• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Aap Is story ko kaisa dekhna chahenge?

  • Total voters
    51
  • Poll closed .

TharkiPo

Dramatic Entrance
4,374
14,045
144
Ab sab kuch acha lag raha tha, man ke sare sawaalon ka jawab tha mere paas aur aage kya karna hai wo bhi pata chal gaya tha... Ab bas khush rahna hai aur rakhna hai... Baba ne apani baaton se mere sochne ka tareeka hi badal dia tha... Jab baba dikhne band ho gaye to unki baaton ko dil rakhkar main bapis gaon ki taraf mud gaya, ek nayi soch ke sath, ek naye viswas ke sath, ek nayi umeed ke sath.

UPDATE 104

Bagh mein bapis aaya aur phir sabke sath ghar ki taraf chal diya baki log. Bhi apane ghar chale gaye main sabke dath chal raha tha aur phir sochne laga jo bhi kuch galat hai use sahi kaise karun... Baki sab to theek tha par Anuj ko thappad maar diya tha to use manana padega...

Ghar pahunch kar jab hum angan mein aa gaye maa papa mausa mausi sab baaton mein ya kaam mein lag gaye main angan mein baith aur drkha to Anuj apane kamre ki taraf jane laga.. maine peeche se awaaz di- Sun Shatranj khelega?

Usne koi jawab nahi diya aur seedha apane kamre ki or badh gaya...

Maine socha abhi bhi gussa hai shayad kuch aur tareeka dhoondhana hoga..

Aise hi khat par baitha kuch soch raha tha ki tabhi dekha mere samne shatranj aa gayi aur anuj use lekar khada tha...

Anuj- Peeche ho jagah to banao mere liye..

Uski baat sunkar mere chehre par muskurahat aa gayi...

Main peeche hokar baith gaya wo shatranj lagane laga.. main bas use dekhe ja raha tha.. kuch pal baad shatranj lag gayi to hum dono bhai khelne lage... Aur poori teen baari khel kar uthe jisme ek anuj jeeta tha aur do main..par wo haar maanne walo mein se nahi tha aur bhi khelne ko kah raha tha par beech mein hi mere paas Neetu ka phone aa gaya to maine usse bola ki ab kal khelein to maan gaya... Sath hi maine usse poocha.

Me- kal ke liye gussa to nahi hai..

Anuj-nahi bhaiya wo to main kabka bhool gaya, aur tum bade ho maar sakte ho..

Me-Phir bhi bura laga ho to...

Anuj-are chhodo bhaiya us baat ko..

Mere sir se jaise ek bojh sa utar gaya... Ghar mein kalesh ho to shayad hi koi chain se Rah sakta hai... Khair Neetu ne bola tha kal nahi gaye aaj to chaloge... To main jaldi se taiyar hokar motorcycle lekar nikal lia Uske gate ke bahar jakar awaaz lagai to Neetu bahar aai... Neetu ko dekhkar to main ek dum se chaunk hi gaya... Kya gajab lag rahi thi wo suit mein...suit bhi aisa jo uske har ubhar aur kataav ko nikhar raha tha... Ek pal ko to main uski khoobsurati mein kho sa gaya mujhe to tab hosh aaya jab usne mere kandhe ko thapthapaya...

Neetu- kahan kho gaye bhaiya chaloge nahi?

Me- hmm haan haan baith na..

Phir wo mere kandhe ko pakadkar motorbikes par baith gayi... Aur maine gadi age badha di..

Neetu-bhaiya waise tab kahan khoye huye the abhi..

Me-kahin bhi nahi... Main to bas...

Neetu- acha aise hi mujhe ghoor rahe the..

Me-are main kahan ghoor raha tha..

Neetu- sachhi mein nahi ghoor rahe the...

Me-are wo tu itani sundar lag rahi hai to bas wohi dekh raha tha..

Neetu- sach mein sundar lag rahi thi tumhe...?

Me- haan tu Sundar hai to Sundar hi lagegi..

Neetu- Anjali se bhi zyada

Me- aur kya usse bhi zyada..

Neetu- chall jhoothe...

Me- sachhiiiiiii muchhiii...

Neetu- acha to Anjali ke peeche kyun pade ho...

Me- kyunki wo achi lagti hai ..

Neetu- main achi nahi lagti..

Me- bahut achi lagti hai pagal..

Neetu- phir bhi Anjali ke peeche kyun..

Me- kyunki tu bahan hai... Anjali nahi... isliye agar tu bahan nahi hoti to pakka tere peeche padta..

Neetu- kaise gol gol baatein ghumate ho bhaiya...

Me- maine kaunsi baat ghumai main to bas sach bol raha hun...

