• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
Update:- 104

Suko:- Sahjada Nischal aur Rajkumari Serin par iss sadi ke sabse mahan shashak jinhone madhya rajya ki bhumi par apne shashan ke dauran na kewal apni seemaon ko badhya, balki apne padosi rajyon ke sath Maitri ke sambandh bhi badhaye, Shashak Behavan ka katl bade hi satirana dhang se kar diya.

Katl karne ke baad sahjade apne saja se bachne ke liye Aizem chhod'kar bhag gaya aur uski sathi Serin yahin ruk'kar apni sazis rachti rahi. Pure Jaal mahal ko madhya rajya ke khilaf istamal kiya. Pure rajya ko hathiyane ki mansa aur Jaal mahal me baith'kar katl ke sabooton ko gayab karne ki kosis karti rahi. Main sabha ke sabhi counceller se appeal karta hun ki in dono ko mirtu dand diya jaye.

Bench 1 counceller:- Bachaw paksh ko kuch kahna hai..

Jivisha:- "Mujhe Suko ki kahani thodi boaring si lagi. Aisi kahani to maine 60 se 70 video me dekh chuki hun, jahan ache logon ko fasa diya jata hai. Apni kahani ko sach batane ke liye kya koi saboot hai ya yahan kisi par bhi ilzam laga'kar kuch bhi bol do, to log maan lete hain."

"Mujhe to yahan ke apang council par hi shak ho raha hai. Koi ek layak counceller to hota jo pahle ye puchh sake ki jitne bhi ilzam lage hain uska aadhar kya hai? Unse saboot na maang'kar sidha bachaw paksh ko sun'na ye saaf jahir karta hai ki counceller sab faisla lene yogya nahi hai… maaf kijiye in counceller ke bich mujhe koi bhi paksh nahi rakhna… 40 counceller ko pahle khud ko proof karna hoga…"

Sabaiyya:- Ye sabha ko apman karna hua ladki, iska dand bhugatna hoga…

Jivisha:- Kyon apna paksh rakhna aur galat ko galat kahne par sidha saja, ye kaisi nyay vyavastha hai. Logon ke poll bhi aa gaye hain… 22 caror janta ke poll ke sath meri baat ko 80% logon ne samarthan diya hai shasak Sabaiyya.

Sabaiyya:- Yahan ke council govern ka apna tarika hai aur wo apne ho niyam se chalegi, aap ke kahne se nahi. Sabha ka standerd procedure yahi hai aur issi hisab se sabha chalegi…

Jivisha:- Ji hum to niyam se chalne wale log hain, bhale hi wo niyam kewal satta paksh ko labh aur aam janta ke sath anyay kar jaye. Lekin koi nahi, jab aaj shasahn humre hath me hoga tab ye sare gande niyam hawa ho jayenge... Main lage huye ilzam ke pichhe ke aadhar ko dekhna chahungi..

8th bench Counceller:- Saboot aap ko dikhane honge kyonki shashak Behavan Jaal mahal me mare gaye the aur wahan ki ghatnao ke liye kewal Nischal aur Serin jimmedar the..

Jivisha:- Thik hai maan liya ye baat ki Jaal mahal ke ander ki hone wali har ghatna ke pichhe Nischal aur Serin ka hath hoga… lekin O bhai sahab iss baat ka to saboot do ki purv shashak Behavan, Jaal mahal me hi maare gaye the? Kam se kam unhe Jaal mahal ke ander ghusne ka video hi dikha do, tab to pata chale ki haan purv shashak apne mirtu ke waqt Jaal mahal me the…

Ruki:- Yah kya bakwas hai, yahan to pura case ko hi divert karne ki kosis hai. Purv shashak Behavan ke Jaal mahal ke ander jane ka saboot den, jabki sabko pata hai ki Shashak uss waqt Jaal mahal me the…

Jivisha:- Haan to jab sabko pata hai ki Shashak Behavan Jaal mahal me gaye the to 2-4 ko pakad lao unhi ki gawahi karwa do…

Suko ne 8-10 logon ko pakad laya aur unse sawal hua … "Kya unhone purv shashak ko Jaal mahal ke ander jate dekha tha?"… Aur har kisi ne haan kah diya.. haan kah'kar wo log ja he rahe the ki Jivisha unhe rokti…. "O bhai, andher nagri aur chaupat raja, sawal puchh kar logon ko bhaga kahan rahe ho, mujhe bhi to cross sawal puchhne do"..

Suko:- Haan kyon nahi..

Jivisha, un logon me se ek ko bulayi…. "Haan to tumne Purv shashak ko Jaal mahal me jate dekhe."

Aadmi:- Haan bilkul..

Jivisha:- Lobhu pichhle 10 sal ki entry check karke batao ki kya shashak Behavan ne Jaal mahal me kadam rakhe the..

Lobhu:- Ji nahi, entry book me shashak Behavan ki koi entry nahi…

Ruki:- Ha ha ha ha ha… Ek shashak apni hi jagah par jane ke liye entry kyon karne laga… tumhare faltu bakwas se in dono ko koi nahi bacha sakta..

