• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 11


Uske baad waha kuch der shaanti chaa jaati hai...Rajesh bhi kuch bol nahi paa raha tha...Kuch der ham dono bina kuch bole apna naashta karte rahe...Rajesh ka chup rehna mujhe thoda ajeeb lag raha tha.

Sameer:- Kya hua bey? Kyu chup ho gaya?

Rajesh:- To kya karu? Abb mahaul hi serious ho gaya hai ki kuch bol nahi paa raha hun.

Sameer:- Chill yaar...Kuch serious nahi hai...Lagta hai tu college ki iss ladayi jhagade aur bahas ke baare me jyaada nahi jaanta...Ye sab to aam baat hai...Aur mere liye koi nayi baat nahi...Jab bhi koi mujhse pange leta hai mai uska band acche se baja deta hu...Ye sab to hota rehta hai...Aisi chhoti chhoti baato me mood off nahi karte.

Rajesh:- Lekin fir bhi mujhe aisa lagta hai ki hamne bekaar me hi chhoti baaton ko itna bada kar diya...Bina matlab kuch dushman ban gaye...Karan ki baato se to lagta hai ki wo kuch na kuch to jarur karega apni beizzati ka badla lene ke liye.

Sameer:- Tu mera dost ho kar yeh sab keh raha hai...Tu itna darpok kab se ho gaya? Aur tu uss comedian ki baato se dar gaya...Kuch nahi karega wo aur agar kuch karne ka socha bhi to uske saath uss vakt nipatenge.

Rajesh:- Ye sab baate chhod aur tu ye bata ki tu kabhi sudhrega ya nahi.

Sameer:- Kya matlab hai tera? Mai bigda hi kab tha jo mujhe sudharna chahiye.

Rajesh:- Bigada to nahi hai lekin tujhe nahi lagta ki tujhe apni kuch aadatein badalna padega...Jab dekho tab kisi se lad jaata hai...Kabhi bhi koi baat pe serious nahi hota...Jo marzi me aata hai wahi karta hai...Kab tak aisa hi rahega...Ek na ek din to badalna hi padega na.

Sameer:- Are yaar...Abhi ham college me hai...Ye bas padhne ka aur masti karne ka time hai...Bhagwaan ki meharbaani se accha dimaag mila hai...Jo bhi padhta hu dimaag me set ho jaata hai...Aur rahi baat masti karne ki to yahi vakt hai apni life ko khulke jeene ka aur jo marzi aaye wahi karne ka...Baad me ye vakt kabhi nahi aayega...Aur baad me jab job hogi, shaadi karunga tab matured ho jaaunga aur ussi tarike se sochunga...Filhaal to pura masti karunga aur badalne ka bilkul bhi nahi sochunga.

Rajesh:- Tujhse baat karna hi bekaar hai...Kabhi kisi ka baat nahi maanta...Abb ye bata ki class me jaake kya karega?

Sameer:- (Smiling) Acche se jaan gaya hoga ki mai kabhi nahi badlunga kisi ke kehne pe...Aur class me jaake kya karna hai lecture pe dhyaan dunga.

Rajesh:- Mai padhaai ki baat nahi kar raha...Mai to ye poonch raha hu ki tu abb Karan aur Priya se kaise react karega jab class me jaayega.

Sameer:- Mujhe koi farak nahi padta wo log class me rahe ya nahi...Mai to bas apna kaam se matlab rakhunga...Aise react karunga jaise wo log class me hai hi nahi...Aur fir se panga lene ki koshish kiya to bhagwaan hi unhe bachaye. :D

Abb teri nautanki khattam ho gaya ho to chale class me? Yaa fir tujhe aur bhi bakwas karna hai?

Rajesh:- Nahi abb koi baat nahi karna...Chal class me lecture ka time ho gaya hai.

Iske baad ham dono class me chale gaye...Lecture suru hone me kuch der aur baaki tha iss liye class laghbhag khaali tha sirf Priya, Divya, Karan aur ek ladki ko chhod kar.

Priya aur Karan to mujhe ghoor rahe the...Mai bhi muskuraata hua apni jagah par baith gaya...Meri muskuraane ki vajah se unka gussa aur badh gaya lekin wo log kuch nahi kar paaye...Mai kuch books nikaal hi raha tha tabhi ek ladki aa gyi mere pass aur boli.

Ladki:- Hi Sameer.

Mujhe vishwaas hi nahi hua ki ek ladki khud saamne se aa kar mujhe hi bol rahi hai...Mujhe to samajh me bhi nahi aa raha tha ki usne hi kyu kaha...Maine usse pooncha.

Sameer:- Ji kahiye...Kya baat hai... Aur aapko mera naam kaise pata?

Ladki:- Tumne hi to Khanna sir ke class me kaha tha ki tumhaara naam Sameer Sharma hai...And my name is Shruti.

Uski baato se to mai kuch soch hi nahi paa raha tha ki wo kyu mujhse baat kar rahi hai...Usne koi kaam ki baat nahi kaha tha...Maine fir se Shruti se poonchaa.

Sameer:- So Miss. Shruti kya aap mujhe apna introduction dene aayi hai...Mai to soch raha tha ki koi kaam ki baat hogi issliye aap mujhse baat karne aayi hai!!

Meri baat sun kar Rajesh hansne laga to Shruti hadbada gayi...Lekin khud ko sambhaaalte huye usne kaha.

Shruti:- To kya tum kisi se tabhi baat karte ho jab koi kaam ho....Waise mai tumse dosti karne aayi thi...Aur tum mujhe aap kehna band karo...Ham log same class me hai.

Sameer:- Ohh to ye baat hai...Aur ye batao ki tum mujhse dosti karna kyu chahti ho?

Mai to hamesha ki tarah usse jawaab de raha tha lekin meri har jawaab sunne ke baad pehle wo meri baato ka matlab samajhne ki koshish karti aur fir jawaab deti....

Shruti:- Mujhe tumhaara himmat bahut accha laga...Sir se bina kisi dar ke tumne baat kiya...Aur to aur uss Ladki ko majja chakhaaya.(Shruti hansne lagi aur Priya usko gusse se ghoorne lagi)...Aur uss ladke ko bhi acche se maara (Abb Karan bhi usko gusse se dekhne laga)...Mai gate ki baahar se pura live show dekh rahi thi...Mujhe tumhaara daring bahut pasand aaya issliye socha ki tumhe apna dost banaana chahiye.

Shruti ki baato ko sunne ke baad aur Priya aur Karan ki chehre ke gusse ko dekhne ke baad mai bhi muskuraa kar bola.

Sameer:- Waise dosti karne me mujhe koi problem nahi hai...Mai to har kisi ko apna dost maanta hu aur sabhi se friendly behave karta hu...Mujhe bas vishwaasghaati dosto se nafrat hai...(Priya aur Karan ki taraf dekhte hue) Aur jo log mujhe apna dushman maante hai mujhe unse koi matlab nahi.

Shruti:- Tum baat bahut ajeeb tarike se karte ho...Samajhna bhi mushkil hai...Bas itna kaho ki tum mujhse doshti karoge yaa nahi.

Sameer:- (Muskuraate hue) Yes...Aajse ham friends.

Maine bas itna hi kaha tha ki students class me aane suru ho gaye...Wo muskuraate huye apni jagah par chali gayi...Ek najar Priya aur Karan ki taraf dekha to wo log abhi bhi mujhe gusse se hi ghoor rahe the...Maine koi parwaah nahi kiya aur iske baad lectures me busy ho gaya.

Jab saari lectures khattam ho gaya to mai apna bag uthaa kar ghar jaane laga...Principal sir se milna hai ye baat dimaag se nikal gaya tha...Kucch aage hi pahuncha tha class se nikalne ke baad ki tabhi Khanna sir mil gaye aur unhone mujhse kaha

Mr. Khanna:- Kaha jaa rahe ho tum? Bola thaa na maine lectures ke baad principal sir ki office me aana.

Khanna sir ki aawaj se gussa saaf jhalak raha tha...Wo abhi tak subah waali baat ko bhulaa nahi paaye the.

Sameer:- Oh. Sorry Sir...Dimaag se ye baat nikal gaya...Chaliye chalte hai principal sir ki office me.

Iske baad Mai aur Khanna sir dono principal sir ki office me chale gaye...Waha jaakar dekha to Principal sir hamaara hi wait kar rahe the aur gusse me bhi lag rahe the...Mujhe iss baat se koi farak nahi pada aur maine kaha

Sameer:- May I come in Sir?
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 12


Sameer:- May I come in Sir?

Maine bas itna kaha...Sir kuch der mujhe gusse se ghoorte rahe aur bole.

Principal:- Aayie Mr. Sameer Sharma...Aapka hi intejaar kar raha tha.

Principal sir ki baat se mai soch me pad gaya ki unhone mujhe kaise pehchaan liya aur mera intejaar kyu kar rahe the?

Sameer:- Sir...Aap mera intejaar kar rahe the...Ye baat samajh me nahi aaya...Aur aapne mujhe kaise pehchaan liya?

Principal:- Aapko iss liye pehchaana kyu ki aap hi wo sincere student hai jiski complaint mere pass sabse pehle aayi hai...Aur uske baad maine aapka pura detail check kar liya...Ek baar aapse baat karna chahta tha iss liye aapka intejaar kar raha tha.

Principal sir baat to bahut meethi meethi baat kar rahe the lekin unki baat me unka gussa koi bhi samajh sakta tha...Mujhe pata tha ki maine koi galti kiya hi nahi hai to darne ki koi baat nahi...Maine bhi Sir ko keh diya.

Sameer:- Sir mujhe lagta hai ki Khanna sir aapko sab kuch bata chuke hai...To mai iss matter ko aur explain nahi karunga...Aur mujhe nahi lagta iss me meri koi galti hai...Khair mai jyaada baat nahi karna chahta...Aap apna faislaa suna dijiye.

Maine sir ko bahut hi halke tarike se keh diya...Mera makshad unka apmaan karna nahi tha...Lekin sir ko meri baat bilkul bhi accha nahi laga...Wo kuch bolne hi waale thhe ki Khanna sir ne Principal sir se kaha.

Mr. Khanna:- Dekha sir aapne...Kitna badtameez hai ye ladka...Baat karne ki bilkul bhi tameez nahi hai...Class me bhi mere saamne aise hi baat kiya tha issne...Mai to kehta hu nikaal dijiye aap isko college se.

Mr. Khanna ki baat sunne ke baad mujhe thoda hairaani hua ki wo itni chhoti si baat ke liye mujhe college se nikaalna chahte the...Mujhe iss baat se bhi kuch fark nahi pada aur mai chup raha...Principal sir ke faisla ka wait kar raha tha.

Principal:- Sameer tum Dr. Sharma ke beta ho na?

Sameer:- Yes Sir...Mai unhi ka beta hun.

Principal:- Jaante ho wo mera dost hai...Bahut din ho gaya usse mile hue...Wo to bahut hi accha insaan hai...Sabhi ke saath acche se behave karta hai...Lekin mujhe tumhe dekh aascharya ho raha hai ki tum uske beta hone ki baawjood itna badtameez kaise ho...Tum aur tumhaara baap ki nature me jameen aasmaan ka difference hai.

Principal sir thoda hairaan aur thoda gussa bhi the...Mujhe bhi unki baat kuch accha nahi lag raha tha...Fir bhi maine aaram se jawaab diya.

Sameer:- Sir...Mere Papa ne mujhe ye hi sikhaaya hai...Apne se bado ki izzat karna aur sabhi se acche se behave karna...Lekin ye bhi sikhaaya hai ki jab koi bewajah tumhe pareshaan kare to chup mat baithna...Aur jhutthe ilzaam ko mat sehna...Khud acche se raho aur jab koi pareshaan kare to usko ushike tarike se samjhaaao...Mai to Khanna sir se acche se baat kar raha tha lekin sir ne jab mere baare me ulta sidhaa bolna suru kiya tab maine jawaab diya...Fir bhi mai inhe acche se hi jawaab de raha tha..Agar unki jagah koi aur hota to mai uski acche se band baja deta.

Ye kehte hue mujhe Karan ki yaad aa gaya aur last ki line maine thoda gussa me bhi kaha tha...Meri baat sunne ke baad Principal Sir gussa me bole.


Principal:- Bas Sameer bahut hua...Ye mera office hai...Tameej se baat karo...Aaj mai tumhaare Papa se baat karta hua aur unhe tumhaare kartut ke baare me batata hu...Aur Sameer mai tumhe tumhaare iss harkat ki vajah se tumhe college se nikaal bhi sakta hun.

Abhi tak to mai aaram se baat kar raha tha...Lekin sir ki iss baat se mujhe bhi gussa aa gaya...Aur maine thoda gussa ke saath kaha.

Sameer:- Sir aapko jo karna hai kijiye...Mai kuch nahi kahunga aur mujhe koi fark bhi nahi padega...Mujhe iss college me free scholarship me admission milaa tha...Agar iss college ko chhod diya to bhi koi fark nahi padega...Bahut si college hai iss city me...Kisi ek me padh lunga...Aur Sir Papa ko jo bhi bataana hai bata dijiye...Mai unhe sab sach sach bataa kar samjhaa dunga...Itna to yakin hai mujhe ki wo mera baat par vishwaas jarur karenge.

Mera achanak se gussa ho jaana aur iss tarah baat karne se Khanna sir aur Principal sir dono hairaan ho gaye...Wo dono kuch nahi bol rahe the...Kuch der wahi khada rehne ke baad mai bola.

Sameer:- Sir aap kuch bol nahi rahe hai...Mujhe lagta hai abb mera yaha rehne ki koi kaam nahi hai...To Sir mujhe lagta hai ki abb mujhe nikalnaa chahiye.

Meri baat sunne ke baas Principal sir ne gusse me kaha.

Principal:- Jaao.

Mai bhi waha se nikalne laga aur gate me pahunch kar picche mood kar sir ki taraf dekhte hue kaha.

Sameer:- Sorry Sir...Mujhe aise gusse me baat nahi karna chahiye tha...Lekin mujhe afsos bhi nahi hai...Maine jo bhi kaha mujhe nahi lagta ki maine kuch bhi galat kaha hai.

Iske baad mai waha se nikal gaya aur ghar ki aur chala gaya.

PRESENT

Sameer ne bas itna hi kaha tha ki Mahesh ki mobile me kisi ka phone aaya...Wo phone pick karke kuch der baat karta hai...Phone cut karne ke baad Mahesh Sameer ko kehta hai.

Mahesh:- Sorry yaar...Ghar me kuch emergency kaam aa gaya hai aur Mom ne mujhe abhi ghar bulaya hai..
.Kal subah fir yahi milenge...Aur baad ki baat karenge.

Sameer:- Thik hai yaar...Tu jaa...Teri family ko teri jarurat to hai...Mera family ne to mujhe ignore kar diya...Mera waha hone aur naa hone se unko koi fark bhi nahi padta...Kya karu yaar...Galti bhi mera hi hai..

Sameer ne bahut hi emotional ho kar ye baat kaha...Mahesh ko bahut dukh hota hai Sameer ki haalat dekh kar...Lekin usko apne ghar me kuch urgent kaam bhi thaa...Issliye wo Sameer ko samjhaate hue kaha.

Mahesh:- Yaar tu himmat rakh...Agar tu hi himmat haar gaya to kaise chalega...Tu chinta mat kar yaar...Mai hamesha tere saath hu...Kal tu mujhe puri baat bataana uske baad mai kuch na kuch jarur sochunga yaar.

Mahesh ne Sameer ko samjhaate hue kaha...Sameer ko Mahesh ka saath se uski dard me bhi thoda sa sukoon mila...Usko lagne laga tha ki usko ek saccha dost mil gaya hai jo usko hr mushibat me saath dega.

Sameer:- Tu mera saath hai...Yahi mere liye bahut hai...Abb tu ghar jaa...Aisi emergency me deri nahi karte...

Mahesh:- Tu bhi sambhal kar jaana...Bahut beer pee liya hai tune...Gaadiyon ko dekh kar chalna.

Sameer:- Chinta mat kar yaar...Agar mar bhi gaya to hi shaayad koi aansu bahayega mere liye...Sabhi ki najaro me galat ban gaya hu...Yaha tak ki khud ki najaro me bhi...Mai galli se hote hue chala jaaunga...Udhar koi gaadi nahi aati...Aaram se pahunch jaaungaaa...Lekin tu der mat kar...Jaldi se jaa.

Sameer har pal khud ko kamjor mehsoos kar raha tha...Mahesh ko uski iss haalat par bahut dukh hota hai...Wo to soch raha tha ki Sameer ko uske ghar tak chhod kar ghar jaaye...Lekin jis tarah se uski Mom ne usko bulaaya tha ussko sochte hue usko thoda dar bhi lag raha tha...Aur wo abb bina der kiye apne car ko apni ghar ki aur teji se dauda deta hai.

Idhar Sameer bhi ladkhadaate hue apna ghar pahunch jaata hai...Aaj uska bhaagya kuch accha tha...Mr. aur Mrs. Sharma aaj ghar par nahi the...Kuch kaam ke liye ek ghante ke liye baahar gaye the...Ussi vakt Sameer apne ghar me enter karke siddhiyon se ladhkhadaate hue apna room me pahunch jaata hai.

Jab wo apna room me pahunchta hai to Priya bhi room me hi maujood thi...Priya usko iss haalat me dekh kar shocked ho jaati hai aur gusse se poonchti hai.

Priya:- Tum kaha se aaye ho aur ye kaisi haalat bana liya hai tumne...Jarur daru piya hoga tumne.

Priya ki aawj me uska Sameer ke liye gussa aur nafrat saaf jhalak raha tha...Sameer bhi bas itna hi keh paata hai.

Sameer:- Dost se milne gaya tha.

Sameer ne bahut dhire se ye baat kaha...Uske pass abb itna himmat nahi tha ki Priya ke saamne thodi bhi uncchi aawaj me baat kar sake...Sameer apni haalat dekh khud par hi taras khaa raha tha...Wo Priya se pehle din ki mulaakat ko yaad karta hai...Wo ek aisa samay tha jab Sameer Priya ko apne khilaaf kuch bolne nahi deta tha lekin aaj wo khud wahi Priya ke saamne kuch bol nahi paa raha tha...Kitna majboor ho gaya tha Sameer jo kabhi koi agar uski beizzati kare to seh nahi paata tha lekin aaj wo khud hi apni najro me gir gaya tha.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
इंतज़ार है चेम्प भाई
Aaj Kasam me diya hai...Thoda late ho gaya...Issi liye yaha par kal dunga bhai.

Iss story me bhi update ko thoda edit karke post karta hun...Jaise ki spelling aur grammar mistakes...Issi liye thoda time lag jaata hai...Abhi shayad nahi kar paaunga...Kal 2 ya 3 updates dunga. :thumbup:
 
Last edited:
Top