Aise hi nokjhok karte huye hum Gaindapur pahunch gaye...

Utarkar gate par pahunche Neetu ne ghanti bajai aur kuch pal baad gate khula to sara mood kharab ho gaya gate khadus sasure ne matlab Anjali ke baap ne khola tha..

Neetu-namaste chacha ji...

Sasura- namaste namaste beta, aa aaja andar aa..

Me- namaste chacha ji...

Sasura- namaste...

Sala meri namaste bhi isko gali lag rahi hai..theek se nahi kar sakta..

Khair hum andar gaye aur sofe par bitha diya mujhe khud mere samne baith gaya... Neetu uske sath chhodkar mujhe khud bhag gayi... andar kisi kamre mein...

Wo koi kitab padh raha tha baith kar main Chupchap baitha hua apani jaan ke Deedaar ka intezar kar raha tha...

Sale ne apani aankhon ka nishana kitab se hatakar kab mujhpar laga diya pata hi nahi chala aur mujhe ghar mein idhar udhar jhankte huye dekh lia...

Sasura- kyun bhai... Kuch karte bhi ho iske alawa?

Me- jjjjjeeeee matlabb kk kiss ke alawa..

Sasura- ye ladkiyon ko motorcycle par ghumane ke alawa...

Me- g g sare kaam karta hun, aur ladkiyon ko nahi ghumata Neetu meri bahan hai aur humare yahan ghar ki auraton ko akele nahi jane dete door zamana kharab hai isliye..

Sasura- haan zamana to kharab hai hi... Logo ki nazarein kahan kahan ghoomti rahti hain..

Mujhe laga sale ne ye baat to pakka mere liye hi kahi hai...

Me- g Bilkul sahi kaha aapne...

Sasura- aur kheti bari kaisi chal rahi hai..

Me- sab achi hai aap aaiye kabhi humare gaon...

Sasura- zaroor aayenge hum bhi dekhenge tumhara gaon...

Me- g bilkul intezar rahega...

Aur phir achanak se uska phone bajne laga.. aur na jane kyun number dekhte hi wo turant khada hokar phone uthate hi ek kamre mein chala gaya... Maine socha sala aisi kya private baat thi... Lekin uska jana mere liye bahut acha hua... Kyunki uske jate hi...Wo hua jiska intezar tha mujhe... Sasura ke jaate hi Neetu aur meri jaan Anjali dono bahar aa gayi aur akar sofe par baith gayi... Main to use dekhte hi phir se kho gaya aur karu bhi kya itani pyari aur khoobsurat thi wo ki khud par kabu hi nahi rahta tha

images-2
Wo to shukar tha ki Neetu ne bolkar hosh mein laya...

Neetu- bhaiya bore to nahi ho rahe..

Me- n n nahiii to...

Anjali- kuch piyoge aap?

Me- hann?? G wo

Neetu- ye haan wo kya kar rahe ho, wo pooch rahi hai kya piyoge?

Me- jo bhi aap log piyoge..

Neetu- mera man to chai ka hai...

Anjali- theek lati hun...

Me- Neetu tu bana tera man hai to...

Neetu- aree ye kya baat hui...

Anjali meri baat sunkar muskurane lagi phir boli- baat to sahi hai tera man hai to tu bana hum log bas piyenge..

Neetu- hawww dono milkar mujhe fansa rahe ho... Ja rahi hun..

Neetu chai banane chali gayi rah gaye to hum do log aur ek ajeeb si khamoshi... Sala waise man mein kitni hi Baatein kyun na ho par abhi ek shabd bhi zubaan se nahi nikal raha tha...samajh nahi aa raha tha itna acha mauka mila hai kuch to baat karu par kya kaise?

Anjali- to aap kya kar rahe ho padhai mein?

Me- g main wo BA final hai..aur aap?

Anjali- BSc ho chuki hai.. ab aage ka soch rahi hun, B ed karlun..

Me- aap bhi teacher banna chahti hain...

Anjali- aap bhi matlab..

Me- wo apke papa bhi hain na?

Anjali- acha haan kah sakte ho... Ki shayad unki wajah se hi aaya hai mere man mein....

Me- acha hai aap bahut achi teacher banogi..

Anjali- pahle ban to jaun phir dekhenge abhi to bas socha hai...waise aaapne science kyu. Nahi li?

Me- g tum tum boliye na aap se bada sa feel hota hai...

Anjali meri baat sunkar muskurane lagi

Anjali-acha g tumne science kyun nahi li?

Me- sab apki tarah samajhdar nahi hote na...

Anjali- tum.... Jab main tumhe tum kah rahi hun to tum bhi mujhe tum hi bologe...

Main to man hi man khushi se bhar gaya..