Jivisha:- Mr Jasoos, dimag thoda thanda rakho. Lobhu naye Shashk Sabaiyya ki entry chehk kar ke bato..

Lobhu:- Ji pichhle 5 saal me inki 600 baar entry hai…

Jivisha:- Mr Ruki Mr Suko aap dono ne iss sabha ko gumraah kiya hai aur apne pad ka durupyog kiya hai. Main aap dono par abhi mahabhiyog chalati hun… ye dono ab apna paksh nahi rakh sakte kyonki bhid se apne 10 logon ko bula kar inhone wo sab kahlwaya jo inke baton ko support kare. Apni jhuthi baat ko proof karne ke liye kewal logic he de rahe, na to inke pass koi thos saboot hai aur na hi koi thos gawah.. ye case yahin par kharij hota hai aur sare ilzam bebuniyad hai.. kisi ko kuch kahna hai..

Sabaiyya, pure taish me aate huye…. "Faisla suna'na mera kaam hai. Abhi puri council ki report nahi aayi hai"..

Jivisha:- Kaisa council aur kaisa report jisme kewal ek paksh ki kahani ko suna ja raha hai aur aankh mund kar sach maan rahe hain… kewal kah dene se maan liya jata hai to main bhi ilzam lagana chahungi ki Shashak Sabaiyya ne Jaal mahal ko hathiyane aur apne shashak ban'ne ki raah ko aasan karne ke liye bache huye uttradhikari ko fasaya hai.. aa jao ab tum saboot do ki aisa nahi hai…

Sabaiyya:- Iss badtamij ladki ko abhi maut ki saja di jati hai…

Serin khadi ho'kar samne aati… "Kisi ko yahan lagta hai ki bal ke dum par wo apni manmani kar sakta hai to aa jao, kyonki jab hum katna shuru karenge to yahan kewal lash bichhi hogi. Council niyam ke hisab se Sabaiyya ke har ilzam se hum bahar hain, kyonki jab koi jaal mahal me aaya hi nahi to uske Jaal mahal me marne ka koi sawal hi paida nahi leta."

"Sare ilzam bebuniyad nikle. Sabha me jhuth bolne ke liye in logon ko abhi maut ki saza meri ore se di jati hai… Yahi saja un counceller ke liye bhi tay hogi jo nyay vayvstha ki dhajjiyan uddane par tule hain aur jhut ko jabardasti kabool karwane par lage hain. Behtar hoga ab Sabaiyya ko apni behunahi ka saboot dene ke liye yahan bulaya jaye.."

Serin apni baat samapt kar apni blade nikali aur bina koi raham dikhaye un jhute gawahon ka sar kat'kar niche gira chuki thi aur Jivisha un Kate sar ko alag-alag jagah ke unchi deewar par taang di.

Ab tak jo man'mani karte aa rahe the aur jinhe lagta tha ki apne logon ke bhid ke bich sabha ka aayojan karke Nischal aur Serin ko doshi karar de denge, unke paun tale se jamin khisk chuki thi.

Nayay prakriya ko puri aawam bhi dekh rahi thi aur itni sari baten hone ke baad to ab logon ne khul kar bolna shuru kar diya tha ki puri council aur puri sabha hi biki hui hai, jo lagatar apne jhut ko faila rahi hai aur nirdoshon ko saja dene ke liye sabha ka aayojan kiya gaya hai.

Mamla haath se jate dekh Nova bich maidan me aa gayi aur ek alp viram le kar dono hi pakshon ko shant hokar sabha ko aaram se chalane ki appeal karne lagi. Nova ki appeal ko maan liya gaya, aur 1 ghantey ka ek alp viram liya gaya.

Iss alp viram ke anth hote-hote Nova bhi apne mansubon me kamyab ho chuki thi. Doctor Parchhe Jivisha aur Nischal ko jahar pila chuka tha. Jaise hi dono ne jahar piya Nova ke chehre par kutil muskan chha gayi.

Jivisha wo drink pite hi dhamn se niche bhumi par gir gayi aur Nischal apni chair par aakhen mund chuka tha. Aur issi ke sath sabha wapas se shuru ho gayi. Sabha bhawan ke upar ke sabse aakhri raw me hathiyar'band sainik tainat ho chuke the, jiska nishana Serin thi. Niche ke 100 sainik bhi apne hathiyar nikal'kar Serin ko nishana banaye the…

Sabha jab dobara shurwat hui tab doctor Parchhe zahar ke uss drink se itna sunischit ho chuke the, ki bus upar se hi dekh'kar dono ko mrit ghoshit kar chuke the. 40 counceller aapas me kuch der discuss karne ke baad apne vichar likhit roop se Sabaiyya ko shaunp diye..

Sabaiyya, aage badhne se pahle…. "Serin tumhe kuch kahna hai"..

Serin hatash thi aur baith'kar Jivisha ke sar ko apne gode me rakhi ro rahi thi. Sabaiyya ne 3 baar Serin se puchha lekin koi jawab na mil pane ki stithi me kahne laga… "Yah saboot pahle aawam ke naam"..

