sorbobhuk
Well-Known Member
- 2,431
- 5,816
- 158
Bahut badhiya update hai Bhai......UPDATE-15Ruthven- mike tu ladka to kaam ka hai lekin hai bakchod. Kahi teri esi bakchodi ke chakkar me tu mara na jaye mujhe bas esi chhij ka dar hai
Mike- bhai kya hua? Maine kya kar diya?
Ruthven- india ka passport kaha hai esme? Uske liye alag se bolna padega tujhe?
Mike- mujhe laga india to nahi hi jaoge aap esliye nahi banaya
Ruthven- meri baat ko confirm kar raha hai tu
Mike- gussa mat karo bhai. Thoda waqt do bana deta hu
Ruthven- vaise main koe khooni nahi hu mike. Jo log kal maare gaye vo sirf esliye maare gaye ki unhone hathiyaar uthaye the mere upar
Mike- bhai vo sab bhade ke tattu the. Mat socho unke bare me
Ruthven- tujhe ye to nahi lag raha ki main tujhe explanation dene ki kosis kar raha hu?
Mike- hai?? Nahi bhai. Bilkul bhi nahi
Ruthven- good. Kyuki main tujhe esliye bata raha hu ki agar future me koe aa jaye aur teri gand fatne ki noubat ho to ek baar soch lena ki kiske khilaaf kaam kar raha hai tu
Mike- us time main apni gand bachaunga fir aapko inform karke dobara apni gand bacha lunga
Ruthven- samjhdar to hai tu
Mike- vaise main contact kaise karunga aapse?
Ruthven- bas dil me soch lena mere bare me. Mujhe pata chal jayega
Mike- aise thodi na hota hai bhai. Ye to filmy baatein hai
Ruthven- try karke dekhna ek baar.
Mike- jaisi aapki marji
Mike- vaise us ladki ke bare me thoda bahut janta hu main
Ruthven- kya?
Mike- khatarnaak hai. Kuch ulte experiments ke chalte kafi baar news me naam aa chuka hai usko. Kahte hai human weapon banana chahti hai vo
Ruthven- usko kya jarurat hai? Apni aankhon se hi maar de vo insaano ko
Mike- haha bilkul bhai lekin aap jaise nahi faste na unke jaal me
Ruthven- aur kya janta hai?
Mike- ek professor ke sath kuch gullu gullu ka scene hai uska
Ruthven- naam?
Mike- akshat rathore
Ruthven- indian hai?
Mike- ha bhai
Ruthven- mujhe nahi lagta mere kisi kaam ka hoga. Vo vaise bhi use hi kar rahi hogi usko. Kuch pata to loda nahi hoga usko
Mike- main to bas khabar bata raha tha
Ruthven- aur bata fir
Mike- teen fake passport bana kar diye the maine usko. Alag alag naam ke
Ruthven- agar tujhe shasha ke fake passport ke bare me yaad hai to tujhe baki ke bhi yaad honge? Hai na?
Mike- bhai vo sundari thi esliye yaad rakhne ka man kiya. Uske alava to agency se kuch letter aate the main kaam karke vapas de deta tha
Ruthven- letter honge nahi tere pass?
Mike- jo leke aata tha vohi vapas bhi leke chala jata tha
Ruthven- usko bhi nahi janta hoga tu?
Mike- mask pahan ke rakhta tha
Ruthven- maine suru me kaha tha na tu chutiya hai?
Mike- bakchod kaha tha bhai
Ruthven- matlab to ek hi hai na? Dekh main tujhe kuch nahi bol raha tha fir tune khud ungli kari aur mujhe gussa dila diya. Ab agar mujhe jaldi se kuch information nahi mili to main sara gussa tujh par nikal dunga
Mike- main to bas help karne ki kosis kar raha tha
Ruthven- aur usi me chud gaya. Ab jaldi se hath aur dimag chala aur kuch soch mike kuch soch
Mike- jee bhai
Mike apne kaam par lag jata hai aur ruthven apni aankh band karke let jata tha
Rachel ka muskurata hua chehra uski aankhon me fir se ghumne lagta hai aur ek baar fir uske chehre par badi pyaari muskaan aa jati hai.