Me- haan wo tumhari tarah aur math aur chemistry mere sar ke upar se hi jate hain humesha to isliye door se hi namaste kar lia science ko...

Anjali- waise sahi bhi hai jisme interest na ho wo nahi karna chahiye... Bojh sa lagne lagta hai..

Me- sahi kaha aap matlab tumne.. sab kuch interest par nirbhar karta hai...

Anjali- to aur kaun kaun si cheezein interesting lagti hain tumhe?

Me- tum...

Main itana hi bol paya tha ki Neetu aa gayi chai lekar..

Anjali meri taraf chaunk kar dekh rahi thi thoda meri samajh nahi aaya kyun...

Neetu ne sabko chai di aur phir wo bhi humare sath baith gayi...

Neetu-to kya Baatein chal rahi hain?

Me- Anjali batane wali thi ki unhe kya interesting lagta hai... to ab tum batao tumhe kya interesting lagta hai..

Anjali- padhana, film dekhna, gana sunna, ye sab hi mujhe pasand hai.. dosto ke sath gappein marna...

Neetu- aur acha acha khana Banakar sabko khilana bhi..

Me- sach mein..

Neetu-haan bhaiya isko naye naye tarah ka khana banakar sabko khilana bahut pasand hai..

Me- to mujhe kab khilaogi?

Anjali-jab tum chaho..

Me-main to humesha hi bhookha hun..

Meri baat sunkar Anjali aur Neetu dono hi hansne lagi..

Anjali- koi nahi ab jab bhi banaungi to tumhare liye zaroor banaungi jisse tumhari bhookh shant ho jaye..

Me- matlab tab tak mujhe bhookha rahna padega..

Neetu-acha bade aaye bhookhe rahne wale, chachi thak jati hain bana bana kar khulane mein..

Me- chall tu chup kar...

Neetu- sachhai batai to chup rah..

Anjali- bas bas lado mat ab tum log... Chinta mat karo jaldi hi khane ko milega kuch acha sa.

Me- ye hui na baat..

Neetu- acha bhaiya ab batao hum dono mein se kaun sundar lag raha hai..

Are yaar ye kaisa sawaal pooch lia isne maine man mein socha..

Anjali- tu hi sundar hai Neetu isme poochna kya...

Neetu- nahi bhaiya ko batane de...

Me- tu hi sundar hai...

Maine muskurate huye kaha par dekh mein Anjali ko raha tha..

Neetu- acha Anjali ko dekhkar mujhe Sundar bata rahe ho..

Anjali bhi muskura rahi thi...

Me- nahi pagal main to bas dekh raha tha ache se sach batane ke liye..

Anjali- aur dekhna hai ya dekh lia?

Main thoda chaunk gaya uski baat sunkar...

Me-wo nahi haan dekh lia...

Phir usne meri aankhon mein aankhein dali aur poocha- to batao ab kaun sundar hai?

images-3

Main to sakpaka gaya uska sawaal sunkar upar se uska yun nazaro se nazarein milakar dekhna mere muh se apane aap hi nikal gaya- tum...

Neetu-bhaiya...

Me- poori baat to sunle Tum dono hi bahut sundar ho, kisi ek ko chunna bahut mushkil hai..

Anjali-phir bhi kisi ek ko kabhi chunna pade to...

Me-aisi naubat hi nahi ayegi...

Anjali- acha kaise... Aa sakti hai naubat to...

Me-nahi ayegi, Neetu meri bahan lagti hai aur tum..

Anjali- aur main?

Me- tum..

Anjali- main kya?

Iske aage main kuch bolta usee pahle uska khadus baap aa gaya aur hunari baar ruk gayi...

Phir iske baad sasure ke samne aise hi normal baatein hui aur kyunli andhera ho chala tha, to phir hum nikalne lage... Anjali darwaze tak chhodne aai..

Neetu ko bye bola mujhe bhi...

Me- mujhe tumhare khane ka intezar rahega...

Anjali muskurai aur boli- aur mujhe tumhare jawab ka...

Iske baad hum log nikal gaye bahut acha lag raha tha... Anjali se pahli baar itani der tak baatein ki thi...

Raste meij bhi Neetu ki bakar bak chalu thi par mera dhyan hi nahi gaya... Aur puir use ghar aakar utar diya... Neetu muskura kar bye bolkar chali gayi...

Aur main apane ghar aa gaya..

Dosto update chhoti hai par busy tha jitna likh paya utna post kar raha hun baki aage bahut jaldi update dunga... Bahut bahut shukriya... Update kaisi lagi comments karke zaroor bataayein...
 
ABHISHEK TRIPATHI

Well-Known Member
6,394
28,386
218

Awesome update
 
  • Like
Reactions: TharkiPo
Top