• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Faraar (COMPLETED)

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,339
259

Update 4
Inspector Khan Farheen ko dekhte huwe kuch soch raha tha….. phir apna mobile phone se sub inspector Rathod ko call kiya aur jo baat cheet huwi sunayi di gayi Faarheen ko jo apne bhai ko hi dekh rahi thi kissi sawaal ke intezaar mein kyun ke woh baat karte waqt bhi Farheen ke chehre par hi dekhte huwe baat kar raha tha,

“Han iss waqt Police station mein ho? Hmmm…. kia tumne media walon ko uss jagah ka pata bataya? Nahin to phir weh log keise ponhche wahan? Achah achah helicopter squad walon ka kaam hai, to helicopter se media wale ab safar kar rahe hein khabron ke liye wah kia baat hai…. Achah main tum ko koyi aadhe ghante mein phone karta hoon ek zaroori baat ka pata chala hai abhi…..”

Yeh kehkar Khan apni behen ke kareeb gaya aur poocha, “Farheen mera memory zara refresh karo yeh bata kar ke yeh Vicky tumhare kiss dost ke kareebi friend hai?”

To Farheen ne araam se apne bade bhai se kaha, “Are bhai aap bhi police hokar choti choti batein bhool jate ho, Reshmi ki friend hai yeh dekho Reshmi, Vicky aur Sanjana ke photo ek saath, main ne Reshmi ki mobile se yeh liya hai.”

Khan Farheen ki mobile lekar uss tasveer ko dekhta hai tab tak usski biwi bhi mobile par jhankte huwe kehti hai, “Aap ko yaad hai koyi ek mahine pehle Farheen ne kaha tha ke ek function mein Vicky aur Sanjana aaye the aur yeh kitni khush ho rahi thi uss din?”

Khan khayaalon mein kuch khoye huwe sar hillaya aur Farheen ko mobile lawtate huwe kaha, “iss photo ko mere mobile par send karo zara” Farheen ne mobile lete huwe kaha, apna bluetooth on kijiye bhai…..”

Phir Khan jaldi se utha aur Farheen ka haath pakar kar apne taraf khinchte huwe yeh kehte chalne laga, “Abhi chalo issi waqt uss Reshmi ke yahan mujhe uss se zaroori sawaal karni hai, chalo chalo jaldi…..” Aur Farheen jaane lagi yeh kehte huwe, “Main ussko phone karke bata doon ke hum usske yahah aa rahe hein…” Magar Khan ne mana kiya aur drive karne laga.

Reshmi ke ghar, lounge mein sab baithe the aur sab bilkool khamosh ho gaye Reshmi ke bayaan ke baad. Reshmi apne enkhon se bahe ensoowon ko reh reh kar ponch rahi thi. Reshmi ki papa ne bhi kaha,

“Main bilkool kabhi bhi yakeen nahin kar sakta jo ilzaam lagaya gaya hai Vikram Joshi par. Donon bhai behen hamare Reshmi bitiya ke kitne ache dost the aur hamare yahan aksar aya karti thi Sanjana beti. Kuch baat hoti to humko zaroor pata chalta. Sab afwaein hein aur sarasar jhoota ilzaamaat lagaaye gaye hein, yeh aap ka kaam hai Khan sahab ke jhoot ko saamne laayein kia kar rahe hein aap ke police force bhala? Ek masoom insaan ko faraar hone par majboor kiya aur ab shayad faraar hone ke jurm mein uss par aur bhi sakhti kiya jaega yeh bhi koyi baat huwi!”

Khan ne jaane ki ijazat lete huwe Farheen ko hath se pakre ghar se nikalne ke koshish mein tha yeh jawaab dete huwe Reshmi ke papa ko,

“Mujhe bhi pata hai ke woh bekasoor hai sahab, magar faisla sunana to judge ka kaam hai, aur abhi to provisional charge hai uss par issi liye bina hatkadi ke court le jaya gaya tha aur abhi tak case bana hi nahin tha aur woh faraar ho gaya. Police ne abhi tak puri chaan bin tak nahin kiya hai, forensic lab se sabhi reports abhi tak nahin aaye hein aur doctor ka report bhi ana baaki hai. Kaun sab manipulate kar raha hai yeh koyi nahin samajh paa raha hai…… Jo bayaaan Vicky ne diya tha humko to sahi laga magar uss mein kuch kami hai, kuch baaatein hein jo uss ne hum ko bataya hi nahin magar kyun yeh hum nahin samajh paaye, issi liye uss par bhi shakk kiya jaa raha hai……”

Tab tak apne car ke paas pohonch gaye the Khan aur Farheen phir Khan ne Reshmi se kaha, “Tum kuch der baad police station aa sakti ho please tumhara bayaan lena hai please.” Rehsmi ne kaha ke ajaegi ek ghante ke baaad.

Ghar lautte waqt Khan ne Rathod ko phone kaarke bataya ke Reshmi ayegi wahan aur uss se koyi bhi bayaan nahin lenge jab tak Khan khud wahan nahin ajate aur Rathod se Reshmi ko wait karne ke liye kaaha.

Rathod ne phone rakhte huwe apne sar ko khujaaya aur ek phone lagaya kissi ko aur ek kone mein jaakar baaat karne laga dhire dhire.

Jangal ke weh jungly log Vicky ka khayaal rakh rahe the, aur Vicky uthkar uss jhompre ke baahar chal phir raha tha uss ke chaaron taraf weh log ghum rahe the ussko upar se niche tak dekhte huwe. Vicky pareshaan aur dukhi dikh raha tha aur ek oonchaayi par baithe woh sardaaarni Vicky ka maansik stithi ko samajhne ki koshish kar rahi thi. Kandhe ka ghav bhar raha tha aur dard kum tha bukhaar bhi utar gaya tha aur Vicky jana chahta tha aur upar sardaarni ko dekhte huwe kaha, “Mujhe wapas jana hai. Mujhe bahot zaroori kaam hai.” Haathon ke ishaare se Vicky samjhate huwe sardaarni se batein kar raha tha aur baaki ke log Vicky ko dekh kar hanss rahe the. Kuch jawaan ladkiyan aur ladke Vicky ke chaaron taraf phir rahe the aur ussko ghurr rahe the. Vicky bahot handsome tha aur ladkiyan ussko pyar bhare nazron se dekh rahe the.

Sardaarni Vicky ka ishara aur batein samajh gayi aur niche utar kar Vicky ko ek ghode par baithne ko kaha aur khud apne ghode par sanwaar huwi aur Vicky ko usse follow karne ka ishara kiya. Kuch door tak weh ladke aur ladkiyan usske ghode ke piche piche dawte aaye aur haath se wave bhi kiya. Magar aur door nikalne ke baad ek mod par Vicky ne chaar pehelwaan mardon ko dekha jo sardaarni ke aaguey jhuke usske guzarne par. Weh pehelwaan zabardast hathyaaron se leys the aur jeise uss teritoty ke security guards ho. Phir kuch aur doorie par aur bhi weise hi pehelwaan bade bade aadmi dikhaayi diye Vicky ko sab hathyaaron se leys the… jungle ke hathyaar, koyi bandook ya goli nahin…

Takriban ek ghante ke ghod dawd ke baad sardaarni ruke aur Vicky ko rukne ka ishara kiya aur ek ajeeb cheekh lagaayi ek jagah pohonchkar. Tab koyi 10 ghod sawaar aaye sardaarni ke paas aur jhuk kaar ussko salaam kiye sab ne. Sardaarni ne unn mein ek ko ishara karte huwe Vicky ke paas aane ko kaha. To woh aadmi apne ghode ko Vicky ke ghode ke paas laakar khada huwa aur Vicky se kaha, “Kaun ho tum aur kahan jaana hai tumhein?”

Vicky uss aadmi ko heyraani se dekhte huwe kaha, “Shukar hai ke koyi to mere jeise bolta hai, main to samajh nahin paa raha tha ke keise sab ko apne baat samjhaun! Mujhe yakeen nahin ho raha ke hamare desh mein eise log bhi rehte hein jangal ke itni gehraayi mein….” Uss aadmi ne kadak awaaz mein phir bola, “Jo tum se poocha gaya usska jawaab do nahin to jaan se maar diye jaoge.”

To Vicky ne kaha, “Main police se bhaga huwa ek mujrim hoon, mujhpar jhoota aarop lagaya gaya hai. Main bahot ameer hoon aur tum logon ko bahot paisa de sakta hoon, tum logon ki madad kar sakta hoon zaroorat ke samaan dilwa sakta hoon. Magar mujhe bahot hi zaroori kaam karna hai please mujhe jane diya jae main wapas aakaar tum logon ko bahot inaam dunga.”

