kar shakta hai.
Shiv : Par didi problem kya hai?
Nazia : (Wo meri ankho me dekh rahi thi, unki ankho se ansu beh rahe the) Me maa nahi ban shaki(Wo fut fut kar rone lagi) Me unhe bachcha nahi de shaki iss liye wo muje talak de rahe hai.
(Samim ander khadi sab sun rahi thi, uski bhi ankho se ansu nikalne lage)
Shiv : Par aap doctor ka sahara le shakti hai na, mene suna hai aaj kal to bahot sari suvidha ho gayi hai. Aap doctor se kyu nahi milti. (Wo meri aur dekh rahi thi) Aap ek bar unse milke to dekho.
Samim : (Ander aate hue) Ha aapa, aap ek bar doctor se to mil lo. Bina wajah ye bakheda khada kia hua hai.
Nazia : Thik hai, kal chalte hai.
Shiv : Ye hui na baat, chaliye aab muskura dijiye, aap rote hue bilkul bhi achchhi nahi lagti.
Nazia : (Ankho me ansu the par muskura rahi thi)Ha jaise muskurate hue achchhi lagti hu na.
Shiv : Kasam se, muskurate hue to aap jannat ki hur lagti ho, kyu sahi keh raha hu na Samim.
Samim : Ha aapa, aap bahot khubsurat ho.
Shiv : Aap itni khubsurat ho ki aapke samne ye Samim bhi fiki lagti hai.
Samim : (Muh fulate hue)Shiiiiiv.
Shiv : Sachchi didi, aap ke samne to ye kuchh bhi nahi.
Samim : Shiiiiiiv, me marungi tumhe.
Nazia : Tum lado maat, ye to muje khush karne ke liye keh raha hai, tu to meri pyari gudiya hai, kisi ki nazar na lage meri gudiya ko.
Aise hi thodi der unke sath majak masti chalti rahi, didi ka mood bhi achchha ho gaya. Me waha se nikal gaya. Aur Juhi madam ke ghar pahuch gaya. Aaj barish ki wajah se stadium jana nahi tha to wo formal kapado me hi dikhi. Unhone black colour ka top aur jeans pehna hua tha.
Juhi M : Aao Shiv, stadium me pani bhar gaya hai, to aaj jana nahi hai.
Shiv : Muje bhi aisa hi laga tha madam. Fir bhi mene socha ki puchh lu.
Juhi m : Nahi achchha kia, Kavya ji ka bhi phone aaya tha, unhone kaha hai ki kal subah jaldi nikalna hai to tum unke waha 7 baje pahuch jana. Sneha ka bhi phone aaya tha, wo bhi tumhare bare me puchh rahi thi. Tumhare liye sab ke phone muje hi aate hai, tum ek phone kyu nahi le lete.
Shiv : Thik hai me subah pahuch jaunga. Aur rahi phone ki baat to abhi to wo mumkin nahi, ha phir bhi kuchh hota hai to le lunga. Sab aap ko hi phone karte hai kyu ki sab ko pata hai ki me aur aap roj milte hi hai, ya yu kahe ke meri lagam aap ke hi hath me hai. Aur waise bhi achchha hai ki mere pass phone nahi hai, mere liye sare call aapke pass hi aate hai to aap ko mere bare me pata rehta hai.
Juhi m : (Muskurate hue) Ha wo to hai. Tum betho me tumhare liye dudh aur nasta lati hu.(Wo khadi ho kar kitchen me gayi)
Shiv : Naste ki jarurat nahi, me Samim ke waha kar ke aaya hu.
Juhi m : Oh, to isiliye late aaye, kaisi hai wo, wo ladka abhi bhi paresan karta hai kya?
Shiv : Achchhi hai wo, aur abhi to lagta hai ki sab thik hai, wo ladka dobara dikha nahi.
Juhi m : Me tumhe jitna ladayi jhagade se dur rehne ko bolti hu utna hi tumhare sath ye sab hota rehta hai. (Muje dudh dete hue) Apna dhyan rakkha karo, kahi chot lag gayi to problem na ho jaye.
Shiv : Me kya kar shakta hu madam, me to kahi ladne gaya nahi, ye sab ho raha hai to me bhag bhi nahi shakta.
Juhi m : Me bas itna keh rahi hu ki apna dhyan rakhna.
Shiv : Ji madam.
Juhi m : Aur ha, tum waha se wapas aao fir, hum tumhare donation ke liye jo socha hai uska kaam karenge.
Shiv : Thik hai madam.
Uske baad gym gaya aur waha se ghar lot aaya. Aaj bhi waha do hawaldar bethe hue the. Mene unse baat ki aur unhe kuchh chahiye ho to aawaj lagane ke liye bol diya. Raat ko hum padhne bhi bethe. Ek ghanta padhne ke baad Vina ye keh kar chali gayi ki muje nind aa rahi hai. Ranjan jaise uske jane ka hi wait kar rahi thi, usne mera hath pakada aur muje darwaje ke pichhe le gayi aur mere hotho ko chumne lagi.
Shiv : Kya hua?
Ranjan : Kuchh nahi, bas thank you bolna tha.
Shiv : Kis baat ke liye?
Ranjan : Hum sab ke sath rehne ke liye, hum sab ko bachane ke liye, aur bahot kuchh hai.
Shiv : Pagal, isme thank you kaisa, ye mera farz hai.
Ranjan : Fir bhi thank you.(Ye keh kar wapas wo mere hoth pe kiss karne lagi)
Shiv : (Kiss karne ke baad)Chal ab, sona hai, didi bhi intejar kar rahi hongi.
Ranjan : Are ek baat to kehna bhul gayi(Wo ek lifafa le aayi) Ye tumhare liye aaya tha. Didi ne kaha tha ki tuje yaad kar ke de du.
Shiv : Kya hai ye?
Ranjan : Pata nahi. Khud dekh le.
Mene lifafa khola to ander ek chitthi thi.
Hello Shiv,
Shayad tum muje jante hoge, Mera naam Gayatri hai, me bhi iisi anathalay me hi rehti thi. Agar mere bare me yaad na aaye to Lata se puchh lena. Mene anathalay ke bare me samachar dekha tha, waise me jaha hu waha muje ye samachar dikha wo bhi meri kismat hi hai, shayad bhagwan abhi bhi mujpe kahi na kahi meharban hai. To meri achchhi kismat se muje wo samachar dikh gaye, muje ye jaan kar bahot khushi hui ki tumne us manager ko sabak sikhaya. Sach me itni jyada khushi muje kabhi nahi hui. Us haiwan ki wajah se aaj me iss halat me hu. Mene tumhe ye chitthi likhi hai, par ye bhi nahi janti ki tum tak pahuche gi bhi ya nahi. Me bhagwan se prarthna kar rahi hu ki ye tum tak pahuch jaye. Aaj tak mene kisi ko bhi ye nahi bataya tha, batati to bhi kis se, kon hai iss duniya me jise me kuchh batati. Tumhare bare me sun kar achchha laga, muje aisa laga ki anathalay hi ek aisi jagah he jise me ghar keh shakti hu, par manager ke rehte wo bhi muj se chhut gaya.
Tum soch rahe honge ki maine tumhe ye chitthi kyu likhi. Ab kya batau aur kaise batau samaj nahi aa raha. Shiv me ek randi khane me hu, xxx saher ke redlight area meChunnibai ke kothe me rehti hu. Rehti hu nahi keh shakti, kaid hu. Pata nahi kyu par tumhare bare me sun kar muje kuchh ummid dikhi, agar ho shake to muje yaha se bacha lo. Mene ye chitthi bhi mere ek grahak ke hath se bhijwayi hai, pata nahi wo tumhe bhejega ki nahi, agar tumhe wo mile to ho shake to please meri madad karna.
Aur agar na kar pao to dil me koi boz mat rakh na. Waise bhi hum anatho ka koi bhagya nahi hota, aur hamari kundali me to bhagwan ne aisa kuchh likh diya hai ki hum dar dar ki thokare kha rahe hai. Ab itni khushi hai ki anathalay ko us manager se chhutkara mil gaya hai, ab koi Gayatri nahi banegi.
Apana aur anathalay ka khayal rakhna.
Ek abhagi
Gayatri.
Shiv : (Chitthi padh kar mere hosh ud gaye, mere chehre par aaye dard ko dekh kar Ranjan bhi bechain ho gayi)
Ranjan : Kiski chitthi hai?
Shiv : Kisi Gayatri ki hai, wo isi anathalay me rehti thi, kya tum jaanti ho.
Ranjan : Muje yaad hai waha tak to ek Gayatri didi thi, par ek din wo yaha se bhag gayi thi. Kyu kya hua?(Mene wo chitthi Ranjan ko di, wo padhne lagi, uske chehre ke havbhav bhi badalne lage) Ye kaise ho gaya. Ab kya hoga?
Shiv : Wo meri madad mang rahi hai.
Ranjan : (Samjate hue) Dekho Shiv, aisa sochna bhi maat, wo ek anjan saher hai, aur mene jaha tak suna hai ye bahot khatarnak log hote hai. Nahi Shiv, jo hona tha wo ho gaya, tum apni jaan jokhim me nahi dalna.
Shiv : Agar uski jagah tum hoti to?(Itna soch kar hi Ranjan ander tak kanp gayi) Sirf soch kar hi tumhari ye halat hai to socho, un par kya bit rahi hogi.
Ranjan : Par tum kya kar paoge, wo bahot khatarnak jagah hoti hai, waha ke log bhi bahot khatarnak hote hai Shiv, agar tumhe kuchh ho gaya to hamara kya hoga. Me samajti hu ki wo bahot muskilo me hai par agar tumhe kuchh ho gaya to hum sab muskilo me aa jayenge Shiv. Me Latadidi ko batati hu.
Shiv : Nahi, tum unhe kuchh nahi bataogi. Aur abhi tak to mene bhi us bareme nahi socha hai. Abhi ye sab nipat jaye to fir uske bareme sochenge. Chalo abhi sote hai.
Dono Sone chale gaye. Ranjan ka dil ghabara raha tha. Shiv ki bhi samaj me nahi aa raha tha ki wo kya kare, apne khayalo me sochte hue wo so gaya. Subah uth kar me taiyar hua aur didi ko bata kar me nikal gaya. Me sidha Navya madam ke ghar chala gaya. Mene doorbell bajayi to, wohi aunty ne darwaja khola.
Aunty : Aa jao Shiv, betho.(Wo mera naam jaanti thi, shayad Navyamadam ne bataya hoga ki me aanewala hu) Kya karte ho beta?
Shiv : Ji me, 11vi class me padhta hu.
Aunty : Kavya se kis kaam ke liye milne aate ho?
Shiv : Ji, wo anathalay me kuchh ho gaya tha, issi wajah se madam humari help kar rahi hai. (Itne me madam bhi aa gayi, aaj madam alag hi kapado me thi, unhone jeans pehana hua tha aur upar T-shirt pehni hui thi, wo itni khubsurat lag rahi thi ki me unhe dekhta hi reh gaya,)(Kavya ne bhi ye notice kia ki Shiv use ankhe fade dekh raha hai, nari sahaj use ye achchha laga)
Navya m : Good morning Shiv.
Shiv : (Khade hote hue)Ggg...Good morning madam.
Navya m : Kya bate ho rahi thi mummy se.
Shiv : Kuchh nahi, bas aise hi.
N ki maa : Kab tak wapas aaogi?
Navya : Sham tak ya raat tak.
N ki maa : Beti, sambhal kar jaana, teri shadi ho gayi hoti to muje aisi chinta na hoti.
Navya : Kya mummy, aap ki har baat ghum fir kar shadi par hi aa jati hai.
N ki maa : To konsa galat keh rahi hu, (Muje)tum hi batao beta, isse me shadi karne ke liye keh rahi hu to kya galat keh rahi hu, iski umar ki ladkio ke yaha to bachchhe bhi hogaye hai, kya humara maan nahi karta ki hum tera sukhi sansar dekhe. (Ab me kya kehta, me bas unko sun raha tha aur madam ko dekh raha tha)
Navya : Isme tum Shiv ko kyu ghasit rahi ho, use kya pata in sab ka.
N ki maa : Par tumhe to pata hai na, abhi bhi time hai, shadi kar lo fir umar badh jane ke baad koi bhi ladka milega nahi.
Navya : Kya shadi karna itna jaruri hai, mummy. Me khus hu apni jindagi se, me kisi ko apne upar hukum chalate hue bardast nahi kar shakti. Muje nahi karni shadi. Aur ab iss bare me koi bahesh nahi. Hame chai nasta do taki hum ja shake.(Muh fula kar unki mummy ander chali gayi, aur Navya madam muskurate hue sofe par beth gayi) To taiyar jane ke liye.
Shiv : Ji madam, par hame jana kaha hai.?
Madam : xxx saher.
Shiv : (Saher ka naam sun kar me chauk gaya, ye wahi sehar tha jaha Gayatrididi rehti thi.)
K Madam : (Shiv ke chehre par aaye badlav dekh kar Kavya ne puchh hi liya)Kya hua Shiv, saher ka naam sun ka tum chaunk kyu gaye, kabhi gaye ho waha?
Shiv : Nahi me waha kabhi nahi gaya, madam aap humare yaha se jo kagjat lekar aaye ho usme ek ragister bhi hoga jisme sab bachcho ki detail likhi hui hai. Aur waha unke photo bhi chipkaye hue hai.
K madam : Ha hai.
Shiv : Ek bar me use dekhna chahta hu.
K madam : Ha chalo, office me hai. (Hum office me aa gaye, unhone wo register nikal kar diya, me usme Gayatrididi ki detail dhundhne laga) Kya dhundh rahe ho?
Shiv : Ek Gayatri naam ki ladki hai, uske bare me.
K madam : Kyu, kya hua hai?
Shiv : Wo me aap ko baad me bata ta hu(Muje wo mil gaya, unki kuchh tasvir bhi lagi hui thi, last tasvir kuchh salo pehle ki thi, chehra dekh kar muje bhi kuchh kuchh yaad aane laga, mere dimag me bhi unki yaade ubharne lagi, jyada to muje yaad nahi tha par wo muje yaad aa gayi, mene register madam ko wapas de diya) Thik hai chaliye madam chalte hai.
Hum nichhe aa gaye, madam ne apni car nikali, me unke sath aage beth gaya. Madam ne saher se bahar gadi nikal li aur ab highway par gadi speed se chal rahi thi.