- 36,292
- 48,558
- 304
Update 49
Epilogue
Epilogue
Din beet kar ab raat aa chuki thi, aniket aur komal parinay sutra me bandh gaye the aura b uske jivan ki ek nayi shuruwat hone wali thi… tekdi par aaj avinash akela hi party kar raha tha, uska sathi aaj waha nahi than a, wo shanti se beer ka eke k ghut le raha tha itne me piche se awaj aaya
Yash- kya avi seth ? akele akele party ?
Avinash ne piche palat kar dekha to yas uski taraf dekh kar muskura raha tha
Yash-kya bhai avi sirf aniket dost hai kyat era, hum nahi hai ?
Avinash- arey waisa nahi hai aao baitho
Yash- to fir aaj kya gum me rum
Avinash- ab kaheka gum bhai apne bhai ki shadi huyi hai aaj bas usi ki party kar raha hu
Yash-ha ye bhi sahi hai
Avinash- yash teko batau, ye sab yaade na aankho ke saamne kisi film ki taraf chal rahi hai, kya dhamal kiya hai hum logo ne par ab ani par jimmedari badh gayi hai, uski shadi ho gayi hai to0 aisa rukha rukha lag raha hai, ab wahi uski grihastio chalu ho jayegi fir kaka ka business ab use kaha samay milega na masti ke liye
Fir uske baad najane kitna hi samay avinash uske aur aniket ke kisse suna raha tha aur has raha tha, wo itna hasa ke uski aankho me pani aa gaya…
Fir yash bola
Yash-ek baat bata avi.. aniket ki jaymala hone tak to tu stage par tha fir baadme achanak kaha gayab ho gaya tha ?
Avinash- main kaha gayab hua tha bhai, arey ha yaad aaya wo baahar kuch kaam the to bas wahi dekh raha tha
Fir yash bhi beer ke halke halke ghut lete huye bola
Yash-ek baat bata pichli baar hum log tekdi par aaye the tab ani ko komal ke pyaar ka ehsaas dilane hi aaye the na barobar
Avinash- hao ye to pehle hi decided than a
Yash- hmm aur us raat propose kaarne ka bhi koi plan nahi tha barabar..
Avinash- hao na bhai, par aniket kuch sunne ko hi tayar nahi tha, bole abhi propose karega, mera to dimag hi kaam nahi kar raha tha.. sab kaise ekdum achanak hua tha
Yash hasa aur wo avinash ne dekha aur bola
Avinash- abhi has aa rahi hai par us time fat gayi thi bhai
Yash-nahi main uske liye nahi hasa..
Avinash- fir kyu hasa ?
Yash- avi tum jaanta hai na main umra me terese bada hu, tere se jyada duniya bhi dekhi hai, ek baar nahi do do baar pyaar bhi kiya hai..
Avinash- ha to..
Yash- aur pyaar ke mamle me bhi mera anibhav tere se jyada hai
Avinash- yash gol gol bate mat ghuma sidhe sidhe bol na kya kehna chahta ha tu
Yash ne ek pause liya aur usne avinash ka hath pakda aur uske shirt ki bahi per ki, avinash ke hath pe ek tattoo tha, yash bola
Yash- ye kya hai ?
Jispar avinash bola
Avinash-ye ye to mere naam ka hai A.K. avinash kanitkar
Yash- to tere is tattoo ke bare me ani ko malum hai ?
Avinash- nahi ?
Yash- kyu ?
Avinash- arey usme kya hai itna
Yash- bahut kuch hai, tum dono baal mitra ho na, tumko ek dusre ki har baat pata hai fir ye baat ani ko kaise nahi malum ?
Avinash- yas teko jyada ho gayi hai tu kuch bhi bol raha hai.
Yash- maine ye tattoo tab dekha tha jab hum aniket ko komal ke ghar ki diwar par chadha rahe the, acha ye sab chhod ye bata komal jab dulhan ban ke aayi tab maine teri aankho me pani dekha tha kyu ?