Tab uss aadmi ne sardaarni ko apne zubaan mein baat bataayi jo Vicky ne kaha. Sardaarni muskaayi aur pata nahin kia kaha aur wapas jane lagi. To baaki ke jo log the weh sab Vicky ko escort karne lage jiss taraf se wahan se nikalne ka raasta tha. Aur uss aadmi ne Vicky se kaha, “hum tumko uss jagah tak saath denge jahan se train guzarti hai jangalon ke beech. Wahan se tum akele wapas jaoge ya to train par kud kar ya jeise bhi jaa sako. Wapas to koyi yahan nahin ataa par agar tum ana chaho to aa sakte ho, magar agar police ya kissi aur ke saath aaye to jangal ke andar daakhil hone se pehle hi maar diye jaoge.”

Vicky ne uss aadmi se kaha, “Aap logon ne meri madad ki to main kyun aaap logon ke bare mein kissi ko bataaunga bhala? Weise kia aap log hamesha se yahan rehte hein? Aur sab log kyun hamari zubaan naahin bolte?” To aadmi ne jawaab diya, “Main aur bahot saare log yahan par bhaage huwe quaidi hein. Aur baaki ke log sab yahin ke baashinde hein. Ab jo yahan iss jangal mein paida hoga aur pala posa jaega to woh kia banega? Jungly hi nah? Jiss ne yahan janam liyaa aur kabhi baahar ki dunya nahin dekhi woh keise koyi aur zubaan bolega? Bahot saare log tumhare tarah police se bhaagte huwe yahan aajaate hein aur iss toli mein usska swagat kiya jata hai, phir kitne isssi group mein hokar reh jaate hein. Tum apna vadaa maat bhoolna aagar sach mein ameer ho to. Hum sabko eise madad ka intezaar rehta hai. Sardaarni ne tumko jaane ki chuth issi liye diya ke ussko tum par bharosa aya, ussko laga ke tum nek aur sahi insaan ho varna woh kissi par bharossa nahin karti, jaan se maar daalti hai! Hum sab tumhare saath hai kyun ke sardaarni ka hukm hai. Hum ko kal hi sab khabaar mil gayi thi tumhare ane ke bare mein aur hum sab chawkanda the kal se aur iss intezaar mein the ke kahin tumhare peeche koyi aur na aya ho…. Ab hum ko yakeen hai ke tum kissi haadse se yahan ponhche ho.”

Tab tak rail ki patri nazar aya aur uss aadmi ne Vicky ko ek ajeeb si sookhe bamboo se bani chota sa bansuri jeisi cheez diya aur kaha, “jab bhi kabhi wapas aao to issko zor se bajana eise” …… ussne ussko bajakar Vicky ko bataya aur wapas bajane ko kaha. Uss se ek bahot gehri, aur bahot door tak sunaayi dene wali awaaz aayi jo jangal ke dusre kone tak sunaayi diya hoga… laga ke kissi bade pakshi ki awaaz aa rahi ho…… tab Vicky ne kaha, “dekho main eise bhi seeti baja kar tum logon ko apne aane ki khabar de sakta hoon….” Aur Vicky ne apne ungliyon ko zubaan ke niche karke zor se seeti bajaayi aur weh log hanss pade….

Vicky ne uss chote se bansuri jeisi cheez ko jeb ke andar rakh liya aur unn logon ne usska ghoda apne paas le liya… aur Vicky ate huwe train ke taraf jaane laaga….

Weh log wapas chale gaye jab dekha ke Vicky ne keise bhi karke train par chadh gaya……

12 ghanton ke baad.

Vicky kissi anjan sheher ke ek telephone booth se phone par baat kar raha tha:

-“Maathur sahaab, kia aap ke paaas police aya tha?”

- “Kaun?”

- “Aap dhire se baat kijiye nah, kia police aya tha wahan?”

-“Vicky beta tumhi ho nah? Kaahan ho beta?”

-“Ofo Mathur saab mera naam mat phukaaro mere paas waqt nahin hai, jawaab dijiye kia police aya tha wahan?”


- “Nahin beta, police aya to nahin tha, han Inspector Khan ka phone aya tha aur shayad aaj ya kal woh zaroor ayega idhar.”



- “Mathur saab mere baat ghaur se suniye please aur koyi bhi ghalati mat karna. Jo bhi kahun exactly wohi karna.”