Itna kah'kar Sabaiyya ne wah saboot pura chala diya jiske dum par Serin ko bhi doshi karar diya gaya tha.. ek video jisme Nischal Jaal mahal me ander apne kamre me hai. Tabhi darwaje se purv shashak Behavan ander aaya aur uske pichhe Serin bhi aa gayi. Serin ne pichhe se Behavan ko pakad li aur Nischal ne usse chaku se chir diya…

Baad me uss lash ko Jaal mahal se takriban 20 kilometre dur wale uss maidan me fikwa diya, jahan Behavan ki lash mili thi. Iss karname ko kayi logon ne dekh liya tha isliye unhe bhi uss video me mar'kar wahin uss ground me litate huye dikha diya…
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
Update:-105

Video pura complete hone ke baad Sabaiyya ne bolna shuru kiya….

"Aisa nahi ki shashan jo bolti hai wo matr ek kahani hoti hai. Jab tak humare pass pukhta saboot nahi hote tab tak hum kisi ko katghare me lekar nahi aate. Main ek shashak hun lekin uss se pahle ye dono mere pariwar ke log hain. Main apne pita se jyada in dono ko chahta tha, isliye inko apne gunaah kabool karne ka ek mauka diya tha, lekin inke satta ki lalach aur bukh itni thi ki mujh'par hi ilzam laga chuke the."

"Ek badjaat Viggo ko maine apna pariwar mana. Usne prithvi par jakar ek giri hui ladki ko apni jodi banaya, uski badtamiji sahi. Aap sab ne ab tak dekha kaise katl karne ke baad bhi sabhapatiyon ko unhone apmanit kiya. Humare nyay ke tarikon par sawal uthya. Serin meri complete blood hui to kya hua, isse bhi wahi saja milegi jo in dono badjaat ko mili hai. Sabha ka faisla aa chuka hai.. Serin ko abhi mirtu ki saja di jati hai.."

"Achha drink pilaya tha Parchhe, pi kar maza aa gaya. Jin-jin logon ne Serin ko marne ke liye hathiyar thaam rakhe hain, wo abhi apne hathiyar niche kar le. Sabha samapt nahi hui aur na hi iss Parchhe ke diye zahar se main mara hun"… Nischal apni aakhen kholte huye kahne laga.. itne me Jivisha bhi uth'kar khadi ho gayi…

Lekin tab'tak Suko ne humla ka ishara de diya… sabhi log humla karne ke liye taiyar hi the ki Nischal apni purani gati se bhi 2 guni jyada gati se daur laga chuka tha… aur wahan jo najar aa raha tha wo kewal uddte log aur unka kata hua badan tha, jo ek sath hawa me gaya aur jabtak wo niche aaya tab'tak Nischal apni jagah par aa kar baith chuka tha..

Serin usse ek thappad lagati… "Kaminey tere hath paun kaam kar rahe the, hume bataya nahi"..

Jivihsa, apni aankhen dikhati…. "Computer ji iss nalayak ko tang do upar"..

Jivisha ne jaise hi command diya Nischal hawa me, lekin akle hi pal wo Gulati khakar niche tha… "Main jab Jaal mahal me tha tab medical section me maine wo Mittoso ke device se jo patthar nikala tha usse process karke maine kisi ke brain cell ko apne brain cell se replace kar liya."

Serin aur Jivisha badi si aakhen kiye…. Kise apahij bana'kar khud chalne lag gaye…

Nischal:- Taza taza koi mara tha, ussi ke jinda brain cell use kiya. Ab tum dono thehar jao jarra… abhi to dimag me kuch aur hi chal raha hai. Aaram se baitho jarra.

Un dono ko aaram se bitha'kar Nischal tej aawaz me kahne laga...... "Jise apni jaan pyari na ho wo yahan se jane ki kosis kar sakta hai.. Sabha abhi samapt nahi hui hai."

Nischal ki baton ne aisa khauff ka mahol paida kiya ki har koi tharra chuka tha. Apni baat kah'kar wo teji ke sath daud laga diya aur bhid se 20 hunter ko samet'kar late huye… "Bahut bada hunter hai na tu… ab batayega ki tum log iss sabha me kya kar rahe ho"..

Nischal ke aakhon ko dekh'kar hi sabke shwans atak gaye. Hunter ke mukhiya ghigyayi si awaj me kahne laga…. "Hume zahar badha hathiyar diya gaya tha tum logon ko marne ke liye"..

Nischal:- Kisne diya..

Mukhiya, Sabaiyya ke ore ishara karke…. "Yahan ke shashak ne diya tha"...

Nischal:- Apni baat ko sabit kar warna main kya kar sakta hun uska namuna to dekha hi hoga…

Mukhiya hadbada kar apne contract paper dikhate…. "Humara koi dosh nahi hai. Hum bhagodon ko pakadne ka contract lete hain, jo jurm karke bhagte hain. Doshiyon ko pakdna ya unhe marna koi apradh nahi aur mujhe tum sab ke khilaf saboot dikhaye gaye the, isliye humne anubandh kiya tha. Humare kaam karne ke tarike ko pura universe janta hai, tum bhi jante ho sahjade"..

Nischal:- Sabaiyya tumhe kuch kahna hai..

Sabaiyya:- Kahna kya hai, tum doshi ho aur sath me yahan sabse jyada khatarnak, isliye maine unhe contract de diya..

Nischal:- Chal tu wo video Play kar aur Lobhu jara wo Bihavan ke maut ke waqt ki orignal video nikalo, jisme uske body ka video ho…

Aadhe screen par Nischal aur Serin ke katl ki video chal rahi thi aur aadhi screen par purv shashak ke marne ke baad ki tasveere. Nischal video pause karte huye kahne laga…

"Purv shashak ke marne ke baad, jin-jin logon ne tasveer lee thi, wo tasveer apne samne nikal kar rakho, aur mujhe batao jab maine chir kar fikwa diya tha purv shashak ko, to uske maut ke baad badan se chire jane ke nishan kahan gayab hain. Doctor Parchhe ki report anusar purv shashak ne kuch aisa khaya ya piya hoga, jis se unke andruni organ gal gaye the… kyon doctor Parchhe aisa hi tha na"..

Parchhe:- Haan sahjade aap sahi kah rahe ho..

Nischal:- Sabaiyya iss fake video ko janta ke samne dikhane ka kya matlab hai… ispar kuch kahna hai kya..

Sabaiyya:- Main yahan ka shashak hun.. tum mujh se sawal nahi kar sakte.. sainikon.. pakad lo in sab ko..

Nischal:- Mujhe tune badjaat kaha tha.. meri jodi ko gali diye.. Sabaiyya tumne seema langhi hai… tumne satta par kabja pane ke liye purv shashak ki maut ko hum se joda. Pahle mujhe yahan se jane par majboor kiya, fir jhuthe video evidence se Serin ko fasaya. Council nispaksh honi chahiye thi, sabha me aam log hone chahiye the. Tumne shashan aur nyay vayvstha ki dhajjiyan udda di.

"Purv shashak ke 2 uttradhikari tumhe ab madhya rajya ke shashan se abhi tumhe hata'ti hai. Yahan maujood har counceller aur Sabaiyya ke sabhi logon ko jail me dalne ka aadesh diya jata hai, inki baat dusri sabha me suni jayegi."

"Sabaiyya jis satta ke lalach me apne hi pariwar se daga kar gaya, uss ki saja yahi hogi ki wo ek aam nagrik ka jivan jiyega. Yahan maujood purv shashak ke 2 uttradhikari main aur Serin, ye faisla lete hain ki Jaal mahal ko pura dhwast kiya jayega. Jaal mahal jitna labhdayak hai, galat hathon me utna hi vidhwansak bhi. Yadi Jaal mahal ki takat ko koi samjh jata to wo kewal purn Aizem hi nahi, apitu dusre grah me bhi apna prabhutwa kabij karta. Jaal mahal manawata ki hani hai aur isliye usse dhwast kiya jayega."

"Jaal mahal se sabhi taknik ko bacha liya jayega, kewal vidwansak hathiyar aur manwata ko hani pahunchane wale bade-bade sodh ko chhod kar. Isliye Jan kalyan ke sabhi taknik ko bahar nikalne ke baad, Jaal mahal puri tarah se dhwast ho jayega.."

"Jaal mahal ke sath ek lambe yug ka bhi anth hota hai, jahan kewal ek pariwar hi shashan karega aur baki rajya ke log unki sewa aur manmani ko jhelenge. Aaj se karya-karni shashak Lobhu hoga aur main ek yuva team ka gathan karke prajatantr ko bahal karunga.. jiske ander praja apni sweksha se apna shashak chunegi aur unka kaam pasand nahi aaya to unhe satta se hata bhi sakti hai."

"Niyam aise honge jo har kisi par lagu honge aur kanoon sabke liye barabar hoga, jo yahan ke jivan ko sucharu roop se chalne me madad karegi… Aaj ki sabha yahin samapt hoti hai. Sab jashn manaeye aur mere faisle par apne vichar jaroor dijiye, kyonki ek rajya uske khushhaal janta se banta hai."

Koi kushal rajnitigya jaise apni baat rakh raha ho. Nischal ko uski samast janta sun rahi thi. Jis hisab se sabha ke samne Nischal ne apna bachaw paksh rakha tha har kisi ko yahi laga ki Nischal ya Serin me se koi agla shashak hoga..

Lekin usne puri niti me badlaw karke har kisi ko samjha diya tha ki Aizem ke madya rajya ka sahshan aane wale samay me kaisa hone wala hai. Zoren ke tarj par hi yahan ki bhi shasan vaywastha ki jani thi.

Dekhte hi dekhte pahle to uss sabha se sabhi gaddaron ko naap diya gaya, jisme khud ko sabse jyada buddhiman samjhne wale Ruki aur Suko the. Wahan jo kewal jail nahi gaya wo Sabaiyya aur Nova the. Sabha bhawan suraksha guard dwara khali karwaya ja chuka tha aur wahan kewal 5 log bache the..

Sabaiyya sar jhukaye Nischal ke pass pahuncha…. "Mujhe laga tha tum dono ko satta ka lalach hoga. Maine apne ghrina me bahut badi galti kar di. Tumhare pass mauka hai, mujhe maar kyon nahi dete Nischal…

Serin:- Marna hota na tumhe Sabaiyya to kab ka maar chuke hote. Dukh iss baat ka nahi tha ki tumhe satta aur shashan ka lalach aa gaya tha… dukh to iss baat ka tha ki tum gairon me uljahkar apno ko hi jaan se maar dena chahte the… galat kiya hai Sabaiyya tumne..

Nischal:- Aur iss galti ki ek hi prayschit hai.. jab hum agli baar aayen to tum yahan ke shashan me apni jagah bana chuke ho, wo bhi kewal apni chhawi aur achhe kamon ke dum par. Tumne aur bhabhi ne satta ke mad me bahut anaitik kaam kar chuke, ab dono milkar kuch acha karo… hum dono ke liye to sada tum bhai hi rahe aur aage bhi rahoge… chalta hun main..

Nischal Sabaiyya se apni baat samapt kar wahan se nikal gaya. Wahan se nikal kar teeno sidha Jaal mahal aa pahunche… Nischal aur Serin apne gum bhaw se wahan ki har chij ko bade dhyan se dekh rahe the..

Dono ki aakhen dab dabayi si thi. Aisa lag raha tha apne hath se aaj apne hi sabse pyare bache ko marne ja rahe the. Rah rah kar sine me dard sa uth raha tha… Jivisha dono ko dekhti hui kahne lagi… "Yahan ke research aur machines ko kewal khatm nahi kar sakte kya"..

Serin:- Sab shrenikram me hai.. manual ek-ek kar ke bhi hatayenge to bhi yah jagah dhwast hi hogi.. chalo Nischal kaam pura kiya jaye..

Nischal, gahri shwans lete… "Haan karte hain"…

Nischal aur Serin ne 15 minute ka command diya aur wahan se bahar nikal aaye. Niyati ne bhi kya khel racha tha, jiske har kone ko apne hathon se banaya, usse aaj apne hi hathon se dhwast karna par raha tha.

Teeno kuch duri par khade ho gaye. Jaise hi samay pura hua dekhte hi dekhte pahle wahan ke jitne bhi aawshkar aur jaroori dastavej the wo khatm hona shuru ho gaye. Unme chingariyan si utne lagi… fir dekhte hi dekhte wo jagah dhire dhire tootkar malwe me tabdil ho gayi…
 
Last edited:

DARK WOLFKING

Supreme
15,534
31,895
244
nice
Update:- 94

Nischal:- Mera dimag kharab mat karo... Kis baat ka main tumhara bhai, jab tum padesani hi mujh se kabhi share nahi ki. Har kaam jab hum mil'kar karte hain, fir har kisi se tumne dushmani akeli kyon ki.

Serin:- Haan Maine aisa kiya, kyonki tum me jarra bhi chhal nahi hai.... Har chij sidha sochte ho.. maar do ya mar jao.. aisa nahi hota hai bhai.. aisa nahi hota hai..

Nischal:- Haan to mujhe sikhati na.. akeli kyon pisti rahi..

Serin:- Sikhne hi to akele iss jahan me bheja tha bhai. Bachpan Jaal mahal me gurjar diye.. jawani apni jungle aur kuch chaplus logon ke bich gujare rahe the jo kewal tunhare bolepan ka fayda utha rahe the.. kuch baten kadwe anubhaw ke baad hi sikha ja sakta hai..

Nischal, Serin ka hath kholte… "Tumhare power me bahut kami aa gayi hai.. aaj khun nahi nikla"..

Serin:- Dhire mara tha, mujhe upar jakar chhat ki marammat nahi karni thi aur na hi niche ke floor ko thik karna tha.. tumse, nahi tum sab se dher sari baten karni hai..

Nischal, Serin ke gale lagte… "Tum wahan unke bich thi aur ek din bhi aisa nahi gaya jab mujhe ajib se khyal dil me nahi aaye ho"..

Serin:- Haan lekin tumhe prithwi par dekh'kar main bahut khush thi… waise pahle se itne slow kaise ho sakte ho.. maine wo action ke visuals dekhe the, jab tum uss Mahamahim ki tukdi se Bhide the prithwi par..

Nandni badi si muh banaye… "Ye tumhe bhagte huye dikh bhi gaya"..

Serin:- Haan ye kitna bhi tej bhag le main isse dekh sakti hun.. Lekin yahan sabse kamal ki tum hi ho Nandni.. kya mind control hai.. waise isne uss mask ki jo bhi kahani batayi thi galat thi..

Nandni:- Kya matlab galat tha..

Serin:- Isse banane me hume koi 12 sal nahi lage the.. jis din mere dimag me ye concept aaya tha, ussi ke teesre din wo mask taiyar tha, lekin hum dono ne kabhi isse santulit roop se istamal hi nahi kar paye..

Jivisha:- 1, 2 kisse-kahani to bata do…

Nischal:- Serin nahi.. jane do..