Avinash-arey wo pal hi aisa tha, main bhavuk ho gaya tha
Yash- fir ek baat bata, us raat aniket ka komal ko propose karne ka plan bana tab tune bataya tha ke komal ki room kaunsi hi, uske pitaji kitne baje ghar aate hai yaha tak ki komal jag rahi hogi ya soyi hogi ye bhi pata tha tujhe, itni infoi tere paas kaise ?
Avinash gardan jhukakar niche baitha tha aur yash bol raha tha
Yash – abhi jo tune ye sab apni purani yade batayi hai usne komal bhi thi par tune komal ka jikra ek baar bhi nhi kiya, jab pehli baar tune shravni ke propose aur aniket ke rangit talim ka kissa mujhe itne utsah se bataya tha tabhi mere dhyan me aa gaya tha ke us din na sirf komal balki tere dil me bhi pyaar ne janm le liya tha, teri komal se kya baat huyi ye bhi tune mujhe bataya aur jab tune komal ke vichar sune usidin tune decide kiya ke aniket ke pyaar ke liye agar komal shravni ke propose me madad kar sakti hai to tub hi komal ki madad karega use uska pyaar dilane me kyuki tu khud komal ko man hi man chahne laga tha, komal ke aansu bhi too tujhe hi dikhe the warna maujud to waha kai log the
Avinash ki aankho se aasu beh rahe the usne bas ha me gardan hilayi aur yash shant hua, jab avinash thoda shant hua tab yash bola
Yash- kyu kiya aisa ?
Avinash jabardasti muskuraya aur bola
Avinash- kyuki aniket sirf dost nahi hai mera bhai hai, bachpan se sath ai humlog , aur uske to aneko upkar hai mujhpar, aaj tak usne job hi mere liye kiya hai uske saamne to ye bahut kam hai, komal to abhi abhi jindagi me aayi thi re aniket aur mera sath to tab ka hai jab se hame chaddi bhi pehanni nai aati thi, sar pe baap ka saya nahi tha par umra me bhale hi mere hi itna tha par kabhi bhi mere bhai ke baap ki kami nahi mehsus hone di, aur bhai jinhe pyaar nahi milta unhe kuch nahi milta aisa bhi nahi hai yaar, mere paas mera anmol dost hai, mujhe mera pyaar na mila isse koi fark nahi padta, mere bhai ko uska pyaar mila ye kya kam hai ? aur ani ke dosti par to 1 kya 10 komal kurban karne ke pehle main 1 pal bhi nahi sochunga
Yash- arey par tum komal se….
Avinash ne yash me muh par hath rakh diya
Avinash- wo sab khatam ho gaya hai, shadi ki us pavitra agni me jal ke rakh ho gaya hai, aur ab komal sirf aur sirf meri bhabhi hai aur hamari sanskruti me maa ke baad bhabhi ka darja hota hai, main aba age padhne ke liye dusre shahar jar aha hu, ani ki aisi icha hai wo chahta hai ki main padhu aur mere liya uska shabd hi sab kuch hai, tumne ye baat aaj boli hai aage mat bola kyuki agar aisa hua to ye mere pyaar aur dosti ka apman hoga, tumhe priya ki kasam, aur ye bhi mat samajhna ki ye happy ending nahi tha arey bhai aniiket aur komal ki shadi happy ending se kam thi kya aur raha sawal mera to wo hai na adi usne mere loiye bhi kuch to socha hoga…
Avinash waha se utha aur khali beer ki botal wahi fodi aur nikal gaya aur jaye huye wo gar aha tha
Avinash- ye dosti hum nahi chhodenge, chhodenge dum magar tera sath na chhodenge…
Yash jate huye avinash ho dekh raha tha aur bola
Yash- pyaar karna to priya ne sikhaya tha par use nibhana aaj avi sikha gaya, pyaar karne wale to bahut dekhe the par dosti par pyaar nyochavar karne wala HATELA aaj pehli baar dekha, main to aaj tak is hateli lovestory ko ani ki samajhta tha ye to hateli lovestory avi ki nikli....
End…
Last edited: