bro congrats for a new story.
Heyooo welcome back bhai
ap ki is baat ne story mein aur interest paida kar diya hai k ruth daksh se bhar k madness dikhaye ga. ap ki stories ka one of my fav character hai daksh main zrur dekhna chahun ga k ruth kese daksh ko surpass karta hai.
Daksh aur ruth me bahut difference hai bhai. Daksh ke liye sahi galat kuch nahi tha. Jo use karna hai vo use karna hai but ruth will protect truth. Aur uske chakkar me khoon etna bahega ki aap bhi bologe ab ruk jao bhai
ap ka writing style bhi kuch change lag rha hai ya phir kafi time k bad ap ki story read kr rha hun isi liye lag rha ho.
Aap hi arso baad aaye ho bhai
ek jagah pe mention hua hai k ruth doc ko 21 ki umar mein mila tha lekin ruth ko jo sapna aya hai us se lag rha hai k wo doc se bachpan mein mila tha
ye clear karo bro.
Ruth ki current age 21 hai. Jab vo scientist ko mila tha tab kafi chhota tha
aur ye rachel aur ruth itni jaldi close q ho rhe hain aur uper se apna sach bhi itna easily bta diya so diappointed kya dash ka mukabla kare ga re
chlo aram aram se seekh jaye ga 
Rachel was alone for a while aur ab jab usko koe mila hai to feelings to aayegi hi sath me vo ruth ke sath relate kar pa rahi hai. Rahi baat daksh ke sath compare karne ki daksh kamina tha ruth nahi hai. In brutality ruth will surpass daksh and that too in a big fucking way
pehli fight bhi ho gai lekin hero se kuch extraordinary feel nai hua bro cold-blooded feeling mangta apan jo daksh se ati hai balkey us se bhi bhar k chahiye qk daksh ek human being hai par ruth ek object hai jis pe experiments hue hain aur shyd is se bhi kuch powers mili hon gi isey to phir insane hona chahiye
Bhai first thi esliye light rakhi hai. Thoda bas thoda sa sabar karo cold blooded feeling se nahla dunga main aapko and koe super power nahi hai ruth ke pass.
main literally daksh aur ruth ko compare kar rha hun lols review kam aur comparison hi likh diya hai. anyways
Haha kara to yehi hai aapne but this shows how much you loved that character and it will be difficult for me to change your perspective but sath bane raho bahut kuch aane wala hai
keep writing and keep posting
waiting for the next update 
Thank you so much bhai. Last story to sayad puri hi skip kar di thi aapne. Hope es baar sath last tak bana rahe