Serin:- Chup karo Nischal… Janti ho ek din Nandni ne iss Jatin ko jaan se maar diya tha. Purntah sochi samjhi maut… Nandni ki yah ghatna main isliye bata rahi hun, kyonki iss mask ka maine istamal pahle Nischal par kiya..

Nischal ne mujh se kaha tha 1500 volt ka jhatka marna.. meter laga kar hum check kar rahe the.. pahla kosis ki, 0 volt ka jhatka laga. Fir Nischal ne kaha kuch josh aur gusse ke sath jhatka maro. Maine kiya aur jhatka tha 15000 volt, iski aankh hospital me khuli thi..

Mera to 15000 tha, ye bhai sahab mujhe 600 volt dene ki kosis kiye the aur 22000 volt ka jhatka laga tha. Yun samnho lagbhag maut. Nischal hi tha jisne mujhe bacha liya, nahi to khel-khel me jaan chali gayi thi. Ab samjh sakti ho hum dono Nandu ke itne bade fan kyon hai.

Jivisha:- Nandu best hai… wo real hero hai..

Serin:- Hehehe…. Ye doctor sahab bhi kam nahi hai… Nischal pata nahi kitne sal soya rahta, yadi doctor sahab ne iska ilaj nahi kiya hota..

Ansh:- Bhai tum log hi picture me raho.. main picture se out hi sahi hun..

Jivisha:- Aise kyon bol rahe hain jiju, mujhe bura laga..

Ansh:- Wo ladka nahi najar aa raha jo Serin ke sath aaya tha..

Jivisha:- Usse computer ji ne bandh kar rakha hai..

Serin:- Thode kaam ki baat kar len.... Ummid hai Nischal ab tak Sabaiyya se sampark kar chuka hoga aur wahan pahunchne ka pura vyora de chuka hoga..

Jivisha:- Haan abhi tunhare land hone ke kuch der pahle hi..

Serin:- Haan, kyonki kal hi mere ek karibi Lobhu ne Sabaiyya ko pure saboot diya hoga ki main apne pita ke hatya ki mukhya sajiskarta hun. Aaj ye khabar Nischal ko lagi aur usne sampark kar liya..

Nischal:- Sabaiyya ke liye mujhe afsos hai… Pata nahi wo kyon hum dono ko dushman maan baitha hai..

Jivisha:- Kuch to aisa hai jo sab ke samne ho'kar bhi sabko nahi dikh raha…

Nischal:- Kahne ka kya matlab hai…

Jivisha:- Main baad me samjhati hun, pahle mujhe khud kuch samjh lene do. Serin tum bachpan ke bare me batao.. khaskar apni maa aur Nischal ke maa ke bare me..

Serin:- Main nahi bata sakti, kyonki main bandhi hun.. Chahe to Nischal se puchh lo, yadi wo kah de mujhe kisi ka viswas tod dene to main tod dungi..

Jivisha:- Koi baat nahi hai… hum pata kar lete hain… Baby Serin ke bachpan ki un yad ko khangalo jisme tum nahi the, kewal tumhari aur Serin ki maa ki yaden ho..

Nischal, Jivisha ka kahna maan kar apni aakhen band kiya aur dhyan lagana shuru kar diya. Nischal dimag ki gahraiyon me gusne ki jatilta ko samjhta tha, isliye atihatan wo dhire-dhire Serin ke dimag ki gahraiyon me utarne laga..

Kayi saal piche jab wo gaya, tab usse yadon ki gahraiyon me wo raaj bhi mil gaye, jo Serin na jane kab se chhipati aa rahi thi… Serin ke dimag ki gahraiyon me utarne ke karan Nischal urja kafi chali gayi, sath me kafi der tak usse dimag me rahna par gaya.. Sampark todte hi Nischal behosh ho gaya aur jab uski aakhen khuli tab wo hospital section me tha…

Nischal ke jagte hi Serin usse drink badhati hui kahne lagi…. "Aaj tumhare drink me thodi tabdili ki hun.. piyo, jarra iska effect check karna hai"..

Nischal apna drink lene laga aur Serin uska effect check karti… "Bhai tere liye bahut muskil samay aane wala hai… aane wale kuch din me effect dekhne milega. Tumne koi experiment kiya kya apne body ke sath"..

Nischal:- Haan kuch anchaha substance body me lena para tha.

Serin:- Hmmm ! Lekin ye kaisa substance tha jo biologically tunhare function ko impact kar raha hai… taiyar raho kuch dino me tunhara body ek jhatka lega. Ab tumhare jhatke se ubarne ke baad hi pata chalega ki tum aur kitna unclassified ho gaye…

Nischal, Serin ka hath thamte…. "Humra bhai aisa kyon nikal gaya Serin"

Serin:- Shyad wo apne jallad baap ki copy ho Nischal aur hum apne maa ki..

Nischal:- Sorry, tumhari feeling main kabhi samjh hi nahi saka…

Serin:- Chhod bhi, shayad hum dono ki feeling ek si rahi hai Nischal, bus fark sirf itna hai ki maine un do aurton ka dard kafi karib se dekha hai.. isliye baap aur tunhare bich maine tumhe chuna. Yahi main Sabaiyya aur tumhare bich bhi karungi.

Nischal:- Chal'kar ek kosis karte hain usse samjhane ki..

Serin:- Ek baar ko to Sabaiyya samjh bhi jaye, lekin ye Ruki aur Suko ne uske pure dimag par kabja kar rakha hai.. Nova aur Ruki ke bich to gahra rishta bhi hai.. upar se mera bhai uss ladki ke triya charitr ko nahi samjh pa raha..

Nischal:- Chhod jane de wo uski presonal life hai..

Serin:- Kya presonal life hai Nischal… Jab Nova ko maze hi karne the to jodi kyon banayi… aur jab jodi bana li hai to naitikta ka to khyal hona chahiye..

Nischal:- Ye jodi bhi tudwa dun kya.. bol na..

Serin:- Sorry …

Nischal:- Hahaha.. tera chhota utra sa muh bara acha lagta hai..

Serin:- Haan samjh gayi jyada tane mat de..

Nischal:- Manushya swabhaw… Sabaiyya ki naitikta yaad nahi jo din raat kitno ke sath para rahta hai…

Serin:- Sorry to main kah di na … samjh to gayi ki Nova par ungli uthane se pahle Sabaiyya ke charitr ko bhi sochna chahiye tha…

Nischal:- Waise tum yahan akeli, baki sabhi log kahan hain..

Serin:- Sabhi log ya tumhari jodi… sorry tumhari patni Jivisha..

Nischal:- Haan ! Kah sakti ho…

Serin:- hihihihi.. chhod kar bhag gayi tujhe wo…

Nischal:- Koi thik nahi hai.. wo pagal kahin se bhi bhag sakti hai..

Serin:- hahahaha.. Nischal ye baat to main usse jaroor bataungi… baharhaal wo aur baki sab log niche gaye hain gufa mein... Mujhe yahan chhod diya tujhse baat karne.. acha ab baten bhi bahut ho gayi... I am damn excited.. chal na jaldi se mera gift dikha..

Niachal:- Kuch bhi naya nahi mila hai..

Serin:- Huhhh ! Maine viman me dekh liya hai.. pura ka pura opreting system change hua hai.. security pahle se jyada behatar stithi me hai.. Nischal..

Nischal, Serin ki jigyasa ko dekhte huye kahne laga… "Ek sahrt par tujhe sab dikhaunga aur pura programme download karke dunga, jabtak wada na karti ki kewal 6 ghante kaam karegi..

Serin:- Haan thik hai jabtak tum logon ke sath hun kosis karungi 6 ghante kaam karne ki. Waise Chirag aur Aarsi ke sath to main Jaal mahal me 1 ghanta bhi kaam nahi kar payi thi..

Nischal, Serin ki baat sun'kar hasne laga... Fir usse apne sath le jakar internet se mili sari jankari ko uske dimag me download karne ke baad, Mumbai se kharidi hui sare computer hardware aur kayi tarah ke electronic saman ka pura jakhira uske hawale karte huye kahne laga…

"Ye sab tumhare liye hai.. bana le jaisa operating system banana ho. Control room me 2 patthar bhi rakhe hain.. ek jo tum ne mujhe diya tha aur dusra jo maine Mahamahim ke reflector se nikala hai"..

Serin uchhal'kar Nischal ke gale lagti… "Dil khush kar diya… Aaj ke din mujhe mat rokna… main chali apne saman ko dekhne"..
nice up

nice update ...sabaiya dusro ke saath maje karta hai aur uski biwi ruki ke saath ?...ruki aur suko ne kya bhara hai sabaiya ke dimaag me ?..lagta hi hai sabaiya se jyada ruki ke paas dimaag hai ..kya wo sabaiya ko control kar raha hai ?...

hero ne earth ki technology serin ko di aur saaman bhi ,,dekhte hai kya banati hai wo ...
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
yaar yeh baby ( urf goli - xp wali ishq risk pe yehi naam tha uska) toh hath dhoke nischal piche lag gayi hai... par nischal thahra loyalty rakhne wala Viggo jiska dil sirf jivu ke liye hi dharakta hai...
kya baat hai meri soch ko galat sabit karte huye yeh dono bhi nischal ke hi saathi hi nikle... yaar ju na nainu ji pehle nahi bata sakte the kya... bechare yeh dono masoom bhi roast ho gaye bina wajah.. lagta hain in sabke piche us imli ki hi sazish hai koi :sigh:
I think jivu jaan gayi hai ki nischal aa chuka hai isliye aise attahas kar rahi hai... waise jivu sach mein kuch zyada hi powerful hai... Agar woh chahe toh chutkiyo mein eent se eent baja de us zoren grah ki..
Khair let's see kaise nischal aur baby jivu ko us gande naali kida mahamahim je chungul se chhurate hai...
Brilliant update with awesome writing skill nainu ji :applause: :applause:

Iska to main nahi kuch kah sakta .. Jatin aur Baby dono sath the last time bhi ... Dono Nischal ke loyal ... Last time bhi to Nischal ko khufiya raste se mahal me ghusate hain ye dono.. sath me uss wale me Jivisha kaid na rahti hai balki Rijo ko shaq hota hai Jatin par aur uske ghar se Jivisha mil jati hai...

Yesss Jivisha janti hai ki Nischal aa chuka hai.. ab to bus Mahamahim ko uske anjaam tak pahunchana hai :yo:
 
nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
Finally jivu ko chhuda hi liya us kamine ki chungul se aur woh kamina mahamahim kuch na kar paya :vhappy:
ulta nischal ne hi uski pungi baja diya...

ha ha ha ha ha ha ha :lol: :lol1: :roflol: :lotpot:
Ab toh nischal ne bhi maan liya ki yeh sach mein ek gande naali ka hi kida hai :roflol:
...............
So baby ne bahot madad ki.... waise yudh ki bigul toh baj chuke hai phir bhi nischal ne waqt de diya hai us mahamahim ko taiyar ho ke liye..
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill nainu ji :applause: :applause:

Last time yudh jaldi nipta diya tha .. iss baar action ka extended version milega .. ab pasand aaye ya na aaye wo to review se hi pata chalega ... Filhaal main iss kahani ko aaj final kar dun
 
nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
jivu thik toh ho gayi... lekin ek bada khulasha bhi hua hai ki nischal hi hai in sabhi kand ke piche.... matlab yeh zoren ke aliens jivu ko agva karne se leke nischal ka woh adh mara hone tak se leke zoren grah tak aake us mahamahim ka reflector device chin lena, yeh sab nischal ke planning ka hissa tha...
aur serin bhi mili huyi hai uske sath is planning mein.... lekin kya hasil hua... ulta uske chaahne wale is kadar taklifen jhele ki soch se bhi pare hai... :sigh:
ya phir yeh soch liya ki is khel ko hi ant kiya jaaye joh sabiya aur mahatharki mahim khel raha hai power hasil karne ki chakkar mein... taaki in future inke wajah aur taklif na uthani pare aur ek achhi life ek sukun bhari jindagi jee sake baaki log...
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill nainu ji :yourock: :yourock:

Pahla part sahi hai... Puri planning pahle se tay thi Zoren aane ki... Jise Serin aur Nischal ne plan kiya tha .. lekin iss plan ke hisab se ksis ko taklif nahi honi thi aur na hi koi suffer karta.. reason ..

Jatin Jivisha ko uthata... Chirag aur Aarsi Serin ke pass hote aur Jivisha Mahamahim ke pass .. ussi din Nischal uske pichhe uddan bharta jahan ... Ruki aur Suki ke Mahamahim ke kuch log control room tak pahunchte.. yahan par Nischal ko marna nahi tha balki ruki aur Suko ko saaf kar dena tha... Unhe saaf karne ke baad yahan himalya se sandesh jata Nischal dead ..

Mahamahim aur Sabaiyya ka complete focus Jivisha par hota... Jani Jivisha kewal ek din suffer karti uss Bhishan jagah ka jahan Malkia ki shakti ho niskriya kiya jata hai... .

Iss plan me koi suffer nahi karta yadi Nischal ne Serin se jhut na kaha hota ki usne HuYu se uska bheje chij ko hasil na kar liya hai...

Aap ka second part bhi sahi hai... Soch 2 tarah ki thi Zoren jane ke pichhe.. 1) Jivisha ki shakti ki jo mul roop thi usne hint kat diya tha .. Jivisha ke bare me pura pata karna hai to unhe wahin jana hoga jahan se in sab ki surwaat hui thi.. bahut deep meaning tha iska ...

Khair agar pahla reason nahi bhi hota to bhi ye log Zoren aate hi.. kyonki Nischal ke dimag me ek hi baat thi.. kab tak bhagte rahenge.. kissa khatm karke shurwat ki jaye taki aane wale samay me koi samsya na rahe..
 
nain11ster

Prime
23,618
80,604
259
shayad woh zoren grah ke saanp logis le gaye indono ... baaki suspense hi rahe toh achha hai :listen:
Bas do logo ki kami rah gayi yaar
kash pichle kahani ki tarah yahan bhi sawelkar aur kasak.. yeh dono hote to baat hi kuch aur thi...
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill nainu ji :applause: :applause:

Pichli baar to Jatin ke ishq me kasak chali aayi thi lekin mujhe pata nahi iss baar kya hua.. Jatin ko maaf karne ki ikchha nahi hui .. jo usne sweksha ke sath kiya tha Jim Corbett National park me ... Isliye uska patta cut..

Aur sawaker pichhli bar ACP nahi bana tha aur na he in dono ka koi khas role tha.. isliye inko drop karke Chirag aur Aarsi ko le aaya .. jo ki ek valid reason ke sath pahunche..

Uske alawa .. Nandu ke action events zero the isliye uske events ko aur strong kar diya aur kahani ko 3 lead ke sath project kiya..

Hope Kasak aur bade bhaiya ka na hona jyada malal nahi dega
 
Top