- “Thik hai bolo beta”



- “Kia wahan ka phone calls tap ho rahe hein?”


- “Nahin beta ab tak to nahin magar Khan ke ane ke baad ho bhi sakta hai”



- “Uncle 2 unregistered simcard latest mobile ke saath chahiye mujhe aur 5 lakh rupaye jitni jaldi ho sake.”


- “Ho jaega beta.”


- “Aap mujhko iss address par milna, bahot sawdhaani ke saath nikalna, kahin police ke log aap par nazar na rakh rahe hon to musibat ho jaega aur mera plan fail ho jaega.”



- “Suno beta, main to bilkool honshiyaari se kaam karunga, magar ek baat hai. Jab main uss jaagah par ponchoon jahan tum bula rahe ho, to main car se nikalte waqt apne chasme ko nikaal kar rumaal se pochunga. Tab samajh lena ke koyi problem hai aur tum mujhse mil nahin sakte ho. Aur agar koyi problem nahin hoga to main chasma nahin nikaalunga bilkool. Samajh gaye beta?”



- “Wah Mathur Uncle aaap to bade honshiyaar ho, thik hai main samajh gaya.”


- “Main army mein tha beta kuch to tricks ka pata hai mujhe bhi.”



- “Okay Uncle, main wait karunga thik 3 baje aap pohonchne ki koshish karna please.”


- “Okay thik hai, agar kuch minutes late ya pehle aya to bhi thik samajhna, sab se ehem baat chasme ka nikaalna aur rumaal se ponchna hoga yaad rahe tab sab safe hai.”



- “Okay uncle, thanks, I will impatiently wait for you here.”


- “Magar sunon tum bilkool chhup kar rehna, tumhara haal media walon ne TV aur press mein bahot uchale huwe hein sab ko tumhare tasveer ka pata hai, chehra chupa kar rakhna, 100 kms ki doorie par ho phir bhi wahan ke log bhi to TV dekhte honge nah?”



- “Aap fikar mat karo rakhta hoon see you soon uncle ji bye.”


To be continued…………………….
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,339
259
Update 5

Inspector Rathod kuch pareshaan lag raha tha aur yahan se wahan chal phir raha tha police station mein kabhi issko to kabhi kissi ko phone karte huwe aur baar baar baahar dekh raha tha…. beshak Reshmi ka intezaar karte huwe. Aur ek baar khud badbdaya,“Oh no! Kahin yeh ladki Khan ke mawjoodgi mein na aa tapak pade! Oh God ussko Khan ke ane se pehle bhej dena please….” Rathod kabhi police station ke andar to kabhi baahar angne mein ate jaate dikhaayi de raha tha raaste par dekhte huwe aur saaf dikhaayi de raha tha ke woh kissi ka intezaar kar raha hai…..

Koyi aadhe ghante ke baad Khan ki gaadi ate huwe dikhaayi diye Rathod ko, aur usska chehra pasina pasina ho gaya usska dil zoron se dhadak raha tha magar thik ussi waqt ek dusra car ruka jiss mein se Reshmi nikli aur apne saamne Inspector Rathod ko dekh kar muskurate huwe boli, “Are Rathod saab aap bhi issi station mein ho tab to Khan sahab ka kaam asaan ho jaega……” Rathod ne mudhkar pehle Khan ko dekha jo apni gaadi ko parking slot par park kar raha tha, phir Reshmi ko ghabraaye huwe dekh kar Rathod ne apne ungli ko honthon se dabate huwe, “shhhh” kaha Reshmi ko aur jaldi se ussko ek taraf lejaate huwe phuss phuss uss se kuch kaha kaafi der talk. Reshmi bahot heyraan nazron se Rathod ko sun rahi thi, aur usske sabhi baton ko sunne ke baad muskuraayi aur kaha, “Achah main samajh gayi, aap fikar mat karo main eisa behave karungi ke aap ko pehli baar mil rahi hoon aap andar jaayiye….”

Inspector Khan apne car park karne ke baad ek dusre darwaze se police station mein daakhil huwa tab tak saamne se Rathod bhi andar gaya. Aur uss ke baad Reshmi ne Khan ke office ka darwaza khatkhatate andar daakhil hone ki ijazat mangi. Turant Khan khada ho gaya apne seat se aur darwaze ke taraf badhte huwe Reshmi ka istekbal kiya.

Reshmi baith gayi to Khan ne Rathod ko bulwaya aur introduce kiya ek dusre se donon ko. Rathod aur Reshmi eise mile jeise ek dusre ko nahin pehchaante ho. Aur Khan ne Rathod se kaha Reshmi ka bayaan record kiya jaye aur kissi ko andar nahin ane diya jaye kissi bhi haal mein.

Reshmi, Sanjana ki gehri dost thi jo ek hi college ki students the. Aur Sanjana Joshi, Vikram Joshi ki behen thi. Iss liye ke Sanjana aur Reshmi bahot kareebi dost the, to zaahir hai ke Reshmi ko uss ke bare mein bahot kuch pata hai; aur apni Behen ko jab kabhi Vikram Reshmi ke yahan lene ko jata tha to woh bhi Reshmi ke parivaaar se ghul mil gaya tha. Aksar college ke baad Sanjana Reshmi ke ghar chali jaati thi aur donon milkar college ke kaam kiya karte the aur kayi baar to Sanjana Reshmi ke ghar hi so jaati thi aur subha subha apne bhai ko phone karke ussko wapas ghar lejane ke liye bulati thi. Vicky ko iss baat se inkaar nahin tha ke ussski behen Reshmi ke yahan rahe kyun ke woh khud ghar bahot late wapas aya karta thaa jinn dinon kaam ziada hote the. Magar jab Vicky free hote the tab Sanjanaa ek pal bhi Vicky se door nahin rehti thi……

Reshmi koyi der ghante tak Inspector Khan aur Rathod ke saamne apna bayaan record karwaayi. Khan Reshmi ko ghurr raha tha uss ke baat cheet ke dawraan aur kuch na kuch apne taraf se conclude karne ki koshish mein laga huwa tha. Reh reh kar beech mein Khan ne kuch sawaal bhi kiye Reshni se jisska jawaab bhi record kiya gaya. Khan ke poochne par ke kia woh Vicky ki girlfriend thi to Reshmi ne hansste huwe jawaab diya ke nahin Vicky ussko bhi behen manta hai.

Reshmi ko jane diya gaya aur Khan ne Rathod se poocha, “Kia tumhare khayaal se ussne sab sach kaha?” To Rathod ne kaha, “Mujhe to sab 100% sach laga raha hai. Kitni seedhi saadhi ladki hai yaar, sab saaf saaf bata gayi jo maloom tha ussko.” Khan ne sar hillate huwe recorded tape ko apne saath liya aur ghar wapas chala gaya. Ghar jaakar woh Reshmi ki awaaz ko baar baar phir se sun raha tha, jeise who kuch jaanne ki koshish kar raha tha ya kuch talaash kar raha tha Reshmi ke bayaanaat mein.



Jiss jagah par Vicky Mathur saaab ka intezaar kar raha tha, wahan se sirf woh car ko ate huwe dekh sakta tha. Mathur saab ko kuch pata nahin tha ke Vicky kidhar hai. Vicky kuch nervous tha aur chehre ko ek rumaal se chupaaye jeise usske dant mein dard ho chal phir raha tha idhar se udhar… ussko intezaar karna hamesha se napassand tha, magar abhi usski majboori thi wait karna. Bahot intezaar ke bad ussko Mathur saab ki Mercedes nazar aayi, aur Vicky ka dil zoron se dhak dhak karne laga aur ek kone mein chhup kar car ke driver wale darwaze par focus karna shuru kiya….. Vicky prathna kar raha tha ke Mathur saab apne chasme ko rumaal se nahin ponche…… tez dil ki dhadkanon ke saath Vicky car ke darwaze par nazrein jamaaye rakha aur usski dil ki dhadkanein aur tez huwi jab car ka darwaza khula aur ek peyr baahar zameen par parte dekha aur dhire dhire Mathur saab bahaar nikle aur charon taraf dekhne lage….. Vicky kuch der aur Mathur saab par nazrein gaadhe rakhe iss intezaar mein ke woh chasma na utaare….. aur koyi 5 minutes ke wait ke baad Vicky dhire dhire car ke taraf chalne laga…… Badh to raha tha Mathur saab ke taraf phir bhi usske dil mein ek darr sa tha ke kahin kuch lafda na ho jaaye….. Magar jeise hi Maathur sahab ne ussko dekha to apne baahon ko pheyla diya Vicky ko bahon mein lene ke liye aur Vicky ne apne kadmon ki raftaar ko tez karte huwe Maathur saab ke bahon mein gaya aur ek dusre ke gale mile donon…eisa lag raha tha ke ek baap apne bête ko seene se laga raha tha…. Maathur saab koyi saath (60) ke umar ka tha aur Vicky usske seene lagte hi ro pada…….