Mike- bhai hogya
Mike ki aawaz ne uske ek haseen sapne ko tood diya. Gussa to bahut aaya lekin chehre par dikhne nahi diya ruthven ne
Jitne passport banvaye the un sab ko ruthven dekhne laga aur apna naam bhi. Initials sab same rakhe the usne taki signature same ho sake
Ruthven- vo bag pada hai usme le ja jitne paise lene hai
Mike- paise nahi chahiye bhai. Kisi din jarurat padi to madad kar dena bas
Ruthven- karz nahi rakhta main
Mike- main bhu karz nahi chadha raha hu. Bhai bola hu bas eske liye. Baki aap ache se jante ho
Ruthven ne koe bahas baji nahi ki aur bag utha kar vaha se nikal gaya
Vaha se sidha shasha ke flat me pahuch gaya jo lock tha lekin lock todna uske liye konsa muskil kaam tha. Ander aa kar apna vo bag uthaya jo rachel ne use diya tha. Usme paise bhare aur vapas nikal gaya
Rachel ki ek hi to yaad thi uske pass jisko vo shasha ke ghar to bilkul nahi chhod ke jana chahta tha
Fir berlin chala gaya. Ab problem ye thi ki etna sara cash leke vo flight me to chad nahi sakta tha aur uska dimag me ek aur chhij chal rahi thi ki agar shasha ya mike ne use double cross kar diya to puri team uska intezaar kar rahi hogi jaha bhi vo utare
Esliye usne ek do din ka intezaar karna sahi samjha aur fir fake identity se ek room book kiya aur vahi chala gaya
Tv on karke news chala li aur desh dunia me kya kya ho raha hai uske bare me pata karne laga
Daniel use ek baar aur news me dikh gaya tha. Ab to uske bare me pata lagana hi padega. Ruthven ne apne aapko kaha aur fir kisi cafe me chala gaya
Rachel ne bataya tha use ki internet par sab pata chal jayega lekin vaha snow ki vajah se aur rural area ki vajah se internet connectivity bahut kharab thi lekin yaha vo pata kar sakta tha
Ek cafe me gaya aur kone ki seat pakad kar daniel o brown search kiya
Bahut sare result uski aankhon ke samne aa gaye aur vo ek ek karke sabko padhne laga. Yaad karne ki bhi kosis kar raha tha jo safal ho nahi pa rahi thi lekin information use kafi mil gaye thi
Vo jaan gaya tha ki ye opposition party ka leader hai aur ek time me eski sarkar bhi thi US me jisme ye defence minister tha. Defence sabad dekhte hi uske dimag me project ko leke thodi baatein samjh me aaye
Aisa ho sakta tha ki esne hi sab suru kiya ho?
Tabhi ek jagah najar padhi jisme saaf likha hua tha ki ek illegal project ke chalte sakar gir gaye thi jisme humans ke upar experiment kiye ja rahe the. Baad me koe saboot nahi mila esliye case band ho gaya
Ruthven ab sara majra samjh gaya tha ki ye sab daniel ki hi kari dhari hai aur sabse pehle esi ki gardan pakadni hogi
Use yaad tha ki kuch dino pehle daniel germany me hi tha usne rachel ke sath tv par dekha tha usko jo uske liye achi baat thi lekin fir pata chala ki ye to vapas ja chuka hai
“ sale sare dusman US me hi bathe hai” ek baar fir ruthven ne apne aapse kaha
Usne doctor ko baki sabko bhi search kiya lekin unke bare me jada information thi nahi vaha par to cafe se bahar aa gaya
Uske baad aise hi sadko par ghumne laga. Aise hi to use henry mila tha. Kya pata koe aur bhi mil jaye aur use kuch aur jankari hasil ho jaye
Lekin aisa luck baar baar kaha kaam aata hai. Vo kafi der tak ghumta raha fir dimag me rachel ka khayal aa gaya ek baar fir se
“Kya aisi ladkiya aaj bhi exits karti hai? Kitni kind, beautiful aur intelligent thi rachel”
Bina kuch jane pahchane usne ruthven ke liye jitna kiya utna to sayad aaj ke jamane me koe saga bhi nahi karta
Ek din vapas jaunga uske pass aur use vo sab dunga jiski vo hakdar hai. Muskaan kabhi hategi nahi uske chehre se etna pyaar karunga main us se
Apne aapse kaha ruthven ne aur vapas hotel chala gaya….
Waiting for next update