Maathur saab Vicky ka peeth thapthapaate huwe bola, “Ro mat, mat ro ab tumko bahot himmat se kaam lena hai…tumne faraar ho kar jo faisla kiya hai aur jiss maqsad se faraar huwa uss maqsad ko pura kar… main tere saath hoon aur rahunga…main to kia pura staff tere saath hai…….”

Donon car ke andar baithe aur Mathur saab ne Mercedes ko ek parking mein legaya aur donon ne kuch der tak baatein kiye. Jo do mobile phones unregistered sim ke saath Vicky ne magwaya tha, uss mein se ek uss ne apne paas rakha aur ek Mathur saab ko apne saath rakhne ko kaha taake woh uss se communicate kar sake zaroorat padne par. Ussne kaha ke Ofiice ke phones tap hone lageinge iss liye uss mobile par hi batein kar sakte hein…… Mathur saab ne ek bag diya jiss mein 5 lakh rupay the aur poocha ke kahan thehrega raat ko? To Vicky ne kaha, “Ek bada 250 cc ka motorcycle hire karega aur wapas jungle mein jaega kuch dinon ke liye aur wahin plan banaega apne kaam ko pura karne ke liye.”

Maathur sahab Vicky ka manager tha. Vicky ke papa ka bahot bada aur pheyla huwa business tha International level ki. Vicky uss company ka CEO/Owner tha kyun ke usske papa aur mummy ki mawt ek plane crash mein ho gaya tha jab ek business tours se weh wapas arahe the. Tab Vicky sirf 18 saal ka tha. Mathur saab usske papa ka bahot wafadaar manager the, aur Rajeev Joshi ke mawt ke baad Mathur saab ne hi Vicky ko business ke bare mein sab kuch samjhaya aur pura business man banaya usske papa ki tarah.

Pichle 7 saalon mein Vicky itna popular aur successful raha ke sheher ke har ladki usske diwani ban gayi kyun ke woh kunwara tha aur kaarorpati bhi to kayi ladkiyan ussko trap karne ke koshish mein lage huwe the. Jab kabhi bhi parties, discos ya night life ke liye Vicky baahar jata to bahot sare ladkiyan ussko ghere rehte the hamesha. Media wale bhi hamesha usska picha karte rehte jab kabhi bhi Vicky public mein nazar ata tha. Ek hero ki tarah mashoor tha woh apne sheher mein. Magar Vicky ki koyi buri aadat nahin thi cigarette aur drinks ke ilawa. Ladkiyon mein dilchaspi nahin tha ussko, han kabhi kabhaar Casino jaya karta tha raaton ko. Magar sirf kabhi kabhaar. Aur Sanjana Joshi Vicky ki choti behen thi, wohi jo Reshmi ki dost thi…….

To be continued……………….
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,339
259
Very very nice....

Vicky lagta h bahut badi musibat m h aur shayad kuch log Vicky ko fasane m b lage hue h .. Acp jo totally corrupt h wo to aise react kia jaise usko mauka mile to Vicky ka encounter karde .. uska gussa hona thek tha but itna .. battameez to h pura..

Kher , inspector Khan to bht ache insan h aur imaandar police officer b. Wo aur unki team aur shyaad harkoi Vicky ko beqasoor samjhta h but kanoon ki nazaro m abhi iska faisla hona Baki h aur jab tk Court uska faisla ni sun deta tbrk to mujrim hi Mana jaega aur inspector Khan ko apni duty b karni padegi .....


Well, Vicky jinda to h aur kisi kabile m.. yahna wo safe b rahega but jis hisab s uski chot lagi h to time lagega thek hone m..

Let's see kya hota h aage..
thanks very much bro. love your review. two more updates posted.
 

Rahul

Kingkong
60,556
70,670
354
Huum vikram bahut hi achcha ladka tha par musibat me kaise fans gaya ye waise koi na bade logon ke dusman hazaar :D
 
  • Like
Reactions: Casinar

Rahul

Kingkong
60,556
70,670
354
waiting next update
 
  • Like
Reactions: Casinar
Top